UPDATE 22
STRUGGLE 1
MERE AUR MERI KISMAT MEI AISI JUNG RAHI
MAI USKE FENSLO SE WO MERE HINSLO SE DUNG RAHI
_____________________________________
beta ajao khana kha lo aise parshan mat karo apni mumma ko beta
Hihihihi uuuuu
Ek shadishuda 21-22 saal ki ladki hath mei khane ki plate liye ek chhote se bachche ke pichhe hansti huyi bhaag Rahi thi wo Chhota sa payara sa khubsurat dikhta bachcha apni maa ko jibh nikaal kar chudhate huye uske aage aage apni nahne pairo ke sath bhaag Raha tha uski maa uss bachche ko khud ko chidbata dekh muskura ke rahe jati
Ye Chhota sa bachcha kahene ko to 3 saal ka tha par apni umer ke bachcho se kaafi alag tha one and half year mei ye bachcha chalne laga tha apni umer ke bachcho ye bachcha hushyar tandrust lamba chauda tha 3 saal ki umer mei hi is bachche nei copy pen pakad kar likhana padhna shuru kar diya tha iss bachche ki awaz mei jara sa bhi totalapan nahi tha
Dekho Rajkumar ager aap ne khana nahi khaya to mumma bhi nahi khayegi
Wo ladki jhuthi narazgi ke sath muh Fula kar ek jagah khadi ho gyi wo bachcha bhi kuchh dur Jane ke baad achanak ruk gya aur palat ke apni maa ko dekh to bhaagta huya aya aur apni maa ke hath se apni chhote chhote hatho se plate pakad ke wahi zameen pe Beth kar khane laga jab uss ladki nei uss nahne se bachche ko khate dekha to muskura gyi
Mumma aap khana khaa lo dekho mene bhi khaal liya
Wo bachcha bada hi masum tha apni ussi masumiyat se apni maa ko khana khane ko bolne laga bachche mei janam se kuchh goon the jo shayad usse apne papa se mile the ucc chhoti si umer mei hi iss bachche ko khelna kudna pasnd nahi tha aksar ye bachcha apne bado ke sath jitna ho paata utna.kaam bhi karwata tha jaise ki koi Chhota sa pathar uthana yaa ko ped ki daal uthana ya fir koi aisa kaam karna jo iske liye halka ho
Bachna kaafi samjhdaar bhi tha iss umer ke bachche aksar dare saheme se rahete hai par iss bachche mei dar naam tha hi nahi sadhe teen saal ki umer mei hi ye bachcha school jaane laga tha umer chhoti thi par education kisi 5-6 saal ke bachche jitni jiss class mei 5 saal ka bachcha padhne jara tha uss class mei ye sadhe teen saal ka bachche ko admission Mila tha
Arjun beta aap to bahot hushyar ho na to man laga ke padhna or ek bada adami ban'na aisa adami jiske aage puri duniya jhuke
Arjun yehi naam hai bachche ka Arjun nei apni maa ki baat ki haami bhari aur apna Chhota sa beg utha kar school bus ki taraf chala gya
Jab tak 7-8 saal ke bachche aage ki classes mei gye tab tak Arjun. Unn sab se uper nikal gya school Wale Arjun ko step de kar badi class mei daal dete jaise jaise Arjun. Bada hota gya padhai ka bhaar Arjun pe padta gya
8 saal ki umar mei Arjun 7th class mei aa gya tha par Arjun ki zindgi ko kuchh or hi Manjur tha ek din kisi kaaran Arjun ke gaon mei kuchh aag lagne ke kaaran bhaari nuksan ho gya jiske chalte kisi vikrant singh nei nilaami mei SatyamGarh ko kharid liya par jab aag lagne kaa kaaran sab ke samne aya to Vikram Singh ke khilaaf SatyamGarh ki mukhiya Arjun ki maa nei awaz uthai court mei case file kar diya par vikrant singh ko pichhe se tagdi support thi iss liye vikrant singh ko koi fark nahi pada vaise to Arjun bhi kisi aire gaire pariwar ka nahi tha arjun ka pariwar Janamana pariwar tha SINGHANIYA GROUP OF INDSTRY ka eklota utha Arjun par badkismati se Arjun ke pariwar se koi aage nahi aya jab vikrant singh ko iss baat ki khabar mili ki ye bachcha aur bachche ki maa singhaniya pariwar se hai to vikrant singh nei ek din Arjun ki maa ka accident karwa Diya tab Arjun nei ye sab hota huya apni aankho se dekha tha wo to kismat achhi thi jo arjun ki maa Bach gyi lekin coma mei chali gyi thi apni maa ki aisi haalat dekh Arjun nei vikrant singh ko ek latter likha
