Vipul
Well-Known Member
- 2,242
- 7,300
- 158
To bhai Sheena pohonch hi gai dekhte hain kya hota hainUPDATE 6
“Hey mom… thanks for the last night…” Ayush ne kitchen se bahar nikalte huye Madhu se kaha.
“Are wah… Aajkal kuchh naya market mein aya hai kya... ki jab koi mom apne bache ko sulaye toh use thanks bolna padega… hamare time toh aisa kuchh tha nahi…” Madhu halka sa taunt marte huye Ayush ko khana table par lagane mein help karne lagi.
“Sorry…” Ayush bas halka sa hans diya aur agle hi pal wo fir se Ring ke bare mein sochne laga.
“Kya huya Ayush… kuchh pareshan se lag rahe ho...” Madhu ne Ayush se puchha.
“Kuchh nahi mom… bas aise hi… ap khana khaiye… nahi toh kaam ke liye late ho jayega…” Ayush ne apni najrein churate huye khana parosna shuru kiya.
“I know ki ab tum bade ho gaye ho… but you can still talk to me about anything… shayad ek bete ki tarah na sahi toh ek dost ki tarah hi sahi… kuchh bhi matlab kuchh bhi… including that new Ring in your finger…” Madhu ne halka sa muskurate huye kaha.
“no mom… its not a relationship ring… Yeh bas aise hi kisi ne sambhalne ke liye di hai… Maine bola ki mujhse nahi hoga… but he said ki tumhe hi rakhni padegi...” Ayush ne khane ka niwala lete huye kaha.
“Toh fir problem kya hai... rakhlo kuchh din... Vaise kafi kimti lag rahi hai... shayad jisne bhi di hai tum par kuchh jayada hi trust karta hai...”Madhu ne Ayush ki ankhon mein dekhne ki kosish ki par usne apni najrein churate huye apna khana jaari rakha.
“It’s not like that mom... main ek aisi cheez ko sambhal kar kaise rakh sakta hun jiske bare mein mujhe kuchh bhi pata hi nahi hai... jo cheez mere liye mayne hi nahi rakhti uske liye itna jhanjhat hi kion lena...” Ayush ne himmat karke apni ankhein utha kar kaha. Woh bas kisi tarah apne dil ki baat kisi se kehna chahta tha aur is kaam ke liye uski maa se better kon ho sakta tha.
“dekho beta I don’t know ki actually chal kya raha hai.... but mujhe yeh jarur pata hai ki if you want to do something you can do anything aur agar koi itna hi chahta hai ki tum iska khyal rakho toh ek baar iske peeche hi wajah samajh lo... kya pata tum bhi wahi socho jo woh soch raha hai...” Madhu ne bade aram se Ayush ko kaha.
“i think you are right mom...” Ayush ne apna khana jaari rakha. Iske baad wahan ek ajeeb si shanti fail gayi shayad dono hi apne vicharon mein kahin kho se gaye. Nashta khatam hote hi Madhu ne Ayush ko bye kaha aur apne office ke liye nikal gayi.
“Abe sale tune abhi tak bataya nahi ki tumne yeh Ring utari kion nahi...” Goli ne dheemi si awaj mein fusfusate huye Ayush se puchha.
“yaar class ke baad baat nahi kar sakte kya...” Ayush ne bhi fusfusate huye jawab diya.
“subah se puchh raha hun tujhse... ab hamare beech mein secrets kab se ane lage...” Goli ne fir se fusfusate huye par gusse mein kaha.
“Can I ask... what is going on there... hmm... Mr. Jain...” teacher ne Chilate huye kaha.
“nothing miss Nandini... we were just talking about the equation...” Ayush ne jawab diya.
“Ohh... great... i think ki tum hi aj yeh Equation solve kar sakte ho... i will be more than happy to give you a chance...” Nandini ne Ayush ko ghurte huye kaha.
“actually main woh... main toh bas bol hi raha tha ki Miss Nandini is so intelligent and ap kaise sabhi problems chutkion mein solve kar sakti hain... haina Goli....” Ayush ne Goli ko ghurte huye kaha.
“yeah... Ayush sahi bol raha hai... miss ap hi padhaiye na please abhi hum chup chap baith kar samjhenge pakka...” Goli ne request karte huye kaha.
“Ok... i know ki tum log achhe students ho but koi bhi baat karni ho toh bahar jakar kiya karo... now i hope ki tum log samajh gaye honge... Mr. Jain...” Nandini ne kaha.
“Yeah miss... ofcourse we get it...” Ayush me halki si smile ke sath kaha aur Nandini ne palat kar wapis se padhana shuru kar diya.
“Abhi chup chap baitha reh... class ke baad baat karte hain...” Ayush ne fir se fusfusate huye Goli se gusse mein kaha aur apni note book ki taraf dekhne laga. Is baar Goli bhi Nandini ke dar ki wajah se chup hi raha.
“toh tu kehna chahta hai ki ab yeh Ring tu kabhi nahi utaar sakta...” Goli ne Ayush ki puri baat sunne ke baad dheemi awaj mein kaha.
“Han... Kam se kam jab tak main Zinda hun... Aisa us Awaj wale buddhe ne kaha...” Ayush ne mayus hote huye kaha.
“Yaar tu tension mat le... hum koi na koi hal nikal lenge... Isse chutkara paane ke liye...” Goli ne Ayush ke kandhe par haath rakhte huye kaha “i am with you buddy...”
“Yeh Sheena ke bare mein kuchh pata chala?” Elvis ne Raka se puchha.
“Nahi…” Raka ne apne usi Straight forward andaz mein jawab diya.
“Mujhe pakka yakeen hai ki yeh ladki kuchh na kuchh gadbad jarur karegi…” Elvis ne chinta bhare andaz mein kaha aur ek lambi saans chhodi.
Sheena Jhadion ke peeche se chhip kar Ayush aur Goli ki batein sun rahi thi. Jaise hi Ayush ne Goli ko awaj ke bare mein bataya toh uski ankhein gusse se laal hone lagin. Uske baad Ayush ka us Ring se peecha chhudwane ka plan. Yeh Sab Sheena ke liye us cheez ka bada apmaan tha jiske liye uske baap ne apni jaan tak de di. Usse bhi jyada ek aise ladke ke hath pure galmor ki chabi de dena jise na toh Galmor aur na hi Galmor ke logon se koi Lena dena tha. Yeh sab batein Sheena ke ander ke gusse aur nafrat ko aur bhi badhawa de raha tha.
“Goli… tune koi awaj suni…” Ayush ne Goli se puchha. Ayush ki baat sunte hi Sheena starak ho kar jhadion ke peeche achhe se chhip gayi.
“kaisi awaj…” Goli ne dhyan se sunne ki try ki.
“kuchh nahi… shayad koi galatfehmi huyi hogi…” Ayush ne us awaj ko Ignore karte huye age chalna hi theek samjha.
“chal theek hai fir… tera ghar a gaya… kal ko milte hain…” Goli ne Ayush ke ghar ke samne pahunch kar kaha.
“Han theek hai… ok bye…” Ayush ne Fence ka gate khola aur ander chala gaya.
“tension mat lena hum koi na koi raasta dhundh hi lenge…” Goli jate jate hi chilaya . Ayush ne bas usko samne se hath dikhate huye bye kiya aur apne ghar ke ander chala gya. Udhar Sheena kisi bhukhi sherni ki tarah apni ankhein gadaye Ayush ko dekhti rahi jab tak ki wo ander nahi chala gaya.
Waiting for new update bhai