kingkhankar
Multiverse is real!
- 6,272
- 14,063
- 188
Again marvelous update Swaraj bhaiPacking lagbhag ho chuki thi
Aur arjun ne ek aakhiri baar ek nazar daali apne kamre me
TRING TRING
Arjun ne nazar daali apne kamre ki landline par
Aaj tak kisi ne ek miss call tak nahi kiya tha uspar
Waise bhi aajkal mobile zyada use hota hai landline kam
TRING TRING
Fir se baja landline, awaz tez thi. Shayad aur tez ho rahi thi
"hello??" koi bhi ho. Phone uthane me kya harz hai soch kar arjun ne phone uthaya
"kaise ho arjun??" awaz sunkar pehle to chauka arjun
"tu tum fir??" gusse se bola arjun
"packing ho gaya??" awaz ne poocha
"bhai aap hai koun?? Kyun meri zindagi me aaye hai??" Arjun bola
"ye important nahi hai, important ye hai ki sonam ab tak tumhare wajah se hi protected hai arjun" awaz boli aur arjun hairan reh gaya
Ek to Mrs joshi ke saath Saath uski ghamandi didi tak use nakara maanti hai aur ye aadmi hai ki...
"agar tum jaoge aur koi doosra aayega to problem ho jayegi" awax fir bol uthi
Arjun ko samajh me nahi a raha tha ki ye awaz....
"aur ek baat arjun sonam se pyaar na kar baithna, risk factor hai. Bas apni duty karte rehna" awaz bol uthi
Arjun ko samajh me a gaya ki ye awaz ho na ho uski madad karna chahti hai lekin sonam to uske peeche Paagal Hai fir.....
"bhai aap koun hai kyun kar rahe hai meri help aur..." Arjun ke dimag me kai sawal the aur jawab de nahi raha tha wo shaks
"apne dil ki suno, aur karo, hamesha protocol se mission poora nahi hota, kabhi kabhi apne 6th sense se kaam lena padta hai kyunki zaroori nahi jo dikh raha hai wahi sach ho" awaz boli
"aapne mere sawalo ka jawab nahi diya" Arjun apne baaton par ada raha
"sab sawalo ka Waqt aane par jawab milega arjun abhi sonam ko protect karo pyaar nahi, aur Haan ho sake to Anika ki madad kar do" bol awaz ne phone rakh diya
Arjun ke dimag me bhoochal chalne laga
Ek Saath kai sawal aur kai ansuljhi baatein
Lekin pichli baar is awaz ne achi khaasi madad ki thi
Isliye is awaz pat bharosa kar sakte hai
"aap ja rahe ho??" Arjun ne chaunk kar peeche dekha
Anika khadi thi wahan
"um... Wo.... Actually" Arjun ko samajh me nahi a raha tha ki kaise explain kare
"mai rokungi nahi aapko arjun,ye aapki life hai aur mai chahungi ki aap is nark se jitni jaldi ho sake chale jao" bol sar jhukaye Anika Jaane lagi wahan se.
"anika ruko" bol arjun daudkar anika ke peeche bhaga aur uska haath pakadkar ghumaya
Anika ro rahi thi
"Anika mai..." Arjun kuch bol nahi pa raha tha
Anika rote hue daudkar apne kamre Me chali gayi
Raat ko arjun ko neend nahi a rahi thi
Usne karwat badal badal kar sochna shuru kiya
Kuch galat ho raha hai usse, lekin kya?