MAI NAHI JAANTA AAP KON HAI KAHA SE AYE HAI NAS ITNA YAAD EAKHNA JIS DIN APKA AUR MERA AMNA SAMNA HUYA USSI DIN SE AAP KI BARBADI KI SIDIYA CHADNI AHURU HI JAYENGI
THAKUR ARJUN SINGHANIYA
vikrant Singh ko adat nahi thi kisi ka apne raste mei aana iss liye vikrant singh nei mauka dekh Arjun ko bhi uthwa liya bohat mara pita
Chuze tune mujhe dhamkane ki koshish ki mene teri maa ko to maar Diya ab. Teri bari hai
Mujhe maar do yahi isi waqt yaad rakhna ager mai Bach gya na to aap ki zindagi ko narak se bhi badter bana dunga
Aaye ye bahot bol raha hai fenk do isse khai mei waha ye jungli janwaro ka bhojan ban jayega
Vikrant Singh nei apne adami se kaha to unn logo nei chhota Bachchan hone ka bhi Tars nhi aya Arjun pe aur Arjun ko khai mei fenk diya khai ki gaherai behad gaheri thi Arjun pedo se nukili chatano se takrata huya sidha Jaa kar zameen pe gir gya
Kahete hai waqt bada hi balwan hota hai ajj vikrant singh ka waqt achha tha arjun ka bura par kya ye sach tha jawab hai
NAHI
Arjun ka waqt bura nahi tha bas kuchh waqt ke liye Arjun ko waqt ki maar padi thi jiss wajah se Arjun ke sath waqt nei ye khel khela tha Arjun ko kisi nek kaam ke liye chuna gya tha to uper wala kese Arjun ko marne de sakta tha Arjun bhavishya ka ek yodha tha
Arjun kuchh samay ke liye to wahi zameen pe behosh pada raha par jaise hi raat ka andhera chhane laga vaise hi jungli janwaro ki awaze uss pure jungle mei gunjne lagi awazo ke shor se jab Arjun ki aankhe khuli to paya 4 lakadbaghe laar tapkate huye bhookhi ankho se Arjun ki taraf taktaki lagye huye the Arjun chotil tha arjun ke sharir mei neintah dard ho raha tha par jaan hai to jahaan hai Arjun saare dard ko bhula kar jaise taise khada huya aur daud laga di Arjun bhaagta gya lakadbaghe Arjun ka shikar karne ke liye uske pichhe bhaagte Gaye girte padte Arjun khud ki jaan bachata huya bhaag Raha tha usse jinda rahene ki koi aasha ki kiran nazar nhi aa rahi thi fir bhi Arjun nei himat nahi haari wo bhagta gya kuchh 10 km bhaagne ke baad Arjun ki haalat aur bhi kharab ho gyi thi sanse full gyi thi Arjun. Ke aage pichhe maut mandra rahi thi aage gya to mara jata ruka to lakadbagho ka shukar ho jata aise mei Arjun bhaagte huye idher udher dekh raha tha achanak Arjun ko purav ki or ek halki si raushni dikhayi di Arjun ke man mei jine ki ek umeed jaagi wo apne bhagne ki disha badal uss chamakti raushni ki taraf bhaagne laga lakadbaghe lagataar Arjun ka pichha karte rahe par hairani ki baat to ye thi ki Arjun unn lakad bagho ke hathe nhi chada ya fir wo lakadbagho Arjun ko koi nuksan nahi pahochna chahate the khair kuchh bhi ho Arjun bhaagte huye ek goofa mei ghus gya jaha se Arjun ko rausni dikhai di thi lakadbaghe bhi Arjun ko uss gufa mei ghusta dekh ruk gye
Arjun gufa mei ghuste hi kamjor padne laga tha par Arjun ke jine Sankalp aur partishodh nei arjun ki haarne nahi diya dadhid irado ke sath dhimi gati se bhagta huya gufa ke end Tak aa pahoncha par wo aage badh paata usse pahele hi arjun zameen pe dhadam se gir gya Arjun ke irade majbut the jo girne ke baad bhi ghisadte huye aage badhne laga wo raushni abb lagataar badhti Jaa Rahi thi Arjun ki dhundhli aankhe uss raushni ko sahen nahi kar paa Rahi thi aur Arjun iss tez raushni ke nazdik Jaa kar fir se behosh ho gya ......
