If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Kall Dhwajgarh ka mahul hamesha ki tarah andere aur burai se ghira hua tha Lekin aaj is jagha ki burai main ek ajeeb sa tapman (temperature) tha yeh tha Kall Dhwaj ke asadharan ( extraordinary ) krod ki garmi Kall Dhwaj ek Vishal Singhasan ek per betha hua tha Uske charon taraf uski Kali Sena ke mantri aur sainik sir jukaye kade the unke chehre par dar aur bechaini thi
Kaalaagnik jiska jism hamesha aag se bhara rehta tha aur Shitalanand jiska jism barf se dhaka tha apne asli roop main Singhasan ke thek samne ghutne tek kar khade the Unke jism se tez Kali urja nikal rahi thi lekin unki halat sharmindagi (shame) aur har ki wajha se kamzor thi
Kall Dhwaj apne Singhasan par batha tha Uska kale lohe ka jism is tarah kamp raha tha jaise uske andar koi bayankar bijli ka tofan ho Uski Aankhoo main neli aur Kali aag jal rahi thi Usne apna vishal kala haath dheere se Singhasan ki armrest par rakha aur woh armrest pal bhar main toot kar rakh ho gayi
Kall Dhwaj ki Dahadte hue Awaz pure Dhwajgarh main gonji
Kall Dhwaj : VIRAKSHA Mere sabse takatwar senapati ko us mamuli Surya ne shud (purify) kar diya! Aur tum dono... tum dono kya kar ke aaye ho
Kaalaagnik Uske jism ki aag halki thi woh gusse main kamp raha tha
Kaalaagnik : Maharaj! Humne puri Koshish ki Thi uska ant Karne ki aur kar bi dete Lekin Sahi samay per usne Uska Dahshat Shoshak... aur uska Satya Jwalan... hamare hamlon ko shanti main badal raha hai!
Shitalanand Emotionless tha lekin uski awaz main sannata tha
Shitalanand : Humne uske Krod ko Uksana chaha Maharaj Lekin usne apne Krod ko hi Raftar aur Sabkalp main badal diya Hamara maqsad Nakam (failed) hua Hum kshama chahte hain
Kall Dhwaj ke kale chehre par ek bayankar muskurahat aayi jo uske krod se bi ziyada khatarnak thi
Kall Dhwaj : Shanti! Jazb! Sankalp! Woh ab Samanvay (Balance) ki shaktiyon ko samaj chuka hain Woh mere banaye hue dokhe (trap) ko palat raha hai! Usne Viraksha ko cheen liya... aur tum dono uske Krod ko bi nahi jaga paye
Kall Dhwaj utha Uska Vishal jism jab Singhasan se alag hua toh puri zameen halki si kamp uthi. Uski Aankhoo ki neli aur Kali aag tez ho gayi
Kall Dhwaj : Tum dono... tum dono ne mujhe Nakam kiya aur Kall Dhwaj ki sena main nakami ki koi jagha nahi hai!
Kall Dhwaj ne bina koi aur shabd kahe apna dayan haath aage kiya Uske haath se tez Kali bijli nikli jo sirf Kall Dhwajgarh ke andere se hi bani thi Yeh bijli Kaalaagnik aur Shitalanand ke jism se takrayi
Kaalaagnik aur Shitalanand Ek saath dard se chillaye, unki aag aur barf tez ho gayi par phir turant shant pad gayi
Dono : Aaaahhh... Maharaj... Kshama!
