- 6,463
- 5,017
- 259
UPDATE :- 112
Sonal-- Maine koi galat kaam nahi kiya hai mama ji…mai aur Siddh ek doosre ko pasand karte hain…agar aaj Siddh nahi hota mama ji to na aapki Sonu hoti naa hi uski izzat… (Sonu ne apne mama ko Mayank puraan kah sunaya…)
_________________
Mama ji ko Mayank ke dwara ki gayi sari ghatna ko batane ke baad Sonu vahi jameen par baithi ro rahi thi… ab kya karna hai…kuchh bhi samjh nahi aa raha tha use…Mama ji khamosh khade kabhi Sonu ko dekhte to kabhi mishra ji ko…unke chehre ke baaw hi samjh nahi aa rahe the Sonu ko…
Mishra ji-- Sonal beta itna sab ho gaya ?? Tumne mujhe ek baar bhi batane ki jarurat nahi samjhi…Aur tum kis Siddharth ki baat kar rahi ho kahi Siddharth Singh Rajput to nahi ??
Sonal -- haan uncle, mai unki hi baat kar rahi hoon…
Sonal ne subkte huye jawab diya…Mishra ji ne mama ji ke kandhe par haath rakh kar haule se santwna di aur Sonal ko sahara dekar bahar baithak me laye… Yahan ghar ke baaki sadasya baithe the…
Mishra ji-- beta Sonal kuchh bhi ho tumhe mujhe batana to chahiye tha… abhi bulata hoon mai Siddharth ko … dekhta hoon kya baat hai…
Mama ji ne badi aas se Mishra ji ki taraf dekha…
sach hai doston ek pita ka sarwadhik lagav beti se hota hai… aur mama me to do maa bhi hoti hain… tadap dekhne layak thi mama ji ke chehre ki…
Aaj na jaane kyu Sonal ko phir se purane wale akele pann ne gher liya tha…jee bhi bahut ghabra raha tha…achanak seene me jor ki hook si uthi aur aankhon ke samne Siddh ka chehra ghoom gaya… paas rakhe kushon ko vo seene se bheench kar vahi sofe ke paas jameen par baith gayi…ghar me maut ka sannata pasar chuka tha…aur iska ek maatra kaaran aaj phir Sonu thi…
achanak hi Sonu uthi aur mama ji ke pairon par sir rakh diya…Sonu ko yun apne pairon me pada dekh mama ji ko jaise current laga vo khud bhi uthkar vahi neeche aakar baith gaye…
Mama ji -- babu, kya kar rahi hai meri bachi…kyu mujhe paap ka bhagidaar bana rahi hai…ladli hai tu meri…tujhse khoon ka rishta na sahi risthe me khoon to tujhi se hai… tere bina sare riste nate bemani hai meri nanhi pari… baap ki tarah hoon tere… dukhti hain teri aahein… betiya sada baap ki ladli hoti hain… par bada hi abhaga hoon… gareebi aur lachari me tujhe koi khushi na de saka beti… maaf kar dena apne ashaay mama ko……
Sonal-- mama ji aisa mat boliye… plz aap mujhe maaf kar deejiye mama ji aaj meri vajah se aapka vishwash toot gaya…jhuk gaya aapka sir mere karan… mai abhagan ek rishta bhi na samhal saki…mama ji ho sake to mujhe maaf kar dijiyega… bina maa ki hoon na to pata nahi kisi bhi sanskaar ke baare me… mai vapas jaa rahi hoon hostel …
Mama ji-- Kahi nahi jayegi tu…vaise hi mai teri maa ka vishwaas bhi na poora kar paaya… in masoom aankho ko aansu siva kuchh na de paya… par aaj jo sapno ke rang inme bhagwan ne bhare hain unhe mai apne jeete jee nahi bhikharne doonga… mai poore karuga apni bitiya ke sapne… bula Siddharth ko… milna hai mujhe…
Sonu ke sir par haath ferte huye jab uske mama ne ye baat kahi to Mishra ji ki bhi aankhein nam ho gayi…Mami ne muh sada kar Mohit ke jakhmo par marham lagana jaari rakha…tabhi jaise Mishra ji ko kuchh yaad aaya…
Mishra ji -- ohh to isliye Karan ke peechhe pada tha Siddh ?
Sonal-- ji uncle…
Poori baat karan ki jasoosi se lekar jail tak bata dala Sonu ne…
Mishra ji -- Kaam to bahut bada kiya usne… khair jaisa baap vaisa beta… khoon to dahadta hi hai… uske pita army me the… Aur jo aate samay Rajput industries dikhi thi na uske pita ki hi to hai… Shahar ke sabse pratishthit aur raees log hain…
Mishra ji ne Siddh ka gungaan kiya to Mama ji khushi se muh fade sun rahe the par Mohit se bardasht na hua…
Mohit-- haan aur clg ka mashoor jodi maker… love guru bhi… inn madam ko bhi shart laga kar hi pataya hai usne…
Mohit ne jahreela waar kiya to Sonal baukhla uthi…
Sonal-- jabaan samhal kar baat kariye aap… varna mai aaj bhool jaungi ki aapki kalai par ek baar rakhi bhi bandhi hai…
Sonal ko Siddh ke khilaaf ek lafj sunna gawara na tha…
UPDATE :- 113

****************
Mohit -- kyu bura laga kya Madam ji ko , ya tumko pata hi nahi tha apne boy frind ke iss dhandhe ke baare me…
Sonal-- Mai kahti hoon apni bakwaas band rakho tum Mohit…kahi aisa na ho ki har lafj ka hisaab chukate chukate jindgi kho baitho…
Mohit-- vaise Kya kabhi socha bhi nahi tumne ki ek karod pati ki aulaad kyu tumhare aage peechhe mandra raha tha…Us jaise ameerjaade ko to tujh si saikadon mil jayengi…bula to liya hai na tune abhi doodh ka doodh aur pani ka pani ho jayega…
Mohit ne aaj kasam kha li thi ki kuchh to kar jayega…
Sonal-- tumne kya sabhi ko apne jaisa samjh rakha hai… jo baajiya khetla firega…Mere Siddh se achha koi nahi hai samjhe tum…aur vo aisa kuchh kabhi nahi kar sakta hai… aur agar kiya hota to mujhe bata chuka hota…
hamesha khamosh aur goongi gudiya bani rahne wali Sonu aaj dahad rahi thi…jab Mohit ye sari baatein Sonu ko Suna raha tha to Mama ji aur Mishra ji bahar laun me khade hokar Siddh ka wait kar rahe the aur Siddh ke baare me baatein kar rahe the…
Mohit-- Janti ho maa… papa ka gamand papa ki ladli Sonal raat raat bhar Siddh ke sath gulchharre udati rahti hai…
Mohit ne Sonal ke liye phir se apna ghinauna muh khola par mami ne koi jawab nahi diya… na jane kis soch me gumm thi vo…phir achanak jaise kuchh yaad aaya…
Mami-- Mohit tu kis kavya ki baat kar raha tha aur kab mil liya tu usse ?
