• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy System - Era of Bloodline

Yamraaj

Put your Attitude on my Dick......
2,200
6,951
159
P
Update - 14
"Aah, Mis shrishti Mujhe Maar Dalegi Agar Main Aaj lower realm Ka mixed blood nhi hua toh!" Ye Yaad Aate hi sam Chilane hi wala tha lekin wo chup chaap baith.


Sam ne Kahaa, "Mujhe Aaj Apnii pahli bloodline Ko 4th point Tak Le Jaanaa Hai, tabhi main usse ladai jeet sakta hun verna miss Shrishti mujha zinda kha jayngi." ..



Ab Aage ---



Pichale Do Mahino Main Sam Ne Bloodline Channeling Ke Baare Mai Bahut Kuch Sikha Tha. Bloodline growth Hoti Rahe Iske Liye Dhyaan dena jaruri Hai. Dhyaan jismain Apko Apni bloodline ko ghanto Tak Baar-Baar body ke har nasho main blood ke sath ability ko failana hoga.

Training Bhi jaruri hai aur Apni bloodline ability Ka Baar-Baar use Karna Bhii jaruri hai.

Sam Ne Dhyaan deta hua Apne Dimaag Ko Apne Sharir Ke Sabse Gahare point Tak Pahunchane Diya.

Sam Ye Samaj gya tha Ki uska Sharir Mein 3 bloodline Kahaan Hain, Lekin wo Aaj Apni Main bloodline Ko fourth stage par laane Ke Baad Hi ye Samajh Paayaa.

Kuch mint Baad, chote se room ke Andar Paani Ke ubalane jaisi Aawaaz Sunai di.

Puru! Puru! Puru! Puru!

Agar koi normal person Yahaan se gujare to unhe lagega ki koi insan pani ubaal Raha hai. Kewal ek mixed blood hi samjh sakata hai ki us awaaz ka kyaa matlab hai. Awaz sam ke
sharir se aa rahi thi.

Kuch time baad
awaaj band ho gai aur sam ne apni aankhein kholi.

"Ye utna hard ni tha ," sam ne zor se bolte hue diwal par tek lga liya.

Usne apni Bloodline ko 4 th stage tak pahucha diya tha. Usne socha ki ismain kam se kam kuch
ghanta lagenge lekin usse hairaani hui, ismain usse keval 10 minat lage.

Sam ne khade hote hue kaha, "shaayad aisa isliye hai kyunki ye system hai lekin main is par dhyaan nahi de raha hun."

Abhi Sam ko Apne
sharir ke andar abilty main growth ka pta chal rha tha.

Fourth point se blood pass karne ke baad usne dekha ki uske sharir ke ander ek ajeeb cheez ho rahi hai. chaar channel points ek saath jude hua hain, jisse ek chota sa circle bana hua hai. Sam ne jo suna tha uske hisab se, agali Realm ko paar karne ka matlab circle se tha.

"vaise bhi, ab main lower realm ka mixed blood hun... jisaka matlab hai ki maina mbo entrance exam main bhaag lene ki Requirements purii kar lii hai," is point par sochte hua sam ke ander khusi ki lahar dowd gai.

Sam khus ho kar chillaya, "mujhe abhi shaant rahna hai, lekin ek baar entrance exam shuru ho jaaye... to main sab ko sabit karunga ."


"mujhe apni new power ka check karne do," Sam ne muskurata hua hawa main latake hua ek board ka saamna karne laga.

Sam ne vahi pose apnaaya jo usne pahle istemaal kiya tha.

apne hath
ko picha kiya or jhuka, apni taakat ko apne hath main laaya, specially apni mutthi mein, or use Puri takat se bahar mara.

Pow!!

Takkar ki aawaaz phir se sunai di, is baar jaise hi sam ki muthi board se takrai, ek knockout ki tarah awaz aayi.

Tring! Tring! Tring! Tring!

Thik pahla ki Tarah board par number dikai padne lage.

1000!

3000!

6000!

9000!

12000!

Jab sam ne hairani se un numbers ko dekha toh uski aankhein chaudi ho gai.

"Oh teri ye meri strength 100% ki growth hai," sam ne hairani se socha.

