• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Secret Island (Completed)

Rita Kumar

Love To Exploring about people
5,383
11,347
189
Vikrant kothari mein leta hua tha, apne atit ko yaad kar raha tha. Usko apni family ki bahut yaad aa rahi thi. Usne socha ki kaise wo yahan aaya, kis tarah tufani raat mein fasa aur yahan tak pahuncha. Tabhi Gauri aati hai.

Gauri: Kaise ho?

Vikrant apne khayalon mein khoya hua tha aur usko pata hi nahi chala ki Gauri aa gayi hai, jo uski jach karne aur dawai dene aayi hai.

Gauri: Vikrant....

Vikrant: Arey, aap kab aayi?

Gauri: Jab tum apne khayalon mein khoye huye the. Kis baare mein soch rahe the?

Vikrant: Main apni maa ke baare mein soch raha tha. Wo kaise akeli rehti hogi? Mere dost kaise honge? Sab mujhe bahut yaad aa rahe hai.

Gauri: Ohoo, waise tum sab ke baare mein soch rahe ho, apne pita ke baare mein nahi sochte?

Vikrant: Wo to kai saal pehle hi Bhagwan ke paas chale gaye. Mujhe aur meri maa ko akela chhod kar.

Gauri: Ohoo, achha ab sochna bandh karo. Safai ka waqt hai, waise tumhare ghav ab kafi bhare huye hain. Kal tak shayad tum uth-baith sakoge.

Aise hi do din beet jate hain, Vikrant aur Gauri mein dosti hone lagi thi. Roz Gauri aati hai, Vikrant ke ghav saaf karti hai, use dawa pilati hai. Thodi der dono baatein karte hain, phir Gauri chali jaati hai.

Vikrant ab dheere dheere sakta hai. Use apne saaf kapde de diye the. Tabhi Vasundhara aur Anandita aati hain, saath mein teen sainik bhi hote hain, unke haathon mein bediyan hoti hain. Woh kothri mein aate hain.

Vasundhara: Vikrant, aaj tumhe Rani ke paas jaana hai.

Vikrant: Haan, pata hai.

Vasundhara: Tumhe kaise pata?

Vikrant: Ji, Gauri ji ne bataya tha. Aaj meri baari hai.

Vasundhara: Thik hai.

Fir sainikon ko kehti hain.

Vasundhara: Vikrant ko badiya pehna do.

Vikrant: Ji, iski koi jarurat nahi hai.

Vasundhara: Vikrant, humne suna hai, Gauri ne bataya hai. Tumse unki dosti bhi hai. Tumhara vyavhaar bhi unke saath accha hai, lekin hum aise hi bharosa nahi kar sakte.

Sainik Vikrant ke haath aur pairo mein bediyan laga dete hain, woh araam se chal sake, utni hi chhoot thi. Vikrant aaj kayi dino baad kothari se bahar nikla tha. Dhup se uski aankhe chondhian rahi thi.

Woh sab dhire-dhire mahal ki aur badh rahe the.

Thodi der baad sab mahal ke darbar mein they. Vikrant ko darbar ke beech mein khada kiya gaya tha. Singhasan par Rani bethi thi.



the-queen-seated-on-throne-3-by-shahvicky229-dg7ulrw


Rani ne ek laal rang ki resham ki saree pehni hui thi, jo uske sharir ko khoobsurat dhang se dhak rahi thi. Saree uske charan tak fail kar, uske adbhut saundarya ko aur bhi prakashit kiya huva tha. Rani ke blouse saree ke samaan laal rang ka tha, jisme se unke stan ki gehri khai dikh rahi thi, jisse uska guara rang aur bhi nikhar raha tha.

Uske gale mein ek bhavya sone ka haar dikh raha tha, jiska chamakta hua locket uske hriday ko chhu raha tha. Uske mathe par ek mukut bhi saja hua tha.

