mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,910
- 218
Excellent updateUpdate 28
Itna keh kar Rahul Isha ke saath ghar chale gaya. Gaurav apne car ke saamne khada tha aur Mohan aur Seema pure parivaar ke saath nikal gaye ghar ki taraf. Rashmi Gaurav ki car me hi baithi thi un sab ke jaane ke baad bahar aayi aur Gaurav ke bagal me aa kar khadi ho gayi.
Rashmi(Muskurate huye)-“Aaj kaafi jyada drama ho gaya Gaurav ji!”
Gaurav-“Haa yaar! Kaafi stressful day tha!”
Rashmi-“So! Ab kya?”
Gaurav-“Chalo tumhe ghar chhod du!”
Rashmi-“Abhi itni bhi raat nahi hui!”
Gaurav(Muskurate huye)-“Aaj bahut tension me hu!”
Rashmi(Gaurav ke gardan me apni ungli ghumate huye)-“Tension? Mai dur kar sakti hu!”
Gaurav ne apne hath rashmi ke maathe par rakha aur use piche kiya!
Gaurav-“Chaliye aaj aapko ek jagah le jata hu!”
Rashmi muskurate huye gaadi me baith gayi aur Gaurav ke saath chal di car me. Gaurav use Mandir ke paas le gaya aur Car se bahar nikal kar khade ho gaya aur Mandir ko dekhne laga, Rashmi paas aa kar khadi ho gayi
Gaurav-“Whenever I feel stressed I come here! I was really happy here, Yaha maine apne sabse ache din dekhe hai aur bure bhi! (Apne haath ko apne chhati ke paas la kar) Ishu itni si thi mere gaud me khelti thi! Hum waha un seedhiyo par rehte the! Roz bheek maang kar humare khane ke liye paisa jama karte! Phir Abhimanyu bhaiya ne hume dekha aur humari madad ki, Hume rehne ki jagah di mujhe meri shaktiyo ko instemal karna sikhaya aur phir wo manhoos din, Na jaane Abhimanyu ke man me kya tha jo unhone humare saath aisa kiya! Unhone meri Ishu ko bhi chot pahuchayi!”
Gaurav ne mud kar dekha Rashmi ki aankho me aansu the, Gaurav ne Rashmi ke chehre ko pakda
“Rashmi ji I am sorry! Mera wo matlab nahi tha!”
Rashmi-“I am sorry Gaurav! Mere bhaiya ke karan...”
Gaurav-“Isme aap ki galti nahi hai Rashmi..!”
Gaurav ne Rashmi ko apne seene se lagaya. Rashmi aur jor se rone lagi
Rashmi-“Mera man kabhi nahi manta, Mere Manu bhaiya aise nahi hai. Wo hum sab ke saath aisa nahi kar sakte!”
Rashmi roti rahi aur apna dukh bayaan karne lagi, Gaurav bas uske sar haath pherne laga, Thodi hi der me Rashmi ki awaaz dhimi hone lagi aur aur wo shaant ho gayi. Gaurav ne dekha Rashmi rote rote uske seene par hi so gayi thi. Gaurav ne rashmi ko dur karne ki koshish ki par Rashmi ne kaafi jor se Gaurav ko jakad rakha tha. Gaurav ne Rashmi ko apne gaud me uthaya aur use Car ke piche seat me litane ki koshish ki But Rashmi ne use nahi chhoda, Gaurav ne Rashmi ko uthate huye hi car ke backseat par gaya aur apne dusre haath se darwaza band kar diya aur let gaya. Rashmi bhi Gaurav ke upar hi so gayi.
Idhar Dusri aur Sayesha ghar par Rashmi ka wait kar rahi thi.
Sayesha(Devarsh ko)-“Guruji kaafi late ho chuka hai! Rashmi abhi tak nahi aayi!”
Devarsh(thoda sochte huye)-“Ek baar Mohan ko call karke dekho! Shayad Rashmi unke yaha hongi.”
Sayesha ne call lagaya aur Mohan se baatein ki, Call ke baad kaha
Sayesha-“Unhone kaha ki Rashmi Gaurav ke saath aa rahi hai!”
Devarsh-“Thik hai! Acha Sayesha! Mujhe lagta hai tumhe tumhare parents se ek baar mil lena chahiye!”
Sayesha-“Nahi Guruji!”
Devarsh-“Par beta!”
Sayesha-“Mujhe is bare me baat nahi karni guruji!”
Itna keh kar Sayesha apne room me chali gayi. Wo Room me ja kar aaine me khud ko dekhne lagi! Sayesha ko apni bachpan ki baatein yaad aane lagi
(“Beta it will be over! Bas kuch minute ki baat hai”
Sayesha-“Papa!! Chhodiye mujhe mera dum ghut raha hai!”
Sayesha ke papa bed par Sayesha ka gala daba rahe the
Sayesha’s Dad(Rote huye)-“Ssshhhh!! Bas do min me tumhara sab dard khatm ho jaega”
Sayesha-“Papa rukiye! Please papa mai jeena chahti hu! Mai aisi harqat phir kabhi nahi karungi”
Tabhi Sayesha ki aankho ki putli upar hone lagi aur Sayesha ke papa ke haatho ki jakad apne aap kam hone lagi aur unhone Sayesha ke gardan se apne haath hata liye, Sayesha ke papa waha se uthe aur ja kar paas hi table par rakhe blade ko uthaya. Tabhi Sayesha ki mummy waha aayi aur unhe samajh aa gaya ki yaha kya ho raha hai!
Sayesha ki mummy ja kar Sayesha ko hosh me lane ki koshish karne lagi.
Sayesha’s Mom-“Beta beta hosh me aao! Chhod do apne papa ko!!”
Sayesha ke papa wo blade apne gale par rakh kar khade ho gaye
Sayesha ki mom ghabra gayi aur waha paas me pade jug se pura paani sayesha ke upar daala
Sayesha’s Mom-“Sayeshaaaaaaaaaa!!!!”)
“Sayesha!!”