Mohit-- mamma kavya karan singh ki chhoti bahan hai… apne bhai ke Silsile me vo siddh ko milne gayi aur tabhi inn dono ki raasleela ka pata chala Use…aaj jab papa isko lene gaye the tab aayi thi vo…
Mami-- use bhi bula le…
Mohit-- kyu ?
chaunkte huye…
Mami-- Kyu ki mujhe kuchh puchhna hai usse…
Mohit apni maa ki baat sun confused ho gaya par bula liya usne Kavya ko Call karke…
Sonu gumm summ si vahin jameen par leti raah dekh rahi thi Siddh ki… apni bag usne vapas pack kar li thi… jaane kyu uske dimaag me baar baar shart wali baat aa rahi thi…Khoon ke nishaan abhi bhi uske chehre par lage huye the jise dekh ka uske sath huyi amanviyata ka asani se andaja lagaya ja sakta tha…
Mohit abhi bhi lagataar mami ko kavya ke dwara batayi gayi baatein bata raha tha… Sonu ke poore badan me gusse aur apmaan se kampkapi ho rahi thi… agar ye raat na hoti to Sonu kab ki jaa chuki hoti yahan se…
achanak hi baahar Car ke rukne ki awaaj aayi… Sonu ka dil joron se dhadkne laga…lagbhag 5 min tak mama ji aur mishra ji se bahar hi baat karne baad Siddh andar aaya…Siddh ne safed shirt aur blue jeans pahan rakhi thi jo Sonal ko uske upar bahut pasand the…
jis samay Siddh andar aaya Sonu vahi jameen par Leti sooni aankhon se darwaaja nihar rahi thi… Aate hi Sonu aur Siddh ki Aakhen takraa gayi…Sonu ke khoon se bheege chehre aur aansu bhari aankhon ko dekh Siddh ke chehre ki muskurahat achanak hi gayab ho gayi…aas paas bikhra saman khud me hi apni kahani kah raha tha…vo lagbhag daudte huye Sonu ke paas pahuncha aur sabse pahle use jameen se utha kar Sofe par bithaya… aur aaw dekha na taaw pahla kaam Rohit ko call lagayi aur bola " turant mishra sir ke ghar police ko lekar aaja ".… Sonu rokti rah gayi par Siddh ne ek na suni… khoon utar aaya tha uski aakhon me…vo lagbhag cheekhta hua bola.…
Siddh-- kisne kiya hai ye…kisne Sonu ko haath lagaya…
Siddh ke krodh ko dekh kar ek baar to mishra ji ka bhi kaleja kaamp utha…
Siddh-- Sonu… betu… kisne kiya hai ye… Naam bol bittu…plz meri kasam bol naam…
Siddh ki aankhon se aansu bahkar uske gaalon par ludhak aaye the…
Sonu ko Siddh ka sahara milte hi vo foot foot kar ro di… Mohit ke dussahas ki kahani ek saans me kah dali Sonu ne… Sonu ka bilkhna dekh mama ji ki aankhein namm ho gayi…
Sonu ki batein Sun Siddh apna Apa kho baita aur Mohit ki ore lapka… Mishra ji aur mama ji rokne ki koshish me khud hi ludhak gaye aur iss baar Mami bhi beech me na aayi…Siddh ka ye roop dekh shayad Param pita parmatma ki yaad aa gayi thi…
Mohit ne Siddh ko Aata dekh raub gantha…
Mohit-- Mr Siddh… Mere paas aane ki himmat bhi mat karna varna……
itna hi bol paya tha abhaaga ki dhai killo ka jordaar mukka Seedhe muh par pada… Mohit ke daanton ka kya hua ye to nahi pata par jameen par girne ke baad uthne ki haalat nahi thi… Khoon ke chheente Siddh ke safed Shirt par polka dots printed kar chuke the…
Siddh--inhi haathon tune meri Sonu ko chhua tha na??
Siddh ne uske hatheliyon par apne jooton se waar karna Shuru kiya aur jab tak dono hatheliyan lunj na ho gayi marta raha…
Ye sab itna jaldi me hua ki Sonu bhi kuchh nahi samjh payi…Siddh gusse me kaamp raha tha…
Siddh-- kis mitti ke bane ho aap log ? Ek masoom ladki ko aur kitna jaleel karoge… are 18 Saal me to koi paltu jaanwar hota to usse bhi lagaw ho jata… kis mitti ke bane ho aap log… thoo hai aap logon ke insaan hone par… chhiiiih………
Siddh itna hi bol paya tha ki peechhe se aati taaliyon ki awaaj sun chaunk utha…aur bola…
Siddh-- Kavyaaaa………tum yahan……
UPDATE :- 114
Siddh-- Kavyaaaa………tum yahan……
__________________
Siddh kavya ko dekh buri tarah chaunk gaya tha…aur Siddh ki aisi haalat dekh Kavya ke chehre par vijayi muakaan thirak rahi thi…
Sonu Khamosh si sofe par baithi Siddh aur Kavya ke chehron ko padhne ki koshish kar rahi thi…aur bechare ghar ke malik - malkin to bhauchkke the…
Kavya -- hii mr Rajput… nice to meet u again……
Itna kah kar kavya jaakar Mohit ke baaju me khadi ho gayi…
Siddh-- tum yahan kya karne aayi ho ?