Sam ko umid nhi thi ki lower realm main break through ke baad uski power is kadar badh jaygi. Pahle uska punch 6000 pound tha lekin ab 12000 pound ho gya hai. Sam agar ab paul se ladai karna jata toh uski current strength ke hisab se ye match ka alag hi level hota ab sam samaj gya ki paul aur uske dosto ko ladne ke liya himmat kaha se aa rhi thi.

Sam soch hi rha tha ki uske saamne ek notice khul gai.

[Host has completed the goal: Reach lower Realm Rank]

"Ohh, mujhe lag rha tha ki kuch aisa hona waala hai," Sam ne smile karta hua notice ko dekha.

[Goal reward: Host, Genetic Transformation Bloodline, has been upgraded]

"Hmm? Ek aur upgrade, ise ab 'D' par hona chahiye," Sam ne analysis karne ke baad system interface ko open kiya.

-----------------------

[Host Attributes] [Skills and Abilities] [Bloodlines] [Quests] [Shop]

-----------------------

Itna saare options dekna ke baad sam ne bina time waste kiya turant chillaya,"bloodlines,"

jiske baaad sam ke saamne ek scene khul gai.


Brown-Vintage-Aesthetic-Scrapbook-Background-Instagram-Story-20240413-160949-0000

Beast transformation bloodline paul ki thi jabki Atomic manipulation bloodline ben ki thi.

Unhe successfully steal karna ke baad unhe, grade E main category main daal diya gya. Sabse pahla, sam ko thoda pareshani hui lekin fir usko yaad aaya ki system ke under bloodlines ko upgrade kar skta hai, isliya sam ko pta tha ki time ke sath uski atomic bloodline pahla jaisa category par aa jayegi.

Sam ne presaan ho kar penel par nazer daali.

"Ye saala grade E+ par aa gya"

Sam ko umid ni thi ki uski bloodline grade D tak aane se pahla E+ grade aayga.

"Hmm, Aisa lagta hai ki meri bloodline ko new ability mil gai hai,"

Sam ki nazer size manipulation par padi jo pahla uski bloodline main add nhi tha.

Pichle mahina paul aur ben ki bloodline steal karna ke baad, sam ki ek hidden quest pura hone ki notification mili.

------

[Host has completed hidden quest]

[Hidden Quest details: Acquire a bloodline within the frame of two months after receiving this power.

[Quest Rewards]
<New skill unlocked: Sprint>
<10,000 exp>
<+2 attributes points added to all stats>
<Skills and abilities level up>
[Punishment for failure]
<Death>


------

Sabse pahla jab, sam ne socha ki usne paul ke challange se related ek quest pura kar liya hai, lekin jab usne ye dekha toh wo samaj hi nhi paaya ki hase yaa roye.

Jab usne prize dekha toh wo hairan hua, lekin jab usne quest failed hone par punishment dekhi toh uske sharir main ek ajeeb se feeling faail gai. Yadi ye system ki strength dekna se pahla hota, toh sam isko majak samaj kar ignore kar deta , lekin ab wo janta tha ki system se related koi bhi cheez jhut ni thi.

'Agar mujhe bloodline steal karna main thodi bhi der hoti, toh main abhi Tak Zinda nhi hota,' sam ko system mila 2 month ho chuka tha. Yadi sam ne kamjor insaan banane aur jawabi ladai na ladne ka faisla Kiya hota, toh isse un bloodline ki milne ke chance 1% bhi ni hota ,aur ab tak sam mar chuka hota.

'Aisa lagta hai ki ye system kamjor host ni chahti,' sam ne socha , 'Agar aisa hai toh... main itna powerfull ban jaunga aur ise banaye rakhna aur system ko ye dikha saku ki main sach main iska haqdaar hun,' sam ne apne purane nature ko ek taraf kar diya tha aur wo purana sam kho chuka tha. Ab wo aisa kuch nhi krga aur koi usse ladna chahega toh sam picha nhi hatega.

Sam ki bloodline is time E+ par thi lekin sam khus tha ki kam se kam usko ek new ability mili.

"Hmm, size manipulation," room ke beech main khada ho kar sam ne apni ability ke baare main socha.

