• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SURYA (chapter 3) [THE DARK WORLD][Completed]

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,007
173
Guys jaisa ki aap sabhi ko title se pata chal hi gya hoga ki ye kahani thodi alag hone wali hai. Isme surya ka saamna thode jyada khatarnak logo se hoga. Ye kahani SCI-FI KAM OR FANTASY THODI JYADA HOGI JISME THODA BAHUT HORROR KA TADKA BHI LAGANE KI KOSIS KARUNGA. OR HAMESHA KI TARAH THRILL TO HOGA HI. BAS AAP SABHI APNA SATH BANAYE RAKHE. JALD HI PEHLA UPDATE POST KARUNGA...



INTRODUCTION



JAY PRATAP SINGH -
ye ghar ke bade hai or hamare hero ke dad hai. Ye ek genetic scientist hai. Or itne kabil ki inse kuch bhi banwa lo inhe jyada der nahi lagti. Inki age to kaafi ho chuki hai. Lekin inke liye ye bas ek no. Hai or kuch nhi.

Baaki story me hero ki mom bua or fufa or bhabhiya bhi hai. Lekin unka role jyada nahi hai. Bas kahi kahi beech beech me unki jarurat padegi to us jagah per keval unke role se hi unhe bulaunga.



Veer pratap singh - ye jay ke bade bete hai or hamare hero ke bade bhai. Pichhali story me aapne pada hoga ki jay ne inke andar bhi formula inject kiya tha jis bajah se inke pass bhi ab super strength hai. Sharp to ye pehle se hi the kyuki inhone kai saal secrate service me kaam kiya hai. Baaki apni family se bahut pyar karte hai or unke liye kuch bhi kar sakte hai.



Yash pratap singh- ye jay ke chhote bhai Samar ke bete hai lekin vo ab is dunia me nahi hai isliye jay inhe apna beta hi manate hai or ghar ke sabhi inhe bahut pyar or samman dete hai. Inke baare me ik baat khaas hai. Inka para agar chad jaye to fir saamne wale ki shamat aai samjho. Or ye baat ghar ke sabhi log jaante hai. Inke pass bhi super strength hai jisse ye unbeatable ho gye hai. Ye pehle hi kai logo per akele hi bhari pad jaate the or ab usme or ijafa ho gya hai. Or bahar ki dunia ke logo ke liye inka code name hai RONY sabhi inhe adhiktar isi naam se bulate hai.



Surya pratap singh - ye hai hamari kahani ke hero. Inke ware me kya bolu kuch samajh me hi nahi aaraha hai. Jitna bolu utna kam hai. Fir bhi bata deta hu. Ye ghar me sabke chahete hai or sabhi inko or ye sabhi ko bahut pyar karte hai. Inke liye family pehle hai baaki sab baad me. Or koi inki family ko baad me nuksan na pahucha paaye isiliye ye apne dushmano ko jyada mouke dete nahi hai. Aage ki sochkar unka kaam pehle hi tamam kar dete hai. Baaki inka mind bhi kaafi sharp hai. Dushman ki agli chal kya ho sakti hai ye pehle se hi anumaan laga lete hai or 100% inki predictions sach hoti hai. Baaki baate story me jaaniyega.




Radha- ye surya ki wife hai or surya ke bua ki ladki bhi. Ye apne pariwar apne pati se bahut pyar karti hai. Or ye apne pati ko kabhi kisi cheez ke liye mana nahi karti. Baaki thodi bahut super strength to inke pass bhi hai.




Amar- ye veer ke bete hai ikloute hai. Or bacho me sabse bade hai. Bahut hi suljhe hue or samajhdaar. Apne teeno bhai bahen ko sath leke chalte hai or musibat me unke aage khade rehte hai.



Samar- ye Rony ke bete hai. Inka naam rony ne apne pita ke naam per rakha hai. Baaki inka swabhav bhi thoda thoda apne pita jaisa hi hai. Gussa thoda jaldi aata hai inko or us gusse me saamne wale ka kya hasr hoga ye bhagwan hi jaane. Apne bhai bahen se bahut pyar karte hai. Or unke liye kuch bhi kar sakte hai.



Aviraj- ye surya ke bete hai chuki surya ke pass shadi ke pehle se hi super strength thi jiska asar isper bhi hua hai iska mind pata nahi kis mitti ka bana hai. Isse jo chahe vo banwa lo. Is baat ka andaja isi baat se laga sakte hai ki inke ghar me jo arc reactor laga hua hai use isi ne banaya tha vo bhi sirf 10 saal ki age me. Baaki aap sabhi samajh hi gye honge ki ye kya cheez hai. Baaki inka jyadatar samay to inke base me gujarat hai ye apne khilono me hi dube rehte hai.



ASHQ- ye avi ki judwa bahen hai. Thodi gusse wali hai. Lekin apne gusse ka sahi istemaal karna jaanti hai. Apne dad se bahut pyar karti hai. Baise wala nahi. Normal baap beti wala. Baaki kuch powers to iske andar bhi hai. Lekin filhaal unki koi detail nahi hai. Baaki aage story me pata chal hi jayega sabhi ko.