Sayesh achanak se apne khayalo se bahar aayi usne dekha khidki par Rahul baitha tha. Sayesha hairani se Rahul ko dekhne lagi, Phir gusse me uske paas aate huye
“Tum yaha kya kar rahe ho?”
Rahul-“Shhhhh!!! Shaant!! Koi sun lega”
Sayesha-“Get Lost! Abhi ke abhi jao yaha se!”
Rahul-“Chale jaunga bas ek question? Kya Aaj garden me tum hi thi??”
Sayesha-“Mai koi sawaal jawaab nahi karna chahti!”
Itna keh kar Sayesha Rahul ko khidki se piche dhakelne lagi!
Rahul-“Arre jaan mai gir jaunga! Ruko to!”
Sayesha “Jaan” sun kar gussa ho gayi aur Rahul ko dhakka diya! Rahul ka balance bigad gaya aur wo piche girne laga, Rahul ko girte dekh Sayesha ne uska collar pakad kar use pakadne ki koshish ki par wo bhi Rahul ke saath khidki se bahar gir gayi.
“Aahhhhhhhhhhhhhhhhh!”
Zameen par girte hi Rahul ki dard ke maare aahhh nikal gayi. Rahul ke upar Sayesha leti huyi thi.
Sayesha-“Ab Maza aaya? Isiliye bolti hu dur raho mujhse!”
Rahul-“Jaan maza to bahut aaya! Tum yu mere upar ho!”
Sayesha uske seene me mukke maarne lagi,
Sayesha-“Samajhte kyu nahi ho tum!”
Tabhi ek goli chalne ki awaaz aayi, Rahul aur Sayesha ne us taraf dekha to paaya ki ek shaks nakaab pehne hua tha aur uske haath me rifle thi! Wo shaks bhaagne laga. Sayesha aur Rahul khade aur us shaks ke piche bhaagne lage Tabhi Rahul ne dekha sayesha ko bhaagne me taklif ho rahi thi. Rahul ne gaur kiya to paaya ki Sayesha ke Pet me goli lagi thi! Par phir bhi wo bhaag rahi thi! Sayesha is halat me jyada dur nahi bhaag saki. Uske kadam ladkhadane lage. Rahul ne use ja kar pakad liya
Rahul-“Jaan! Ruko tumhe goli lagi hai!!”
Sayesha Rahul ki gaud me leti huyi thi!
Rahul(Ghabrate huye)-“Jaan hosh me rehna! Hum abhi hospital chalte hai!! Dont loose me! I am here!! Hosh me raho”
Rahul Sayesha ko gaud me uthate huye bhaagne laga, Sayesha ne muskurate huye Rahul ke gaal par haath phera!!
Rahul-“Jaan.. Stay with me!! Please!!”
AWESOME updateUpdate 29
Rahul bhagte huye Sayesha ko Ashram ke andar le gaya
Rahul(Chillate huye)-“Devarsh!!! Devarsh!!”
Devarsh bhagte huye bahar aaye
Devarsh-“Ye kya hua Sayesha ko??”
Rahul ki awaaz sun kar Ashram me rehne wale kuch ladke aur ladkiya bhi bahar aa gayi
“Kya hua Sayesha didi ko?”
Devarsh-“Jaldi se Sayesha ko mere room le chlo”
Rahul Sayesha ko Devarsh ke room me le gaya! Devarsh ne Room ka darwaza band kiya. Aur Room ke andar aa kar apne book shelf me ek book nikala aur ek secret door open hua, Devarsh ne Sayesha ko room me rakhe ek bed par letane ko kaha. Rahul ne waisa hi kiya
Devarsh ne room par rakhe ek paudhe se kuch patte tode aur usko masal kar ek paste banaya! Phir ek chote se instrument se Sayesha ki goli nikali, wo paste Sayesha ke ghaaw par lagaya aur us par patti bandh di. Rahul wahi khade khade sab dekh raha tha.
Rahul(Devarsh se)-“Devarsh Sayesha thik to ho jayegi na”
Devarsh-“Ye Chot Sayesha ke liye kuch bhi nahi hai! Shayad aaj uska mind controlled ni tha isiliye wo behosh ho gayi! Warna pehle to wo tute paero ke saath chalti hi nahi ladayi bhi karti thi, Par ye sab hua kaise?”
Rahul-“Hum garden me the par tabhi ek goli chali aur wo aa kar Sayesha ko lagi!”
Devarsh-“Goli chalane wale ko tum logo ne dekha?”
Rahul-“Hum uske piche bhaag rahe the! Par tabhi Sayesha ladkhadate huye gir gayi!(Sochte huye) Par Shayad mai pata kar sakta hu, Sayesha ka khayal rakhiyega, Mai aata hu and Devarsh; Bhaiya ko gharwalo ko is incident ke bare me kuch mat bataiyega”
Devarsh-"Hmm Thik hai"
Rahul itna keh kar bahar chale gaya aur kisi ko call lagane laga.
Rahul(On phone)-“Hello!”
Other Side-“Hello”
Rahul-“Haa jije suno ek baat hai! Mil sakte ho abhi? kuch urgent hai!”
Ajay-“Kya hua Rahul? Itne Raat ko?”
Rahul-“Kisi ne hum par goli chalayi hai”
Ajay(Chauk kar)-“Kya???? Kab? Kaha?”
Rahul-“Bas aap is pate par aa jao! And haa kisi ko kuch mat kehna”
Ajay-“Thik hai.. Thik hai!! Tu thik hai abhi?”
Rahul-“Haa bas aap jaldi aa jao!”
Ajay-“Haaa”
Itna keh kar Rahul ek jagah Ajay ka wait karne laga, Thodi hi der me Ajay waha aaya
Ajay-“Kya hua saale sahab! Kisne goli chalayi thi!”
Rahul-“Pata nahi! Usne mask pehna hua tha! Par apne sources se pata laga sakte ho kya ki wo kaun tha!”
Ajay-“Itne saare logo me kisi ko dhundhna bahut mushkil hai par mai try karta hu! Par Goli chali kaha par!”
