• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest The Hidden King 👑 (fantasy + magic )

saisatish

New Member
29
39
13
Bhai log abhi main free tha to jald Bazi main update de diya Hain agar galti hui hain to maaf karna agar aj update Nahin deta to shayad 1 week tak ap sabko with karna padta kyunke Meri beti paida hui hain to abhi ke Liye Ghar main aur hospital main hi ziyada tar busy rehta ho okay baqi agar update Pasand aye toh like aur comment lazmi dena thank you

Update 37

SSR Group of Companies ke top floor par tez dhoop glass facade se andar aa rahi thi. Magar andar ka corporate mahul bilkul shant tha ek aisi gehri shanti jo andhi se pehle hoti hai

Vidya ka cabin ek modern shahi darbar sa lag raha tha jaha per Safed Italian marble floor ek taraf se pura Jaipur city dikta vishal glass window aur table par rakha ek sculpted crystal fountain jo dhemi awaz main pani ki sarsarahat kar raha tha Yeh sarsarahat Vidya ke man ki shanti ki tarah thi deceptive aur cold

Vidya apni high back cream leather chair par bathi nahi thi… woh virajmaan (seated majestically) thi. Uske samne Seema kadi thi haath main ek thick blue file pakde hue Vidya ke chehre par woh purani badle ki aag ab nahi thi balke ek nayi thandi gehri roshni thi ek aisi icy confidence jo sirf apne competitor se jitne ke bad hi aati Hain

Vidya dheere se boli lekin mazboti se har shabad crystal clear tha

Vidya : Seema… open the file “new Project ” – yeh humara agla, aur antim (final) target hai 2000 crore ka Rajasthan government ka mega infra project. Is baar hum isse jeetenge… aur is baar koi nahi rok payega Yeh shakti sirf paisa ya taqat ki nahi hai

Seema ne file open ki Uske chehre par Hairani aur utsukta (eagerness) ka mishran tha. Seema janti thi ki Vidya ka target hamesha impossible hota hain

Seema : Ma’am… yeh… yeh toh Jaipur se Mumbai tak ka coastal highway project hai! Ismain Singhaniya Group Malhotra Infra aur do international players bi hain Competition itna tough hai ki… unhone salon se is par mehnat ki hain

Vidya ne uski baat kat di. Usne apni slim silver cup main rakhi espresso ka cup uthaya aur dheere se sip liya

Vidya : Tough? Seema, tough tab hota hai jab tum dar main ho. Tough tab hota hai jab tumhare pass vision nahi hota Ab humare pass sab kuch hai – paisa, team, aur sabse badi baat… experience – harne aur jeetne dono ka Ashish Khurana aur baki sab ko barbad karne ke baad ab humain koi nahi rok sakta. Hum Zero se Apex tak aaye hain Ab hum yeh project hasil karenge hi karenge samji

Seema ne file ke pages palte hue kaha

Seema : Ma’am presentation ready hai. Financial model bi final ho chuka hai jismain minimal profit margin rakha gaya hai taki government humain ignore na kar sake. Government contacts se bi green signal mil gaya hai ki SSR Group ko priority par rakha Jayega Bas aapka final approval chahiye

Vidya ne file uthayi, uske pages palte, aur pen se ek signature kar diya Uske signature main ek alag hi style tha jaise woh kisi shahi farman (royal decree) par mohar laga rahi ho irreversible

Vidya : Done Kal subah 10 baje tak yeh file tender board ke pass honi chahiye. Aur haan… media ko bi leak kar dena. Headline chahiye – “SSR Group set to revolutionise Rajasthan infra, challenging global giants”

Seema muskurayi Uski Aankhoo main apni boss ke liye gehri shradha (respect) thi

Seema : Ma’am aapne toh pehle se hi sab plan kar liya tha! Apki speed toh light se bi tez hain

Vidya ne kidki ki taraf dekha. Bahar Jaipur ki sadkain dhoop main chamuk rahi thi

Vidya : Plan? Yeh plan nahi Seema Yeh meri destiny hain Aur destiny ko delay nahi karte

Tabhi cabin ka darwaza khula Ek young employee andar aya Rahul Uske haath main ek red urgent file thi Woh kamp raha tha

Rahul (nervous hokar) : Ma’am… yeh urgent file hai. Finance head ne kaha hai aapka signature chahiye Kal board meeting hain aur audit pending hai
Vidya ne file li ek baar dekha aur jhat se sign kar di

Vidya : Rahul yeh file kal subah 8 baje tak finance head ke pass pahunch jani chahiye. Aur haan… unko bol dena ki next quarter ka target double kar diya gaya hai No excuses

Rahul hairan ho gaya Uska cheehra safed pad gaya

Rahul : Double? Ma’am… lekin… market conditions aur operational capacity ko dekte hue…

Vidya ne uski taraf dekha Us ki ek nazar se Rahul chup ho gaya Us nazar main sawal nahi, sirf aadesh (command) tha.
Vidya : Haan Double Koi sawal?

Rahul : N-no ma’am Main abhi bhej deta hoon

Rahul jaldi se file lekar nikal gaya jaise woh aag se door bhag raha ho

Seema ne muskurate hue kaha

Seema : Ma’am, aapne toh pure office ko hila diya hai. Log ap se darte bi hain aur respect bi karte hain. Dar aur vishwas ka perfect blend

Vidya ne coffee ka last sip liya aur cup table par rakha

Vidya : Dar aur respect… dono chahiye Seema Dar taki woh rules na todain aur respect taki woh man laga kar kaam karein Ab jao Project ki final presentation ready karwao Aur haan… abhi kuch der baad hamari Raghuvanshi Office main Shakti Singh Raghuvanshi ke saath meeting hai Shakti Singh Raghuvanshi khud ayenge Unko impress karna hain okay

Seema ne sir hilaya aur file lekar bahar nikal gayi

Vidya akeli reh gayi Usne apni aankheen band ki aur ek lambi sans li Uske dimag main sirf ek hi cheez thi – “New Project” Yeh project sirf paiso ka nahi tha. Yeh uske dusmano ko antim sandesh (final message) tha

Tabhi cabin ka darwaza phir se khula
Andar ek admi dakhil hua. Usne ek costly designer suit pehna tha, lekin uske chehre par ek ajeeb sa gussa aur dar ka mishran tha Yeh koi aur nahi, balke Amit Singhaniya tha. Uske haav bhav (body language) dikha rahe the ki woh har chuka hain lekin abhi bi jung ladna chahta hain