Sunny- ye veer ke under secrate service me kaam karta tha. Veer ise apna chhota bhai hi maanta hai. Or yahi baaki sabhi ka bhi manna hai ise ghar ka sadasya hi samjhte hai sabhi or ye bhi sabhi ko apne pariwar ka hissa hi samajhta hai. Baaki kabiliyat to isme bhi bahut hai. Lekin koi super strength nhi hai.



Rishi- iski bhi kahani same sunny jaisi hi hai.



Aarav- ye banda surya ka favourite hai. Iska dimaag computer me kamal ka chalta hai. Harry isi ki den hai jise isne kuch hi dino ki mehnat me bana dala tha. Baaki iski kahani bhi sunny or rishi jaisi hi hai.




aadil- ye banda bhi isi pariwar ka hissa hai. Iski back story bhi kuch baisi hi hai lekin is baar ye veer ke sath nahi baki rony ke sath kaam karta tha. Iske pita ne hi muskil samay me rony ko sahara diya tha jis bajah se in dono me sage bhaiyon jaisa pyar hai. Or surya or veer or ghar ke baaki sadasya bhi ise apna hi samjhte hai inme koi bhi aapsi matbhed nahi hai. Sabhi apni life me mast rehte hai. Ye bhi computer expert hai Aarav se kam bhi nahi hai or jyada bhi nahi hai.




Chouhan- ye banda veer ka guru hai. Or ye secrate service ke head bhi reh chuke hai. Chuki ab retire ho chuke hai lekin story me inka bhi role bahut eham hai. Ye bhi surya veer or baaki sabhi ki bahut izzat karte hai or surya or veer ko to ye apna beta hi maante hai. Or ye sabhi bhi inko vaisi hi respect karte hai. Baaki deadly to ye bhi hai is age me bhi.




so bhai log ye ek chhota sa intro hai sabhi main characters ka. Kahani me or bhi kirdaar aayenge jinka usi samay intro de diya jayega.
Parsanshniye mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,007
173
UPDATE 1














Avi mumbai wale base per pichhle 1 saal se ek nayi tarah ki machine bana raha tha. Jiske baare me usne abhi tak kisi ko nahi bataya tha. Or is baat ki bhanak Harry ko bhi nahi thi. Kyuki avi jaanta tha ki Harry ise secrate nahi rakh payega isliye avi ne Harry ko us base se switch off kar diya tha.



Is machine me abhi bhi kuch kaam baaki tha. Lekin ye almost 98% tak complete ho chuki thi. Dekhne se ye kisi tarah ka robot lag raha tha. Jiski saari body vibranium se bani hui thi. Or ye metel kitna solid hota hai ye mujhe batane ki jarurat nahi hai aap sabhi ye achhe se jaante hai.




Ab baaki bacha hua kaam Harry ko karna tha. Isliye avi ne Harry ko us base bapis se active kiya.





Harry- hello avi. Lagta hai project pura ho chuka hai.





Avi- ha Harry ab jo bhi kaam bacha hak vo tumhe karna hai. Ab tumhe iske andar jaan daalni hai.
Samajh rahe ho na.





Harry- kya aap bakai sure hai iske liye.





Avi- me to sure hu. Lekin kya tum ready ho iske liye.






Harry- sir me bhala kyu nahi ready rahunga iske liye. Theek hai isko process me karib 1.5 din ka time lag sakta hai. Kyuki itna sara data load karne me ise time to lagega hi.






Avi- vo me jaanta hu. Tum bas kaam suru karo. Baaki agar koi dikkat aaye to mujhe batana.





Harry- ok sir.




Ye sunke avi baha se chala gya.




Bahi avi ke jaate hi Harry lag gya kaam me.





Raat ke karib 1 baje kisi ne base ki security ko breach kiya or is tarah se kiya ki Harry bhi nahi samajh paya ki kya kaise hua.


Or abhi Harry ise samajhne ki kosis hi kar raha tha ki tabhi us base me lights on hui or ek aawaj Harry ko sunai di.






Unknown Voice- kaise ho Harry




Harry- apni pehchan batao. Or apne yaha aane ka kaaran bhi.





UV- are wah maine to suna tha tum sabko pehchan lete ho fir mujhe nahi pehchana.




Harry ne uske face se uski identity janne ki kosis ki lekin uska koi bhi record nahi mila use.





Harry- kaise pehchanunga me. Tumne apni identity chhipa rakhi hai.






UV- ha ye baat to hai. Khair tumhara samay barbaad na karte hue me hi tumhe bata deta hu.




Ye kehte hue vo baha per moujud Harry ki main programming system tak chala gya.






UV- me tumhara or tumhare us boss kya naam hai uska ha Surya dono ka kaal hu. Itna intro kaafi hai tumhare liye.




Harry- sayad tumhe apne jeevan se moh nahi hai. Verna yaha aane ki gati kabhi nahi karte.






UV- ha me janta hu tumhare kehne ka matlab. Lekin tum tension na lo. Me apni raksha karna achhe se jaanta hu. Lekin mujhe nahi lagta ki tum apni raksha kar sakte ho.





