Update - 35
____________________
"Ye kya hai?" Maya ne us page se nazar hata kar meri taraf dekhte huye pucha.
"Jo bhi hai tumhari aankho ke saamne hai." Maine uski taraf dekhte huye samaanya bhaav se kaha_____"Is file me un logo ki saari kartoote darz hai. Waise ye to abhi sirf ek file hai jabki aisi kayi files hain jinme in logo ke karnaame mere pita dwara likhe gaye darz hain."
"Kaha hain wo files?" Maya ne puchha____"Kya tumne sabhi files me likhi baate padhi hain?"
"Puri tasalli se to nahi padhi." Maine gahri saans li_____"Lekin jitna bhi padha hai usse itna to pata chal hi chuka hai mujhe ki un logo ki asaliyat kya hai."
Meri baat sun kar maya kuch palo tak khamoshi se mujhe dekhti rahi uske baad usne fir se apni nigaahe file par jama di. File ke pahle page par ek purana sa kaagaj ka panna tha jo ki file ke andar maujood baaki pages se kaafi alag tha, infact uska size bhi thoda chhota tha. Kaagaz me jo kuch bhi likha tha wo mere pita ke hatho likha gaya tha. Main apne pita ki hand writing ko bakhubi pahchaanta tha. Maya man hi man kaagaz me likhe majmoon ko padhne lagi thi jo ki is prakaar tha....
Mere pyare bete vikram,
Hamne kabhi nahi socha tha ki jeewan me kabhi aisa bhi wakt aa jaayega jab hame apne hi bete ke saamne ek mujrim ki tarah khada ho jana padega par shayad yahi niyati thi. Ek baat achhi tarah samajh lo ki ham dono tumse bahut pyar karte hain aur hamara ashirwaad hamesha tumhare sath rahega.
Aaj jis tarah ke halaat paida ho gaye hain uski hame bilkul bhi ummid nahi thi. Tum jis raah par chal pade ho uska anjaam bahut khatarnaak hai aur yakeen maano is anjaam se tumhe koi nahi bacha sakta. Tum hamare bete ho is liye ham ye hargiz nahi chaah sakte ki tumhe kuch ho jaye. Is liye sanstha ke khilaaf ja kar hamne tumhe safe rakhne ka socha aur iske liye hamne gupt roop se byawastha bhi kar li thi lekin kuch samay se aisa prateet ho raha hai jaise hamare mansubo ki bhanak sanstha ko lag gayi hai. Hame apni koi parwaah nahi hai bete, ham to bas kisi bhi tarah se tumhe is musibat se door kar dena chaahte hain.
Aaj shaam jab ham sab samajh gaye ki khidki ke baahar se hamari saari baate tumne sun li hain to ham dono ye soch kar ghabra gaye the ki ab shayad ham dono tumhe bacha nahi paayenge. Andar se behad dar gaye the ham lekin kisi ke saamne zaahir nahi kiya. Aupcharikta ke taur par Sanjay aur baaki sabko tumhe khojne ka hukum diya aur khud apne bangle ki taraf tezi se bhaagte huye aa gaye. Hame kuch samajh me nahi aa raha ki kya kare ab? Dusri taraf ham dono ko ab aisa bhi prateet hone laga hai jaise ham dono par nazar rakhi ja rahi hai aur kisi bhi wakt hamare sath kuch bhi ho sakta hai.
Bete, insaan is duniya ka bada hi vichitra praani hai. Apni khushi ke liye ya ye kahe ki duniya ki har cheez ka anubhav karne ke liye wo kuch bhi kar guzarta hai. Aisi mansikta wala byakti dhire dhire sahi galat ki paribhasha hi bhool jata hai. Wo har galat cheez ko sahi thahraane lagta hai. Ham paancho aisi hi mansikta ke shikaar huye the. Main, Sanjay, Siraj, Jeewan aur Gulfam ham paancho ki dosti college me huyi thi. Hamare beech aisi gahri dosti huyi ki ham paancho jo bhi karte ek sath hi karte the. Jawaani ka josh tha aur man me hazaro hasrate thi. Ham paancho me Sanjay hi zyada Ameer tha kyoki uske parents ke paas pustaini dualat thi aur khud ka karobaar bhi. Ham paancho me meri situation sabse kharaab thi kyoki mera apna koi nahi tha. Bachpan me hi Mata pita guzar gaye the. Gareebi aur karz ne das liya tha unhe. Mere pita ka ek mitra tha jiska naam amarnath tha. Bechara goonga tha is liye uski shadi nahi hui thi. Pita ji ke guzar jane ke baad ek din gaav ka lala apne aadmiyo ke sath hamare kachche ghar me aa dhamka. Ghar me main aur maa hi the. Lala ne mere saamne hi meri maa ki izzat loot kar apna karza wasool kar liya aur main cheekhne aur rone ke siva kuch na kar saka tha. Mujh das saal ke bachche ko lala ke aadmiyo ne pakad rakha tha. Khair uske baad wo sab chale gaye. Ghar me main aur maa rote rahe the. Dusre din jab subah huyi to maine maa ko kamre me hi rassi ke sahare latke huye paya. Usne khud kushi kar li thi. Ye dekh kar to mere upar asmaan hi gir pada tha. Lala ki vajah se hi ye sab hua tha is liye mere andar lala ke prati bhayankar gussa bhar gaya tha lekin main uska kuch nahi bigaad sakta tha.
Kuch din aise hi guzar gaye. Goonge amarnath chacha ne us wakt mujhe samhaal rakha tha. Ek raat main akela hi lala ke ghar me ghus gaya. Lala ko khwaab me bhi ummid nahi thi ki das saal ka koi ladka itna bada kaand kar dega. Use nahi pata tha ki main badle ki aag me kis kadar jhulas raha tha. Wo apne ghar ke baroth me chain se so raha tha. Mujhe uske ghar me us wakt dusra koi na dikha tha joki mere liye achhi baat hi thi. Lala ko chain se sota dekh mere andar jhulas rahi aag me aur bhi izafa ho gaya aur fir maine aav dekha na taav puri taakat se gadaase ka prahaar uski gardan par kiya jisse lala ki gardan palak jhapakte hi uske dhad se alag ho kar neeche zameen par gir gayi. Sir ke katte hi khoon ka favvaara sa bahne laga tha jo badi tezi se zameen par failta ja raha tha. Lala ko cheekhne tak ka mauka na mila tha. Lala ko maut ke ghaat utaar kar maine us par gusse se thooka aur fir gadasa liye waapas amarnath chacha ke ghar aa gaya.
