UPDATE 30
NAZYEZ
_______________________________
thik hai jo hoga dekha jayega ye lo iss se tu bhi kuchh ho dino mei devnath ban jaoge sath hi tum teeno mil kar iss takneek se meri upsatithi ko chhipaa paoge jab tak jaruri naa huya tab Tak Mai mubaas nhi lautunga ..
Dher saari baate karne ke baad Arjun nei uss insaan ko 2 kagaz thama diye jinmei ek uss insaan ko devnath ban'ne mei madadgaar sabit hota to dusra ek seal tyar karne mei safal hota jo arjun ki Shaktiyo ko dushmano se kuchh waqt ke liye chhipa ke rakhne mei shaksham thi iske sath hi Arjun nei kuchh bottles bhi di jiss mei dher saari Shaktiya badhane wali goliya thi ye goliya Arjun nei hi banai thi kahi na kahi Arjun ko andaza tha iss musibat ke aane ka iss liye Arjun nei bhari taraf mei ye goliya bana di thi inn se jo kamjor yodha the wo jalad se jaldi takatwar bana sakte the
Yaad rahe asli takat mukablo mei lad kar pata chalti hai tazurba bhi wahi milta hai ladne ka iss liye humare yodhao ko siraf goliyo pe hi nirbhar nahi rahena hai unko khud ke dum pe bhi takat hasil karni hogi
Arjun nei ye sab experience kiya huya tha iss liye wo jaanta tha kon kis tarah takatwar ho sakta tha siraf goliya khaa kar takatwar hone wale yodha akasar kamjor hote the
Dost humare gathbandhan mei Rishi rank se kam ke yodha nhi hai bas unko thodi or training ki jarurat hai ager gurudev hote to shyad abb tak uss joraas ko khatam kiya jaa chuka hota ..
Gurudev ka jikar sunn Arjun hairan ho gya Arjun ko achhi tarah yaad tha jab wo mubaas planet se aya tha tab gurudev wahi the fir achanak wo kaha chale gye
Gurudev wo kaha chale gye kahi unko kuchh ho to nahi gya ...
Nhi bhai wo thik hai bas jab se tum lapata huye ho tab se wo apne sadhna mei lean ho gye hain to wo humare hi shaher mei par unke eknat ko koi bhi laangh ke nahi jaa sakta jab unko koi baat karni hoti hai to wo anterman se leader se baat kar lete hai
Arjun- ohh to ye baat hai khet koi baat nahi sahi samay aane par mai mubaas aa jaunga filhal ke liye jo mene kaha hai wo karo samjhe mubaas jaane se pahele tum mere sath chalo yaha ka bhi rahen sahen dekh lo thoda
??- nahi bhai abhi nahi abhi mujhe tumhare diye kaam pure karne hai wada karta hu mai jaldi hi tum se milne aunga abb izazt do chalta hu
Arjun ko usa insaan ki aankho mei kuchh majburi dikh rahi thi iss liye usne uss insaan ko jayada force nahi kiya dekhte hi dekhte wo ladka jo aasmaan se jaise aya tha vaise hi laut gya usse jaane ka dukh to tha mager mubaas mei aayi musibat ke chalte usse jana pada Arjun bhi thoda nirash udaas ho gya tha mager aage hone wali jung ka soch wo khud ko teyar karna chahata tha kuchh waqt pahele jo toofan iss jungle mei aya tha abb wo tham chuka tha Mausam bhi pahele jaisa ho gya tha devgarh vasi abb apne gharo se nikal aye the Jo uss jungle se lagte the shaher ki chahel pahel fir se badh gyi sabhi ko laga jaise jungle mei gya insaan janwro dowara khaa liya gya ho asali baat kya thi kisi ko nahi pata thi ..