Tabhi terrace se awaz aayi aur arjun ko jhatka laga
Ek pocket torch ke saath arjun terrace par gaya to chaunk pada
Anika wahan ek kone me khadi thi aur neeche dekh rahi thi
Uske haath me ek chaku tha
"Anika??" Arjun ne awaz lagai
Anika mudkar dekhi arjun ko aur ek feeki muskan ke saath wapas palat gayi
"mout ke baad koi Dard koi problem nahi hoti na arjun??" bol Anika ne chaku ko apne haath me liya aur doosre haath ki nas ke Saamne chaku ko le gayi
Arjun daudkar gaya wahan aur Anika ka chaku wala haath pakad liya aur kaskar dabakar uske haath se chaku cheen liya
"chod do mujhe, mai kehti hoon chod do mujhe" Anika
CHATAAAK
Ek. Zordar thappad ke saath Anika door ja giri
Aur rone lagi
"itna bada kadam?? Itna bada faisla??? Kyun??" Arjun ne jhukte hue Anika se poocha
"kyunki mai aisi zindagi ndagi jeena nahi chahti, kyunki mai tang a chuki hoon apne papa ke zulm sehte sehte, kyunki mai maili ho chuki hoon, kyunki mai apavitr ho chuki hoon, kyunki mai ab kuch nahi hoon" bol bilakh bilakh kar rone lagi anika
Arjun ke Anika ko baahon me le liya
Aur uski peeth par haath ferte hue use dilasa dene laga
Tabhi uska mobile bajne laga
Usne dekha priya ka call hai, aur use call Kaat diya
"koun thaamega mera haath arjun?? Aisi ladki ko apnayega??" Anika ne poocha
"mai thamunga tumhara haath Anika agar tum raazi ho to" Arjun bola
"mujhe hamdardi aur bheek nahi chahiye arjun puri" boo Anika ne apna haath jhatak liya arjun ke haath se aur apne kamre ki aur chalne lagi
"jis din mai is ghar me aaya tha tumne black colour ka top aur denim short pehna hua tha Anika" Arjun bola
Lekin Anika ka chalna jaati tha, Haan lekin chaal dheemi zaroor pad gayi thi
"breakfast me tumhe sirf cereals pasand hai aur tum veg zyada prefer karti ho" Arjun fir bola
Anika ki chaal aur dheemi pad rahi thi
"tumhara koi bf nahi hai, tum school me volleyball team ki captain ho" Arjun bola
Anika ne peeche mudkar dekha, arjun khada tha wahan
Chehre par koi expression nahi tha
"tumhara favourite colour green hai aur tumhara sapna bhi sonam ki tarah top karna hai academics me" Arjun bola
Anika peeche mudi
"kyun??" bas itna hi bol paayi wo
"kyunki mai apne dil ki sun raha hoon Anika, zaroori nahi ki sonam ke saath har Waqt Rehne se mai usse pyaar karne launga, na mai tumse hamdardi dikha raha hoon, aur na hi jhoothi baat Keh raha hoon mai to...." Arjun ki baat beech me hi reh gayi ki achanak.
AAAAAHHHHHHH
Ek cheekh ne Anika aur arjun ko chaunka diya
Dono Bhaag kar neeche gaye tab tak Saari lights on ho chuki thi
Mrs joshi bhi bhaagkar cheekh wale jagah par pohunchai to wahan Mr girish joshi zameen par pade hue the aur unke pet me ek bada sa chura Ander tak bheda hua tha
------------------------------------------------------------------
"bohut risk ho raha hai, ab tak sab kuch theek tha ab achanak se bigad raha hai madam" balbir neogi bola
"iske liye paise milte hai balbir paise" madam boli
"idhar mahira ka nakara plan fail ho raha hai, wahan sara se kuch nahi ho pa raha hai,agar kisi ko bhanak lag gayi ki mai isme shamil hoon to mai to kya meri poori family suffer karegi" balbir bola
"relax balbir tum zyada soch rahe ho, zyada na socho" madam fir boli
"nahi madam aur nahi, mai kal hi priya ko sab kuch ghuma fira kar bata dunga" bol balbir neogi wahan se Jaane laga
KHACHHHHH
"UGHHH" balbir ne bade bade aankhon se madam ki aur dekha
"jab maine girish joshi ko maara to tu kya hai re machhar" bol ek baar aur apna chaku ghop diya balbir ke pet me
KHACHHHHH
balbir shaant pad raha tha dheere dheere
Thanks broVery good update.
Story is full of suspense.
Thanks a lot bhaiAgain marvelous update Swaraj bhai
sundar hone se yeh matlab toh nahi usme insaaniyat bhi ho...Bed se kood pada arjun
Damn damn damn aaj hi late hona tha use, kahan aaj wo doosre din sheela madam ko dekhta aur kahan itni der soya
Jaise taise ready hokar bike je Saath nikal pada arjun
Aaj mausam bhi acha tha, baadal ghire hye the aasmaan me aur thandi thandi hawa chal rahi thi, arjun daatve aasman me tha
Subhash ka call a chuka tha jise usne reject kar diya tha
School par apne bike ki parking karne ke baad arjun lagbhag daudte hue apne class ki aur ja raha tha ki use seediyon se sheela madam aati dikhai de rahi thi, black saree pehen kar kya lag rahi thi sheela madam
Arjun abs dekhe ja raha tha sheela ko
Aisa roop aur aisi khoobsoorti jaise inayat khadi ho uske saamne
"AHHH" achanak sheela ka pair fisla aur wo seedha seediyon se girne hi lagi ki arjun bijli ki tarah Saamne aaya aur sheela ko thaam liya kisi hero ki tarah
Sheela ne aankhen band kar rahi thi
"madam?? Madam??" Arjun ne dheere se bola to sheela ne apni aankhen kholi
"it's ok?? Aap thik hai??" Arjun ne poocha.