Amarnath chacha ghar ki dahleez par hi baitha mil gaya tha mujhe. Shayad use pata chal gaya tha ki main ghar se kis liye chupke se nikal gaya tha. Mere hath me khoon se sana gadasa dekh wo goonga chacha ek jhatke me khada ho gaya tha. Raat aadhe se zyada guzar gayi thi. Usne mere hath se gadase ko chheen kar pichhe kuye me fenk diya aur fir zaruri samaan le kar mere sath ghar se nikal gaya tha.
Amarnath chacha raato raat mujhe gaav se door le aaya tha. Main to das saal ka bachcha hi tha lekin use halaato ki gambheerta ka bakhubi ehsaas tha is liye wo mujhe liye nirantar chalta hi raha. Kuch samay baad ham train me baithe aur shahar aa gaye. Uske baad hamne kabhi gaav ki taraf nahi dekha aur na hi kabhi waha jane ka socha. Amarnath chacha ab mere liye sab kuch tha. Usne mehnat majduri kar ke mujhe pala posha aur padhaya likhaya. Kuch saalo tak to sab thik hi raha lekin ek din amarnath chacha bhi mujhe chhod kar duniya se chale gaye. Main bhari duniya me akela ho gaya. High school paas kar liya tha maine aur mujhe aage bhi padhne ki khwaaish thi is liye maine padhaayi jaari rakhi. Apne kharche ke liye ek dhaabe me kaam karne laga. Dhaabe ka maalik mere liye farishte jaisa tha. Wo meri mehnat aur lagan ko barabar dekh raha tha jiske chalte uske dil me mere prati bahut sahaanubhuti thi.
Wakt guzra aur main aage ki study karte huye college me aa gaya. College me shuru ke teen mahine bahut musibat bhare guzre the lekin fir meri zindagi me jaise achhe din aa gaye. Sanjay, jeewan, siraj aur gulfam jaise ladko se meri dosti ho gayi. Wo meri haisiyat se waakif the is liye wo hamesha meri help karne ko taiyar rahte the. Khair hamari dosti gahri hoti gayi aur unki sangat me rahne ke baad main bhi unke jaisa hi banta chala gaya. College life me hamne ek sath paanch saal guzaare the aur in paanch saalo me main bilkul hi badal gaya tha. Ham log har kaam ek sath hi karte the. Unke sath rahne se mere andar bhi unke jaisi hi hasrate aur khwaaishe paida hoti thi aur ham apni chaahto ko pura karne ke liye kuch bhi kar guzarte the.
Graduation ka aakhiri saal chal raha tha. Ek subah jab ham paancho so kar jaage to kamre ke darwaze ke paas ek envelope pada dekha. Ham paancho hi do kamro ka ek flat le kar rahte the. Hamne jab us envelope ko khola to usme hame computer se type kiya hua ek letter mila. Us letter me likhe majmoon ko jab hamne padha to hamare chehre par alag hi bhaav ubhar aaye the. Yakeen nahi ho raha tha ki aisa bhi kahi kuch ho sakta hai. Us letter me sab kuch bade vistaar se aur tarike se likha hua tha. Aakhir me hame sochne ke liye do din ka wakt diya gaya tha.
Ham paancho ne us khat ke bare me badi gahraayi se socha aur fir yahi faisla kiya ki ham us khat me likhi huyi har baat ko accept karenge. Hame usme koi buraayi nahi dikh rahi thi balki wo to aisa tha jisme hamara hi faayda tha. Do din baad ham shaam ko nau baje diye gaye pate par pahuch gaye. Kuch der baad siyaah andhere me hamare saamne achanak se ek rahasyamay aadmi aa gaya. Uska samucha badan kaale kapdo se dhanka hua tha. Usne apni ajeeb si awaaz me hamse puchha ki kya ham ready hain to jawaab me hamne haan kah diya. Us wakt ham log thoda ghabraye huye bhi the magar soch liya tha ki ab jo hoga dekha jayega. Us rahasyamay aadmi ne hame mithaayi ka ek ek piece khane ko diya jise khane ke baad kuch hi palo me hame chakkar se aane lage aur ham behosh ho kar wahi ludhak gaye. Dubara jab ham logo ko hosh aaya to ham ek alag hi jagah par the. Uske baad hamare sath waha kya kya hua ye tumhe batane ki zarurat nahi hai kyo ki cms jaisi sanstha join karne ke baad tumhare sath bhi wahi sab hua hi hai.
Uske baad ham paancho us sanstha me rahte huye ek alag hi romanch ka anubhav karte rahe. Sanstha ke rules ke anusaar hamne kabhi khud ke aur sanstha ke bare me kisi ko nahi bataya. Sanstha ke dwara hi mere paas itna paisa ho gaya tha ki maine apna ek alag business shuru kar diya tha. Is beech mujhe ek ladki mili jiska naam madhuri tha. Main pahli Nazar me hi tumhari maa ko dil de baitha tha. Shayad upar wale ko hame ek dusre ka ho jana manjoor tha is liye kuch hi samay baad ham dono ke beech gahra relation ban gaya aur fir hamne shadi kar li. Madhuri bhi mere jaisi hi thi. Uska bhi duniya me apna koi nahi tha. Wo anath ashram me rah kar pali badhi thi aur wahi se padhaayi likhaayi kiya tha usne. Anath ashram ki ki sanchalika use apni beti ki tarah maanti thi. Khair, madhuri ko maine apne bare me sab kuch bata diya tha sivaay is baat ke ki main ek aisi sanstha se talluk rakhta hu jo ladkiyo aur aurto ko sex ki service provide karti hai aur us sanstha ka main ek agent hu.
