• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Beginning After The End

RJ02YOGENDRA

Jaaaaaanam.......
187
326
79
UPDATE​
DATE​
Posted​
Posted​
Posted​
Posted​

Click On The Update No. For Reading The Update.

Notice : Abhi Mere Exams Ke Karan Story Aage Nhi Badh Payegi.
New Year Pe Ise Wapas Se Shuru Karenge.
 
Last edited:

RJ02YOGENDRA

Jaaaaaanam.......
187
326
79
UPDATE - 04
[My Life Now]​

Reynald Leywin (POV) :-

Meraa Betaa.. !!
Main Bahut Khush Tha Ki Hume Ek Beta Hua. Mujhe Nahi Pta Hai Ki Bachhe Kab Sikhna Shuru Kar Sakte Hain? Maine Dobara Practice Kab Shuru Ki Thi? Yaar, Main Apne Bachche Ko Jaadu Ke Baare Mein Sab Kuch Sikhane Ke Liye Ab Aur Intejar Nhi Kar Sakta! Mujhe Ummid Hai Ki Wo Apne Papa Ki Tarah Ek Augmenter Hi Banega. Main Jaadu Karne Ki Basic Batein Janta Hu, Lekin Main Iska Use Sirf Mental Exercise Karne Ke Alawa Practical Use Me Nahi Kar Sakta.
Dusri Aur, Alice Un Sabse Jyada Talented Logon Me Se Ek Hai Jinhe Maine Abhi Tak Dekha Hai. Ek Emitter Ke Rup Me Vah Asadharan Hai. Us Samay, Jab Wo Mere Saath Date Par Jane Ke Liye Ready Ho Gayi Thi, Uske Baad Usne Meri Party Join Karli Aur Hum Ek Saath Mission Par Bhi Gaye. Uski Restorative Power Apne Aap Me Adbhut Thi, Lekin Jis Baat Ne Mujhe Sabse Jyada Shocked Kiya Wo Thi, Jab Usne Area of Effect Spell Ka Istemal Kiya Tha, Jisne Sabhi Party Mate's Ko Thik Kar Diya. Aur Ek Tarah Se Dekhe To Main Uska Pati Hu!!
Hehe.....Main Ab Bhi Yeh Kehte Huye Nahi Thakta.

Purane Dino Me, Apna Khud Ka Ghar Basane Se Pehle, Hum Beast Glades Me Jaate The Aur Mana Beasts Ka Hunt Karte The. Mana Beast Bahut Tarah Ke Unique Animals Ya Jaanvar Hote Hai Jo Apni Body Me Mana Ko Absorb Karne Aur Apna Khud Ka Mana Core Banane Ki Ability Ke Saath Paida Hote Hai, Jise Hum Beast Core Kehte Hain.

Beast Core Ka Use Bahut Si Chizon Me Hota Hai, Jisse Wo Bahut Kimti Aur Jyada Maang Waale Ban Jaate Hai. Beshak, Beast Core Ki Classes Jitni Jyada Hogi, Ve Utne Hi Mehnge Honge. Mana Beast Ki Bahut Si Classes Hai Jo E-Class (Domesticated Fanged Bull Jiska Istemal Meat Aur Leather Ke Liye Kiya Jata Hai) Se Lekar SS-Class Monster Tak. Main Tumhe Unke Baare Me (Upper Class Beasts) Aur Jyada Kuchh Nahi Bata Sakta, Sirf Isliye Kyoki Mine Na To Kabhi Unhe Dekha Hai Aur Na Hi Unke Baare Me Suna Hai, Lekin Aisa Maana Jata Hai Ki Wo Reality Me Hai.