Arjun bhi uss jagah ko pahele jaisa kar waha se gyab ho gya jab wo dikhai Diya to devmahel ki chhat pe tha wo main gate se ander nahi aa sakta tha iss liye wo chupke se chhat se uter kar apne kamre ki taraf Jane laga kintu Arjun bhool gya tha ki yaha koi hai jo uski har activity pe nazare rakhe huye hai jab Arjun dabe paav sidiya uter ke apne room ki taraf Jaa raha tha to usse ek jani pahechani par gusse se bhari awaz sunnai di
Aa gye devnath
Ye awaz dhimi thi par ussme ek garzan thi jab Arjun nei devnath naam sunna to usne turant apna matha pit liya kyuki sach mei Arjun ARDHA Amma ko bhool hi gya tha na chahate huye bhi arjun ko jabrdasti hansna pada
Hihi Amma aap yaha iss waqt or ye devnath kon hai
Jhuthi hansi hanste huye Arjun nei kaha lekin Ardha Amma Aaj sach mein gussa thi ajun ko pata tha ki ARDHA AMMA parmatma level ki Shaktiyo ki
Maalik hai unse kuchh bhi nahi chhip sakta jahir hai aaj jo kuchh bhi jungle mei huya hai wo sab ardha Amma apni anterdrisgty se dekh chuki hai
Mujhe nahi pata tha mera lala mujhse jhuth bhi bol sakta hai wo atmamani se vidvans bana'na mahej ek ankho ka dhokha tha asal mei ye devputtera to pahele se hi parmatma level paa.chuke hai yehi nhi wo to apne pitta devansh thakur se bhi 3 baar mil aye hai ....
Asal mei Jab jungle mei wo jung khatam huyi or wo insaan mubaas laut gya tab hi ardha Amma apni anterdrishty se devansh thakur se mil kar ayi thi tab unko pata chala ki Arjun pahele se hi parmatma level paa chuka hai or apne pitta se 3 baar mil bhi aya hai ye baat yaha devgarh ki nahi thi ye baat tab ki hai jab Arjun mubaas jaise ek or planet pe tha or teesri baar Arjun tab apne pitta se mila tha jab wo jagmohini dawara ghayel huya tha inn teeno baar arjun siraf o siraf apne pitta se ek hi sawal karta tha uske pitta devansh thakur bas ek hi jawab dete ki sahi samay aane par sab bata diya jayega jiss wajah se Arjun nei apni aatmik Shaktiya chhipa li ...
Amma.mene koi jhuth nahi bola aap se bas kisi ko meri Shaktiyo ka pata na lag jaye iss liye chhipa ke rakhi thi or rahi baat atmamani ki to usski madad se mei papa ki banai gyi Shakti ko khud mei samaane ke liye khud ko majbut karna chahata tha bas iss liye uss atmamani ka upyog kiya mene
Arjun ko wo din yaad aa gye tha jab jab wo apne pitta se mila tha wo sab yaad karte hi arjun bhi thoda gussa aane laga tha kyuki arjun ko uske gale mei pahene locket ka rahsya jan'na yehi sawal Arjun apne pitta.se.karta tha kintu uske pitta har baar usse sahi samay ka jhaansa de dete iss gusse mei Arjun nei ardha Amma ko jawab diya Arjun chahata to kab ka shaqti ki Shaktiyo ko apni bana chuka hota lekin Arjun ruka huya tha kyuki usse pahele uss locket ki mystery ko solve karna tha uss locket mei arjun ko shaqti jitni hi Shaktiya mahesus hoti thi ager Arjun shaqti ko hasil kar leta to shayad uss locket ki Shaktiyo ko wo jaan nahi paata
ARDHA AMMA - lala tumne Hume dhokhe mei rakha hai ager tum hume bata dete to shayd hum tumhari madad kar dete par nhi tumne humpe vishwas nhi rakha hum tumhare liye din raat duya karte rahe ki tumeh kuchh naa ho par hum galt the kyuki tum khud ko pahele hi bacha lete ho tumne ek maa ka dil dukhya hai lala
Arjun-Amma aap chahti hai ki Mai apni puri Shaktiya ujager kar du to thik hai kar deta hu par yaad rahe jo musibte uske baad ayengi wo sab aap ko sambhalni hongi ager nhi sambhal sakti to mujhe agya de mai firse apni duniya laut jata hu Kam se kam ye jo aap log yaa bahar ke log aa kare gussa dikhate hai ye to nhi hoga fir chalta hu aage se aap logo ko ye shaqal dekhne ko nahi milegi or dhanyawad jo aap nei meri raksha ki mujhe mere mumma aur maa se milwaya jai bhavani
