• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy THE RON~Origin of Dragon holder (Completed)

Spider-Man

New Member
88
116
18
UPDATE-40

"mere pass tumhare bhai ko marne ke siwa aur koyi rasta nahi tha...tumhe apne bhai par bahut garv hona chahiye lisa...wo mujhse bahut bahaduri se lada,lekin aakhir me maineuse hara diya,us samay mere ankho ke samne death iceland ke logo ki khoon me lath path lashe dekhkar main gusse me ye bhi bhool gaya ki main tumhare bhai ko marne jaa raha hoon..yakin karo lisa mujhe us samay bilkul bhi hosh nahi tha....jab maine tumhare bhai ko maar diya to usi samay waha dewan aa pahuncha..mera sar thaka hone ki vajah se dewan bhi mujhe nahi pahchan paya,aur tumhare ka bejan sharir dekhkar wo meri taraf badha...waha Morgan bhi apni sena lekar aa pahuncha ,jiska saaf matlab tha ki jung ke maidan me mere jagah tainat wo bahadur sainik shaheed ho chuka hain...meri halat us samay bilkul bhi thik nahi thi,main akele un sabka mukabala nahi kar sakta tha...hum jung haar chuke the...main waha se kaise bhi karke bhag gaya aur seedhe humare kile me pahuncha ,jab maine chhupkar apne kamre me dekha to tum ro rahi thi ,kisi ne tumhe ye khabar de di thi ki tumhare bhai ab is duniya me nahi raha,aur tumhe ye bhi bata diya gaya tha ki main bhi ab is duniya me nahi raha..."
"us samay mere liye sabke samne aana matlab khud ki jaan ko Gabriel ke hath me saupna tha...isliye main kuch dino tak death iceland me ghoomta raha apni jaan bachane ke liye...death iceland ka raja jab mar jata hain to purani vidhi ke mutabik use tehkhane me ek kabra ke andar daalkar dafna diya jata hain...sabhi ne us sainik ko hee Martin samajhkar use dafan kar diya...koyi bhi us sainik ko nahi pahchan paya kyunki yuddh me uska chehara buri tarah ghayal ho gaya tha ...jisse use pahchan pana mushkil ho gaya tha"
Ron bolte bolte achanak rook gaya,usne lisa ki taraf dekha lisa ki ankho me ansu aa gaye the ,jise wo apne hatho se saaf karte hue boli...
"phhir aage kya hua...mujhe sab kuch vistar se batao..."
"main samajh chuka tha ki ab death iceland mere hath se nikal chuka hain ...main waha jyada din nahi rah sakta tha...par main tumhe akele nahi chhod sakta tha ,main tumhe apne sath lane ke liye yojana banane laga...death iceland ke sabhi log pallora ki taraf bhag gaye the...maine ek kathor sankalp kar apne kile ki taraf badha ,jab dewan ne mujhe pahchan liya...main dewan ko usi vaqt maar deta lekin Gabriel aur Morgan beech me aa gaye...mujhe ek baar phhir apni jaan bachane ke liye waha se bhagna pada ...main bhag kar tehkhane me chhup gaya ,jaha Gabriel aur Morgan bhi mere peechhe peechhe aa gaye...usi samay dewan tumhare pass gaya aur usne tumhe ye bata diya ki main zinda hoon aur maine hee tumhare bhai ka khoon kiya hain aur ab main tumhe marne ke liye kile ki taraf aa raha hain...maine tumhare bhai ko mara ye sunkar mere liye tumhare andar nafrat hee nafrat bhar gaya ,jisne humare pyar ko ek pal me bikhra diya...main tehkhane me is tarah chhup gaya ki Gabriel aur Morgan lakh koshisho ke bawjood mujhe nahi dhoond paye...aur tehkhane ko bahar se band karke chale gaye...bahut der tak main tehkhane me ek kayar ki tarah chhupa raha...aur jab mujhe aisa laga ki Gabriel waha nahi hain ,tab main bahar aaya lekin usi samay tum ,dewan ke sath tehkhane me aa gayi...mujhe samne dekhkar main ek pal ke liye kitna khush hua tha isko main aaj bhi bayan nahi kar sakta tha ...lekin mujhe dhakka us samay laga jab tum mere samne dewan ke baho se lipat gayi...main is jung me sab kuch haar chuka tha ,mujhe maloom chal gaya...mera saltanat ,meri sena aur tum...tumhe dewan ke sath is halat me dekhkar mere andar gusse ka sailab foot pada aur maine tum dono ko hamesha ke liye waha band kar diya...spiritual jahaj ko mere siwa aur koyi nahi chala sakta tha...aur yahi ek aisi chiz thi jo us samay mere pass thi ,main spiritua jahaj ko lekar pallora ki taraf badha...is jung me nakshe ke sabhi hisse gum ho chuke the mere pass nakshe ka keval ek bhag tha....spiritual jahaj ko lekar main pallora ki taraf badh raha tha ki Morgan aur Gabriel ne apni dragon ki vishal fauj ke sath mujhpar hamla kar diya aur Gabriel ne apne shaktiyo se us khooni bawandar ka nirman kiya aur mere peechhe chhod diya...ab jahaj ko chhodne ke aalwa mere pass aur koyi rasta nahi tha ,main jahaj se neeche kood pada is firak me ki ye bawandar mujhe shayad kisi kinare me pahuncha de...meri ankho ke samne mera jahaj us khooni bawandar me doob kar samundar ki gahrayi me ja pahuncha...."
"mujhe maaf kardo Martin ,main us samay mere gusse ne meri sochne samajhne ki shakti ko khatam kar diya tha..."
"main samajh sakta hoon lisa..."Ron ne lisa ko gale lagate hue kaha...lisa bhi Ron ki baho me sama gayi...lekin tabhi Ron ko apni peeth par ek tej dard mahsoos hua...Ron ko aisa laga ki kisi ne tejdhar hathiyar uske peeth me ghused diya hain...Ron ne lisa ko khud se alag kiya aur aur apne peeth par hath rakhte hue peechhe muda...Ron kuch samajh pata uske pahle hee Gabriel ne uske sar par usi tejdhar hathiyar se hamla kiya...Ron behosh hokar wahi gir pada,lisa ko bilkul bhi andaja nahi tha ki Gabriel aur baki sab itni jaldi aa jayenge...
"tum log to do din baad aane wale the...."
Gabriel ne Morgan aur dewan ko Ron ko uthane ke liye kagha aur lisa ki taraf muskurakar bola...
"bas yahi humari yojana thi ..."
"ye kaisi yojna thi..jisme main shamil to hoon par mujhe khud nahi maloom ki yojna thi kya..."
"lisa pahle Ron ko tapu ke beech bane dragon ke nishan wale chakra par le jate hain...waha tumhe sab samjha dunga..."


Ron ke peeth se khoon lagatar bah raha tha...Ron ke khoon ko Gabriel ne apne ungaliyo me mahsoos kiya...
"meri shaktiya iske khoon se jaroor wapas aa jayengi..."
"malik kya yahi wo jagah hain ,jaha par dragon ke nishan wala chakra maujood hain...lekin mujhe to yaha sirf ret hee nazar aa rahi hain...."
Gabriel ne apne farse ko neeche rakhkar Morgan ke bataye hue jagah ko hath se saaf karne laga...jaise jaise Gabriel us jagah ki ret ko saaf karta jata waha ek nishan teji se ubhar raha tha...
"lita do Ron ko is nishan par..."
Morgan aur dewan ne Ron ko dragon ke nishan wale vishal chakra ke andar lita diya ,Ron ko neeche utarne ke baad dewan apna hath jhadte hue bola....
"lisa ab main tumhare sawalo ka jawab deta hoon...Ron ko malik ne jab se apne thikane par laye the ,usse pahle hee malik ne apni yojana taiyar kar li thi...jiske mutabik tumhe kisi bhi baat ki jaankari maloom na ho ,ye tay hua tha...."
"lekin tum dono to Malik se sath do din baad aane wale the...."
"lisa,ye to Ron ko bewkoof banane ka ek jariya tha...Malik apni purani dushmani bhulakar ek ho jayenge ,ye baat jaroor Ron ke dimak me khatki hogi,aur wohum par shaq karega ,ye humne pahle hi soh liya tha...ab ye Ron yani Martin apni behuda aadat ke anusar humari jasoosi karega ye bhi bhi hum jante the aur yadi Ron chhup ke humari baate sun bhi leta to use yahi maloom hota ki hum log is tapu par do din baad aane wale hain..."
dewan kya bol raha hain aur wo lisa ko kya samjhana chahta tha...sab lisa ke sar ke upar se ja raha tha....lisa apne sar par hath rakhkar boli..."dewan meri samajh me kuch nahi aa raha hain ,tum akhir kahna kya chahte ho..."
"Gabriel-lisa,tum kuch aur samjho usse pahle tumhe yah janna hain ki Ron mera bhai hain aur wo khud ek dragon holder hain..."
"Ron bhi dragon holder hain"
"yahi halat Morgan aur dewan ka bhi hua tha jab un dono ko ye maloom hala tha..puri baat ye hain ki meri shaktiya apne antim samay par pahunch chuki hain...aur yadi mujhe meri shaktiya mujhe wapas chahiye to kisi dusare dragon holder ko maarkar uska khoon peena padega...isi liye maine Ron ko abhi tak zinda rakha tha...maine use abhi tak zinda kyun rakha hain ye jaroor Ron ke shatir dimak me ghoomegi...ye maine andaja laga liya tha aur yadi mera andaja sahi nikla to mujhe ye bhi pata tha ki Ron humari jasoosi karega...isiliye dewan ya Morgan ne tumse jab bhi baat ki to un dono ne tumse yahi kaha ki hum sab is tapu par do din ke baad aayenge...."
"Malik ,aap to Ron se bhi shatir dimak wale nikle...lekin mujhe apni yojna bata bhi dete to kya farak padta..."
"lisa isme khatra tha...yadi tumhe sab maloom hota to tapu me hoti har ek aahat me tum yahi samjhati ki hum aa gaye hain...lekin ab is baat ka koyi fayda nahi ,ek baat to kahni padegilisa,tumne kamal ka abhinay kiya Ron ke samne...."
"Malik aapko shayad maloom nahi ,ye abhinay karte hue mujhe Ron ki kitni bakwas sunni padi aur use dilasa dene ke liye ansu bhi bahane pade..."
"tumhareansu ki keemat ka pura harjana tumhe milega ...Ron aaj apni aakhiri saans is tapu par lega ,lekin abhi us kaam me kuch kaam baki hain...chand kuch samay baad aasman ke beecho beech aa jayega tab hum apne nek kaam ki shuruat karenge...."
Morgan ne aasman ki taraf dekhte hue bola..."Malik ab intezar khatam hua ,hand apne sahi jagah par pahunch chuka hain..."
sabhi aasman ki taraf dekhne lage,sabke chehre par khusi jhalak rahi thi...Gabriel ne apne hath me khanjar liya aur Ron ke hath par chala diya....Ron ke hath se khoon ki tej dhara bahne lage,jise Gabriel ne apne hath me bhar liya aur dragon ke nishan wale chakra ke charo taraf khoon chhidkane laga ...chakra ke charo taraf Ron ke khoon ko dalne ke baad Gabriel Ron ke pass aaya...
"alwida mere bhai,tu ek bahut bahadur insan tha ...lekin tujhe is baat ka garv jaroor hoga ki teri maut mere hatho hui aur tu marte vaqt apne bhai ke kaam aaya..."
Gabrielne khanjar ko Ron ke seene par nishana banate hue apne hath ko hath ko aage badhaya,Gabriel aage kuch karta usse pahle hee Ron ne Gabriel ke ke hath ko pakad liya aur Gabriel ko apne pairo ki taraf dhakka de diya,apne pairo me Gabriel ko buri tarah jakad liya...Ron ne Gabriel ke hath se gira hua khanjar uthaya aur teji se dewan ki taraf phenk diya...khanjar seedhe jakar dewan ke seene ko chirta huauske dil ke aar paar ho gaya....
"ek to gaya kaam se ,ab ise to uparwala bhi nahi bacha payega..."
dewan par Ron ke dwara phenke gaye khanjar ka itna buraprabhav pada ki dewan me itni bhi shakti nahi bachi thi ki wo khanjar ko wapas nikal sake dewan wahi neeche gir pada...lisa jor se chillati hue Morgan se boli...
"Morgan ...khatam kar do ide ,main dewan ko sambhalti hoon..."
Morgan ko apni taraf badhta dekh Ron neGabriel ko chhoda aur jaldi se uth khada hua...
"aaja kallu ,abki baar tu nahi bachega..."
Morgan ne apne farse ko Ron ki taraf chalaya lekin Ron ne Morgan ka hath pakad liya aur uske sar par apne sar se thokar maar di...jisse Morgan ki pakad kamjor pad gayi aur Ron ne Morgan ke hath se uska farsa chheen liya....tabhi Gabriel ne peechhe se Ron ki gardan ko taboch liya aur Ron uthakar buri tarah zameen par patak diya...
"aaj tu bachega Ron...meri yojana kabhi bhi asafal nahi ho sakti..."
Ron ki kamar me bahut dard ho raha tha...tabhi use pass me pada ek patthar dikhayi diya,Ron ne patthar ke tukde ko uthakar Gabriel ke sar par de mara...
"isse achchhi yojana to billu aur Aditya bana sakte hain..."
dewan ki saanse band ho huki thi...lisa ki aankhe gusse se laal ho chuki thi,usne dewan ke seene se khanjar nikala aur jor se hillati hui boli...
"dewan ki maut ke badle me tujhe apni jaan deni hogi..."
"maaf karna janeman ,par mujhe abhi yaha se bhagna padega..."
Ron waha se ulte kadam marte hue bhag nikla ...Ron abhi kinare me bhi nahi pahuncha tha ki Gabriel uske saamne khada ho gaya...
"maine kaha na ,aaj tu yaha se nahi ja payega..."
Gabriel ne kuch bola aur usi samay Gabriel ka dragon dahadte hue waha aa pahuncha...aur agle hee pal Gabriel dragon holder ke roop me badal gaya aur dragon holder bante hee Gabriel ne Ron ko ek tej jhatka diya ,Ron tapu ke peo ,chattano se takrate takrate seedha kinare par aa gira...
"sale ne aaj kamar tod di..."
waha do dragon aur bhi the,Ron ne kuch der un dragons ki taraf dekha aur phhir teji se lapak kar ek dragon par baith gaya..."
"chal be abhi in logo ko sabak sikhata hoon...."
https://Xforum.com/images/smilies/announce.gif

