If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Warehouse ke andar ki halat puri tarha se badal chuki thi Gunpowder ki boo abhi bi hawa main thi, aur zameen par bikre hue guards aur tute hue saman puri tarah se khatam hui jung ka sabot the Divya aur Kiran ki sansein tez chal rahi thi, jab ki P.Surya bilkul shant tha, jaise kuch hua hi na ho Teeno aage badhe aur us kamre ki taraf chal pade, jahan roshni thi
Jaise hi woh kamre ke darwaza ke pass ponche P.Surya ne unko ruka
P.Surya : Ruko, ek aur hain
usne dhimi awaz main kaha Divya aur Kiran ko hairani hui, unhain to koi dikha hi nahi P.Surya ne apni aankheen band ki aur uski shaktiyon se us chipe hue admi ko khoj nikala Woh kamre ke ek andere kone main chupa hua tha
Divya aur Kiran ne ek dusre ko dekha aur silent signals ke saath aage badhi Darwaza khulte hi woh admi ek dum se utha aur bhagne ki koshish ki lekin uski speed Divya aur Kiran ke tactical training ke samne kuch bi nahi thi Divya ne ek dum se uski tang pakad kar usko neche gira diya aur Kiran ne uske haath uske peche mod diye Kiran ne usko zameen par dabate hue kaha
Kiran : Pakda gaya bohut chalak banta tha
Unhone us admi ko uthaya aur ek chair par betha diya P.Surya kamre main aya aur usne us admi ko dekha Uski aankheen bilkul bejan lag rahi thi aur uske chehre par dar saaf dik raha tha. Divya ne apni pistol nikali aur uski taraf taan di
Divya ne gusse main kaha
Divya : Bolo Tum kaun ho Aur tumhare boss Kala Saya, kahan hai
Admi chup tha. Uski aankhoo main sirf nafrat thi.
P.Surya ne shant awaz main kaha
P.Surya : Waqt barbad mat karo Jaldi bolo humara waqt zaya mat karo
Divya aur Kiran ko P.Surya ki yeh shanti achi nahi lagi Unhain laga ki woh bohut aram se baat kar raha hai
Kiran ne us admi ke chehre par flashlight marte hue pocha
Kiran : tum logo ki Yaha konsi meeting honi thi Kya plan tha tumhara bolo jaldi
Admi ne zor se thok diya P.Surya ne ek pal ke liye apni aankheen band ki aur uski mann ki baatein sune ki koshish ki. Uska dimag khali tha lekin uske mann main ek chota sa cheez tha, ek secret code aur ek naam. Uska naam tha 'Zayen' aur code tha '890.3.1'. P.Surya ko pata chal gaya ki yeh log Kala Saya ke liye ek special operation par Hain
P.Surya : Tumhara naam Zayen hain na
P.Surya ne uski taraf dekte hue kaha. Zayen hairan reh gaya Usne P.Surya ko dekha, uski aankheen khuli reh gayi
Zayen ne ghabrahat main pocha.
Zayen : Tum... tum kaise jante ho
Divya : Woh sab chodo, Yeh batao, Kala Saya kahan hai Tum logo ka mission kya hai
Zayen ki aankhoo main ab ghabrahat ke saath saath dar bi dikh raha tha. Usne samaj liya tha ki P.Surya koi aam insan nahi tha
Zayen ne darte hue kaha
Zayen : Main kuch nahi janta Mujhe chod do!
P.Surya : Jhoot bol rahe ho Tum log ek secret mission par the, jismain special security involve thi jo tum logon ke liye koi naya project shuru karne wale the
P.Surya ki baat sunkar Zayen puri tarah se hil gaya. Use samaj nahi aa raha tha ki ek pal main P.Surya ne uski sari jankari kaise nikal li Zayen ne ek akhri koshish ki ushi pal Zayen ne apna sir hilaya aur usne apne gale main chupa kar rakhi hui zehar ki goli nikali Usse pehle Divya aur Kiran kuch kar pati, usne goli kha li Agle hi pal, uski aankheen upar chadh gayi aur uska jism hilne laga
Divya ne chillayi : Nahin
Divya ne turant uski sansein check ki lekin tab tak bohut der ho chuki thi. Zayen mar chuka tha
Kiran ne gusse main chair par ek punch mara
Kiran : Sala Humare haath se nikal gaya!
Divya ne P.Surya ki taraf dekha
Divya : Tumne kaha se uska naam jaana Usne tumhari baat sunkar khud ko maar diya
P.Surya ne unki taraf dekha aur usne kaha
P.Surya : Usne khud ko is liye mara kyunke woh janta tha ke hum kese bi Karke use sab Kuch ugalwa sakte Hain
P.Surya ne aage badkar Zayen ki jeb check ki Usmain use kuch nahi mila, lekin uske haath main ek chota sa tracker tha jo uske jism main chipkaya gaya tha P.Surya ne us tracker ko nikala aur Kiran ko diya
P.Surya : Yeh tracker uske jism main dala gaya tha Shayad yeh kisi secret location ka pata bata sakta hai
Kiran ne us tracker ko apne hacking device se connect kiya aur woh screen par ek red dot dikane laga jo Jaipur main ek purane hathkargah (handicraft factory) par tha.