Siddh ki awaaj me jamane bhar ki nafrat bhari padi thi…
Kavya-- kuchh khas nahi bas tumhari hakikat Sonal ke samne laane me Mohit ki help karne aayi hoon…
Siddh --kaisi hakikat … kya tamasha laga rakha hai tum sab ne… aakhir kya kar diya hai maine…
Mohit-- are yahi ki tumne Sonal ko Mayank se shairt laga kar jeeta hai oops i mean pataya hai … hai na ?
Siddh -- band karo apni bakwaas…ye mera aur Sonal ka niji mamla hai…
Mohit --to ham kaun se paraye hain… ye bakwas nahi hai sach hai…
Mohit ke vakya poora hote hi Mishra ji cheekh pade…
Mishra ji-- yeh kya tamasha laga rakha hai mere ghar me tum dono ne…aur kavya tum sharm karo… ek to tumhare bhai ne apraadh kiya hai… upar se tum uske badle ke liye in do masoom jindgiyon se khel rahi ho…
Kavya-- mai yahan apni marji se nahi aayi hoon samjhaa… mujhe bulaya gaya hai…aur jindgi-jindhi khelne ka koi shauk nahi hai…okkk… isliye tera muh band hi rakh…
Siddh-- teri jabaan ko lagaam de varna kahi aisa na ho ki mera hath ladki par uth jaaye…
Siddh ki baat ko pura karne ke liye darwaje par kirru aa chuki thi…jo rohit aur vishu ke saath Khadi thi…
Kiran--Siddh tu rahne de … mujhe karne de ye nek kaam …vaise bhi mujhe ladkiyon par haath uthane me bada maja ata hai…
bolte bolte achanak kirru ki najar Sonal ke lahu luhaan chehre par gaya……
Kiran-- aree… chuhiyaaaa… Ye kya hua… kisne kiya ye……tu theek to hai na ?? Bol…
Kirru sonu ko aisi awstha me dekh shocked rahh gay, Sonu ne koi jawab na diya bas Kirru ke gale lag kar roti rahi…
jab ye sb ho raha tha to na jaane kya hua ki kavya ghabra si gayi … aur ek tak Rohit ke sath darwaje par khade Vishal ko dekhne lagi.…
Vishal ko Vahan aaya dekh kavya buri tarah baukhla gayi..…
Kavya-- Tummmm … yahan, aur iss Kiran ke sath kya kar rahe ho ?
Vishal--Mai yahan apne jigri yaar Siddh ki help ke liye aaya hoon aur ye Kirru iske baare me baad me bataunga…
Kavya--Siddh Ka jigri…… mere sath dhokha… mai tujhe jinda nahi chhodungi…
Vishal-- Abe chhodegi tab jab pakad payegi… tere vardi dhhari sasuraal wale aate honge sweet heart…
Vishal ye line bolne ke baad Siddh ki ore muda aur bola……
Vishal--Ye Kavya madam jasoosi kar rahi thi teri aur kirru ki… maine range haathon pakad liya…aur inhone raj ko raj rakhne ke liye ek moti rakam ke sath mujhe partner bana liya…aur bas mauka milte hi inke room se maine inhi ki absence me saboot ikattha kar liya…
Siddh-- Kaise Saboot…
Vishal-- Ab karan ka karobaar yahi dekh rahi hain…
Kiran-- Ab tera kya hoga kavya the ledy don.
Kavya-- mai tum jaise ****** Ke muh nahi lagti…
Kiran-- galiiii…… mat De…
itna kah kar kirru toot padi Kavya par…ek haath se baal pakde aur doosre haath se thobde ka naksha bigadne lagi… sidd kirru ko kheench raha tha par kirru kayi thappad jadne ke baad police ke aane par hi ruki…
par jate-jate kavya ne Siddh ko ghoora aur Sonu se kaha…
Kavya-- mai kaise bhi karke choot jaungi par tum bach kar rahna kyu ki tum to anaath aur doosre ke tukdo par palne wali besahara ladki ho… tabhi to Siddh ne tumko Mayank se shart laga kar pataya hai… bhool jaao ki ye Sacha pyaar hai… jo Mayak chahta tha vahi ye bhi chahta hai bas tarika alag hai,aur maine bata diya par kirru nahi batayegi kyu ki rishtedaar jo hai Siddh ki…
Sonu abhi bhi khamosh bas kabhi Kirru ko to kabhi Siddh ko dekh rahi thi…aisa lag raha tha jaise thodi der pahle dahadti Sonu ne maun vrat le liya tha…
UPDATE :- 115

***************
Kavya ke jaane ke baad Mohit ne raahat ki saans li kyu ki use dar tha ki agar Siddh ne muh khola to vo lambe samay ke liye andar jaa sakta hai… use iss baat ka jara bhi ilm na tha ki abhi baahar ka manjar kuchh aur tha…uske bhi swagat wale khade the par yahan baat mama ji ki bhi thi…par abhi raaita faila kar mohit ka pet nahi bhara tha to vo vapas Shuru ho gaya…
Mohit-- Shart wale matter me koi jawab nahi diya tumne Siddh ??
Mohit ka time kuchh jyada hi kharab chal raha tha kyu ki iss prashn ka uttar Siddh ki jagah mama ji ne diya…
Mama ji -- abe sa** har***** abhi kitna aur girega tu… gali ke ku*** bhi tujhse behtar hain kam se kam roti dene wale ko to nahi kaat khate hain… abe aasteen ke saanp ab to chup hoja…
Mama ji ko jitni aati thi sab gali de di Mohit ko… par use kamm pad gayi thi… abhi aur chahiye thi…isliye usne bolna jaari rakha…
Mohit-- kyu chup rahu papa … vahi kaam to Siddh bhi karne wala tha na Sonal ko dhokha dekar…
Itni kadwi baat nahi sah paya Siddh aur thappad marne ke liye haath badaya hi tha ki pakad liya Mohit ne…
Mohit-- pahle jawab do phir dekhte hain kaun kisko maarega…
Mohit ki baat sun Siddh hadbada kar palta Sonu ki taraf jo Sofe par nidhaal ek takk Siddh ko taak rahi thi…
Siddh--Sonu… mai tumko batane hi wala tha ye baat… chahe to kirru aur Rohit se poochh sakti ho… lekin bad naseebii se kuchh na kuchh ho hi ja raha tha…sach me betu…
Apni baat kahte kahte Siddh Sonu ke paas vahi neeche baith gaya…Sonu ki khamoshi Siddh ko khal rahi thi …jab usne Sonu ke kandhe ko pakad kar hilaaya to Sonu ne badi hi bebsi se kaha…
Sonal-- Aap mujhe pasand nahi karte the ye to mai janti thi par ye Shart ???