Us tez Kali bijli ka hamla itna shaktishali tha ki dono Asur Senapatiyon ke jism bhasm (ash) ho gaye Unki Kali Urja ek choti si roshni bankar Kall Dhwaj ke jism main sama gayi Jahan woh khade the wahan sirf rakh bachi thi
Kall Dhwaj ne gehri sans li isse uski khoi hui shakti wapis aa gayi ho
Kall Dhwaj Pure gusse main Singhasan par zor se haath dee mara
Kall Dhwaj : SURYA! Tumne bohut badi galti ki hai mujse ulaj kar Ab dekho main tumhare saath kya karta hoon Ab tum bach nahi sakte mere war se
Kall Dhwaj apne Singhasan se uth kar Singhasan ke peche bani kali pathar ki Dewar ki taraf badha Us Dewar par prachin ( ancient ) aur khatarnak mantras ka jaal bana hua tha
Kall Dhwaj : Main Surya ko uske Gyan aur Sankalp ke saath hi khatam karunga Uske liye sadharan (ordinary) shakti kafi nahi hai Main ab KALL DAND ka istemal karne wala hoon jisko maine apni aneko varsho ki tapasya (penance) se hasil kiya hain
Yeh sunkar Darbar main khade sabhi mantri aur asur sainik ke jism dar se kamp gaye Kall Dand ka naam sunna hi Mrityu (death) ko bulana tha Yeh Kall Dhwaj ki sabse shaktishali aur antim shakti thi jiska istemal woh sirf Bramhand ko hilane ke liye karta tha
Mantri 1 Dar ke mare lekin himmat karke sir uthaya aur bola
Mantri 1 : Lekin Maharaj... Kall Dand... Kya yeh thek hai Is shakti ka istemal Bramhand ke niyam (laws) ke khilaf hai Yeh shakti Bramhand main Krod aur Asantulan paida kar degi
Kall Dhwaj palta Uski Aankhoo main ab sirf krod nahi tha balki shuddha (pure) pagalpan aur ego tha
Kall Dhwaj ( Tez bijli jaisi dahad main ) : TUMHARI HIMMAT KAISE HUI MUJSE AISE BAAT KARNE KI
Kall Dhwaj ne bina soche samje us Mantri ki taraf apne teen nakhun phenke Yeh nakhun tez teer ki tarah the jinhone Mantri ke jism ko chin-bhin (tore apart) kar diya Mantri bina koi awaz nikale Dhuan main badal gaya
Kall Dhwaj ne chillate hue zor se pure gusse main kaha
Kall Dhwaj: Yaha Kya koi aur hai jisko mere decision se koi problem hain
Pure Darbar main ek sannata chha gaya Kisi main himmat nahi thi ki woh Sir utha kar Kall Dhwaj ki taraf dek bi paye Sirf dar ki awaz thi
Kall Dhwaj ne apne ap ko shant kiya Uska maqsad tha Surya
Kall Dhwaj Ek gehre commanding tone main usne kaha
Kall Dhwaj : Kaha hai mera sabse takatwar Asur?
Ek naya Asur jo kale lohe aur chattan jaisa tha dheere se aage badha Uska naam tha 'DAHAKAAL'—jiska matlab tha 'Tabahi Ka Waqt
Dahakaal ki awaz zameen ko hila rahi thi
Dahakaal : Main hazir hoon Maharaj
Kall Dhwaj ( Us Asur ko dekte hue ) : Dahakaal! Tum meri sena ke sarv-shreshth ( supreme ) yodha ho Tumhara bal Bramhand se aata hain Lekin Surya ke pass Shudh Gyan hain Tumhe harane ke liye tumhe Kall Dhwaj ki shakti se bi aage jaana hoga
Kall Dhwaj ne apne aankheen band ki Uska jism hawa main dheere dheere uthna shuru hua. Usne hawa main ghumte hue ek prachin ( ancient ) aur khatarnak mantra padna shuru kiya Us mantra ki dhwani Kall Dhwajgarh ke har kone main vibrate kar rahi thi. Yeh mantra 'Kall Dand' ko jagane ke liye tha
Jaise hi woh mantra pura hua Kall Dhwaj ke jism se ek vishal Kali roshni nikalni shuru hui. Yeh roshni itni tez thi ki us anderi Jagha main bi pal bhar ke liye sab kuch dik gaya Yeh roshni kale dhuain aur laal bijli se bani thi yeh thi Kall Dhwaj ki varshon ki ikathi ki hui Tapasya aur Asuri Shakti
Yeh Kali Roshni tezi se aage badhi aur Dahakaal ke vishal jism main sama gayi Dahakaal ka jism bi tez Kali roshni se ghir gaya. Usne bi apni aankheen band kar li aur hawa main dheere dheere uthna shuru kar diya Uska jism bijli se kamp raha tha kyunke woh Kall Dhwaj ki ultimate shakti ko absorb kar raha tha
Kuch palon tak Dahakaal hawa main raha Jab woh dheere dheere zameen par wapis aya toh woh ab sirf Dahakaal nahi thabUske jism par Kall Dand ki shakti ki chap ( mark ) tha Uski Aankhoo main ab sirf andera nahi tha balki Kall Dhwaj ki krorata ( cruelty ) aur nirdhayta ( ruthlessness ) bi thi