Sam me hairan ho kar isko ajmaane ka decision liya," naam hi sab kuch bta rha hai, lekin iska use kar ke main dekhna chahta hun."

Usne apne hath ko ghur kar ke dekha aur uske bade hone ke baare main socha.
"Hmm,"


Kuch second wait karna ke baad bhi kuch nhi hua.

"Ye is tarah kaam ni karta?" Sam ab puri tarah se irritate ho chuka tha.

Check karna ke liya, sam ne socha ki uska pair bda ho jaye aur pair sam ke bade ho gya.

"Aisa lagta hai ki ye sharir ke har part par kaam ni karta aisa karta hun ek baar ye try karta hun....." sam ne apni aankhein band kar ke apna pura sharir ko mahasus kiya.

'increase,' sam ne apna man main jaisa ye word bola, uska sharir suddenly fulna laga.

Krachym! Krachum!

Jaisa hi sam ka sharir 3 miter se upar ho gya pura room main haddiyon ke tutne ki aawaz failna lagi...

Bulge! Bulge! Bulge!

Jaisa jaisa uska size badta gya, uski sharir failta gya jisse sam 30 saal ka aadmi lagna laga.

Sam ye dek sakta tha ki nicha ki jameen sam se dur hoti ja rhi hai.

Bam!

Sam ka sir chhat par se takra gya.

"Ouch," Sam ne turant hi sharir aur badhne se roka aur size pahla jaisa chota kiya.

Kuch hi second main sam apna main size main waapis aa gya.

"Ye sach main shi hai... agar maina khud ko nhi roka hota toh maina shayad mera size badta hi jata...." Sam bolta time thoda ladkhadate hua aage badha.

"Kya galat hai," usne apna hath uthaya aur dekha ki uski nazer main kuch dhudla dhudla notification aayi.

[Warning!!! Low Energy!!!]

[Warning!!! Low Energy!!!]

[Warning!!! Low Energy!!!]

Sam ne apne sir main ganti bajne ki aawaz sunai padi aur dhudli notification dekhi.

Halaki ye dhudli notification thi, fir bhi sam ye samaj gya ki ye notification kya kahna chah rhi hai.

'maina us change ke liye apni saari energy khatam kar kr di?' Analysis karta time sam muskil se hi khada ho paa rha tha.

[Host will go into sleep mode if energy isn’t consumed!!!]

[Host will go into sleep mode if energy isn’t consumed!!!]

Sam ki aankhein laal hoti jaa rhi thi kyuki uske sir main warning ki ghanti barabar baj rhi thi.

'Meri energy ke liya mujhe,' sam ne dheere dheere bolte hua aage gya.

'Storage ring,' sam ko ahsaas hua aur wo apni ring main jaakna shuru kiya jitna jaldi hi sake utna jaldi...

Sam ke ring ke ander hi paul aur sabhi ki storage ring ka items tha.

jaisa hi sam ne storage ring dekha toh under 4 type ke saman tha ek Taraf paisa toh dusri taraf kapda aur ek briefcase 💼 aur owen jaisa machine jiske ander maash marchili aur bahut si khaane ki Cheez thi.

sam ne jaldi se machli ka ek tukda uthaya aur apne muh main daal liya jisse sam ko ek notification sunai padi.

[+1 energy point has been recovered]

sam ne jaldi hi pura owen kha kar khatam kar diya aur apni energy waapis paa li.

Srroovvv!

picha se darwaza khulna ki aawaz aayi aur lambe brown baalon waali ek ladki ander aati hai.

Usne ek long coat , blue top aur mini skirt pahan rakhi thi.
Wo bahut pyare andaaz se ander aa rhi thi aur uske face par koi bhi expression nhi tha.


Sam usko dekh kar jameen se uth gya, "Miss wifu? i i i mean shrishtii" uske muh main khana atak gya.

"Arre, hm jaa rha hai...." shrishti aage bolne waali thi lekin tabhi usne sam ko ghur kar dekha.

"Tum ekdm naghe kyun ho?" Usne sam ko ghurta hua sawal Kiya.

Sam miss shrishtii ko dekna main itna kho gya tha ki usne dhyaan hi nhi diya.