Amit ne darwaza band kiya aur sedha Vidya ke table ke samne bath gaya Uski Aankhoo main jalan (envy) saaf dikh rahi thi

Amit ( dhemi lekin gusse wali awaz main ) : Vidya… tumne bohut badi galti ki hai. Tumhain rokna meri zindagi ka akhri maksad hain

Vidya ne uski taraf dekha. Uske chehre par ek ajeeb si muskurahat thi jismain sard (icy) tanz (sarcasm) tha

Vidya : Galti? Main galti karti toh aj yahan nahi baithi hoti Amit ji Main galatiyan karti nahi sudharti hoon… aur badla leti hoon

Amit ne apni muthi band ki Uski naase (veins) phool gayi

Amit : Tumhe lagta hai ki tum mujhe hara dogi? Tumne mera tender chena Tumne meri company ko nuksan pahunchaya Tumne meri izzat par haath dala! Tumhari himmat kaise hui yeh sab Karni ki bolo

Vidya ne uski taraf dekha aur tez awaz main kaha

Vidya : Izzat? Tumhari izzat toh tumne khud bechi thi jab tumne mere pita ko dhoka diya tha aur mujhe zinda jalane ki Koshish ki thi Tumne socha tha ki main chup rahungi? Main Vidya hoon us din aag se Bach kar Nikal gayi Thi main samje Main kabhi chup nahi bath ti

Amit ne gusse se kaha

Amit : Suno Vidya… jo tum kar rahi ho, usse Peche hat jao yeh “ New Project ” tumhara nahi hoga Yeh political game hai. Agar tumne ismain hissa liya toh tumhare liye acha nahi hoga Main tumhe Jaipur ki sadkon par bheek mangwane ke layak Nahin choda ga samji

Vidya uthi aur Amit ke samne khadi ho gayi Uski nazar uski nazar se oonchi thi

Vidya : Tumhe lagta hai ki tum mujhe dara sakte ho? Tumhe jo karna hai kar lo. Main rukne wali nahi hoon Tumhara dar ab mujhe taqat deta hai Tumhari har galti mujhe ek kadam aage le jati hai

Amit ne uski taraf dekha aur akhri baar halki phuspusaahat (whisper) main damki di

Amit : Tumhe pata nahi hai main kaun hoon Main Amit Singhaniya hoon Main is company ko jala dunga Tumhari zindagi ko barbad kar dunga. Tum akeli ho Vidya Tumhare pass koi nahi hai jo tumhe mujse bacha sakhe samji

Vidya ne shanti se kaha

Vidya : Akeli? Main akeli nahi hoon Amit ji. Mere pass meri team hai. Mere pass mera vision hai Aur mere pass woh himmat hai jo tum main kabhi nahi thi Aur mere pass is company ka owner Hain Jo khud main hi one man army Hain Woh ab se tere Piche Hain Tumhein kya laga, tum chupke se muj per war karoge to Tum Bach jaoge Nahin Amit ji bohut jald hi woh tujhe aur Tere is gamand ko todega samje

Amit ne apni haar dek li Uske chehre par pasina aa gaya. Yeh woh Vidya nahi thi jise woh pehchanta tha Yeh toh agni (fire) thi

Amit : Dek lena Vidya Tumhari maut bohut kareeb hai

Yeh kehkar Amit utha aur darwaza khol kar tezi se wahan se chala gaya

Vidya ne usko jate hue dekha Uske chehre par ab gussa nahi balke ek ajeeb si shanti thi shant samundar jaisa

Vidya ( man main tez awaz main ) : Ab tumhari bari hai Amit Singhaniya Ab tum dekna… main tumhe kaise barbad karti hoon. Tumhari satta (power) cheen kar tumhari aankhoo ke samne rakhungi
Aur Tum Kuch Nahin kar sakhoge yeh wada Raha Vidya khurana ka tumse

Tabhi darwaza khula aur Seema andar aayi
Seema : Ma’am… ap thek hain? Woh Amit Singhaniya tha na? Usne kya kaha? Kya woh new Project main dangal (fight) chahta hain

Vidya ne muskurate hue kaha

Vidya : Kuch nahi Seema Bas ek hara hua insan apni haar ko swal (accept) kar raha tha. Uski dhamkiyan ab haqdar (irrelevant) hain. Chalo… meeting ka time ho gaya hain Shakti Singh Raghuvanshi humara intezar kar rahe honge Let's go and get our political edge

Seema ne sir hilaya aur Vidya ke saath cabin se bahar nikal gayi

Dono elevator ki taraf badhi. Elevator ke andar jate hue Vidya ne apne ap se kaha

Vidya (man main, ek tez nishchay ke saath) : Yeh sirf suruat hai Ab asli khel shuru hoga

Raghuvanshi Office :-

Jaipur ke Financial District ke center main khada tha Raghuvanshi Office

Raghuvanshi Office ki building modernity aur Mewar ki prateek (symbol) thi Uska exterior pura Laal Dholpur stone se bana tha jaise ek prachim killa (ancient fort) ho lekin uske glass windows aur steel frame uski nayeen corporate taqat dikhate the. Building ke upar Raghuvanshi parivar ka Shahi Nishan (Royal Crest) laga tha. Yahan ka mahul tez nahi balki shant aur satta (authority) se bhara tha

Raghuvanshi Office ke top floor par bana Conference Hall bilkul shahi tha
Badi si heavy teak-wood ki polished table upar Vishal antique chandelier se halki sunehri roshni (golden light), dewaron par Raghuvanshi parivar ke purane, taqatwar portraits – jinki aankhoo main sadiyon ki daulat aur taqat chipi thi. Hawa main ek purani daulat aur nayi taqat ki khushboo thi chandan (sandalwood) aur fresh leather ki sugandh

Table ke ek end par Shakti Singh Raghuvanshi bathe the safed kurta pyjama, unke chehre par gehri shanti aur apne bete Surya ke liye pyaar aur chinta ka mishran Unke bagal main unka trusted assistant aur ek legal advisor bathe the. Unka pura dhyan aj ki meeting par tha

Dusre end par Vidya aayi Usne ek simple lekin black formal suit pehna tha baal shanti se khule the, aankhoo mein ek thandi, calculated muskurahat. Uske peche Seema thi jiske haath main laptop aur new Project ki file