Jab Arjun ki aankh khuli to Arjun ek aramdayk naram bister pe leta huya tha Arjun ke sharir se saare kapde hatte huye the ek kapada tha jo arjun ke guptang ko dhhake huye tha baki ke badan pe pattiya bandhi huyi thi Arjun khud ko iss haal mei dekh hairan tha par Arjun kuchh samjh paata usse bahar se jor jor se taaliyo ke bajne ki aur kisi ke bolne ki awaze aane lagi jaise koi jhagad raha ho ye taaliya koi mamuli taliya nahi thi ye bolne ki awaz na to mardana thi na ho janana
Kuchh der sochne ke baad Arjun ko kuchh samjh aya ye awaz ye taali to unki thi
EK KINAR KI
Matlab Mai kinaro ke yaha hu par kese mai to uss gufa mei tha fir yaha kese
Haye Haye kide padege tum logo ko jo humari basti ko todne aaye ho
Arjun iss shor sharabe se pareshan ho raha tha sath hi arjun ko behad gussa aa raha tha issi gusse ke chalte Arjun jor laga ke chilaya
CHALE JAAAAOOOOOO
Arjun ki chikh se pata nahi kya huya bahar ka shor ek dam se ruk gya par kisi chiz ke girne aur tutne ki awaze Arjun ko sunai di jo kuchh pal mei hi shant ho gyi aur Arjun ek baar fir behosh ho gya Arjun ke behosh hote hi bahar ho raha shor bhi tham gya tha agli baar jab Arjun. Ko hosh aya tab Arjun ke sharir pe kuchh hi pattiya bandhi huyi thi iss baar Arjun ke shari pe kapde bhi the par abb ek khubsurat shadishuda ladki uske sirhane bethi thi jo arjun ke sar mei pyar se hath fira rahi thi
Uth gya Lala
Arjun ko aankhe kholta dekh wo ladki Arjun se boli pata nhi kyu Arjun ko uss ladki se apnepan ka ahesas ho raha tha jaise Arjun ka uss ladki se gahera rishta ho
Mai yaha kese aya
Arjun nei puchha abhi bhi Arjun ko yehi lag raha tha jaise wo uss gufa mei hi pada huya hai aur ye koi sapna dekh raha hai
Tum 6 mahine pahele humeh iss basti ke bahar jakhmi haalat mei pade mile the tab se tum behosh ho
6 mahine se par kal hi to wo uss gufa mei gya tha Arjun pareshan ho gya Arjun ko kuchh samjh nhi aa raha tha baar baar Arjun ko wo drishya dikh rahe the jab wo unn lakadbagho se bachte huye bhaag Raha tha aant mei wo ek gufa mei gya yaha aankhe band hone se pahele Arjun ke hath 2 murtiyo pe tikke huye the uske baad ka Arjun ko kuchh yaad nahi aa raha tha jitna Arjun apne dimag pe jor dalta utna hi dard Arjun ke sar mei hota
Lala tum pareshan mat ho bas kuchh din or Aram karoge to sab thik ho jayega
Par Amma mai to waha jungle mei
Shiiii abhi kuchh mat bolo abhi siraf aaram Karo ok mai tumhare liye khana bhejti hu
Amma itna bol waha se chali gyi aur bahar se Arjun ko fir se awaz ayi jo ki Amma ki hi thi
Dekho ye ladka humare liye behad jaruri hai iski achhe se dekh bhaal karna mai 2 din mei vapas aa jaungi jao usse khana khila do
Ji Rani sahiba
Bas ye hi wo awaz thi jo arjun ko sunai di thi uske baad Arjun aankhe band kar let gya aur sochne laga akhir uske sath uss gufa mei huya kya tha aur wo yaha kese aa gya kya wo gufa yehi hai ya wo iss samay kahi or hai Arjun apne dimagi ghode sauda raha tha par Arjun ko kuchh bhi yaad nahi aa raha tha kuchh der baad Arjun ke kamre ka darwaza khula ek kinnar hath mei khane ka thaal liye ander ayi uss kinnar ke chahere se saaf jahir ho raha tha kahi arjun bhi baaki logo ki tarah to nahi hoga jo kinaar samaaj se nafarat karte hai