Zindagi yu hi chalti rahi. Mujhe kabhi aisa nahi laga ki is sanstha ka sadasya ban kar maine galat kiya tha. Aisa shayad is liye kyoki mere saamne kabhi aisa koi sankat hi nahi aaya tha. Ham sabhi dost is baat ko hamesha gupt hi rakhte the apne apne ghar walo se. Samay ke sath mere sabhi dosto ki bhi shadi ho gayi aur wo sab bhi sanstha ke alawa kisi na kisi karobaar me lag gaye. Wakt hasi khushi aur masti me aise guzra ki uske guzar jane ka pata hi nahi chala. Tumhara janm hua to ham sab bahut khush huye. Ham logo ne kabhi nahi socha tha ki aage chal kar ham apne apne bachcho ko bhi cms jaisi sanstha me shaamil karenge. Ham sabhi dost apne apne bachcho ki har activity par nazar rakhte the. Jaise jaise tum log jawaan ho rahe the waise waise hame ye bhi pata chal raha tha ki tum sab swabhaav se behad sharmile ho aur aurat jaat se baat tak karne me jhijhakte ho.
Ham hamesha meating me is baat ka zikra karte the ki ek taraf jaha ham log hain jo zindagi ka maza le rahe hain aur chaahe jaisi bhi aurat ho bejhijhak ham log usse talluk bana lete hain, wahi dusri taraf hamare bachche hain jo aurat jaat se baat karne me hi jhijhakte hain. Ham ye to samajhte the ki ye koi badi samasya nahi hai lekin kahi na kahi ham ye bhi chaahte the ki hamare bachche zindagi ka har maza le aur wo bhi kuch is tarike se ki wo ham logo se bhi aage nikal jaye. Iske liye ham khul kar kuch bhi nahi kar sakte the, aakhir pita jo the. Sanjay ne ek din salaah di ki kyo na ham log apne apne bachcho ko sanstha me bharti karwa de. Sanstha me aane ke baad jab unhe har tarah ki training di jaayegi to unki jhijhak yakeenan khatm ho jaayegi. Sanjay ki salaah hame uchit lagi lekin samasya ye thi ki aisa hoga kaise? Kafi soch vichaar ke baad ham sabne faisla kiya ki is bare me ham chief se baat karenge aur fir hamne aisa hi kiya. Chief ko koi problem nahi huyi. Asal me us samay sanstha me har roz naye ladke aur ladkiya bharti ho rahe the. Ham logo ki post bahut pahle hi badh gayi thi is liye ham log ab agents ko command karte the. Ham sabhi ko alag alag kshetra ka kaam saump diya tha chief ne. Khair ye usi ka natija tha ki chief ne khud tumse sampark kiya tha aur fir tum sanstha se jud gaye the. Ham yahi darsha rahe the jaise hame tumhare aise kisi kaam ke bare me kuch pata hi nahi hai. Tumhare baad ek ek kar ke tumhare sabhi dost bhi sanstha se jud gaye.
Tum sabhi ka badla hua swaroop dekh kar ham sab kaafi khush huye the. Ab ja kar lag raha tha ki tum log sahi tarah se apni life ko enjoy kar rahe ho. Hamne mauka dekh kar apni apni biwiyo ko bhi sanstha se jod liya tha. Biwiyo ko sanstha se jodne ka sirf ek hi maksad tha, yaani unke dwara ladkiyo ko sanstha se jodna. Aam taur par females ke liye ladkiyo ko is kaam ke liye fansana ya fir taiyar karna easy hota hai. Halaaki aisa karne ke liye sanstha ke chief ne hame pahle bhi kayi baar kaha tha lekin iske liye ham log hi taiyar nahi the. Hame lagta tha ki is bare me pata chalte hi kahi hamari biwiya hamse naraaz na ho jaye aur koi aisa bakheda na khada ho jaye jiske chalte ham aur sanstha dono hi khatre me pad jaye. Hamne mauka dekh kar dhire dhire apni apni biwiyo ko fauri taur par mazak mazak me iske liye taiyar karna shuru kiya. Shuruaat me mushkil huyi lekin baad me natija behtar nazar aaya. Jab hamne dekha ki hamari biwiya iske liye raaji hain to hamne unhe ye bhi bataya ki ham log cms jaisi ek sanstha ke sadasya hain jiska kaam is tarah ka hai. Pahle to sach jaan kar hamari biwiya hairat me pad gayi thi lekin fir normal ho gayi. Hamne unhe samjhaya ki isse koi nuksaan nahi hai balki faayda hi hai kyoki maze ke sath sath paisa bhi milta hai.
To is tarah se cms jaisi sanstha me ham sabki biwiyo ki entry huyi thi. Entry to ho gayi thi lekin ab hame is baat ki fikra hone lagi ki kahi aisa na ho ki ab hamari biwiya bhi kisi gair mard ke sath aise sambandh banane lage. Koi pati ye kaise bardaast kar sakta tha ki uski biwi har roz ek naye mard ke sath is tarike se maza kare? Khair hamari ye pareshani bhi niradhaar hi thi kyoki hamari biwiyo ne aisa kabhi kiya hi nahi. Zindagi ek baar fir se hasi khushi aur mauj masti me chalne lagi. Kuch samay baad hamari biwiyo ko is baat ka pata chala ki unke bachche bhi cms jaisi sanstha ke sadasya ban gaye hain to jane unke man me kaun si khichdi pakne lagi. Idhar ham paancho dost lambe samay se chaahte the ki ham ek dusre ki biwiyo ke sath sex ka maza le aur iske liye hamne apni apni taraf se prayaas bhi kiya lekin baat nahi bani. Itna kuch open hone ke baad bhi hamari biwiya aisa nahi karna chaahti thi jo ki hairat ki baat thi. Fir achanak ek din tumhari maa ne mujhse aisi baat kahi jisne mujhe hila kar rakh diya. Mujhe yakeen nahi ho raha tha ki wo aisa bhi kuch soch sakti hai. Baad me usne bataya ki wo akeli nahi hai jo aisa soch rahi hai aur aisi chaahat rakhe huye hai balki uske sath sath Keerti, Saumya, Garima aur Sadia bhi aisa hi chaahti hain. Apni apni biwiyo ki aisi khwaaish ko jaan kar ham sabhi dost shocked the. Shuruaat me to hame bahut gussa aaya tha lekin fir hame jhukna pada. Unka tark tha ki jis sanstha me ham sab aise kaam ki service dete hain waha par paap punya ke bare me ham kaise soch sakte hain?