Rahul-“Goli chali thi aur wo!”
Ajay-“Wo Kya Rahul”
Rahul-“Goli meri ek friend ko lagi”
Ajay-“Kya?? Ye baat tune pehle kyu nahi batayi! Chalo mujhe us jagah le chalo”
Rahul Ajay ko ashram ki aur le gaya.
Rahul-“Wo hum waha khade the! Aur humne ek shaks ko us taraf bhagte huye dekha tha”
Ajay-“Goli kise lagi thi. Wo kaha hai?”
Rahul-“Sorry jija! Mai aapko unse kal savere milwa dunga abhi wo araam kar rahi hai! Abhi hum us shaks ko dhundte hai”
Ajay aur rahul us jagah ja kar suraag dhundne lage. Ajay ne dekha Ashram ke us side ke just saamne ek ghar tha aur us par CCTV camera laga hua tha!
Ajay-“Rahul dekho waha CCTV camera hai! Hum uske through kuch pata kar sakte hai!”
Rahul-“Haa, Chalo abhi chalte hai”
Ajay soch me padd gaya
Rahul-“Kya hua?”
Ajay-“Itni raat ko kisi ke ghar yu jaana sahi nahi, Us ghar me ladies bhi ho sakti hai! Filhaal ke liye mai apne kuch informers ko laga deta hu pata karne ke liye. Hum is chiz par savere aage badhenge yahi humare liye thik rahega Rahul”
Rahul-“Par!!!”
Ajay-“Chinta mat karo Rahul, Kal tak wo aadmi mere pakad me hoga. I Promise!”
Rahul-“Hmmm!”
Itna keh kar Ajay ne kisi ko call lagaya aur unhe kuch instructions diye! Phir dono apne apne raaste nikal gaye.
Subah ho chuki thi, Gaurav wahi gaadi me leta hua tha aur uske upar Rashmi. Bahar ek Gaadi ki horn ki awaaz se achanak se Gaurav ki neend khuli usne bahar dekha subah ho chuki thi aur gaadiyo ka aur logo ka aana jana shuru ho chuka tha. Gaurav ne uthne ki koshish ki to dekha rashmi uske upar so rahi thi, Rashmi ke masoom chehre ko dekh kar Gaurav bas use dekhte raha aur wapas let gaya aur Rashmi ke peeth par haath pherane laga, Thodi der me kisi ne jor se unki Car window par khatkhataya. Jis se dono ki neend khul gayi. Gaurav ne uth kar upar dekha ek hawaldaar khidki se andar jhakne ki koshish kar raha tha
Rashmi-“Kaun hai?”
Gaurav-“Koi nahi! Mai manage karta hu”
Gaurav ne apni window niche ki
Gaurav-“Yes sir!”
Hawaldar-“Kya bhai! Kya chal raha hai yaha?”
Gaurav-“Ji kuch nahi! Bas hum nikalne wale hai!”
Hawaldar-“Itne jaldi kaise! Ek to no parking me Gaadi khadi hai tumhare karan traffic jam laga hua hai! Chalo side me lagao gaadi!”
Gaurav abhi jhagadne ke mood me bilkul nahi tha, Usne turant Gaadi side ki aur kaha
Gaurav-“Dekhiye! Mere karan agar aapko problem hui hai to mai chalaan bhar deta hu!”
Hawaldaar-“Chalaan kya, Ab apna naam batao aur ye ladki kaun hai kya lagti hai tumhari?”
Gaurav-“Ji ye meri friend hai! Hum kahi ja rahe the to thak gaye the raat ko so hum yaha ruk kar thoda rest le rahe the”
Hawaldar-“Kya naam hai madam ka?”
Rashmi-“Ji Rashmi!”
Hawaldar ne Rashmi ko dekha aur Gaurav ko kaha
“Hum kaise maan le ki aap dono sirf yaha araam kar rahe the! Mujhe to nahi lagta”
Gaurav-“Humari baato ka bharosa kijiye!”
Hawaldar hasne laga aur Gaurav ke ekdm paas aakar kaha
“Waise chhamiya sahi hai; kaha mili?”
Gaurav ko ye sun kar bahut gussa aaya par usne apne gusse ko kaabu kiya aur Ajay ko phone mila diya! Aur us se baatein karke us hawaldar ko phone thama diya. Phone par baat karte hi us hawaldar ki saari hekdi nikal gayi wo darr se kaanpne laga aur usne call cut karke phone gaurav ko diya
“Sahab itni si baat ke liye bade sahab ko call kyu kiya!”
Gaurav-“Shaam tak to tumhari wardi bhi utar jayegi. Tum jaise Policewalo ke karan humari society me policewalo ka naam kharab hai”
Itna keh kar Gaurav waha se rashmi ko le kar chale gaya. Raaste me Gaurav bahut gusse me lag raha tha to Rashmi ne puch liya
Rashmi-“Kya hua Gaurav ji! Aap kaafi gusse me lag rahe ho?”
Gaurav-“Wo hawaldar bahut ghatiya insaan tha!”
Rashmi-“Kyu aisa kya kiya usne”
Gaurav-“Wo tumhare bare me bakwaas baatein kar raha tha”
Rashmi-“To? Gussa to mujhe hona chahiye na aap kyu ho rahe hai”
Gaurav-“Kyu na hou? Tumhe aisi baate bolne wale ka muh tod dunga main”
Rashmi-“Achaaa? Wo bhala kyu?”
Gaurav-“Kyuki mai tumhe...”
Rashmi-“Aap mujhe kya???”
Gaurav-“Kyuki... kyuki mujhe bilkul pasand nahi ki koi kisi ladki ke bare me aisi ghatiya baatein kare!”
Rashmi muskurayi aur wahi gaurav ko dekhti huyi baithi rahi
Rashmi(Man me)-“Aaj to aapko bulwa hi diya tha maine! Koi nahi! Mai wait karungi aapke Proposal ka”
Dusri aur Rahul bhi subah subah hi Police station pahucha aur Ajay se milne chale gaya.
