update no. 07
KAhani aah tak
मैं घर आकर रात के खाना खाया और 1 बज के 55 मिनट पर का अलार्म लगाकर सो गया।
रात के 1:55 पर मेरी नींद खुल गई अलार्म से मैं उठा और चुपके से घर से निकल कर चल दिया हवेली के तरफ और पहुंचा तो वह कल वाले बाबा वही पर बैठे हुए है।
मैं उन्हें प्रणाम किया और उनके पास बैठ गया…..
कुछ देर बाद उन्होंने पूछ तो बताओ तुमने क्या फैसला किया है क्या तुम हवेली के राज जानना चाहते हो।
मैं_हा बाबा मैं पूरी तैयारी करके आया हु आप मुझे कहानी बताइए मैं तैयार हु…..
बाबा_ तो ठीक है सुनो…..
Aab aage :-
Pahli kahani :-
Baba_ to beta yeh kahani hai………
Kaushal puri ke raja chandrbhan jo ek param prtapi raja the unke davara kiya gaya nayay bahut dur dur tak faili hui thi raja ke ek putr the jinka naam malayketu tha.
……... Malayketu ek bahut hi sundar rajkumar the…….. ya yuan kahlo agar koi bhi stree unhe ek bar dekhale…….. to un par mohit hue bina na rahe ………….rajkumaar ki umr abhi 23 varsh ki thi inake vivah inaki ichha ke bina inke……... pita chandrbhan bhi nahi kara sakte kyoki
……. rajkumar ne raja air apane parivar walo se vachan jo le rakha hai…..ki unke anumati ke bina ianka vivah ki charch nahi hone chahiye…..
Isi tarah din bitata gya raja ki maut ho gayi aur malayketu ko raja banaya gya…..
Ek din raja banane ke bad malayketu jangal me sikar par jate hai……..vah sikar khelte khelate apane sathiyo se bahut dur nikal jate hai…….pata to unhe tab laga jab malayketu ko pyas lagti hai….tba vah dekhte hai ki ve ….. apni sathiyo se bahut dur nikal aaye hai …… ve vahi par utar jate hai aur ghode par thaili me rakhe pani ko pite hue vahi par ….. aaram karne lagte hai ….. aur sochate hai ki thoda aaram karke lauta jaya apane rajdhani….
Aaram hi kar rahe the ki …. Ek rishi kanya vahi ke raste se hokar matke me panoli leke ja rahi hai rajkumar us kanya ko dekh kar….us par aasakt ho jate hai….
. Aur us kanya ke pichhe pichhe chalne lagte hai aur pahuch jata hai risi ke ashram jaha ek risi vahi yagy vedi par baithe hue hai…...aur yagy me aahuti dal rahe hai ….. rajkumar wahi khada hokar yagy pura hone ki pratiksha karte hai……
Kuchh samay baad yagy puri ho jati hai aur vah rishi chalkar rajkumar ke paas aate hai aur kahte hai :-
Kaushalpur ke maharaj is sadhu ke kutiya me aaj padhare hai…….hamari kutiya to aaj to sachamuch dhany ho gayi……...kahiye kya seva karu maharal malayketu……
Malayketu - hath jod ke vinamr bhav se…...rusi ko prnam karte hai aur kahte hai……..isivar vah kanya koun hai jo ataynt rupvan ke sath sath kaam ko bhi mohit karne vali hai?
Risi- muskurakar…...maharaj vah meri putri hai…aur uaska naam charu hai…...kahiye kya kiya hai meri putri ne …
Malayketu- risivar mai shikar par nikala huaa tha. mai sikar khelne me itna busy ho gaya tha ki……..mujhe ehsaas hi nahi hua ki mai itana………. dur nikal aaya hu pata to mujhe tab chala jab mujhe pyas lagi aur jab mujhe dhyan ayaa to mai bahut dur nikal aaya tha ………phir mai pani pikar ek ped ke niche bvisram hi kar raha tha ki ……….mujhe aapki putri pani ka matka kamr par rakhi hui jaa rahi Dikhi……….. mai use dekhta hi mohit ho gaya hu aur mai aapak putri se vivah ki ichchha rakhta hu.