Lekin Hmesha Ye Yaad Rakho Ki, Aap Ko Hmesha Yeh Manna Chahiye Ki Mana Beast Usi Class Ke Human Se Jyada Takatwar Hote Hai, Yadi Hum Mana Ke Bagair Bhi Baat Kare To, Average Human Ke Mukabala Ek Beast Ki Physical Body Jyada Strong Hoti Hai.
Waise Beast Glades Khatarnaak Hote The, Jab Tak Aap Satark Rehte Hai Aur Apne Party Se Alag Hokar Kho Nahin Jate, Tab Tak Khud Ko Musibat Se Dur Rakhna Bahut Aasan Rehta Hai. Strong Beasts Dungeons Jaisi Underground Caves Me Ya Glades Ke Centre Ke Karib Rehte The. Beast Glades Ki Paridhi (Perimeter) Ke Aas-Pas Ke Pehle Kuchh 10 Kilometres Ki Bahut Achhi Tarah Se Maping Ki Gayi Thi, Aur Jab Tak Aap Ek C-Class Adventurer Ho Tab Tak Aap Thik Hai.

Kabhi Kabhar, Aise Mission Diye Jate The Jinke Liye Adventurers Ki Kuch Parties Ki Jarurat Hoti Thi. Wo Missions Aam Taur Par Un Strong Dungeons Ko Saaf Karne Aur Unka Map Banane Ki Kosis Ke Liye The Jinhen Puri Tarah Se Khoja Nahi Gaya Tha. Yadi Ek Mana Beast Ke Paas Itni Power Hai Ki Wo Apni Maand Bana Sakta Hai Aur Dusre Mana Beast Uski Serving Kar Rahe Hain, To Aap Shart Lagaa Sakte Hain Ki Wahan Khajana Praapt Kiya Ja Sakta Hai.

Main Apne Bete ART Ko Is Adventurer Life Ke Baare Me Sab Kuchh Batata Hu Aur Bhi Bahut Kuchh Taaki Main Use Brainwa...... Mera Matalab Hai...... Use Bada Hone Par Ek Adventurer Ke Taur Par Kam Se Kam Kuchh Experience Gain Karne Ke Liye Inspiration Mile.

Mujhe Nahi Pata Ki Main Kya Krunga Agar Art Awaken Nahi Hua To. Oh God, Isse Koi Farak Nahi Padta Ki Isme Kitna Time Lagega, Jab Tak Wo Kisi Bhi Tarah Ka Mage Banne Ke Liye Training Karta Rahega, I’ll Be A Proud And Happy Father.

Ye Kehna Kafi Aasan Hota Hai Ki Aweken Hone Par Koi Kis Tarah Ka Mage Banega, Kyoki Jab Augmenters, Conjurers Aur Deviants Ek Translucent Barrier Bnate Hai, To Us Time Mana Unke Charon Aur Alag Tarah Se Vyavhar Karta Hai.

Augmenters, Jab Vo 1st Aveken Hote Hai, To Barrier Ke Charon Aur Ek Tarah Ki Repelling Force Lagate Hai, Jo Dikhata Hai Ki Unke Sharir Me Dominating Mana Channels Hai.
Dusri Aur, Conjurers Apne Charon Aur Ek Mana Vacuum Banate Hai, Jiska Mtlb Hai Ki Unke Mana Channels Aur Jyada Dominant Hai.
Isse Ye Keh Sakte Hai Ki Repelling Force Aur Vacuuming Force Ki Amount Unke Talent Ya Unki Class Ke Upar Depend Karti Hai.

Main Dinge Nahi Hankta, Lekin Jab Main Pahli Baar 12 Saal Ki Age Me Awaken Hua Tha, Tab Main So Raha Tha Aur Repelling Force Ne Mujhe Kuchh Minton Ke Liye Hawa Me Levitate Kar Diya Tha! Ek Insani Body Ko Levitate Karne Ke Liye Kafi Force? (Nods)

Yadi Wo Us Samay Nahi Hota... To Mujhe Yakeen Hai Hum Itni Jaldi Settle Nahi Hote.

Vaise Bhi, Jaise Hi Wo Awaken Hoga, Main Use Training Dene Lag Jaunga. Yadi Wo Ek Conjurer Banna Chahega, To Mujhe Uske Liye Main City Se Ek Tutor Ko Lana Padega Kyuki Alice Aur Main Use Padhane Ke Liye Kafi Nahi Hai.