Siddh-- Jis din Mayank ne tumhare sath vo hadsa lib me kiya tha uss din mai , kirru ya Rohit teeno me se koi bhi clg nahi aaya tha…ham mall me the family ke sath…
Siddh ne Mayanyk ke dwara chadhaye jane se lekar Sonu ko jhansi le jane aur laut kar badla lene tak ki sari kahani suna dali sabhi ke samne…
Kaafi der tak khamoshi pasri rahi uss ghar me jise Sonal ne toda…
Sonal -- Rohit bhaiya plz aap police walon ko jane ko bol do… mai Mohit ke khilaaf koi case nahi karna chahti hoon…
Rohit -- par Sonu……
Sonal -- plz bhaiya……
Sonu ne Rohit ke aage haath jodd diye … to Rohit ke paas aur koi chara na bacha … vo bahar chala gaya…
Sonal -- kirru dii aap Siddh ki relative hain ???
Sonu ne dhadkate seene ko apne haath se thaam liya tha jaise bahut dard ho raha ho…
Kiran -- hmmm…… meri bahan iski bhabhi lagti hai…
Kirru ke reply ko sun Sonu ke aankhon se do boonde chhalak gayi…aur bhare gale se poochha usne…
Sonal-- Real bhabhi lagti hain Siddh ki…
Kiran -- h……haan……r… real hi to hai… h…… hain na siddh.
sabhi Siddh ki taraf dekhne lage… kisi ko kuchh bhi samajh nahi aa raha tha ki aakhir Sonu poochhna kya chah rahi hai siva Siddh ke…
Siddh samjh chuka tha ki aane wala time bada hi kathin hone wala hai… mann hi mann bhagwan ko mana raha tha ki aainda kabhi aisi bhool na hogi plz bacha lo bhagwan…
Siddh -- h…haan … k…k…kiran ki dii meri sagi bhabhi hain…
Sonal-- Kaun ho tum ? Bolo kyu jhooth bola mujhse … kyu 6 mahino se khelte rahe mujhse… jawaab do plzz… kya bigada tha maine tumhara.
Sonu hichkiyan lekar rone lagi…vo iss tarah se Siddh ko dekhte huye ro rahi thi ki Siddh ki reedh ki haddi me ek thandi sihran daud gayi… dimaag sochna band kar keval saay saay kar raha tha…Siddh ka chehra dekh koi bhi kah sakata tha ki vo kabhi bhi ro dega … unn dono ki ye haalat atleast Kirru se to nahi dekhi gayi…
Kiran -- Sonu… sun to sahi…
par Sonu abb kamli ho chuki thi…
Sonal -- na dii… aaj aap nahi . Sirf karodpati Siddharth Singh Rajput aur anath sorry najayaj Sonal jiske poore naam ka bhi pata nahi hai .…vo bolenge…aur aap sab sunenge…
UPDATE :- 116

Jaane kya tha Sonal ki awaaj me jo siddh ko andar tak darra gaya…use apne hathon se Sonu ka hath chhoot ta sa dikh raha tha …Sonu se judai ki kalpna maatra se kaamp utha Siddh…uski tadap uski aankhon se aansu ban kar bahna shuru ho gayi thi…
Siddh-- betu plzz… kuchh na kaho khud ko… galti huyi mujhse bahut bada apraadh kiya hai par…par rona band karo plz…
Sonal -- Par kya siddh… ooh sorry sahab jii… " par " ki to keemat hi nahi hoti hai… Jahan ye par lag jata hai wakya me duvidha pravesh kar jati hai…itna bata dijiye ki aakhir iss poori duniyan me aapka bhi nishana mai hi kyu ??
Siddh -- plz Sonu… yaar itni badi saja na do… ye sab kya bol rahi ho tum… plz Sonu… plz.
Sonal -- Saja … kaisi saja saahab jii… Mai kaun hoti hoon aapko saja dene wali…aapko hak hai … mujh jaisi Ladkiyan aap jaise bade saahab jii ke kaaran aur aap jaise logon ke liye hi to janm leti hain…hai na mama jii… aise hi to aayi hoon na mai bhi…
Sonu Chhale jane ke gamm me bawari ho gayi thi…
Mama ji -- Sonu… ye kaisi bahki- bahki batein kar rahi hai tu…hua kya beta plz bata mujhe…
Sonal -- mama ji.… mujhe mishra sir ne inka naam diya tha aur kaha tha ki " ye tumhari madad kar dega course cover karne me…" kyu ki mishra sir ko kisi aur par bharosa nahi tha…sach bhi tha… ye naa hote to mai fail ho jati…
iske baad Sonal ne dhabe tak ki poori kahani including Mayank ki… Sab suna dii … phir dhabe par jo hua tha vo bolna Shuru kiya Sonu ne…
Sonal -- mama ji jab mai bilkul tooti bikhri vapas jhansi apne anathalaya jaa rahi to ye aaye dhabe par jahan bus ruki thi chai nasta ke liye…tab mujhe ye vahan mile… inhone apne aane ka kaaran ek bahana bataya jabki ye aaye the apni shart ke silsile me kyu ki agar mai chali jati to inaka status khatre me padd jata…Aur aaj mujhe samajh aaya ki aakhir kitni planning ki thi sahab ji ne apne love guru ke title ko bachaye rakhne ke liye…
Vahan garden me baith kar inhone bataya ki ye ek anaath hain… inke mata pita bachpann me hi kisi durghatna ka shikaar ho gaye the… chunki inke pita mr rajput ke driver the to unhone taras khakar inko apna naam diya… apni pahchan di… ye apne swarg wasi mata pita ki yaad me bahut roye the…mujhe bhi bahut rona aaya tha kyu ki tab maine inko bataya nahi tha ki anaath to mai bhi hoon… Inka dard maine apne seene me apni dhadkano me masoos kiya tha…