Hamne sanstha me agents ke roop me bhale hi chaahe jo bhi kiya tha lekin ek maa ka apne hi bete ke sath aise sambandh ki khwaaish rakhne se hame shakht aitraaz tha lekin hamaam me nange hone ki vajah se zyada zor nahi chal pa raha tha. Un sabka yahi kahna tha ki unke bete sanstha ka agent ban kar aayenge aur unhe sex ki waisi hi service denge jaise wo dusri aurto ko service dene jate hain. Aise me unhe pata hi nahi chalega ki unhone kisko sex ki service di hai. Baat tark sangat to thi lekin ham me se koi bhi dil se aisa nahi chaahta tha aur shayad upar wale ki bhi yahi marzi thi tabhi to halaat aise ban gaye ki ham sab ek alag hi chakkar me fans gaye. Pata nahi kaise tumhare man me sanstha aur ham sabke bare me jaanne ki sanak sawaar ho gayi aur uske baad fir kya kya hua ye to tumhe pata hi hai. Sach kahu to main upar wale ka shukar guzaar hu ki anarth ke beech usne bahut bada anarth hone nahi diya.
Apni khushiyo ko aur apni chaahto ko pura karne ke junoon me ham is kadar andhe ho chuke the ki kabhi is bare me socha hi nahi ki duniya ke kisi kone me is tarah ki koi sanstha honi hi nahi chahiye jiske chalte insaano ka sansaar hi ujad jaane ki raah par aa jaye. Khair, apne dosto ka to main nahi kah sakta lekin maine tumhari maa ko bahut samjhaya tha ki apne hi bete ke sath aise paap karm ki khwaaish rakhna nihaayat hi galat hai lekin wo nahi maani. Pata nahi uske man me kya tha tumhare prati?
Halaat jab kharaab ho gaye aur main samajh gaya ki aise sankat me ab tumhara bach pana asambhav ho gaya hai to maine tumhari safety ke liye secret roop se bandobast karna shuru kar diya. Main chaahta tha ki is bhayankar sankat se main apne iklaute bete ko bahut door bhej du. Is desh se baahar jaha par sanstha ka saaya bhi tum tak na pahuch sake. Bete galtiya har insaan se hoti hain, hamse bhi huyi hain. Ham ye nahi kahte ki tum iske liye hame maaf kar do lekin haan itna zarur kahenge ki hamse kabhi nafrat mat karna. Ham tumse dilo jaan se pyaar karte hain. Is khat ko likhte samay tumhari maa bhi mere paas hi hai. Wo bahut dari huyi hai aur bahut dukhi bhi hai magar shayad ab hamari yahi niyati hai.
Ham upar wale se prarthna karte hain ki wo tumhe har musibat se bachaye rakhe. Agar upar wale ki daya se tum is musibat se bach jaao to ek din is bangle me zarur aana aur is gupt kamre me jo bhi samaan hai use le jana. Yaha rakhi huyi har cheez ab sirf tumhari hai. Yaha ki kisi bhi cheez me kisi ka hak nahi hai. Agar upar wale ne chaaha to mulakaat zarur hogi mere bete. Apna khayala rakhna.
Dher sara pyar aur dua...
Tumhare mata pita..!
✤༺✧༻✤
Update - 36
____________________
"Is khat ko padhne se to ye lag raha hai" Maya ne meri taraf dekhte huye kaha____"Jaise ye khat tumhare pita ji ne tab likha hoga jab unka last time tha. Mera matlab hai ki maut se kuch time pahle."
"Sahi kaha." Maine uski baat ka samarthan karte huye kaha____"Maine is khat ko kayi baar padha hai aur yahi samjha hai ki unhe shayad samajh aa gaya tha ki un dono ka bhi jeewan khatre me hai. Yahi baat unhone is khat me bhi likhi hai. Ab sawaal ye hai ki unhe kis baat se khatra tha ya fir ye kahe ki kis liye khatra tha? Unhone aisa kya kiya tha jiske liye koi un dono ko jaan se maar dene par baadhya ho gaya tha, aur itna hi nahi un dono ke khoon me mujhe fansa kar mujhe kanoonan saza dila di?"
"Yakeenan." Maya ne gahri saans li_____"Kuch to locha zarur tha vikram. Sirf ye vajah unki jaan lene ke liye kaafi nahi ho sakti thi ki unhone secret roop se tumhe us bhayanak khatre se door karne ka mansuba banaya tha. Zarur un dono ki jaan lene ke liye dushman ke paas koi aisi vajah thi jiska pata wo kisi bhi keemat kisi ko nahi lagne dena chaahte the. Ab sawaal ye hai ki aisi kya vajah ho sakti thi?"
"Gold aur cms jaisi sanstha ke baaki karobaar ki bagdor apne hath me lena." Maine kathor bhaav se kaha_____"Is file me cms ke kuch aise raaz darz hain jo uske baaki karobaar ka bakhaan karte hain. CMS ke chief ne mere pita ko Sanjay aur unke baaki dosto se kahi zyada mahatwa de rakha tha aur is baat se wo chaaro behad nakhush the...khaas kar Sanjay. Sanjay uncle is liye sabse zyada nakhush the kyoki cms me mere pita ko wahi le ke aaye the aur is vajah se wo samajhte the ki cms ka purana member hone ke naate sabhi kshetro ki command unhe hi milni chahiye thi naaki unke dost awdhesh ko. Halaaki sach to ye tha ki mere pita ji Sanjay uncle ko hi har kshetra ka command de rakhe the, yaani wo cms ke sirf naam ke commander the. Iske bavjood Sanjay uncle ko unse irshya thi. Barsho ki dosti me isi vajah se daraar padi thi jiska kabhi kisi ne unse dikhawa nahi kiya tha. Dusri baat, karobaar se jo rupaya paisa milta tha usme bhi ghaplabaazi ho rahi thi."