Harry- matlab?





UV- matlab ye ki



Itne me usne baha moujud CPU me ek chip ko install kar diya. Harry ne turant hi us chip ko stop kar diya jis bajah se vo run hi nahi kar pai. Lekin Harry nahi janta tha ki is chip ko run karne ki jarurat padti hi nahi hai.




UV- ohh Harry kam se kam use run to karne dete.





Harry- me janta hu ise run karne per kya ho sakta hai. Lekin mere rehte ye kabhi run nahi kar payegi.





UV- baise maine tumhe bataya ya nahi ki is chip ko run karne ki jarurat nahi padti hai. Ye bina run ke hi apna kaam kar deti hai. Jab tak ye tumhare system me install rahegi tab tak ise rok pana kisi ke bas ki baat nahi hai.






Harry- kya matlab hai tumhara.





UV- iska jadu dekhna chahoge.



Itna kaha hi tha ki pata nahi Harry ko kya hone laga. Use aisa lag raha tha jaise andar hi andar use koi maar raha hai. Harry is sab ko rokne ki tamam kosis kar raha tha lekin vo nakaam hi ho raha tha. Kyuki use pata hi nahi tha ki ye sab ho kaise raha hai. Or use exactly rokna kise hai.


Tab Harry ke pass ek hi rasta bacha ki khud ko shutdown karle. Or usne bina koi time ko gabaye khud ko shutdown kar liya.





Or ye dekhkar UV hasne laga. Kyuki use pata tha ki aisa hi kuch hone wala hai.



Bahi Harry ne band hote hote ye msg surya tak pahucha diya tha. Uske mobile per. Lekin yaha afsos ki baat ye thi ki surya bina kisi chinta ke so kar raha tha. Isliye usne vo msg dekha hi nahi.



Bahi us UV ne sare base ki achhe se talashi li jisse use baha per kai tarah ke weapons mile jinhe khud avi ne banaya tha. Or sath me vo robot ki body bhi jise aaj hi avi ne Harry ke hawale kiya tha. Usne apne aadmiyo ko khabar ki or ek truck ko baha bula liya or sara samaan usme load karwa diya or baha se jaate jaate us pure base jagah jagah per kai bombs fit kar diye. Or baha se nikalte hi unhe blast kar diya. Jiska asra ye hua ki base ke uper bani hui puri building hi kuch hi palo me jameen me sama gyi. Kai log jo us building me rehte the vo neend me hi mar gye. Ye ek bahut hi tagda jhatka tha surya ke liye. Bahi mumbai me bahut bada tehalka mach gya tha sari police or fire brigade bagera thodi hi der me baha aachuki thi. Or media is jagah ka live telecast karne lagi thi. Sabhi ki neend ud gyi thi ye seen dekhkar. Sabhi hairan the ki ye building achanak se gir kaise gyi. Halaki kuch chashmdid gavaho ne unhe bata diya tha ki pehla neeche ek bada dhamaka hua or fir building gir gyi. Ye khabar kaafi shocking thi kyuki aisa dhamaka yaha hona vo bhi police bagera bina pata chale bahut badi baat thi. Sabhi iss ek bahut bada terrerist attack samajhne lage the. Or police foran hi action me aagyi thi.har jagah per nakabandi ho gyi thi. Lekin jisne ye kiya tha vo to ab tak jaha use pahuchna tha baha pahuchne hi wala tha.







Next subah tak pure desh me ye khabar fail chuki thi. Or surya ko bhi vo msg mil gya tha jo use Harry ne bheja tha.


Or us msg ko padte hi surya ka dimaag hi hil gya ki ye kaise sambhav hua. Vo turant hi ghar me bane base me gya or baha per usne Harry ko fir se active karne ki kosis ki lekin vo nahi hua. Or ye bahut hi serious matter tha. Isliye usne foran hi Aarav or aadil ko conference call per ek sath liya.






Aarav- hello bhai good morning



Aadil- ha bro good morning or Aarav tere liye good evening.





Aarav- thanks bro. Or sunao kya haal sab theek.





Main- agar milaap ho gya ho to meri sunoge.





Aarav- sorry ha bhai bolo na. Kya hua.





Main- Harry ko hack kiya gya hai. Ya sayad uske system me koi virus daal diya gya hai. Vo raat se hi shutdown hai. Or ab start hi nahi ho raha hai.




Ye baat sunte hi dono ek dum hairan reh gye.




Aarav- impossible hai bhai. Jab tak koi khud aake Harry ke processor se connect nahi hoga aisa karna sambhav hi nahi hai.





Aadil- exactly to fir ye kaise ho sakta hai.






Main- are hamare mumbai wale base me der raat koi ghus gya tha security ko breach karke. Harry ne uski photo mujhe bheji thi or is baat ki jaankari bhi di thi. Lekin me thaka hone ke kaaran gehri neend me tha isliye mera dhyan hi nahi gya. Maine abhi subah hi dekha hai uska msg. Or jo bhi baha ghusa tha usne hamare base ko bomb se uda diya hai. Pal bhar me puri building neeche aagyi.