Usi din ye insaan mere seene me meri dil ki gahraiyon me utarta chala gaya tha… mujhe usi pal lagaaw ho gaya tha kyu ki puri duniyan me mujhe ye mujh sa laga tha…jhansi anathalaya Dekh inhe mere anaath hone ka pata chala…to bhi inone kuchh nahi bataya…
Dheere Dheere ham dono ek duje ke hone lage…jab inhone apne pyaar ka haath meri ore badhaya aur jab maine inka haath thaama tha usi din bata diya tha ki mai haalat ki mari ek bebas ladki hoon…maine apni maa ke sath huye dhokhe ko bhi bata diya tha…apni maa ki bebsi ya jo bhi thi jisse usne apni dudhmuhi bachi ko kisi ke darwaje par daal diya tha vo bhi bataya…mami ki beinteha nafrart aur mohit ke mere jism ko kharonchne wale ginaune iraadon ke baare me bhi bata diya tha…par ye chup rahe…Uss din aur uske baad ke kayi din maine inse khul kar kaha tha ki mai haalat se ldne se nahi darti hoon par plz mujhe kabhi bhi dhokha na dena aur naa hi jhooth bolna…sirf yahi manga tha aur baar baar manga tha… inhone pahle mujhse jhoot bola…uss jhooth ko chhipane ke Liye jhooth pe jhooth bolte chale gaye… phir apni sachai chhipayi aur Meri garibi aur bebsi kauphaas udate rahe…
Siddh bilakh utha iss baat par…
Siddh-- nahi betu… kabhi uphaas nahi udaya…kabhi nahi…plz ek baar mujhe maaf kar do plz mat ro…plz Sonu…
Update -- 117
siddh ki baat ka jaise Sonu par koi asar hi na hua… bas bawri apni hi dhun me bolti ja rahi thi… aankhon se aansu bahna ab band ho chuke the aur honth sukh chuke the… magar aaj vo rukne ke mood me hi nahi thi… yun bole jaa rahi thi jaise mansik santulan hi kho gaya ho… Kirru ke rone ki awaaj lagataar aa rahi thi par vo thi ki bas bolti hi jaa rahi thi…
Sonal-- uske baad……Uss raat jab Siddh aap mere hostel aane ki jidd kar rahe the to maine aapko roka… par aap nahi maane … aa gaye aap vahan… chalo maan leti hoon aapka hak tha… mujhse pyaar kiya tha apne to apko mere upar sare adhikar maine khud ne hi apni khushi se de dala tha… Maine upar aane ke liye mana kiya to aapne kasam rakh di mujh par aur upar aa gaye… aap uss vakt bhi mujhe inn baaton ke baare me bata sakte the… … jab maine poochha ki kyu aaye ho to aapne mujhe choomna shuru kar diya aur madhoshi me bed tak le gaye aur phir aapke haathon ne mujhe…vaha chhua… uff …aur maine aapko dhakka de diya khud par se… kya aapko tab bhi mere upar taras naa aya… aisi madhoshi me bhi mujhe khayaal tha apni durdasha ki vajah ka…
yun lag raha tha jaise koi bhoot sawaar ho gaya tha Sonu par… Mohit se hathapasyi me fat gaye kapdon ko Sonal ne aur bhi buri tarah faad diya … Rohit uthh kar darwaaje ki taraf ghoom gaya… kirru bhagti huyi Sonu ko dhaankne lagi par shayad abb Sonal ki mansik sthiti inn sab baton ko samjhne ke hi layak nahi thi…par bolna abb bhi na ruka tha Sonu ka…
Sonal--Yahan tak ki aapne kirru dii ko bhi jhooth ke farebb baandh rakha tha… isi liye uss din aap dii ko mall me alag lekar gaye the naa jis se vo sach na kah dain… kitna pyaar karte the tum kaash ek baar mere bhi pyaar par bharosa kar liya hota… insaan jisse pyaar karta hai uski achhayi aur burayi sab se pyaar karta hai… par aap nahi samjh pasaye…
Aaj jo baatein kavya aur Mohit ne mujhe batayi agar ye baatein aapke muh se suni hoti to apni muhobbat par lakh lakh vari jati… gumaan karti apne naseeb par…lekin aaj mai nafrat karti hoon tumse … nafrat karti hoon iss jahaan se… nafrat karti hoon uss bhagwaan se…sirf nafrat… beitehaa nafrat…
Sonu paglon ki tarah bas cheekh rahi thi …usne na jaane kitne thappad maar liye the apne chehre par… Sonal ka poora shareer buri tarah se kaamp raha tha…
Siddh ki haalat ek kate huye pedd si ho gayi thi… jo hara- bhara to hota hai par usme jaan nahi hoti hai… ek shabd bhi nahi bol pa raha tha vo… seene me teevra peeda ho rahi thi Sonal ko iss tareeke se bilakhte dekh…bas aage badha aur pair pakad liye Sonal ke… lekin tab tak vo behosh ho chuki thi…
Samajh mein na aaye
Yeh kya manjhara hai
Tujhe paake dil mein
Yeh khali sa kya hai
Kyon har waqt dil mein
Koi bekali hai
Kyon har waqt seene mein
Rehti kami hai
Tu jo nahi hai toh
Kuch bhi nahi hai
Yeh mana ke mehfil
Jawan hai haseen hai
UPDATE :- 118
Sonal ke behosh hote hi Siddh ki haalat vichitra ho gayi… yun lag raha tha jaise koi peeliya ka rogi ho… poora sharir peela padd gaya tha…aankhon me dard ka samndar hilore le raha tha jiski ufanti lahre uske gaalon ko bhigo rahi thi.