Kall Dhwaj Dheere se zameen par aate hue uski awaz ab shant lekin khatarnak thi
Kall Dhwaj : Jao Dahakaal! Ab tum Darti par mere Sabse bade dusman ko khatam karke aao Uska naam Surya hain
Dahakaal ke jism se tez Kali bijli nikal rahi thi aur uski awaz do Asuro ki tarha lag Rahi thi
Dahakaal : Aapka hukum Maharaj! Surya ka ant ab nischit hain
Dahakaal ne ek Vishal kala gola banaya aur tez raftar se Darti ki taraf nikal gaya Uske jaane ke baad Kall Dhwajgarh main gussa aur shanti ka ajeeb sa milap tha Kall Dhwaj Janta tha ki ab Surya aur uske Gyan ko rokna asan nahi hoga. Usne apne hathon ko dekha jahan Kall Dand ki shakti abhi bi vibrate kar rahi thi
Kall Dhwaj ( Man main ) : Surya! Tumne mujhe apni sabse badi shakti ka istemal karne par majbor kiya Ab tumhari shanti aur tumhara sankalp dono barbad ho jayege Yeh hai Kall Dhwaj ka antim war
1 hour later :-
Kall Dhwajgarh ka Vishal Darbar Kall Dhwaj ne abhi abhi Dahakaal ko Darti par bheja hain aur uska gussa thoda shant hua tha par Kall Dand ki shakti uske jism main ab bi vibrate ho rahi hai Darbar main bache hue Asur Senapati aur Mantri dar aur sannate main sir jukaye khade hain Kall Dhwaj apne kale singhasan par betha apne haath ki taraf dekh raha hai jahan Kall Dand ki sakti ka asar abhi bi tha
Achanak pure Darbar ki andheri hawa main shudh tevra roshni phail jati hain Yeh roshni itni tej aur pavitr thi ki Kall Dhwajgarh ke pathar bi iski garmi se jalne lage Is roshni ke beech Thi the lady of SATYALOK ( woh ladki jisne Divya Mani ki sakti ko hasil ki Thi ) prakat hoti hain Uska roop ab aur bi ziyada divya par krodhit lag Raha tha Uska jism roshni se bana hua tha aur uski Aankhoo main neli aag jal rahi hai
Uski awaz Darbar ki dewaron main garajna ki tarah gonjti hain
Ladki : Kall Dhwaj Tumne abhi abhi kya kiya hai Tumne apni had paar kar di Dahakaal ko Kall Dand ki shakti dekar tumne sirf Darti ko nahi balki pure Bramhand ko khatre main dal diya hain
Kall Dhwaj apne singhasan par akarshan ke saath batha hua tha Uske chehre par ab dar nahi balki us safalta ka ego Nazar AA Rahi Thi jo usne Dahakaal ko shakti dekar hasil ki hai. Vah ek lambi, dhimi sans lete hue Bolta hain
Kall Dhwaj Uske awaz main ek visham, thandi gonj hain
Kall Dhwaj : Aah Dekho Dekho Kon Hain the lady of SATYALOK ( aur hasne lagta hain magar phir ek dum gusse main Bolta hain ) Main toh Janta tha ki ap jaldi hi wapis ayengi Lekin itni jaldi aana yeh dikhata hai ki mera 'Dahakaal ke Kall Dand' ka war kitna safal raha hai. Aur rahi baat Had paar karne ki... main hamesha hi had paar karta hoon Mera maqsad hi Satyalok ke niyamon ko todna hain
Ladki Gusse se uski roshni aur tez ho jati hain
Ladki : Baqwas band karo Tumne ek aisi shakti ko jaga diya hai jo tumhare kabu se bahar hai. Tum yeh sab sirf Surya se apni har ka badla lene ke liye kar rahe ho Tum ismain pure Bramhand ko tabah kar doge
Vah Kall Dhwaj ki taraf badti hai aur Asur Mantri dar ke mare aur bi piche ho jate hain
Ladki : Tum jo bi kar rahe ho woh galat hain Us masoom ladke ko bina waja tumhari krorta ka shikar mat banao Tumhari yeh galti tumhari akhri galti sabit hogi Abhi ke abhi Dahakaal ko wapis bulao! Usse us Shunya main wapis bhej do jahan se tumne usse khincha hain Nahin toh tumhare liye acha nahi hoga! Main tumhe akhri chetawani de rahi hoon
Kall Dhwaj uth ta Hain Uska kala jism ladki ki divya roshni main bi ek andere chattan ki tarah dikhta hai. Vah uski baat sunkar halke se muskurata hain Uski muskan main ek purana, Khatarnak khel hain
Kall Dhwaj Shant aur nischit bhav main Bolta hain
Kall Dhwaj : Thek hai... Agar ap chahti hain toh main Dahakaal ko wapis bula leta hoon Akhir Satyalok ki Sundari ki baat toh maan'ni padegi...