"Wo kaise?" Maya ne hairaani se meri taraf dekhte huye puchha.
"Is file me aise kayi recard kaagaj ke roop me maujood hain." Maine kaha____"Jo is saare jhamele ka parda faash karte hain. Iske alawa aur bhi kayi files hain jinme alag alag karnaamo ka kaala chittha darz hai."
Meri baat sun kar maya kuch palo tak meri taraf dekhti rahi aur fir wo file ke baaki panne palatne lagi. Har page me use kuch na kuch likha nazar aa raha tha. Jise wo man hi man padh rahi thi. Kuch der tak wo file ke panno ko palat palat kar dekhti rahi uske baad meri taraf dekha.
"Tumne sahi kaha." Ek gahri saans lene ke baad usne kaha_____"Is ek file ke dwara hi itna pata chalta hai ki un logo ne kis liye ye sab kiya tha. Mujhe cms ke androoni maamlo ka zyada kuch bhi pata nahi hai lekin itna to main bhi samajhti hu ki ye saara khel kafi pahle se racha ja raha hoga aur is khel me mukhya aaropi ke roop me tumhare mata pita ko dikhaya ja raha tha. Ab sawaal ye hai ki kya is khel ke bare me cms ke chief ko kabhi bhanak na lagi hogi? Kya chief ko kabhi is baat ki aashanka na huyi hogi ki uski sanstha me kaun kis tarah ka khel khel raha hai?"
"Ye sawaal to mere zahen me bhi uchhal kood karta rahta hai maya." Maine gahri saans le kar kaha____"Aksar sochta hu ki CMS jaisi sanstha ke chief ko kya is sabke bare me kabhi bhanak na lagi hogi? Aisa kaise ho sakta hai ki sanstha ke andar koi gahra shadyantra racha ja raha ho aur uske bare me sanstha ke chief ko zara si bhanak bhi na lag sake?"
"Sahi kaha tumne." Maya ne sochne wale andaaz se kaha____"Aisa to sambhav hi nahi hai. Zarur iske pichhe bhi koi na koi vajah hai ya fir koi na koi locha hai. Sanjay jaise logo ne itna kuch kiya aur iska pata sanstha ke chief ko hi na ho aisa to ho hi nahi sakta. Mujhe to aisa lagta hai ki Sanjay aur uske baaki dost to is khel ke mahaj mohre the jabki ye saara khel khud sanstha ke chief ne hi racha hoga. Sanstha ke chief ke hatho me kyoki in sabki gardane fansi huyi hain is liye ye uske khilaaf kabhi jane ka soch hi nahi sakte the."
"Shayad aisi hi koi baat ho." Maine kuch sochte huye kaha_____"Magar sawaal ye hai ki sanstha ka chief aisa koi khel rachega hi kyo? Aakhir sanstha ke chief ko mere mata pita se aisi kya dushmani ho gayi thi jiske liye usne aisa khel racha? Chalo ek pal ke liye maan bhi leta hu ki chief ko mere mata pita se koi dushmani thi to use koi khel rachne ki zarurat hi kya thi? Wo powerful tha, chaahta to palak jhapakte hi mere mata pita ko duniya jahaan se hi gaayab kar deta jiska pata ta-umar kisi ko nahi chalta."
"Yakeenan." Maya ne sir hilaate huye kaha____"Tumhari ye baat bhi thik hai. Kisi bhi cheez ke liye sanstha ke chief ko itna bada jhamela karne ki zarurat hi nahi thi. Agar waakayi me chief tumhare mata pita ko apna dushman samajh raha tha to wo ek jhatke me unhe samaapt kar sakta tha. Agar ham is baat ke base par sochte hain to maamla ek baar fir se sochne wala ho jata hai. Ye to pakki baat hai ki sanstha ke andar itne bade khel ko rache jane ka pata khud sanstha ke chief ko hi na ho ye mumkin nahi hai, iske bavjood ye sab hua to kyo aur kaise hua?"
"Yahi to jaanna hai maya." Maine ek baar fir se shakht bhaav se kaha_____"Aur un logo ko batana hi hoga ki ye sab un logo ne kaise kiya aur kyo kiya? Kya aisa karne ke piche sirf gold aur karobaar ko hathiyaane ki mansa thi ya fir iske alawa bhi koi aisi vajah thi jiska zikra in files me nahi hai?"
"Tumne to baaki files bhi padhi hain." Maya ne kuch sochte huye kaha_____"To tum is sabke bare me kis raay par pahuche ho? Mera matlab hai ki tumhe kya lagta hai ki Sanjay aur uske dosto ne kis vajah se tumhare mata pita ke khoon ke jurm me tumhe fansaya hoga?"
