• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Ring of Light

Mr. Marvel

Active Member
531
2,096
123
Excellent update 😊
Zabadast bahi
Awesome update bhai keep posting
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Awesome update
Nice update bhai pata hi nahi chala kab update khatam ho gaya


Waiting for new update bhai
Ohh! Us box se ek ring nikli 😮
Nice update bro....
Superb Update

Toh aakhir Ring Ayush ko mil hi gayi. Par woh to thoda darr gaya jo ki lazmi thaa
superbb update bro
to ring mil gyi londe ko
Nice updates
very nice update bhai
awesome super update
Nice update brother


Thanks dosto. For you love and support and bhai.
 

Mr. Marvel

Active Member
531
2,096
123
shayad wo aawaz ye batane ki koshish kar rahi aayush ko ki wo hi is story ka hero hai :D
aur ye aayush hai ki baat ko nazar andaz kiye jaa raha hai... Khair.... aaj nahi kal ushe pata chal hi jaana hai ki wohi hero hai is kahani ka :D
waise goli se wo anguthi kahe chupa raha tha aayush...?
shayad ushe aur bhi kuch janna ho us anguthi ke bare mein...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills writer sahab :applause: :applause:
(Sorry for late review)
Ab awaj toh apna kaam kar hi rahi hai ab yeh Ayush ko kis aur le jayegi yeh toh time hi batayega. Baaki Goli ko agar woh Anguthi dikh jaati toh woh fir se chilane lagta toh abhi use dikhana sahi nahi rahega. Baaki ap Der se hi sahi but durust aye. And thanks for one of my favourite compliments that I actually don't deserve😊
 

Mr. Marvel

Active Member
531
2,096
123
Behtareen update...... :applause: :applause: :applause:
Yeh Ethan wale to piche hi pad gaye....subh door pe baad mein cycle stand pe aur ab raat ko ek baje balcony mein....madhu ek financially independent and single mother hai jo apne bache ko time nhi de paa rahi hai....waise ayush ka baap mar gaya ya divorce de k chla gya....khi iske baap ka to kuch lena dena nhi tha iss Ethan se.....waise goli bhi hai yha par lagta hai writer story likhne se pehle tmkoc dekh raha tha tabhi isko le liya....par bichare ko yha bhi mota hi rakha.....vese kis baat ki secret society hai yeh Ethan iss ghonchu se goli tak ko pta hai inke bare mein....
Waise story kafi interesting ho rahi hai har update k sath...... :good:
Keep writing... :writing:
Keep posting....
Stay safe....
Stay fit.....
Bhai Ethan walon ka raaz der sawer khul hi jayega. Baaki Uski family ke bare mein baad mein detail se bata dunga. Aur bhai yeh Goli maine special Gokuldham se import karwaya hai. Canada walon ne pehle toh mana kar diya tha bhari luggage uthane se baad mein PM Trudeau se baat ki toh maan gaye. Baaki bhai hamare wala Goli mota hai but unke wale se kaafi smart hai. Umeed hai wo age bhi Ayush ki madad karta hi rahega nahi toh sale ko wapis bhejna padega.

Keep supporting bro.
 

Mr. Marvel

Active Member
531
2,096
123
"A special thanks for all my friends for the 10000 views on the Story. I didn't realized that I will get so much love on a story that is not the same as the most of the successful stories on the Forum. I am really proud to be a part of this Fantasy lover's World. Who really want to support a effort behind a story and character development more than anything else. You guys are the true Fantasy lovers. Love you guys and thanks for making me believe in my writing skills and that I don't have to write something which I don't like, just for some views."
 
Last edited:

Mr. Marvel

Active Member
531
2,096
123
UPDATE 4

“Raka… Jara mujhe Wo wali kitab dena..” Elvis ne ek kitab ki aur ishara karte huye kaha. Raka ne bina kuchh bole wo kitab utha kar Elvis ko de di aur wapis se apni jagah par khada ho gaya.



“Shukriya... Raka tumne kahin Sheena ko dekha hai?” Elvis ne wo kitab lete huye kaha.



“Nahi...” Raka ne bas itna hi bola.



“Pata nahi maine bhi use pichhle kuchh dinon se jyada dekha nahi hai... achha hi hai... Vaise bhi uski suyi hamesha ek hi baat pe atki rehti hai...” Elvis ne bola aur fir Kitab khol kar use padhna shuru kar diya. Usne apne Bade se kanon par apna chashmah achhe se set kiya aur kitab ke panne palatne laga. Raka bas wahin chup chap sa khada raha.



“Elvis.... Elvissss...” Sheena jor jor se darwaja peet te huye Elvis ko awaj dene lagi.



“offoo... Raka ise bolo ki baad mein aye... Abhi main thoda vyasat hun...” Elvis ne khijhte huye kaha. Raka uski baat sunte hi Darwaje ki taraf chal pada. Usne Darwaja khola toh Sheena bahar gusse se vyakul khadi thi.



“Wo pagal Buddha kahan hai...” Sheena ne sawa saat feet lambe Raka ki ankhon mein ankhein daalne ke liye apni mundi uper utha rakhi thi.