Rani ke dudh se guare pait uske sharir ki mahilaai saundarya ko aur bhi adhik mahsus karata tha. Uski naabhi, ek vishesh roop se bhinnata ki ek chhavi thi. Rani ki sajawat aur uska abhushan uski rajshi sthiti aur uske aakarshan ko aur bhi pramukh bana rahe the.

Rani:
Naam kya hai tumhara?

Vikrant: Ji, Vikrant.

Rani: Yahan kyun aaye ho?

Vikrant: Ji, main aaya nahi hoon, apne aap aa gaya hoon.

Rani: Jhooth mat bolo.

Vikrant: Ji, main jhooth nahi bol raha.

Rani: Kahan se aaye ho?

Vikrant: Ji, main Gujarat se hoon, par main yahan kaise hoon?

Rani: Yahan kaise aaye?

Vikrant: Ji...

Rani (Chillate hue): Bolo, varna abhi maut ka hukum jari kar deti hoon.

Vikrant raute hue, vahi beech mein beth jata hai, phir vahi bethe bethe bolta hai.

Vikrant: Ji, main merchant navy mein kaam karta tha.

Rani: Navy? Ye kya hota hai?

Vikrant: Ji, vyapari jahaaz.

Vikrant: Us jahaz pe hum teen dost the. Hum Arab desh se samaan lekar vapas aa rahe the. Usi yatra ke doran mujhe pata chala ki samaan ke saath nasheele padartho ki herapheri ho rahi thi.

Vikrant: Ye baat maine apne dono doston ko bata di. Hum teeno humare kaptaan ko batane ja rahe the, tabhi kisi ne piche se mere sir par hamla kar diya. Main wahi behosh ho gaya.

Vikrant: Jab aankh khuli to main aur mera dost rassi se bandhe hue the. Aur hamare saamne hamara kaptaan aur mera teesra dost khada tha. Hamara dost hamare paas aaya aur apne piche se chhaku nikala, usse mere dost ke gale pe chala diya. Uske gale se khoon behne laga, aur woh wahi mar gaya.

Vikrant: Uske baad mujhe jahaaz se lagi ek halat mein bhi battar ek boat pe chadhaya gaya, aur mujhe mere haal pe chhod diya gaya. Boat nahi chal sakti thi. Usi raat samundar mein toofan aaya, andhadhund baarish ho rahi thi, aur ek bijli aake boat se takrayi, use tabah kar diya., Jaise taise karke boat ke toote ek lakdi ke bade tukde pe reh kar maine raat guzari. Us raat ke baad meri aankhon mein andhera cha gaya. Jab aankh khuli, to main kothari mein leta hua tha.

Apni baat poori karne ke baad, woh fut-fut ke rone lagta hai, aur bolta hai:

Vikrant: Mere dost ko bina kisi galati ke mar diya gaya. Mujhe bina kisi galti ke samundar mein chod diya gaya. Meri maa ko apni aulad se juda hona pada.

Vikrant: Aapko abhi bhi lagta hai ki main yahaan apni marzi se aaya hoon? Ye konsi jagah hai jiske baare mein mujhe pata bhi nahi hai.

Rani, Vasundhara, Anandita, aur baaki mantri sab chup the. Vikrant ke atit ki kahani ne sab ko shabdahin kar diya.


Superb
 

Rita Kumar

Love To Exploring about people
5,383
11,347
189
Darbar mein bane jarokhe ki jali se ek saya sabko dekh raha tha. Uski aankhein Vikrant par tikin hui thi. Usne safed rang ka choga odha hua tha, jo use alag dikhata tha. Uske chehre par vyakulata aur soch ki gehraiyon ke bhav ka mishran tha, jaise ki woh kisi mahatvapurna baat par gahan vichar kar raha ho.

Rani apne singhasan par baithi thi aur Vikrant ke baare mein soch rahi thi. Vikrant wahi beech mein khada hua tha, raani ke faisle ka intezar kar raha tha.

Raani: Tum soch rahe hoge ki, ye konsi jagah hai? To ye Prakriti Dwip hai, jo ki Hind Sagar ke beech mein ek chhota sa dvip hai. Abhi ke liye sirf itna janna tumhare liye kafi hai.

Raani: Tumhari baat sunke, hume tumse sahanubhuti hai. Par ye hamare rajya ki suraksha ka mamla hai. Tumhe apne desh wapis jana hoga. Par uske liye abhi sahi waqt nahi hai. Pehle hume jaan na hoga ki tum yahaan kaise pahuche.

Vikrant aur baaki sab rani ki baat ko chupchap sun rahe the.

Raani: Abhi ke liye tum yahan reh sakte ho. Par tumhe hamare sabhi kanunon ko manana padega. Tumhe yahaan rehne ke liye ek ghar diya jayega. Aur agar hamein maloom pada ki tumne koi harkat ki hai to phir tumhe wapas usi kothari mein daal diya jayega.

Vikrant: Ji...

Raani: Yaha jo bhi rehta he use kam krna padta he, to tumhe yaha astabal me rakhe ghodo ki dekhbhal karni hogi.

Vikrant: Ji...

Raani: Vasundhara, Iske rehne ka intazam krdo. or dhayan rhe, Ye kille ki bahar nahi ja sakta.

Vasundhara: Ji, raani ji.

Raani: Ye sabha yahi barkhast ki jati hain.

Sabha ke bakhshish hone ke baad, sab apne apne kamo per chale jaate hain. Rani nagar ke daure pe chali jaati hain.

Vasundhara, Vikrant, aur Anandita teeno samanya logon ke liye bane gharo ki or chal padte hain.

Vikrant: Vasundhara ji, ek baat kehni thi.

Vasundhara: Haan, bolo.

Vikrant: Mujhe Gauri ji ke ghar ke paas rehne ko mil sakta hai? Woh kya hai ki main yahaan kisi aur ko nahi jaanta, aur Gauri ji se meri achi baat hoti rehti hai to...

Vasundhara: Koshish karte hain, agar koi khali ghar hua to de denge.

Vikrant: Ji, shukriya.

Teenon pehle mahal mein bane ek daftar mein jaate hain, wahan se maloom karne ke liye ki Gauri ke ghar ke paas koi khali ghar hai ya nahi. Pata karne ke baad, teeno Gauri ke ghar pahunchte hain aur unke ghar ka darwaza khatkhatate hain.

Gauri: Aap teeno yahaan!

Vasundhara: Ji, woh rani ji ka faisla tha ki, jab tak iska jaane ka waqt nahi aata, tab tak yeh yahi rahega.

Vasundhara: Aur Vikrant ki yeh ichha thi ki usko aapke ghar ke aas paas koi ghar mile.

Gauri aashcharya se Vikrant ko dekhti hai.

Vikrant: Ji, aap se achi baat hoti hai isliye.

Gauri: Haan, yahaan pas me to nahi, par 3-4 ghar chhod ke shayad koi ghar hoga.

Anandita: Haan, wo to hum puch ke aaye hai. Bas aap ko khabar karne aaye the. Varna aap kothri chali jaati, iski janch aur dawa ke liye.

Gauri se baat karke teeno us ghar ki or chale jaate hain, jahan Vikrant ko rehna tha.

===========================================

Prakriti Dwip se thodi aage ek aur dwip tha, Agni Dwip.

Us dwip ke ek khandhar-numa jagah mein ek aadmi, sharab ke nashe mein pada hua tha. Uska kad koi 7 feet tak hoga. Uske haath, ek hi mukke mein aadmi ko dair kar de, aise the. Uske chehre par kai ghavon ke nishan the. Usne sher ke chamde se bane hue kapde pehne the, jo use rakshas jaise dikhata hai.

Tabhi wahaan koi aata hai. Usne apne aap ko kali saal se dhak kar rakha tha, taki use aasani se pehchana na ja sake.

Vyakti: Hukum, rajya mein ek ladka aaya hai. Rani ne use rajya mein rehne ki manzoori di hai.

Aadmi: Uski itni himmat ki, woh kisi aadmi ko rehne ki manzoori de.

Uske chehre pe aisa gussa tha, mano woh abhi kisi ke tukde tukde karke mar dalega.

Khubsurat
 

Rita Kumar

Love To Exploring about people
5,383
11,347
189
Mene ye suru se soch ke rakha tha, ki ye fantasy, sex se bharpur story hogi.

Rahi bat vaidya ki to ha, unhe control jyada hota hai. Pr mne yaha unhi ko leke pehla sex scene diya. Kyoki Vikrant ki sabse jyada bonding unhi ke sath thi. Har roz wahi unse sabse jyada milti or uski dekhbhal krti he. To unhe bhavna me baha diya.

Kya ye story me acha nahi lag rha he?

Erotic update
 

Rita Kumar

Love To Exploring about people
5,383
11,347
189
ShairShing raani ko leke mahal chala jata hai. Sabhi log ye dekh kar heran the.

Tabhi unhi me se ek Jiska naam Maya tha. Maya rajya me banane wale hathiyaro ki pramukh thi.

Maya: Hum par aaj tak aesi Rani raaj kar rahi thi, jo hamari to kya apni khud ki bhi raksha nahi kar sakti!

Mohini: Maya, jab puri baat pata na ho, to kuch bolna nahi chahiye.

Maya: Kyun nahi bolna chahiye? Ek anjan ladke ke liye khud ko kisi ke samne bech diya tumhari raani ne.

Vasundhara: Tumhari raani! Kya wo tumhari raani nahi hai?

Maya: Haan, nahi hai aisi rani jo khud ki raksha nahi sakti, to hamari kya karegi.

Maya ke sath me or bhi log aami bharne lage the.

Vasundhara: Haaa haaa, sahi to kaha tumne, Maya.

Maya mushkura ne lagti hai. Mohini hairani se Vasundhara ko dekhne lagti hai.

Mohini: Vasundhara!

Vasundhara: Sahi to kaha hai, Mohini. In haram, ehsan faramosh logo ki raani thodi na ho sakti hai.

Maya: Apni jaban band karo.

Vasundhara: Tumhare samne kya sambhalna, tum raani ke na ho sake to hamari kya hogi.

Vasundhara: Wo raani jo tum sabke liye itne dard sahan karti hai, use aaj tum apni raani manne se inkaar rahe ho.

Vasundhara: Jo gunah usne nahi kiya, uski saja wo bhugat rahi hai, taki tum sab aram se reh sako.

Ye kehte huve Vasundhara bolne lagti hai.

10 saal pehle,

Prakriti Dwip par Rani Padmini ka raj tha, aur Chanralekha (raani) abhi 25 saal ki thi, ek raaj kanya. Prakriti Dwip par, parivaar dwaara nahi, balki pratyogita (competition) ke through agli raani ko chuna jata tha.

Is pratyogita mein unki sastra aur shastra ki pariksha hoti thi. Aur isme sabse adhik ank jama karne wali kanya ko agli raani ke liye raaj kanya banaya jata tha, aur usay raani ki shiksha di jati thi. Is shiksha ke dauraan, agar raaj kanya ka vyavhaar acha nahi raha to use rad kiya jata tha.

Is pratyogita mein Chanralekha ne sabse adhik ank jama karke raaj kanya ke liye chuni gayi thi.

Prakriti Dwip ke log sabhi khushali se jite the. Raani Padmini ke raj mein, rajya ki samrudhi apni charam seema tak thi. Is samrudhi ko dekhkar aas-pass ke kayi anya rajyo ko jalan hoti thi. Kaise kisi mahila ke rajya mein itni samrudhi ho sakti hai. Rajya kai aadmi aurate ek saman kam krte the, sainya me bhi sath sath ladate the.

Unme se ek rajya Bundelkhand tha, jo Prakriti Dwip se bada tha, lekin itna samriddh nahi tha. Iska raja Bhairo tha, jo Prakriti rajya ko apne adhikar mein lane ki ichha rakhta tha.

Prakriti raajya ke kile par khade ek sainik ne dekha ki samundar mein 9-10 jahaj aate hue dikh rahe hain. Is drishya ko dekhkar sainik apna shankh baja kar yudh ka ishara deta hai.

Shankh ke nad se sabhi ko harkat la diya tha. Raani, apne yuddh ke vastron mein, dhoti aur angrakha pehankar bahar aayi. Usne ek kavach bhi dharan kiya tha, jise alag-alag prakar ke prahar se surakshit rakhata hai.

Raani ke aadesh anusaar rajkanya ko mahal ke nichle taikhane mein surakshit rakha tha, jahan pe teen sainik bhi the. Unki raksha ke liye tainat kiye gaye the. Rajya ke aurate aur baccho ko bhi anya taikhane me surakshit rakha gya tha.

Iss aur jahajon se mahal par golo se prahar kiya ja rha tha, Jahajon se utare sainik mahal ki or badh rahe the, unke hath mein talwar aur dhanush the. Dhanush se teer samay-samay par mahal ki or chod diye ja rahe the. Mahal ki diwaron par khade sainik bhi teeron ki barish kar rahe the.

Is yuddh mein kai sainik apni jaan gawa rahe the. Inme ek aisa yodha tha, ShairShing, jo Prakriti rajya ke liye lad raha tha. Vah ek badi talwar liye khada tha aur mahal ki diwaron par rassi se chadh kar aane wale dushmanon ko apni talwar ka shikar bana raha tha.

Mahal ke bahar, Bhairo aur uske sainik dwar ko todne mein lage the. Ek bada sa lakda dwar se takra kar use tod rahe the, dwar ke hinges diwaron par apni pakad chod rahe the, jiske sath hi awaz karte huve dwar gir jata hain.

Dwar girne ke sath hi Bhairo aur uske sainik mahal ke maidan mein pravesh kar gaye, aur bich mein khade sainikon se ladte hue aage badh rahe the.

Dur khadi Raani Padmini pareshan ho gayi, kyunki uska rajya tabah hone ki kagar par tha.
Nice
 

Rita Kumar

Love To Exploring about people
5,383
11,347
189
Yudh ke agle din,

Default-Photorealistic-Professional-photography-A-queen-South-1-c3282dac-2887-453b-9a0f-63067ffbb39a

Raani apne kuch khas mantriyon ke saath darbar mein baithe hui thi. Unmein unke Raksha Mantri Lakshmi aur unke Raj Vaidya Govind bhi shamil the.

Raani: Aap log jaante honge ki kal humne, apne kai sainikon ko khoya hai. Aur agar hum par ab koi aur akraman hota hai, to ab hum uska samna karne ke liye kaabil nahi hain.


Absolute-Reality-v16-Photorealistic-Professional-photography-A-3
Lakshmi: Haan, yeh baat to sahi hai. Hamare paas ab utna sainya bal nahi hai, aur naye logon ko samil karne mein samay bhi lagega.

Raani: Isi liye maine Raj Vaidya ko bulaya hai. Unhone mujhe kuch samay pehle apna ek vichar rakha tha, aur us par wo kaafi samay se kaam kar rahe hain.

Lakshmi: Ji!

Raani: Govind Ji, aap Lakshmi Ji ke samne apna vichar rakhen.


Default-Photorealistic-Professional-photography-A-man-in-white-1-eb82ea6f-f4f1-49ad-94e8-b4f3d141fb3
Vidya Govind: Ji Raani Ji. To Lakshmi Ji, suniye, main kaafi samay se apne ek prayog par kaam kar raha hoon, jo aadmi ki takat ko 20 se 30 guna badha deta hai, jisse ek aadmi kai dushmanon par bhaari pad sakta hai.

Vidya Govind: Ab tak humne kai janwaron par is prayog ko kiya hai, aur natije bhi acche hain. Par ab tak humne ise kisi manav par prayog nahi kiya hai.

Lakshmi: Par yeh hai kya?

Vidya Govind: Ji, humne apni jadi-butiyon se ek aisi dawai banayi hai, jise kisi aadmi ya aurat ko dene se unke Kabiliyat ko bada deta hai, jisse woh kai dushmanon par bhaari padta hai.

Lakshmi: Par mujhe yeh sahi nahi lagta hai.

Raani: Abhi hamare liye sahi-galat par bahas karne ka samay nahi hai. Hamare paas sainya-bal badhane ka samay nahi hai, to yahi ek raasta bachta hai.

Lakshmi Raani se bahas karna nahi chahti thi, aur usko bhi lagta hai ki agar Raani ne faisla liya hai to achhe ke liye hi liya hoga. Aur isske liye woh samarpan kar deti hai.

Raani: Maine iske liye ShairShing ko chuna hai. Kal usne bahut hi bahaduri se ladai ki hai.

Lakshmi: Haan, ShairShing iske liye sahi ummidwar rahega.

Raani apne sahayogi ko ShairShing ko bulane ke liye kehti hai.

ShairShing wahaan upasthit hota hai, aur sabke samaksh apna sir jhukata hai aur abhivadan karta hai.

Raani: ShairShing, hum kal ki tumhari bahaduri dekh kar khush hain, aur hume tum par garve hai ki aap rajya ke liye apni puri shakti se lade hain.

ShairShing: Ji, yeh mere liye samman ki baat hai ki main aapke liye aur rajya ke liye ladta hoon.

Raani phir ShairShing ko apne kiye hue faisale ke baare mein vistar se batati hai.

ShairShing: Jaisa aap sab thik samajh rahe hain, mujhe manjur hai.

Vidya Govind: To thik hai, phir main aaj se hi taiyaari shuru kar deta hoon. Aur samay aane par tumhe bata doonga.

ShairShing: Ji, thik hai.

Phir sabhi khade hote hain aur chale jaate hain.

Vidya Govind apni karya sala ki or chalte hain, aur wahaan pahunchkar apni sahayika Gauri ko bulata hai. Gauri jo abhi 27 saal ki thi, aur vidya banne ke liye Govind Ji ki shishya bani huyi thi, aati hai.

Vidya Govind: Gauri, woh hum jis anokhi dawai par kaam kar rahe the, use taiyar karna hai. Humein woh kisi aadmi ko dena hai.

Gauri: Guruji, par woh, maine dhyaan diya hai ki humne jis bhi janwar ko iski khuraak di hai, woh gussail aur...

Vidya Govind: Aur... kya?


Absolute-Reality-v16-Photorealistic-Professional-photography-A-0
Gauri: Ji, woh uski vasna mein bahut bada uchal aata hai. Kya humein kuch aur samay tak isse manav parikshan ke liye rokna chahiye?

Vidya Govind: Vahi to nahi hai hamare paas, samay.

Vidya Govind: Raani Ji ka kehna hai ki hamare paas sainya-bal kam hai, agar kal koi aur hamla hua to hum uska samna nahi kar payenge. To isse taiyar karo.

Vidya Govind aur Gauri dono use davai ko bana me lag jate hai. Uske do din jadi-butiyan se dawai banane mein guzar jate hain.

Aur fir jab dawai tayyar thi, to use ShairShing ko di jati hai. Dawai ke asar se ShairShing ko neend aane lagti hai. Uske liye vahi karyashala main uske sone ki vyavstha ki gayi thi.

Rat ka samay tha to sabhi kaam karke Gauri apne ghar chali jati hai. Aur Govind Ji vahi karyashala mein ruke the.

ShairShing aadhi raat ko bechaini mahsus karta hai. Usko bahut pasina aane lagta hai. Uska dil bechaini se dhadakne lagta hai. Woh uth kar karyashala mein chakkar katne lagta hai. Usko chakkar lagate dekh, Govind Ji wahaan aate hain.

Govind Ji: Kya hua, aise chakkar kyun laga rahe ho?

ShairShing: Pata nahi guruji, mujhe ek ajib si bechaini mahsus ho rahi hai.

Govind Ji: Dawai ke karan tumhare sharir mein parivartan ho raha hai. Isi karan. Ek kaam karo, tum naha lo. Jab sharir ko thanda lagega, to aaram se neend aayegi.

Govind Ji ki salah par ShairShing nahata hai. Nahane ke baad use accha lagta hai. Woh phir se so jata hai.

Isi tarah samay bit raha tha. Govind Ji ShairShing par nazar rakhte the. ShairShing ki tabiyat aur uske sharir mein hone wale parivartan par nazar rakhte the.

Uske sharir mein ek sath kai parivartan aa rahe the. Uske haath-pair, jo pehle bhi majboot the, ab aur bhi takatwar lagte hain. Uski chati aur bhi chauri aur majboot ho rahi hai. Uski lambai bhi badh rahi thi.

Govind Ji ne sabhi tarah ke parikshan karne ke baad ShairShing ko Rani ke paas le jate hain. ShairShing ko dekhkar Rani aur Lakshmi dono hi ashcharyachakit hote hain.


Default-A-35-year-old-man-with-a-muscular-physique-big-chest-l-2-1f9d5697-11e5-46a5-8f8e-ceae5807a43
ShairShing, jo pehle 5.7 feet ka vyakti tha, ab 7 feet tak ka lag raha hai. Uske sharir ki shakti aur bhi adhik dikh rahi hai. Is drishya ko dekhkar Rani aur Lakshmi dono hi hairan the.

Kuch samay baad

Paas ke ek dusre rajya ne Prakriti rajya ke sthiti ko dekha aur unpe hamla kar diya. Unhe lag raha tha ki Prakriti rajya mein sena-bal kam hai, to ab yeh sahi mauka hai.

Par unhe ShairShing ke bare mein kuch nahi pata tha. ShairShing apne saath kuch sainikon ko lekar maidan mein jata hai. Aur unke samne aane wale sabhi dushman sainikon ko aasani se maarta jata hai.

ShairShing ke is roop ko dekhkar dushman log apne kadam piche le lete hain. Aur apni jaan bacha kar bhaag jate hain.

Ye ek-tarfa jeet se Rani aur rajya ke log kafi khush the. Unhe aisa lag raha tha jaise unhe ek messiah mil gaya ho, jo unki suraksha karega.

Lekin samay bitne ke sath-sath, aise kayi hamle hote rahe aur ek-tarfa jeet bhi. Isi karan ShairShing mein ghamand badhne laga tha. Uska gussa aur bhi tez ho gaya tha, aur sath hi sath vasna bhi badh rahi thi.


Gifs se aapki story ko char chand laag gaye hain
 
  • Like
Reactions: mrDevi

mrDevi

There are some Secret of the past.
928
2,080
124

Curiousbull

Active Member
1,138
1,955
158
Hero ko bhi shair Singh jaise raat ko ghabrahat Hui thi. Lagta hai gauri ne hero ko jado buti pilani shuru ki hai ya pila di hai.
 
  • Like
Reactions: mrDevi

Shahrukh

Well-Known Member
5,218
14,409
188
Nice and fantastic story
 
  • Like
Reactions: mrDevi
Top