Ye sunke aadil or Aarav ne apna matha pakad liya.





Aadil- jarur Harry ne us virus se bachne ke liye khud ko shutdown kiya hai. Taaki vo jyada nuksaan.na pahucha sake. Or jab tak uske andar se vo bacha khucha virus nahi hatayenge vo start nahi hone wala.






Aarav- tumne sahi kaha aadil. Ek kaam karte hai me india aata hu. Next flight se. Tum bhi pahuncho. Ham use theek karne ka koi na koi rasta nikaal hi lenge.






Aadil- theek hai niklo tum.





Main- ek min ruko. Akele mat aao. Bhabiyo ko bhi sath le aao. Jisne bhi ye kiya hai. Agar usne baha tum logo ki gair moujudgi me unper hamla kar diya to gadbad ho jayegi or Harry bhi nahi hai jo hame saavdhan kar sake. Or ha apne sabhi bhaiyo ko inform kar do ki satark rahe.







Aarav- theek hai me sunny or rishi ko bata dunga. Baaki bhai or Rony to bahi per honge na.






Main- unki tension nahi hai. Vo yahi per hai. Sirf tum un dono ko bol do. Or jaldi se yaha aajao. Kahi kuch or gadbad na ho jaye. Tab tak me yaha dekhta hu or kya kya gol hua hai.





Aadil- theek hai bhai ham aate. Ek kaam karo. Apna jet bhej do. Usme ham safily or jaldi baha pahuch jayenge.






Main- ha ye theek rahega. Me bhejta hu pilot ko




Ye kehke maine call cut kiya or apne pilot ko call kiya. Baise to mera jet Harry hi chalata tha. Lekin emergency ke liye usme pilot me moujud rehte hi hai.



Maine unhe bata diya ki kaha jana hai or kinhe leke aana hai. Vo bhi jaldi. Vo bhi samajh gye or jaldi hi nikal gye London jaha se aadil tha. Or sayad bahi per Aarav bhi aajye kisi alag flight se. Verna use lene newyork jana padega.





Bahi me ye sab sochke hairan tha ki ye sab kisne kiya hai. Kiski itni himmat ho gyi.



Khair maine avi ko call kiya.





Avi- hii dad aapko khabar mili.





Main- ha mujhe abhi pata chala. Tum log to nahi the na base per.





Avi- nahi dad me to sham ko hi baha se bapis ghar aagya tha Harry ko sopkar. Lekin ye sab kya hua or kaise. Mere pata nahi kitne hi experiment us base me rakhe hue the. Pata nahi unka kya hua hoga.







Main- meri baat dhyan se suno. Harry ke andar usi base me se virus install kiya gya hai. Jis bajah se vo shutdown ho gya hai. Or rahi baat tumhare projects ki to. Jisne bhi ye kiya hai. Usne sayad tumhare sab project chura liye honge ya fir vo is blast me tabah ho gye honge. Isliye unke liye rona band karo. Or sabse imp baat. Sabhi satark rehna koi bhi anjaan agar tumhe aaspass dikhe jo aisa lage jaise tumper watch rakhe hue hai uski khabar foran mujhe dena. Or incrypted phone ka istemaal karna jo jyada safe rahega. Samajh gye na. Sabhi ko bol dena ye.







Avi- theek hai dad. Me bata dunga sabhi ko. Kya aap yaha aarahe ho.





Main- filhaal nahi. Lekin agar koi emergency hui to aajaunga. Tum sabhi apna khayal rakhna.




Itna kehke maine call cut kiya. Or fir bhaiyo ko base me bulaya jisme dad bhi shamil the.



Teeno neeche aaye or maine unhe sari baat batai. Jise sunkar unke bhi hosh udd gye the. Abhi subah ke 7 hi baje the or itna bada dhamak sabko sunne mil raha tha. Ab pata nahi aage kya hone wala hai.



Mera dimaag is waqt har possibilities ko calculate kar raha tha. Or usi hisaab se me sabhi ko order de raha tha. Baaki kya hoga vo to bhagwan hi jaane.











To be continue…………………...
Gajab ki shuruwaat ke sath
Ek dhamakedaar update mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,007
173
UPDATE - 2















khair us din fir jyada kuch nahi hua. Sab theek hi raha. Lekin Harry ke band hone ki bajah se bahut se kaam bad gye the.kuch kaam latak gye the. Jinhe pura karne ki jimmedari ham per aagyi thi. Or unhi kaamo ko pura karne me din kab nikal gya pata hi nahi chala. Bahi sham tak aadil or Aarav bhi ghar pahuch gye. Or vo seedhe pahuche base me or apne kaam me lag gye.



Unhone lagataar 3-4 ghanto tak mehnat ki or Harry ko fir aw boot kiya. Or Harry fir se on ho gya. Or abhi bhi apne aap ko refresh hi kar raha tha ki fir se uske system me gadbadi aagyi. Or is baar vo band bhi nahi ho paya. Or thodi hi der me screen off ho gyi.





Main- ye kya hua. Ye fir se band kyu ho gya






Aarav- bhai lagta hai ye koi naya prakaar ka virus hai. Hamne use puri tarah se hata diya tha. Lekin





Main- lekin kya.