Ladki hairan ho jati hain Vah Kall Dhwaj ki baat par yakin nahi kar pati
Ladki : ( Shanka se ) Agar tum itni asani se maan rahe ho... toh kya shart hain
Kall Dhwaj Uski muskan geheri ho jati hai aur woh muskurate hue Bolta hain
Kall Dhwaj : Shart choti si hai Aur bohut personal Agar ap chahti hain ki main Dahakaal ko wapis bula loon aur Surya ko chod doon... Toh uske liye tumhe mujse shaadi karni hogi
Kall Dhwaj ki baat Darbar main ek kale bomb ki tarah Patti hain Darbar main kade sabhi Asur jo abhi tak dar se kamp rahe the Kall Dhwaj ki himmat aur is shart ko sunkar dang reh jate hain
Kall Dhwaj ki baat sunte hi ladki pure gusse main aa jati hain Uske charon taraf ki roshni ek pal main aur bi tez aur phir aag ki tarha laal ho jati hain Uska divya saumya chehra ab krod ki Devi ka roop le leta hain
Ladki ka krod itna Vishal tha ki Kall Dhwajgarh ki barfili tandak bi uske samne pighalne lagi Uski aankheen laal aag ki tarah jal uthi
Ladki : ( Chillate hue uski awaz bijli ki tarha Darbar main gunjti hain ) : TUMHARI HIMMAT KAISE HUI MUJSE AISI BAAT KARNE KI Tum hosh main to ho Jo Tum aisi baate kar Rahe ho aur tumhare pass Hain ki Kiya sirf dhoka aur shakti ka gamand hain Tumhe lagta hai tum apni is mamuli shakti se mere jaisi Divya Shakti par adhikar kar sakte ho
Uska gussa is baat se aur bi ziyada tha ki Kall Dhwaj ne usse dusri baar aisi baat kehne ki himmat ki thi
Ladki : Tum achi tarha se jante ho agar aaj tum yahan is halat main ho toh iski wajah bi yahi hai! Tumhain Satyalok se nikala gaya tumhari shakti cheen li gayi kyunke tumne pehli baar uske ke samne yahi galti ki thi
Usne Kall Dhwaj ki taraf apni ungli uthayi Uski ungli se nikalti roshni se Kall Dhwaj ke jism par pehli baar ke hamle ke nishan dik gaye
Ladki : Us waqt bi tumne mujhe isi nazar se dekha tha! Tumne mere astitv par kalank lagane ki himmat ki thi Us waqt toh maine usko rok liya tha aur uske aadesh ka palan karte hue sirf tumhain bandhi banaya tha aur tumhe shakti heen kar diya tha yeh soch kar ki tum sudhar jaoge
Vah Kall Dhwaj ke itna kareeb pahunchi ki uske gusse ki garmi Kall Dhwaj ke kale lohe ke jism ko jhulsa rahi thi
Ladki : Aur ab tumne wahi galti phir ki hain Tumhari yeh buri nazar tumhari yeh niyati... tum kabhi nahi badloge! Lekin ab main apne Krod ko tumhari tarha rokne wali nahi hoon Ab main nahi rokungi usko
Aur yeh sunte hi Kall Dhwaj ke chehre par ab dar ke mare Safed pad gaya Vah samaj gaya hai ki ladki ab Satyalok ke param krod ko jagane de rahi hain woh krod jise usne pehli baar sirf chup kar diya tha
Ladki : Ab tum taiyar rehna apne Ant ke liye! Tumne Dahakaal ko bheja hai ab mera 'Antim Nyay' usse pehle tum tak pahunchega aur tumhara ant bi ab uske haatho Hogi
Uski baat sunkar kall Dhwaj dar gaya aur bola
Kall Dhwaj : Lekin Lekin woh toh jaa Chuka Hain aur ab mujhe koi Nahin mar Sakta
Uski baat sunkar ladki muskurane lagti Hain
Ladki : hahahaha Tum bohut bewakof ho kall Dhwaj uska janm bohut pehle ho Chuka hain aur woh toh Tumhe Marne ke Liye pahle hi AA Raha tha Lekin Maine usko rok Liya tha Lekin ab Nahin ab main khud usko tumhare ant ka astra dungi aur usko Yaha Lekar aaogi samje
Yeh kehkar ladki ek dum se tevra chaka-chaund roshni main badal jati hain Vah roshni tezi se pure Darbar main gumti hain aur phir pal bhar main wahan se gayab ho jati hain Uske jaane ke baad bi Darbar main ek tevra shor aur roshni ka asar reh jaata hai, jaise koi tofan abhi abhi guzar gaya ho