"Ron dragon ko lekar dheere dheere upar ki taraf utha aur agle hee pal dragon tej gati se tapu ke andar ghus gaya ,jaha lisa ,Morgan aur Gabriel khade the...Ron ko dragon ke upar baitha teeno hee achambhit the....
"lisa-Ron ,Morgan ke dragon ko kaise sambhal raha hain,ye to namumkin hain...
"Ron-janeman itni jaldi bhool gayi...jab hum teeno Morgan ke sath yaha aa rahe the to maine Morgan se kaha tha ki dragon ko main lekar jaunga...usi samay maine Morgan ke dragon ko kaise vash me karna hain seekh liya tha...kyunki mujhe maloom tha ki yaha se yadi mujhe bhagna hain to dragon ki madad leni hee padegi..."
"sala kameena kahi ka..."Gabrielbhi assman ki taraf uda aur Morgan kinare ki taraf jane ke liya dauda taki wo kinare me jakar ek dragon par baithkar Ron par humlka kar sake...Morgan abhi kuch hee doori par pahuncha tha ki Ron ne dragon ko Morgan ki taraf mod diya aur jab wo Morgan ke karib aa gaye to Ron ne dragon ko thoda neeche kiya jisse Morgan ko asani se pakda ja sake...Ron ne bahut majbooti se Morgan ki gardan pakad liya aur use upar utha liya...Morgan ne khud ko Ron ke changul se chhudane ki bahut koshish ki lekin wo asafal raha...Ron dragon ko bahut uchayi par le gaya....
"kaisa lag raha hain Morgan...maaf karna thodi ijjat de di mujhe bolna chahiye tha ki kaisa lag raha hain kallu..."
"chhod mujhe..."Morgan ne ghuti hui aawaj me kaha...
"le chhod diya..."
Ron ke chhodte hee Morgan teji se zameen par aa gira aur behosh ho gaya...
"lisa-Malik ,Morgan abhi bhi zinda hain kya...
"wo keval behosh hua hain..."
ab Ron ne dragon ko tapu par utar diya ...Gabriel bhi neeche tha.
"Gabriel-to mere bhai ab ladayi shuru ki jaye..."
"ladayi kaisi ladayi,mujhe khoon kharaba bilkul bhi pasand nahi,kyun na hum is masle ko baat karke suljha le..."
"tujhe kya lagta hain main tujhe yaha se aise hee zinda jane dunga..."
"hum dono sauda kar sakte hain ..."
"Ron apni talwar nikal le ,main kisi nihatthe par war nahi karna chahta..."
Ron dragon se neeche utar gaya aur dragon ke taraf dekhkar bola"Gabriel tujhe maloom hain ki nahi ye main nahi janta par dragon apna aapa kho dete hain jab ...."
"jab..."
"jab unke kano ke pass jakar seeti baja di jaye.."
ek taraf Ron ne ye kaha aur tdusari taraf usne turant ye karnama kar dala..jiosse dragon teji se Gabriel ki taraf jhapta...Gabriel dragon se mukabala karne laga ...
idhar Ron ,lisa ke pass aaya aur apna hath uski taraf badhaya..
"chalo lisa mere sath..."
"Martin ab mere dil me tere liye nafrat aur bhi badh gayi hain..."
Ron kuch der tak lisa ki taraf dekhta raha ,aur waha se jane laga ,kuch door jane ke baad Ron ke kadam apne aap hee rook gaye wo peechhe muda aur lisa ki taraf dekhte hue bola...
"lisa yadi yahi tumhara faisala hain to mujhe us din bahut dukh hoga jis din main tumhe jaan se marunga..."
"wo din kabhi nahi aayega..."
"dewan bhi yahi kahta tha...khair alwida lisa phhir milenge..."
lisa ko alvida kahne ke baad Ron kinare ki taraf chala gaya...waha abhi bhi ek dragon tha jo apne tang pasare gahri neend me tha...Ron ahiste -ahiste us dragon ke pass gaya aur dheere se us so rahe dragon ko hilaya,par us dragon par koyi asar nahi hua wo pahle ki tarah hee sota raha...
"sala mar gaya kya...uth kyun nahi raha ..."
Ron kuch der tak dragon ko uthane ki tarqeeb sochta raha aur jab use kuch nahi soojha to usne kaskar ek laat dragon par jama di ,lekin dragon tab bhi nahi utha...
"kitne alsi ho gaye hain dragons..."
Ron dheere se dragon ke aur pass gaya aur seeti maar di,dragon baukhla kar uth gaya aur Ron ne bina samay gawaye dragon par kudkar baith gaya...
"chal mere ghode..."
Ron ka itna kahna tha ki dragon ne Ron ko jhatak diya jisse Ron neeche gir gaya..
"thik hain ab se ghoda nahi kahunga ,ab chale..."
-------------------------------------------------------------------------------

Raaj ko hosh aa chuka tha ,lekin uski halat ab bhi nazuk thi...Gabriel ke dwara diye gaye zakham ab bhi nahi bhare the...balladonna ab bhi khada tha ...Riya,Aditya ,bilandar aur seth balladonna ke deck par aa gaye the aur aapas me discussion kar rahe the ki aage kya kiya jaye...sabse pahle Riya ne pahal ki...
"Riya-Ron to gaya aur Raaj behosh hain,ship bhi ruka hua hain...main tum teeno se puchhna chahti hoon ki hum aage badhe ya phhir wapas laut chale..."
"seth-Ron ke bina aage nahi badh sakte ,Gabriel aur Morgan hum sabko ek minut me masal ke rakh denge..."
"seth,Ron koyi mashiha nahi hain jo wo hume bachayega ...bina Ron ki sahayta ke hum death iceland tak pahunch gaye the tumhe yaad nahi..."
"mujhe yaad hain,lekin mujhe ye bhi yaad hain ki death iceland se bahar Ron ne hee hum sabko nikala tha na ki Raaj ne aur rahi baat Ron ko mashiha kahne ki to ek baat main tumhe bata doon jab Gabriel ne mujhe aur Aditya ko balladonna ke neeche phenk diya tha to hume Ron ne bachaya tha na ki Aditya ne..."
"seth khud ko shant rakho...lagta hain tum par gahara asar hua hain us ghatna ka..."
seth ye sunte hee baukhlakar uth khada hua aur gusse se Riya ki taraf dekhte hue bola...
"dekhiye mam,ab vaqt aa gaya hain ki aap Ron ke khilaf sazish karena band kar de...Raaj ,Ron ki tarah nahi ban sakta bhale hee uske pass supernatural power kyun na ho aur mujhpar us ghatna ka koyi bura asar nahi hua hain...main ab wahi kar vraha hoon jo mujhe bahut pahle karna chahiy tha..."
Aditya aur bilandar ne beech me na bolne me hee bhalayi samjhi lekin seth ne aisi palti mari thi ki Riya ke samajh me kuch nahi aa raha tha...
"seth ek baar Ron ne tumhari jaan kya bacha di ,tum Ron ko sar par chadhane lage...ye mat bhoolo ki Ron wahi shaksh hain jisne tumhare dost captain Nair ko balladonna se neeche phenk diya tha..."
"captain Nair ab is duniya me nahi hain aur wo nek bahut hee achchhe captain the isme koyi shaq nahi hain...lekin wo Nair aur Ron ke beech ki aapsi ladayi ko balladonna ki ladayi bana di...ab aapko manna padega ki Ron hum sab me behtar hain aur wahi akela jo Morgan aur Gabriel se hum sabko bacha sakta hain..."
"chalo tumhari baat main maan bhi loon ki Ron hum sab me behtar hain lekin masla ye nahi hain masla ye hain ki Ron ab yaha nahi hain aur jaha tak mera manna hain wo ab zinda bhi nahi hoga...."
Riya ki baat khatam hoti usse pahle hee pure mahol me dreagon ki dahad gunj uthi....


sabki nazar samne se aate hue ek dragon par padi...dragon door bhi tha aur bahut uchayi par bhi isliye kisi ko bhi nahi dikh raha tha ki dragon par kaun baitha hain....
"Riya-oh no...Gabriel phhir aa gaya shayad,ab iska mukabala kaise karenge...."
"samne se hato be ye main hoon..."Ron ne teji se charo ko aawaj di...lekin wo Ron ko dekh nahi paye the aur na hee un sabko Ron ki aawaj sunayi di....
"ye sale samne se hat kyun nahi rahe..."
Ron ,dragon ko lekar balladonna ke upar pahunch gaya...dragon ko neeche kaise utara jata hain ye Ron ko maloom nahi tha...
"ab isko neeche kaise le jau.."kahte hue Ron ne dragon ke sar ko neeche ki taraf modna chaha
"abey kaliye neeche chal,main itne upar se nahi kood sakta...."
Ron ki is harkat par dragon neeche jane ke bajay aur bhadak gaya aur Ron ko neeche gira diya....
"ab gaya kaam se....koyi pakdo be...."
aur tej aawaj ke sath Ron balladonna ke deck par aa gira,dragon dahad marte hue waha se chala gaya....
"Riya-ye to Ron hain,lekin abhi tak zinda kaise hain..."
jis dragon par baithkar Ron aaya tha,Aditya us dragon ko jate hue dekh raha tha...
"Ron tune is dragon ko kabu kaise kiya..."
"kisi ne mujhse kuch kaha kya...."
"Ron maine puchha ki tune us dragon ko kaise kabu kiya...."
"main itne upar se gira hoon aur tum log mujhe uthane ki bajay apne behuda sawal kiye ja rahe ho...."
bilandar aur seth ne sahara dekar Ron ko upar uthaya .....Ron ke kapde khoon se sane the aur sath me Ron ke hath bhi kata hua tha...
"Aditya-apna hath kis khusi me kat liya Ron aur ye tujhe kya hua aisi halat kyun bana rakhi hain..."
"pahle pani lao...bahut pyyas lagi hain,salo ne jaan hee nikal di...."
"seth-Ron ko andar lekar chalte hain...."
seth aur bilandar Ron ko apne kandho ka sahara dekar usi kamre le gaye ,jis kamre me Raaj tha....seth aur bilandar dono ne milkar Ron ko ahiste se ek sofe par lita diya aur table par rakhi glass me pani nikal kar Ron ki taraf badhaya.....
"Ron-ye kyade raha hain be..."
bilandar ne ek baar glass me nazar daudayi aur phhir Ron ki taraf dekhkar bola....
"ye pani to hain,tune hee to manga tha...."
"main pani mangu ya sharab mujhe hamesha sharab ki botal hee lakar dena ,ab ja ek botal lekar aa...."
"Aditya-ja billu,sharab lekar aa,maaf karna Ron hum sabse galti ho gayi,tere zakham ko dekhkar ek pal ke liye hum bhool gaye the ki humare samne samundar ka sabse bada tharki hain...."
"tharki,mujhe pasand aaya ye shabd..."
"Gabriel tujhe apne sath kyun le gaya tha aur usne tujhe zinda wapas aane kyun diya...."
"Gabriel mujhe apne sath isliye le gaya kyunki....ummmm.....kyunki haan yaad aaya .....Gabriel mujhe apne sath isliye le gaya kyunki wo mujhe davat dena chahta tha..."
"davat di thi aur tujhe...."
"tumne sahi suna ,Gabriel aur maine milkar kayi dragons ka shikar kiya aur phhir unhe bhoonkar khaya aur aur sath me sharab bhi thi....vakayi bahut maza aaya..."
bilandar sharab lekar aa gaya,Ron ne turant bilandar ke hah se sharab chheen li aur uth khada hua.....uski nazar bistar par lete hue Raaj par padi...
"iski halat kaisi hain....kuch sudhar hua..."
"ab Raaj thik hain....."
"iska achchhe se khayal rakho,ye aage bahut mere bahut kaam aayega....mujhe mere kamre ki bahut neend aa rahi hain aur mujhe aaram bhi karna hain to main ja raha hoon...."
Ron waha se apne kamre ki taraf chala gaya...Ron ke jane ke baad Riya seth ki taraf dekhkar boli...."dekha seth ,usne hume kuch nahi bataya.usne hume nahi bataya ki Gabriel ne use kyun utha lar le gaya tha aur usne ye bhi nahi bataya ki Gabriel ki Gabriel use kaha le gaya tha aur tum kahte ho ki hum sabko Ron ka sath dena chahiye...."
seth ke pass Riya ke sawalo ka koyi jawab nahi tha ,wo chup chap waha se chala gaya....bilandar,Aditya aur Riya wahi khade rahe....
"bilandar- riya wo teesara naksha dena..."
"lekin kyun...."
"main un teeno naksho ko milakar ek baar phhir dekhna chahta hoon ,ho sakta hain kuch samajh me aa jaye..."
Riya ne draw se naksha nikal kar bilandar ko de diya...
"ye naksha adhura sa lagta hain mujhe...kyunki death iceland tak ka rasta to sahi hain lekin uske aage ka rasta kuch samajh nahi aa raha hain...."
"Aditya-mere khayal se kahi wo Spiritual ship wali baat galat to nahi hain...."
"kya matlab hain tera....."
"mera matlab ye hain ki ho sakta hain ki spiritual ship ka koyi wajood na ho...."
"pallora me maine spiritual ship ki kahani bachpan se padhi hain aur sath me usme dafan khajane ke baare me bhi maine bahut suna hain....kitno ne us khajane tak pahunchne ki koshish ki lekin koyi pahunch nahi paya....samundar us jahaj aur us jahaj me maujood khajane ki raksha kar raha hain,aur spiritual jahaj ka astitva hain iska sabse bada saboot hain ki Ron bhi use hasil karna chahta hain....."
"billu main to abhi se soch raha hoon ki jab wo khajana milega tab hum kitne aamir ho jayenge...."
"lekin hume ye nahi bhoolna chahiye ki humare aur us khajane ke beech me Gabriel khada hain...."
"kya Gabriel ko maloom hain ki wo ship kaha hain...."
"use jaroor maloom hoga..lekin wo us khaje ko le nahi sakta