Sonal ke jism ko apni baahon me jakad kar use vo paaglon jaise jinjhod raha tha…Koi hosh nahi tha ki aas paas aur log bhi khade hain… bas apni dhun me use uthane me laga tha…
Siddh -- betu… meri babu… na aise nahi karte shona… uth jaa yaar … marr jaaunga tere binn… tujhe khona nahi chahta tha meri son pari… issi darr se kar baitha ye apraadh…tujhse door hone ki soch bas meri jaan nikaal deti thi betu…tere liye duniya chhodd dunga bas ek baar maaf kar de… meri jaan hai tu… plzzzz betu … meri kasam hai uth ja…aankhein khol yaar plzz…
Par Siddh ke ek ishare par jaan chhod kar daudne wali Sonu itni beraham ho gayi thi ki paani ke chhinte dalne par bhi usne aankhe na kholi… sirf hili thi…mishra ji ne ghabraa kar Dr ko cl kiya aur Mama ji ne Siddh ki taraf dekh apne haath jodd liye par muhh fere rakha…tadap utha Siddh ye dekh kar…
Siddh--Mama ji plz aap mujhe galat na samjhiyega…mujhe aisi baat nahi karni nahi chahiye aapse par besharam ho kar bol raha hoon … mai Sonal se bahut pyaar karta hoon… kuchh mauka nhi mila sach bolne ka kuchh muhobbat ne khudgarj bana diya tha … darta tha khone se usko…
Mama ji -- Aur ab paa liye apne usko…itna kahna chahunga ki ham logo aur aap logo me jameen aasman ka antar hai… jo jhooth bol kar aap chhipa gaye uske bojh tale hamari beti apna hosh kho baithi… aapse nivedan hai aap yahan se chale jayein…
Kiran-- aap samjhne ki koshish kijiye… Siddh batana chahta tha par haalaat aise ban jaa rahe the ki chah kar bhi na kah saka vo… mama ji kam se kam aap to samjhne ki koshish kijiye…
Mishra ji -- Kirru kafi vakt ho gaya hai… tum apne doston ko lekar ghar jaao…
Siddh -- nahi jab tak Dr nahi aa jate meri Sonu jaag nahi jaati mai yahan se kahi naa jane wala…chahe aap log meri j
Mama ji -- jana to aapko hoga… ek baar aap Sonal ki iss sadme se ubarne dijiye baki baatein baad me sochi jayengi…
Siddh-- plz mujh par ye julm mat kijiye Mama ji … badi bhool huyi mujhse manta hoon apraadh mafi ke yogya nahi hai par use bahut pyaar karta hoon…par use khone ka darr aur bante - bigdte haalaton ki mehrbaani ke karan mai sach ko uss par jahir nahi kar paya… meri jindgi hai vo… pagal ho jaunga uske bina… plz
Ye sab baatein ho hi rahi thi ki Dr bhi aa gaye… Mishra ji ne sabko khamosh ho jane ko kaha… ab tak kirru ne Sonal ke kapde theek kar diye the…sari baatein sunne aur Sonu ko chk karne ke baad Dr ne Sonu ko ek injection lagaya aur aaraam karne ki salaah di… sath hi tanaav se door rkhne ke liye kaha…kyu Ki Dr ke hisab se Sonu ko kisi baat se gahra aaghat pahunch tha…Mishra ji Dr ko baahar tak chhodne gaye…
Mama ji-- Ho gayi taslli… sun liya Dr ne kya kaha… ab kis baat ka intjaar hai tumko … ab yahan se chale jaao…
Siddh bhari kadmo se apni jindgi se door chal diya…shayad ye faisla aur bhi galat tha…Bahar jaane se pahle ek gahri najar daali siddh ne Sonu ke chehre par aur bujhe man se kirru aur Rohit ke saath apne ghar chala gaya……
Siddh ke vahaan se jaane ke baad Mama ji Sonu ke kamre ke bahar baith gaye laakh kahne par bhi paani nahi piya unhone…Sari ghatnayein ghoom rahi thi unki aankhon ke samne…
Udhar Siddh apne ghar pahunch kar duniya jahan se door kamre ke ek kone me sari raat bilkhta raha…aaj usko sab kuchh kaat khane ko daud raha tha…ye bebsi uske bardaasht ke baahar ho gayi to jaa pahuncha apne ghar ke pooja grih me aur bhole baba ji ke samne de maara apna sir…
Siddh-- Bhole baba ji…Sonu ki tabiyat kharaab ho gayi hai vo bhi sirf meri vajah se…mai to thahra jhootha lekin vo maasoom hai…Jindagi Me pahli baar jhooth bola hai… usse to nahi kah paaya lekin uski jagah aapse kah raha hoon…kuchh paristhiyon ke karan kuchh use khone ke darr se kar baitha ye galti…vo bahut achhi hai… uski takleef mere sir de dijiye
UPDATE :- 119
kuchh paristhiyon ke karan kuchh use khone ke darr se kar baitha ye galti…vo bahut achhi hai… uski takleef mere sir de dijiye aur meri khushiyan usko… plz .
__________________________
-:*: present :*:-
Aditi saari raat siddh aur Sonu ki prem kahani sunati rahi aur Aarohi apni dhadkano ko thame sunti rahi…aaru ki aankhein ab bhi namm thi… jaane kab aakar Amit bhi vahi niche baith gaya tha… Aditi to dekh bhi nahi payi thi par Aaru ko uske aane ka pata tha…
Amit aur Aarohi dono ki aankhein rone aur na sone ki vajah se bilkul lal ho gayi thi…vahi Aditi ki aadat ho gayi thi… Aditi ke achanak chup ho jane se Amit baukhla gaya…
Amit-- Phir kya hua Aditi… Sonal ko jab hosh aaya to usne Siddh ko to khoja hi hoga naa…Sonal ne maaf kiya ya nahi champ ko… vo dono dobara mile bhi ya nahi… plz batao yaar… chup kyu ho gayi tum…plz tell me yaar…
Aditi-- Amit ji agar vo dono mil pate to shayad mere bhai ki ye haalat nahi hoti…uske baad jo bhi hua vahi vajah hai mere bhai ke pagal pann ki … Sach me pagal kar diya mere bhai ko iss muhobbat ne…
Aditi ki awaaj ki vedna ko koi bhi mahsoos kar sakta tha…
Aarohi-- khud ko samhalo Aditi… jo hona tha vo ho chuka hai… ab jo samne hai uske baare me socho… iss samay sabse jyaada jaruri champ ka apni life me vapas lautna hai… chahe isske liye kuchh bhi karna pade… kuchh bhi…
Aarohi ke chehre par dridh nishchay ki chamak ubhar aayi…
Amit-- hmm … ye to hai… I m fully agree with Aaru… Hame apna purana Siddh vapas lana hai vo bhi jald se jald…Par Aditi aage kya hua tha ye to batao…
Aditi bolne hi jaa rahi thi ki achanak darwaja par halki knock ke saath kamre me Siddh aa pahuncha…
Siddh-- are Tum log jaldi uth gaye yaa raat bhar soye hi nahi…aur Amit bhai aap to to raat se hi lapta ho… hmm.