Shakti Singh ne apne protocol ko chodkar uth kar Vidya ko haath jodkar namaste kiya

Shakti Singh ( garam aur pita jaisi awaz main ) : Aaiyee Vidya ji… baithiye. Hum sab aapka intezar kar rahe the
Raghuvanshi Office mein aapka swagat hain

Vidya ne namaste kiya aur pure confidence ke saath apni jagha par bath gayi Usne table par apni file rakhi aur sedhe Shakti Singh ki aankhoo main dekha

Vidya ne shant lekin mazbot awaz mein uski awaz saaf aur confident thi

Vidya : Shakti ji, pehle toh shukriya aapne mujhe itni jaldi waqt diya. Main janti hoon ap log abhi apne bete ki wapsi ki chinta main aur apne business main bohut muskil waqt se guzar rahe hain

Shakti Singh ki aankheen bhar aayi. Unhone dheere se sir hilaya

Shakti Singh : Beti… mushekil waqt toh humesha se tha. Lekin ab… ab ek nayi umed jagi hai Tumhare aane se… aur Surya ke hone ka pata chalne se Humara dar kam hua hain

Vidya ne halke se muskurate hue kaha

Vidya : Surya ne mujhe yahan bheja hai taki main safe raho aur main janti hoon ki yahan se ziyada safe jagha pure Rajasthan main nahi hai. Lekin aj main yahan sirf sharan (shelter) lene nahi aayi hoon

Usne apni file kholi aur ek bada blueprint table par rakha

Vidya : Main yahan partnership lene aayi hoon

Shakti Singh ne blueprint dekha. Usmain “ New Project” bade golden letters main likha tha – 2000 crore ka Rajasthan government ka mega infra project

Shakti Singh ( hairani se unke chehre par tej aa gaya ) : Yeh… yeh toh wahi project hai jiske liye pura Rajasthan lad raha hai. Amit Singhaniya aur Malhotra ki sari shakti is par lagi hain

Vidya : Ji Aur main is se jeetna chahti hoon. Lekin is project ko jeetne ke liye sirf paisa ya plan kafi nahi Iske liye political reach government connections aur ek bada naam chahiye. Aur yeh sab aapke pass hain Shakti ji mujhe Raghuvanshi naam ki taqat chahiye

Seema ne laptop on kiya aur presentation shuru kar di Screen par bold graphics aur tez data dik raha tha

Seema : Sir, SSR Group ke pass is project ke liye sabse advanced technology best team aur perfect financial model hain Humara target quality aur timeliness hai. Lekin humain apki political goodwill aur Raghuvanshi naam ki takat chahiye taki government ko Vishwas ho. Agar hum dono saath aaye, toh yeh tender humara hi hoga Hum Project Jeet kar dusre dushmanon ko nishana banayenge

Shakti Singh ne presentation dekhi. Unke chehre par ek ajeeb si khushi thi Vidya ki taqat dek kar unhain apne bete Surya ki yaad aa gayi

Shakti Singh : Vidya… tumne jo kuch bi achieve kiya hai, woh dek kar hum sab hairan hain Tumne akeli ladkar itna bada businesses khada kiya Aur ab tum humain saath lena chahti ho… yeh humare liye samman (honor) ki baat hai

Unhone dheere se Vidya ki taraf dekha. Unke pita-jaisi aankhoo main gehri bhavna thi

Shakti Singh : Lekin ek baat batao… tum Surya se kaise judi ho? Woh humara beta hai… hum sab uski wapsi ka intezar kar rahe hain. Tum uske saath ho… toh hum tumhein apni beti se kam nahi samajhte

Vidya ne ek pal ke liye aankheen jhuka li. Uske dil main Surya ke liye ek alag sa ehsas tha – bhai jaisa, rakshak jaisa aur ek guide jaisa

Vidya : Shakti ji… Surya ne mujhe tab bachaya tha jab mere apne log mujhe barbad kar rahe the. Usne mujhe nayi zindagi di. Main uski wajha se aaj yahan hoon. Aur main uski har madad karungi… chahe woh uski company ho ya parivar mera maqsad ab uski help karna Hain

Shakti Singh ki aankhoo main ansu aa gaye. Usne sir ko garv (pride) se ooncha kiya

Shakti Singh : Toh phir partnership pakki. Raghuvanshi aur SSR Group saath main “ Project ” jeetenge. Aur jab Surya wapis aayega… hum sab milkar useey gale lagayenge

Vidya ne muskurate hue haath aage badhaya. Yeh haath sirf deal ke liye nahi tha, yeh vishwas ka sankalp (resolve of trust) tha

Vidya: Deal

Dono ne mazboti se haath milaya. Seema aur assistant ne bi muskurate hue haath milaya. Yeh do bade empires ka gathbandhan (alliance) tha

Shakti Singh : Aur haan… ab se tum yahan apne ghar mein ho Koi bi khatra ho, hum sab tumhare saath hain Tumhe darne ki zarorat nahi hain samji

Meeting khatam hone ke baad Vidya aur Seema bahar nikli. Vidya ne ek lambi sans li. Uska face tez roshni se chamuk raha tha

Seema : Ma’am… yeh partnership… yeh game changer hai. Raghuvanshi ka naam ab humare saath hain

Vidya muskurate hue uski Aankhoo mein pura India jeetne ka vision tha

Vidya : Haan Seema. Ab hum sirf Rajasthan nahi… pura India jeetenge

To wahi surya ki taraf :-

Ladki ke gayab hote hi woh chota floating island jahan Surya akela kada tha ek gehre nele sunehre prakash se bhar gaya Atmosphere ki shanti ab ek tez ghumte hue chumbak (magnet) main badal gayi thi Samne kada Vishal Sarpilakar Stambh (Spiral Pillar) ab sirf pathar ka nahi, balke anant urja ka Center Point lag raha tha Uski neli aur gulabi roshni jo sarpilakar (spiral) main ghum rahi thi aur tez ho gayi

Surya ne ek gehri sans li Uska manav roop ka jism kamp raha tha par uski Atma ka Sankalp sthir tha. Uski Aankhoo main ab wohi Neela Shunya aur Sunehra Prakash wapis aa chuka tha jo usne viraksha ko harate waqt dikhaya tha