Wahan sirf reh jata hai Kall Dhwaj Vah apne Singhasan par wapis bath jaata hain uske jism se Kall Dand ki shakti nikal kar bi uske mathe par bohut tension ki lakerein Thi
Kall Dhwaj ( Man hi man main sochta hai ) : Kya maine thek kiya usko yeh bolkar? Kya is shart ki kemat meri zindagi hogi? Uska krod... woh us Dahakaal ki shakti se bi ziyada Khatarnak tha. Aur isne mujhe damki di hai... 'Apne Ant ke liye taiyar ho jao'! Aur woh bi wapis aa gaya Toh iska matlab hai ki usne 'usko' jagne diya hai Kuch toh bohut bada hone wala hai. Mujhe taiyar rehna hoga mera Antim Yudh ab sirf Surya se nahi balki pure Satyalok se hain
Vah turant apne Singhasan se uth ta hai aur Darbar ke beech main aata hai Uska gussa ab taiyari main badal chuka hain
Kall Dhwaj ( Pure Darbar main dahadte hue ) : MANTRI! SENA! Ab waqt aagaya hai! Satyalok ki sena kisi bi pal hum par hamla kar sakti hai! Humain usse pehle apne ap ko Mazbot karna hoga! Kall Dhwajgarh ke har Asur ko aadesh do ki woh apni apni taiyari shuru karain
Kall Dhwaj turant Kall Dhwajgarh ke sabse bade maidan main jakar vishesh elan karta hai
Kall Dhwaj : Sainiko! Dusman! Sirf Darti par nahi, balki Satyalok se bi aayega! Apni puri sena ko taiyar rehne ke liye bol do! Dusman kabhi bi hum par hamla kar sakta hain
Uska aadesh sunkar, pure Kall Dhwajgarh main yudh ki taiyari shuru ho jati hain Asur Senapati apne-apne nirdeshon par kaam karna shuru karte hain Kale shastra-agar (arsenals) khol diye jate hain. aur naye jadui yudh-nitiyan (magical war strategies) Banayi jati hain Pura Kall Dhwajgarh ab ek bade yudh ke liye taiyar hai.
Wahi hero ki taraf :-
College Campus – Lunch Bell bajne ke 5 minute baad Classes shuru ho chuki hain, aur Canteen ka rush kam ho gaya tha Rocky, Surya, naira‚ Sapna, Sonia, aur Mehar apni-apni classes ki taraf ja rahe hain
Rocky ( Hanste hue awaz main ) : Yar Surya kasam se tumhare Didi log kitne cool hain! Mere Papa toh hamesha police file aur meeting ki baat karte hain
Surya ( Muskurate hue ) : Tumhare Papa bade admi hain Rocky Unki zimedari badi hai
Yeh baat Karke surya muskurane lag jata hai lekin uske Sankalp Shuddhi Chakra main halki vibration tha
Surya man hi man main chaukanna tha Do alag-alag tez aur khatarnak shaktiyon ka nishan uske karib aa raha tha Ek shakti insani gusse se bhari thi Kala Saya ke gunde Aur dusri shakti... woh tez aur gusse wali Kali urja thi jo usne pehle kabhi nahi mehsos ki thi. Yeh Dahakaal ki dastak thi
Surya ( Man main ) : Yeh... yeh toh Kall Dhwaj ki shakti se bi anekon guna ziyada tez hain yeh konsi sakti Hain aur yeh asur Hain Kon Aur yeh gunde... yeh yahan kyun hain
Achanak college ke main gate ki taraf se char Badi Black SUVs tez raftar se aakar college lawn par ruk gayi SUVs se 15 se 20 bade hathyarband (armed) gunde utre Unke chehre par Kala Saya ke badle ka nishan tha Unke leader ka naam tha Jagga jiska chehra gusse aur nafrat se bhara tha
Jagga ( Zor se Dahadte hue Awaz pure campus main gonji ) : RATHORE KE BETE KO PAKDO! Koi himmat na kare hath lagane ki! Yeh Operation Saya hain
Gundon ko dekte hi campus main afra-tafri (chaos) mach gayi. Students chillane lage aur idhar-udhar bhagne lage. Rocky ka chehra dar se safed pad gaya
Rocky ( Ghabrahat main ) : Oh my God! Yeh toh Jagga hain aur yeh toh underworld ke Liye Kam karta Hain Yeh... yeh mujhe uthane aaye hain
Sonia ( Gusse main aage badhi ) : Himmat kaise hui tumhari Yahan aane ki! Hum Raghuvanshi hain! Tum Nahin jante ho tum kis college main ghuse ho!
