ajay... bahut pyari aawaz hai tumhari aashna dil karta hai bas tumko sunta rahu..
Aashna... Thanks..
Ab aage.....
update... 11..
Aashna or ajay ek dusre se halki fulki baate karne lagte hai..or baate karte hue kab safar khatam ho jata hai..pata hi nahi chalta....
raat ke kareeb 8 baje dono airport pahunchte hai or phir Ajay aashna ko shidha hotal le jata hai...
sanjay kapoor ne pehle se hi apne bete ke name par hotal mei room book karwa diya tha...
Ajay apne dono hatho mei bag pakde aashna ke sath room mei pahuchta hai..
Aashna darwaje par khadi khadi room ko dekhkne lagti hai..room mei sirf ek dabal bad tha jise dekhkar aashna ke man mei ghabrahat hone lagti hai..
ohhhh myyy good ye to meine socha bhi nahi tha kya mujhe ajay ke sath hi sona padega...
Aashna darwaje par khadi ye soch rahi thi or ajay andar pahuchkar bag ek taraf rakhta hai or aashna se bolta hai..
ajay... Aashna tum thoda aaram kar lo mei kuch khane peene ke liye lekar aata hu...
aashna apni gardan hila kar jawab deti hai..
Aashna... thik hai ..
Or Ajay muskurata hua room se bahar chala jata hai...
aashna pata nahi kese Ajay ke sath itni door khichi chali aai thi magar ab aashna ye soch kar ghabrane lagti hai ki kahi ajay uske sath kuch ulta shidha na kar bethe...
Aashna abhi ye sab soch hi rahi thi ki ajay phir se kamre mei aa jata hai...
Ajay... Aree ashna mei to tumse puchna hi bhool gaya tum Veg khana logi ya nonveg
aashna... i am only vegetarian..
Ajay... Ohhh achcha thik hai mei hum dono ke liye Vegetarian hi lata hu....
______________
kuch der bad ajay Or aashna sath milkar khana khate hai...
khana khane ke bad Ajay aashna se puchta hai..
Ajay.. aashna tumne apne ghar phone kiya ki nahi..
aashna.. Abhi to nahi kiya
Ajay..kar deti kya pata tumhare mammi papa ko fikar ho rahi ho..
aashna.. Ha shayad abhi karti hu..
Or aashna apna mobile nikalhar papa ko phone milati hai...
Aashna.. Hello papa
vijay malhotra... hello beta thik thak pahuch gai tum
aashna... g papa mei thik thak pahuch gai..
Vijay.. apna khayal rakhna beta or phone karte rehna...
Aashna.. G papa thik mammi ko mera hi bol dena...
Or ye kehkar aashna phone rakh deti hai...
Ajay... kon kon hai tumhare ghar par
Aashna.. Bas mei or mere mammi papa
Ek Bhai tha jo aaj se 10 sal pehle mele mei humse bichad gaya...
ajay... Ohhh ye bade dukh ki baat hai Cumpland nahi ki tumne...
aashna.. Har jagah dhonda pulish Cumpland bhi kiya magar bhai ka kahi kuch pata nahi chala...
apne bhai ki baatein karte hue aashna ki aankhe bhar aati hai..
ajay aage badhkar aashna ki aankho se aasoo pochne lagta hai..
Ajay.. fikar na karo ek din jaroor tumhe apna bhai mil jaiyga...
_______
Ajay or aashna bad par bethe hue baate karne lagte hai...
ajay.. Aashna tumhari hobbies kya kya hai..
aashna.. meri hobby hai singing or tumhari
ajay.. mei bhi thoda bahut ga leta hu. Magar tumhare jesi mithi awaz nahi hai...
ajay ki baat sunkar aashna ko lagta hai jese ajay usko rijhane ki liye aisa bol raha hai...
magar phir bhi aashna ko ajay se baate karna achcha lag raha tha...
Ajay.. Achcha ye batao tumko game konsa pasand hai..
Aashna.. Game to mujhe Sare achche lagte hai jese football tennis cricket magar mujhe ludo khelna achcha lagta hai...
Ajay... lagta hai hum dono ki pasand bhi same hai. mujhe bhi ludo game khelna achcha lagta hain.
Ajay ke sath is tarha baate karna aashna ko bahut achcha lag raha tha..
dono ko baate karte hue kafi raat ho jati hai..
Ajay.. aashna raat kafi ho gai chalo ab so jate hai...