Awaz : "Pariksha shuru hoti hai Surya,"

us stambh se ek ajeeb gunjti hui awaz nikli jo hawa se nahi shunya se aayi thi

Awaz : "Tumhara Satyalok main aana koi galti nahi lekin shakti ka dharan sirf gyan se nahi sankalp se hota hai. Tumhe teen 'Shakti Sankat' aur teen 'Satya-Sawal' ka jawab dena hoga. Agar tumhara Sankalp Tattva zara bi hila toh tumhara Punarnaam aur yeh Bramhand dono kho jayenge

Jaise hi yeh awaz khatam hui Surya ke charon taraf ki zameen phat gayi Upar chamakta hua Vishal Moon (Chand) tez raftar se ghumne laga, aur uski neli urja ne Surya ko apne gere (sphere) main le liya

Pehla Sankat : ‘Smriti ka Andkar’ (The Darkness of Memory)

Surya per sabse pehle koi physical attack nahi hua Uske badle uske Mastishk ( mind ) par ek bayankar hamla hua Yadon ka Sankat

Aankhoo ke samne Kall Dhwajgarh ka darbar aa gaya Kall Dhwaj apne singhasan par batha tha, lekin woh abhi bi bohut takatwar lag Raha tha Kall Dhwaj ki awaz uske gamand aur taqat se bhari hui Surya ke kano mein gunji

Kall Dhwaj ( Illusion ) : Tumne kya socha Samrat? Ki tum apne ap ko vibrant karke tyag karke mujhe hara doge? Tumhari yeh murkhata hi tumhari sabse badi haar thi! Tumne apni shakti ko ek mamooli manav ke roop main bhej diya, taki woh choti choti problems solve kare jabki main yahan Bramhand ko jod raha hoon andere ke saath Tumhari Adhi Shakti (Lady of Satyalok) bi tumhare bina kamzor hain Agar tumne tyag na kiya hota, toh aj main jeet na raha hota! Tumhara Manav roop sirf dukh aur hani ka prateek hain

Aur Yeh drishya palat gaya aur Surya ne khud ko Apne hi roop main college campus mein dekha Naira, Mehar, aur Sapna uske samne the unke chehre par gehra gham tha

Naira (Illusion) : Tum ne humain jhoot bola Surya! Tum manav nahi ho Tumhari wajha se se humain pata nahi chala ki hum kis Bayankar yudh main shamil the Tumne humara normal jeevan humse cheen liya Kya tumhari bramhand shanti humari choti si khushi se ziyada zarori thi? Kya tumhara yeh maha tyag sirf apni galti chupane ka ek tareka tha?

Surya ka dil pal bhar ke liye ruk gaya. Dard aur pachtawa ka ek tez ehsas uske jism main ghus gaya Uska manav roop ki mohabbat aur Samrat roop ki jimmedari apas main takrane lagi Stambh se nikalte sunehre aur nele rang kale aur laal hone lage

Thek usi pal, stambh se Pehla Sawal awaz ban kar nikla

Sawal 1 (Question of Self) : Jab tumhara manav roop ka dukh aur uski mohabbat tumhari rooh ko piche khench rahi ho toh kya tumhara Tyag Sankalp us dukh se ziyada zarori hai? Kya tumhara manav roop ka antim nishan (last trace) Bramhand ki shanti se ziyada zarori hai?

Surya ne apni aankheen band ki Woh Janta tha ki yeh illusion uske Sankalp ko todne ke liye hai Usne viraksha ko harate waqt se sab kuch thik kiya tha Smriti Moksha dekar unki yadain mita di thi Uska tyag us mohabbat se ziyada gehra tha

Surya ne gehri sans li aur phir dahad ki tarah bola

Surya : Mera Manav Roop Sirf Tyag ka zariya tha! Mohabbat ka ehsas mujhe Kamzor nahi balke Nyay ke liye Majboot karta hai Agar main manav dukh ko chununga toh hazaron yugo tak yeh Bramhand Kall Dhwaj ke andere main kho jayega! Mera Sankalp mere prem se janma hua hain Aur yeh Tyag Sankalp Amar tha Amar Hain aur Amar rahega

Jaise hi usne yeh jawab diya Illusion kala dhuan ban kar gayab ho gaya Stambh se phir se tez neli sunehri roshni nikli

Zameen par Satyalok ke kamal ke pool phir se khil uthe

Dusra Sankat : ‘Panch Tattva ka Pratirop’ (The Counterpart of the Five Elements)

Pehla sawal jetne ke baad stambh se pathar ki awaz aayi

Awaz : Tumhara Sankalp sthir hain surya Ab dekho ki kya tum apni shakti ko uske niyam ke anusar istemal kar sakte ho ya sirf vinash ke liye Ab Samna karo Panch Tattva ke Pratirop ka

Is baar Khatra puri tarha se physical tha Stambh se nikalne wali neli, laal safed aur sunehri urja apas main ghul gayi aur Surya ke samne 30 foot ka Vishal Avtar ban gaya Yeh Avtar sirf urja se bana tha, jiska sir aag ( Agni ) dono haath tez hawa ( Vayu ) aur dono pair behate hue Pani ( Jal ) se bane the aur uska sena aur kamar chamakti hui zameen (Prithvi) thi Akash/Shunya tattva uske charon taraf ek dark aura Banaye hue tha

Panch Tattva ka Pratirop ne tez awaz main dahad lagayi Usne apna aag wala haath uthaya aur Surya ki taraf Laal Kaali Jwala ki lehar bhej di

Surya turant action main aya Usne Surya pahle bi vriksha se ladha tha toh use shakti ka istemal aata tha Usne apne hathon ko gol gumaya, aur uske charon taraf se Neeli Sunehri roshni ka ek Shanti Mandal bana

Surya : Main Agni ka Samman karta hoon par vinash ki Agni ko shanti se rokna Janta hoon

Uska Shanti Mandal aur Jwala ki Lehar apas main Takraye Lekin takkar se shor nahi hua balki Jwala ek sunehri chamak main badal gayi jaise shuddhi ho gayi ho

Pratirop gusse main aya. Usne Vayu ( hawa ) wale haath se tofani hawa bheji. Yeh Vayu itni tez thi ki us floating island ka balance bigadne laga Surya ne apne Jal Tattva ko jaga diya Usne shunya se neela jal summon kiya jo Vayu ke saath ghul kar shant ho gaya Vayu ki agressiveness ko absorb kar liya

Pratirop ab apne Prithvi Tattva par aaya Uske sene se tez pathar aur lava ke gole nikalne lage

Surya ne Panch Tattva ke Pratirop ko dekha, aur samaj gaya ki woh shakti se nahi niyam se jeeta jayega

Stambh se Dusra Sawal gunja jab Pratirop us par final attack karne hi wala tha

Sawal 2 (Question of Power/Rule)

Awaz : Shakti ka sahi upyog kya hai Niyantran (Control) ya Samparpan (Surrender to Law)? Kya tum is Pratirop ko nasht karoge ya iske Panch Tattva ko wapis inke mool sroton (original sources) main bhejoge?