Jagga ne Sonia ko dekha aur zor se hansa
Jagga : Raghuvanshi Tumhare Dada ki izzat ab mitti main mil jayegi! Hamain tum nahi sirf CP Rathore ka beta chahiye
Jagga ne Rocky ki taraf do gundon ko ishara kiya Rocky Peche bhagne laga lekin woh gunde bohut tez the
Surya Tezi se aage badkar Rocky ko Sapna ke peche dakel deta Hain
Surya : Didi! Sab log Peche hato! Yeh ladai tumhari nahi hain
Isi pal jab Jagga aur uske gunde Rocky ko pakadne ki koshish kar rahe the, tab Kall Dhwaj ke do naye tez Asur jo Dahakaal ke saath aaye the lekin dikhe nahi the ne apna gupt ( secret ) hamla shuru kiya
Asur 1 ( Kali Urja se Man main ) : Shitalanand aur Kaalaagnik ki nakami ko hum pura karege! Pehla nishana Krod
Ek Kali Garam lehar tezi se Sapna aur Sonia ki taraf badhi jiska maqsad unki Bhuli hui Yadain aur unke Andar ke Krod ko ek Saath uksana tha
Sonia Us Kali lehar se takrate hi, uska chehra gusse se phat gaya Uski aankheen laal ho gayi
Sonia : KROD! Main tumhain maar dalungi Tumhari himmat kese hui mujse aisi baat karne ki
Sapna ( Uska jism kamp raha tha ) Mujhe yaad aa raha hai... woh Andera... Kall Dhwaj... KRODH
Dono behnain tez gusse main aakar Jagga ke gundo ki taraf lapakne lagin. Unka insani jism yeh Asuri Krod seh nahi pa raha tha, aur unki rage out of control ho rahi thi
Surya ( Man main Ghabrahat main ) : Nahi! Yeh Kall Dhwaj ka naya hamla hai! Yeh konsi shakti se aayi Kali Urja hai!n Yeh hamla sirf Krod nahi, balki Yadain bi jaga raha hain
Surya ne turant apne Dahshat Shoshak Chakra (Gehri Neli Urja) ko maximum par gumaya aur Sonia aur Sapna ki taraf pheka
Surya : DAHSHAT SHOSHAK! Tumhara Krod Mera Hain Shant ho jao
Neli Urja ne Sonia aur Sapna ko gher liya Unke jism se Krod aur ghabrahat ki Kali Urja tez Dhuan ki tarha nikal kar Surya ke Dahshat Shoshak Chakra main samaa gayi Lekin is baar Krod itna ziyada tha ki Surya ka jism tej dard se kamp utha
Mehar : ( Chillaakar Surya ko dekte hue ) Surya Tumhe kya hua! Tum dard main ho
Surya ne khud ko control kiya Usne Jagga aur uske gundon ko dekha jo yeh sab dek kar hairan the Unke liye yeh sab Jadu tha
Jagga ( Gundon ko ) : Chalo Kya dekh rahe ho! Yeh magician hain Rocky ko pakdo
Jagga khud Rocky ki taraf badha, tabhi Naira ne Himmat dikhai
Naira ( Ek tez awaz main ) : Tumhari himmat kaise hui Yeh college Hain samje Jao Yaha se
Usne Jagga ko dakelne ki koshish ki, par Jagga ne use jatke se Peche hata diya. Naira zameen par gir gayi, aur Mehar turant uski taraf daudi
Surya ki Aankhoo main krod tha
Surya ( man m ain ) : KALA SAYA KE GUNDE! Tumne meri family ko chua Ab tum bachoge nahi
Surya ne Rocky aur Naira ko dekha. Usko dobara GYAN yaad aaya
Gyan : Krodh se nahi Sankalp se ladho
Surya Apne Right Hand se SATYA JWALAN (Sunehri Urja) chakra ko tez karte hue Jagga ki taraf badha
Surya : JAGGA! Tumhari harkat yahi khatam
Surya ne apni puri shakti se Jagga ke jism par Sunehri Urja ka hamla kiya. Jagga pal bhar main jalne laga, jaise Satya ki aag uske Jhoot aur Paap ko jala rahi ho