"h Haan arjun I think I'm fine" bol sheela ne apni nazren jhuka li aur arjun ko achanak yaad aaya wo sheela madam ko thaame hue tha
Usne jhat se apne haath hata diye aur sheela apne class chali gayi
"kya baat hai aaj akela chodkar a gaye??" sonam ki awaz ne arjun ko sheela ki yaad se bahar nikal liya
"sorry wo actually mujhe yaad nahi tha" Arjun bola
"kya baat hai arjun do din se dekh rahi hoon tum kuch khoye khoye se ho, aur sheela madam ke aas Paas ghoom rahe ho" sonam boli
"oh come on sonam sheela madam se kal hi Mike hum sab, aur aaj to unka pair fisla aur maine bacha liya, tum kahan se baat lekar baith gayi" bol arjun wahan se chala gaya lekin sonam ke dimag me kuch shaque paida kar gaya
Sonam ne Waqt na gawate hue turant subhash ko phone kiya
"pata hai didi, kal se hi calls ignore kar rahe hai wo" subhash bola
"aisa kyun kar raha hai, samajh me nahi a raha" sonam boli
"waise sonam didi hamare school me to kai teachers hai jo English padhati hai, fir ye sheela madam achanak kyun??" subhash bola
"pata nahi subhash lekin tu ye achanak kyun pooch raha hai" sonam boli
Subhash aage kuch nahi bola pata nahi kyun ye baat use ajeeb si lagi, teaching se zyada gappe maarna, students ke doubts na clear karke baat ghumana aur to aur jo studies na karmakar bas masti baazi karna
Ye koun teacher karta hai, khaaskar baar baar arjun bhaiyya ke class me jaana
Seriously kuch to hai
"sonam didi agar aaj free ho to kya arjun bhaiyya par nazar rakh paogi, meri class doosri hai mai nahi kar paunga" subhash bola, sonam par aise vishwas karna thik nahi lekin wo kare bhi to kha. Sonam ko chodkar aur koi itna close nahi hai arjun ke
Isliye ye kaam sonam ko saupna thik rahega
"ok subhash par kyun??" sonam ne poocha
"lagta hai arjun bhaiya us English teacher par lattu hai, isliye" bahana bana kar subhash bola aur ye kaam kar gaya
"done chal mai rakhti hoon aage phone karti rahungi" bol sonam ne phone Kaat diya
Aur apne class chali gayi
Class to chali lekin arjun ne English class zyada ache se attend kiya
Aur sheela madam bhi muskura uthi kabhi kabhi arjun ko dekhkar
"Arjun chalo aaj coffee peene, waise bhi aaj agar tum na hote to seediyon se girkar to...." sheela ne arjun ko invite kar diya
"h Haan kyun nahi coffee k kab??" Arjun ko shayad yakeen hi nahi hua
"aaj shaam 9 baje" sheela boli
"9 baje??" Arjun ne poocha
"koi problem??" sheela ne palat kar poocha
"n nahi d done 9 baje" Arjun bola aur khushi khushi wapas a gaya ghar
------------------------------------------------------------------
"one of the best coffee" sheela boli to Arjun muskuraye bina na reh saka
"waise hum sirf coffee hi piyenge ya kuch aur bhi order karenge??" sheela ne poocha
"h Haan bolo kya order kare??" Arjun ne poocha
"wo tum jaano" has kar sheela boli
Apne time se pehle pohunch gaya tha arjun lekin sheela apne time se thoda late pohunchi thi
Lekin isse arjun ko koi gila shikwa nahi tha
Uski kahani tez pakad rahi thi aur bas ab use sheela ke roop me wapas inayat milne wali thi
Coffee aur khana to bas bahana tha arjun sheela ko dekhte rehna chahta tha
Baaton ka daur chala aur achanak sheela boli
"gosh kaafi late ho gayi arjun I think we should leave"
"Haan chalna chahiye" ghadi me raat ke 12.25 baje the aur is area me jagah kaafi sunsan rehta hai
"thank you for the lovely evening Arjun" bol sheela arjun ke gale lag gayi
Arjun ne aankhen band kar di shayad yahi wo pal tha jiska wo inte zar kar raha tha
"ARJUNNNNNNNNN"ek awaz sunai di arjun ko ye sonam ki hi awaz thi
Arjun peeche muda hi tha ki...