Surya ke samne do raste the pahla Shakti chakra ka istemal karke Pratirop ko nasht karna ya phir Samrat ki tarha Balance ka istemal karke tattvon ko shant karna

Surya ( Man main ) : Samrat sirf vinash nahi Balance hai Agar main nasht karunga toh shakti ka apman hoga Mujhe shant karna hoga

Usne apna daya haath upar uthaya aur is baar usne koi attack nahi kiya Uske haath se safed (Vayu), neela (Jal), laal (Agni), sunehra (Prithvi), aur kala (Akash) rang ka Chota Chakra nikla Yeh Chakra thek Veeranchal Grah ke Center Chakra jaisa tha

Surya : Tattva tumhare niyam ka paln karo! Tumhara swarop shanti hai vinash nahi

Jaise hi Chakra us Pratirop se takraya, Pratirop ke hisson main tadap paida hui. Agni wapis tez roshni main badal gayi, Jal amrit ki tarah girne laga, Vayu ek thandi hawa ban gayi, aur Prithvi sunehri chamak main gayab ho gayi. Pratirop ka vishal aakar dheere-dheere ek chota sa bindu ban kar stambh main sama gaya

Surya ne pehli aur dusri pariksha pass kar li thi. Uske Sankalp aur Gyan dono sthir the

Tesra Sankat : ‘Kall Dhwaj ka Antim Lobh’ (Kall Dhwaj's Final Temptation)

Dusra sankat khatam hote hi floating island par tez shanti chaa gayi Stambh ab anant shunya ki awaz main Tesra Sawal karne wala tha lekin is se pehle Maha Sankat aaya

Aas pass ki sari roshni ek pal main gayab ho gayi. Satyalok ka divya prakash bi ruk gaya. Stambh se kuch nahi, balki Kall Dhwaj ki rooh ka prateek nikla. Yeh prateek koi rakshas nahi tha, balki khud Kall Dhwaj ka sankalp shunya roop tha Yeh roop kale dhuan aur chamakti hui laal kaali bijli se bana tha jo Surya ki chati ki taraf badh raha tha

Yeh roop Surya ke kano main sargoshi karne laga

Kall Dhwaj (Sankalp-Shunya) : Surya... tum Samrat ho Tum balance ho Par kya tum jante ho ki balance lane ka sabse asan tareeka kya hai? Vinash! Main tumhari shakti ko dobal kar sakta ho Kall Dand ki shakti aur tumhari shakti agar mil jaye... toh hum dono Bramhand ke Samrat ban jayenge. Lady of Satyalok tumhari hogi... Samrat ki tarha Surya tumhara tyag bekar nahi jayega! Andere ko jalo mat, use apna lo! Ek war main Kall Dhwaj ko khatam karne ki shakti sirf andere se milegi

Is Sankat main Surya ke charon taraf Andere ki dewar ban gayi. Uski rooh ko Kall Dand ki paapi tapasya ka bojh mehsos hone laga. Yeh sabse khatarnak pariksha thi, kyunke yeh shakti ka lobh nahi antim nyay ka lobh de rahi thi

Stambh se gargajti hui Tesri Awaz nikli

Sawal 3 (Question of Balance/Antim Satya)

Awaz : Jab tumhara pahla Shatru ( first Enemy ) Kall Dhwaj khud Tumhari Shakti aur Vinash ke lobh ka prastav (offer) de raha ho toh kya tum use ek Antim Mauka doge, ya apne nyay (Justice) se uska hamesha ke liye ant karoge? Kya tum Vinash ko rokne ke liye khud Vinash ka roop loge

Surya ko yaad aaya Lady of Satyalok ka dard Kall Dhwaj ka ahankaar, aur Samrat ka tyag Usne aankheen kholi Uski Aankhoo main ab Neela Sunehra Prakash itna tez tha ki Andera bi kamp gaya

Surya : Main Surya hoon Aur Samrat sirf shakti nahi Nyay bi tha Vinash ko rokne ke liye Vinash banana, yeh Kall Dhwaj ki jeevan shaili hai meri nahi

Usne dono hathon ko sidha kiya Uske dono haatho se sakti chakra ki ugra sakti Nikal ne lagi aur Saath main 5 Tattva agni‚ vayu‚ jal‚aakas‚aur prithvi‚ ki sakti bi ek Saath AA gayi

Surya : Antim Nyay sirf Param Shuddhta se milta hai Kall Dhwaj tumhara Sankalp Shunya roop ab mere gyan main sama jayega Nasht nahi Shuddhi!

Sankalp Viraat Chakra ki roshni ne Kall Dhwaj ke Sankalp Shunya roop ko ghere Andera zor se chillaya, jaise dard main ho Roshni ne kale dhuan ko pal bhar main safed kar diya aur woh shunya main ghul kar shant ho gaya

Surya ne Teeno parikshayen jetli thi Sankalp Gyan aur Nyay usne Satyalok ke Teeno adhar-stambh ko siddh kar diya tha

Teera sankat khatam hote hi Sarpilakar Stambh ne dheere-dheere apni roshni chodni shuru ki Stambh toot nahi raha tha, balki pighal raha tha aur uski neli sunehri urja hawa main ghul gayi
Stambh ki choti se ek chota bindu nikla. Yeh bindu tez raftar se badha aur phail gaya

Ek chota sa blue-gold costume wahan prakat hua

Yeh Costume hawa main sthir tha tez roshni se chamak raha tha. Dark Blue aur Striking Gold colors ka adbhut mishran. Full-Body Armor ka design itna sleek aur aerodynamic tha ki lagta tha jaise yeh samay se bi tez udd sakta hai
Sleek Helmet par chamakti hui gold eyes thin jo anant gyan ko darshati thin Chest par wahi Trishul like Emblem dhom dhom kar vibrate ho raha tha Armor ke har hisse par Glow Karti Hui Runes thin jo Samrat ki Anant Shakti ka Code likh rahi thin Aur sabse mahatvapurn ek lamba flowing cape jo raat aur din ke mishran se bana tha dheere-dheere hawa main leher raha tha