"Sabhi files ko padhne ke baad main isi nishkarsh par pahucha hu ki in logo ne ye sab isi liye kiya kyoki ye log mere pita se jalte the." Maine kaha_____"Aur sanstha me har kshetra ki command adhikaarik roop se ye khud chaahte the. Yu to sanstha ke iske alawa bhi kayi karobaar the lekin ek file me ye bhi darz hai ki sanstha ka ek karobaar girls smuggling bhi tha. Ye sab kaam itni safaayi se hote the ki police ya kanoon prashashan ko iski bhanak tak nahi lagti thi aur agar lag bhi jati thi to unke hath kabhi koi thos pramaad lage hi nahi. Mujhe to lagta hai ki police mahkame ke alla afsaraan khud bhi isme shaamil the, warna khud socho girls smuggling ho aur kanoon ko khabar hi na lage aisa kaise ho sakta hai? Khair, yaha mudda ye hai ki un logo ne aisa kyo kiya? Files me jo recards maujood hain unke anusaar main isi natije par pahucha hu ki ye sab satta ke liye kiya gaya tha. Sanjay ko ye bilkul bhi swikaar nahi tha ki sanstha me har cheez ki command mere pita ke hatho me ho aur adhikaarik roop se wo uske sath sath uske baaki dosto par bhi hukum chalaye. Karobaar se jo rupaya paisa aata tha use gold me convert kiya jata tha aur wo saara gold sanstha ke locker room me full details aur recard ke sath rakha jata tha. Us gold ka sanstha kya karti thi iske bare me files me darz nahi hai. Rupaye paise ko gold me convert karne ka kaam yu to mere pita ka tha lekin wo hamesha Sanjay uncle ko hi har kaam ko apne tarike se karne ko kahte the. Zaahir hai apne hath me aane ke baad Sanjay bhatiya apne tarike se hi har kaam karta raha hoga. Mujhe yakeen hai apne man me mere pita ke prati khunnas rakhe us byakti ne aise har kaam me ghaplabaazi ki hogi aur iska ek recard bhi ek file me maujood hai. Us recard ke anusaar Sanjay ne kabhi bhi gold ka full vivran mere pita ko nahi diya tha aur na hi sanstha ko, ye alag baat hai ki unhe is bare me sab pata tha lekin iske bare me kahte is liye nahi the kyoki wo sab unke dost the. Aakhir unki vajah se hi to aaj wo us mukaam par the jaha sab kuch unhe bina kuch kiye hi mil raha tha. Bhala wo ye kaise soch sakte the ki ehsaan chukane ka unhe kya parinaam milne wala tha? Well, mujhe lagta hai ki ye drama hi is liye kiya ja raha tha taaki baad me agar sanstha ke chief ko iski bhanak lage to iske liye mere pita ko fansaane me unhe koi samasya na ho. Aisa shayad hota bhi lekin tabhi mera maamla saamne aa gaya aur sab ke sab mere maamle me ulajh gaye."
"Ulajh nahi gaye." Maya ne meri baat kaat kar kaha_____"Balki ye kaho ki unhe ek sunahra awsar mil gaya tumhare mata pita ko apne raaste se hatane ka. Un logo ne ek teer se do shikaar kiya tha vikram. Irshyawash jinhe wo apna dushman samajhte the unhe apne raaste se hata kar unke khoon ke ilzaam me unke hi bete ko fansa diya aur fir tumhe bhi apne raaste se hata diya. Ek tarah se ye samjho ki tumhara wala maamla unke liye ek ishwari wardaan jaisa tha jisme unke liye sab kuch karna behad asaan sa ho gaya tha."
"Haan, tumne bilkul sahi kaha." Maya ki baat sun kar ekdam se mere samuche jism me jhurjhuri paida ho gayi thi, aur sath hi maine man hi man uski buddhi hi saraahna bhi ki, fir bola_____"Shayad yahi sach hai maya. Un logo ko meri vajah se hi aisa awsar mila jisme chit bhi unki huyi aur pat bhi. Dono taraf se haar aur nuksaan to mera hua. Maine apne mata pita ko kho diya aur khud bees saalo tak apne hi mata pita ke khoon ke ilzaam me saza bhogi. Bees saal.....bees saal maya. Maine bees saalo tak jail me rah kar tarah tarah ki yaatnaaye aur kast sahe. Meri zindagi ke bees saal jail me swaha ho gaye. Log kaha se kaha pahuch gaye aur main gart me doobta hi chala gaya. Aakhir kya kasoor tha mera jo mere hisse me is tarah ki dukh takleefe aayi? Aakhir mere mata pita ne un logo ka kya bigada tha jiske liye unhe jaan se maar diya gaya? Koi itna patthar dil aur gira hua kaise ho sakta hai maya? Nahi nahi, main aise logo ko kisi bhi keemat par maaf nahi kar sakta. Main aise logo ka is dharti se naamo nishaan mita doonga. Unhe is dharti me rah kar aisho araam se jeene ka koi adhikaar nahi hai."
Main ekdam se jazbaato me doob gaya tha. Mere mukh se nikalne wale har lafz maano zahar me naha gaye the. Jism me ek kampan sa hone laga tha aur mere andar ek dhadhakti huyi aag si jal uthi thi. Maya ne jhapat kar mujhe apne seene se chhupka liya aur meri peeth par apne komal hatho ko ferne lagi. Aakhir uske sneh aur pyaar ke chalte kuch hi der me main shaant ho gaya.
"Main tumhara dard achhi tarah samajhti hu vikram." Kuch der baad maya ne mujhe khud se alag karte huye kaha____"Mujhe achhi tarah is baat ka ehsaas hai ki tumne in bees saalo me kya kuch saha hai. Main jaanti hu ki tumhe shaanti aur sukoon tab tak nahi mil sakta jab tak ki wo log is duniya se rukhsat nahi ho jate. Tumhe pura hak hai apne sath huye anyaay ka badla lene ka lekin mere jaanu, sirf ek pal ke liye ye bhi socho ki kya badla lene se sach me tumhe sukoon mil jaayega aur kya sach me tumhe apne mata pita waapas mil jaayenge? Sach to ye hai ki itna kuch karne ke baad tum kabhi bhi is shahar me chain se ji nahi paaoge. Un logo ko kam mat samjho. Aaj ke samay me wo bahut bade log ban chuke hain. Unke paas rupaye paiso ke sath sath taakat ki bhi koi kami nahi hai. Unke sambandh aise aise logo se honge jo unke liye kisi bhi had se guzar jane me ek pal ka bhi wakt nahi lagayenge."
