Nice presentation of characters.CHARACTERS INTRO
Story ke do main characters hai
1. Raj
Ek ladka jo choti si umar me hi anath ban gya . Apni maa ke hote hue bhi anatho wali jindgi isne ji hai . Ek bat is ladke ne achhe se samajh Li hai . Agar Sharif bnega to lamba jiyega par agar bura bnega to kam jiyega par khushi Vali jindgi jiyega, isliye isne dusra option chuna , or ban gya pakka harami . ise pata nhi hai ki iski koi family bhi hai kyuki jab ye ghar se juda hua to iski umer bhot choti thi jis vajah se ise khuch yad nhi hai .
Jindgi iski ekdum badiya kat rhi hai , par khi na khi ander ek hissa akelapan jarror mehsoos karta hai
Is kahani me iske character ko bhot problems, challenges ka samna krega , physically or mentally dono
ye ladka iske liya kitna taiyar hai ye to story me hi pata lagega
2. Anjali (Raj ki maa)
Bas ye jaan lo ki raj se bhot pyar karti hai or apne bete ko shi rah par lane ke liye khuch bhi karegi
Akhir kon maa apne bete ko galat raste par chalta dekh kar khush reh sakti hai
Raj ne ya to samaj liya ki agar bura bnega to khushi se jiyega par Anjali ko use samjhana hai ki vo is tarah khud to khush reh sakta hai par dusro ki khushiya cheen lega
Bure logo ka ant bhi bura hi hota hai ye bat Anjali achhe se janti hai Raj ke baap ka ant bhi khuch esa hi hua tha , isliya ab vo apne bete ko khuch nhi hone degi or sudharegi
Is story me apne bete ke liye isko bhi bhot uljhano se ladna padega
Ya dono main characters hai poori story inke hi upar ghoomegi
Ab ate hai khuch side characters
3 . Shrikant ( Raj ke Nana )
Inka role bhi bhot jaroori hai ya time-time par Anjali or raj ki madad karenge .
Dil ke achhe insan hai bas apne bachho ki khushiyo ke bare me sochte hai
Or inke character ko ap story me samj jaoge
4.Rajni : ( Raj ki nani ) ye bhi ek bhot sulji hui mahila hai poore Ghar ko ye hi sambhalti hai
Or apni beti ko bhi
5.daroga ranjeet singh ( enemy )
Jaisa ki nam sunkar hi samaj gye hoge aap log ki , ye peshe se police me hai , inke or apne Raj ke bich jyada banti nhi hai
Dono ek dusre ki jan lene ke liye hamesa tatpar rehte hai
Daroga ji Ko Raj ki shakal se khuch jyada hi chid hai
Ab vo kyu vo hai ye age pata lagega
Age or khuch characters ayenge jinhe mai shi time par introduce kar dunga
6. Raghu teza : ( Shar ka don )
Ye Raj ka sathi hai , iska jo bhi kam atakta hai Raj hi use Pura karta hai . Raj hai ,isliye hi iske adhe se jyada Kam ho pate hai varna ye aj itna upar nhi aa pata . Abhi to ye dono ek sath kam karte hai ,Par kehte hai na , kal kisne dekha ?
Bas ya 6 thode important characters hai
Age jo ayenge unhe update me hi introduce kar dunga
Ek sath hi jyada shi nhi hai
Bas in sab ko yad rakhna Kam chal jayega
Sahi jaa rahe ho boss, lage raho.