Screenshot-20251109-203028
Usi pal, costume ke bagal main shunya se do aur chizen prakat hui: ek Maha Antim-Dhanush (Bow) jo pure Neli Urja aur Sunehre Prakash se bana tha aur uski dori (string) Anant Kal ke taar jaisi thi aur ek ek lauta teer (single arrow) jo safed sunehri roshni se chamak raha tha

Awaz (Stambh ki Antim Shanti) : Surya Yeh Dhanush Kall Dhwaj ka ant karne ke liye tumhari Antim Shakti hain Yeh tumhara Sankalp hain tumhari shakti ka Swagat hai. Lekin yaad rakho tum iska istemal sirf ek baar (one time) kar sakte ho Iske baad yeh dhanush aur teer is Bramhand se hamesha ke liye gayab ho jayege. Tumne Teeno sawalon ka sahi jawab diya Tum hi Samrat ho aur tum hi in shaktiyo ki yugya ho

Costume dheere se Surya ki taraf badha
Surya ke jism main tez kampan hua Uski Atma ne us costume aur us MahaAntim Dhanush ko pehchan liya Yeh sirf vastr nahi the, yeh Satyalok ki bautik rooh thi, jo Tyag ke baad Satyalok main surakshit thi

Surya ne costume ko dekh kar muskuraya. Usne koi der nahi ki aur tez kadam se costume ki taraf badha
Jaise hi Surya ne costume ko chua Bramhand main phir se Maha Bhukamp aya Veeranchal Grah jo Anant Gupt Kshetra main prakat hua tha ek aur bar tez roshni se chamka

Blue-Gold Armor pal bhar main Surya ke jism main sama gaya Uski manav-roop ki khal (skin) tez roshni se ghul gayi Uska chehra sleek helmet se dhank gaya, jahan gold eyes anant roshni se chamak rahi thin. Cape uske kandhon par thehar gaya, jaise hawa ka dariya uske peche beh raha ho

Surya ab pahle jaise Nahin Raha tha costume hasil karne ke bad woh aur bi takatvar ban gaya tha

Usne apna haath uthaya Uske haath main to uske haath main ek Talwar AA gaya

Surya (Ab Naya Roop) : Main aa Raha hoon Kall Dhwaj tumhara ant ab nischit hain

Uski awaz main manav roop ki komalta nahi balke Samrat jaisi garaj thi jo shanti aur nyay ki ghoshna kar rahi thi

Floating Island ke upar Lady of Satyalok wapis prakat hui. Unke chehre par shanti aur apna-pan tha

Lady of Satyalok : toh Tumhari pariksha safal hui aur Tumne apna costume aur Sath hi Kall Dhwaj ke ant ka dhanush hasil kar Liya Hain bohut bohut badhai ho Tumhe surya

Surya ne Kuch Nahin kaha Bas ek taraf dekha jaha sirf andera hi andera tha Uski nazar us anant andere se guzari hui Kall Dhwajgareh ke krurta ko mehsos kar rahi thi

Surya : Mera Nirnay sthir hai Ab koi der nahi Kall Dhwaj ki Galtiyon ka ant karne ka samay aa gaya hai Maha Yudh ka aagman ho chuka hai Devi. Mujhe Veeranchal Grah ki taraf le chalo

Aur agle hi pal surya aur Lady of Satyalok tez roshni main ghul gaye jo sedhe us Anant Gupt Kshetra ki taraf badh rahi thi... jahan Veeranchal Grah neli-sunehri aag se chamak raha tha.

Satyalok ka Param Dham ab bilkul shant tha

Woh tez roshni jo kuch pal pehle Surya ko lekar gayi thi ab dheere-dheere kam ho rahi thi. Ladki (Lady of Satyalok) wahan akeli khadi thi. Uske chehre par ek ajeeb si shanti thi lekin uski Aankhoo main ek gehri chinta bi thi

Usne apne charon taraf dekha Satyalok ka har kona ab bi usi divya roshni se bhara tha lekin ab us roshni main ek tez lehar thi yudh ki lehar

Ladki ne ek gehri sans li aur apne haath hawa main uthaye. Uske hathon se ek tez neli roshni nikli, jo hawa main ek gol portal ban gayi

Usne portal main kadam rakha aur woh pal bhar main gayab ho gayi

to wahi jinnlok main :-

Jinn Lok ab pehle jaisa nahi tha
Wahan ki safed roshni ab kali dhund se daki hui thi. Bade-bade vriksh toot chuke the, aur unki shaakhein zameen par bikri hui thi Jinn Lok ka mehal ab rakh ban chuka tha

Jinn Jagira Jo surya ke aane se pehle hi ladki se ijazat lekar jinnlok ke Liye AA gaya tha woh waha akela kada tha Uska jism ab pahle se ziyada takatvar lag Raha tha lekin uski Aankhoo main ek naya sankalp tha Usne apne charon taraf dekha uske Jinn bhaiyon ki rakh ab bi hawa main ud rahi thi

Usne apne haath zameen par rakhe aur ek mantra padha Uske hathon se ek tez roshni nikli, jo Jinn Lok ki tabahi ko dheere-dheere thek karne lagi.
Tabhi hawa main ek tez roshni prakat hui

Ladki (Lady of Satyalok) wahan prakat hui Uske chehre par ek ajeeb si shanti thi lekin uski Aankhoo main chinta saaf dikh rahi thi

Jinn Jagira ne usko dekha aur usne sir jhukaya

Jinn Jagira : Devi… ap yahan

Ladki ne uski taraf dekha aur kaha

Ladki : Jinn Jagira… main yahan is liye aayi hoon kyunke ab waqt aa gaya hai. Kall Dhwaj ne Veeranchal grah par hamla karne ka faisla kar liya hai Woh apni puri sena lekar wahan ja raha hain

Jinn Jagira ka chehra ek pal ke liye safed pad gaya

Jinn Jagira : Veeranchal… woh grah jahan Samrat ki shakti hai… Kall Dhwaj wahan kyun ja raha hain

Ladki : Kyunke woh janta hai ki Veeranchal ka prakat hone ka matlab Samrat ka punarjam Hain aur Woh Surya ko khatam karna chahta hai… pehle ki Surya uski shakti ko pura kar sake

Jinn Jagira ne apne hath bandh liye

Jinn Jagira : Toh ab kya karna hai?