Aadil- bhai lagta hai us chip ke Harry se connect hote hi Harry ko kisi or ne kahi or se apne control me le liya hoga or uske baad Harry ke server ko puri tarah se crash kar diya. Harry ne jab apne aap ko band kiya tha tab vo theek ho sakta tha. Lekin ab koi ummid nahi hai.





Aarav- keval ek rasta hai. Jis jagah se ye sab hua hai. Mujhe usi jagah jana hoga or me baha ke system me apna virus daal dunga. Jisse Harry per se uska control chhut jayega or Harry khud ba khud apne aap ko fir se voot kar lega.






Ye sunkar ham sabhi or bhi paresaan ho gye ki ab unka pata kaise lagaya jaye.





Main- ye batao kahi hamari settelite bagera to unke control me nahi aagyi na.





Aadil- nahi bhai. Hamne sare system ko abhi ke liye uninstall kar diya tha. Or unki security ko hamare pass hi rakh liya tha. Isliye hamari saari khaas jaankari filhaal hamare pass safe hai. Or agar vo log Harry se ise copy karne ki kosis karte to Harry turant hi saari jaankari formate maar deta. Isliye is jaankari ka kisi ke bhi hath me jaane ka sawal hi nahi uthta hai.






Main- badiya to mujhe apne base ki footage dikhao kal raat ki.




Aarav- theek hai bhai



Uske baad Aarav ne tufant hi apne laptop ko settelite se connect kiya or kal raat ki saari footage ko bahar nikala.



Or jis samay mujhe msg aaya tha usse thode time pehle se footage ko play kiya.




Tabhi footage me hame dikha ki koi Aasman se seedha neeche land kiya. Vo bhi bina pairasuit ke. Or uske baad vo building me andar ghus gya



Uske baad andar bahi sab hua then hamare kaam ki cheez aai. Vo truck jisme usne baha ka samaan load kiya.




Aadil us truck ki jaankari nikalne laga. Bahi hamne aage dekha ki vo baha se nikal gye. Uske baad koi bhi footage hame nahi mil saki.





Bhai- ab kya kare. Baise jaha tak mujhe lagta hai. Ye kisi aisi jagah gye honge jaha ye samaan plane ya train me chada sake. Plane ke to kam chances hai sayad kisi train me chadaya ho.





Main- aapki baat me dum to hai bhai. Lekin ek baat ye bhi hai ki ye uper se nechhe aaya tha. To iska matlab ye kisi private plane se hi aaya hoga or usse hawa me hi kud gya hoga. Or ise bapis le jane ke liye vo plane kahi to land hua hi hoga na. Sayad kisi private airport per. Jisme ye sara samaan ye le gya ho. Jaise ham karte hai.






Rony- jaha tak mujhe pata hai mumbai me keval 2 hi private airport hai jo chhote plane ko baha land karate hai. Paiso ke liye. Or baha unki kuch khaas checking bhi nahi hoti hai. To is baat ka pata lagana jyada muskil nahi hai ki vo plane kaha utra hoga. Lekin agar main airport per vo utra hoga to kuch keh nahi sakte. Kyuki hame na to us plane ki koi jaankari pata hai na hi us insan ki.uska chehra hai lekin possible hai ki ye nakli ho.






Main- bhai aapne sahi kaha lekin hame kuch to karna hi padega. Verna Harry kabhi theek nahi ho payega. Or uski gairmoujudgi me hamara ghar bhi kuch khaas safe nahi hai. Agar kisi ne seedhi misile hamare ghar per chhod di to ham use nahi rok payenge.







Bhai- ye baat ham sabhi achhee se jaante hai suri. Or iske parinaam bhi. Isliye ab tum hi koi solid plane soch sakte ho. Jisse hame un tak pahuchne ka koi rasta mil sake.






Main- theek hai. Sabse pehle to ek kaam kariye rony bhai. Aap mumbai jaiye or un airport ki saari detail check keejiye. Ki baha per koi plane land hua bhi tha ya nahi or agar utra tha to vo kaha gya hai ye janna bahut jaruri hai. Or sath me bacho ki safety bhi jaruri hai.
Baaki Aarav or aadil aap dono ek naya AI SYSTEM banaoge vo bhi 3 din ke andar kaise ye me nahi janta hu. Jab tak Hame unki exact location nahi milti tab tak is ghar ki security ko banaye rakhna ye aap dono ki jarurat jimmedari hai. Jis situation me ham is waqt hai usme is ghar se bahar bina koi tension ke jaane ka risk me nahi le sakta. Aap log samajh rahe ho na.







Aadil- don't worry bhai. Hamare pass Harry ka pura layout pehle se hi moujud hai. Or usi ke hissab se ham ek naya system jaldi hi bana lenge.




Aarav- ha bhai aap bilkul tension nahi lo. Harry ne ghar ki security ke liye jo system banaya tha me use fir se yaha per install kar deta hu. Jisse jab tak ek naya system nahi ban jata tab tak vo hamare ghar ki security ko dekhta rahega. Or agar koi khatra aayega bhi to vo hame inform kar dega jisse ham apni raksha kar sakenge






Main- theek hai. Rony aap avi ki madad le lena agar kuch hack bagera karwana ho to. Vo kar dega aaram se.