Kya tum humare yaha ka khana khaa sakte ho yaa bahar se mangwa ke du
Uss kinnar nei jhijhakte huye Arjun se puchh Arjun uss kinnar ki baat sunn kuchh samjha nahi par kuchh hi der mei Arjun ko samjh aa gya aur fir bola
Kyu Amma aap insaan nahi ho kya jo aise puchh rahi ho
Arjun nei halka muskura ke kaha to uss kinnar ke chahere pe bhi muskaan aa gyi
Hum bhi insaan hi hai beta bas wo baat ye hai ki iss duniya mei koi humari izat nahi karta izat to kya koi hume khud ke karib bhi nahi aane deta bhala ismei humari kya galti bhagwan nei hume aisa Banya hai
Amma bhagwan ke Ghar mei achhe bure sab ek sanman hai bas fark itna hai bure logo ko nark aur achhe logo ko swarg mei rakha jata hai mai aisa nhi hu meri maa nei mujhe sab ki izat karna sikhya hai
Haye Haye chhoti si Jaan hai aur baate kisi bade jaisi bhagwan teri har manokamna Puri kare le khana khaa le
Uss kinaar nei arjun ke paas bethte huye kaha aur apne hath se niwala bana kar Arjun ko khilane lagi Arjun ko iss tarah khana khane se apni maa ki yaad aa gyi
Kitne bure hote hai log jo kuchh paiso ke liye kisi ki bhi ko bhi maar dete hai
Arjun nei kaha Arjun ki baat sunn uss kinnar ko kuchh samjh nahi aya samjhne ke liye ussne Arjun se puchha
Kya huya hai bachche ko tum Aisa bol rahe ho
Arjun- ek adami hai vikrant singh jisne meri maa ko mujhe Marne ki koshish ki bas kuchh paiso ke liye usse lagta hai wahi bhagwan hai par aisa nahi hai wo shaitan hai uss shaitan ko marne ke liye mai jinda Bach gya abb uss kutte ko ab mai sabak sikhaunga
Kinnar- bachche ye duniya badi azib hai iss duniya mei jine ke liye takat ki jarurat padti hai kyuki takatwar ka hi duniya mei bolbala hota hai tum mahenat karo takatwar bano dekho kese ye duniya wale tere pichhe pichhe chalege kese tere aage jhukenge
Arjun- aap ne thik kaha Amma abb mai takatwar banunga aur sab bure logo ko apne aage jhukaunga dekhna Aaj ke baad kabhi bhi aap ke iss Ghar ki taraf koi bhi aankh utha ke nahi dekhega ye Mera wada hai aap se
Arjun ki ye baat sunn wo kinnar Arjun mei hi kho si gyi kuchh der Arjun ko niharne ke baad boli
Bachche jiss tarah ke tere honsle hai na dekhna ek din tum bohat bade adami banoge aare adami nahi iss duniya ke shahenshah banoge ye duya hai meri
Bas Amma aapki duya rang laye dekhna mai kisi masum ka Ghar ujadne nahi dunga khud ki tarah
Baato baato mei Arjun nei Sara khana khaa liya tha wo kinnar Arjun ko aaram karne ka bol waha se chali gyi arjun aankhe band kar aapne aage ke Safar ke baare mei sochne laga usne wada to kar diya tha bas uss wade ko pura kar ke dikhana tha pahele to arjun ko yaha se bahar nikal kar kahi aisi jagah Jana tha yaha se wo apni sidiya bana sakay kuchh Sikh sakay abhi to Arjun ko bahot aage Tak padhna tha abhi to wo Chhota sa bachcha hi tha
Arjun nei man hi man Kasam khai aur so gya kuchh din ke aaram ke baad Arjun waha se chup chap nikal gya ye Mumbai shaher tha nikalne se pahele Arjun nei uss basti kaa naam apne jahen mei bitha liya
ARDHA BASTI