DHADAKKKK
Ek dhakke ne arjun aur sheela ko chuka kar door fenk diya
Aur usi waqt
DHAMMMMMM
goli ki awaz chali aur sonam dhadam se zameen par gir gayi
Arjun ke sochne samajhne se pehle uske charo aur kuck logo ne gher liya
"sorry arjun, nothing personal" sheela ne apni saree utaar fenki aur sports bra aur jeans me khadi ho gayi
Apne haath me ek gun lekar
maana ki galati bahot badi thi... aaj shayad Sonam ki jaan bhi jaa sakti thi.. lekin shreya ka koi haq nahi hai ki woh arjun ko bastard kahe.. do kya chaar thappad maar le ushe par bastard nahi bolni chahiye thi.....Arjun ghir chuka tha aur kuch sochne samajhne ki shthiti me Nahi tha
Usne dekha ki sheela ne kisi ko phone lagaya aur haskar baatein karne lagi
"so arjun marne se pehle koi khwahish??" sheela ne poocha
"kyun??" bas itna hi bol paaya arjun, awaz bharra gayi uski
"kyun?? Kyunki tere sar par paisa tha yaar, waise I liked you. Tu wo romantic type hai jise shayad mai kuch din rakh sakti thi lekin kya karun yaar ye paisa hai hi aisi cheez" sheela boli aur usne bandook taan liya arjun par
Arjun ne dekha sonam ka sharir kuch door pada hua tha
Usne aankhen band kar di, wo kuch nahi kar sakta tha
DHAM DHAM DHAM
Arjun ne apni aankhen kholi uske Saamne kuch log gir gaye
"dhoka, gear up boys" sheela boli aur cover le liya aur goliyan chalane lagi
CHYOOM CHYOOM
do log aur gir gaye
"damn, cover me guys" bol sheela wahan se bhaagne lagi aur kuch logo ne usko cover dekar tabadtod fire karna shuru kar diya
Arjun ne dekha shreya kuch logon ke saath wahan pohunch gayi
Aur usme se ek aadmi sonam ke Paas jaakar uski nabz check karne laga
"urgent hospital lekar Jaana Hai, kandhe par goli lagi lekin khoon beh raha hai zyada, late ho gaye to shayad haath zyada infected ho jayega" aadmi nabz check karte hue shreya ko dekh bola to shreya ne ishare se aisa karne ko kaha
Turant sonam ke sharir ko ek jeep me lekar kuch log chal pade, kuch wahan ki tazveerien lene lage aur kuckh wahan se sample collect karne lage
Shreya ne arjun Ka collar pakda aur uthaya.
"didi mai...."
CHATAAAAAKKK
Ek jhannatedar thappad pada arjun ko
CHATAAAAAAKKKK
doosre gaal par pada
Shreya ne phone lagaya usi waqt
"madam shreya here, sonam is in critical condition, use hospital shift kar rahe hai" shreya phone par boli
"aur arjun??" priya ne poocha.
"he's good for nothing madam, aaj ek bada haadsa hua hai aur uski wajah arjun hi hai. Mai apni poori report bana rahi hoon, aapko pata chal jayega" shreya boli aur priya ke kuch samajhne se pehle phone Kaat diya
"you bastard, you are neither fit for army, nor fit for anything" bol shreya wahan se chali gayi, dheere dheere sab chale gaye lekin arjun wahan baitha raha
Tap tap tap
Barish hone lagi aur arjun ko poori tarah bhigone lagi
Lekin arjun apna sar jhuka kar baitha raha
Ek bodyguard ka kaam hota hai uski raksha karna jiska wo bodyguard hai lekin aaj sonam ne arjun ko bachaya, aur bachaya tha inayat ne arjun ko us raat ko
Agar wo na hoti to Arjun ki jagah aaj inayat zinda hoti
Sheela me inayat dhoonde nikla tha arjun
Sab kuch bhoolkar ye bhi bhoolkar ki sonam ki Jaan khatre me hai
Aur aaj shayad sonam ki haalat ka zimmedari bhi arjun hi hai
Na army me use jagah mili na yahan, jaaye to jaaye kahan arjun
Rone ka man kar raha tha, lekin Kehte Hai na mard rote nahi
Shreya ne jo tevar dikhaye hai usse ye to saaf hai ki sonam ko ab se wo guard nahi karega
"Arjun bhaiyya??" subhash ki awaz sunkar chaunk pada arjun
"subhash mai..." Arjun safai kahan se de samajh nahi a raha tha use