Itna bol Arjun sidha apne kamre mei naa Jaa kar ground floor pe uter gya dekha to paya Radha singhaniya or suchitra thakur ek sath bethi huyi thi unko dekh Arjun nei chutki Baja kar apne hath mei wo kahzaat liye jinn mei iske devgarh ke waris aur pure devgarh ki jayedat naam thi wo kahzaat le kar arjun sidha Raja sahab jogender thakur ke paas gya jo haal mei virajmaan the
Bade dada ji ye wo kahzaat hai jinmei mai waris hu or puri jayedad mere naam hai ajj se mai ye sab rajveer Shivam bhaiya or om bhai ke naam kar raha hu aage se mujhse koi umeed mat rakhna kyuki aab Mai yaha nahi rahene wala naa hi mai kisi apne ka gussa sahen karne wala hu Jaa raha hu mai yaha se hamesha ke liye
Maa mumma chalo chalte hai maugli agel hafte hum college mei hi milenge
Ye sab Arjun nei ardha Amma ki taraf dekhte huye kaha tha jo arjun ko rokne uske pichhe hi ayi thi unko devansh thakur nei kaha tha ki arjun ko abhi gussa dilana thik nahi hai naa hi wo.kabhi aage aisa.kuchh kare fir bhi ardha Amma se sahen nahi huya aise Arjun ka unse Shaktiya chhipana.aur.anjane mei hi wo arjun ke karodh ki jawala ko hawa.de gyi har koi Arjun ki iss baate se hairan pareshan ho gya akhir abb kisne Arjun ko gussa dilaa diya tha achanak sab ulta kese ho gya kaha to sab arjun ke naa lautne se pareshan the aur abb Arjun ke chale jaane se pareshan ho uthe the
Par beta huya kya hai baat to batao
Jab Raja sahab jogender thakur ji se raha nahi gya tab unohne usse puchha par arjun to kisi ki baat ka jawab tak dene ko teyar nahi tha uske muh pe bas ek hi baat thi
Mumma maa aap dono mere sath chal rahi hai ya nahi
Suchitra aur Radha stabh si khadi bas Arjun ko hi dekh rahi thi aisa pahele bhi huya tha lekin tab sab nei arjun ko ro liya tha mager iss baar to Arjun ki aankho mei yaha se chale jaane ki sachai nazar aa rahi thi
Ajju mere bhai huya kya hai kisi nei tumse kuchh kaha hai kya mujhe batao
Shivam thakur nei arjun ko puchha par arjun. To ek hi baat uski juban pe thi
Aap dono chal rahi hai yaa nahi
Bhaiya mai chalungi aapke sath mujhe bhi nahi rahena yaha jaha mere bhaiya ko har koi naraz kar deta hai
Beta yaha nahi rahena to mere sath Dharmgarh chalo wo bhi to tumhara hi Ghar hai na
Aap dono chalengi yaa nahi
Ajju beta huya kya hai hume baatao to. Sahi
Arjun- akhiri baar puchh raha hu chalogi yaa nahi
Alag alag har koi Arjun se aise jaane ki wajah puchh raha tha par arjun siraf apni janam dene wali maa aur palne wali maa ki taraf dekh kar ek hi sawal pichhe Jaa raha tha aur ab to arjun ka gussa badh raha tha
Suniye ye sab ho kya raha hai aap bata kyu nahi rahe kuchh
Akhirkaar manjusha nei arjun se baat ki usse bhi kuchh kuchh samjh aa raha tha kyuki har koi Arjun ko puchh raha tha par ardha Amma ek kone mei chup chap khadi huyi thi
Jab kisi nei koi jawab nahi Diya to arjun nei apni jeb se phone nikaal kar kisi ko call kiya aur bola
Arjun- 2 minutes mei Mera helicopter yaha hona chahiye mere helipad pahonchne se pahele samjh gye
Itna bol Arjun nei phone cut Kiya aur Divya ka hath pakad ke mahel se bahar nikal gya ye sab dekh sab ki sanse tham si gyi suchitra to jaise behosh ho ho gyi usse apni chupi sadhne pe gussa aa raha tha ek wo waqt tha jab suchitra nei apni santaan ka teyag kiya tha aur ab. Ek ye waqt hai jab wo apni ussi santaan ko khud se dur jata dekh rahi thi suchitra ko abb aisa lag rha tha jaise uski duniya ujad rahi ho Radha singhaniya ka bhi kuchh suchitra jaisa hi haal tha dono ke jiger ka tukda tha Arjun..