Rahul-“Jije kuch pata chala us aadmi ke bare me?”
Ajay-“Chalo tumhe mai khud milwata hu us se”
Rahul-“Kya??? Aapne use pakad liya!?? Wo bhi itni jaldi?”
Ajay-“Ab koi mere saale ko maarne ki koshish karega to mai use kaise na pakdu! Chal baat kar le us se”
Rahul aur Ajay ek cell me gaye. Rahul ne dekha ek aadmi ko kursi se baandh kar rakha tha aur wo bahut dara hua tha aur gidgida raha tha.
Shaks-“Mujhe chhod do sahab! Mujhe kuch nahi pata!”
Ajay ne apne ek inspector ko ishara kiya, Us Inspector ne us aadmi par dande se pitayi shuru kar di.
“Aaaa... Sahab... aaaaa! Rukiye sahab.. aaaa..”
Ajay ne Inspector ko rukne ko kaha.
Ajay us aadmi ke paas aa kar kaha
“Kisne bheja tujhe?”
Aadmi(Rote huye)-“Sahab mai ye sab bilkul nai karta sahab! Mujhe paiso ki bahut jarurat thi sahab isiliye maine ye kiya!”
Ajay-“Kisne bheja tumhe?”
Aadmi-“Ji wo XXXX college ke kuch ladke the sahab! Unhone kaha (Rahul ki ishara kar) in bhaiya ko tapkana hai isiliye. Sahab mujhe paise chahiye the sahab mai bahut gareeb hu!”
Rahul ne apne phone par social media ke through ek photo dhundi aur us photo ko us aadmi ko dikhate huye kaha
“Kya yahi hai wo?”
Aadmi-“Haa sahab!!”
Rahul-“Iski maa ki!!”
Ajay-“Kaun hai ye?”
Rahul-“Humare College ka Student’s Vice-President Himanshu”
Fabulous updateUpdate 30
Ajay-“Wo tumhe kyu maarne ki koshish karega!”
Rahul-“Pata nahi Jije! Uske saath jhagde to huye hai par yu aise jaanlewa hamla?”
Ajay-“Tu mujhe bata akhir maamla kya hai?”
Rahul-“Wo usne Ishu ko chheda tha ek din to uski canteen me band bajayi thi, Phir humari dost ke saamne ek baar hero banne ki koshish kar raha tha to use Boxing me college walo ke saamne maza chakhaya tha”
Ajay-“Shayad tumne uske ego par hurt kiya hai Rahul! Shayad wo tumhare aur Ishu ke piche phir aaye isiliye bach kar rehna!”
Rahul-“Chalo yaar! Kuch hisaab pure karke aata hu mai”
Ajay-“Rahul koi jhokhim kadam mat uthana! Kuch bhi karne se pehle mujhe jarur batana”
Rahul ne haa me sar hilaya aur waha se nikal gaya. Wahi dusri aur Gaurav ne Rashmi ko Ashram chhoda aur nikal gaya. Rashmi ashram me enter huyi aur apne room me gayi usne Sayesha ko dhunda par wo kahi nahi dikhi. Rashmi Devarsh ke paas gayi aur un se kaha
Rashmi-“Baba didi kaha hai?”
Devarsh ne kuch nahi kaha
Rashmi-“Baba?”
Devarsh ne room ka secret door open kiya aur Rashmi ko andar aane ko kaha, Rashmi ne andar dekha to wo wahi boot bane khadi ho gayi.
Devarsh-“Kal raat ko kisi ne humare yaha hamla kiya tha!”
Rashmi(Gusse me)-“Kisne kiya?”
Devarsh-“Wo to nahi pata! Par Rahul pata laga raha hai!”
Rashmi-“Rahul?”
Devarsh-“Haa wo yahi tha, Usi ne Sayesha ko utha kar andar yaha letaya tha!”
Rashmi ne kuch nahi kaha.
Rashmi-“Baba aap bahar jaiye!”
Devarsh-“Rashmi beta!”
Rashmi-“Aap jaiye! Mai apni us power ka use nahi karungi!”
Devarsh ne kuch nahi kaha aur room se bahar chale gaye!
Rashmi chalte huye Sayesha ke paas aayi aur jor se aankhe band ki aur kuch mantr padhne lagi tabhi uski haatho se green rays nikli usne apne haath Sayesha ke chot ke upar rakha. Dhire dhire wo chot thik ho gayi. Rashmi Sayesha ke sar ke paas baithi aur uska sar apne gaud par rakha
Rashmi(Rote huye)-“Didi! I am sorry didi! Mai ab kabhi aapko chhod ke nahi jaungi! Please didi wapas aaiye mere paas!”
Rashmi Sayesha ke mathe ko choom kar rone lag gayi. Thodi hi der me Sayesha ko Hosh aane laga!
Sayesha(karhate huye)-“Chhoti!!”
Rashmi ne Sayesha ke sar ko apne seene par lagate huye aur rone lagi
Sayesha ne kuch der use rone diya
Sayesha-“Chhoti chup ho ja! Mai thik hu”
Jab Rashmi ne rona band nahi kiya! Sayesha ne apna chehra upar kiya aur Rashmi ke hontho par apne honth laga diye. Rashmi ne shuru me koi response nahi diya. Phir baad me khud hi Sayesha ke upar aayi aur jor se uske hontho ko choomna shuru kiya! Sayesha ne apne haatho se Rashmi ko dur karne ki koshish ki par Rashmi ne Sayesha ke dono hatho ko pakad kar dur kar diya aur unhe jor se pakad liya. Sayesha bhi ab madhosh ho rahi thi uski taakatein uski koshishein jawaab dene lagi! Rashmi ne dhire dhire apna dress utarna shuru kiya aur phir neeche aa kar Sayesha ke boobs par uske kapdo ke upar se hi kiss karne lagi
Sayesha(Madhoshi me)-“Chhoti!! Ruk ja”
Rashmi upar uthi aur Sayesha ko kaha
“I am really sorry didi!”