"anirban bhaiyya ne kaha tha aapko full support doon, aur wahi maine diya, aapko mai apna inspiration maanta tha, ab nahi, sorry lekin aaj...." itna keh subhash nikal gaya
Arjun akela tha bilkul akela
------------------------------------------------------------------
" mujhe kuch nahi sunna priya, aap logo ne mujhe yakeen dilaya tha aur aaj meri beti yahan hospital me hai "Mrs joshi rote hue boli
"madam shant ho jaiyye sonam stable hai, doctors ne bola hai bas teen din ka bed rest fir wo Ekdum normal ho jayegi" priya boli
"aur wo goli ka Zakhm?? Wo bharega???" Mrs joshi baras padi priya par
Shreya sab dekh rahi thi, uska sar jhuka hua tha apne bhai ke liye
Anirban out of city gaya tha isliye usse touch me nahi the priya aur shreya
Waise bhi anirban ko lagbhag out kar diya hai home ministry ne
" I don't want that bastard to guard my baby priya, mujhe full z+ security chahiye sonam ke liye" Mrs joshi boli
"madam technically possible nahi hai, ye sirf aapke liye hai, apne family members ke liye nahi, aur sochiye kya effect hoga sonam par job wo ek Saath itne bodyguards ke saath jayegi?? Uska freedom cheen jayega" priya samhhate hue boli
"to mai kya karun??" Mrs joshi ne poocha
"dekhiye pehle sonam ko jaagne dijiye aur usse statement lene dijiye fir hum kuch decide kar lenge" priya boli
Shreya priya ki aur dekh rahi thi, agar priya chahti to jhatke me arjun ko nikal fenk sakti thi
Lekin unhone aisa nahi kiya, kyun?? Ek soft corner hamesha se priya ke dil me hai arjun ko lekar
"shreya let's move" priya boli aur shreya ke saath nikal gayi hospital se bahar
Jaate Waqt commandos ko kuch hidayat de gayi jo sonam ko guard jar rahe the US waqt
"anirban pohunch gaya??" priya ne poocha
"madam ye sab kya hai" shreya se aur nahi raha gaya
"jo bhi ho, tum dono ki jodi mast hai matlab just made for each other" priya haste hue boli
"madam please baat ko ghumaiye nahi" shreya bol padi
"tum samjhogi nahi shreya" priya boli
"samajhna chahti hoon, arjun abhi tak out kyun nahi hua?? This is not a mistake madam it is a blunder, aur aise blunders ki koi maafi nahi" shreya boli
"shreya ye sab samajhne ke liye tum choti ho, pehle sonam ka statement a jaaye fir we will decide" bol chali gayi priya apne Gaadi me
Shreya ne apna phone ghumaya anirban ko
Kuch baatein discus karna zaroori hai
Yeh arjun ab tak samajh na saka ki Sonam ke dil mein kya hai Sonam se behtar koi ho nahi sakti uske liye.. kyun tham nahi leta uska hath.. yeh lo phir se bhaagne ki firak mein... par iski maa priya aisa hone na degi... shayad phir se bodyguard ki duty pe laga de par shayad is baar kuch alag tarike se...Sonam ne apni aankhen kholi to paaya ki wahan par khadi thi ek muskurati hui aurat
Ladkon jaise chote baal aur aankhon me ek golden frame ka chashma
"aur tabiyat kaisi hai tumhari beta??" us aurat ne muskurate hue poocha
Sonam ne aas Paas dekha, us aurat ko chhodkar koi nahi tha wahan
"doctors ne kaha hai ki tum jald recover kar rahi ho, kahan teen Chaar din lagne the aur dekho tum aaj poori fit ho gayi" aurat ne fir muskura kar bola
"btw im priya, ek dost type samajh lo sonam, kuch details chahiye, bas 5 minute" priya boli
Sonam ko kuch samajh me nahi a raha tha, arjun kahan hai?? Aur kyun ye aurat yahan hospital me hai?? Last use jo yaad hai ki usne arjun aur sheela ko ek Saath gale milte dekha aur door khade kisi shaks ke haath me gun dekha tha jo arjun ki aur point kar rahe the
Wo to subhash ke saath aayi thi nazar rakhne lekin itna bada haadsa ho jayega usne socha bhi nahi tha
"to shuru karein?? Kaise hua ye sab??" priya ne poocha