Jagga ( Dard se chillakar ) : Aahhh! Yeh kya hain Mera jism jal Raha hain
Jagga zameen par gir gaya Uske 15-20 gunde yeh dekhkar darr gaye kyunke unka leader sirf haath lagane se hi zameen par gir gaya tha
Surya ( Tez Awaz main ) : DAFA HO JAO! Warna main tum sab ko yahi khatam kar dunga
Baki gunde Rocky ko bhool kar, apne dard main chillate hue SUVs ki taraf bhagne lage. Operation Saya ka ek hissa fail ho gaya tha lekin campus main khoof phail chuka tha
Lekin jaise hi Jagga aur uske gunde wapis mud kar bhaghe tabhi asman se kali tez bijli zameen par utri Dahakaal Kall Dand ki shakti se bhara hua college campus ke ground par vishal roop main prakat hua Uske jism se kali bijli nikal rahi thi
Dahakaal ki awaz main Kall Dhwaj ki krorata thii
Dahakaal : SURYA! Tumhari shanti aur kall Dhwaj ki nakami ab meri takkar se khatam hogi MAIN HOON DAHAKAAL!
Dahakaal ke prakat hote hi, Kala Saya ke sare gunde aur Jagga us tez Kali urja se pal bhar main rakh ho gaye. Dahakaal ne Kala Saya ke attack ko bi wipe out kar diya tha
Rocky (Surya ke peche chip kar) : Oh my God! Yeh... yeh toh admi nahi hain Yeh kya hain
Sonia/Sapna Abhi bi shant ho rahi the lekin Dahakaal ko dekhkar unki yadain phir se wapis aane lagi
Sonia sapna : Andhera... bohut ziyada andhera
Surya ke samne ab ultimate dushman tha. Ek taraf Dahakaal jo Kall Dand ki shakti se bhara tha Dusri taraf uski family, jinki yadain is tez Asuri shakti se wapis aa sakti the Surya ke liye yeh antim chunauti thi
Dahakaal apne Kall Dand ki shakti se kali bijli ki tarha kada tha Uska vishal jism aur kror aankheen sedhe Surya ki taraf thi Surya apne doston Rocky, Sonia, Sapna, Mehar, Naira ko protect karte hue Dahakaal ka Samna karne ke liye taiyar tha Dahshat Shoshak Chakra uske haath main vibrate kar raha tha
Achanak... SAB KUCH RUK GAYA
Palbhar main pura college campus ek chitr (a picture) ki tarha shant ho gaya Dahakaal ka kror chehra aur uski Aankhoo ki Kali aag wahi jam gayi Uske jism se nikalne wali Kali bijli hawa main thehar gayi thi
Rocky ki darr se bhari aankheen Sapna aur Sonia ke chehre par purani yadon ka dard, Naira aur Mehar ki ghabrahat sab mannequin ki tarha sthir (still) ho gaye
Hawa main udti hui dhool aur campus se girte hue pate bi apni jagha ruk chuke the
Surya ko chod kar har cheez us pal ke liye ek frame main qaid ho gayi thi
Surya Hairani se apne haath ko hilate hue
Surya : Yeh... yeh kya hua Time ruk gaya hai Kya yeh Dahakaal ki shakti hain Nahi... agar Dahakaal ne yeh kiya hota toh woh khud kyon rukta
Surya ghabrahat main apne doston ki taraf dekha. Unki aankheen khuli thi, lekin unmain koi halchal (movement) nahi thi Usne Dahakaal ko dekha jo ab ek pathar ki tarha lag raha tha Surya ko mehsos hua ki yeh shakti Kall Dhwajgarh se nahi balki Bramhand ki sarvshreshth (supreme) jagha se aayi hai
Jaise hi Surya ne yeh socha uske samne tez Sunehri aur Neli roshni prakat hui Yeh roshni us tandi, rukki hui hawa ko bi garmi de rahi thi. Roshni ke beech main Lady of SATYALOK kadi thi Unka roop ab gusse se nahi balki sankalp (determination) se bhara tha