"use maloom jaroor hoga ki khajana kaha hain lekin Gabriel us khajane tak pahunch nahi sakta..."
"Gabriel us khajane tak nahi pahunch sakta,ye kaise ho sakta hain....use to is pure samundar me koyi nahi rok sakta...."
"Aditya,jab Martin spiritual jahaj ko lekar death iceland se bhaga tha tab Gabriel ne Martin ko marne ke liye samundar me bawandar utha diya tha ,jisse Martin spiritual jahaj ke sath samundar ki gahrai me kho gaya...aur jab tak ye naksha pura nahi hota hum log bhi kuch nahi kar sakte..."
"tere kahne ka matlab ye hain ki hum logo ko samundar ki us khaufnak gahrayi me jakar ship ko lana padega...."
"hume yahi karna padega,yadi wo beshumar khajana chahiye to...."
"phhir to ye namumkin hain"
Ron apne kamre me aaram kar raha tha,kisi ne darwaje par dastak di to Ron ne kamre ka darwaja khola ,samne Aditya khada tha....
"tujhe kya chahiye..."
"muujhe kuch puchhna hain tujhse....."
"kya..."
"sabse pahle ye bata ki Gabriel tujhe utha ke kyun le gaya tha,aur tu waha se zinda wapas kaise aaya..."
"bataya to tha ki Gabriel ne mujhe davat pe bulaya tha..."
"mujhe bewkoof samajhta hain...kisi ko bhi yakin nahi hoga ki Gabriel ne tujhe apne thikane par bulaya tha aur tere zakham dekhkar to aisa bilkul nahi lagta..."
"sala isko to sach batana hee padega"Ron dheere se badbadaya...
"kya bola be...."
"tu janna chahta hain ki Gabriel ne mujhe kyun bulaya tha..."
"haan...."
"sach me janna chahta hain...."
"main kya tujhe majak ke mood me dikh raha hoon..."
"to sun Gabriel is mahan Ron ka bhai hain yani mera..."
"kya"
"abhi se mu fad liya,jab aage maloom chalega to tera haal kya hoga ye dekhne layak hoga..."
"kuch der rook be main abhi sadme me hoon ye jaankar ki Gabriel tera bhai hain...."
"to Gabriel ne mujhe balladonna se isliye uthaya tha kyunki wo mere khoon se apni shaktiya wapas hansil kar sake....is baar bhi jhatka laga..."
"is baar koyi asar nahi hua aage bol..."
"lekin maine unke yojana ko asafal karte hue waha se bhag gaya ,aur tujhe jaankar behad dhakka pahunchega ki main dewan ko upar pahuncha diya hain..."
"iska matlab humara ek dushman khatam....lekin ye sunkar bhi mujhe kuch nahi hua..."
"kuch nahi hua phhir ye sun main khud ek dragon holder hoon,aur mere pass bhi wo shaktiya hain jo Morgan ke pass hain..."
Aditya ko ye sunkar bahut tej jhatka laga ,aur usne apne seene me hath rakhkar bola...
"phad di tune to,sala dil ne kaam karna band kar diya hain..."
"lekin meri shaktiya khatam ho gayi hain aur mera dragon bhi mere pass nahi hain...."
"sale teri to ,phhir kis baat ka dragon holder hain to..."
"mujhe sirf Gabriel maar sakta hain...aur mera dragon bahut jald hee mere sath hoga..."
Aditya do kadam peechhe gaya aur ek baar Ron ko upar se neeche tak dekhne laga...
"tu sach bol raha hain..."
"abey ullu ,isiliye main us samay nahi mara ,jab lisa aur dewan ne mere pet me apni talwar ghused di thi...."
"chal wo sab to thik hain...lekin bilandar kah raha tha ki jo teen nakshe unke pass hain wo adhura hain,bilandar ka ye bhi kahna hain ki shayad nakshe ka ek aur hissa death iceland me rah gaya hain...."
"bilandar ne aisa kaha...."
"teri kasam"
"shakal se to utna hoshiyar nahi dikha mujhe lekin bilandar ne jo kaha wo sach tha Char nakshe hone chahiye tab hum mere jahaj tak pahunch sakte hain..."
"tujhe maloom hain kya ki nakshe ka aakhiri hissa kaha hain..."
"maloom hain"
"kaha hain nakshe ka aakhiri hissa..."
"meri jep me hath daal..."
Aditya ne waisa hee kiya lekin Ron ki jeb khali thi...
"abey isme to kuch bhi nahi hain..."
"dusari jeb me dekh...."
Aditya ne dusari jeb bhi dekh dali magar naksha waha bhi nahi tha...
"yaha bhi nahi hain...."
"phhir peechhe wali jeb me dekh...."
Aditya ne phhir wahi kiya lekin nateeja pahle ki tarah hee tha Ron ki jeb bilkul khali thi....
"abey yaha bhi nahi hain"
"waha jab hoga tab na tujhe milega...naksha to maine aate hee bistar ke neeche chhupa diya"
"phhir gand marane ke liye jeb me hath dalwa raha tha..."
"ashleel baate"
Aditya teji se bistar ki taraf badha aur naksha nikal liya....
"yahi hain kya naksha..."
"nahi meri jeb me dekh"
"sala kameena kahi ka..."
Aditya ne badbadate hue nakshe ke aakhiri hisse ko khola ,us nakshe ko dekhkar Aditya ko kuch samajh nahi aaya lekin uski nazar nakshe me bane ek samundari bawandar ko dekh kar bola...
"bilandar bhi ek bawandar ki baat kar raha tha,kya ye yahi bawandar hain..."
"kabhi is bawandar ka samna kiya hain...."
"nahi...lekin tune to kiya hoga "
"isi bawandar ne mere jahaj ko mujhse chheen liya tha..."
"bilandar ye bhi kah raha tha ki spiritual ship tak koyi nahi pahunch sakta kyunki wo ship samundar ki gahraiyo me dafan hain aur usi raksha khud samundar karta hain...."
"ye bawandar ne hume samundar tak pahunchayega...is bawandar ke sampark me aane wale sabhi chiz ko ye devils traingle ke beechobeech lejakar patak deta hain...."
"lekin tu jahaj ko layega kaise....."
"tujhe kya lagta hain mera name samundar ka shikari yun hee pad gaya,samundar ko cheer kar jaaj ko launga



"kya hua hoga Ron ke sath,Gabriel kyun Ron ko apne sath le gaya aur ab Ron aage kya karne ki soch raha hain....."Riya inhi sab baato ko lekar khayalo me doobi hui thi...
"Riya pani do..."
"Raaj lete raho,isse tumhe aaram milega..."
"ab main achchha mahsoos kar raha hoon..."
Riya ne Raaj ko pani diya...pani peene ke baad Raaj bistar se uthkar khada ho gaya....
"jahaj chal nahi raha kya..."
"engine me kuch problem aa gayi hain...."
"jab main behosh hua tha to uske baad kya hua..."
"hmmm uske baad Gabriel,Ron ko apne sath le gaya tha aur us din ke baad balladonna khada hee hain..."
"Gabriel,ron ko utha ke le gaya...yani jo kaam hum karne wale the wo Gabriel ne kar diya..."
"lekin Ron wapas aa chuka hain..."
"wapas aa gaya,lekin ye kaise mumkin hain,Ron se tum logo ne puchha nahi ki waha kya hua tha aur Gabriel use utha ke kyun le gaya tha..."
"humne sab puchh liya Raaj lekin Ron ne kuch nahi bataya..."
"wo sala aise hee hain,ek baar bas mere hath me aa jaye..."
"ek buri khabar hain,Raaj..."
"buri khabar....."
"wo buri khabar ye hain ki seth ,Ron ki tarafdari kar raha hain..."
"mujhe uspe pahle hee yakin nahi tha khair chhodo aur ye batao ki Aditya aur bilandar kiski taraf hain..."
"abhi tak maine jo dekha hain uske mutabik yahi kaha ja sakta hain ki Ron kela hain...Aditya aur bilandar ,Ron ki taraf hone ka dhong kar rahe hain..."
"Riya main tumhara hamesha sath dunga,chahe kuch bhi ho jaye"
*****************************
seth aur Aditya balladonna ke engine ko thik karne me jute the...bilandar apne hath me naksha liye aage ka rasta dhoondane ki koshish kar raha tha...aur Ron apni adat ke anusar hath me sharab ki botal liye mast khada tha.....
"aditya enginegear bahut change karna padega..."
"mujhe bhi yahi lagta hain.extra to rakhe hee hoge tum..."
"haan.."
"to leke aana ,yaha khade rahkar kya dekh raha hain..."
seth gear lene ship ke andar chala gaya,Ron bahar khada hokar sab dekh raha tha...bilandar ab bhi naksha dekh raha tha...
"billu tu chhod de tere bas ki nahi hain ye sab..."
"Ron tu spiritual ship ke baare me aur kya kya janta hain..."
"kuch bhi nahi..."
"main mazak ke mood me nahi hoon"
"tu bas us jahaj ke baare me bas itna jaan le ki wo jahaj jab bhi samundar me chalega uska captain main hee rahunga..."
"sapne bahut achchhe hain..."
"mujhe sapno ko haqiqat me badalna achchhi tarah aata hain..."Ron ne sharab ki botal ko samundar me phenk kar kaha...
"billu,tu apni jaan ki parvah mat karna....samundar tere sath hain..."
bilandar ,ron ko dekhta rah gaya... Aur Ron waha se aage badh gaya...
"sala ye hota kaun hain meri zindagi ka faisala lene wala,jab mauka milega to sabse pahle isiko marunga..."
Raaj bahar aaya,sabse pahle usne apne dono hatho ko upar uthakar angdayi li....
"ab mujhe achchha lag raha hain..."
"zakham kaisa hain tera..."
"Ron...suna hain tujhe Gabriel utha ke le gaya tha..."
"Gabriel hoshiyar aur himmatwale logo ka deewana hain aur use is pure balladonna par main hee ek dikha..."
"tera ye guroor main bahut jald tod dunga..."
"pichhale kayi salo se tere jaise kitne aaye aur chale gaye...apne gusse par kabu rakh aage bahut kaam aayega..."
"tu us din ka intejar kar Ron ,jab mujhe tujhse bhidne ka koyi mauka mil jayega...us din tere itne salo ka intejar khatam ho jayega aur sath me tera guroor bhi..."
"chal aaja isi khushi me do jam ho jaye...."
"jam me pani samundar ka hona chahiye...waise jam ka intejaam kar..."
*****************************
"Malik ab aapki aage ki kya yojna hain...Ron se badla kaise lena hain..."
"ab use marne ka keval ek hee tarika hain,main use lejakar wahi patak dunga jaha uske jahaj ko dooba diya tha...uska bhi wahi haal hoga,jo uske jahaj ka hua tha"
" ye kaise mumkin hain malik,yadi aap aisa karna chahte hain to aapko ek baar phhir se wo samundari bawandar uthana padega..."
"isse koyi farak nahi padta Morgan,tumhe to khush hona chahiye ki Ron us bawandar se mar jayega..."
"lekin Malik aapki shaktiya khatam ho jayegi yadi aapne aisa kiya to...."
"mere sath mera dragon to hamesha rahega...ye taqat chali bhi jaye to ab koyi farak nahi padega...mujhe to hamesha is baat ka afsoos rahega ki wo khooni bawandar do baar ek hee shaks ke le liye uthaya gaya..."
"aur lisa,ab uska kya karna hain..."
"lisa,abhi hume uski jaroorat hain...wo humari dhal banegi,,,main Ron ko achchhi tarah janta hoon...lisa ko wo kabhi nahi marega aur main Ron ki is kamjori ka fayda uthaunga..."
"Malik ,Ron kah raha tha ki uska dragon wapas aane wala hain..."
"kuch logo ko khuli ankho se sapna dekhne ki adat hain,lekin Ron aisa nahi hain usne yadi aisa kaha hain to jaroor uske pass turup ka ekka hain,jise usne sambhal kar rakha hain....lekimain yaha koyi tash ka khel nahi khel raha hoon..."
_