Aashna.. G
aashna soch rahi thi Ajay uske sath ek hi bister par soyga magar ye kya Ajay apna pilo uthakar sofe par let jata hai..
ye dekhkar aashna ke dil mei Ajay ke liye or bhi ijajat badh jati hai...
kuch der bad kab aashna ki aankh lag jati hai pata hi nahi chalta...
magar aashna ke khawabo mei ab Ajay hero bankar aa chuka tha jiske sath aashna pyar bhare nagme gane lagti hai..
Humne tumko dil yeh de diya yeh bhi na pucha kaun ho
tum...
Yeh faisla jo dil ne kiya yeh faisla jo dil ne kiya
Yeh faisla jo dil ne kiya tab yeh bhi na socha ki kaun ho
tum
Humne tumko dil yeh de diya yeh bhi na pucha kaun ho tum
Dil hai ki maanta nahin is dil pe kiska zor hai
Teri aur khicha ja raha hoon jaane yeh kaisi dor hai
Tumko hai kuch ho gaya aahein mein aahein bharte ho
Deewane ho tum deewani deewani baat karte ho
Hum to chalo hum to chalo deewane sahi par apni baato kaun
ho tum
Humne tumko dil yeh de diya yeh bhi na pucha kaun ho tum
Yeh faisla jo dil ne kiya yeh faisla jo dil ne kiya
Yeh faisla jo dil ne kiya tab yeh bhi na socha ki kaun ho
tum
Tum pe yakin aa gaya yeh kaisa aitbaar hai
Kya hai yeh dil ki bebasi ya naam iska pyaar hai
Yun hi nahin bechain hoon yun hi nahin betaab hoon
Tumne dekha tha jo kal maano wahi main khwaab hoon
Aankhon ne aankhon ne aankhon mein dekh kar yeh pehchaana
kaun ho tum
Humne tumko dil yeh de diya yeh bhi na pucha kaun ho tum
Yeh faisla jo dil ne kiya yeh faisla jo dil ne kiya
Yeh faisla jo dil ne kiya tab yeh bhi na socha ki kaun ho
tum
Humne tumko dil yeh de diya yeh bhi na pucha kaun ho tum....
___________
subah kareeb 7 baje aashna ki aankh khulti hai. uski nazar shidha Ajay par padti hai jo shishe ke samne khade hokar towel se apne bal saaf kar raha tha...
Aashna ek tuk Ajay ko niharne lagti hai...
kitna handsome khubsurat nekdil insan hai or uspar jaan chidkta hai aashna ko apni kismat par naaz hone laga tha.. ki Ajay usse pyar karta hai...
aashna ka dil bhi karne lagta hai ki woh bhi Ajay se apne pyar ka ijhaar kar de...
kuch der bad Ajay jese hi sheshe ke samne se palatta hai aashna wapas apni aankhe band kar leti hai...
Ajay aashna ke kareeb aakar kuch der uska chehra niharne lagta hai..
aankhe band kiye hue aashna kisi pari jesi khubsurat lag rahi thi...
Ajay ke muh se aashna ki tareef mei do line nikal jati hai...
Ye aankhe ye chehra insan ho ya pari ho tum kitni fursat se banaya hoga tumhe banane wale ne.. I love you aashna
Ufff aankhe band kiye hue aashna ye word sunkar phooli nahi sama rahi thi...
dil kar raha tha abhi aankhe kholkar Ajay ke gale se lipat jau magar jane kyu saram ke mare aashna aisa kar na pai....
Kuch der bad Ajay aashna ko sota chodkar kamre se bahar chala jata hai...
Ajay ke bahar jate hi aashna apni aakhe kholti hai...
Aashna ka dil badi joor se dhak dhak kar raha tha..
aashna ke chehre par bar bar muskurahat aa rahi thi aisa lag raha tha jese aashna ko bhi pyar ho gaya tha...
Aashna bistar se uthti hai to uski nazar bad par pade towel par padti hai kuch der pehle Ajay ne usi towel se apne jism ko saaf kiya tha..
Aashna ko jane kiya hota hai towel ko apni naak se shungne lagti hai...
aashna ko geele towel se Ajay ke jism ki khushboo mehsoos hone lagti hai...
Or aashna wahi towel lekar bathroom mei pahuch jati hai..ek ek karke apne jism ke sare kapde utar deti hai...
aashna kapde utar kar shower ke niche khadi ho jati hai pani ki bochar aaj aashna
Ko madhosh kar rahi thi...