aur nikal gya apne lakshya ko khojne Mumbai shaher mei Arjun ko Sahara Dene wala koi nahi tha gali gali bhatkta huya Arjun khana mang ke khata huya 2 din Tak gali sadko chauraho pe ghumta huya ek anathasham ke gate pe pahoch gya raat kaafi ho gyi thi iss liye Arjun aashram ke bahar hi let gya Arjun ki aankh jab khuli jab Suraj ki kitne uske chahere pe padi aur koi usse utha raha tha arjun nei aankhe khul kar dekha to koi 40+ ka adami tha uss adami ke sar ke baal safed the badi si dadhi thi dekhne mei dubla patla tha
Beta tum kon ho kaha se aye ho aur yaha kese so gye
Uss adami nei payar se Arjun ke bagel mei beth'te huye puchha uss adami ko Arjun dekhne se kisi bade gharane ka lag raha tha beshaq Arjun nei sadharan se kapde pahene huye the par tha to wo singhaniya pariwaar ka vansh
Uncle mera koi nahi hai bas mujhe rahene ke liye jagah chahiye thi jab nahi mili to yaha so gya aap ko bura laga ho to mujhe maaf karna chalta hu
Arjun masumiyat se bola aur uth ke jaane laga khai mei gira dene ke baad se Arjun ke behaviour mei bahot se badlaw aa gye the pahel to Arjun kaafi hansta khelta mazak karta raheta tha par abb Arjun imotionless ho gya tha Arjun ke haav bhaav dekh uss adami ko thodi hairangi to huyi par uss masum se bachche ka yu gali gali bhatkna bhi thik nahi tha ye bachche hi desh ka bhavishya the kahi galt raste pe naa chala jaye ye soch uss adami nei arjun ko pichhe se aawaz de kar roka aur Arjun ke paas Jaa kar bola
Beta Mai iss samne wale aasharam mei hi raheta hu tum chaho to humare sath rahe sakte ho dekho ye asharam muft hai yaha koi bhi kisi se bhi paise nahi leta par haa kuchh kaam karne padte hai yaha kya tum kar paoge
Uss adami ki baat sunn Arjun apne purane din yaad karne laga kese wo ek raja ki tarah apne logo ke bich rahey kar unke sath kaam karwata tha ye yaad kar Arjun ne kaha
Uncle Mai kaam se pichhe nahi hat'ta bas mujhe koi pareshan na kare
Bilkul beta chalo chalte hai vaise mera naam jagannath hai tumhara kya naa hai
Arjun naam hai mera
Arjun nei bas itna hi kaha aur uss adami matlab jagannath ke sath Gaye ke ander chala gya waha Arjun jaise hi or bhi bachche the unn bachcho mei se kuchh 12 bachche Arjun ko alag Nazar aye jaise wo bachche baki ke bachcho se Mel na khate ho par Arjun ko apna lakshya dhundhna tha ye sab baate side rakh Arjun jagannath ke sath ek kamre mei aa gya jo spacial Arjun ke liye tha arjun ko kamra achha laga
Beta bas yehi ek kamra Khali hai ager tum chaho to baki bachcho ke sath rahey sakte ho
Ji nahi mujhe akele hi rahena hai bas aap sab ko kahe dena koi bewajah mujhe disturb Naa kare baki jo aap kahoge Mai Karunga
Thik hai beta tum abhi aj ka din Aram karo kal se tumeh school mei bhej diya jayega
Ji thik hai
Uske baad jagannath waha se chale gye aur Arjun kamre ko dhayan se dekhne laga kuchh soch Arjun nei apne thele se kuchh samaan nikaal kar almirah mei rakh diya kuchh paper' ko khol kar dekhne laga ye wahi paper the jo usse ek din pahele ardha basti ki ek bujurg kinnar nei diye the iss mei kuchh property ke paper the kuchh school ke certificate the jo SatyamGarh ke school ke the matlyye sab Arjun ka hi tha par sawal ye tha ye sare papers kinnar basti mei kese aaye Arjun ko abhi kuchh samjh nahi aa raha tha arjun bilkul akela ho gya tha papers ko dekhte huye Arjun ko kuchh yaad aya jisse yaad kar Arjun ke honto pe ek pyari si muskurahat tair gyi aur Arjun dhire se budbudya
ARDHA AMMA