Rony- theek hai me abhi nikal jata hu.





Abhi rony nikle hi the ki mujhe rishi ka call aaya.





Main- ha rishi baha sab theek hai na.





Rishi- ha yaha sab theek hai. Darashal ek news mili hai mujhe jo lagta hai ki hamare kaam aa sakti hai.






Main- kya hai batao mujhe.





Rishi- kal itly me ek bahut hi secrate meeting hone ja rahi hai jisme kaafi underworld ke log aane wale hai. Or unke beech khaas ek neelami hone wali hai kisi chip ki. Iski jyada jaankari to nahi mil pai. Lekin ye news confirm hai.





Main- ek min. Kahi ye bahi chip to nahi jisse Harry ko hack kiya gya.





Rishi- I think bahi hai.







Main- sayad demo ke liye vo log Harry wala kand batayenge sabko. Lekin mujhe doubt aaraha hai ki kahi ye koi naya jaal na ho hame fasane ka ya kuch or karne ka.







Rishi- baise bhai isme doubt to mujhe bhi hai. Lekin chance lena chahiye. Agar us meeting ke andar hame vo insan mil gya to hamara bahut kaam aasaan ho jayega. Or agar ye jaal bhi hua to tera koi kya ukhaad sakta hai.






Main- nahi baat teri sahi hai. Lekin.





Rishi- achhe se soch le or plans bana le. Or sab sahi lage to yaha aaja





Main- theek hai me thodi der se call karta hu.




Ye kehke maine call cut kiya to bhai ne mujhse puchha ki kya hua.




To maine unhe abhi ki saari baate bata di. Jise sunke unhe bhi doubt ho gya.


Khair maine apna dimaag chalaya or sochne laga ki akhir kya ho sakta hai us jagah per.





Bhai- baise chance le lena chahiye. Kya bolta hai.





Main- me bahi soch raha hu ki kya or kaise karna hai. Theek hai me baha jata hu. Aap ghar per hi rahe. Chahe kuch bhi ho jaye ghar ko mat chhodna.






Bhai- theek hai me kahi nahi jaane wala yaha se. Fir chahe mujhe tere kidnape hone ki news hi kyu na mile.




Or is baat per vo has pade.




Main- ha yahi karna hai aapko. Me jaata hu baha per.




Ye kehke me baha se bahar nikla or radha ke pass gya. Use mere jaane ke baare me bataya. Jise sunke usne muskura kar mera hosla badaya. Maine use ek kiss kiya or dad ke pass gya unhe saari jaankari di or baha se seedha apne jet se nikal gya Itly.





Bahi rony bhai apni car se mumbai ke liye pehle hi nikal chuke the. Ghar per bhai hi baaki the or aadil or Aarav jo apne kaamo me lage hue the.
Ghar me mom bua fufa dad uske baad 4 Bhabiya or ek meri radha thi. Baaki Aarav or aadil ke bache. Jo ghar me yaha baha ghum kar udham macha rahe the.






Ab dekhna ye tha ki italy me akhir hota kya hai or kya vakai ye koi jaal hai ya kuch or. Janne ke liye sath bane rahe.







To be continue………………….
Bahad khubsurat update mitr
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,638
174
Bhaiya ji dekho apke pichhe pichhe mai bhi aagya tino story ko aapne kya super end kiya tha aapne padne me maza aayega
Apki story ka plot kafi Accha hai or Vaise bhi India me Iron Man ke Bahut fan hai usi se inspired lagti hai apki story
Aage dekhte hai kya hota hai abhi to suruvat hai
Superb update with awesome writing skills
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
UPDATE -3















Khair rony mumbai pahuch chuka tha. Baha vo sabse pehle bacho se milne ke liye gya jaha sabhi use dekh kar ek dum kush ho gye.





Ashk- hii kaku kaise ho aap.




Rony- beta mujhe kya hoga. Ek dum fit n fine hu. Tum log batao padai kaisi chal rahi hai. Or koi tension to nahi hai na. Agar hai to batao abhi use theek kar deta hu.





Avi- kya kaku aap bhi. Hame bhala kya problem hogi vo bhi aapke hote hue. Baise kuch pata chala kya kisne ye kand kiya hai.






Rony- filhaal nahi beta. Bas bahi pata lagane aaya hu main.





Samar- dad baise ham bhi aapki madad karna chahte hai. Harry hamara bhi khaas dost hai. Or uske sath bura karne wale ko sabak sikhane ka hame bhi pura mouka milna chahiye.






Rony- bilkul milega beta jab jarurat padegi me khud kahunga tum sabhi ko. Lekin filhaal ghar per hi raho or dhayn rakho sabhi ka.





Amar- don't worry kaku mere hote is ghar ke andar koi ghus jaye to lanat hai mujhper.




Rony- yeeeey shabbaas. Achha ab me chalta hu. Kuch jarurat ho to phone kar dena mujhe.