Ladki ne uski taraf dekha aur kaha

Ladki : Ab humain bi Kall Dhwaj ka samna karna hoga Tum apne Jinn Lok ke liye ladoge… aur main Satyalok ke liye. Hum dono ko milkar Kall Dhwaj ko rokna hoga

Jinn Jagira ne sir hilaya

Jinn Jagira : Main taiyar hoon Devi Mere Jinn bhaiyon ki maut ka badla main Kall Dhwaj se lunga

Ladki ne muskurate hue kaha

Ladki : Thek hai. Main Satyalok ki sena ko taiyar kar rahi hoon Tum apne bache hue Jinn rakshakon ko ikatha karo. Hum sab milkar Veeranchal grah par jayege

Abhi yeh baat kar hi Rahe the ke Tabhi hawa main ek tez roshni prakat hui

N.Surya wahan prakat hua.l Uska roop ab pehle jaisa nahi tha. Uske sharir par ek divya roshni thi aur uski Aankhoo mein ek naya gyan tha

Ladki ne usko dekha aur muskurayi.
Ladki : Tum aa gaye… N.Surya

N.Surya ne uski taraf dekha aur usne sir jhukaya

N.Surya : Devi… maine Dahakaal ka ant kar diya Ab main yahan hoon

Ladki ne uski taraf dekha aur kaha

Ladki : Main janti hoon Tumne apna kaam pura kiya Lekin ab asli yudh shuru hone wala hai Kall Dhwaj Veeranchal grah par hamla karne ja raha hai

N.Surya ne uski taraf dekha aur kaha

N.Surya : Main janta hoon Main uske liye taiyar hoon

Ladki ne uski taraf dekha aur kaha

Ladki : Tum ab mera hissa ho Tumhari shakti ab meri shakti hai Ab hum milkar Kall Dhwaj ka samna karenge

Aur ladki ke yeh kehti hi N.Surya wapis se ladki ke sharir main sama gaya

Ladki ka pura wajod (existence) ek pal ke liye hil gaya N.Surya ka sharir jo abhi tak ek divya roshni main chamak raha tha ek chote se bindu main simatkar Ladki ki Atma main ghul gaya Ladki ki aankhoo mein tez chamak aayi aur unka rang gehri neli se halki sunehri ho gaya.
Ladki ke mastishk (mind) main N.Surya ke sari yadain, ek tez nadi ki tarah ghum gayi aur ladki ko sab Kuch pata chal gaya ke college main Kya hua tha

Jinn Jagira ne un dono ko dekha aur kaha

Jinn Jagira : Main bi taiyar hoon Mere Jinn bhaiyon ka badla main Kall Dhwaj se lunga

Ladki ne Jinn Jagira ki taraf dekha Uski awaz ab pehle se ziyada komal (gentle) aur drirh (firm) thi

Ladki : Thek hain Ab hum milkar Veeranchal grah par jayenge Wahan hum Kall Dhwaj ka samna karenge

Usne apne haath uthaya aur ek tez roshni prakat hui

Ladki : Chalo… ab samay aa gaya hain

Phir dono waha se Nikal kar Satyalok chale jate Hain

Satyalok : Maha Yudh Ki Taiyari

Jinn Jagira aur Ladki Satyalok ke Vajra Kshetr (Thunder Zone) main prakat hue jahan Satyalok ki sena yudh ke liye taiyar thi Yeh koi mamuli sena nahi thi. Har sainik, Divya Urja se bana tha jo Neli aur Sunehri roshni main chamak raha tha. Unke haatho main Chakra aur Divya Talwarein thi aur woh sab Param Shanti ke niyam ka palan karte the

Satyalok ki Sena ek vishal maidan main Swarna Chakra ke neche khadi thi Har ek Urja Sainik ek perfect line main tha unki aankhoo main koi dar nahi, sirf Samrat ke Nyay ke liye sankalp tha

Ladki aur Jinn Jagira aage badhe Jinn Jagira ne dekha ki uski sena ( Jinn rakshak ) bohut kam bachi thi, aur woh Satyalok ki sena ke samne ek chota sa hissa lag rahe the par unki aankhoo main Kall Dhwaj ke prati badle ki aag thi

Ladki ne Satyalok ki sena ko Yudh ki taiyari karne ke liye bol diya Usne apni awaz ko hazaron sainikon tak pahunchaya

Ladki : Mere Urja Sainiko Samrat apne Punarjam main wapis aa chuke hain. Lekin Kall Dhwaj ne us Shakti ke mool par hamla karne ka dushsahhas kiya hai! Hum Satyalok ki shanti ke liye nahi balki pure Bramhand ke Santulan (Balance) ke liye ladenge Humari takar vinash se nahi, Niyam se hogi Taiyar ho jao

Puri sena ne ek saath dahad lagayi jis se Vajra Kshetr ki darti kamp uthi

Kuch der main wahan par Surya bi aa jata hain

Surya ka aagman ek Mahaswaroop ki tarah hua Woh Blue Gold Armor main Vajra Kshetr ke Center Point par utra. Uska lamba, flowing cape uski divya shakti ki tarah leher raha tha. Usne abhi bi woh costume pehan rakha tha. Uske haath main Talwar chamak rahi thi.
Satyalok ki sena ne ek saath sir jhukaya
Surya ne unki taraf dekha Uski Gold Eyes main ab manav roop ki komalta aur Samrat ka gyan dono the

Surya : Mera sankalp amar hai. Hum Kall Dhwaj ko uske paap se shuddhi denge. Lady of Satyalok, Jinn Jagira meri sena... Aage Badho

Ladki ne phir se ek Vishal Portal banaya jo Veeranchal Grah ki taraf khulta tha Yeh Portal Neli, Sunehri aur Lal ( Jinn Lok ke Krodh ka rang ) urja se ghum raha tha

Aur phir sab log Veeranchal grah ke liye Nikal jate hain Sabse pahle Ladki aur Jinn Jagira the aur akhiri main surya aur unke Peche Satyalok ki Anant Sena aur Jinn Rakshakon ka chota par krodhit dal