"Kya tum aisi baato se mujhe darana chahati ho maya?" Maine nagwaari bhare andaaz se uski taraf dekhte huye kaha____"Kya tum ye kahna chaahti ho ki main un logo ko zinda chhod du aur kisi kaayar ki tarah unke dar se kahi chhup ke baith jaau? Nahi, hargiz nahi maya, meri rango me daudta hua lahu itna kamjor hargiz nahi hai ki kisi ki dahshat me aa kar mujhe kuch bhi karne se rok lega. Tum mujhe mere bachche ka hawala de kar is sabse muh mod lene ko kah rahi ho jabki maine to ye soch liya hai ki jaha bees saal pahle main apne mata pita ko kho kar zinda raha wahi apne bete se juda ho kar bhi kisi tarah ji hi loonga. Agar kismat me mujhe sab kuch khona hi likha hai to yahi sahi."
Maya meri baat sun kar dekhti rah gayi thi mujhe. Mere chehre par tairte zalzale ko dekh kar use samajhne me zara bhi deri na huyi thi ki uske samjhane ka mujh par koi asar nahi ho sakta tha. Baat bhi sahi thi ki kisi ko kho dene ke dar se main bhala kaise apne mata pita ke hatyaaro ko zinda chhod deta?
"Mujhe maaf karna maya." Fir maine khud ko kuch had tak normal karte huye kaha____"Magar meri zindagi ka sirf ek hi maksad hai aur wo hai apne mata pita ke hatyaaro ka naamo nishaan mita dena. Jab tak main un logo ko is duniya se rukhsat nahi kar deta tab tak na to mujhe chain milega aur na hi mere mata pita ki aatma ko shaanti milegi. Agar tumhe is sabse kisi baat ka dar sata raha hai to tum waapas videsh chali jaao aur waha apne bete ke sath apni zindagi jiyo. Usse kahna ki uska pita use dilo jaan se pyar karta hai aur uska ashirwaad hamesha uske sath rahega lekin wo usse tab tak milne ki khwaaish nahi rakhega jab tak ki uske mata pita ke hatyaare is duniya me jeewit hain."
"Shayad tum sahi ho vikram." Maya ne gahri saans chhodte huye kintu gambheerta se kaha____"Mujhe samajhna chahiye tha ki apne andar nasoor ban gaye dard ke sath nayi zindagi ki shuruaat karna tumhare liye behad hi mushkil hai. Insaan ka zameer hi agar kisi baat ko na swikaare to bhala koi kaise khush ho kar kuch aur karne ka soch sakta hai? Mujhe maaf kar do vikram. Bete ke moh ne aur tumhare sath ek pariwar banane ki prabal ichha ne mujhe tumse ye sab kahne ke liye majboor kar diya tha. Shayad kuch zyada hi swaarthi ho gayi thi main lekin ab samajh gayi hu main. Haan vikram, main samajh gayi hu ki tum apni jagah par sahi ho aur tumhe wahi karna chahiye jisme tumhare sath sath tumhare mata pita ki aatma ko bhi shaanti mil jaye."
Main maya ko gaur se dekhne laga tha. Uske chehre par maujood bhaav saaf saaf ye bayaan kar rahe the ki wo mujhe samajh rahi thi aur ab wo bhi dil se chaahti thi ki main wahi karu jisme main pahle se hi karyarat tha.
"Tum chinta mat karo maya." Maine uske dono kandho par apne hatho ko rakh kar kaha____"Ham yakeenan ek nayi duniya basayenge aur hamara apna ek khush-haal pariwar hoga. Tum to jaanti ho ki bees saal pahle kanoon ne mujhe umar kaid ki saza sunaayi thi lekin mere achhe aachran ke kaaran usi kanoon ne bees saal baad mujhe riha kar diya. Zaahir si baat hai ki upar wala ye hargiz nahi chaahta tha ki mere sath jo anyaay hua hai uske liye mujhe umar bhar jail me rah kar saza bhugatni pade. Ye usi ka chamatkaar hai ki main bees saal baad hi riha ho gaya aur apne sath anyaay karne walo ko mitti me milaane ka bigul bajaya hua hai. Sab us upar wale ki marzi se hi ho raha hai maya. Mujhe ye bhi yakeen hai ki is sabke baad wo upar wala ek din mujhe apna ek khush-haal pariwar banane ka bhi mauka dega taaki apne pariwar ke sath main sukh chain se baaki ka jeewan guzaar saku. Kya tumhe ye sab us upar wale ka chamatkaar nahi lagta? Yakeenan ye uska chamatkaar hi hai ki aaj tum mere paas ho aur hamara ek beta bhi hai jo hamare vansh ko aage badhayega."
"Oh vikram...!" Maya khushi aur jazbaat me aa kar mujhse ek baar fir lipat gayi, boli____"Tumne bilkul sahi kaha mere jaanu. Ye sach me us upar wale ka chamatkaar hi hai ki aaj ham ek sath hain aur aage bhi ham ek sath hi rahenge. Mujhe ab badi shiddat se ehsaas ho raha hai ki main bekaar me hi is sabke liye itna ghabra rahi thi. Mujhe samajhna chahiye tha ki jab upar wala khud hi tumhare sath hai to kisi baat ki fikar karne ki zarurat hi kya hai. Ab main tumhe kisi baat ke liye nahi rokungi. Tumhara jo dil kare wo karo. Tumhari ye maya har kadam par ab tumhare sath rahegi."
Maya ki in baato ne mere andar ek naya josh aur ek nayi energy ka sanchaar kar diya tha. Ham dono kaafi der tak ek dusre se yu hi lipte rahe. Uske baad ham alag huye. Maine dekha maya ke chehre par ab alag hi tarah ke bhaav the. Aise jaise ab use kisi baat ka tension hi na rah gaya ho.
"To ab kya karna hai?" Maya ne hamare beech ki khamoshi ko bhang karte huye kaha____"Ye to pakki baat hai ki ranjan ki maut ke baad uska baap Sanjay ab chain se nahi baithega. Zaahir hai wo tumhari khoj me edi se choti tak ka zor laga dega. Aise me tumhara baahar nikalna khatre se khaali nahi hai. Is file ko padhne ke baad ye bhi samajh aa gaya hai ki aaj ki date me cms ka zyadatar command usi ke hath me hoga to zaahir hai ki wo cms ke agents ka apne tarike se bharpoor stemaal karega."