Divya : Yeh kya hain
Kiran ne kaha : Yeh Kala Saya ka secret base hai. Yahi se shayad Hume uska koi prof mil jaye
P.Surya ne ek ajeeb si muskurahat ke saath kaha
P.Surya : Ab humain pata hai agla target kya hai Jaipur
Next Morning :-
Agli subah Kolkata main City ka shor abhi thek se shuru bi nahi hua tha Raat ki bhayankar ladai ke baad hotel ke kamre main ek gehri shanti thi Kiran ko apne kaam se kahi jaana tha isliye woh jaldi nikal chuki thi. Ab kamre main sirf Divya aur P.Surya akele the Hawa main ek ajeeb sa sukon tha, jaise ek tofan ke baad sab kuch shant ho jaata hain
Divya ne karwat li aur P.Surya ki taraf dekha jo khidki ke pass khada hokar bahar dek raha tha Uske chehre par wahi shanti thi jaise beeti raat ke khoon kharabe ka us par koi asar na hua ho Divya ne mahsos kiya ki mission ki is bechaini main bi P.Surya ke pass rehna use ek ajeeb si himmat aur sukon deta hain
Divya bistar se uthi aur dheere se P.Surya ke pass chali gayi
Divya : Surya
Divya ne naram awaz main kaha P.Surya ne uski taraf palat kar dekha aur kaha
P.Surya :Haan, Divya
Divya : Yeh sab... yehi hai kya Hum bas ek mission se doosre mission par jate rahenge Divya ne thoda udas ho kar poocha
Divya : Kya hum ek pal ke liye bi sans nahi le sakte?
P.Surya ne uske chehre ko dekha jismain thakan aur pareshani saaf nazar aa rahi thi
P.Surya : Tum kya karna chahti ho
Divya ne halke se muskurate hue kaha
Divya : Kah i ghumne chalte hain Bas thodi der ke liye... sab kuch bhool kar
P.Surya ne uske sujhav par sir hilaya.
P.Surya : Chalo
Dono hotel se bahar nikle aur paidal hi chalne lage Koi plan nahi tha, koi destination nahi thi. Woh bas Kolkata ki subah ko mahsos karna chahte the. Raste main aam log apne din ki shuruat kar rahe the Kuch log subah ki chai ki dukan par khade the kuch bache school ja rahe the. Divya ko yeh mahol bohut accha laga bilkul uski purani zindagi jaisa Jab woh Apne papa ke pass hoti thi toh use apni purani zindagi yaad aati thi jahaan har cheez itni sedhi aur saaf thi
Chalte chalte woh ek bade park main pahunche Charo taraf hare bhare ped the aur phool khile the Pedon ki daliyon se chhan kar aane wali suraj ki roshni zameen par ek sundar pattern bana rahi thi. P.Surya ne park ke ek bench par baithna pasand kiya. Divya bi uske bagal main baith gayi Kuch der tak dono ke beech koi baat nahi hui Bas shanti thi Divya ne dil hi dil main socha ki yeh mauka phir kabhi nahi milega
Divya ne dheere se P.Surya ka haath pakda. P.Surya ne hairan ho kar uski taraf dekha
Divya ne naram aur sachi awaz main kaha
Divya : Surya Jab se main tumse mili hoon meri zindagi bilkul badal gayi hain Tum itne shant ho itne samajhdar ho Mujhe har waqt mehsos hota hai ki tum mere saath ho toh sab thek hain
Uski awaz todi ruk gayi, phir usne gehri sans li aur aage boli
Divya : Tum ne aaj tak humesha doosron ke liye lada hai. Lekin main chahti hoon ki tum ek baar... sirf ek baar, mere liye lado. Main bas itna jaanti ho ke main tumse Pyar Karti ho bohut Pyar itna ke tumhare liye apni jaan bi de sakti ho
Divya ne apni aankheen band kar li jawab sunne se darte hue
P.Surya shant tha Usne ek pal ke liye kuch nahi kaha Uski aankhoo main ek gehra soch ka tofan tha. Woh insan nahi tha uski shaktiyan alag thi, uski zindagi alag thi. Kya woh Divya ko woh zindagi de sakta tha jo woh deserve karti hain Kya woh usse hamesha ke liye protect kar sakta tha Lekin, uske dil main bi Divya ke liye ek khas jagha ban chuki thi. Uski himmat uski bechaini, uski har choti baat uske dil ko chhoo gayi thi. Usne socha, shayad uski zindagi main bi pyaar ki koi jagha ho
Ek pal ke liye P.Surya ne Divya ka haath aur zor se pakda. Divya ne apni aankheen kholi aur usne P.Surya ko dekha
P.Surya ne dheere se kaha