....Ye Vahi Hai Jo Maine Kahaa Thaa Lekin...
*BOOM!*



Abhi, Ghar Ka 3/4 Hissa Nasht Ho Gaya Hai...
Kya Hua?
Luckily, Us Raat Main Dinner Ke Baad Thodi Der Ke Liye Samne Bane Huye Aangan Me Alice Ke Saath Baitha Hua Tha, Lekin... Art.... Arthur Abhi Bhi Ghar Me Thaa....
"ARTHUR!"

Jab Maine Alice Ko Dekha To Uska Chehre Pila Pad Gaya Tha Aisa Lag Raha Tha Jaise Uska Saara Khun Beh Gaya Ho, Uski Aankhe Shock 😨 Khul Gayi Thi Aur Bahar Aa Jayegi Aisa Lag Raha Tha.
Maine Use Niche Jhuka Kar Ek Temporary Shield Ke Pichhe Cover Kar Liya Jo Kuchh Minton Tak Tiki Rahegi.


Main Blast Ki Direction Ki Taraf Bhaga, Apni Skin Ke Upar Mana Ki Ek Layer Bana Li Jisse Mere Body Ka Bachav Ho Sake.
Jaise-Jaise Main Blast Ke Centre Ki Taraf Pahuch Raha Tha, Ghar Ka Malba Lagataar Meri Taraf Udta Aa Raha Tha. Mere Ghar Ke Bache Huye Tukadon Aur Pattharo Ke Kayi Tukadon Se Bachte Huye Jab Main Waha Pahucha To, Maine Use Dekha!!!...

Mere Bete Ke Charo Aur Ek Transparent Barrier Chamak Raha Tha. Aur Usse Bhi Behtar, Uski Awakened Power Ke Repulsion Se Hi Ye Blast Hua Tha. Wo Ek Gadde(Crater) Ke Bich Me Levitate Kar Raha Tha Jisne Humare Ghar Ke 3/4th Hisse Ke Saath Humare Pure Backyard Ko Bhi Uda Diya Tha.

....Haha...

Mera Muh Khul Gaya Aur Mere Pairo Ne Jawab De Diya Aur Main Ghutno Ke Bal Gir Padha. ART Abhi Lagbhag, Bas 3 Saal Ka Tha, Jab Wo Awaken Hua. Sirf.... 3....

Mujhe Samajh Nahi Aa Raha Tha Ki Main Hasu Ya Rou....
"Reynolds! Hunny!"

Maine Apni Patni Ki Taraf Dekha, Mera Muh Abhi Bhi Shock Se Khula Hua Tha. Blast Ke Baad Jab Malba Shant Hua Tab Dheere-Dheere Wo Meri Taraf Aane Me Kamyab Rahi.
Wo Meri Taraf Aadhe-Adhure Kasam Badha Rahi Thi, Apne Chehre Ko Apni Bahon Se Dhak Rahi Thi Taki ART Se Nikal Rahi Strong Pushing (Repelling) Force Se Bach Sake.


"Reynolds! Kya Hua? Kya Ho Raha Hai? ART Kaha Hai?"
Main Abhi Bhi Bolne Ki Takat Nahi Juta Pa Raha Tha, Maine Bas Apne Bete Ki Direction Ki Taraf Ishara Kiya.

Uljhan Me Hone Ke Bavjud, Usne Us Direction Ki Taraf Dekha His Aor Main Ishara Kar Raha Tha Aur Wo Sirf Itna Hi Keh Payi,
"Oh My..."



ARTHUR LEYWIN'S (POV) :-

Waah, Mujhe Bahut Achha Lag Raha Hai !!

Apni Is Safalta Par Tarotaja Mehsus Karte Huye, Maine Apni Aankhe Band Karli Taki Main Apne Naye Bane Mana Core Ko Mehsus Kar Saku.
"My Sweet Little Mana Core!!"

"ART! OH MY BABY!! Kya Tum Thik Ho?"
Maine Dekha Ki Meri Maa Meri Taraf Daudi Aa Rahi Hai, Jabki Mere Papa Jamin Par Ghutno Ke Bal Baithe Hai.

Is Baar Unhone Aisa Kya Kiya Ki Maa Ne Unhe Saja De Di?