rishi---- rajan agar tum nirdosh jivo ko marna chhodane ka vachan dete ho to mai tumhe apani putri ka vivah tumse kare ka asvasan deta hu.
malayketu vachan de deta hai……... aur…….. charu se vahi aasram me vivah karke chal deta hai ……….. malay abhi kuch hi dur raste par aaya tha ki …………….ek bhayankar rakshas vaha prakt ho jata hai …………...aur charu ko apane muthi mee kaid kar leta hai .
malayketu us rakshas se charu ko chhod dene ko kahta hai……….. lekin rakshas charu ko chhodane ke liye ek sart rakhta hai ki rajan tum apani patni ko bachana chahate ho to tumhe apani patni ke sthan par ek brahman balak ko ek saptah ke andar mere liye lana ho lekin sart ye hai ki us ladke mata pita us ladke ka hath pakde hue ho aur tum uske sar apne isi talwar se katoge.
daR KE MARE RAJA us rakshas ki baat man leta hai aur apne rajy me aakar apane mahamantri ko yah bat batata hai to mahamantri kahta hai “ maharaj aap chinta n kare main aise balak ko dundh nikalunga vo bhi saat dino ke andar.
mahamantri ne ek saat varsh ke balak ki murti banvai ji pure sone ki thi aur use anek bahumulya hire motio se sajakar nagar nagar ghumavata hai aur sath me us rakshas davara ki gayi mang ko ghosana ke rup me batalvata hai.
vahi jab yah baat ek brahamn balak sunta hai to apane ma baap ke pass jata hai aur kahata ha “ aapake do putr hai jisame se agar ek kisi karan vas jinda na bhi rahe to aap par koi vishes prabhav nahi padega. atah maine yah faisala kiya hai ki mai raja ki baat manuga aur aap logo ko mere is faisale me sath dena hoga” us ladke ke ma baap mana krte hai to vah phir bolta hai ki “ ,mere sharir se raja ki bhalayi hogo aur aap sab ka sara garibi mit jayega mujhe jane dijiye” vah balak hath karne lagta hai uske hath ke aage ve sab man jate hai.aur use lekar raja ke mahal me jate hai aur raja malyketu unhe us rakshas ke pas lekar jate hai.
rakshas ke samane balak ke hath pair pakde hue uske mata pita khade the aur raja malayketu apana talavar lekar us balak ke sar ko uske dhad se alag kane vale hote hai ki balak usi samay jor se hasne lagata hai.
iatana kahani sunane ke baad budha vykti chup ho jata hai mai uska mukh hi dekhe ja raha tha .
kuchh samaya pashchat budhe baba bolate hai ki shiva ab tumhare jawab dene ka samay aa gaya hai ab tum jawab dene ke liye taiyar ho jao
to tumhara prashan yah hai ki “ vah ladaka jo ek brahman balak tha vah hasa kyo” jabki hota yah hai ki us samay koi bhi manushya aisa nahi hasta hai.
to tumhe isi saval ka jawab dena hoga ki vah balak hasa kyo. aur tumhara samay suru hota hai aab.
baba ye kaisa sawal hai vah ladaa to pagal ho gaya hai apani maut dekhakar isliye ha raha hai --- mai bola
baba bole --- shiva tum apana dhyan lagao aur is saval ka sahi sahi javab dena nahi to tum jante ho ki kya hoga tumhare sath. aur ha chaar baj gaya hai aaj saam ko tumhe apane gav jaan hai to tumhare pasaa keval abb se keval 10 ghante ka samay rah gya hai to apane dimag lagao aur is kahani ke prashno ke uttar do aur mai phir se bata deta hu ki tumne kahaniyo ke mayajal me pravesh kar chuke ho aab tum chah kar bhi isase bacha kar nahi bhag sake ho agar iske samay jo nirdharit hai us samay me nahi javabde paye yaa bhag gaye to tumhe iska parinaam bhugatana hoga.
mai-- ji mai samjh gya hu.
baba - aur ha is saval ke javab dene ke badd tumhe saat dino ke andar dusari kahani ka javab dena hoga nahi to parinam wahi hoga jo javab galat ya bhagane par ho
chalta hu phir milate hai agli kahani ke sath ….