P.Surya :Pyaar kya hota hai... main nahi janta. Lekin jab tum mere pass nahi hoti ho, toh mujhe lagta hai jaise main adhura hoon Mujhe bi tumhare saath rehna acha lagta hai. Shayad... iska naam hi pyaar hai
Usne apni baat khatam karte hi Divya ke gaal par haath rakha Divya ki aankhoo main ansu aa gaye khushi ke ansu. Usne P.Surya ko dekha jiske chehre par ab Shanti nahi ek muskurahat thi
Divya ne apna sir aage kiya aur P.Surya ne bi apna chehra neche jhukaya Unke honth mil gaye. Yeh kiss ek lambe safar ke baad mila hua sukon tha Yeh kiss sirf do jismon ka nahi, balki do dilon ka milan tha Ek lamhe ke liye, har mushkil, har mission har khatra door chala gaya Sirf woh dono the ek doosre ke saath ek naye rishte ki shuruat karte hue
Abhi yeh dono kiss kar hi Rahe the ke Divya ka phone bajne Laga to dono hose main AA gaye Surya Divya ko dekne Laga to Divya Sharmane lagi aur usne phone utha Liya toh samne se Kuch kaha gaya aur Divya ne turant call cut kardi aur surya se kaha
Divya : surya Kiran ki call Thi mujhe abhi Jana Hoga main tumse bad main milti ho okay
Surya : okay sambal kar chalna
Aur Kuch hi der main Divya nikal gayi aur surya bi wapis hotel AA gaya aur Kuch hi derain Kiran bi AA gayi Uska chehra thaka hua tha lekin uski aankhoo main ek ajeeb si chamak thi jaise usne kuch bohut important kaam kar liya ho Usne P.Surya ko akele dekhkar muskuraya aur uske pass chali aayi
Kiran ne halke se kaha
Kiran : surya hum thoda ghumne chalte hain
Surya ne Divya ke saath bitaaye pal yaad kiye aur uske chehre par halki si muskurahat aayi Usne sar hilakar haami bhari Kiran ne dekha ki uski baat se Surya ko khushi hui, jis se uski apni dil ki dhadkan tez ho gayi
Dono ek doosre park main chale gaye, jo pehle wale se thoda alag tha Yaha par ziyada bheed thi aur bache khel rahe the. Park ka mahul ziyada zinda aur bechain tha. Kiran, jo aam taur par apne gadgets aur technology main mashgul rehti thi
aaj P.Surya ke saath chote chote lamhon ka maza le rahi thi Usne hawa main udte hue patton ko dekha, unki nazakat ko mahsos kiya aur P.Surya se milkar uske chehre ki muskurahat ko bi dekha
Kiran ne himmat jutayi Woh Surya ke samne aayi aur unke beech ek gehra sanata chhaa gaya
Kiran ki awaaz narm thi
Kiran : Main tumse ek baat kehna chahti hoon. Jab se main tumhe janti hoon, meri zindagi badal gayi hain Tumne hamesha meri aur Divya ki hifazat ki hai. Tumne humain ek naya maqsad diya hain
Usne apni aankhoo main ansu liye kaha,
Kiran : Main janti hoon ki tum... tum ek alag insan ho Main yeh bi janti hoon ki tum mujse shadi nahi kar sakte aur shayad ek normal zindagi bi nahi de sakte Lekin... lekin har insan ko khushi ka haq hai. Kya tum... kya tum mujhe woh khushi de sakte ho Main bas tumhare saath rehna chahti hoon. Tumhare pass tumse woh khushi Chahti ho Jo kar ladki ka haq Hain
Kiran ki aankhoo main ek gehra dard aur umeed thi P.Surya ne uski baat suni aur uske chehre par ek ajeeb si udasi aa gayi Usne Divya ke saath bitaye hue pal yaad kiye aur uske baad ab Kiran ki yeh guzarish suni Uska dil ek pal ke liye do tukdo main bat gaya tha Ek taraf Divya thi aur doosri taraf Kiran jo usse sirf todi si khushi mang rahi thi. Usne socha ki agar woh Kiran ko mana kar deta hai toh uska dil toot jayega, aur woh yeh nahi chahta tha P.Surya ne mahsos kiya ki Divya se uske rishte ki shuruat ho chuki hai, lekin Kiran ko bi woh dukhi nahi dek sakta tha
Ek pal ki soch ke baad P.Surya ne Kiran ka haath pakad liya Usne uski aankhoo mein dekha, jismain ab umeed ki roshni saaf nazar aa rahi thi
P.Surya bohut dheere se kaha
P.Surya : Main tumhe wada karta hoon... main tumhe khushi dunga
Kiran ke chehre par ek lambi muskurahat aayi usko dekhar P.Surya ne kaha