"mai coffee house gayi thi apne dost ke saath, wahan se nikalte hi mujh par hamla hua arjun ne mujhe bachaya, agar wo na hota to shayad goli mere pet me lagti" sonam boli
Priya ko jhatka laga, arjun ke diye gaye statement se ye alag tha
"are you sure?? Fir se ek baar soch kar bolo sonam, ye statement arjun ke statement se match nahi khata" priya boli
"maine jo kehna hai Keh diya, I'm feeling weak now, rest karna chahti hoon" bol sonam be aankhen band kar di
Priya ne baat aage nahi badhai aur chupchap wahan se chali gayi
Sonam chupchap baithi hui thi
Saamne chicken soup rakha tha lekin peene ka man nahi kar raha tha uska, ek Saath itna sab kuch achanak ho gaya, shayad ab arjun ko tang karne ka koi matlab nahi
Chalo kam se kam ek achi dost bankar reh sakegi sonam
Ek lambi Saans ke saath sonam ne soup ki aur haath badhaya hi tha ki tabhi haste hue subhash Ander aaya
"kaisi ho didi??" subhash ne poocha aur apne Saath laaye fruits ko ek table par rakh diya
"tujhe kya lagta hai??" sonam ne haste hue poocha
"lagta hai recovery jald ho rahi hai" subhash bola
"Arjun kahan hai milne nahi aaya??" sonam ne poocha
"aap arjun bhaiyya ko bhool jao wahi acha hai didi, wo insan aapke pyaar ke layak nahi hai" subhash bola
"jaise alisha tere pyaar ke layak nahi hai" sonam muskurate hue boli
"Ali..... Didi..... Aap......"subhash ko jhatka laga.
"mujhe sab pata hai subhash ladki buri nahi hai, ho sake to ek baar sochna zaroor" sonam boli
"mai chalta hoon didi apna khayal rakhna, kal fir aunga, waise bhi shayad teen din baad discharge ho hi jaogi" subhash bola
"apna khayal rakhna subhash, aur ho sake to alisha ke baare me sochna" sonam boli
Subhash muskurate hue chala gaya
Baaki aur koi milne nahi aaya tha sonam se na Anika aur na hi uske papa girish
Sara din bas kuch magazine padhkar Kaat liya sonam ne raat ko dinner karke so gayi thi wo
KHAT
khidki se awaz a rahi thi aur sonam chaunk kar uth baithi
"koun hai??" sonam ne poocha
"mai" awaz ko pehchaan gayi sonam
"Arjun?? Is Waqt??"sonam ne awaz di
" Haan sonam, shayad ye aakhiri mulakat hai hamari, itna sab hone ke baad mujhe nahi lagta ki ab mujhe apni padhai complete karni chahiye "Arjun bola
" kyun?? Aisa kya ho gaya?? "sonam boli
" tumhe pata hai sonam, aaj agar tumhari ye halat hui hai to kahin na kahin iska zimmedar kuch had tak mai hoon"arjun bola
"isliye tum bhag jaoge arjun?? Kitna bhaggoe?? Kab tak bhaggoe??" sonam ne poocha
Arjun ne koi jawab nahi diya aur khidki ke raaste Jaane laga
"kisi ne kaha tha ki wo jab tak zinda rahega koi mujhe touch bhi nahi kar sakega" sonam boli
Arjun ruka nahi chala gaya khidki ke raaste aur sonam ne apni aankhen band kar li
------------------------------------------------------------------
"sir I can explain" sara boli
"you have nothing to explain" Imtiaz bola
"Humne poori koshish ki sir" sara boli
"sara jab Humne tumhe field me utara tha to ye sochkar ki tum Pakistan ka Naam Roshan karogi, ISI ko bulandion tak pohunchaogi, aur dekho har Waqt, har mission me fail hote hote shayad tum ISI ke history me sabse weak agent ho" Imtiaz bola
Aur sara ne apni muthhi bheench li, uske naakhon usi ke haath me ghaste chale gaye aur khoon behne laga
"wo to pata nahi tumhara aur chief ka kya rishta hai jo tumhe abhi tak support kiye ja rahe hai, mai hota to ab tak tumhe hata chuka hota, anyways dekho kya karna hai tumko, tang a chuka hoon excuses aur bahana sunkar, u may leave now" bol Imtiaz apne laptop me busy ho gaya
Aur sara apna sar jhukakar karachi se ek office se bahar nikal kar, sar jhukakar wapas chal padi
Yeh kya Anika kaha bis mein aa gayiPacking lagbhag ho chuki thi