Amit-- bhai mai to abhi aaya hoon baki inn dono ka mai nahi janta hoon…Aaru ka pair dard poochhne aaya tha…mai chala ready hone… itna khoobsurat mausam room me thode hi kharab karna hai… aap sab bhi ready ho jao…
itna Kah kar Amit ne Aaru ke chehre par ek najar dali aur kamre se bahar nikal gaya… Aditi ne bhi Siddh ko pyaar se gm wish kiya aur bahar nikal gayi…ab room me Siddh aur Aaru bache…
Siddh-- Are ye log mere aate hi aise kyu chale gaye…
Siddh ne sir khujlate huye Aaru se punchha to use hasi aa gayi… aur karti bhi kya champ lag hi itna cute raha tha…
Aarohi-- lo Amit ne jo bola vo tumne suna nahi kya… vo sab itna suhana mausam room me nahi kharab karna chahte hain bas aur kya …
Aaru ne behad sweet si smile ke sath kaha to Siddh jhemp gaya…
Aarohi-- Mai bechari nahi le paungi mausam ka majja apne moch khaye pair ki vajah se…
Aaru ne apno hontho ko gol kiya aur sad sa muh bana liya… poori tota lag rahi thi…Siddh ki hasi chhot gayi…
Siddh-- kisne kaha ki tum mausam ka majja nahi le paogi…
Aarohi-- lo champ… mai to langdi hoon na… to kaise tahal paungi…
Siddh-- jaise yahan tak aayi thi…
Aarohi-- hi hi tumhari godi me … thak jaoge tum…
Siddh-- bilkul nahi…
Aarohi-- tab to majja ayega Siddh…chalo purane din yaad karte hain … ek baar phir se badmashiyan karte hain… chalo na baag se amrood churate hain… tappar ki chai aur pakode khate hain… aaj phir tumhare fvrt Bati chokha banate hain vo bhi jangal me … aur khoob mirchi dalenge jisse kirru ro de khate huye…
Aaru to aur bhi bolna chahti thi lekin Siddh ki baat ne use khamosh kar diya …
Siddh-- nahi jyaada mirch bilkul nahi dalna hai… Sonu ne mana kiya hai jyaada mirch khane ko… vo gussa ho jayegi…
Siddh ki baat sun Aaru Siddh ka chehra dekhne lagi jo bilkul samanya tha… nahi vo kisi bhi dimagi avesh ke giraft me tha aur na hi koi banwati pan me.…uske chehre par uski adhoori muhobbat ke haseen pal ki kabhi na bhoolne wali parchhaiyan chhitki huyi thi…
Tu jo mila toh yun hua
Ho gayi poori adhoori si duaa
Tu jo gaya, toh le gaya sang tere
Mere jeene ki har wajah
Ho jaaye jahaan tu jaaye
Paaye mujhe hi paaye
Saaye ye mere hain tujh mein samaaye
Sitaron ke jahan me milenge ab yaara…
Update 120

______________________
Dosto Siddh ka chehra dekh Aarohi ke mann ke kisi kone se cheekh cheekh kar aawaj aane lagi ki
" Kyu kisi se itni muhobbat karte ho ki pagal ho gaye ho champ, kyu itna tadap rahe ho ki jindgi maut se badtar ho gayi hai " …
par jo bhi awaaj thi vo dil ki dil me hi dabb gayi… kyu ki chup rahne me hi bhalai thi… baat ko sulgaana to tha nahi so Aaru chup hi rahi…
Siddh tha to Aaru ke paas par uska mann bhatak raha tha… Aaru bade hi gaur se dekh rahi thi Siddh ke chehre par aate - Jaate rango ko… tabhi uska dhyaan uske Shart ki khuli buttons se uske chaude seene par chamkte locket par gaya… ek chhota sa " ss " tha vo.… Shayad Siddh ne apna aur Sonal ka naam ab bhi jodd rakha tha iss locket ke sahare…Aaru ke dil me tees si uthi iss muhobbat ke liye jisne aashiq ko pagal kar diya tha…
Thodi hi der me Aditi Aaru ki bag lekar aa gayi to Siddh baahar aa gaya…
Baahar baadlon ne mausam ko bilkul khushnuma bana diya tha… samanya se tej chalti thandi hawa aur charon taraf ki hariyaali … ek baar phir se Sonu ne Siddh ke jehan me angdaayi leni shuru kar diya tha…
doston pyaar ho yaa judai… mausam ka asar saaf dikhta hai premiyon par…
Saamne pada Rohit ka guitaar Siddh ko apni ore kheenchne laga… jise bajana Siddh ne usi sitamgar ke liye seekha tha jisne jaate vakt palat kar bhi naa dekha…anayaas hi badh chala Siddh aur utha liya .… jaane kab ungliya jhoom uthi aur labb gunguna uthe dard ka fasana
Tune mere jaana,
Kabhi nahi jana..
Ishq mera dard mera,
Aashiq teraaa….
Bheed mein khoya rehta hai,
Jaane jahaan…
Poochho toh itna kehta hai,
That I feel so lonely
There’s a better place then this emptiness…
Siddh ke dil ka dard uski aankhon se bahne laga…aur gaane ka ant hote tak gala bhi bharra utha…
Doston muhobbat ki tadap se to aap wakif hi honge… jab dil rota hai hai to to kuchh bhi samjh nahi aata hai na hi koi bhata hai chahe kitna hi ajeej kyu na ho…
Nikal gaya Siddh akela… usi ore jidhar kabhi uski muhobbat guljaar hua karti thi… Yun to uss Sitamgar ko vo kabhi nahi bhoolta tha par aaj yaadon ne kuchh jyada hi shor macha rakha tha…ujde ishq ke galiyaaron me jaane kitni door nikal aaya Siddh… par haath kya laga kuchh bhi nahi…
Jab himmat jawaab de gayi to vahi sookhi patiyon aur lakadiyon ke dher par baith gaya jahan kabhi uska prem vriksh hua karta tha…chehre ko dono haath me chhupa kar ro diya … jyada der nahi hua tha ki usne apne kandhe par kisi ke haath ko mahsoos kiya… iss sparsh ne use buri tarah chaunka diya… Aur jab usne apna sir uthaaya to Saamne khade shakhs ko dekh uske sabra ka baandh toot gaya…
Siddh-- kirru… kaise aa gayi tu yahan tak…kaise khoja tune mujhe?