Itna kehne par usne Sayesha ke hontho par phir kiss kiya! Aur phir Sayesha ko jor se gale laga liya. Yuhi kuch aise ek dusre ko gale lage lagaye dono lete huye the.
Rashmi-“Saayu! Tumhe to pata chal jata na agar koi tumh par hamla karna chahta ho to!!”
Sayesha-“Hmm”
Rashmi-“To kal raat tumhe kya hua?”
Sayesha-“Mere saath Rahul tha!”
Rashmi-“To?”
Sayesha-“Pata nahi Rashmi uske saath rahu to sirf wahi rehta hai mere mind me! Uske saath mai sab bhul jati hu!”
Rashmi ne Sayesha ko jor se kas liya
Sayesha(Muskurate huye)-“Pagal!!! Mai tujhe nahi chhod ke kahi nahi jaungi!”
Yu hi dono lete huye the tabhi Bahar se awaaz aayi!
“Rashmi!!”
Sayesha(Ghabrate huye)-“Arre guruji aa rahe hai! Hato jaldi!”
Rashmi muh banate huye uthi aur dono ne apne kapde thik kiye! Rashmi ne ja kar darwaza khola
Bahar Devarsh ke saath Rahul bhi khada tha, Rashmi ne gusse se Rahul ko dekha aur Darwaze se hatt gayi.
Devarsh-“Sayesha! Tum thik ho?”
Sayesha-“Haa Guruji!”
Devarsh-“Araam karo tum! Rahul tumhe kuch pata chala?”
Rahul-“Haa Devarsh! Rashmi ji ye baat bhaiya tak na pahuche!”
Rashmi ne kuch nahi kaha aur apna muh ghuma liya!
Devarsh-“Kaun hai wo?”
Rahul-“Devarsh hamla mera upar hua tha! Mere college ke ek ladke ne karwaya tha!”
Ye sun kar Sayesha ke man me ek alag hi feeling aayi, use gussa aane laga. Wo confuse hone lagi ki use gussa kyu aa raha tha. Usne gusse me chaadar apni mutthi me bhich liya
Devarsh-“Par wo tumhe kyu maarna chahta hai? Kahi wo??”
Rahul-“Nahi Devarsh! Wo normal insaan hi hai! Uske saath kuch ladayi hui thi usko ego par le liya usne”
Devarsh-“Par jaanlewa hamla?”
Rahul-“Chinta mat karo Devarsh. Maine ek case register kar diya hai!”
Devarsh-“Dekh kar raho! And mujhe sab chiz ki khabar milti rehni chahiye!”
Rahul-“Haa!”
Devarsh(Sayesha ko)-“Take care beta!”
Itna keh kar Devarsh bahar chale gaye. Devarsh ke bahar jate hi Sayesha gusse me Rahul ko boli
“Kya jarurat hai tumhe hero banne ki? Dushmani mol lene ka bahut shauk hai kya?”
Rahul-“Jaan! Tumhe meri parwaah hai? Awww!!! I am so happy!”
Sayesha-“Parwaah my foot! Kabhi socha hai agar wo tumpar hamla karwa raha hai to tumhari behen ka kya hoga! Wo uske upar hamla nahi karega?”
Rahul shaant ho gaya!
Sayesha(Rashmi ko)-“Chhoti isko meri nazro se dur le ja!”
Rahul-“Ok jaan! Shaant ho jao! Mai jata hu!”
“Jaan” shabd sunte hi sayesha maarne ke liye uth rahi thi ki Rahul ne kaha
“Cool! Cool! Mai ja raha hu”
Rahul uth kar jane laga aur Rashmi bhi uske piche jane lagi, par Rahul achanak piche muda aur bhagte huye aaya aur Sayesha ke gaal par kiss kiya aur kaha
“Get well soon Jaan!”
Itna keh kar wo bahar bhag gaya! Rahul aur Rashmi chalte huye bahar aa rahe the
Rahul-“Thankyou Rash...”
Rahul bol hi raha tha ki Rashmi ne use apne taraf ghuma kar uske gaal par ek jordaar thappad maara.
Rashmi-“You said! You will take care of her! You said tum didi ko kuch nahi hone doge! Aur aaj tumhare karan didi ki ye halat hai!”
Rashmi ki aankho me aansu aane lage. Rahul ne Rashmi ko gale laga liya aur kaha
“I am really sorry Rashmi ji! Mere karan aapko rone ki jarurat nahi! Maine kabhi nahi socha tha ki mere karan Sayesha ki ye halat hogi! Mujhe maaf kar dijiye! Mai bata nahi sakta how I am feeling with all this things! Meri jaan yu...”
Itna keh kar Rahul ke aankho se aansu aane laga. Rashmi ne upar chehra kar Rahul ko dekha aur kaha
“I am sorry Rahul!”
Rahul-“Its fine bhabhi!”
Rashmi(Hairani me)-“Bhabhi?”
Rahul-“Aapko lagta hai ki mujhe aapke aur Bhaiya ke bare me kuch nahi pata?”
Rashmi-“Tumhe kab... I mean kaise pata chala?”
Rahul-“Bas abhi bataya aapne!”
Rashmi(Muskura kar)-“Badmaash kahi ka!(Rahul ke chehre par haath rakhte huye) Jyada jor se lagi mere devar ko?”
Rahul-“Bhabhi maa samaan hoti hai! Maa ki maar se kabhi kisi ko dard hua hai?”
Rashmi(Rahul ke gaal khischte huye)-“Kuch jyada hi baatein banate ho!”
Rahul-“Acha bhabhi, Sayesha ka khayal rakhiyega, Mujhe kuch kaam hai. Mai aata hu!”
Rashmi-“Rahul! Kuch aisa kaam mat karna jis se humari pehchan bahar aaye!”
Rahul-“Hmm!”
Itna keh kar Rahul chale gaya aur Rashmi wapas Sayesha ke room me aayi, Par jaise hi usne bed par dekha wo ekdum shocked ho gayi!