P.Surya : bas ek baat Is baat ka Divya ko pata nahin chalna chahiye
Kiran ne muskurate hue haan main sir hilaya Woh janti thi ki yeh ek secret rishta hoga lekin uske liye itna hi kafi tha Kiran ne P.Surya ke gale main bahein daal di, aur P.Surya ne usko halke se apni bahon main bhar liya Unke honth mile, aur is baar yeh kiss ek shuruat thi
Wahi detective ki taraf :-
Vikram se baat karne ke baad detective ne waqt zaya nahi kiya Usne jald hi Mumbai ki flight pakdi. Uske dimag main bas teen naam ghum rahe the Surya, Divya aur Kiran Use pata tha ki Surya ki asal Pehchan tak ponchne ka rasta in do ladkiyon se hokar hi jaata hai
Mumbai ki subah ki bheed main, detective ek alag hi dhun main tha Usne sedha Kiran ke bank ka pata lagaya. Bank ke bahar ek naya plan banate hue usne socha
Detective : Yahan sedhe jaana khatarnak ho sakta hai Usne ek aam insan ka roop banaya aur bank ke manager se milne ka waqt manga Manager ek gamandi aur badtamez kism ka insan tha Detective ne use ghoos (bribe) dene ka bahana banaya aur kaha ki woh ek bade businessman ka private assistant hai aur uske liye bank se kuch important information nikal na chahta hai Paiso ka naam sunte hi manager ka chehra khil utha
Manager : Apko kya chahiye Humare yahan to sab kuch transparent hai
Detective : Main yahan kisi ka account number nahi bas ek employee ke bare main jankari chahta hoon Ek ladki Kiran Mehra usne abhi haal hi main resign kiya hain
Manager ne pehle to mana kiya lekin jab detective ne uske samne paiso ka ek packet rakha to uska lalach saaf nazar aane laga Woh dheere se bola
Manager : Kiran Mehra Ha woh to bohut hi achi employee thi lekin usne bina waja hi resign kar diya
Detective ne uski baat kaat di
Detective : Bina waja nahi Mujhe sab pata hai ki tum uske saath kya kar rahe the Main tumhari sari harkatain janta hoon Tum to jante hi hoge ki yeh information agar bade media channels tak pahunchi to tumhara kya hoga
Manager ka chehra peela pad gaya Usne dar ke mare ek gehri sans li aur phir dheere se batana shuru kiya Usne bataya ki Kiran ek imandar aur mehnati employee thi lekin woh us par dhyan rakhta tha Ek din usne uske saath zabardasti karne ki koshish ki lekin tabhi wahan ek shaks aya, jo usne pehle kabhi nahi dekha tha. Woh koi aur nahi Surya tha Surya ne usko bohut peeta aur dhamki di ki agar usne Kiran ko dobara chhua, to woh usko zinda nahi chodega. Iske baad hi Kiran ne bank se resign kar diya
Detective ne ek gehri sans li
Detective : Toh yeh hai Surya
Bank se nikal ne ke baad detective ne Mumbai Police Station ka rukh kiya Yahan par usko laga ki kaam asan nahi hoga, kyunke yahan par har cheez ka record hota hain Lekin usne apni adat ke mutabik apni ek fake ID banai aur ek officer se jaakar mila
Detective ne bataya ki woh ek doosri agency se hai aur ACP Divya Mehra ke bare main jankari chahta hai. Officer ne use pehle to pehchana nahi lekin jab usne apni ID dikhai, to usne batana shuru kiya
Officer : ACP Divya Mehra Oh, woh to humari department ki best officer hain. Unhone bohut bade bade cases solve kiye hain. Abhi haal hi main unhone ek bohut hi important case solve kiya tha, jiska naam Raghuvanshi's Legacy tha. Is case main woh ek bade underworld gang ka picha kar rahi thi, jiska connection Raghuvanshi family se tha Unhone us gang ko dund liya tha aur tab hi unko promotion mila aur unko Jaipur transfer kar diya gaya, special operation ke liye
Detective : Raghuvanshi's Legacy Matlab in sab ka Raghuvanshi family se koi rishta hai
Detective abhi in sab baton ko dimag main hi jode raha tha ki tabhi officer phir se bol pada Uske chehre par abhi bi ACP Divya ki tareef ka bhaav the