Veeranchal grah jis se Samrat ne Bramhand ka Center of Balance banaya tha ab ek Urja ka Kila (Fortress of Energy) lag raha tha. Grah ke charon taraf ek tez roshni thi. Yeh roshni Sunehri Aur Neli thi, jo uski raksha kar rahi thi. Grah ke center main ek vishal chakra ghum raha tha, jismain panch rang the – Prithvi, Jal, Agni, Vayu aur Akash ka prateek. Yeh chakra itni tez raftar se ghum raha tha ki uski awaz pure bramhand main gunj rahi thi.
Tabhi asmaan main ek tez kali roshni prakat hui Yeh roshni nahi, andere ki tsunami thi

Kall Dhwaj apni puri sena ke saath wahan prakat hua. Uski sena main Hazaaron Krodh Rakshas the, jinke sharir par Kala Lava aur Kali Bijli thi Yeh sab Kall Dhwaj ki Kall Shakti se bane the jin ka ek hi maqsad tha Vinash

Kall Dhwaj ka roop sabse bhayankar tha Uske jism se kali bijli nikal rahi thi aur uski Aankhoo main sirf vinash tha
Kall Dhwaj ne Veeranchal Grah ko dekha
aur uske chehre par ek ghinoni hansi (vile laugh) aayi

Kall Dhwaj : "Yeh Veeranchal… yeh meri shakti ka mool banega Main Janta tha ki tum yahan chupoge aj main is grah ko jala dunga… aur Surya ko khatam kar dunga. Phir, Satyalok ki shakti meri hogi aur is bramhand per Mera raj Hoga

Usne apna Dand uthaya Kall Dand koi chadi nahi thi, balki Kali Bijli aur Vinash ka ek sarpilakar stambh (spiral pillar) tha Usne ek tez war kiya

Uske war se ek vishal kali bijli nikli jo tez dhar ki tarha grah ki taraf badhi. Yeh bijli nahi thi, yeh Kall Dhwaj ka Antim Krodh tha jo kisi bi suraksha ko rakh bana deta

Lekin jaise hi woh bijli grah se takrayi grah ki roshni tez ho gayi Veeranchal grah ka Chakra tezi se ghum gaya Ek tez neeli sunehri roshni nikli, jo kali bijli ko kha gayi, jaise Prakash Andere ko peeta ho Kali Bijli ki tez awaz Shanti main badal gayi aur woh Shunya main ghul gayi

Kall Dhwaj hairan ho gaya Uska gamand pal bhar ke liye tuta

Kall Dhwaj : Yeh… yeh kya hai?
Veeranchal ka Niyantran abhi bi itna shaktishali hain yehi kese ho Sakta Hain

Tabhi Kall Dhwaj ki sena ke samne, Satyalok ka Vishal Portal khula
Ladki Jinn Jagira wahan prakat hue surya ek taraf kada ho gaya jis waja se kall Dhwaj usko dek na Sakta Unke Peche Anant Sena thi jo Ek Divya Deewar ki tarha khadi thi

Ladki ne Kall Dhwaj ko dekha aur uski Aankhoo main gussa aur Veeranchal grah ko shuraksha dene ki sakti Thi

Ladki : Kall Dhwaj… tumhari himmat kaise hui Veeranchal grah par hamla karne ki Yeh woh sthan hai jahan se Bramhand ka Niyam chalta hain

Kall Dhwaj ne usko dekha aur hasne laga aur usne Dand uske haath main kamp utha

Kall Dhwaj : Tum… tum yahan? Tumne is jinn ko bacha liya? Lekin tumhari aankhoo main yeh manav dukh kaisa Aah! Main samjha jinnlok aur waha ke Mamuli jinn ko marne se Tumhe dhuk hua hain Tum apne hi dukh se kamzor ho chuki ho, Devi

Ladki : Main kamzor nahi aur ziyada shaktishali hoon! Us manav dukh ne mujhe woh Prem sikhaya hai, jiske liye Santulan zarori hai Tumne niyam tod diya hain

Kall Dhwaj : Niyam Main niyam nahi manta. Main Kall Dhwaj hoon. Main is bramhand ka malik banunga!

Jinn Jagira ne aage badh kar Kall Dhwaj ko gusse se dekha Uske haath main Krodh Ki Aag jal rahi thi

Jinn Jagira : Tumne mere Jinn Lok ko jalaya. Mere Bhaiyo ko mara. Aj main tumse badla lunga Tumhara Vinash Jinn Lok ki antim iccha hain

Ladki ne ek kadam aage liyaUske haath mein Vajra Talwar Neli Bijli se chamak rahi thi

Ladki : Tumhari shakti ab khatam ho chuki hain Kall Dhwaj Tumhara Lobh, tumhara Ahankaar aur tumhara Andera... Ab tumhara ant nischit hai. Main lady of Satyalok ho aur main Tumhara Nyay hoon

Kall Dhwaj ne dono ko dekha aur ek Bayankar ooncha hasa (terrifying, loud laugh) choda

Kall Dhwaj : Tum 2 log? Tum dono milkar bi mujhe nahi rok sakte! Kya tumhari yeh mamuli sena mere Andere ke samudra ko rok payegi? Aao, dekhte hain

Usne apna Kall Dand uthaya aur ek tez Maha-War kiya. Kall Dand se Dhaadar Kali Bijli nikal padi, jo sedhi Ladki aur Jinn Jagira ki taraf badhi jisko rokne ke Liye ladki khud aghe badhi aur usne apna Divya talvar aghe Karke ek war Kiya jis se kall Dhwaj ka war Khali gaya jisko dekar Kall Dhwaj heran hua hi tha ke tabhi waha ek awaz gunj gayi

Awaz : ab tumhara ant nischit Hain kall Dhwaj ab Tumhe is bramhand ki koi sakti bi Nahin bacha sakti mere haatho se

Aur jaise hi Kall Dhwaj ne yeh awaz suni aur uski taraf dekha to kall Dhwaj tartar kampne Laga aur wapis se Piche ki taraf bag gaya aur bola

Kall Dhwaj : Nahin Nahin yeh yeh Sapna Hain heena yeh Sach Nahin ho sakta

~~~aj ke Liye itna hi ~~~

Like target 40 Hain uske bad hi new update ayega okay

Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna
Very beautiful and pretty update ❤️ 💜
 
  • Like
Reactions: Xabhi123

SmartKiller

New Member
16
18
3

Fabulous n gorgeous update
 
  • Like
Reactions: Xabhi123

Deviltiger143

New Member
87
142
33

Really very awesome update bhai♥️♥️👌
 
  • Like
Reactions: Xabhi123

Ashishyapagal

New Member
27
30

Jabardast bhai
 
  • Like
Reactions: Xabhi123
Top