Idher Arjun Shera bhai ko bhi jaane ka ishar kar gya uske pichhe uske sathi Sher sherni bhi apne bachcho ke sath ho liye jab arjun devmahel ki boundary ke main gate ke bahar nikala tab assamaan mei ek ke baad ek helicopter devmahel ki chhat ke uper se nikal kar gye ye sab dekh kar devgarh ke log bhi apne kaam dhandha chhod kar sab ho dekhne lage Arjun ke pichhe pura pariwar usse rokne mei laga huya tha par arjun ke kadam nahi ruk rahe the wo to Divya ka hath pakade bas aage badhta Jaa raha tha akhir kaar Arjun pedel hi helipad tak pahonch gya or bina kisi se kuchh kahe Divya ke sath helicopter mei Beth gya aur udaan bharne ka ishara kiya Arjun ke ishare pe helicopter start huya aur dhire dhire hawa mei udd gya tab garzti huyi ek awaz sabhi ke kanno mei padi
Mai yaha apne pariwar mei rahene aya tha apni maa ki gaud mei sar rakh Sona chahata tha mager mere naseeb mei maa baap pariwar ka pyar nahi tha ab. Ye Arjun kabhi bhi kisi se nahi milega kyuki abb tak mai akela hi raha hu shayad bhagwan nei mujhe akele hi rahene ka sharaap diya hai ...
Ye bol Arjun ke the iss baat se jahir tha ki abb Arjun kabhi bhi laut ke nahi aane wala tha wo aab Jaa chuka tha sab kuchh chhod kar shayed ye arjun ka naseeb tha kahete hai ek chhoti si galti insaan ko sab se alag kar deti hai ye huya tha ardha Amma se bhale hi unka Arjun se gussa hona jayez tha lekin itna bhi nahi ki arjun sab ko chhod ke chala jaye jab ki devansh thakur nei ardha Amma ko kaha tha ki arjun ko gussa ya naraz na kare ager Arjun nei kuchh chhipya hai to uske pichhe koi to kaaran hoga lekin Ardha Amma apni narazgi mei itni andhi ho gyi ke unohne Arjun ko naraz kar diya or abb arjun sab ko dukhi kar ke ek baar fir akela ho gya lekin iss baar uske sath Divya thi
Arjun ke helicopter ke udte hi uske pichhe 4-5 helicopter or udd gye ye sab Arjun ke hi the bakiyo mei Shera bhai or unki team thi uske baad Virat and team fir Anna aur unki family last jo bache unn mei Arjun ke sher Sherni the hawa ko cheerte huye sabhi helicopter ek or badh rahe the kaha Jana tha ye sabhi pilots ko pata tha Arjun ke devmahel se jaane ke baad to jaise yudh hi chhid gya tha har koi ardha Amma ko sunna raha tha ajj paheli baar ardha Amma itni kamjor mahesus kar rahi thi khud ko unki apni koi aulad nahi thi unohne Arjun ko hi apna bachcha maana tha lekin ajj wahi bachcha unki hi wajah se ghar chhod gya tha ardha Amma ka Arjun pe gussa hona jayez tha par unko samjhna bhi chahiye tha ki arjun nei aisa kyu kiya hoga jab ki ardha Amma jaanti thi ager Arjun ki Shaktiya ujager huyi to uske dushmano ko pata chal jayega fir bhi wo gusse mei anaapshanaap bol gyi Arjun ko gussa ardha Amma ki narazgi se nahi aya tha unohne kuchh baat aisi kahe di thi jisse Arjun ke ander ki jawala foot padi
AKHIR TUMNE NAZYEZ HINE KA PARMAAN DE HI DIYA
yehi wo alfaaz the jo gusse mei Ardha Amma ki juban se fisle the bhale hi unohne ye baat dhime savar mei kahi thi lekin wo bhool gyi thi ki unke samne kon khada tha ye baat Arjun ko sunnai de gyi thi iss liye usse gussa aa gya or wo ghar chhod gya
Ardharani tumhari himat kese huyi mere bachche ko NAZYEZ kahene ki kya tumeh pata nahi hai ki uska janam. Kyu aur kis liye huya hai tum to usse hum sab se jayada maanti thi fir ajj ye sab kyu kya bigada hai suchitra didi nei tumhara kya tumhe unke teyag ka jara bhi khyal nahi aya aare abhi to dono maa bete ka rishta sudhrne laga tha or tumne usse ek baar fir maa bete ko alag kar diya akhir tum chahati kya ho kya ho gya hai tumeh