"Huh? Nagha?" Sam ne nicha dekna ke liya apna sir nicha kiya.

"Umm?" Sam ki aankhein hairani se chuadi ho gai aur usne turant apne private part ko dhak liya jo miss shrishtii ko dek kar hi ubhaar aa gya tha.

Jab sam ne size manupulation kiya toh uski dress fat gai thi jis par sam ne dhyaan ni diya tha.

"Shrishti, apne knock kyun nhi kiya?"

Room ke beech main rakha owen ke picha sam ka chahra pura laal ho gya tha.

Miss shrishti ne kaha, "main aisa kyun krungi? Maina is room ka rent diya hai."

Sam; "..."

"Ye jagah aisi kyun hai jaise is jagah par koi nok jhok hui ho?" Miss shirshti ne aage chalte hua sawal kiya.

Usne kamre main bade owen jaise machine aur thodi tuti hui chhat dekhi.

"Miss shrishtii, erm, kya aap chali jayngi taaki main thoda .... kuch kapde pahan lun ... please?" Sam ne sarmate hua nazer se pucha.

"kyun? Bas aage badho aur tum jo chaho wo pahen lo, main tumhe nhi rok rhu hun?," miss shrishti ne bolte hua diwal ke paas rakhi hui bench par baith gai.

Sam; "..."

Shrishti n kaha, "aap itni jaldi bhul gya ki aap mera office main kab ghusa tha... kya aapne mujhe aisa nhi dekha tha..."

"Haa toh uske baad maina aapse shaadi bhi toh ki, wo bhi blood ritual se taaki ek ki life dusre se connected rhe," Sam ne bolta hua khud ki taraf ishara kiya. Aur 'Aur maina sab kuch nhi dekha tha'

"Hmm, shi kaha... Agar tummain himmat hai toh tum bhi aisa aa kar jaak sakta ho kosis krna chahoge," Shrishti ne bolta time sam ko ghurta hua apni baahon ko mod liya.

Sam ke muh se lagbhag khoon hi aa gya.

Miss shirshti ke chehre par Sidhi nazer thi , wo zara bhi presan ni lag rhi thi.

"Thik hai... main bas kuch second ke liya apni aankhein band krungii, us time ka use kaisa karna hai ye aapke upar hai itni help kar deti hun," miss shrishti ne kaha aur apni aankhein band kar li.

jaise hi Shrishti ne apni aankhein band ki sam dhere se kaha ,"humhh badi aayi , tum best ho shrishtuu".

Palak jhapkate hi sam Kapde pahan chuka tha.

Sam ne ek blue jeens aur red hoodie pahni thi aur system ki wajah se uska charm bahut bad gya tha jisse uska look bahut sunder lag rha tha.

"Ufff," usne khud ko dhakne ke baad rahat ki saas li aur miss shirshti ki taraf dekna ke liya apna sir uthaya.

Miss shirshti ki aankhein khuli rah gai.


"Ekk, miss shirshti, ye aankhein kab se kholi hai apne?" Sam ne sadme se picha hatate hua kaha aur uska chahra fir se laal ho gya.

"Kaun janta hai? Maina apka wo chota sam pahla hi dek liya hai, isliya isse koi farak ni padta, aur aaj kal main dek rhi hun aap kuch jyada hi mera se open ni ho rha," miss shirshti ne sam ki taraf badte hua jawab diya...

jis tarah miss shrishtii ne ye kaha shrishti ka aura aas paas failna lga aur usne dheere dheere sam ki taraf chalta hua aa rhi thi.

aur uske paas aane par sam ne apni aankhein band kar li aur darta hua diwal par sat gya..

miss shrishti ne sam ke paas aa kar apne nakhun sam ke baalon par ghumaye aur dheere se kaha main tumhare sath jo bhi karu mujhe farak nhi padta lekin kisi aur ko tumhare sath bhi dekha toh tumhari jaan khud le lungi fir tumne jitna bhi raaj chupaye ho mujhe farak nhi padta..

fir usne dhere se sam ki hoodie pahna di..

aur usko dur jata dek sam dhere se bola ," main kisi ke sath ni rahta bas mujhe powerfull banna hai".