Lady of Satyalok Unki awaz sirf Surya ke kanon main gonji woh samay se pare thi
Ladki : Surya Tumhara mere saath chalne ka samay aa gaya hai surya
Surya ( Thoda jhukte hue ) : Devi! Aapne samay rok diya Lekin kyun
Ladki : Maine niyam roka hai samay nahi
Surya : Lekin kyun
Ladki : Hum Kall Dhwaj ke ant ke liye jaa rahe hain
Surya : Lekin... aapne toh usko ( Kall Dhwaj ) ek mauka diya tha
Ladki : Haan. Main Satyalok ki rakshak hoon. Mera kaam niyamon ko barkarar rakhna hai. Maine use aakhiri mauka diya ki woh Kall Dand ki shakti ko wapis le le. Lekin usne mera apman karke apni neeyat (intention) dikha di. Ab aur nahi! Ab uske ant ka samay aa chuka hain
Surya ne ek pal ke liye Dahakaal ki taraf dekha jiske jism se ab bi Kaal Dand ki shakti nikal rahi thi
Surya : Thek hai main taiyar hoon Lekin iska kya Yeh Asur bohut takatwar nazar aa raha hain
Ladki : Haan Iske pass Kall Dand ki shakti hain Yeh Asuri Tapasya aur Bramhand ke Niyam todne se bani shakti hai Aur abhi ke liye tum itne takatwar nahi hue ho ki tum Kall Dand ka sedha Samna kar sako Is liye tum mere saath chalo
Surya : Thek hai Lekin phir isko (Dahakaal ko) kaise rokege Agar main chala gaya toh yeh samay wapis chalte hi sab kuch barbad kar dega
Ladki : Tum uski chinta mat karo Mere pass ek upay hai Tum jao yaha se
Lady of Satyalok ne apni aankheen band ki. Unke charon taraf tez roshni phail gayi. Unke pairon ke neche ek sunehri aur nele rang ka gol circle (circular portal) ban gaya Is gol circle ki vibration itni tez thi ki rukka hua samay bi kamp utha
Ladki : Surya Tum is Chakra main pravesh karo Main aati hoon
Surya ne apne doston aur Dahakaal ko akhiri baar dekha. Woh janta tha ki is sankat se Bachne ka yahi ek rasta hai. Woh aage badha aur us gol circle (portal) main chala gaya. Jaise hi Surya usme gayab hua, woh circle chota ho gaya lekin gayab nahi hua
Ladki ne apni aankheen band hi rakhi aur ek aur tez ancient mantra padna shuru kiya Ab unke sharir se ek tez, Shwet-Sunehri roshni nikal kar gol circle ke thek samne kadi ho gayi Yeh roshni puri tarha se manushya ka roop le chuki thi lekin uske jism se nikalne wali shakti hazar soraj jitni thi
Ladki : Tum meri adhi hisse ki shakti ho Aur tum main itni shakti hai ki tum is Kall Dand ka Samna kar sako Isliye tum Surya ka roop lekar is Kall Dand aur is Dahakaal dono ko khatam kar do Hum jaa rahe hain Kall Dhwaj ke ant ke liye
Roshni Ab ek naye roshan aur tez Surya ke roop main jiski aankheen Neli aur Sunehri aag se jal rahi thi
N.Surya jo Satyalok ki Devi ki adhi shakti tha gusse aur sankalp se Dahakaal ki taraf dekha Lady of Satyalok ne tez roshni main badal kar, us gol circle se chali gayi Jate jate Unhone Dahakaal aur Samay par laga niyam hata diya
Ab Maidan main sirf N.Surya (Devi ki shakti) aur Dahakaal the Samay ne phir se chalna shuru kar diya tha
~~~aj ke Liye itna hi ~~~
Like target 35 Hain uske bad hi new update ayega okay
Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna