Update: 02
jab pahli bhushan harsh ko jungle me le gaya tha. uske sath uska bada beta vishnu bhi tha. vishnu ab shikar me acha khasa maahira ho chuka tha. ek talvar aur ek bada khanjar uski kamar se bandhe hue the.
bhushan: ja ja kar ek junglee kutta shikar kar laa.. lekin dhayan rakhna, kutta apne pairon me rahe. marne na paaye..
vishnu bhag pada aur agle kuch minton me ek junglee ghayal kutte ko apne hathu me uthaye, ek junglee bel se kutte ka moh baandhe bhushan aur harsh ke pass aa pohncha.. harsh apne bade bhai ke hathu me junglee khunkhar kutta dekh kar darr gaya.
vishnu: hahaha.. baba ye harsh to darr gaya.. hahaha
bhushan: tu bhi pahli baar darr gaya tha. zayada mat uchhal. ye bhi teri tarah jald hi wahshi ban jayega.. chal ab kutte ko phenk harsh ke pass
harsh ye sunkar bhushan ke peeche ja kar bhushan ki taangon se lipat
harsh: nahi baba... ye kutta mujhe khaa jaayega
bhushan vishnu se: ab is kutte ke chhote chhote ghav lagao
fir harsh ko tham apne saaamne karta hua bola: harsh beta.. mai wahshi, hum sab wahshi, tu bhi wahshi hi banega.. mera khun teri ragon me daud raha ha. fir darr kaisa.. dekh is kutte ke sharir par bante ghav dekh. maze le le kar dekh
bhushan ki ankhon me bijli si thi. harsh uski ankhon me dekh himmat pakad gaya.. fir vishnu us kutte ke sath khelne laga... kutta bhagta to vishnu bhi uske peeche bhaag padta.. kutta ghayal tha. fir bhi badi raftar se bhaagne laga. lekin wahshi vishnu bhi kam nahi tha. wo ghayal kutte ke saamne pohnch kar khanjar se chhote chhote ghav laga kar kutte ko wapis palatne par majbur kar deta tha
bhushan: dekha harsh beta.. wahshi wahi ha.. jisse jungle ke sare darinde panah maangen.. ye to ek aam sa junglee kutta ha.. sher cheeta, koi bhi junglee darinda ho.. hum wahshiyon se zayada khunkhar nahi ha..
kutta kai ghav khaane ke bad ek jaga ladkhada kar gir pada.. bhushan harsh ko liye kutte ke karib aaya
vishnu ki ankhon me haivani chamak aai hui thi. uske sharir ka ek ek ang uske wahshi hone ka sabut de raha tha. apne shikar hue kutte ko wahshiyana nazron se dekh raha tha. khud par garv kar raha tha. gharoor ke sath wo harsh ko dekhne laga
bhushan vishnu se bola: la ye khanjar harsh ko de
vishnu ne khun se sana hua khanjar harsh ki orr badha dia.. harsh do kadam peeche hat tadap rahe kutte ko dekhne laga
bhushan ne khanjar pakad harsh ke hath me thama diya: chal pakad ye khanjar.. aur kaat is kutte ko.. chhote chhote tukde karna iske.. maze le le karna iske tukde..
harsh: nahi baba... mai ise nahi maarunga
bhushan: mai kahunga tab bhi nahi maarega.. mera beta ek din mujhse bhi bada sherdil wahshi banega... chal pakad khanjar.. aur wahi kar.. jo mai kah raha hon
harsh uksaye jane par, himmat badhaye jane par khanjar hath me pakad kar kutte ke sharir par ghav lagane laga
vishnu: hahaha.. baba ye to bada darpok nikla.. iske andr se darr nahi nikal paayega
vishnu hasa to pahli bar harsh ko vishnu ki bat achhi nahi lagi... harsh ne hath upar ko uthaya aur zor se kutte ke thande ho rahe sharir me ghusa dia...
bhushan khushi se cheekh pada: shabash harsh beta.. aise hi kai ghav aur lagao..
harsh ne maan li.. aur hath utha utha kar kutte ka keema banane laga...... khun se harsh ka pura sharir bheegne laga.. lekin ghav lagate rahne se usay alag hi anand milne laga tha.
fir bhushan ne harsh ko gale se laga kar chum liya.. us din jab harsh wapis se apni maa aur bahno ke pass pohncha to khun se sane hue sharir ko dekh teeno pahle to dari...
fir bhushan hasta hua bola: hahaha.. aaj pahli bar mere bete ne ek junglee kutte ke tukde kiye han.. ye khun junglee kutte ka ha.. mere bete ka nahi... aur harsh bhushan ka khun ha.. khun bahaye ye... lekin khud ka khun kabhi nikalne nahi dega.
nalini ne khunkhar nazron se bhushan ko dekha..bhushan aur bhi khul kar hasne laga
bhushan: hahaha.... kasam paida karne wali ki.. tu badi nirali aur maze ki nari thi mere liye. tu bhi ankhon me aag rakhti ha.. kyaa hua agar tu wahshi nahi ha to.. lekin aag ki moorat to ha hi na... kitne maze kiye maine tere sath.. par tu chalaki se khud ko mujhse bacha gai.. koi baat nahi. ab mera beta wahshi ban tere sharir ki boti boti nochega.. tab mai aise hi hasa karunga.. mai nahi to mera beta hi sahi. bass mujhe tere gharoor ko tod kar, tujhe akhri saans tak ye ahsas dilate rahna ha. tuney khud ko mujhse door karke kitni badi galati ki.. tu 2 4 saal aur sahn karti rahti to mai tujhe rani bana kar rakhta.. lekin tu... khair mai ab tujhe kyaa kahun.. hamare niyam hamare liye sab kuch han.. isi niyamo ka sahara lekar tuney khud ko mujhse bachaya ha... lekin tu bach nahi payegi.. teri kismat me ek wahshi tha.. aur ek wahshi akhri saans tak rahega.. aaj ka ye namuna dekh le.. harsh ki ragon me mera khun ha.. aj se harsh ke wahshi banne ka amal shuru ho chuka ha.. kar le tu jo bhi kar sakti ha apne bachav ke liye.. hahaha.. tu kuch nahi kar paayegi.. yahan sab wahshi han.. aur tu akeli.. teri betiyan bhi ab wahshi banengi..
payal aur paridhi sab baaten samjhne lagi thi. wo apni maa ki asliyat aur yahan aa kar phas jane ki sari kahani jaan chuki thi. dono ko apni maa ke dard ka ahsas tha.. dil se wo apni maa ka sath dena chahti thi. lekin khun to unki ragon me bhi ek wahshi ka hi tha.. ye to samay hi batane wala tha.. un dono ki soch aisi hi rahti ha yaa badal jane wali ha..
harsh naha kar cheete ki khaal ka bana kachha pahn kar apni maa ke paas gaya..
nalini bhushan ke jane ke bad khud ko normal kar gayi thi. wo harsh ko dekh boli
nalini: kyaa tu sach much wahshi ban jaayega
harsh abhi masum tha. lekin kutte ko ghav dekh kar uske sharir se khun nikaal kar uski ankhon me ajab wahshiyana chamak aa gai thi.
harsh usi chamak ke sath bola: haan maa.. wo vishnu bhaiya wahshi bankar mujhe darpok bol rahe the. maa mai darpok nahi banunga
nalini ne harsh ko seene se laga kar bheench liya: tu vishnu se bhi bada wahshi banega harsh. tu apne baba se bhi bada wahshi banega. tu is kabile ka sabse bada wahshi banega harsh.. apne liye, apni bahno ke liye aur apni maa ke liye.. bata kyaa tu wahshi banega.
harsh khush ho gaya: haan maa. mai wahshi banunga. jaise vishnu bhaiya ne kutte ka shikar kiya. mai bhi karunga
payal aur paridhi side khadi apni maa aur apne iklote bhai ko dekh rahi thi.
nalini: yahan rahne wale sare wahshi khanjar aur talvaren lekar junglee darindon se ladte han.. tu itna bada wahshi ban.. darinde tujhe dekh rasta badal len.. sun mai, teri maa bhi tujhe wahshi bane dekhna chahti ha. kyaaaaaaaaa tujhe khushi mili
harsh: haan maa..
nalini: mai bhi bohut khush hui hon beta tujhe wahshi bante dekh kar. par beta.. kyaa tu janta ha. mai kahan se aai hon
harsh sar hila kar bola: haan maa!
harsh door upar akash ko dekhta hua bola: aap wahan door se aai han
nalini ke honto par ek dard bhari muskan ubhar aai: harsh beta. mai apni dunya me jane ke liye tadap rahi hon. wahan sab mere apne han. tere apne han. sun harsh beta..tu wahshi ban... par sath me wo bhi ban.. jo tujhe tera baba nahi bana sakta.
vaisa mai hi tujhe bana sakti hon. aur tu banega.. nahi ban paaya to wahshi bankar mujhse toot pade. usse pahle hi mai apni gardan kaat dalungi.
harsh tadap par apni nanhi baahen apni maa ke gale me daal kar gaalon ko chum gaya
harsh: nahi maa.. ap jab bhi marne ki bat karti hon. pata nahi kyu mujhe bada dukh hota ha
nalini: yehi pyar ha beta. ek maa ke marne ki baat par har beta tadap uthta ha.. ab sun meri baat.. dhayan se sun.. vishnu ne kutte ka shikar kiya ha. aur tu janta hon. kutton ka shikar kon karte han
harsh ki smajh me nahi aaya: kon karta hai ??
nalini ne payal aur paridhi ko bhi apni bahun me bhar liya: tum teeno mere teen anmol ratan ho. tum teeno aur mai milkar hum chaar bante han. hum charon hamesha ek sath rahenge. bolo kyaaaa tum kabhi mujhse door hokar ji sakoge
teeno ek sath: nahi maa.. hum aap ke bina nahi ji sakte
nalini ne teeno ke gaal bari bari chume: to fir sunu.. tumhari ragon me khun ek wahshi ka ha.. parantu tum teeno ko maine apna doodh pilaya ha. meri ragon chauhanon ka khun daud raha ha. mera wahi khun tumhari ragon me doodh bankar daud raha ha. aur chauhan kutton ka shikar nahi kiya karte.. chauhano ke shayan e shan nahi ha kutton ka shikar karna.. chauhan to sheron ko apna ghulam banaya karte han. tum teeno kabhi khud ko bhushan ki aulad mat samjhna.. khud ko chauhanon ki aulad samjhna. aur chauhan mar kar bhi apne kartavya apne laksh se peeche nahi hat'ta. wahshi bano.. darindon ka shikar karo.. yahan koi kisi par daya nahi karta. sab niyamo ka palan karte han. tum bhi karna. lekin daya hum keval charon hi ek dusre ke sath kiya karenge.. baki sab ke sath wahshi bankar jiyenge.. bolo.. wada karte ho mere sath.. do mujhe vachan.
nalini ne apna hath vachan ke liye khol dia.. pahle payal ne, fir paridhi ne fir harsh ne apna ek hath paridhi ke hath par rakh diya.
nalini charon ko ek sath gale se laga kar pyar dene lagi..
nalini: aaj se tum ghar me wahi karoge. jo mai tumse kahungi.. aur bahar wahi karoge.. jo bhushan tumhe kahega.... wo tum teeno ko wahshi banayega.. aur mai tum teeno ko loomdi ki chaal sikhaaungi.. wahshiyo ab ek nari ek maa ke inteqam se tum bach kar dikhana.....
nalini chauhan naagin ke jaisi phunkarti hui gahri gahri saansen lene lagi. dil me boli.. pahle mai ekeli thi.. lekin ab mere sath mera ek sher aur do sheriyan han... bach ke dikhana mujhse wahshiyo..