Doctor manjuli jo Arjun ke chale jaane ke baad ya kaha jaye Arjun ko rokne ke chakr mei tezi se ayi thi lekin unke aane se pahele hi sab kuchh bikhar chuka tha subha Tak jo devmahel mei shorgul ho raha tha wo achanak hi kisi maiyat mei tabdil ho gya Radha singhaniya or suchitra thakur to jaise besudh si ho gyi thi unki taraf to kisi ka dhyan hi nahi tha dono ki aankho se laga taar ansu bahe Jaa rahe the ek maa nei janam dete ho arjun ko khud se dur kar diya taa ki uski zindgi bachi rahe aur dusri maa ko to arjun ko thik se palne ka mauka tak nahi mila jab unki zindgi mei vikrant singh naam ka Toofan aa gya itne saalo baad jab ve log apas mei mile to kuchh dino ki khushiyo ke baad fir se unki zindgi mei andhera chaa gya tha
ARDHA Amma abhi koi jawab deti itne mei bahar ek luxury ben aa ke ruki usmei se kuchh log jo doctors ki costume pahene huye the wo ander aye aur Radha singhaniya or suchitra thakur ko utha kar Ben mei dala inke sath iss baar Sunita Choudhary rajveer Shivam thakur uski patni om thakur uski patni manjusha Sameer Ajay Vijay vishal aur Sameer ki bahen rusana bhi chal diye inke jate hi devmahel sunsaan sa ho gya tha jaise abb devmahel ki raunak khatam ho gyi ho itne logo ko jata dekh kisi ki himat nahi huyi unko rokne ki sab jante the ki wo bhi rukne Wale nahi the lekin ek bada sawal ye doctor kisne bulaye the aur suchitra thakur ke sath Radha singhaniya ko aise kyu le gye wo
Rani bitiya ye sab kya tha
Dada ye ye mene nahi khud Arjun nei kiya hai shayad hum apasi ladai mei unn dono ko bhool hi gye the unko arjunke jaane ka sadma laga hai par afsos mai bhi abb kuchh nahi kar sakti chalti hu fir milenge
Raja sahab jogender thakur ji ki baat ka jawab dete huye doctor manjuli nei bhi hath jod jaane ki agya li ajj iss mahel mei ho kya raha tha kisi ko kuchh samjh nahi aa raha tha doctor manjuli ke jaane ke baad to jaise Tanta hi lag gya ek ke baad ek devmahel se log jate Jaa rahe the anshmahel wale yaha nahi the naa hi unko kisi baat ka pata chala tha iss liye unki taraf se koi partikirya nahi huyi dekhte hi dekhte devmahel sunsaan hi gya usmei kuchh hi log bache the shankara thakur divyani thakur Ardha Amma mamata thakur mahima thakur kuchh noker Aur kuchh sequrity guards aisa pahele kabhi nahi huya tha ek insaan jo khushiya le kar aya tha wahi sab kuchh apne sath le kar bhi chala gya ya kaho uske jaate hi devmahel ka bhagya hi ujad gya abb bache huye log kya hi baat karte ardha Amma se sab mayus ho kar apne apne kamro ki taraf Jaane lage to ek baar fir kisi gaadi ke rukne ki awaz unke kaano mei padi dekha to paya unki dusri teesri rani matlab devansh thakur ki dusri teesri patni ayi thi jo Arjun ke rahete to nahi aa saki thi lekin aaj unki waqt Mila tha to wo dono Arjun se milne chali ayi thi par unke aane se pahele hi pura ka pura mela vichhad chuka tha puchhne pe pata chala ki ye sab ardha Amma ki wajah se huya hai
Anju beti abb tum hi batao hum usse kese vapas laye
Raja sahab jogender thakur ji nei devansh thakur ki dusri patni se sawal kiya unko ek umeed thi ki kahi koi aisa aa jaye jo arjun ko vapas laa sakey lekin unki ye umeed bhi Tut gyi anju ki baat sunn ke