Officer : ACP Divya bohut imandar aur neak dil officer hain woh hamesha dusro ki madad karti rehti hain aur apne kaam main bohut serious thi Lekin aksar usko ek ladke ki call aati thi ya us se milne yahan aata tha Us ladke ka naam Surya hain
Detective ki aankhoo main chamak aa gayi Usko laga jaise uske haath main koi anmol cheez lag gayi ho
Detective : Surya Acha Kya ap Surya ko jante hain ya uska address hai aapke pass
Officer : Haan hain Aksar Divya ma'am ko hum ek society ke bahar chod kar jaya karte the Jab humne pata lagaya to us society main Surya rehta tha
Detective ka dil tezi se dhadakne laga. Yeh woh information thi jiski use talash thi Yeh ek sedha link tha bina kisi muskil ke
Detective : Acha, please ap batao ki Surya ka address kya hain
Officer ne ek paper par jaldi se address likha aur detective ko de diya Detective ne us address ko dhyan se dekha aur usne usko apne dimag main save kar liya
Officer ne usko address diya aur detective wahan se turant nikal gaya Uske chehre par ek ajeeb si khushi thi Woh janta tha ki woh abhi tak ka sabse bada raaz pata lagane wala hain
Detective ne apni car us society ke bahar roki, jahan officer ne Surya ka address diya tha Society todi middle class thi jo ki Detective ke expectations se alag thi. Usne address ke hisab se ek chote se, lekin saaf suthre apartment ka darwaza khatkataya
Darwaza ek umar daraz admi ne khola jiske chehre par thakan thi par aankhoo main nek dili saaf jalak rahi thi Yeh admi koi aur nahi Sanjay Agarwal the Detective ne unko dekha aur samj gaya ki yahi woh shaks hai, jiske bare main use pata karna tha
Detective ne bina waqt zaya kiye sedha apni asliyat bata di
Detective : Namaste mera naam [Detective ka naam] ( main Yaha per iska Naam add Nahin kar Raha kyunke iska aghe koi role Nahin Hain ) hain Main ek private detective hoon aur main yahan apse ek zarori kaam ke liye milne aaya hoon
Sanjay ko shaq hua par usne calm reh kar kaha
Sanjay : Andar aiye, shant ho kar baat karte hain
Unhone apni biwi Shanti Agarwal ko bulaya jo apne bete Manav ke saath TV dek rahi thi Unka Bada beta Vikram Kisi Kam se bahar gaya hua tha
Detective ne sofe par baith kar kaha
Detective : Main yahan Rajasthan ke Raja Veer Singh Raghuvanshi ke haan se bheja gaya hoon
Raja Veer Singh Raghuvanshi ka naam sunte hi pure Agarwal parivar ka chehra serious ho gaya. Detective ne unki ghabrahat par nazar rakte hue aage kaha
Detective : Unko shaq hain ki Surya unka pota hain Woh chahte hain ki main unka raaz pata lagao
Detective ki awaz main ab gussa aur dhamki thi. Usne Sanjay ko dekha aur kaha
Detective : Dekho agar tumne jhoot bolne ki koshish ki to iska anjam bohut bura hoga Tum jante ho ki Raja Veer Singh Raghuvanshi kitne takatwar hain. Unki power yahan tak pahunch sakti hai. Isliye, sach sach batao ki Surya ka sach kya hain
Sanjay aur Shanti ne ek dusre ki taraf dekha Sanjay ne ek gehri sans li aur usne apni awaz ko halka kiya aur kehna shuru kiya
Sanjay : Yeh baat aaj se 10 saal pehle ki hain Main har Roz ki tarha Apne office Jane ke Liye ready hua tha Lekin late tha us din ishi liye main Bina breakfast Kiya hi Nikal gaya aur raste per Maine ek chote ke hotel main ruk gaya aur breakfast Karne Laga Kuch der bad main Maine breakfast Kiya aur main jaa hi Raha tha ke hotel ke Malik ne surya ko parathe chori karte hue pakad Liya
Sanjay : Usne chori ki aur hotel ke malik ne usko pakad liya Sabhi logon ne usko marne ki koshish ki Lekin mujhe uski aankhoo main ek ajeeb sa dard dikha. Maine usko bachaya aur usko apne pass le aya Maine usse pocha ki tumne chori kyun ki Usne apni aankhoo main ansu liye aur kaha ki woh chori is Liye ki Thi kyunke usko bohut bhook lagi tha aur kalse Usne Kuch Nahin khaya tha
