Update 1
"Jo dard chupana chahate hai,
wo dard pe pehra rakhte hai,
padhle na gham koi chehre pe,
chehre pe chehra rakhte hai."
Raj bina kisiko bataye party se nikal gaya. Raat bahut ho gayi thy aur raste bhi khali tha. Magar raste se bhi jyada khalipan to uske ander tha. Wo ek sunsan jagah per jake rukh gaya aur car se bahar aagaya, uske hath mai aaj ki trophies thy. Wo Ashman ki aur dekh ke,
Raj : dekha Ruhi aaj mai desh ka sabse bada admi ban gaya hun, per tum mere paas nahi ho....paas kya tum to janha bhi hogi tumhe to pata bhi nahi hoga ki koi tumhe itna yaad karta hai. Per itni to tasalli hai mujhe ki tumhe to mai yaad bhi nahi hun. Itna bol kar wo hasne lagta hai.
Thodi der wanhi rehke wo ghar lout jata hai. Jaab wo ghar jata hai to uski behen Anu uska intezaar kar rahi thy. Jaab wo ghar mai ghusta hai aur Anu ki nazar uspe padti hai to Anu uthke jake sidhe Raj ke gale lag jati hai.
Anu : Raj bhai kanha thy aapko pata hai mai kitni dar gayi thy.
Raj (Anu ki pith sehlate huye) : aare kya ho gaya meri behen ko.
Anu : bhai aap yese mujhe bina bataye maat jaya karo.
Raj : chal thik hai meri Anu aage se tujhe bata ke jaunga, chal aab khana khila de bahut zoro se bhuk lagi hai.
Anu : thik hai aap jake pehle fresh ho jayiye mai khana lagati hun.
fir Raj apne karme ki aur chal deta hai fresh hone ke liye aur Anu kitchen mai khana nikal ne ke liye.
Rajveer Singh, aur Anu (Anushka Singh) dono bhai behen hai aur dono hi anath hai. Inke bare aage kahani mai pata chalega.
Thodi der baad Raj fresh hoke dinning table aake beth jata hai.
Raj : aur kitne der Anu.
Anu : baas 2 min, Anu kitchen se hi awaj lagati hai.
Ye lijiye bhai, aap ki favourite dish Sambar, Dosa aur gajar ka halwa. Ye thy Anu ki awaj aur wo sara plate Raj ke samne rakh deti hai.
Anu : wese bhai yesi unique choice aapki hi ho sakti hai. Ye kehke hasne lag jati hai.hehehe
Raj : sach hai mai hun hi unique. Chal hasna band kar aaja tu bhi khale.
Anu bhi Raj ke paas beth jati hai, "Bhai aap thik to ho na, aaj aap India's no.1 businessman aur most desirable man bane ho, fir bhi aap khush nahi lag rahe hai, kyun bhai?"
Raj : Anu bacha..chal khana khale aur wese bhi koi baat nahi hai aaj bus mujhe maa baba ko miss kar raha tha, aur tuna apne iss chote se dimag per jyada zor maat dala kar.
chal mun khol aur khale, aur uske baad dono ek dusre ko khilane lag jate hai aur issi tarah khana bhi khatam ho jata hai.
Raj : Anu kal mai mumbai ja raha hun, jo nayi company ki announcement ki thy maine aaj party mai usko mumbai mai open kiya hai. 1 mahine usse setup karne mai lagega to mai wanhi rahunga. Tu apna khyal rakhna aur wese bhi teri MBA ko bhi khatam hone mai 1 hi mahina baki hai fir aajana mere paas.
Anu : bhai aapna meri chinta maat karo mai apni khyal rakh lungi per aap wanha ja rahe hai to anath ashram jarur jana aur kaka se mil lena.
Raj : thik hai Anu. Chal aab so jate hai kal jana bhi hai. Good Night Anu.
Anu : good night bhai.
Dono bhai behen apne apne kamre mai chale jate hai sone ke liye.
Agle din Raj mumbai ke liye nikal gaya. Ye wanhi seher hai janha uska bachpan gujra tha. Uske dil mai bahut kuch chal raha tha. Ruhi se bhi to issi sehar mai hi mila tha ya ye kehlo ki mil kar bhi nahi mila tha. Yahi saab sochte sochte kaab mumbai pahunc gaya kuch pata hi nahi chala.
Driver car ko ek bade se banglow ke samne rokta hai.
Driver : Sir ghar aagaya hai.
Driver ke pukarne se Raj apne yaado se bahar nikalta hai, "thik hai, tum saman nikal kar le jao aur khana kha se aram karo, bahut der se car chala rahe ho. Ye car key mujhe de do mai aata hun.
Driver : ji sir.
Jesse ki Raj ne kaha tha driver sara saman nikal ke banglow ke ander chala jata hai aur Raj car leke nikal jata hai kahi aur.
Thodi der drive karne ke baad wo ek anath ashram ke samne aake rukta hai aur car se utar ke anath ashram ke ander chala jata hai. Yese hi anath ashram mai ghumte ghumte ek kamre ke aage aake rukh jata hai aur us kamre ko ache se dekhne lag jata hai.
Tabhi uske piche se awaj aati hai, "ye kamra bilkul wesa hi rakha hua hai jesa tu chod ke gaya tha Raj".
Raj jaab wo awaj ki disha ki aur ghumta hai to ek budha admi khade thy wo bhi ek dande ke sahare se.
Raj kaka kehke sidhe jake pehle uss admi ka pair chuta hai fir gale lag jata hai.
Kaka : (Raj ko gale lagate huye) mera bacha, kesa hai tu? Aur gudiya kesi hai? (Kaka Anu ko pyaar se gudiya kehte thy)
Raj : kaka mai to badhiya hun aur Anu bhi badhiya hai baas apko yaad karti rehti hai.
Kaka : hmm gudiya ko to akshar phone aata rehta hai per tera nahi aata hai kabhi bhi. Jyada hi busy rehta hai.
Raj : nahi nahi kaka, wo...wo...mai
Kaka : rehne de janta hun tujhe, tu jisse pyaar karta hai usse apna pyaar jata nahi pata hai.
Raj : hmm kaka aur yanhi mera sabse bada kamjori hai.
kaka : chod wo saab aa beth idhar, tere se bahut bate karni hai.
Fir dono kafi der tak bare karte hai.
Raj : chalo kaka aab mai chalta hun, kal office bhi jana hai, apna khyal rakhna aur bacho ka bhi.
Kaka : tu bhi apna aur gudiya rakhna, bye.
fir Raj apne ghar aajata hai aur kaam khatam karke dinner karke fir Anu se thodi der baate karke so jata hai.
Kaka : inko sabhi Rajesh kaka kehke pukar te hai. Ye ek anath ashram chalate hai.
jaab se Raj ne taraki ki hai taab se wo haar mahine ache khasse paisa de deta hi jisse ki in bacho ki ache se parvarish ho.