Dada ji ager wo kisi or jagah gya hota to shayad hum usse mana kar vapas laa sakte the lekin wo khud ki banai duniya mei gya hai jaha hum mei se kisi ka bhi jana varjit hai uske log hume jawaldhara ki simma pe bhi kadam nahi rakhne denge aur abb to wo firse asura ban gya hai usse rokna Jaa vapas Lana namumkin ho gya hai jo aurat usse apne sage bete se jayada pyar karti thi ussi nei uska dil dukhya hai wo abb nahi ayega par haa wo sab ki raksha karta rahega
Ye sab sunn sab ko Dhaka sa laga akhir koi itna katho kese ho sakta tha shayad devansh thakur or suchitra thakur ka wo teyag ka fesla galat tha jo unke vashaj ko itna kathor bana gya bachpan se hi Arjun. Nei musibato ka saamna kiya hai wo hamesha akela raha hai iss liye wo itna kathor Dil ban gya
Dada ji aap chinta mat kijiye dekhna koi to Aisa hoga jo usse devgarh vapas layega bas intjaar kijiye uss waqt ka
Anju nei satvana dete huye age kaha to sabhi ko kuchh Rahat mili
Ajj to jaise devmahel ke sath devgarh mei bhi matam chhaa gya tha unka Raja devgarh se chala gya tha abb kon unki raksha karega ye baat jungle mei lagi aag ki tarah pure devgarh mei fel gyi jahir hai baki ke chaaro pariwaro ko bhi arjun ke chale Jane ka pata chal gya tha wo sabhi foran devmahel ke liye rabaana huye aur Arjun ke sath kya huya ye sab puchhne laga pata lagne par sab ardha Amma ko bura bhala kahene lage aurte to banjh tak kahe gyi thi ajj paheli baar ardha Amma ko apni santaan naa hone ka itna bura lag raha tha
Jaisi karni vaisi bharni ajj ye kahavat sach ho gyi thi NAZYEZ kahe kar ardha Amma nei galt kiya aur abb khud ke liye baanjh sabdh sunn kar unko behad bura lag rahA tha aise hi dukh bant'te huye raat ho gyi kisi ke halk se ek niwala tak na utera .........
"JAWALDHARA KINGDOM"
____________________________
Raat ke karib 8 baje Arjun ka helicopter jawaldhara ke helipad pe utera uske baad baki sabhi helicopter utere Arjun tez kadmo ke sath Jaa kar apni car mei betha aur Divya ko le kar sidha apne mahel pahonch gya usne jaate hi kisi ko awaz lagai
Gudiya
Gudiya koi nokrani nhi thi wo arjun ki muh boli bahen thi vaise jawaldhara mei koi kisi ka noker nhi tha sab ek dusre ka kaam karte the kuchh 1lac 80k ki abaadi ka ye island Arjun nei hi vasya tha uska pahela rule hi yehi tha ki koi bhi kisi ko khud se Chhota na samjhe sab mil baant ke kaam kare khaye piye moj kare
Aare bhaiya aa aa gye
Gudiya ye Divya hai meri rajkumari isse le jao aur khila pila kar isse Sula do aur abhi koi bhi mujhe disturb na kare rajkumari aap didi ke sath jao aur araam karo kal subha milte hai hum
Itna bol Arjun waha se chala gudiya bhi Divya ko apne sath le kar chali gyi baki ke jo Arjun ke sath aye the unn sabhi ki achhe se sewa ki gyi unke liye rahene ke liye kamre khulwa diye gye har koi jawaldhara ki shaan-o-shokat dekh hairan tha khaas kar mahel ko dekh kar kyuki iss mahel mei bahimulya pather lage huye the jo shayed hi nazar mei milte honge sach mei Arjun "THE KING OF JAWALDHARA" kahelane yogya tha ye to devgarh se bhi kahi aage tha bhala Arjun ko kya jarurat padi thi kahin ka waris ban'ne ki
Arjun kaha gya tha kisi ko kuchh nhi pata tha pahele bhi jab arjun gusse mei hota tha to wo ekant mei chala jata tha uska pata siraf 2 logo ko hi pata tha baki kisi ko nhi ek Shera bhai dusri gudiya ye dono chaha kar bhi kisi ko kuchh nhi bata sakte the ager Arjun nei kaha hai koi usse disturb naa kare to matlab saaf tha koi bhi dono ke muh se uglwa nhi sakta tha arjun ka pata ..