"Sahi kaha." Maine sochne wale andaz se kaha_____"Waise pata nahi kyo par mujhe aisa lagta hai jaise cms ka asal mukhiya bhi wahi hai."
"Ye kya kah rahe ho tum?" Maya meri is baat se hairaan ho gayi thi, jabki uski baat par maine kaha_____"Yakeen se to main bhi nahi kah sakta ki wahi hoga lekin halaat aur paristhitiya dekh kar to aisa hi lagta hai. Khud socho ki bees saal pahle jo kuch hua aur ab jo kuch ho raha hai us sabke bare me kya cms ke chief ko pata nahi hoga? Mera khayaal hai zarur pata hoga, balki shuru se hi sab kuch pata hoga lekin sawaal hai ki chief ne is sabke bare me khud kya action liya hai? CMS jaisi sanstha ka sabse bada rule yahi hai ki baahri duniya ko ye kabhi bhi bhanak na lag sake ki duniya me kahi cms jaisi koi sanstha bhi hai jo apne agents ke dwara secret roop se apne customers ko sex ki service provide karti hai. Zaahir hai aisi sanstha ke bare me pata chalte hi baahari duniya me bawaal ho sakta hai. Aise me sanstha ka wajood mitti me mil jana mahaj kuch hi samay ki baat ho jaani thi. Aaj jis tarah ke halaat paida ho chuke hain usko dekh kar yahi kaha ja sakta hai ki in halaato me bhi sanstha ke vajood ko khatra ban gaya hoga. Aisa is liye kyoki sanstha ke ab tak do member maut ke muh me ja chuke hain jabki ek hamare kabje me hai. In teeno ke jismo par sanstha ki wo chip daali huyi thi jiske dwara sanstha apne har agents ki location trace karti rahti hai. Ab sawaal hai ki aisi situation me kya sanstha ne ye nahi socha hoga ki un chips ki vajah se badi asaani se ham sanstha ke wajood ko khatre me daal sakte hain?"
"Sambhav hai ki wo iske liye apni taraf se puri koshish kar rahi ho." Maya ne kaha____"Lekin filhaal wo apni is koshish me nakaam hi hai kyoki abhi tak tum uske hath nahi lage ho."
"Ye to bas bahana banane wali baat huyi maya." Maine kaha_____"Kya tumhe nahi lagta ki in bees saalo me cms ki jade aur bhi zyada majboot aur fail gayi hongi? Yaha tak ki uska network aur bhi lamba ho gaya hoga. Iske baad bhi agar wo mujh tak nahi pahuch saki hai to iske pichhe sirf uski nakaami hi to nahi ho sakti. Mera khayaal hai ki kuch to locha zarur hai isme. Sanstha ko is baat se koi matlab nahi ho sakta ki uske agents ki maut huyi hai balki use sirf is baat se hi matlab hoga ki kisi bhi haal me uske wajood par khatra na aaye. Yaani apne wajood ki safety ke liye wo kisi bhi had tak ja sakti hai. Yaha par uske teen teen agents ki chips nikaal li gayi aur wo ya uske agents abhi tak mujhe khoj nahi paaye. Main nahi maan sakta ki sanstha ne apne yaha aise nikamme agents paal rakhe honge."
"To fir asal vajah kya ho sakti hai?" Maya ne ulajh gaye se andaz me pucha.
"Sanstha ka mukhiya inhi me se koi ek hai." Maine purjor lahje se kaha____"Rahi baat mujhe na khoj paane ki to shayad tumhari baat hi sahi hai ki wo koshish to puri kar rahe hain lekin filhaal nakaam hi hain. Sanstha ke wajood par khatra is liye bhi nahi maan rahe honge kyoki unhe lagta hai ki main us chip ke dwara aisa kuch bhi nahi karunga jiske chalte police ya kanoon sanstha ki buniyaad tak pahuch sake. Bees saal pahle bhi to yahi hua tha. Maine bees saal pahle bhi kisi se cms jaisi sanstha ka zikra nahi kiya tha, yaha tak ki bees saal jail me guzaar bhi diye tab bhi sanstha ke bare me kisi ko kuch nahi bataya. Ye usi ka natija tha ki aaj bhi sanstha ka wajood kaayam hai. Aaj bees saal baaf bhi maine sanstha ka abhi tak kisi se zikra nahi kiya. Sanstha ka chief meri isi baat ko yakeen ke taur par le raha hai aur wo samajhta hai ki main sanstha ke bare me kisi se zikra nahi karuga. Yaani jo kuch bhi karunga apne balboote par karunga. Agar sanstha ka chief inhi me se koi hai to wo ye baat bhali bhaanti samajhta hai is liye wo is baat se befikra hai ki sanstha ke wajood par meri wajah se koi khatra hai."
"Ho sakta hai." Maya ne sir hilaya____"Sanstha ke wajood par khatra bhale hi nahi hai lekin unke khud ke wajood par to hai."
"Haan." Maine kaha_____"Aur iske liye wo apni taraf se koshish bhi kar rahe hain. Ye alag baat hai ki unke hath filhaal kuch nahi laga hai."
"To ab tum kya karne wale ho?" Maya ne meri taraf dekh kar puchha.
"Ek do din maamle ke thanda hone ka intzaar karunga." Maine kaha____"Uske baad fir se unme se kisi ka shikaar karunga."
"Minakshi ka kya?" Maya ne puchha.
"Usse filhaal koi khatra nahi hai hame." Maine kaha____"Lekin use chhod bhi nahi sakte. Uchit samay aane par uska bhi kuch na kuch ho jaayega."
Maya kuch der tak meri taraf dekhti rahi uske baad wo uth kar kitchen ki taraf chali gayi. Dopahar hone wali thi is liye wo lunch banane lagi thi jabki maine ek baar fir se tv on kar liya aur usme news dekhne laga.
✤༺✧༻✤