Sanjay : Maine usko Apne Ghar le aya aur usko ache se khana khane ke bad use Pocha ke Kon ho Tum Lekin Usne sirf itna hi kaha ke main ek anath ho aur Mera Naam surya Hain aur Kuch Nahin
Sanjay : phir Maine usko apne ghar main ho rakne ka fasla Kiya aur usko apne bete ki tarah pala Usne kabhi bi yeh Nahin bataya ke uski maa ni Hain Aksar main Raat ko chup kar rota tha humne yeh baat bohut bar note ki Thi Lekin is se kabhi ni is bare main Nahin pocha
Shanti : Humne usko apna beta bana liya, aur usko apna naam diya, Surya. Usne apni zindagi humare saath guzari, lekin woh hamesha apni maa ke baare main sochta rehta tha. Uski aankhoo main hamesha ek dard rehta tha, jo hum dono ko bohut pareshan karta tha. Uski rooh hamesha apni maa ke liye tadapti rehti thi
Detective ke hosh ud gaye. Usne kabhi nahi socha tha ki Surya ka raaz itna gehra aur dardnak hoga Usko pata chal gaya tha ki Surya ki har ek baat main sachai thi
Detective : Toh usne Tumhe kabhi bataya Nahin ke woh Kon Hain aur uski maa Kon Hain
Sanjay : haa Usne humne bataya tha ek din Usne humhe khud apni Kahani sunai Thi ke kese uske papa ne uski maa ke Saath dhoka Kiya aur uski sari property Apne Naam kardi aur Phir Jab uski maa ke pass paise khatam ho gaye tab Usne Apne papa ( yani nana ji ) ko call ki toh Usne yeh shart rakhi ke agar maa yeh sab aur mujhe ( yani surya ko ) chod kar wapis AA jaye toh woh sab Kuch thek kar Dega Lekin maa Nahin Mani aur Usne mujhe chuna jab maa Soo gayi tab Usne Apne nana ji ko call ki aur deal maan gaya ke main hamesha ke Liye apni maa se dhur Jane ke Liye ready ho bas ap Meri maa ko bacha lo tab nani ji Meri baat maan gaye aur Maine apni maa ko chod kar waha se hamesha hamesha ke Liye Yaha Chala aya
Detective : acha phir Usne bataya ke uski maa ka Naam Kya hain
Shanti : Haan Bataya tha uski nana ji ka Naam Thakur digvijay Singh aur uski maa ka Naam juhi Thakur Hain
Detective waha se khamoshi se khada ho gaya Uske dimag main hazaron sawal ghum rahe the Kya Surya sach main Raghuvanshi family ka pota hai Kya woh sach main ek aam insan nahi hai Usne socha ki usko ab wapis Jaipur jana hoga
Sanjay Agarwal ki kahani sunne ke baad, detective ko pura yaqeen ho gaya tha. ke Uska background uski maa ki kahani aur woh Raghuvanshi family se connection, yeh sab ab uske liye bilkul saaf ho chuka tha. Woh uski maa ke liye tadap, woh dard aur woh taqat yeh sab kuch ek hi baat ki taraf ishara kar rahe the—Surya Juhi Singh Raghuvanshi ka beta hai.
Detective wahan se bina kuch kahe nikal pada Uske dimag main bas ek hi baat ghum rahi thi
Detective : Yeh raaz ab tak ka sabse bada raaz hai Woh sidha apni car main baitha aur usne Vikram Singh Raghuvanshi ko phone lagaya Phone ki ghanti bajne par uske dil ki dhadkan tez ho rahi thi
Vikram : Haan kya hua Tumne use dund liya
Vikram ki awaz main bechaini thi Uske liye yeh sirf ek daura nahi tha balke ek zindagi ka sawal tha
Detective : Boss mujhe sab kuch pata chal gaya hai Surya ke bare main, uski maa ke bare main, aur woh Raghuvanshi family se connection ke bare main Woh aapka bhai hain
Vikram ki sans ruk gayi Usko yaqeen nahi ho raha tha Jo baat uske dil main thi woh ab sach ho chuki thi
Vikram : Kya Tumhe kya mila Jaldi batao
Detective ne shanti se sari kahani sunai. Usne bataya ki kaise usne Surya ko chori karte hue pakda aur kaise usne apni maa ke liye woh sab kiya
Detective : Usne apni maa ko Bachane ke liye khud ko alag kar liya woh Apne maa ko ishi liye chod kar Chala gaya tha taki woh zinda rahe Usne uski maa ko chod diya, taki woh safe rahe
Vikram ka dil dhadakne laga Usko abhi bi yaqeen nahi ho raha tha. Usne phone cut diya aur usne apni aankheen band ki. Uske dimag main bas ek hi baat ghum rahi thi
Vikram : Mera bhai... usne yeh sab Apni maa ke liye kiya...