Meri Maa Ne Mujhe Utha Kar Apne Gale Laga Liya, Lagbhag Is Had Tak Ki Aisa Lag Raha Tha Jaise Meri Aviksit Pasliya Tut Jayegi.

Main Kisi Tarah Dheere Se Keh Paya, "Maa, Aap Roiye Mat. Kya Hua?"

Unhone Mujhe Koi Jawab Nahi Diya Aur Mujhe Gale Laga Kar Roti Rahi. Tab Papa Unke Baghal Me Aaye Aur Unki Peeth Thapthapayi Aur Mere Sir Pe Bhi Thapthapaya, Aur Sath Me Mujhe Ek Weak Smile Pass Ki.

Thodi Der Is Uljhan Bhare Waqiye Ke Baad, Maine Apna Sir Apni Maa Ke Aalingan Se Dur Hataya Aur Apne Charon Aur Dekha Ki Hum Ek Vishal Gadde Ke Bich Me Khade Hai, Jisme Humara Jyadatar Ghar Gayab Hai.

...Ye Kya Hai...?

Ye Kisme Kiya? Kisne Ek Raja Ke Ghar Ko Tabah Karne Ki Himmat Ki?! Jisne Bhi Ye Kiya Hai Wo Bahut Pachhtayenge! Main Din-Raat Unka Pichha Karke Unko Hunt Krunga Aur Tab Tak Chain Se Nahi Baithuga...

"Congrats, ART BABY, YOU AWAKENED, CHAMP."

"..."

"..."

Ye Maine Kiya Hai?

Earth Par Meri Purani Duniya Me, Ek Aisi Hi Ghatna Tab Ghatati Thi Jab Ek Bachha Awaken Hota Tha, Awakened Ke Charo Aor Ek Clear Barrier Dikhai Deta Hai Aur Barrier Ko Gherne Wala Ek Small Pushing Force. Halanki, Main Bas Guess Kar Raha Hu Ki Is Duniya Me Repelling Force, Atmosphere Me Mojud Mana Ki Vajah Se Bahut Jyada Strong Hai, Aisa Kuch Earth Par Mojud Nahi Tha!

Pehle Ek Raja Hone Ke Nate Aur Apni Imandari Ke Karan, Maine Is ... Uh... Ghatna Ke Liye Mafi Mangne Ka Faisla Karta Hu.

"Mujhe Maaf Kardo Maa, Papa. Kya Main Musibat Me Hu?"

"Haha...Nahi ART Baby, Tum Musibat Me Nahi Ho. Hum Bas Tumhare Baare Me Tensed The. Mujhe Khushi Hai ki Tum Thik Ho." Meri Maa Adh-Khuli Nam Aankhon Se Haste Huye Boli.

Dusri Taraf, Mere Bewakoof, Papa Bahut Jyada Excited The.

"Mera Beta Ek Genius Hai! 3 Saal Se Bhi Kam Umar Me Awaken Hua Hai! Ye Bemishal Hai! Mujhe Laga Tha Ki Main Hi Tej Tha, Lekin Ye, Waah!!"

Ye Khoobsurat Palo Ka Mahaul Ek Padosi Ke Chilane Se Tuta, Jab Usne Paas Se Guzarte Huye Chilaya, "Ye Kya Ho Raha Hai Is Duniya Me?!"

Papa Ne Apne Sir Ke Piche Ragadte Huye Muskuraye Huye Kaha, "Haha.., Hume Is Gandagi Ko Saf Karna Chahiye".



Tab Se Kuch Hafte Bit Chuke Hai. Humne Abhi Ke Liye Meri Awakening Ko Secret Rakhne Ka Faisla Kiya Hai. Papa, Humare Ghar Ke Tabah Ho Chuke Hisse Ko Fir Se Banane Ke Liye Apne Purane Adventurers Party's Ke Members Se Madad Le Rahe Hai, Jabki Hum Pass Hi Ki Dharmshala Me Rahenge.

Conjurers Ne Neev Ke Liye Ground Taiyar Karne Aur Augmenters Dwara Kathin Kaam Karne Ke Karan, Ghar Ko Pur Banne Me Jyada Time Nahi Laga. Yahi To Jaadu Ki Khubsurti Hai!!