“padh raha hai...” Raka ne apni bhari awaj mein jawab diya.



“Side hato... Mujhe usse baat karni hai...” Sheena ne Raka ko dhakka dena ki kosish ki par wo pahad apni jagah se hila tak nahi.



“mana kiya hai..” Raka ne fir se apni bhari si awaj mein lekin shanti se kaha.



“Mujhe usse farak nahi padta... woh yahan ka Maharaj nahi hai...” Sheena ne gusse mein chillate huye kaha.



Lekin Raka ne bina koi jawab diye Darwaja band kar diya.



“Elvis.... bujhdil kahin ke... dum hai toh khud mere samne ao... Raka ke peeche kion chhipe baithe ho...” Sheena gusse se Darwaja peet te huye boli.



“ Raka maine tumhe bola tha na ki ise yahan se bhagao...” Elvis apni book side mein patakte huye bola.



“bola tha...” Raka ne shanti se jawab diya aur apni jagah par khada ho gaya.



“oye buddhe.... Darwaja khol...” Sheena fir se chillate huye boli.



“hey ETHAN... Yeh kinse pala pada hai...” Elvis ne Uper dekhte huye kaha aur uth kar Darwaja kholne chala gaya.



“Han bolo... kya samasya hai...” Elvis ne Darwaja kholte hi Sheena se rukha sa sawal kiya.



Lekin Sheena ke irade kuchh aur hi the... Usne Elvis ko uski Garden se pakda aur 2 feet hawa mein uper utha liya.



“Raa...... rak......” Elvis Raka ko awaj dete huye Hawa mein tangein chalane laga. Uski ankhein ulti hone lagi aur sansein bhari. Use uska kaal Sheena ki gusse bhari ankhon mein saaf dikhayi de raha tha. Par tabhi Raka ne ek jordar Ghunsa Sheena ke chehre par de mara.



“ahhhh...” jor se chilate huye Sheena Darwaje ke bahar jakar giri aur pakad dheeli padte hi Elvis bhi jameen par gir gaya.



“Baune.... tujhe toh mein chhodungi nahi...” Sheena jameen se uthte hi dobara Elvis ki taraf lapki...





“Rakaaaa" Elvis kisi bache ki tarah Rote huye chilaya. Isse pehle ki Sheena Elvis ko dobara daboch paati Raka ne beech bachav karte huye Sheena ko kamar se pakad kar hawa mein utha liya.



“Mote chhodd mujhe... nahi toh tujhe bhi is buddhe ke saath yahi gaad dungi...” Sheena ne peeche ki taraf Raka ko laat maarte huye kaha. Par use is sab se koi farak nahi pada aur woh kisi gudiya ki tarah Sheena ko pakde khada raha.



“Eh ladki... Tu pagal ho gayi hai kya...” Elvis ne jameen se uth kar apni garden ko sehlate huye kaha. Uski buddhi garden par Sheena ki unglion ke nishan saaf dikhayi de rahe the.



“han ho gayi hun main pagal... aur iski wajah ho tum... tumhe kisne haq diya ki Tumne Galmor ki kismat ek bache ke hath mein de di...jis Ring ke liye mere pita ji ne apni jaan ka balidaan diya woh tumne ek Highschool ke aam se balak ko thama di... tum sathiya gaye ho Elvis... tum jee jee kar ak chuke ho isliye ab Galmor ke logon ki zindagi ke sath khel rahe ho...” Sheena ne gusse mein chillate huya Elvis ki khub li. Par Elvis ko jaise usse koi lena dena hi na ho.



“Ho gaya... jo bolna tha bol liya... ab ek baat tum kaan khol kar sun lo... Yeh mat bhulo ki maine Galmor aur yahan ke logon ke liye bahut bade bade faisle kiye hain... Tumhare baap ne jo bhi kiya wo uska farz tha... aur maine jo kiya wo mera... ab tumhara farz yeh hai ki jab tak wo bacha puri tarah se tyar nahi ho jata... tab tak tum uski raksha karogi...” Elvis ne jameen se utha kar apna chashmah dobara se apne Bade bade kanon par tika liya.



“raksha... tum chahte ho ki Galmor ki sabse takatbar yodha us bache ki raksha kare... tum sach mein hil gaye ho kya...” Sheena ne hairan hote huye kaha.



“pehle toh tumhe apne se 1332 saal bade, Galmor ke sabse budhimaan shakas aur maujuda Supreme se baat karni seekhni chahiye... dusri baat tum galmor ki sabse takatbar yodha nahi ho... shayad tum uper ke 100 mein bhi nahi ati... teesri aur sabse jaruri baat ki tum wahi karogi jo main kahunga... kionk Galmor Knights mein kis kis naye yodha ko jagah milegi uska faisla jis Baithak mein hoga usko lead main karne wala hun...” Akhri baat kehte huye Elvis ke chehre par ek vijayi muskan thi aur Sheena bas apne daant pees kar reh gayi. “Raka... chhod do ise...” Elvis ne Raka se kaha aur wapis jakar apne reading table par baith gaya.