Detective ne phone ko apne jeb main rakha aur usne apni car ko Jaipur ki taraf mod diya. Uska kaam ho chuka tha
Vikram ke dimag main ab sirf ek hi baat thi sachai ko samne Lana Detective ki baato ne uske dil aur dimag ko hila diya tha par use ek akhri sabot chahiye tha. Woh fauran apne kamre se nikla aur sidhe apne chacha Shakti Singh Raghuvanshi ke kamre ki taraf chala gaya
Shakti Singh apne phone par baat kar rahe the. Vikram ko dek kar unhone call kaat di. Unke chehre par ajeeb sa sawal tha
Papa : Vikram kya hua Tum is waqt yahan Kuch problem hai kya
Vikram ne apne chehre par aam bhaav laate hue kaha
Usne apni awaz main koi bhi ghabrahat nahi aane di
Vikram : Nahi chacha Bas ek zaruri kaam tha Surya kis hotel main ruka hai aur uska room number kya hain
Papa ko thoda ajeeb laga
Papa : Tumhe kyun janna hai Sab thek hai na
Vikram ne jhoot bola
Vikram : Haan, sab thek hain Bas usse kuch zaruri baat karni hai, business se related
Papa ne uski baat par yakeen kar liya aur unhone hotel ka naam aur room number de diya
Papa : Woh Hotel Grand Serenity main hain room number 404. Tum usse mil lo
Vikram ne jaldi se papa ka shukriya adaa kiya aur wahan se nikal gaya. Uske kadam tezi se hotel ki taraf badh rahe the
Hotel Grand Serenity ponch kar Vikram ne kisi se bina mile sedha counter ke pass gaya. Ek waiter ko dekar usne use kuch paise diye
Vikram : Yeh tumhare liye Mujhe room number 404 ki master key chahiye
Waiter ne pehle to mana kiya lekin jab usne paiso ko dekha to uski aankhoo main ek ajeeb si chamak aa gayi
Waiter : Sahab yeh hotel ka rule Nahin hain Hum aisa nahi kar sakte
Vikram ne aur paise nikale aur kaha,
Vikram : Main janta hoon. Tum bas master key do. Mera kaam ho jayega, aur tumhara kaam bi
Waiter ne paiso ko dekha aur usne master key de li
Waiter : Theek hai, sahab. Lekin jaldi se wapis aa jaana
Vikram ne key li aur sedha elevator ki taraf chala gaya. Uska dil tezi se dhadak raha tha. Woh janta tha ki yeh ek galat kaam hai, par use yeh karna hi tha. Woh ab apni sachai ke aur bi kareeb tha.
Room number 404 ka darwaza khol kar, Vikram andar dakhil hua Room main sab kuch saaf suthra tha Vikram ne har ek cheez ko dhyan se dekha. Usne Surya ke saman ko dekha, uske kapde aur uski har ek cheez ko. Usne socha
Vikram : Yaha kuch to zaror hain jo uske raaz ko khol dega
Kuch der dundne ke baad Vikram ki nazar ek chote se box par padi, jo bed ke pass rakha hua tha. Usne us box ko khola aur uske andar ek locked dekha. Yeh locked ek dil ke aakar ka tha
Jaise hi Vikram ne us locked ko haath main liya aur uski ek side se kol diya Uske dono side per ek ek picture lagi hui Thi Jo ek taraf juhi ki pehli wali picithi jisko dekte hi Vikram pehchan gaya aur dusre side main surya ke Bachpan ki picture Thi iski bi surya pehchan gaya kyunke maa ke pass surya ke Bachpan ki bohut se pictures Thi
Vikram us dil ke locket ko haath main liye, sedha Raghuvanshi Mansion ke dining hall main gaya. Wahan pura parivar dinner ke liye ikatha tha Sabhi maujod the, including maa aur papa Vikram ke chehre par ab shaq ya gussa nahi tha bas ek gahri sanjedgi thi
Usne dining table ke pass khade hokar apni awaz main tezi laai
Vikram : Main janta hoon ki ap sab soch rahe hain ki main kahan se aa raha hoon, lekin main apko sach batana chahta hoon. Main apko sab kuch batana chahta hoon
Dada ji ne usko dekha aur kaha
Dada ji : Kya kehna chahte ho Sedha kaho
Vikram ne ek gehri sans li aur usne kehna shuru kiya
Vikram : Maine ek detective ko hire kiya aur usko Mumbai bheja, taki woh Surya ke bare main pata laga sake Main uski asliyat jaan na chahta tha
Pure dining hall main khamoshi chha gayi Sabhi hairan the
Vikram : Detective ne Mumbai jaakar pata lagaya ki Surya ki koi digital footprint nahi hain Lekin usne yeh bi pata lagaya ki woh do ladkiyon, Divya aur Kiran ke saath Kolkata gaya hai Tabhi usne Divya ke bare main pata lagaya, aur usko pata chala ki Divya ek ACP hai, jo Raghuvanshi family ko safe Karne ke liye kaam kar rahi Hain