Ashk- baise dad kaha per hai. Or unka kya reaction tha. Kahi out of control to nahi ho gye vo.






Rony- beta suri ham sabhi me sabse jyada samajhdaar hai. Or aisi situation ko kaise handle karna hai ye usse behtar koi nahi jaanta hai ham bhi nahi. Isliye uski fikr nahi karo tum sabhi. Dekhna bahut jald vo use dhund lega jisne ye sab kiya hai.




Tabhi avi ke dimaag me ek baat aai.




Avi- kaku baise ham use aasani se dhund sakte hai. Agar jaisa me soch raha hu vo sahi hai to.




Ye sunte rony ne tedi najar se avi ko dekha.




Rony- kaise.




Avi- kaku kya vo mere projects apne sath le gya hai ya vo usi aag me jal gye hai. Iski khabar hai aapke pass.





Rony- jaha tak mujhe pata hai vo pure base ko khaali kar gya hai.





Avi- great. Fir samjho uska pata lag gya.





Rony- kahi un sabhi me tracker bagera to fit nahi kiye the tumne.





Avi- ha. Maine unme ek dum latest tracker set kiye the. Or is tarah ki unhe na to koi locate kar sakta hai or na hi defuse.




Ye sunte hi rony ne avi ko godi me utha liya or use do chakkar lagwa diye.





Rony- beta tujhe pata nahi tune kitna bada kaam aasaan kar diya. Chal jaldi se pata kar kaha hai vo tracker.





Avi- abhi karta hu.



Ye kehke avi ne apna laptop open kiya or usme tracker ki location janne ki kosis ki. Or thodi hi der me use signal milne lage.





Avi- mil gya ye dekhiye. Ek min. Ye to travel kar rahe hai.


Avi ne map ko 3D me kiya jisse use pata chala ki ye to is waqt kisi plane me hai. Or Egypt ki taraf ja rahe hai.





Rony- ye Egypt kyu jayenge.




Rony ne map ko or achhe se dekha to use samajh me aaya ki ye akhir ja kaha rahe hai.





Rony- beta ye Italy ja rahe hai 100% kyuki surya bhi bahi gya hai. Use kuch khabar mili thi iske liye.
Or Italy ka route Egypt se hokar hi jata hai. Khaas kar radaar per dikhe bina jana hoto.






Samar- matlab ltaly me bawaal hone wala hai.




Rony- vo to hoga hi. Baise avi tum ye pata kar sakte ho ki ye plane kis jagah se takeoff hua tha.kyuki hame usi jagah ka pata lagana hai.






Avi- baise agar andaja lagaya jaye to Asia se hi usne udaan bhari hai kyuki plane ki direction bahi hai. Lekin exact location pata laga pana thoda muskil hai. Fir bhi me kosis karta hu. Sayad pata chal jaye.





Rony- badiya pata lagao tab tak me suri ko khabar kar deta hu.




Ye kehkar rony ne mujhe call kiya.




Main- ha bhai kuch pata chala.





Rony- bahut kuch pata chal gya hai vo bhi ghar per baithe baithe.





Main- I knew it. Avi ne jarur tracker lagaya hoga sabhi gadgets me.






Rony- ek dum sahi guess kiya. Baise tumhe jaankar jyada hairani nahi hogi lekin avi ka samaan Italy hi aaraha hai ek plane me.sayad kuch hi ghanto me pahuch jayega.




Main- badiya aane do.lekin inke base ki koi khabar mili ya nahi. Kyuki bahi jyada imp hai.






Rony- nahi abhi nahi mili. Lekin avi laga hua hai. Sayad jald hi mil jayegi.





Main- theek hai jaise hi pata chale mujhe bata dena. Aap filhaal bahi rho.





Rony- ha me yahi hu. Baise tum kaha pahuche.





Main- abhi vanice me land hua hu. Yahi inki meeting hone wali hai.





Rony- fir to vo plane bahi aayega. Baaki me najar banaye rakhunga agar vo kahi or jata hai to me khabar kar dunga.





Main- theek hai. Ab rakhta hu.




Ye kehke maine call cut kiya or airport se bahar nikal aaya. Jaha rishi ek car me mera wait kar raha tha. Me jaake usme baitha or usne car ko aage bada diya.





Main- to kaisa hai yaha ka mousam.





Rishi- badiya hai apne control me hai.




Main- jagah ki khabar.





Rishi- ha mil gyi hai.





Main- sunny



Rishi- aagya hai. Or family ko safe karke aaya hai. Isliye don't worry.





Inhi baato me ham rishi ke ghar pahuch gye. Jo usne haal hi me kharida tha. Kyuki rishi yahi Italy me hi rehta hai bus city alag hai.

Bahi hame sunny mila jo ek dum ready tha mission ke liye.





Main- tum log to buddhe lagne lage ho. Ye kya haal bana rakha hai.




Sunny- vo kya hai hamare andar koi formula nahi hai isliye. Baaki tu to abhi bhi avi ka bhai ki lag raha hai.





Main- bas kya. Baise training bhul to nahi gye na.