"Ron ab tera aage ka kya plan hain..."
"plan matlab..."
"yojana ab aage kya karne ki soch raha hain..."
"main soch raha hoon ki Riya ki ek aur baar kaise li jayi..."
"main mazak bilkul nahi kar raha "
"tujhe ye mazak lag raha hain...main sach me Riya ki lena chahta hoon...yadi tujhe yakin na ho to mere dil se puchh le..."
"abey oye chutiyapa band kar aur ye bata ki hume aage kya karna chahiye..."
"hume aage kya karna chahiye...hmmm iska matlab tu bhi wahi karega jo main karunga..."
"main hee nahi sabhi wahi karenge....ab jaldi se bata..."
"nahi nahi tum log wo nahi kar paoge jo main karne wala hoon..."
"abey tu sirf itna bata ki tu aage kya karna wala hain...baki hum par chhod de ki hum wo karenge ya nahi..."
"abey Aditya tum log wo kar hee nahi sakte jo main abhi karne wala hoon..."
"iska matlab tu abhi kuch karne wala hain ,jaldi se bak de Ron warna wo lohe ki Rod dekh raha hain na wahi rod puri ki puri tere pet me ghusa dunga..."
Ron ki nazar rod ki taraf gayi...
"bahut bada hain wo rod lekin yadi tu aisa kar bhi leta hain jo ki tu kar nahi payega phhir bhi mujhe koyi asar nahi hoga ,ye baat tu achchhi tarah se janta hain..."
"dard to hoga na..."
"bahut jyada dard hoga aur zakham o thik hone me kayi din lag jayenge..."
"phhir mera dimak satak jaye aur main wo rod tere pet me ghusa doon usse pahale hee bak de ki tu abhi kya karne wala hain..."
"tujhe kuchh mahsoos nahi hua..."
"nahi"
"apni aankhe band kar aur kuch der shant khada rah..."
Aditya ne apne daant peeste hue Ron ke kahe anusar apni aankhe band karke shant khada ho gaya...abhi kuch hee der hue the ki balladonna puri tarah hilne laga...dusari taraf khada bilandar neeche girne se bal bal bacha....Aditya ne hadbada kar apni ankhe kholi....
"kuch mahsoos hua..."
"mahsoos....abey idhar to dil hee dahal gaya mujhe aisa laga ki balladonna se koyi bahut bada dragon takra gaya hain...."
"samne dekh...."
"abey ye to wahi bawandar hain jispe main doobte doobte bacha tha...lekin ab to gaye kaam se...."
seth ,Raaj aur Riya bhi deck par aa gaye aur ek sath chillakra puchha...
"abhi kya hua..."
"Aditya-samne dekho...."
"ye to samundri bawandar lag raha hain...."Riya boli...
"mere pass is bawandar ka ilaj hain tum sab yahi ruko main abhi aaya..."
Ron to ship ke andar chala gaya...lekin bahar khade sabhi logo ke dil ki dhadkane badhti ja rahi thi....bawandar aur pass aata gaya aur bada bhi hota gaya...
"Raaj-main ise rokne ki koshish karta hoon..."
"Aditya-rahne de ,kuch nahi hoga isse...ye bawandar balladonna ko lekar hee doobega..."
"apni bakwas band kar,yun hath par hath rakh ke tamasha dekhne se to achchha hee hain ki main ise rokne ki koshish karu...."
"bilandar-Aditya sahi kah raha hain Raaj,ab is bawandar ka koyi tod nahi hain...yadi hume apni jaan bachani hain to uske liye sirf ek rasta hain aur wo ye hain ki hum sab balladonna se neeche kud jaye..."
"Riya-yadi hum balladonna se neeche kud bhi jaye to bhi hum nahi bachenge...yaha se death iceland bahut door hain waha pahunchte pahunchte humari saan humare sharir se nikal jayegi..."
"koyi kashti hain...."
"kuch bhi nahi hain yaha....aur ye Ron kaha rook gaya..."
"main aa gaya janeman....waise kuch bhi kaho nazara bahut mast hain..."
"ye mazak ka vaqt nahi hain Ron..."
"main mazak nahi kar raha janeman aur Aditya tune mujhse kuch der pahle puchha tha ki main kya karne wala hoon...."
"jaldi bata,kya pata kismat se hum sabki jaan bach jaye..."
"main is bawandar me kudne wala hoon..."
ye sunkar sab bhauchakke se Ron ko dekhne lage....
"seth-tera dimak to sahi hain...tujhe maloom bhi hain ki tune abhi kya kaha hain..."
"ye bawandar mere liye hain...jaise hee main isme gaya to ye wapas laut jayega...aur tum logo ki jaan bach jayegi....Bas tum log ek kaam karna kisi bhi tarah se balladonna ko chalu karke puri gati se wapas chale jana..."
"aur us khazane ka kya hoga jiske liye hum yaha tak aaye..."
"jaan se jyada khazana pyara hain kya tumhe...jitna kaha utna karo warna jaan se jaoge..."
sab hairani se Ron ki taraf dekh rahe the..kisi kke pass koyi shabd hee nahi the ki wo Ron ko jawab de aur use aisa karne se rok de...Ron ko swarthi kahne wale aaj sabhi apni jaan bachane ke liye swarthi ban gaye the...
"Riya-Ron tumhe maloom bhi hain ki tum karne ja rahe ho...Ron,is samundar ki gahrayi se aaj tak koyi bach ke nahi nikal paya..is gahrayi ke aagemaut ki gahrayi bhi kam pad jaye..aaj is samundar ke khooni bavandar me ship memaujod har shaks marega...
Ron-tum chinta mat karo jan,main is khooni bawandar se nipat lunga..tum sab ke sath ship ko leke aage badho..samundar ke shikari ko samundar dooba nahi sakta..bas mera name yaad rakhna......THE RON! "
bawandar karib aata gaya...sabki nazare Ron par tik gayi...
"jane se pahale tum sab se ek baar gale milna chahta hoon..."
sabse gale milne ke baad Ron samundar me kood gaya..aur jald hee us khooni bawandar ke andar ghus gaya....sabhi Ron aur bwandar ko dekhte rahe...bawandar ab wapas jane laga tha...sab balladonna ki deck par khade hokar us bawandar ko dekhte rahe


Balladonna ke deck par khade hokar sabhi us bawandar ko jate hue dekhte rahe...ab unhe us vishal bawandar me Ron kahi bhi dikhayi nahi de raha tha...
"Riya-wo chala gaya...."
"Raaj- ye to hona hee tha ,samundar ke shikari ko aakhirkar samundar ne nigal hee liya..."
"mujhe ummid hain uski shakal hum dubara nahi dekhenge..."
"Seth-ek minut ruko...hum itne swarthi kaise ho sakte hain...hume Ron ko dhoondana chahiye...kya pata wo shayad bwandar se nikal gaya ho..."
"bilandar-wo nahi bachega...."
"tujhe kaise maloom ki wo nahi bachega..."
"ek baar bola na nahi bachega bas baat wahi khatam ho jati hain..."
"sala jungali kahi ka..."
"kya bola tune..."bilandar,seth ki taraf gusse se badhne laga,mahol ko bhanpkar Aditya ne bilandar ko pakad liya...
"chhod Aditya ,isne mujhe jungali kaha ...abhi isko dikhata hoon ki main kya chiz hoon..."
"tu mujhe dikhayega...to aana rook kyun gaya phhat gayi kya.."
"sale tu aaj gaya kaam se..."
"Raaj-chup raho dono wana dono ko samundar me phenk dunga..."
"seth-mujhe mat bol Raaj,main balladonna ka captain hoon...is sale jungali ko neeche phenk..."
"tune mujhe phhir jungali kaha..."bilandar ne khud ko Aditya se chhudaya aur Seth ki taraf badha...
"aaja jungali..."
seth bhi apni taraf aate hue bilandar ki taraf badha...lekin dono ke beech ladayi shuru hoti usse pahle hee Raaj ne un dono ki gardan pakad ka hawa me utha diya...
"tum dono ab shant rahoge ya nahi..."
bilandar aur seth ka dam ghut raha tha dono ne ghuti hui aawaj me jawab diya ki dono ab ladayi nahi karenge...Raaj ne dono ko neeche patak diya aur hath jhadte hue bola...
"meri shaktiya din b din badh rahi hain..."
*****************************
Ron bawandar ke andar ghusta hee ja raha tha...Ron ko chakkar aane lage the aur sath me uske ateet ke kuch pahalu uske ankho ke samne khul rahe the...
Jab Ron chhota tha aur Gabriel apni jawani ke dahleej par kadam rakh chuka tha... tab dono apne parivar ke sath kisi iceland par rahte the...unhi dino Ron aur Gabriel iceland me ghumne akele chale gaye...
"Gabriel-Martin dekh kar chalna ho sakta hain yaha ko janwar chhupa ho..."
"main nahi darta in dragons se..."
"sach me nahi darta ya phhir mujhe apni himmat dikhane ki koshish kar raha hain..."
"bhaiya aap wo sab chhodiye aur ye bataiye ki mere kandhe pe bane is nishan ka kya matlab hain...."
Gabriel ,aage chal raha tha lekin usne jaise hee nishan wali baat suni wo wahi rook gaya..
"tune abhi kya bola..."
"mere kandhe par bane is nishan ka kya matlab hain...kya main bhi aapki tarah dragon holder hoon..."
"ye nahi ho sakta..."Gabriel daudkar Martin ke pass aaya aur uske kapde phad diye...."ye bilkul bhi nahi sakta..."
"kya nahi ho sakta bhaiya..."
"tune ma se puchha ki is nishan ka matlab kya hain..."
"ma ne bataya ki main ek din bahut bada yoddha banunga aur ek din mere pass aapse bhi jyada shaktiya aa jayengi...lekin maa ne ye bhi kaha tha ki main ye baat aapko na batau...."
"mere sath dhoka..."Gabriel chillane laga...aur Martin ko uthakar door patak diya...
"Martin,tune abhi kaha tha ki tu dragons se nahi darta"Gabriel ke aisa kahte hee kayi dragon waha pahunch gaye....
"khatam kar do,is sapole ko,warna aaj tumhari khair nahi..."Gabriel kahte hue waha se ghar ki taraf lautne laga...usne apni talwar apne hatho me le li aur ghar aate hee sabse pahale apni pita ka sar kat diya....aur teji se ghar ke andar ghus gaya....
"ma kaha ho tum ......"
Gabriel ki ma andar kamre me bimar padi so rahi thi...Gabriel ki aawaj sunkar usne Gabriel ko andar aane ke liye kaha....Gabriel apne pita ke khoon se sani talwar ko lekar seedhe apne ma ke kamre me ghus gaya....
Dusari taraf Martin dragons se apni jaan bachane ke liye ke liye teji se iceland ke aabadi wale kshetra ki taraf bhag raha tha..lekin uska pair ek pattharse ja takraya aur wo gir pada...Martin ne uthane ki bahut koshish ki lekin wo uth nahi pa raha tha...dar ke karan usne apni aankhe band kar li...usi samay uski ankho me kuch chamka...usne dheere dheere apni ankhe kholi...aur usne dekha ki uske kandhe par bane nishan se bahut tej roshani nikal rahi thi....aur kuch der baad nishan wala hissa jalne laga...sabhi dragon jo Martin ko marne ke liye uske peechhe aaye the unki ankho me khauf ki lahar chha gayi aur sabhi dragon waha se bhag gaye sivay ek ko chhodkar...wo dragon dheere dheere Martin ki taraf badhta chala gaya...jaise jaise dragon Martin ki taraf badhta Martin ki saanse tej hoti chali gayi..ab wo dragon Martin ke bilkul karib aa chuka tha aur wo kabhi Martin ko to kabhi Martin ke kandhe par bane nishan ko ghoorta...Martin ne dragon ki ankh me apne kandhe par jalte hue nishan ki lapte dekhi aur uske baad Martin ne jo dekha uspar use yakin hee nahi hua...wo dragon dheere dheere apna rang badal raha tha...wo dragon puri tarah se ek safed dragon me badal chuka tha...aur uske agle hee pal Martin ko aisa laga ki jaise wo us safed dragon ko samajh sakta hain..Martin ne dragon ki ankho me darte hue dekha aur bola..."mujhe apne Maa aur Pitaji ki jaan bachani hain...."
 