Siddh chaunk kar charon taraf dekh hi raha tha ki Kirru gusse me cheekh padi…
Kiran -- Kya karte ho Siddh… kitni tej chalte ho… kitna pair dard hone laga tumhare peechhe aane me tumko andaja bhi hai… tum kitne selfish ho gaye ho siddh …
kirru ne daant lagayi to Siddh ne apne dil ka haal udel liya…
Siddh-- kirru… tu to dii hai na uski… bula de na yaar… bahut yaad aati hai vo… teri to sunti hai na vo… plz yaar ek baar bas ek baar tu kaise bhi kar ke bula de… aage meri jimmedaari… iss baar koi galti nahi karuga plz…
UPDATE :- 121

_______________
Siddh bahut pyaara dost tha kirru ka aur Sonu ki maut ka gumm kirru ko kam nahi tha par yah aisi paristhiti hoti hai jab siva santwana ke samne wale ko aur kuchh bhi nahi diya jaa sakta hai… vahi kirru ne bhi kiya……
Kiran-- Haan Siddh… mai Jaroor bolungi apni chuhiya se par tujhe na himmat se kaam lena hoga… aur pahle mujhe strong bankar dikha tab bulaungi chuhiya ko samjha naa… chal abhi uth ja mottu mujhe to joron ki bhookh lagi hai…
kirru ki baaton ne Siddh ke jakhmo par malham ka kaam kiya…bilkul ek chhote bache sa chal diya kirru ke peechhe…
Udhar Aditi ki help se Aarohi ready ho gayi… jab Aditi nashta lene gayi to Aaru ne Socha ki chal kar dekha jaye… Bade hi himmat ke Saath Aaru do hi kadam badha payi thi ki ladkhada gayi… par jameen par nahi giri … khud ko kisi ki bahoon me mahfooj pakar rahat ki saans li usne…ye amit tha…jo Aaru ki iss jor aajmaish se khafa ho gaya…
Amit-- Kya karti ho Aaru… abhi to gir jati tum…
Aarohi-- Sorry yaar, mai bas dekhna chahti thi ki chal sakti hoon ya nahi…
Amit-- Faida kya aisi waahiyaat koshish ka…jara bhi chook huyi to lene ke dene padd jayenge…
Aarohi-- Amit tum mujhse itne rude kyu ho gaye ho … aisa kya kar diya maine…
Amit-- mujhe galat mat samjho… mai to bas tumhe takleef me nahi dekh sakta hoon… vaise Aaru iss haalaat ka faida lo aur Siddh ke kareeb jaao… may be bahut kareeb jaana pade par Siddh ko vapas laana hi hai…
Amit ki awaaj me kuchh aisa tha ki Aaru ne badi hi bechaini se uski taraf dekha…
Aarohi-- hmm… koshish kar rahi hoon…Aditi se abhi Sonu ki maut ka bhi karan poochhna hai aaj raat…aur uske baad Mishra sir ke ghar bhi jana hai milne… tabhi aur baatein pata hogi…
Amit-- mai samjh nahi paa raha hoon ki tum kyu mishra ji ke ghar jaakar gade murde ukhadna chahti ho…
Aarohi-- darsal jise tum gade murde ukhadna kah rahe ho use meri bhasha me tasalli karna kahte hain samjhe…
Aaru aur Amit abhi baatein kar hi rahe the ki Vahan Siddh aa pahucha kirru ke sath …
Siddh-- Kis baat par itni garma - garmi chal rahi hai Amit bhai…
Amit-- Yaar Siddh… ye ladkiyan fijool me til ka taad bana deti hain… baat ka afsaana bana deti hai…
Siddh-- Nahi amit… aisa nahi hai… kabhi kabhi vo hame hamse jyada samjhne lagti hain… aise haalaat me hame hamari kamiyaan dikhati hain vo…
Amit-- mai bhi kahan sir maar raha hoon… sara shahar janta hai ki Aaru ki galti tu nahi maan sakta hai…mai bhi na faltu me sir maar raha hoon…
Kiran-- Dekha khud se tune maan liya tu kitna bada mahaan hai… chal abhi nashta kar phir ghoomne bhi chalna hai…aur haan Siddh baati Chokha tum boys hi banaoge… theek hai na?
Siddh-- chokha to vo banayegi… mmmm… mere muh me to abhi se paani aa raha hai…
Siddh apni dhun me bol gaya ye line aur apne nashte ki plate khali karne me jut gaya… uski baat sun aaru chaunki par use bhi ye samjhte der na lagi ki vo galti se Sonu ke baare me bol gaya…
Thodi hi der me sabhi khoobsurat najaron ka maja le rahe the… resort se hi Aaru ke liye wheel chair le li thi Siddh ne … tahlte tahlte kafi aage aa gaye the Sab to vahi par baith gaye thak kar … bati chokha banna bhi start ho gaya… Siddh gum sum sa aasmaan ki taraf badlon ki awajaahi dekh raha tha…Aaru ne Siddh ko yun dekha to paas baithi Aditi se poonchh uthi…
Aarohi-- Sonal ko barish pasand thi kya ?
Aditi-- hmm… kafi… baawari ho jati thi vo… jab tak barasta tha paani tab tak bheegti thi vo… mera bhai bhi diwaano sa uske saath jhoomta tha…Bilkul uske liye hi jeene laga tha…
Aditi ne Sonu se judi kayi baatein batayi… uski pasand- napasand…Siddh ka diwanapann Aur bhi bahut kuchh… bati chokha ready tha aur haan chokha Siddh ne banaya tha jo bahut testi bana tha…sare mast the aur usi vakt mausam ne bhi karwat le li…