Rishi- abhi tak yaad hai. Baaki tum tension na lo. Sambhal lenge ham.




Main- badiya hai. Baise andar koi nahi jayega mere aalawa. Tum dono ko bahar hi rehna hai isliye mujhe jyada tension nahi hai.



Sunny- matlab.




Uske baad maine dono ko pura plan detail me samjhaya. Jise sunke dono hi exite ho gye.




Main- sambhal kar jyada exite mat hona Verna kahi heart attack na aajaye. Buddho.





Rishi- pitega ab agar buddha kaha to buddha hoga tu. Baise ghar per sab kaise hai.





Main- sab badiya hai. Tum sabhi ko yaad karte hai. Kabhi aa bhi jaya karo ghar per.




Sunny- tune kaam hi itna de rakha hai ki usse hi free na hote ham. Baaki chouhan saab ki koi khabar.





Main- retire life gujaar rahe hai. Pata nahi kaha per.out of country hai





Sunny- ab naya chief kon hai





Main- ek Roy naam ka banda hai. Maine or chouhan ne usko har tarah se parkha tha tabhi use ye post di gyi thi.




Sunny- badiya hai.




Main- mujhe ye batao ki is meeting ki jaankari tumhe kaise mili.





Rishi- mere kuch khaas log hai secrate service me. Maine unhe kaam per laga rakha tha. Unhone ne hi mujhe iski khabar di thi. Or ye sunkar me bhi hairan tha ki Italy me hi ho rahi hai.






Main- matlab jo me soch raha tha vo ek dum sahi hi tha. Ye meeting hame baha bulane ke liye hi ho rahi hai. Sayad isliye taaki hamara aamne saamne contact ho jaye. Ya fir or koi khichdi pak rahi hogi hamare swagat ke liye.






Sunny- to ab kya karne ka plane hai.






Main- plan bahi rahega. Baaki agar kuch gadbad hogi to usi time nipat lenge usse bhi.





Rishi- theek hai. Baaki us jagah ka blue print 3D model or hathiyaar sab kuch ka intjaam maine kar rakha hai. Aao tum bhi dekh lo.



.uske baad rishi ne mujhe us jagah ka model dikhaya jise maine achhe se study kiya saare entry exit per najar gadai. Sab theek hi lag raha tha. Baaki us auditorium me kuch khufiya raste bhi the. Or unka exit bhi aisi jagah tha jaha per kisi ki najar jaye hi nahi. Isliye un jagahon ki jimmedari maine sunny ko di. Keval dekhne ki or unka peechha karne ki. Baaki to sab set hi tha.



Ab bas kal ka intjaar tha. Dekhna tha ki sab sahi rehta hai ya yaha per bhayankar bawaal hota hai.









To be continued………………..
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Parsanshniye mitr
Gajab ki shuruwaat ke sath
Ek dhamakedaar update mitr
Bahad khubsurat update mitr
Bhaiya ji dekho apke pichhe pichhe mai bhi aagya tino story ko aapne kya super end kiya tha aapne padne me maza aayega
Apki story ka plot kafi Accha hai or Vaise bhi India me Iron Man ke Bahut fan hai usi se inspired lagti hai apki story
Aage dekhte hai kya hota hai abhi to suruvat hai
Superb update with awesome writing skills
Awesome update brother
Waiting for next

THanks bhai log. Apna sath banaye rakhe or apne keemti sujhav dete rahe. Story ki abhi bas shuruwat hi hai. Aage dekhiye kya kya bawal hota hai.




keep supporting........
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Nice mind blowing
Welcome back bhai
Nayi kahani ki bahut bahut shubhkaamnaye bhai hridey se
Bahut der kar di aane me mitr
Shukr hai phir bhi aaye toh
Mitr yeh kahani bhi aapki anye kahaniyo se jayada uchch koti ki hogi
awesome update bro
Nice update bro
Superb Update

thanks bhai log aaj ka update post kar diya hai. Ummid hai pasand aayega sabhi ko. Apne keemti sujha. Post karte rahe.




keep supporting..........
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Bahut hi begtrin updates beo
Awesome update bro
Mast update ab itly me surya ko kya jaankaari millti hai vo dekhna hoga
Fabulous update

Bhai log aaj ka update post kar diya hai ummid hai pasand aayega sabhi ko. Ab dekhiye ki italy me surya kya karta. Or apne sujhav post karte rahe. Thanks




Keep supporting.......
 

Rahul0087@

Well-Known Member
2,860
13,718
159
Pichhli story ki shuru'aat padhkar kar aur is shuru'aat se toh yahi matlab nikalta hai ki yeh UV jo bhi hai woh Surya ko bahut achchhe se jaanta hai aur Vigyaan ka bahut bada vidwaan bhi hai....

Ha bhai. Aapka andaja sahi hai. Ye surya ko achhe se jaanta hai. Or kahi na kahi surya bhi ise achhe se jaanta hai. Bas pehchanne ki der hai i m sure sabhi shock ho jayenge. Baaki guess kariye kon ho sakta hai. Hai koi purana papi. Jald hi khulasa hoga.




Keep supporting........
 
Top