Mujhe Tajjub Hai Ki, Papa Ke Purane Party Members Ne Ye Nahi Puchha Ki Humara Ghar Kyu Tabah Ho Gaya.
Isse Mere Bewakoof Papa Ke Baare Me Bahut Kuchh Pata Chalta Hai.

Humare Ghar Ko Dubara Banate Huye, Is Bich Mera Birthday Bhi Aaya (29 May). Mere Maa-Papa Ne Us Subah Mujhe Ek Gift Ke Saath Jagaya, Aur Unke Hathon Me ......Ek Pa
v-roti...... Thi.
Ahh! Wo Ek Cake Tha!... Agar Wo Black Colour Ka Na Hota To Use Pehchanna Aur Bhi Aasan Hota.

Gift Box Kholte Hi Usme Ek Carved Wooden Sword Mili, Maine Maa-Papa Dono Ko Gale Lagaya Aur Gift And Cake Ke Liye Thanks Diya.

Isse Mujhe Tajjub Hua, Kyuki Maa-Papa Ne Pichhle Do Birthday Manane Ki Jahamat Nahi Uthayi Thi, Isliye Maine Maan Liya Tha Ki Is Duniya Me Aise Occasion Nahi Manati Hai.

Baad Me Mujhe Pata Chala Ki Birthday 3 Saal Ki Umar Se Manaye Jane Lagte Hai, Kyuki Bahut Time Pehle Se Ye Parampara Chali Aa Rahi Hai, Jab Bachhe 3 Saal Ke Hone Se Pehle Hi Mar Jate Hai.
Kitna Purana!!...

Ek Aur Baat Jis Par Maine Dhyaan Dene Me Dilchaspi Dikhayi.
Bachh Aur Teens Ko Apne Pariwaar Ke Saath Kheto Me Aur Bhattiyo Par Apprentice Luhar Ke Roop Me Kaam Karte Dekhkar Mujhe Ye Ehsaas Huaa Ki Yaha Par Ek Structured Education System Nahi Tha. Kisi Bhi Tarah Ki Primary Education Unke Gharwalo Dwara Di Ja Sakti Hai (Bas Padhna Aur Likhna Jaisi Basic
Baate).

Here Is The 4th Update
Like And Comment.
Milte Hai Kal Ek Naye Update Ke Saath Tab Tak Ke Liye Bhag DK Boss DK Boss DK.
 

RJ02YOGENDRA

Jaaaaaanam.......
187
326
79
Uski tension mat lo brother kahani tumne bhadiya tarike se likhi hai na ki sirf translation karke copy paste kardi hai aur mujhe ummid hai ki aur logo ko bhi pasand aayegi aur updates aane par👍🙏😁
Nice update
कहानी बहुत ही मनोरंजक लग रही है
Awesome update bhai
Update-04 Has Posted.
Give Review And Likes And Stay Tuned With Story.
 

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Sr. Moderator
28,753
26,641
304
Annual Story Contest - XForum
Hello everyone!
We are thrilled to present the annual story contest of XForum!
"The Ultimate Story Contest" (USC).

"Win cash prizes up to Rs 8500!"


Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 8000 words ke bich honi chahiye (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Cash Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 25th March ko open ho chuka matlab aap apni story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th April 2025 tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.

Important Links:
- Chit Chat Thread (For discussions)
- Review Thread (For reviews)
- Rules & Queries Thread (For contest details)
- Entry Thread (To submit your story)

Prizes
Position Rewards
Winner 3500 ₹ + image Award + 7000 Likes + 30-day Sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 2000 ₹ + image1 Award + 5000 Likes + 15-day Sticky Thread (Stories)
2nd Runner-Up 1000 ₹ + 3000 Likes + 7-day Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-Up 500 ₹ + 3000 Likes
Best Supporting Reader (Top 3) 500 ₹ (Each) + image2 Award + 1000 Likes
Reporting Plagiarized Stories imag3 200 Likes per valid report


Regards, XForum Staff
 
Top