matlab kinnar samaaj ki Rani sahiba ka naam hi Ardha tha arjun kuchh der tak unn papers ko dekhta raha aur fir apne bistar pe let kar so gya
Shaam ko jaan khaane ka waqt huya to Arjun apna khana le kar apne kamre mei vapas aa gya khana khaa kar plate dho kar Arjun fir se free tha karne ko kuchh nahi tha bas apni aage ke plan bana nei laga kuchh din to Arjun ko waha anathasham mei dikat huyi par dhire dhire Arjun waha ke mahol mei ghul gya Arjun kisi se jayada baat Nehi karta tha subha school school se aane ke baad diya gya kaam karne ke baad Arjun khud hi apni tranning mei lag jata
Iss anathasham mei har tarah ki feslity thi yaha martial arts boxing talwarbazi teer andazi or bhi kaafi tarah ki games ki training di jati thi yaha 3 log head the jagannath, haridas,aur ek mahila Devi hi iss anathasham ko chalate the devi ka pura naam to kisi ko nahi pata tha par log Devi ko sword queen ke naam se jayada jaante the ye teeno log aapni apni kala mei nipun the kaha jata hai kabhi bhi kisi politition ya kisi businessman ki himat nahi huyi iss anathasham ko hatne ke liye ye teen yodha the Inka sikhya shishya kabhi kahi maar nahi khata tha yaha se sikha huya bachcha aage chal kar ek bada naam kamata tha par inki skills ko badal ke sikhne wala koi tha yaha jisse dekh ye teeno hairan the aur khush bhi inke career mei Aisa koi nahi huya tha jo niki skills ko sikhne ke baad usmei kuchh badlaw kar ke apni alag hi skills bana leta ho Arjun wahi bachcha tha jo man laga kar sab sikhta tha aur alag kisam ki skill ko represent karta Arjun. Ke sikhne ki kabliyat baki bachcho se kaafi alag thi par afsos Arjun akela rahena pasnd karta tha abhi tak Arjun nei koi dost nahi Banya tha naa hi koi Arjun se dosti karna chahata tha 10 din ho gye the Arjun ko yaha aye huye school mei bhi Arjun ke charche hone lage the
Anathasham mei jayada bachche nahi the par jitne bhi the unn mei si adhe bachcho ki ankho mei Arjun kisi aankh mei pade kankad ki tarah radkne laga tha jalan irsha ver unn bachcho ke man Arjun ke liye janam le chuka tha aur jo bachche Arjun se inspired the wo Arjun ko apna idol man'ne lage the abb anathasham ke wo bachche Arjun ke karib jaane ki ichha ko janam Dene Lage the mager Arjun inn sab se alag teeno masters ke dawara sikhai Jaa Rahi skills pe maharath hasil karta Jaa raha tha jinn bachcho ko ye sab sikhne mei 1 saal lag raha tha wahi Arjun mahej 10 dino mei sab Sikh gya tha ajj jab Arjun apne diye gye kaam karke apne kamre mei aya to usnei apna beg khola jo usse Ardha basti se mila tha uss chhote se beg mei ek diba aur ek diary padi huyi thi ye wahi diary thi jisse Arjun nei basti se niklne se ek din pahele raat ko padha tha iss diary Arjun ko apni sachai ka pata chala tha kaise aiye jaante hai
Arjun ke basti se niklne se ek din pahele Arjun apne kamre mei khana khaa kar letta huya tha tab usse ek sandukh dikha Arjun nei uss sandukh ko khola to usmei ek diary padi thi sath hi kuchh 10 chhoti shishiya padi huyi thi Arjun nei shishiyi ko chhod diary ko utha kar apne bistar pe aa gya aur uss diary ko khol kar padhne laga jaise hi arjun nei uss diary ko khola to Arjun ki dhadkne ek dam se tez ho gyi ankhe laal ho gyi gussa Arjun ke chahere pe saaf dekh raha tha uss diary mei likha tha
