Naina
Nain11ster creation... a monter in me
- 31,619
- 92,311
- 304
Update 12
Ruhi apne kamre mai jake Raj ke bare mai sochne lag jati hai. Nahi..Nahi..ye mai kya soch rahi hun sir mere Raj ho hi nahi sakte, aur wese bhi pure duniya mai kitno ka naam Raj hai aur sir to wese bhi kisi bhi tarah se mere Raj lagte hi nahi hai. Ye to bilkul khadus aur akdu hai. Mera Raj to bilkul shant tha, mujhe hamesha hasata tha aur sayari karta tha.
Ruhi bhi apne purane yaadon mai kho jati bai, jaab Palak ko Raj ke bare mai bataya tha.
Ruhi : Palak mujhe lagta hai ki mujhe Raj se pyaar ho gaya hai. Uski baato se, uski sayari se, uske hone se, han palak..mujhe sach mai pyaar ho gaya hai, I love Raj...I love him....
Ruhi bilkul pagalo ki tarah pure kamre mai jor jor se chilane lagti hai aur baas I love Raj yanhi bolti rehti thy, to Palak ne aake Ruhi ka munh mai apna hath rakh ke usko chup karayi.
Palak : pagal ho gayi hai kya, koi sun lega to aur han dekhne mai kessa hai tera Raj ye to bata?
Ruhi : pata nahi maine kabhi bhi dekha nahi hamara to baas kitab ke sahar hi bate hoti hai.
Palak : tu pagal to nahi ho gayi hai ya mujhe pagal bana rahi hai, aaj ke samay mai jaab ladka ladki kiss tak kar lete hai aur tu bata tu bata rahi hai ki tune usse dekha nahi hai waah..waah...
Ruhi : apni bakwas apne tak rakh aur mai tujhe jhut kyun bolungi, bachpan se mere sath ha tu, sabse pehle har baat tujhse bolti hun aur tujhe pata hai na ki ek baar mai agar kisi se koi rista bana li to hamesh nibhati hun.
Palak : han pata hai mujhe aab bata ye saab kese aur kaab hua? Thode din kya mai Nani ke paas chali gayi tune to..chal bata.
Fir Ruhi saab kuch Palak ko bata deti hai.
Palak (mann mai) : mujhe iss ladka ke baare mai pata karna hoga ko wo hamare standard ka hai bhi ki nahi, kuch bhi ho jaye Ruhi ki wajah se mai apna standard pure school mai low hone nahi dungi.
Ruhi : kya soch rahi hai bata, chal chod ye bata ki mai apni dil ki baat Raj ko bata dun, aur mujhe bhi lagta hai ki Raj bhi mujhe pasand karta hai.
Palak : aare rukh abhi, itni bhi kya jaldi hai abhi 6 mahine hi huye baate karte na ki 6 saal, aur tu usse kuch nahi kahegi, pehle mai usse dekhungi ki wo kessa hai fir baad mai tu bata sakti hai.
Ruhi : chal tu dekh lena aur mujhe pata hai ki wo tujhe acha hi lagega.
Palak : han dekhti hun.
Ruhi apni yaadon mai ghum thy ki uski khidki ke paas kuch awaj aati hai jisse wo apni yaadon se bahar aajati hai, aur khidki ke paas aakar khadi ho jati hai.
Ruhi : "Palak ko tumhare bare mai batana hi meri sabse badi galti thy Raj, jis din tum mujhe chod ke gaye uss din bhi barish ho rahi thy per uss barish ne mera saab kuch chin liya, per asli aur nakli rishto mai farak karna bata gaya. Pehle yanhi barish ko dekh kar mann khush ho jata tha per aab dil mai dard hota hai.
Ruhi ki ankhe bhar aayi thy, wo aakar bed pe let jati hai pure din ka kaam ki wajah se usse kaab nind aagayi usse pata hi chali.
Udhar Rohan bhi Raj ke bed pe beth ke raj ke hosh aane ka intezar kar raha tha.
Thodi der baad jaab Raj ko hosh aaya, jesse hi ankhe khole samne dekha to Rohan usse gusse se dekh raha tha. Jesse hi Raj ne ye dekha to fir se apni ankhe band kar li, kuch der der taak jaab usse kuch awaj nahi aayi to usne fir se apna ankh khol li to Rohan wanha pe nahi tha to Raj ke jaan mai jaan aayi.
Raj : thank god ye gaya nahi to mera waat laga deta.
Rohan to kahi gaya hi nahi tha wo chup chap uthke Raj ke piche aagaya tha aur sari baate sun raha tha.
Rohan : waat to aab bhi tera lagne wala hai beta.
Raj me jaab awaj suna to wo piche mud gaya to Rohan ko paya jo baas usse gusse se dekh raha tha.
Raj : tu..tu..yanha..mujhe laga..ki..
Rohan : ki chala gaya, per tera waat to lagni hai, ye chot kesse lagi aur ruhani ki baat kyun nahi suni tune..bata...
Rja : wo..wo..baas lag gayi yaar, aur dekh mai abhi thik nahi hun thoda sa to reham kar, aage se yesa kuch nahi hoga pakka, maan ja na yaar.
Rohan : tujhe pata hai tujhe yese dekh ke mera kya halat hua hai, aage se yesa kuch nahi hona chahiye iss baar maaf kar raha hun. Aur aagar dubara yesa hua to dekh liyo tu, chal aab so ja.
Raj : thik hai mere yaar, wo Ruhi kanha hai aur kessi hai?
Rohan : thik hai wo abhi sone gayi hai bahut pareshan thy wo bhi, pata hai pehli baar kisi ke liye yese pareshan hote dekha hai maine usse.
Raj : yanhi to nahi chahta hun mai ki wo mere liye pareshan ho, pehle ye pata karna hai ki wo yesi shant aur chup kyun rehti hai aur uske sath hua kya hai? Aur sabse badi baat mai usse yaad hun bhi ya nahi?
isiliye kaal se No Raj only Rajveer Singh.
ruhi confusion mein hai.. kabhi ushe lage ki rajveer hi raj hai to kabhi kabhi ushe lage ki rajveer kaise raj ho sakta hai...
wo atit mein kho gayi thi.... waise atit mein kuch aisa hua tha jiske chalte dono alag ho gaye the..
wohi idhar rohan bhi gusse mein hai ki raj ko itna kuch ho gaya, chhot lagi sar pe phir bhi ek baar ke liye bhi ushe inform nahi kiya...
Khair kaafi dilchasp update tha
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills