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,483
159
Congratulations for reposting the story,a small suggestion maintain some time gap between updates so that people can post reviews
 
Last edited:
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Spider-Man

New Member
88
116
18
T H E E N D

Martin ne dragon ki ankho me darte hue dekha aur bola..."mujhe apne Maa aur Pitaji ki jaan bachani hain...."
us dragon ne jaise Martin ki aawaj ko samajh liya ho...wo ekdum shant ho gaya aur Martin ki ankho me jhakne laga...
"mujhe apne Maa aur Pitaji ki jaan bachani hain...kya tum samajh sakte ho ki main kya kahna chah raha hoon..."kahte hue Martin ne us safed dragon ko darte hue sahlaya...dragon baukhala gaya aur Martin ko pakad kar upar udd gaya...
"ye mere ghar ka rasta nahi hain..."Martin teji se chillaya...aur jawab me dragon ne Martin ko uchayi pe lejakar chhod diya..Martin neeche girne laga...
"bachao....."
Martin teji se neeche gir raha tha...aur uske peechhe peechhe Dragon bhi...achanak us safed dragon ke pankh toot kar Martin ki taraf girne lage aur thodi hee der me Martin ke kandhe se dono pankh is tarah jud gaye jaise Martin paida hee in pankho ke sath hua ho...Martin aasman me udne laga...
"ye to kamal ho gaya...uuuhhhhhoooo...main udd sakta hoon,mujhe yakin nahi ho raha..."
safed dragon seedhe jakar Martin se ja takraya...dragon ke bhari vajan ko Martin sambhal nahi paya aur neeche gir gaya.lekin wo jaise hee utha use yakin nahi hua...uske hatho aur pairo me dragon ki parat zam chuki thi...Martin apne sharir ko sahlakar dekhne laga...
"ye to sachmuch bahut lazwab hain...chalo dost ab apna kaam pura kare..."
*****************************
"beta Gabriel tum itne gusse me kyun ho..."
"tumne mujhse jhoot kaha Maa,tumne mujhse jhoot kaha ki Martin ek sadharan bachcha hain...tumne mujhse ye bhi kaha tha ki Martin ke kandhe pe bana nishan kuch dino me mi jayega...maine bilkul sach kaha na..."
Gabriel ke hath me khoon se sani talwar dekhkar uski Maa samajh chuki thi ki Gabriel ne gusse me aakar apne pita ki hatya kar di hain...
"Gabriel tumne apne pita ko maar dala..."Wo rote hue boli...
"tumne bilkul sahi andaza lagaya...ab tumhari bari hain..."
"lekin kyun..."
"kyun mara maine unhe ye janna chahti ho..."Gabriel ne apni maa ko bistar se utha ke neeche patak diya"tumhari vajah se mara maine apne pita ko yadi tum mujhse jhoot nahi bolti...par ab iska kya fayda ma ab to sab kuch khatam ho gaya..."
"hosh me aao Gabriel..."
"hosh me to aap nahi thi...aapne mujhe pahale kyun nahi bataya tha ki mera chhota bhai bhi dragon holder hain...is samundar par meri hukumat hogi kis ore ki nahi...ab yadi us hukumat ke beech me mere Ma-baap ya mera bhai bhi aayega to bhi main nahi rukunga...aur iski shuruat ho chuki hain..."
Gabriel ne apni talwar upar uthayi hee thi Martin dragon holder ke roop me waha aa pahuncha...
"rook jayiye bhaiya....aap aisa nahi kar sakte...."
"to tu abhi tak zinda hain..oho tera dragon bhi tere sath hain..."
Martin ne jyada samay na gavate hue Gabriel par kud pada..dono ghar se bahar aa gire...Gabriel bina dragon ke Martin ke samne kamjor pad gaya aur jald hee wo haar gaya...
"ye pitaji ki maut ke badle..."kahte hue Martin ne Gabriel ki talwar uthayi...lekin Gabriel ko Martin maar nahi paya...uske hath kanpne lage...
"main aapke jaisa nahi hoon..."
"tu kamjor hain Martin...."
Martin ne apne dono hath hawa me uthaye aur Gabriel ko door phenk diya...
"Martin,,,,,"
Martin rote hue apni maa ke pass pahuncha"Maa tumhe kuch nahi hoga..."
Martin ki maa ne uske dragon se jude sharir ko sahlate hue boli...
"tumhara drogan tumhe mil gaya bete...ab jaldi se yaha se bhag jao,,,Gabriel dubara aayega..."
Martin ki maa ne itna kaha hee tha ki pure ghar me samundar ka pani bharne laga...dragon Martin se alag hokar waha se chala gaya..aur Martin samundar ke us badh me bahte hue death iceland aa pahuncha...
Ron ne dekha ki wo bawandar ke andar ghusta ja raha hain...uska dam ghutne laga tha.. Ron ne apni ankhe kholne ki koshish ki lekin use kuch nahi dikh raha tha...bawandar ab shant ho chuka tha...Ron ne mahsoos kiya ki wo samundar ki satah par pahunch chuka hain...waha bahut andhera tha...
"mujhe maloom tha ki yaha aisa hee andhera hoga isiliye maine balladonna se tourch maar li..."Ron ne khud se kaha..aur tourch lekar aage badha...use tourch ki roshani me spiritual ship ki ek jhalak mili....
"mil gaya mera jahaj...duniyawalo Captain Martin...maaf karna Captain The Ron is back...."khud ko sarahte hue Ron aage spiritual ship ki taraf badh gaya...
------------------------------------------
"bilandar- Raaj wo apne dono nakshe to dikhana..."
"ab un naksho ka kya karega..."
"main chahta hoon ki ab humare pass aisi koyi bhi chiz na rahe jisse Gabriel hum par dobara hamla kare..."
bilandar aur Raaj dono ne apne jeb me hath dale lekin naksha un dono ke pass nahi tha..
"abey Raaj mere pass naksha nahi hain..."
"mere pass bhi nahi hain..."
"Raaj-Riya ek naksha jo tumhare pass tha use lana..."
Riya bhagti hui balladonna ke andar gayi...aur kuch der baad wapas aa gayi...
"Raaj naksha waha bhi nahi hain..."
"Raaj-zara ruko tumhe yaad hain Ron bawandar me kudne se pahale balladonna ke andar gaya tha aur wo humse gale bhi mila tha..."
"iska matlab ye hua ki us sale ne naksha chura liya aur hume pata bhi nahi chala.."



"Morgan- Malik,Ron to us bawandar me sama gaya..lekin wo marega nahi..."
"mujhe maloom hain Morgan ki Ron ko koyi na koyi kinara jaroor mil jayega...lekin is bawandar ke jariyr jo main maloom karna chahta tha wo mujhe maloom ho gaya..."
"aap kis baat ka pata lagana chahte the Malik..."
"mujhe abhi bhi yaad hain,jab Ron humare kabje me tha to usne mujhse kaha tha ki uska dragon abhi zinda hain,yadi aisa hota to uska dragon use us bawandar se bachane jaroor aata...lekin wo nahi aaya iska matlab saaf hain ki Ron akela hain..."
"aap aage ki yojana kya hain Malik..."
"aage ki yojana..."Gabriel hasne laga"dragons ki sena lekar khatam kar do sabko...."
"Malik aapke liye Ron khatra hain,uske baki ke namunese nahi...phhir aap un becharo ko kyun marna chahte hain..."lisa jo abhi-abhi waha aayi thi usne Malik se kaha...
"lisa jinhe tum namuna kah rahi ho unlogo ne hee Ron ki madad ki...unhi logo ne humare kayi sathiyo ko mara....jung chhid chuki hain...aur maut ab sabki hogi...Morgan jaldi se hamle ki taiyari karo....jeet humari hogi..."
Morgan waha se chala gaya...Morgan ke jane ke baad Gabriel lisa ki taraf badha aur lisa ke kandho par hath rakhkar bola..."lisa yadi tum dragon holder hoti to kya karti...."
"yadi main dragon holder hoti to ye nahi puchhati ki mujhe kya karna hain....seedhe jakar Ron ke seene me wo khanjar ghusa deti jo usne dewan ke seene me ghusaya tha...."
Gabriel ne apne hath ko upar uthaya...teji se ek khanjar uske hath me aa gaya....
"ye lo lisa wo khanjar....ye wahi khanjar hain jis khanjar se Ron ne dewan ko mara...aur rahi dusari baat to main tumhe dragon holder bana sakta hoon...."
lisa ne khanzar apne hath me le liya aur khanjar ko sahlati hui boli"kya ye sach me mumkin hain ..."
"dragon holder ko rokne ke liye kayi saal pahale ek mantra taiyar kiya tha ,jiske anusar us mantra ko jo bhi padhe wo kisi bhi dragon ke sath jud kar dragon holder ban sakta tha...aur us dragon ki shaktiya us shaks me aa jati thi jisne aisa kiya tha...aur mujhe wo mantra yaad hain..."
"mujhe yakin nahi ho raha hain Malik ki main bhi ek dragon holder ban sakti hoon...."
"lekin isme khatra bhi hain lisa...tum dragon holder kuch hee samay ke ban paogi aur jab wo dragon tumse alag hoga to wo tumhari jaan lene se nahi chukega...kyunki kisi bhi dragon ko ye pasand nahi kikoyi uspar ukumat kare..."
"kya aapka dragon bhi aap par hamla karta hain...."
"main janam se ek dragon holder hoon lisa...mujhe koyi khatra nahi hain..."
"mujhe manjoor hain..."
"bahut achchhe phhir Ron ka samna ek nahi teen teen dragon holder se hoga..."
"teesara kaun hain..."
"Morgan ko itani jaldi bhool gayi...."
*****************************
Raaj balladonna me chahal kadmi karte hue Ron ko galiya bak raha tha...
"sala chor kahi ka...marte marte bhi usne apni aukat dikha di...kahi hume wo khazana na mil jaye isliye usne wo naksha apne sath lekar chala gaya..."
"Aditya-tujhe vakayi me lagta hain ki Ron mar chuka hain..."
"wo to gaya ab yadi tu uski tarafdari karega to tujhe bhi usi ke pass pahuncha dunga..."
"abey oye laparjhandis ,ye apni shaktiyo ka rubab kahi aur dikhana..."
"ab to tu gaya kaam se..."
"aaja sale,abhi tujhe line pe lata hoon...."
har baar ki tarah is baar bhi Riya ne beech bachav karke Raaj ko shant kiya...aur Aditya ko waha se jane ke liye kaha...
"Aditya-mere pass ek sharab ki ek aakhiri botal hain...jisko bhi peena ho mere sath chale..."
"abey ullu ke dum naksha to Ron ke liye nikal gaya...ye botal hee khali kar de..."bilandar ne botal ki taraf dekhkar socha aur turant hee uthkar khada ho gaya...
"main aata hoon sath me..."
bilandar aur Aditya waha se chale gaye...tabhi seth chillaya..
"samne dekho ,Gabriel apni dragon ki sena lekar aa raha hain..."
"Riya-ye to bahut jyada hain ,ab kya karenge..."
samne se ek dragon aata hue balladonna se ja takraya...balladonna ka samne ka hissa puri tarah tahas nahas ho gaya....
"Raaj-jaan bachani hain to ..."Raaj olte bolte hee rook gaya...
"tum rook kyun gaye bolo jaldi ki hume kya karna chahiye..."
Raaj ki aawaj hee gale me atak gayi thi,usne samne ki taraf ishara kiya...
"Lisa-yaha to teen teen dragon holder hain..."
"sabhi neeche kud jao...."
Raaj,lisa aur seth to neeche kud gaye lekin bilandar aur Aditya balladonna ke dusare hisse me baithe sharab pee rahe the...
"bilandar-abey tujhe koyi aawaj sunayi di..."
"chadh gayi hain be tujhe...yaha ka mahol to ekdum shant hain..."
tabhi Gabriel ne apne farse ko balladonna par patak diya...aur apni shaktiyo se baladonna ko nast karne laga...
"lisa aur Morgan tum dono un teeno ko maro jo abhi balladonna se neeche kud gaye hain...main inke jahaj o tabah karta hoon..."
aisa kahte hee Gabriel aasman me udd gaya aur tej gati se wapas upar se balladonna par kud gaya...balladonna puri tarah toot gaya...
"Aditya-abey mujhe aisa kyun lag raha hain hum neeche ja rahe hain..."
"abey tujhe chadh gayi hum neeche nahi ja rahe hain samundar ka pani upar aa raha hain..."
tabhi un dono ko samundar ke andar kuch halchal sunayi di..."



"abey tujhe kuch sunayi diya..."
"mujhe aisa lag raha ki humlog sapna dekh rahe hain...ab ye dekh jo shaks samne khada hain use dekhkar aisa lag raha hain ki wo Gabriel hain...lekin wo Gabriel nahi hain...de tali..."
"tum dono ki koyi aakhiri khwaish hain"Gabriel un dono ki taraf badhta hua bola...
"abey iski aawaj bhi Gabriel ki tarah lag rahi hain...lagta hain ye sharab bahut kadakdar hain..."bilandar ne sharab ki botal ko chumte hue kaha...
Tabhi puri tarah se barbaad ho chuka balladonna ship buri tarah se hil gaya...ek baar to Gabriel bhi ghabra gaya ki ye kya ho raha hain...Riya aur Raaj ko Morgan aur lisa ne jakad liya tha,aur un dono ko marne ke liye bilkul taiyar the...tabhi samundar ko cheerte hue ek jahaj bahar nikla...sabki aankhe phhati ki phhati rah gayi...wo spiritual ship tha...jo balladonna ship se dugna bada aur kayi guna chauda tha...spiritual ship ke samne nukeele wale hisse me maut ka nishan bana hua tha...wo jahaj kale kapdo se puri tarah dhaka hua tha...dheere dheere jahaj puri tarah saundar se bahar aa gaya...sabki aankhe us jahaj par gadi thi...tabhi Ron bahar aaya..uske gale me sone ki ek mala latak rahi thi aur sone ki kayi angutthiyo ko usne apne ungali me pahan rakkha tha...
"dekh kallu,kabhi dekha hain ye sona..."
Morgan ne Gabriel ki taraf dekha ....Gabriel ne Morgan ko shant rahne ke iye ishara kiya...mauka dekhkar Aditya aur bilandar neeche kudkar spiritual ki taraf badhne lage...
"Gabriel-main janta tha ki tu wapas jaroor aayega...lekin is tarah aayega ye nahi socha tha..."
"tareef ke liye shukriya..."
"kat dalo un dono ko ,main isse nipat lunga..."
Morgan aur lisa...Raaj aur Riya ko kuchh karte usse pahale hee Ron ne do khanzar un dono ki taraf phenk diya...Ron ka nishana achuk tha wo khanzar seedhe jakar Morgan aur lisa ke seene me ghus gaye...pahale Raaj ne khud ko chhudaya aur baad me Riya ko unki kaid se aazad karke spiritual ki taraf teji se badha...Seth,bilandar aur Aditya pahale se hee waha pahunch chuke the...
"Raaj-tune naksha churaya..."
"nahi bilkul nahi..mere pass to koyi naksha nahi hain..."
"jhoot mat bol..."
tabhi ek dragon teji se unki taraf badha aur bilandar ko daboch kar udd gaya...
"Ron-dekha teri faltu baato ka nateeja..."
Ron ne jhat se bandook nikali aur dragon par taan di..tej aag ki lapteo ne bilandar ko us dragon se aazad karwa diya...bilandar seedhe samundar me aa gira
"abey iss pakad kar jaldi aa ,mujhe sabki jaroorat hain..."Ron ne ek rassi uski taraf phenk kar bola...
Lisa aur Morgan ne apne seene se khanzar nikal liya ...lisa ne wahi khanzar Ron ki taraf henka...lekin lisa nishana Ron ki tarah nahi wo khanzar Ron ke bagal se nikal gaya...
"Lisa-Ron ab hum bhi dragon holder hain...aur tujhe yadi hume marna hain to tujhe dragon se judkar khud dragon holder banna padega...lekin afsoso ki tere pass dragon hee nahi hain..."
"kisne kaha mere pass dragon nahi hain,jaroor Is Gabriel ne kaha hoga...lekin bura mat manna meri jaan iske pass akal ki thodi kami hain...isne ye nahi socha ki jis mantra se isne tujhe aur us vahiyat kallu ko dragon holder banaya main bhi usi mantra ka istemaal karke in sabko dragon holder bana sakta hoon..."
"Raaj-tu sach me aisa kar sakta hain..."
"ab to yakin karo be..."
tabtak bilandar waha pahunch chuka tha...
"Raaj ko chhodkar sabhi kisi bhi ek dragon par kud jao aur main tumhe jo mantra bataunga use bol dena...tum sab dragon holder ban jaoge..."
"main kyun dragon holder nahi ban sakta...main in sabbe sabse kabil hoon"
"tu isliye dragon holder nahi ban sakta kyunki tere me dimak ki kami hain ...pahale meri baat to khatam hone de....jab kaam ho jaye to usi mantra ko ulta padh dena wapas insan ban jaoge...ab jao kamino meri shakal kyu dekh rahe ho...."
Gabriel ne apna hath hawa me uthakar kuch bola jisse hazaro ki tadad me dragons ne spiritual ship par hamla bol diya...Ron ne mantra puchhkar sabse pahale seth ek dragon par kudkar baith gaya...aur dekhte dekhte hee wo dragon holder ban gaya....
"Aditya-billu pahale tu jayega ya main jaun.."
"mere khayal se tujhe hee pahale jana chahiye..."
"Ron- yaha samay barbaad mat karo...dono ek sath jao,lekin bhool se bhi Gabriel,Morgan aur lisa se mat bhidna...tum sab dragons ki sena ka safaya karo...."
Aditya aur bilandar bhi dragon holder ban gaye...lekin Riya rook gayi thi wo daudti hui Raaj ke pass aayi aur usko kiss karne lagi...
"Riya-i love u Raaj..."
"Ron-dil mera tod diya tune bura kyun mane....janeman ab tumhari bari taiyar ho jao..."
"tum kya karoge yaha rahkar jung me jaane se dar lagta hain..."
Ron ne Riya ko pakad kar uthaya aur pass aate hue dragon ke upar phenk diya...lekin Riya neeche gir gayi...seth teji se udta hua waha aaya aur Riya ko uthakar waha se chala gaya...Ron ki ye harkat dekhkar Gabriel taaliya bajata hua bola....
"Ron tum tareef ke kabil ho...lekin main ye janna chahta hoon ke tujhe wo mantra mila kaha se...."

"isi jahaj par mila...aur koyi sawal..."
"tu aaj bhi ladayi se darta hain...isiliye dusaro ko to bhej diya lekin tu khud nahi gaya..."
daiimakingof610.jpg



"Riya...main tumhe ek dragon ke upar phenk raha hoon...jaldi se wo mantra bol dena..."
"ek minut ruko,main abhi taiyar nahi hoon..."
"bhad me jao..."kahte hue seth ne Riya ko phenk diya...
"Gabriel-aaj to ladayi se mat bhag Ron...ya to mujhse jeet ja ya phhir shaheed ho ja..."
"mujhe pahla wala sujhav jyada pasand aaya..."
Riya,seth,Aditya aur bilandar dragon holder me badal chuke the...aur sabhi spiritual par jakar khade ho gaye...unke samne hazaro ki tadat me dragon the jo Gabriel ke ishare ka intezar kar rahe the...
"bilandar-Ron tu apne is jahaj ki fikar mat kar...main hoon na,in salo ko akele hee nipta dunga..."
"yadi mere is jahaj ko kuch hua to ek ek ko samundar me dafan kar dunga...dragon khali jahaj par kabhi hamla nahi karte isliye galti se bhi is jahaj par mat bhatakna..."
"Riya-hume to tumne dragon holder bana diya...par tum ,tum kya karoge...yaha baithkar humari ladayi ka maza loge..."
"waise khayal bura nahi hain,lekin phhir bhi main ladayi karunga,wo bhi apne dragon ke sath...kabhi safed dragon dekha hain..."
"nahi..."
"phhir aaj dekh lena..."
"Gabriel-Ron to jung shuru ki jaye..."
"ek min ,ladayi shuru ho usse pahle main kuchh spasht karna chahta hoon...ek taraf tum teen dragon holder sath me dragons ki taqatvar sena...aur dusari taraf Captain The Ron yani main akela tumse ladunga aur ek ek ko maar dalunga...haan yadi koyi mere pair pakad kar apni jaan ki bheek mange to main apna irada badal sakta hoon..."
"Gabriel-bahut ho gaya..."
Gabriel ka itna kahna tha ki dragons ki sena spiritual ship ke charo taraf madrane lagi...
"Ron-sabhi jao...aur dragon ki sena ka safaya kar do aur yadi apni jaan pyari ho to Gabriel ,Morgan aur lisa se akele mat bhidna...ab jao namurado mera mu kya dekh rahe ho..."
Ron ke chillate hee sabhi hawa me udd gaye...lekin Riya wahi ruki rahi...
"Riya-tumhara safed dragon mujhe kahi nahi dikh raha...kahi tumhara bhagne ka irada to nahi..."
Riya bas itna kah payi thi ki ek dragon use pakad kar upar khinch liya...
"mera dragon mere samne hain..."Ron ne Raaj ki taraf ishara karke kaha...
" pagal hain kya...main ek insan hoon..."
"tere kandhe pe jo nishan bana hain kabhi use gaur se nahi dekha tune wo nishan ek dragon ka hain.."
"Gabriel-lekin maine tere dragon ko to apne hatho se mara tha..."
"Gabriel...jab tak dragon,dragon holder ke sath juda na rahe wo dragon kabhi nahi marta...jab tune mere safed dragon ko mara tha to wo mujhse alag tha...aur apni shaktiyo ke karan mere dragon ne manushya yoni me dubara janam liya..."
"Raaj-bakwas hain ye..."
"ye bilkul sach hain...main to tujhe bahut pahle hee pahchan gaya tha...ab wo samay aa gaya hain jab tujhe wapas dragon ka roop dharan karna hoga..."
"chup rah nahi to main tujhe jaan se maar dunga..."
"ye baat hain"Ron ne apne kapde utar diye aur apne kandhe par bane nishan ko Raaj ki taraf dikhaya...Ron ke kandhe par nishan ko dekhkar Raaj ke andar ek toofan sa aa gaya...uska pura sharir jwalamukhi ki tarah garam hone laga...uske ankho se dhua bhi nikalne laga...
"ye nahi ho sakta ,main dragon nahi hoon..."
Raaj ne apne dono hatho ko dekha...uskepura sharir bada hota ja raha tha agle hee pal Raaj ke sare kapde jal gaye...spiritual ship me ye nazara dekhkar sabhi usi taraf dekhne lage...chahewwo Morgan.Gabriel aur lisa hee kyun na ho...yaha tak ki hazaro ki tadat me maujood dragons ki sena ki bhi chahal pahal kuch samay ke liye rook gayi thi...
"Riya-Ron.ise kya ho raha hain..."
"Ron-khud hee dekh lo janeman..."
Ron ki taraf se koyi jawab na pakar Riya ne Raaj ko kayi baar aawaj di...lekin Raaj pagalo ki tarah hans raha tha...Raaj ke daant uske galo ko phadkar bahar nikal aaye...Raaj dard se pagalo ki tarah chillane laga...aur dekhte hee dekhte Raaj ek bade se vishal dragon me tabdil ho gaya...jaise hee Raaj dragon bana usne ek ke baad ek tej dahad marni shuru kar di...
"Ron-tumse dobara milkar achchha laga..."
Safed dragon ne Ron ki taraf dekha...aur gusse se uski taraf badhne laga aur Ron ko apne bade nakhun wale panjo me jakad kar upar udd gaya...ye nazara dekhkar waha maujood sabki aankho me dar sama gaya...
"seth-upar dekho dono wapas aa rahe hain...
Sabne apni nigah upar ki...safed ragon ka pankh Ron ke kandho me jud gaya aur dragon ka sar Ron ke sar se judkar ek alag hee aakar ka ban gaya..dekhte hee dekhte dragon ka pura sharir Ron se judkar dragon holder ban gaya...Ron seedhe aakar spiritual ship ke upar wale hisse me khada ho gaya...aur samundar ke raja ki tarah dekhne laga...
"bilandar-ye to kamal ho gaya...maine white dragon holder ko dekh liya...is dragon holder ke baare me bahut suna tha...lekin iska wo farsa kaha hain..."
Ron ne apna hath upar kiya...ek roshani se chamkati hui chiz neeche girne lagi..jise Ron ne pakad liya...wo safed rang ka ek farsa tha...jo abhi bhi chamak raha tha...
"Ron-main hoon death iceland ka raja samundar ka shikari Martin..."
Ron ne apne farse ko teji ke sath hawa me uchhal diya ,wo chamakdar farsa ne kisi dragon ka sar kaat diya to kisi dragon ke sharir ko ek pal me do tukde ho gaye.


Update-52

Ron ke dwara phenke gaye farse ne kayi dragons ko ek hee pal me maut ke ghat uar diya tha..Ron ne apna hath farse ki taraf kiya jisse farsa wapas Ron ke hath me aa gaya...
"Ron-Gabriel ,ab bhi vaqt hain...apni dragons ki sena ko lekar chale jao..."
Gabril...lisa aur Morgan ki taraf dekhta hua bola..."dekho to ye hume yaha se bhagne ke liye kah raha hain ,jo khud jung me bhag gaya tha..."
"Gabriel yadi tera yuddh karne ka hee irada hain to mujhe manjoor hain...ab intejar kiska hain..."
"apni shaktiya to tune dikha di Ron...ab kya meri nahi dekhega..."kahte hue Gabriel ne apne dono hath neeche kiye aur apni hatheli ko kaskar bandh liya...samundar ki lahre upar uthani lagi...aur dekhte hee dekhte Gabriel ka aadha sharir aag me tabdil ho gaya...Gabriel ne Ron ko ghoor kar dekha aur hawa me uddkar agale hee pal uske pass pahunch gaya...yuddh ki shuruat ho chuki thi..seth,Aditya,bilandar aur Riya dragons ki sena se ladne ke liye bilkul taiyar the...Gabriel ne apne mu se aag ki tej lapte Ron ke taraf phenki...Ron ne aag ki lapto ke aage apne farse ko kar diya..jisse aag ki lapte Ron ko koyi nuksan nahi pahuncha payi...Gabriel apni shaktiyo ko nakam hota dekh baukhala gaya aur teji se Ron pe jhapat pada aur Ron ko jakad kar aasman me chala gaya...
"Riya-ye dono kya kar rahe hain..."
"seth-are un dono ko chhodo peechhe se aa rahe dragon ko sambhalo.."
seth ke kahne par Riya turant peechhe mudi..aur apne taraf aa rahe dragon ke upar se dusari taraf ke liye nikal gayi..."
Aditya aur bilandar ne ek dusare se shart rakhi thi ki wo jyada dragon ko marenge...
"Aditya-tu dekh lena...tujhse jyada dragon main marunga..."
"to bas bolta rah maine to do ko nipta bhi diya hain..."
"aisi baat hain phhir ye dekh..."kahte hue Aditya jakar seedhe ek dragon par kud gaya aur us dragon ka sar pakad kar modne laga...
"bilandar dekh be main iska sar mod raha hoon..."
Aditya ka itna kahna tha ki us dragon ne apne sar ko itani jor se jhatka diya ki Aditya door pheka gaya...dragons ki sankhya badhti ja rahi thi..upar se lisa aur Morgan ke rahte bahut kam dragon hee mar rahe the...Dragons ne seth,bilandar,Aditya aur Riya ko gherna shuru kar diya tha...wahi dusari taraf Gabriel aur Ron ladte ladte death iceland ki taraf badh rahe the...Ron ne apne farse ko puri taat ke sath Gabriel ki taraf phenk diya jisse pure aasman me bijali kadak uthi... gahre andhere ne pure aasman ko thak liya...Gabriel teji se udta hua Ron ko pakad kar death iceland ke andar phenk diya..aur khud bhi death iceland ke andar pahunch gaya...
"kaha chhup kar baith gaya tu Ron..."
"peechhe bhi dekh lena chahiye kabhi kabhi aur tab ye karna aur bhi jaroori ho jata hain jab tumhare samane mere jaisa koyi ho..."
Gabriel peechhe muda,Ron hath me farsa liye khada tha...
"Gabriel-Ron teri vajah se maa is duniya me nahi hain...tu humari maa ka katil hain..."
Ye sunkar Ron ka gussa bhadak utha auryahi Gabriel chahta tha...gabriel yahi chahta tha ki Ron gusse me apna aapa kho baithe...
"main sach kah raha hoon mere bhai...tu maa ke marne ka jimmedar hain...teri vajah se hee maine unhe mara..."Ron ka gusa badhta ja raha tha aur uski ankhe laal hoti ja rahi thi...aur ek samay aisa aaya jab Ron ka pura safed sharir safed rang se laal me badal gaya...uski shaktiya kam hoti ja rahi thi lekin kaise ye use khud nahi pata tha...
"Ron tujhe yaad hain ,jab maine humhare pita ka sar dhad se alag kiya tha tab maine unki ankho me tere prati nafrat dekhi thi...teri main unhe marna nahi chahta tha lekin phhir bi mujhe unhe marna pada sirf aur sirf teri vajah se ...."
"chup ho ja Gabriel...."Ron chillate hue bola...uska farsa uske hath se chhutkar zameen me aa gira...Ron ki sari shaktiya eka ek khatam ho rahi thi..uske pair uke sharir ko sambhal nahi pa rahe the...Ron ke ankho se laal ansu nikalne lage the wo apne ghutano ke bal baith gaya....
"Morgan-lisa ab hume chalkar in namuno ka kaam tamam karna chahiye..."
"ye to dragons se hee nahi lad pa rahe hain Morgan...hume Malik ki madad karna chahiye..."
"Malik ki fikar mat karo tum lisa...unke pass aisi shakti hain jiska jawab The Ron ke pass bhi nahi hain...wo malik ke samne khud ko kamjor mahsoos karega aur ghutno ke bal baith kar malik se bheek mangega..."
"aisi kaun si shakti hain malik ke pass..."
"malik kisi ko bhi apne vash me kar sakte hain...wo Ron ke dimak me ghuskar use ye yakin dila denge ki unke maa baap ka katil humare malik nahi balki Ron hain aur Phhir Ron ka kaam tamam..."
Ron apne sar ko pakad kar joro se chilla raha tha...Gabriel Ron ne Ron ke dimak me ye bhar diya tha ki wo hee apne maa baap ka katil hain...
"to batao mere bhai ,kya us shaks ka jeena sahi hain jisne apne hee maa baap ka khoon kiya ho wo bhi badi berahami se..."
Ron ab Gabriel ke vash me aa chuka tha..Ron ab bilkul shant hokar ghutno ke bal baitha tha...Gabriel Ron ki taraf badha aur seedha ek laat Ron ke chehare pe de mara..
"tu sala ye sochta hain ki tu meri badshahat ko khatam kar dega...samundar sirf mera hain sirf mera...."



"tu sala kya sochta hain ki tu meri badshahat ko khatam kar dega...samundar sirf mera hain sirf mera aur jo bhi mere raste me aayega uska wahi anzam hoga jo aaj main tera karunga...."
Gabriel ne apna farsa uthaya aur ghumakar Ron ke pet me de mara ,Ron dard se chilla utha...wo apne hatho se farse ko nikalna chahta tha lekin uske hath rook gaye the...
"khud ko samundar ka shikari kahta hain tu...aaj dekh tu mere samne kitna asahay hain...dragon holder ke nam pe tu ek kalank hain..."
"Gabriel ne Ron ka sar pakda aur pass hee pade bade se chattan me Ron ka sar patakne laga...Gabriel kayi baar Ron ke sar ko us chattan par marta raha..Ron ka sar ko dragon ki majboot khal bhi aakhir kab tak bajati uske sar se khoon nikalne laga...
"tujhe to ek dragon holder ki shaktiyo ke baare me bhi nahi maloom...dragon holder ki shaktiya anant hain Ron...lekin tu iske kabil nahi hain......"
Ron ke pet me abhi bhi Gabriel ka farsa ghusa tha...Gabriel ne usi farse ko pakad ko pura ka pura Ron ke andar ghusa diya...
Dusari taraf dragons ne charo ko gher liya tha ,Seth,Aditya,bilandar aur Riya lad to rahe the lekin hazaro ki tadad me maujood dragon ko harana unke bas ke baat nahi thi...
"Morgan-lisa tum yahi ruko main inka kaam tamam karke aata hoon..."
Morgan ne sabse pahale Riya par hamla kiya,..Riya Morgan ke samne ek nanhisi bachchi sabit hui aur apni jaan bachane ke liye Riya waha se bhag kar spiritual ship me jakar chhup gayi..
"Aditya-Riya janeman to gayi kaam se ,tum dono yahi ruko aur dekho mera kamal ...main abhi gaya aur abhi aaya..."
"seth-lekin Ron ne kaha tha ki Morgan aur lisa se akele mat bhidna..."
"abey main to Gabriel ko akele hara doon...phhir ye kallu kya chiz hain..."
Aditya apni shan aithta hua Morgan ko lalkarne laga...
"Morgan,dam hain to mujhse lad aaja..."
Morgan teji se Aditya ki taraf badha aur Aditya ki gardan ko kaskar daboch liya....
"abey kallu chhod ye cheating hain...main ladayi ke liye taiyar nahi tha...chhod sale dam ghut raha hain mera..."
Aditya ki ye halat dekhkar bilandar aur seth ka paseena chhut gaya...
"bilandar-abey tujhe nahi lagta ki hum dono ko uski madad karni chahiye..."
"mujhe bhi aisa hee lagta hain ..."
"to phhir chale..."
seth aur biandar Aditya ki taraf badh rahe the jaha Morgan ne Aditya ka gala daba rakkha tha...lekin wo Aditya ki madad karte usse pahale hee dragons ne un dono ko gher liya..
Morgan ne Aditya ki gardan pakde hue hee use hawa me utha diya aur lisa ki taraf uchhal diya...
"lisa tum ise pakad kar rakhna main baki bache do ko dekh ke aata hoon...salo ne bahut dino se pareshan karke rakha hain..."
*****************************
Gabriel ne Ron ko ulta lita diya aur ek khanzar nikal kar seedhe Ron ke seene me gad diya...
"mujhe maloom hain mere bhai tujhe bahut dard ho raaha hain lekin main kya karu main aisa karne ke liye majboor hoon...samundar ke shikari ka ant yahi hona chahiye...lekin main chahta hoon ki marne se pahake tujhe ye jaroor malom chale ki maine ye sab kaise kiya...mere andar vash me karne ki ek khas kabiliyat hain...maine apne inhi shaktiyo se tujhe kayi baar vash me karna chaha lekin main kamyab nahi hua...tab mujhe samajh me aaya ki jab tu dragon holder ke roop me rahega to main tujhe jaroor vash me kar lunga...aur rahi baat tere is dragon ki to ise to maine bahut saal pahale hee jaan liya tha...aur ye meri hee yojana thi ki tujhe tera dragon mile...tu khud ko bahut shatir samjhta hain na...lekin tere bheje me ye baat kyun nahi ghusi ki maine balladonna ko abhi tak surakshit kyun rakha...kyunki mujhe maloom tha ki ek dragon holder ko tabhi mara ja sakta hain jab wo apne dragon ke sath juda ho...aur main bas intezar kar raha tha ki tu kab dragon holder ke roop me aaye aur main tera kaam tamam karu...aur ek baat maine teri maa baap ko to mara hee hain par sath me Raaj yani iske maa baap ko bhi maine hee mara tha...ab bol kaun hain samundar ka asli shikari...aur yaha se jane ke baad main sabko khatam kar dunga...:"
Ron ki saanse ukhad rahi thi Gabriel Ron par hase ja raha tha...Ron ne aakhii ummid se apni gardan ghumayi uska safed farsa usse kuchh hee dori par pada tha...achanak Ron ko aisa lagne laga jaise uski sari shaktiya wapas aa rahi hain...Ron uthkar khada ho gaya...Ron ne apne pet me ghuse Gabriel ke farse ko nikala...
"Ron-Gabriel teri yojana ab bhi bekar gayi...tune mujhe to vash me kar liya lekin jaise hee tune ye bola ki tune hee Raaj ke ma baap ko mara hain to mera dragon gusse me aa gaya...aur mujhe meri shaktiya wapas mil gayi...ab tu gaya kaam se..."
"ye maine kya kar diya...is dragon ke samne sach nahi bolna chahiye tha..."
Gabrielwaha se bhagne laga Ron ne apna farsa uthaya aur apni puri shakti ko apne farse me bhejane laga...Ron ka sharir chheel raha tha ,Gabriel ke kadam zameen me dhans gaye...Ron Gabriel ke pass gaya aur Gabriel ke ankho me dekhta hua bola...
"mujhe maaf kar dena mere bhai..."aur agle hee pal Ron ne apna farse se Gabriel ka sar uske sharir se alag karke Gabriel ka ant kar diya....



Gabriel ke sar aur uska sharir jalne lage aur kuch hee der me rakh me tabdil ho gaye...Ron bahut der waha khada raha...aur dragon ko khud se alag kar diya...Raaj insani roop me nahi tha..
"tum ek bahadur insan the mere bhai...lekin galat.tumhara ant yahi hota alvida..."
Ron dragon ki taraf muda uske sharir me kayi zakham the...Ron dragon ka sar sahlata hua bola...
"tumne mujhe bacha liya shukriya mere bhai...ab jab shuruat ho hee chuki hain to ant bhi jald hee kar dete hain...Aaj ke din sare dragons ka vinash hoga..."
aur phhir Ron wapas dragon holder ke roop me aa gaya...
"ye kya ho raha hain dragon se meri pakad dheeli ho rahi hain..."Morgan ghabrata hua bola..."iska matlab ye ki Ron ne Malik ko...ye nahi ho sakta..."
Morgan,dragon se alag ho gaya...aur lisa bhi dono ke dragon unhe aasman me utha le gaye...Morgan ke dragon ne seedhe hee Morgan ko sharir ke do tukde kar diye...aur lisa ke dragon ne bhi lisa ka wahi haal karna chaha jo Morgan ka hua lekin Lisa kisi tarah bachkar spiritual ship me ja giri...Itani uchayi se girne karan lisa ka sar bahut teji se deck se takraya...lisa ko chakkar aane lage aur uske samne uske pichhali zindagiyo ke kaye sach samne lage....
"maharani ji hume bade afsoos ke sath kahna pad raha hain ki aapke bhai ab nahi rahe..."Dewan ne jhoota shok prakat karte hue kaha...
"aisa hargiz nahi ho sakta ,Martin aisa kabhi nahi hone denge...hume un par pura yakin hain..."
"maharani ji apko ye jaankar atyant dukh hoga ki aapke bhai ko kisi aur ne nahi humare maharaj ne hee mara hain...unhone unki berahami se hatya kar di..."
"ye sach nahi hain..."lisa bilakhte hue boli"Martin aisa kabhi nahi kar sakte..."
"ye sach hain maharaniji"aur phhir dewan ne apni yojana ke mutabik Martin par jhoota aarop lagane laga
"maharani ji Aapke bhai ko Gabriel aur Maharaj Martin ke gupt sandhi ke baare me pata chal gaya tha...aur isi vajah se Maharaj ne Aapke bhai ki hatya kar di..."
Lisa ne jaise ye suna uske dil ki dhadkane band ho gayi...uch pal ke liye use aisa laga ki jaise uski sari zindagi hee ujad gayi hain..
"hum Maharaj se swaym baat karenge tab tak ke liye hume akela chhod do..."
dewan waha se bahar aa gaya...dewan janta tha ki yadi Martin aur Lisa ne aapas me baat chit kar li to uski sari yojana vifal ho jayegi...is baat ki khabar dewan ne Gabriel ko di...Gabriel seedhe Martin ke mahal me ghusa aur lisa ko pakad kar bahar laya...jis bhi sainik ne Gabriel ko rokna chaha use Gabriel ne maut ki neend sula di...Gabriel ne lisa ko behosh kar diya aurdewan ko saup diya...
"dewan jab ye hosh me aayegi to ye tumhari hogi ...iske andar maine tumhare liye pyar aur Martin ke liye nafrat bhar di hain..."
...............
"abey bilandar idhar dekh ye to lisa hain..."
"to sale dekh kya raha hain maar daal usko,isse pahale ki wo tujhe mare..."
Aditya apni talwar lekar lisa ki taraf badha...
"dekho ,tum bhale hee Gabriel ki item rahi ho par mere se hoshyari nahi karne ka..."
"Martin kaha hain...mujhe usse abhi milna hain..."
"mujhme kya kharabi hain..."
"bakwas band karo..."aur lisa ne Aditya ko puri sachchayi bata di...jise sunkar Aditya ne apna sar pakad liya...
"sala kamal ki love story bani hain tum dono ki...Ron abhi aata hee hogaaaaaa yeeeeeeee"Aditya bol hee raha tha ki Ek dragon ne ue utha liya...
"abey bachaho mujhe sala ye kha jayega..."
"us sale ka mu fad de Aditya tu ye kar sakta hain..."seth chillaya..
"ghanta kar sakta hoon....abey mujhe bacha le..."
seth Aditya ki taraf badha lekin usi samay ek aur dragon ne seth ko bhi dhar dabocha...usi samay aasman me udta hua Ron waha aa pahuncha aur spiritual ship ke upar khada ho gaya...usne aasman ki taraf apne farse ko ghumaya...Ron ka wo farsa bahut tej chamakne laga aur agle hee pal waha maujood sabhi dragon ko khatam kar diya...seth aur Aditya samundar me ja gire...Ron ne Riya,Seth,bilandar aur Aditya ko hawa me uthaya aur bola..."ab us manta ko ulta padho ..."
"seth-abey kahi hamara bhi to wahi haal nahi hoga jo Morgan ka hua.."
jitna bolta hoon utna karo warna dragon se pahle main tumhara wo haal kar dunga..."
sabhi ne mantra ko ulta padha aur jaise hee un charo ke dragon un par hamla karne ke liye unki taraf badhe Ron ne apne farse se un charo dragons ko kat diya...charo wapas samundar me aa gire...
"Aditya-Ron tujhe ek bahut jaroori chiz batani hain..."
"abey teri aawaj saaf nahi aa rahi hain jahaj par aa pahle..."
"Aditya-jaldi chalo warna anarth ho jayega..."
Ron spiritual ship ke deck par aa gaya...uski nazar lisa par padi...
"jab shuruat ho hee chuki hain to iska bhi ant hona hee chahiye..."Ron ne khud se kaha...
Lisa ki ankh me ansu the..itane salo baad wo Martin ko dekh rahi thi apne hosh me...
"Martin mujhe Gabriel ne..."
lisa ki aawaj rook gayi uske mu se shabd hee nikal rahe the..uske pet me kuch chubha tha...Ron ne ek khanzar lisa ke pet me ghusa diya tha...lisa ne samne dekha,Ron ki ankho me ansu the uski aankhe laal ho chuki thi...
"maine kaha tha na lisa ki mujhe us din bahut dukh hoga jab main tumhe marunga"

"maine kaha tha na lisa ki mujhe us din bahut dukh hoga jab main tumhe marunga"
lisa ne Ron ki taraf dekha,Ron ki ankhe bhi nam thi lekin gussa kahi jyada tha...Lisa chahti to Ron ko sach bata sakti thi lekin wo aage kuch nahi boli usne socha ki yadi Ron ko wo sab sach bata deti hain to Ron zindagi bhar khud ko maaf nahi karega...isliye wo chup rahi...lisa ne apne dono hatho se Ron ka chehra thama...
"Martin zindagi me chahe kitani bhi pareshani aaye jeena mat chhodna..."
"ab ye meharbani kyun kar rahi ho..."
"mujhe maaf kar dena Ro....."lisa ke shabd wahi rook gaye uska sharir thanda pad chuka tha...Aditya waha daudta hua aaya aur lisa ko mara hua pakar use bahut dukh hua...
"Ron ye nahi hona chahiye tha..."
"kya nahi hona chahiye tha...aur ye tujhe lisa ke prati hamdardi kyun paida ho gayi..."
Aditya kuch nahi bol paya aur waha se dusari taraf chala gaya...Ron ne lisa ke sharir ko samundar me phenk diya...
"bilandar-oye hum jeet gaye...lekin mujhe ab bhi ek baat khatak rahi hain aur wo ye ki yadi Ron hee Martin hain to phhir wo abhi tak zinda kaise hain..."
"Ron-chhodo yar ab kaise zinda hoon ye puchh raha hain...kuch der baad puchhega ki main kyun zinda hoon...tum log apne hisse ka khazana lo aur baki ki zindagi shan se guzaro..."
sabhi ki is baat par sahmati ban gayi ki koyi Ron se kuch bhi nahi puchhega...spiritual ship ab pallora ki taraf badh raha tha...Ron spiritual ship ke ek hisse me kakele khada spiritual se takra kar wapas jati hui lahro ko dekh raha tha...dusari taraf bilandar aur Aditya khazane ke batware ke baare me baat kar rahe the...
"sun be Aditya...tujhe aaj Ron badla badla kyun lag raha hain...."
"kyunki usne lisa ko apne hatho se maar diya...."
"to kya galat kiya yadi Ron use nahi marta to lisa use mar deti..."
"lisa use ab nahi marti...Ron ne lisa ko markar bahut badi galti kar di...."
"tujhe lisa se pyar ho gaya tha kya be "
"lisa ko Gabriel ne apne vash me karke rakha tha is baat ki khabar Ron ko nahi thi usne anjane me hee lisa ko maar diya..."
"Ron ko tune abhi tak bataya kyun nahi ki sach kya tha..."
"main jab spiritual [ar pahuncha tab tak lisa mar chuki thi...aur uske baad batane ka koyi fayda nahi tha..."
"to kab tak chhupayega usse..."
"kuch baate Ron ko bhi maloom na chale ye hee uske liye behtar hoga..."
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Riya ab puri tarah thik thi..ladayi me usko bahut chot aayi thi lekin ab wo bilkul thik thi...Riya ki bhi halat kuch Ron ke hee tarah thi...wo bhi akele khadi samundar ko tak rahi thi...
"Ron-yaha kya kar rahi ho..."
"Ron kabhi kabhi hum jise chahte hain use hee kyun khona padta hain..."
"tum Raaj ki baat kar rahi ho..."
"haan main Raaj ki hee baat kar rahi hoon...ab dekho na Raaj mere samne hain lekin phhir bhi main use mahsoos nahi kar sakti...usse baat nahi kar sakti..."
"mujhe maaf kar do Riya..."
"isme tumhari koyi galti nahi..."
"mujhe tumhe pahle hee bata dena chahiye tha..."
lisa waha se chali gayi...Ron use jate hue dekhta raha...Ron ne ab dragon ko alag kar diya Raaj dragon ke roop me udta hua chala gaya...sabhi use jate hue dekhte rahe...
"seth-Ron kya wo wapas insan ban payega..."
"mujhe nahi maloom..."
dekhte -dekhte dragon aankho se door chala gaya...
"bilandar pallora pahunchne wale hain,kitna maal chahiye tujhe..."
"main soch raha tha ki main bhi ek baar bahar ki duniya ko dekhu aur waise bhi tu Riya ,Aditya aur seth ko chhodne to jayega hee..."
"tujhe bhi hawa lag gayi chal phhir..."
2 DAYS LATER...................
"hum pahunch gaye kya..."spiritual ke rukne par seth ne Ron se puchha...
"calcutta se abhi thodi doori par hain...yaha se hum koyi chhoti naav lenge aur phhir chalenge ...."
"yaha naav kahkar mangega to kuch nahi milne wala boat bolna warna dehati samajh kar bhaga denge..."
"yadi tum logo ki itani hee akat hoti to aaj tak devils traingle ki mystery khul chuki hoti...ab chale mujhe mere sharabkhane me bhi jana hain"
sabhi waha se do boat me nikle ek me Riya ,Ron aur seth the aur dusare me bilandar aur Aditya...
"Aditya-abey tu itane sare paiso ka kya karega...kahi tu yahi rahne ka vichar to nahi kar raha hain..."
"yaha hain hee kya aisa...apun to pallora me jakar aish karega...tujhe maloom hain pallora me apun ne ek item pata ke rakhi hain...jake usi ke sath zindagi gujarunga..."
"chal beta teri to life ban gayi apun to abhi bhi talash me hoon ki koyi achchhi si maal mil jaye ..."
"meri ek baat manega..."
"chal bak..."
"tu mere sath pallora kyun nahi chalta jise main pyar karta hoon uski ek chhoti bahan hain...ekdum tanatan hain..."
"ek ladki ke liye main pallora jau.."
"chal ek baar chal ke dekh waha ki sharab aur ladki ka kahna hee kya..."
"chal tu itna bolta hain to ek baar chal ke dekhta hoon..."
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
"janeman tum ab bhi udas ho..."
"rang me aa gaye tum ..."
"ab kya karu janeman jo hua so hua ab jab mere pass mera jahaj hain wo bhi khazane se bhara hua...aur duniya me ladkiyo ki kami nahi hain..."
sabhi boat se neeche utar gaye...seth ne apne hath hawa me uthate hue bola.."chalo sala sab khatam ho gaya..khazana bhi mil gaya aur jaan bhi salamat hain...problem bas ek hee hain ab meri life me..."
"Ron-kya"
"sala jis ladki ko pasand karta hoon uska baap bhav kha raha hain..."
"to chhod usko aur pakad le dusari ko ..."
"haan ab to aisa hee karna padega..."
Ron seth ko pakad kar kinare le gaya aur dheere se bola...
"Nair ke ghar ka pata janta hain tu..."
"haan lekin tu kyun puchh raha hain..."
"aaj raat ko tere ghar me jo bhi main bhejunga uska aadha hissa Nair ko de dena..."
seth ne apna address likhkar Ron ko de diya...Riya bhi kal milne ke liye kahkar waha se chali gayi...aur Ron ,bilandar aur Aditya ek chhote se bar ki araf mud gaye.....
NEXT DAY ON MORNING................
seth abhi abhi utha tha aur usne jaise hee apne flat ka gate khola use samne do box rakkhe dikhayi pade...seth ne waha kaam karne wale guard ko aawaj lagayi...
"ji sahab aapne bulaya..."
"ye box kaun rakh ke gaya..."
"wo koyi aaya tha maine jab aapko uthana chaha to unhone mana kar diya aur ye aapko dene ke liye kah kar chale gaye..."
"thik hain tum jao..."
seth dono box ko andar laya tabhi use dhyan aaya ki Ron ne use kuch dene ke liye kaha tha...Seth ne utsukta purvak ek box ko khola uski ankho me chamak aa gayi wo box pura khazane se bhara pada tha usme beshumar sona bhara pada tha...seth ne dusare box ko bhi jaldi se khola usme bhi wahi tha jo pahale me the lekin us box me ek letter bhi tha...seth us letter ko padhne laga...
"""ye box nair ke yaha bhejwa dena main nahi chahta ki uske ghar walo ko koyi pareshani uthani pade....aur tu yahi soch raha hoga ki mujhe likhna padhna kab se aa gaya lekin ye letter maine nahi Aditya ne likha hain...apni zindagi shan se jeena...kismat me hoga to phhir milenge ALVIDA..."
"sala ye Ron to nekdil insan nikla..."
Riya ko Aditya aur seth ne kal jo mobile number diya tha uspe wo lagatar call kar rahi thi lekin koyi bhi call ka jawab nahi de raha tha...
"ye sale kaha bhag gaye.."
tabhi uska mobile baj utha...usne screen par number dekha call Aditya ki thi...
"hello Aditya ,kaha ho tum..."
"janeman main Ron hoon tumhare ghar ke pichhale hisse me kuch rakhha hain tumhare liye aur haan ab dobaa phone mat karna...."
"kyun..."
"phone lagega hee nahi...ALVIDA"
Riya teji se pichhe ki taraf gayi...waha bhi waisa hee box rakhha tha jaisa Ron ne seth ke ghar bheja tha..Riya ne jaldi se box khola usme bhi ek letter tha...
"Riya janeman ,ye tumhare hisse ka maal ab kya hain ki mehnat maine ki aur khazana barabar hisso me bate ye thik nahi laga mujhe...aur ek sawal tumhare dimak me ghoom raha hoga ki mujhe likhna padhna kaise aata hain to main bata doon ki ye letter Aditya ne likha hain...ALVIDA..."
"sala kameena kahi ka..."
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
PALLORA ICELAND..........
Ron spiritual ship par khada tha..bilandar aur Aditya pallora ke kinare par khade the...
"Aditya-Ron ab tu kaha jayega..."
"jitna maal diya hain utne me aisa kar jyada sawal jawab mat kar aur haan us mote ko jaroor marna jisne hum dono ko pareshan kiya tha..."
"abey main to jate hee wo sharabkhana khrid lunga aur us mote sand ko naukar bana kar rakhunga..."
"mujhe tujhse aisi hee ummid thi..."
"Ron ab sab sahi ho gaya...ab tu bhi apni zindagi jee le tera jahaj jo mil gaya hain ja aish kar..."
"ek baat yaad rakhna sab sahi nahi hua hain abhi ye to sirf shuruat hain ant isse bhi bura hoga...Alvida

~~~~~~~~~~~~~~~T H E E N D~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 

Spider-Man

New Member
88
116
18
Congratulations for reposting the story,a small suggestion maintain some time gap between updates so that people can post reviews
Ok Sir thanks suggestion
 

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
136,928
113,970
354
Hello, Ladies :kiss: & Gentleman, :hi:
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 17th, Nov 2019, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur
Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur
Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.


:thanks:
On Behalf of Admin Team
Regards :-
Siraj Patel


 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,573
18,879
188
achhi story thi
 
  • Love
Reactions: Yug Purush

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,607
22,599
229
Top