[tharki tumhe shaadi karne ko yhi mili thi]

"chup rho"

[Her presence is like demon]
[You tharki - fufu]


"main tharki nhi hun , mera aim hai powerfull banna aur sabko sabit karna".

[acha toh tumhare gaal kyu laal hai]

"Tum aise time par bahut bolti hun, aur jab mujhe jarurat hoti hai tab chup rhti h".


"Agar khud se baat ho gai toh chale!" Shrishti ne gate ke paas rukte hua kaha.

"Hmm? Kaha?" Sam ne hairan nazro se dekte hua question pucha.

"The Dojo," miss shrishtii ne bina palte jawab diya.

Sam ne jawab Diya, "Lekin school toh abhi ni chor sakta naah."

"Kya tum aaj bhul gya ho kya hai?" Shrishti ne jawab diya.

"Ohh, aaj half day hai P.T.M.," sam ne hadbate hua bhagte hua kaha.

ye kahte hua sam ke pair ek jagah jam gya, aur uske man main wo purani yaad fir se aa gai jisse wo dur jaana chahta hai.

sam ko aisa rukte dek shrishti ek pal ko ruki fir sam dhere se aage aa gya.

'Hmm, Wo pahle ki tarah ab bhi hai lekin bs presaan nhi hota, yaa wo isse chup rha hai?' Miss shirshti ne sam ko uski taraf aate dek bola.

Sam ko bilkul bhi tension ni thi ki uske mom dad uska baare main janana ke liya teacher se baat krnga yaa nhi, kyuki sam janta hai wo ek anath hai... whi miss shirshti hmsa sam ki aisa response se samaj ni paati thi, Aksar sam ka behaviour aisa rhta tha wo har kisi se dur rhta tha.

Wo apne training room se nikal jane ke baad hall ki taraf jaane waala galiyare main pahucha.

Students ko bahar ghumte hua dekha jaa sakta tha.

Unhone miss shirshti aur sam ko chalte hua dekha aur hairani se dekhte rhte.

Unmain se kuch ke face par abhi bhi hairani ke bhaav tha, aisa ek month se ho rha tha.

Kisi ne bhi ek bhi word ni kaha kyuki miss shrishtii waha par thi aur miss shrishti ki life main sam wo pahla insaan tha jo unke sath itna open hua tha.

Sam aur shirshti hall ke bahar aaya aur Shrishti ne apni bike par baith kar sam ko baithna ke liya bola.

Jaisa hi miss shrishtii bike chalu ki sam ne uski kamar pakad li aur uski pith par sir rakh kar aankhein band kr li.

Swweeii! Sweeii! Swweeii!

Wo teji se sadak par chale jaa rha tha.

Sam ko helmet pahnana pasand tha but shrishtii ko ye nhi pasand uske hisab se isse romanch khatm ho jata hai.

Jaise jaise sam ko shrishtii ke baare main pta chalta gya, use ahsaas hota gya ki shirshti ek ajeeb ladki hai wo do chahre hai uske paas ek jo duniya ke saamne hai aur ek jo dil se wo chahati hai halaki sam ko shrishtii ki kamar bahut pasand thi wo bahut darte hua uski kamar pakad hua tha.

-

Kuch hi der main wo dono ek bahut building ke bahar aa gya jiske bahar ek bda sa board lga tha "the Dojo".

Entrance gate par chaar bade bade aadmi khada tha.

Miss shrishtii ne bike side main ki aur boli,"sam jaldi utaro, tumhe mera upar hi sona hota hai wo bhi bike main."

Fir sam aur wo gate ki taraf chala gya.

Jab logo ne miss shrishtii aur sam ko sidhi ki taraf jate dekha toh wo jhuk gya.

Sam is mohal se parichit tha kyuki wo pichhle ek ek month se miss shirshti ke sath yha aa rha tha.

Dojo ne is building ke 3 hisso ko kharid liya hai aur wha par training provide karna ke liya room alloted karte hai... yaha is pura saher ki sabse best traning capacity hoti hai kyuki ye galaxy se inspire hai.

"Apka swagat hai young miss," sare bodyguard ne ek time par bola.

Miss shirshti ne sir hilaya aur ek aadmi ki taraf apna dojo card fek diya.