Yeh sunte hi sabhi ka chehra hairani se bhar gaya papa aur maa aur sabhi hairan the
Vikram : Jab detective ne mujhe yeh sab bataya, to mujhe yakeen nahi hua. Lekin jab usne mujhe yeh bataya ki Surya ne apni maa ko Bachane ke Liye khud usse dhur ho gaya toh mujhe bi Yaqeen Nahin hua
Vikram ne apni jeb se woh dil ka locket nikala aur usko sabke samne rakha
Vikram : Uske baad main khud hotel gaya aur maine Surya ke room ko check kiya. Mujhe wahan yeh locket mila
Usne locket ko khola aur uske andar ki pictures sabko dikhai
Vikram : Iske ek hisse main Juhi chachi ki tasver hai, aur dusre main Surya ke bachpan ki tasver
Pure Raghuvanshi parivar ke chehre se hawaiyan ud gayi. Sabhi hairan the. Juhi Singh Raghuvanshi zameen par baith kar rone lagi Usko yakeen nahi ho raha tha. Usne apni awaz main dard aur tadap ke saath kaha
Maa : Mera Surya... mera beta... please, batao Vikram, kahan hai woh Mujhe abhi ke abhi milna hai usse
Vikram ne apni chachi ko dekha. Uski aankhoo main ansu aa gaye. Usne apni awaz main shanti late hue kaha
Vikram : Chachi Surya abhi Kolkata gaya hai, do ladkiyon ke saath. Ho sakta hai kal ya parson tak aa jayega Hum sab usse milne jayenge aur usko wapis apne ghar lekar ayenge
Papa ne Juhi ko sahara diya aur Dada ji ne kaha
Dada ji : Hum sab tumhare Saath Hain aur ab jab surya ka pata chal gaya Hain toh ab uski wapis aana Hoga Apne Ghar apni maa ke pass usko aana hi Hoga
Maa ki aankhoo main ansu aa gaye. Usko ab yakeen ho gaya tha. Uska dil jor jor se dhadakne laga. Usko pata chal gaya tha ki Surya koi aur nahi balke uska apna beta Hain Usne woh locked Vikram se Liye aur Apne pass rakha aur wahan se nikal gayi
Ab uske pass woh sabot tha, jo use chahiye tha
Dada ji ke usko tasalli dene ke baad, Raghuvanshi parivar ka ek hissa, yani ki new generation ki ladkiyan, ek alag kamre main chali gayi. Wahan Sapna, Sonia, Diya, Ishita, Dipali aur Mitali ek saath baithi hui thi. Unke chehron par abhi bhi shock aur hairani thi
Sonia ne pehle chup todte hue kaha,
Sonia : Tum logon ko yakeen ho raha hain Jo humne abhi suna woh sach hai
Sapna : Sach kaise nahi hoga Sonia Tumhe nahi pata yeh sab kuch Raghuvanshi family ka hissa hain Hum sab kuch jante hain ki Surya hamara bhai hain
Sonia : aane do Zara usko bohut marogi usko hum sab se Sach chupaya Usne
Diya : Lekin usne hamain kabhi nahi bataya. Usne kabhi nahi bataya ki woh kahan se hai, kya karta hai... kuch bi nahi
Ishita : Agar woh batata, to hum uski madad karte Hum usko apne se door nahi rehne dete
Dipali : Mujhe hamesha laga tha ki woh ajeeb hai, lekin uski aankhoo main ek ajeeb sa dard tha. Ab mujhe pata chala ki woh dard kya tha. Woh dard uski maa ka tha
Mitali : Mujhe hamesha usse baat karne ka man karta tha Uska baat karne ka tarika bohut hi alag tha Woh hamesha hasi mazak karta tha lekin uski aankhoo main ek ajeeb sa Dard chupa hua tha
Sonia ne ek gehri sans li aur usne kaha
Sonia : Hum sab ne uski aankhoo main woh chupa hua Dard dekha tha lekin hum usko samaj nahi paye Hum sab ne usko judge kiya usko galat Samjha Hum sab ne usko akela chod diya
Sapna : Lekin ab nahi. Ab hum usko wapis leke ayenge Hum usko apne pass leke ayenge. Hum uski madad karenge. Hum usko woh sab kuch denge, jo usko chahiye
Mitali : Haan Sapna Hum usko woh sab kuch denge. Hum usko pyaar, uski khushi, aur uski zindagi denge. Hum usko woh sab kuch denge, jo usko chahiye
Diya : Mujhe bas ek hi baat ka dar hain Kya woh wapis ayega Kya woh humse baat karega
Ishita : Waqt lagta hain Diya Lekin woh wapis ayega. Usne apni maa ke liye itna sab kuch kiya to woh hum sab ke liye bi karega Hum sab uski family hain
Sonia : Mujhe bas ek hi baat pata hai. Jab woh wapis ayega, to main usse ek hi baat kahungi Tumne Hamelin yeh kyun nahi bataya
Sabhi ladkiya hasne lagi Unke chehron par ab ghabrahat nahi thi balke ek ajeeb sa sukoon tha Unko lag raha tha ki unka bhai unke pass wapis aane wala hain Unko lag raha tha ki unki zindagi ab badalne wali hain
~~~aj ke Liye itna hi ~~~~
Pasand aye toh like aur comment lazmi dena agar koi galti hui Hain toh maaf karna