Der raat ek bada helicopter bhi jawaldha mei utera issmei Radha suchitra or baki sab the Radha or suchitra ko treatment ke liye mahel ke pichhe Bane hospital mei le jaya gya or baki sab ko araam karne ko kaha gya
Vaise to ye island jawaldhara ke naam se mashoor tha lekin Arjun nei iska naam sansar rakha huya hai
Didi bhaiya kaha gye jab se hum aye hai tab se hi bhaiya kahi dikhayi nahi diye
Arjun ko jawaldhara aye huye 3 din ho gye the inn teen dino mei arjun kisi se nahi mila tha jab Divya se raha nahi gya to usne apne sath ghumti gudiya se puchh liya
Hmmm bhaiya kisi kaam se bahar gye huye hai maybe ajj shaam tak aa jayenge wo
Thoda jhuth bolte huye gudiya nei muskurate huye divya ko batya Divya masum thi samjhdaar thi iss liye usne jayada jawab sawal nahi kiye Divya yaha aa kar bahot khush thi aisi jagah hi wo rahena chahati thi behad khubsurat polution se rahit hare bhahre pedo se or samunder se ghira huya sab se ahem baat jiss chiz se mahel bana huya tha wo chiz asani se bazar mei nahi milti thi ye thi James stone jo Arjun ke mahel mei har jagah lage huye the mahel se kuchh dur ek helipad tha jismei 10-15 helicopter ek sath khade ho sakte the usse kuchh hat ke baut area tha jaha luxury boats khadi huyi thi
Ye nazara alag hi tha yaha ke log bhi bhi kaafi ghule mile huye the kisi ko kisi se koi dikat pareshani nahi thi Naa koi Chhota naa koi bada naa koi gareeb naa hi koi Ameer sab ke sab ek barabar ka ahoda rakhte the jawaldhara ki life bahari logo se kahi alag thi Jaa yaha bhi cars vagera chalti thi lekin jarurat padne par hi-tech sequrity hi-tech hospital school college hotel sab tha jawaldhara mei itna paisa lagane ke baad bhi arjun yaha shaan se raheta tha kabhi.arjun ko paise ki koi dikat nahi huyi ........
MUMBAI
_________
inn bitte kuchh dino mei Mumbai kuchh thik nhi chal raha tha ek baar fir khaufnaak manjer Mumbai vasiyo ke dilo mei Beth gya tha kyu
Kyuki unki madad ke liye unke teeno super hero's yaha nahi the
RAVANA, YAMRAJ AUR MAUT KI SAUDAGER
Aisa nahi tha ki inn teeno mei se koi ata nAhi tha par dikat ye thi ki uske aane se pahele hi khel khatam ho jata tha iss baar Mumbai mei underworld ka khauf nahi tha iss baar Mumbai mei kuchh or hi kaand ho rahe the budhe ho yaa jawan ho yaa fir bachche hi kyu na ho wo gayab ho raat ko to dusre din kahin na kahin unki laash baramad hoti aisa kyu ho raha tha kisi ko kuchh pata nahi chal raha tha naa sharir pe ko ghaav naa hi unke aang nikaale jate bas fir bhi unki maut ho jati iski pushti karne ke liye army tak involve ho chuki thi saari secret agencies bhi iss mei shamil thi par afsos kisi ke kuchh hath naa laga khud YAMRAJ jab wardaat wali jagah pahonchta to usse bhi kuchh maalum naa padta abb logo ke gayab hone ki aur laashe Milne ki ginti badhti Jaa Rahi thi iss hatheyare ko rokne wala abhi tak koi nahi aya tha kuchh to kaaran tha unn sab ki maut ka ...
Mumbai mei abb log apne gharo se bahar tak niklana band kar chuke the police army secret agencies sabhi iss qatil ko pakdne mei lage huye the mager pakdte kese wo adrishya roop se ata aur apna kaam karke chala jata matlab wo insaan jo ye sab kar raha tha wo bina cameras mei aaye apna kaam bakhubi kar ke nikal jata tha wo siraf raat ko hi apne apraadh ko azaam deta tha...
Lazmi tha iss ki khabar Arjun ke kaano tak bhi gyi thi par arjun iss samay tha kaha kisi.ko pata nahi dhire dhire ye mamla Delhi tak aa gya tha Delhi mei bhi abhi tak 20 case aise aa chuke the natiza kuchh suraag na mila .....
Kon tha ye jo aisa apraadh kar raha tha kaha tha arjun jawaldhara aane ke turant baad kaha gayab ho gya tha wo
Kya samay rahete koi badhte iss anjaan qaatil ke kadmo ko rok payega
Jan'ne ke liye padhte rahiye
"THE ARCHER AN ASSESION"
DHANYAWAD.....