Us Aadmi ne ye Card liya aur miss shrishtii ki bike ki taraf chala gya jabki shrishtii aur sam ander chala gya..

Miss shirshti aur sam pahla floor ke kone par lift ki taraf chala aur galiyaare ki taraf bade.


Lift ka gate khula aur sam aur shrishti ke sath 3 aur log lift main enter hua.

Jaisa hi gate band hona tha, red aur black jacket pahne ek aadmi ne apne hath se darwaza band hone se rok Diya.

Lift main enter karte hua wo aadmi miss shirshti ko dek kar smile kar ke ghurta rha.

Uski sakal thodi darwani hai.

"Ha, shrishtii, ye dekkar kitni khusi hui ki aap challenge se picha nhi hate," uske face par ek kutto jaise muskan thi aur usne apne sharir ko ek taraf dhakel liya.

Wo sab uski taraf ghur kar dek rha tha lekin unmain kuch kahne ki himmat ni thi.

Wo miss shrishtii ki taraf chala, jisne ye dekna ke baad wo kaun usne usko ignore kr diya.

fir us sakas ne sam ko dekha.

"Bacha , aaj haarne ke liya taiyaar ho jao!" Baai or miss shrishtii ko dekha aur hasa.

"Agar wo haar jata hai toh hamari challenge ko yaad rakna," wo hasa aur dhere se bola.

Miss shrishtii ne uski taraf dekha bina dhere se bubudai.

"Tatti jaisi sakal"

Ye sun kar wo admi apna chahra ghuma liya, isse pahla wo aur kuch kah pata shrishtii nikal chuki thi.

"Chalo sam , hm dusre lift ka use krnga," usne ek aur lift use ki aur ander chala gya.

Sam ne sir hilaya aur seesa ke gate saamne chala gya.


"Wo jeet ni sakta!" Jab wo lift se bahar nikla toh wo aadmi chilaya.

"Ye gandhi badbu waala insaan jaldi hi aapke hoth ko chumega"

isse pahla ki shrishtii kuch kah paati sam ke hath uske kamar ko jakad liya aur usko goad main utha liya aur lift ke ander le kar chala gya.

[ye marga~ tharki].

___

tabhi ek white roshni main wo sabhi gayab ho gya.

idhar sam ke aas paas pura red red fog hua tha, jo shrishtii ke gussa hona ka sabut tha.

"Main dek rhi hun tumhari himmat badti jaa rhi hai"
isse pahle ki shrishtii kuch aur bolti unka room ke saamne lift open hoti hai.


sam ke dar ki wajah se uski heartbeat saaf saaf suni jaa sakti thi.

to be continued

well well well ek long update jaisa maina kaha tha......... shrishti aur sam ke beech bonding thodi achi hoti jaa rhi hai...... upcoming updates main aur clear hota jayga sab...... like Target - bhai ho yar kar dena Target kya dena..... fir milte hai next update main ye padho mja karo ..... aane waala time main sam bahut powerful hoga... take a chill :ciao: tab tak revos dena ka
Pronounciation mistake bahut hota h yaar kabhi kabhi koi line samajh hi nahi aati..... Aisa lagta h jaise translate karke likhte ho kya Bhai....
 

Ghost Rider ❣️

..BeLiEvE iN YoUrSeLf..
Banned
3,835
15,379
144
P
Pronounciation mistake bahut hota h yaar kabhi kabhi koi line samajh hi nahi aati..... Aisa lagta h jaise translate karke likhte ho kya Bhai....
Haa maina notice kiya ye problem bt paper ki wajah se thoda shi ni kar paya next update se dhyaan rhega pura.... shuru main problem hai but shuru ke kuch part main dikkat hai baaki maina shi kr diya tha
 
Last edited:

Vickey.a

Active Member
620
1,925
139
Fst of all thxs bhai story continues krne k liye mujje bura laga tha jb koi dusra ye story chala raha tha uske post me coment kiya tha fir 1ya 2 update k baad pta chala tha ye puri nhi kr sakta kyuki uske dimaag me to copy ma shok tha
Aap kr likne ka intazaar krraha tha mai.....
 
Top