"MERE PYARE BACHCHE TUM YE DIARY PADH RAHE HO MATLB TUM RADHA SINGHANIYA SE DUR HO GYE HO AUR ABHI ARDHA BASTI MEI ARDHA KI NIGRANI MEI HO BETA ARDHA TUMHARI 3 NUMBER KI MAA HAI
BETA MAI TUMHARA GUNEHGAR HU MANTA HU MENE AUR TUMHARI MAA NEI TUMEH KHUD SE DUR KARKE GALT. KIYA HAI PAR BETA YAKEEN MANNO AGER HUM SAB YE NAHI KARTE TO SHAYAD TUM KABHI YE DIARY NAA PADH PAATE KUCHH KAARAN THE JO TUMEH KHUD SE ALAG KARNA PADA KUCHH LOG HAI JO TUMEH MAARNA CHAHATE HAI BETA TUM JINDA HO MUJHE ISS BAAT KA YAKEEN HAI BAS BETA JAB TUM YAHA SE JAOGE TO AAGE FILHAL KISI KO APNI ASALI PAHECHAN MAT BATANA TUM EK ANATH HO YEHI SAB KO BATANA AGER TUMHARE BAARE MEI KISI KO PATA CHAL GYA TO WO TUMEH MAAR DENGE TUMHARA JINDA RAHENA HUM SAB KE LIYE BAHOT JARURI HAI TUM MERI AKHARI UMEED HO BETA JO BHI GUSSA TUMEH HUM PE HAI WO NIKALNE KA TUMEH PURA MAUKA DIYA JAYEGA BAS ABHI KE LIYE TUM KHUD KO SURAKSHIT RAKHNA WAQT AANE PE TUMEH SAB SACH PATA CHAL JAYEGA VAISE TUM AKELE NAHI HO JISSE KHUD SE ALAG KIYA GYA HAI EK OR HAI JISSE TUMHARE SATH JI KHUD SE ALAG KIYA GYA THA TUM DONO KA TAKATWAR HONA JARURI HAI JAB TUM AAGE BADHOGE TAB WO BHI TUMEH MIL JAYEGI USKI PAHECHAN AISI HOGI USSE DEKH KAR TUMEH 2 TARAH KI FEELINGS HONGI BAS TAB SAMJH JANA WO TUMHARI APNI HAI
ABB AKHIRK BAAT BETA JAB TUM YAHA SE JAO TO JO TUMEH YAHA DIYA JAYE USSE APNE SATH LE JANA USS MEI EK KHAAS TARAH KI MEDICINE HAI JO TUMEH RAAT KA KHANA KHANE KE BAAD SOTE TIME PINI HAI AGER TUM DIN MEI PIYOGE TO TUM USSE HONE WALE DARD KO SAHEN NAHI KAR PAOGE YE DAVA RAAT KO HI JAYADA KAAM KARTI HAI YE TUMEH GROW KARNE MEI MADAD KAREGI BAS KBHI ISS DAVA KO KISI GALT HATHO MEI MAT PADNE DENA VARNA VINASH HOGA FIR AGER TUMEH LAGE KOI HAI JO TUMEH KABHI DHIKHA NAHI DEGA TO USSE YE DAVA DE SAKTE HO
BAAS BETA ITNA HI KAHUNGA JAHA BHI RAHO KHUSH RAHO TARAKI KARO TAKATWAR BANO AUR MUJHE YAHA SE NIKAAL LE JAO
TUM AKELE NAHI HO BETA TUMHARE SATH BESHAQ TUMHARI SAGI MAA NAHI HAI PAR 2 MAAYE HAMESHA TUMHARE SATH RAHENGI EK YE JISKE PAAS TUM ABHI HO DUSRI WO JO TUMEH YAHA SE JANE KE BAAD MILEGI MERA MOTIVE TUMEH TAKAWAR BANA'NA HAI JAB TUM TAKATWAR BAN NAOGE TO APNE ASALI PARIWAR TAK PAHOCH JAOGE
BAS BETA ITNA HI KAHENA CHAHUNGA KABHI MUJHSE YA APNI JANAM DENE WALI MAA SE NAFART MAT KARNA
ISS DIARY KA DUSRA PANNA TUM JABHI PADH PAOGE JAB TUM 15 SAAL KE HO JAOGE HO SAKAY TO HUME MAAF KAR DENA MERE BACHCHE"
Arjun ko kuchh jayada samjh to nahi aya tha par ek baat jaruri samjh aa gyi thi wo ye ki uske pitta ayash kisam ke insaan the jisne 3 shadiya ki huyi thi ajun ko diary padh ke gussa to bahot aya tha par uss waqt Arjun. Kar bhi kya sakta tha arjun ka lakshya alag tha abhi Arjun ko jan'ne ke liye kaafi waqt tha Kam se Kam ek achhi aurat Arjun ko mili thi jo uski ek maater maa thi khair Arjun nei wo sab sochna chhod apne samne padi ek shishiyo mei se ek shishi utha kar pi li isska test bhi same vaisa hi tha jaisa SatyamGarh mei Radha Singhaniya Arjun ko aksar pilya karti thi Arjun. Ko tab to kuchh samjh nahi ata tha par ek baat jo Arjun. Notice karta tha wo thi agle din subha Arjun ko apne sharir mei kuchh halke badlaw huye nazar aate the
Arjun ek shishi se dava pi kar so gya .......