AWESOME updateUpdate 31
Andar Sayesha apne kapde utaar kar puri tarah nangi thi aur apne boobs ko daba rahi thi aur kisi bin paani ki machali ki tarah tadap rahi thi. Rashmi bhagte huye uske paas aayi aur kaha
“Saayu! Ye kya ho gaya hai tumhe! Saayu! Hosh me aao”
Sayesha ne apni aankhe kholi aur baith gayi, usne Rashmi ki top pakadte huye apni taraf khicha aur kaha
“Rashmi! Mujhe Rahul chahiye! Please laa de use mere paas! I want to kiss him! I want to bite him! Kya jaadu kar diya hai uske ek kiss ne! Mujhe wo chahiye!!”
Itna keh kar Sayesha ki aankhe madhoshi me laal ho chuki thi
Sayesha-“Rashmi! Mujhe bacha le! Please!”
Itna keh kar wo bahar jaane lagi! Rashmi ne use roka kyuki sayesha ne kuch bhi nahi pehna tha! Rashmi usko khich kar wapas bed par letaya
Sayesha-“Mujhe jaane de please Rashmi! Mai tere paas wapas aaungi. Tu mere saath jo karna chahti hai kar lena! Please mujhe wo chahiye! I want him”
Rashmi ne Sayesha ko jor se pakda hua tha, Rashmi ne table drawer se behoshi ka injection nikala aur use laga diya! Dhire dhire Sayesha ki awaaz dheemi hone lagi aur wo wapas neend ki aghosh me chali gayi.
Idhar Gaurav bhi wapas ghar aaya to sab use puchne lage ki wo raat bhar kaha tha, Gaurav ne office ka koi bahana bana kar apne aap ko bacha liya! Thodi der me sab Lunch ke liye dining table par the sivaaye Rahul ke
Mohan-“Beta Kanishk ke saath meeting kab hai!?”
Gaurav-“Aaj sham ko ek meeting fix ki thi! Priya ne saari arrangement kar di hai aur papers bhi taiyaar kar diye hai!”
Mohan-“Thik hai beta! I hope humara ye merger acha hi saabit ho humare liye!”
Gaurav-“Haa! Rahul kaha hai?”
Mohan-“Pata nahi kuch ukhda ukhda sa tha savere phir turant bahar chale gaya! Shayad Kanishk aur Humari company ke clash ke karan udaas hoga!”
Gaurav(Isha ko)-“Ishu! Tum college nahi gayi!”
Isha-“Nahi bhaiya! Aaj man nahi kar raha tha! Rahul bhi ni gaya! Socha thoda araam kar lu!”
Gaurav-“Aaj ke liye jaane de raha hu tumhari baat! Par agli baar se aisa mat karo! Business me ye sab hote rehta hai! Tum apni padhai par dhyan do! Ok?”
Isha-“Ji bhaiya!”
Itna keh kar Gaurav ne apna khana khatm kiya aur Office chale gaya! Waha usne Priya ko bula kar meeting ki saari arrangement ke bare me pucha! Aur thodi hi der me meeting ka time ho gaya!
Gaurav aur uske Main stock holders Kanishk ka wait karne lage! Kuch hi der me unke meeting room me Komal ki entry hui aur uske piche 2 assistants ki, par wo akeli hi aayi thi. Kanishk uske saath nahi tha
Gaurav-“Aap akeli aayi hain?”
Komal-“Ji! Humare yaha ye saare kaam mai handle karti hu!”
Gaurav-“But without Kanishk! We don’t want to proceed our deal!”
Komal-“Dekhiye Mr. Sharma! Humari company ke ye saare matter mai khud sambhalti hu! Agar aapko is se parhez hai to aap deal tod sakte hai! Kanishk itne chote kaamo ke liye apna time waste nahi karte!”
Gaurav ne kuch nahi kaha kyuki uske haath abhi bandhe the. Usne Komal ki baatein maan li aur merger ki proceedings shuru ki. Ye Meeting kaafi waqt tak chali. Kareeb 6 ghante baad saari formalties puri huyi. Tab tak raat ke 11 baj chuke the! Komal Gaurav ke paas aayi aur us se haath milate huye kaha
“Congratulations Mr. Sharma! We are partners now! I hope humari ye partnership kaafi dur tak jaegi”
Gaurav ne pehli baar Komal ko dhyan se dekha tha, Use achanak se kisi ki yaad aayi but usne apna dhyan wapas topic par late huye kaha
“Congratulations to you too! Miss Komal! Hum bhi umeed karte hai ki ye partnership nayi uchayia dekhe!”
Komal ne kanishk ko call karke saari chize bata di aur Gaurav se kaha
Komal(Muskurate huye)-“Ok! So I guess ab hume chalna chahiye! Kal aapko aage ki saari formalities aur papers bhi mil jaenge!”
Gaurav Komal aur uske assistants ko chhodne niche tak aaya tha! Par Komal jis car me aayi thi wo gayab thi!
Komal(Apne assistants ko)-“Humari gaadi kaha hai?”
Assistants-“Yahi to thi!”
Unka driver waha baaju se nikalte huye aaya, Uske haath me patti bandhi huyi thi usne aate huye kaha
“Sorry madam! Mai gaadi ko ghumane le gaya tha aur achanak se gaadi ka accident ho gaya!”
Komal(gusse me)-“To humare liye dusri gaadi ka intezaam kar dete!”
Driver-“Ji madam! Darasal Accident abhi abhi hua. Mai koshish karta hu”
Komal-“ Humare liye abhi ke abhi nayi gaadi ka intezaam karo! Jaldi se”
Gaurav-“Agar aapko aitraaz na ho to aap logo ko mai chhod deta hu!”
Komal(Shaant ho kar)-“Nahi Nahi! Humare liye gaadi aa jayegi, Aap taklif mat uthaiye!”
Gaurav-“Raat kaafi ho chuki hai! Mai hi aapko chhod deta hu! Ab to hum partners hai to itna to farz humara bhi banta hai. Aap logo ko jana kaha hai?”