Raka ne Sheena ko jaise hi chhoda wo gusse mein apne pair patakte huye library se bahar chal padi..



“han ek baat aur...” Elvis ki awaj sun kar Sheena wahin ruk gayi “Ayush ke ring pehante hi Nazim bhi uske peeche pad jayega toh tum jaldi se jaldi wahan pahunch kar uski raksha karo...” Elvis ne Sheena ko adesh dete huye kaha.



“Ji... SUPREME...” Sheena ne gussa dil mein daba kar Elvis ko jhuk kar salam kiya aur wahan se nikal gayi.



“Raka... ispar nazar rakhna...” Sheena ke jate hi Elvis ne dheemi awaj mein Raka se kaha aur wapis se apni book padhne laga.




“Khul ja sim sim.....abra ka dabra....gili gili apa... iski maa ki choot... kuchh ho kion nahi raha...” Ayush ne gusse mein Ring ko utar kar jameen par fenka aur agle ki chhan woh Ring fir se uski ungli mein thi...



“Ahhhhh.... kya karun main iska....” Ayush gusse se chilaya. Tabhi achanak uske room ka darwaja khula aur uski mom bhaag kar uske paas ayi.



“kya huya baby... tum achanak se chilaye kion...” Madhu ne usko apne alingan mein lete huye kaha.



“Kuchh nahi mom... bas woh main bas... halka sa cramp tha pair mein...” Ayush ne apna Ring wala hath takiye ke neeche chhipate huye kaha.



“Lao dikhao mujhe...” Madhu ne Blanket ke ander se hi Ayush ke pair ko pakad kar sehlana shuru kiya...



“are mom...kya kar rahi hain ap yeh...” Ayush ne apni mom ka hath apne pair se hatane ki kosish ki.



“Baby... let me do it.... Chup chap baithe raho...” Madhu ne Ayush ko daant te huye kaha. Usne uska pair sehlana jaari rakha aur usse idhar udhar ki batein karne lagi. Ayush ek pal ke liye apni saari tension bhul gaya aur batein karte karte kab so gaya use pata hi nahi chala.



“love you beta...” Madhu ne Ayush ko sota huya dekh uske mathe pe halki si kiss ki aur light band karke halke kadmon se uske room se bahar chali gayi.




“Good Morning Rosebowl. Main hun apki apni Anjali. Aur ap sun rahe hain Rosebowl Radio. Apki mast subah ko aur mast banane ke liye suniye ek tadkata fadkata gaana.”



“o mere sapnon ki raani kab ayegi tu..

Ayi rut mastani kab ayegi tu…

Biti jaye jindgani kab ayegi tu…

Chali Aaa o chali Aaa…”



Gaane ki dhun par jhumte huye Ayush roz ki tarah nashta bana raha tha. Tabhi achanak se knife uske hath se gir gaya.



“EEEEE….” Apna pair bachane ke liye who halka sa peeche ki taraf kuda.



“Hashhh… bach...” abhi Ayush itna hi bola tha ki agle hi pal uski goti munh mein gayi. Kionk woh halka sa kudne bhar se kareeb 7 feet dur kitchen ki entrance tak pahunch gaya. Usne apne hath ki taraf dekha toh uski Ring halka sa chamak rahi thi.



“what the fuck.... Yeh kya tha...” usne double check karne ke liye ek chalang samne ki taraf laga di. Lekin force thoda jyada hone ki wajah se wo seedha sink mein jakar gira.



“ahhhh... fut gayi gaand... but i like it man...” Ayush apni is nayi kabliyat ko dekhkar halka sa muskurate huye bola.



“hahaha... tum kya bander ki tarah wahan chadhe baithe ho...” Madhu kitchen ke darwaje par khadi Ayush ki halat par hanse ja rahi thi.



“Kuchh nahi mom... bas thoda balance bigad gaya...” Ayush ne thoda darte huye bola aur apni ring wala hath peeche chhipa liya.



“Han par tum wahan pahunche kaise...” Madhu ne thoda hairan hokar puchha.



“woh main... main...actually main wo wala dibba utarne ke liye counter par chadha aur itne mein balance bigad gaya toh...” Ayush ne kisi tarah ek theek thaak sa jhuth bana hi liya.



“achha theek hai par ab wahin baithe rehna hai ki bahar bhi niklo ge.” Madhu ne muskurate huye kaha.



“han bas ap bahar wait kariye main abhi khana lekar aya....” Ayush ne Sink se bahar nikalte huye kaha. Madhu bahar jakar dinning table par baith gayi aur fir un dono ne milkar nashta kiya.



“ok baby bye... have fun...” Madhu ne Darwaje ke bahar jate huye Ayush se kaha.



“ok mom.. see you...” Ayush ne Madhu ke jane ke baad Darwaja band kiya... “han ab Fun toh jarur hoga" usne us anguthi ki taraf dekhte huye ek smile ki aur phone nikal kar Goli ko call mila diya.
 
Top