Komal-“Aap ek kaam kijiye aap (Apni assistants ki aur ishara karte huye kaha) in dono ke liye koi intezaam karwa dijiye mai apne liye intezaam karwa lungi!”
Gaurav-“Koi baat nahi! Mai aapke liye bhi intezaam karwa dunga”
Gaurav ne apne ek driver ko bulaya aur kaha
“Inko sahi salamat inke destination tak pahucha dijiye!”
Phir Gaurav khud apni gaadi nikala aur Komal ke saamne la kar khadi kar diya aur andar se kaha
“Komal ji! Chaliye mai chhod deta hu aapko”
Kyuki Rat kaafi ho chuki thi, Komal jhijhakte huye Gaurav ke car me baith gayi! Gaurav ne car aage badha li! Raaste bhar dono ne kuch nahi kaha, Is shaanti ko komal ne todte huye kaha.
Komal-“Thankyou Gaurav!”
Gaurav-“Its okay Komal! Ye to mera farz tha!”
Komal-“I hope corporate ke bahar hum formalities hata sakte hai”
Gaurav(haste huye)-“Haha! Sure sure! Aap bataiye aap kabse hai Kanishk ke saath?”
Komal-“Mai to unke saath shuru se hu! Unki pehli secretary thi tab se hu unke saath”
Gaurav-“Hmm!! Loyalty is something we rarely find this days!”
Komal-“Waise in a way aap me aur Kanishk me kayi saari baatein same hai!”
Gaurav-“Jaise?”
Komal-“Aap dono is sheher ke top business man hai, Aap dono hi shehar ke most eligible bachelors hai! Par aap dono hi Ladkiyo se dur bhagte hai”
Gaurav-“Aapko aisa kisne kaha?”
Komal-“Hum apne dost se jyada apne competition ki khabar rakhte hai Gaurav! Pehle aapke bare me saari information rakhte the hum!”
Gaurav-“Oh I see! But aisa kuch nahi hai! Bas kabhi dhyan hi nahi gaya us taraf!”
Komal-“Agar aapko kisi ne mere saath dekh liya to?”
Gaurav-“To?”
Komal-“Log baatein banayenge Mr. Gaurav!”
Gaurav-“Mujhe us se farq nahi padta! Maine tumhari help isiliye ki ek insaan hone ke naate ye mera farz tha aur tumhara chehra mujhe kisi ki yaad dilata hai”
Komal-“Oh ho! Someone Special??”
Gaurav apne man me sochne laga
(“Beta tum mujhe kaka bol sakte ho!”)
Gaurav(muskurate huye)-“Haa! Someone important”
Yuhi baatein karte karte dono KM Industries ke office pahuch gaye!
Komal-“Ok Gaurav! Thanks for the lift! I hope we see each other again soon”
Itna keh kar Komal utar gayi aur Office ke andar jane lagi! Gaurav Gaadi piche kar hi raha tha ki usne dekha KM Industries ki building ke ek floor par pura andhera tha! Par us floor ke bicho bich ek shaks glass ke panel ke saamne khada tha aur niche Gaurav ko hi dekh raha tha. Gaurav ab KM industries ke gardens ke lane me tha jis karan us par garden ki puri light ja rahi thi, usne dhyan se dekha us andhere ke piche Kanishk khada tha jo use dekh raha tha! Gaurav bhi use hi dekhne laga! Jaha ek taraf Kanishk bilkul andhere me tha wahi dusri aur Gaurav lights ke wajah se puri tarah roshni me, unhe dekh kar lag raha tha maano andhere aur roshni ke bich ek anant yudh chal raha ho! Yu hi thodi der baad dono ek saath piche huye aur apne apne raaste chale gaye!
Super DUPER updateUpdate 32
Dusri aur Rahul Ajay se milne gaya tha.
Rahul-“Jije! Hum aage kya kare ab?”
Ajay-“Mujhe to lagta hai humne jis aadmi ko pakda hai uske through hum Himanshu par case kar sakte hai!”
Rahul-“Are you sure?”
Ajay-“Haa! Kuch hi dino me hum is Himanshu ko jail ke piche dekhenge!”
Rahul-“But be very careful jije! He is the right hand of Ravi! Our college president! Aur Ravi Humare yaha ke MLA Ranjit Singh ka beta hai”
Ajay-“Tum tension mat lo Rahul! Maine kaafi dino se is Ranjit Singh ke piche pada hu! Mere sources dono baap bete par har waqt nazar rakhe huye hai!”
Rahul-“Chalo thik hai! Ok Mai chalta hu kaafi raat ho chuki hai”
Itna keh kar Rahul waha se chale gaya
Dur ek ghar par kuch ladke baithe huye the!
“Yaar us aadmi ko Police ne pakad liya hai! Kuch kar yaar, Warna agar usne mera naam le liya to mai to gaya”
Room me Himanshu aur Ravi baithe the! Ravi ne Himanshu ko kuch nahi kaha aur bas apne mobile me lage raha!
Himanshu(Ravi ko hilate huye)-“Ravi?”
Ravi(Gusse me)-“Kya hua bhosdike? Kyu mood ki maa bhen kar raha hai?“
Himanshu-“Tu sun raha hai mai kya bol raha hu!”
Himanshu ne dekha Ravi apne mobile me ek ladki ki video dekh raha tha jo apne kapde badal rahi thi!
Himanshu-“Ye kaun hai?”
Ravi-“Bas hai ek ladki!”
Himanshu-“Par ye video!”
Ravi-“Bas ek naye shikaar ka jugaad hai! Bas ye video mil jaye phir to tujhe pata hai hum kya karenge! Hahaha!”
Himanshu-“Par ye video hai kaha ki?”
Ravi-“Maine ek camera humare warden ke through Girls hostel ke bathroom me chhupa diya tha!”
Ye sun kar Dono hasne lage!
Himanshu-“Par bhai wo Aadmi?”
Ravi-“Maar de madarchod ko!”
Himanshu-“Par wo police ki protection me hoga!”
Ravi apne sar par haath rakhte huye kaha
“Tu na saale gandu hi rahega!”
Tabhi Ravi ne ek phone lagaya
Ravi(On Phone)-“Haa Ranga! Ek kaam hai”
Ranga-“Haa malik! Boliye”
Ravi-“Ek aadmi ko udana hai! Par wo police protection me hai!”
Ranga-“Ho jayega!”
Itna sun kar Ravi ne call cut kar diya!
Ravi-“Ho gaya tera kaam!”
Himanshu-“Par bhai us Rahul ke bache ka kuch karna hoga! Us din us nayi faculty ke saath bhi kaafi uchal raha tha wo!”
Ravi-“Abe ye sab mujhe mat bata! Mai kabhi college to aata nahi, College ka matter tu hi sambhal”
Himanshu ne apne mobile par Sayesha ki tasveer Ravi ko dikhayi, Ravi ne Pic dekh kar mobile le liya aur ekdum vaasna bhari nazar se Sayesha ki pic dekhne laga
Ravi-“Saala college me itna sexy maal aaya hai aur tu ab bata raha hai! Ise to ab tak mera bistar garam kar dena tha!”
Himanshu-“Ab samjha! Aur ye dekh”
Himanshu ne phir use Isha ki pic dikhayi
Ravi Isha ki pic dekh kar kuch nahi kaha aur bas dekhte hi raha
Himanshu-“Ab samajh aaya hai! Mujhe us Rahul se kyu dushmani hai!”
Ravi(Isha ki pic dikha kar)-“Mujhe ye ladki chahiye!”
Himanshu-“Chalo college me. Saath me lutenge isko!”
Itna sun kar Ravi ko gussa aa gaya usne Himanshu ka collar pakda aur kaha
“Ye sirf meri hai! Tujhe jisko chodna hai chod! Par ye mera maal hai!”
Himanshu-“Par is ladki ko pane ke liye us Rahul ko niptana padega”
Ravi-“Niptane ki baat aayi to mai iske pure pariwar ko nipta du par mujhe ye ladki chahiye”
Himanshu man hi man khush hone laga! Use jo chahiye tha wo finally ho gaya usne Ravi ka dhyan Isha aur Sayesha ki aur la diya! Ab wo apni beizzati ka badla pura kar sakta tha!
Himanshu-“Chal tab tak is ladki(Jiska video Ravi dekh raha tha) ke jism ke darshan ho jaye”
Ravi aur Himanshu wapas apne kaam me lag gaye!
Yaha Gaurav ke ghar par kaafi raat me Rahul chupke chupke ghar me entry kiya aur chup chap apne room me chale gaya. Jaise hi wo room ka darwaja band kar muda to usne Dekha uske bed par Isha baithi thi aur Gusse se usi ke taraf hi dekh rahi thi!
Isha-“Kaha tha tu? Pure din se gayab hai! Tujhe fikar nahi kya meri? Kaha rehta hai?”
Rahul-“Arre shaant ho ja chudail! Ghar walo ko jagaegi kya?”
Isha-“Jaagne de! Tu kaha tha! Mujhe bina bataye kaha gaya tha!”
Rahul ne aa kar Isha ke muh par haath rakha aur kaha
“Chup ho ja Chudail!”
Isha ne uske haath par apne data se kaata!
Rahul-“Aaaa!! Pagal hai kya!”
Isha aa kar Rahul ko maarne lagi!
Isha-“Kaha tha bata mujhe! Mujhe chhod kar jaega? Bina bataye? Do din se khana nahi kha pa rahi hu tere karan!”
Rahul(Isha ka haath pakadte huye)-“Ruk! Bas! Sun to le!”
Isha ne Rahul ko gale laga liya aur rone lagi! Rahul uske baalo par haath pherta raha!
Rahul-"Shaant ho ja na!"
Isha-“Khana khaya?”
Rahul-“Nahi!”
Isha uska haath pakad kar use kitchen ki taraf le gayi! Usne Rahul ko dining table par baithaya aur Kitchen me ja kar kuch banana lagi!
Rahul bhi aa kar wahi platform me baith gaya aur kaha
“Kya bana rahi hai?”
Isha-“Maggi”
Rahul-“Jaldi bana bhukh lag rahi hai”
Isha ne gusse se uski taraf dekha
Rahul-“Look kya de rahi hai? Bana jaldi se!”
Isha ne garam spoon ko Rahul ke haath me laga diya
Rahul-“Ouchh!!”
Isha-“Maza aaya?”
Rahul ne phir chup rehna hi sahi samjha, Isha ne ek plate me use Maggi nikal kar di! Par Rahul ne Isha ko nahi pucha aur khud hi wo maggi khane laga. Isha use dekhne lagi aur gusse me uske paas aa kar uska plate chin kar usme se maggi khane lagi!
Isha-“Bhukkad kahi ka! Pure din se mai bhuki hu aur janaab ko to chinta hi nahi hai!”
Rahul ne Isha ke gaal par kiss karte huye kaha
“Kha le meri chudail!”
Isha bas muskura di aur ek spoon maggi Rahul ki taraf badhaya! Yuhi dono ek dusre ko khilate huye apna khana khatm kiya aur wapas apne Rahul ke room me aa gaye
Rahul-“Kya aaj yaha soyegi?”
Isha-“Haa!”
Rahul-“Ja ja apne room me ja!”
Isha-“Chup chap aa kar so ja! Pata nahi kaha chale jayega phir se!”
Rahul ne jyada behas karna sahi nahi samjha, Waise bhi bachpan se dono saath hi me sote the isiliye ye dono ke liye normal tha!
Rahul aa kar let gaya aur Isha uska haath pakad kar so gayi.
Rahul-“Arre meri maa nahi jaunga mai phir kahi!”
Isha-“Mujhe kuch nahi pata so ja tu!”
Rahul-“Arre!”
Isha-“Waise tu tha kaha?”
Rahul-“Jija se milna gaya tha!”
Isha-“Kyu?”
Rahul-“Kisi ne mujhe maarne ki koshish ki thi!”
Isha(Hadbada kar)-“What?????????”