Rani se bat kar ke wo dono, mahal se bahar aa jati he. Us din Anandita teen baar dekhne jaati hai ki ladka hosh mein aaya ya nahi aaya.. Pr ladka pura din hosh me nhi aaya tha. Usko jese letaya tha, vese hi wo soya huva tha. Ek sainik har waqt us ladke par nazar rakhta tha, aur aise hi poora din guzar jata hai.
Dusra din
Raani apne mahal ke shihasan pe bethi huvi thi. Unke piche do mahila pankhe se hawa dal rhi thi. Unse thodi duri par matrigan ke liye khursiya thi. Jin unke rajya ki mantriya bethi huvi thi. Unhi me ek thi Vasundhara. Uske piche Anandita khadi thi.
Raani: Vasundhara kya us ladke ko hosh aaya?
Vasundhara: Nhi, raani ji. Kal se wo use hal me he. Jese hmne rakha tha usi halat me he.
Raani: Ajib bat he, ab tak to use hosh aa jana chahiye tha.
Vasundhara: Raani ji, muze lagata he sayad use gahari chot lagi hogi, issi liye aese hal me ho!!
Raani: To kya kise vaidya se uski jaach krvayi gyi he?
Vasundhara: Nahi raani ji.
Tabi unke ek mantri bolti he. Jiska nam tha, mohini, wo rajya ka logo ki rajya ke khajane ki dekhbhal krna.
Mohini: Kya ye laparvahi nahi hai, Raani ji?
Vasundhara: Mohini ji, kya aapko puri bat pata he?
Mohini: Nahi pata, pr kya hmare aas pas ke anya rajya ke log jise yaha kaidi banaya gya he uska bhi khayal nhi rakha jana chahiye?
Vasundhara: par wo...
Raani( Bich me): Mohini, ye bat alag he. Ye ladka yahaan ka nhi he.
Vasundhara: Haan, ye humein samundar kinare pr se mila he. Or ajib bat ye he ki nahi ye aaspas ke kisi bhi dvip ka lagta he.
Mohini: To fir use yaha laya hi kyu jaya he?
Vasundhara: kyo ki rajya ki suraksha ke liye use khula bhi kahi nahi rakh skte. Kya pata wo koy jaasus ho.
Raani: Vasundhara ki ye baat thik hai. Par Vasundhara, tumhe kisi vaidya se uski jaanch karvaani chahiye thi. Agar use yahaan kuch ho gaya to?
Vasundhara: Maaf kijiye raani ji, pr jab tak ye baat, sabhi mantrigan ko pata na chale , tab tak humne ye bat sabse chupayi thi.
Raani: Thik hai, ab sabko pata chal gaya hai, to tum use kisi vaidya se dekha skti ho. Sayad unki madad se. Abhi ke liye aap sab ja skte he, Vasundhar or Anandita hi rukenge ab.
Sabhi mantriya vaha se jane lagti he, Vasundhara or Anandita vahi ruk jati he. Raani piche mudke un do ladki ko bhi jaane ka keh deti he.
Sabhi ke jaane ke bad.
Raani: Vasundhara muje pata he, tumne tum kalse gusse me ho, or sayad issi vajah se gusse me tumne iss bat pe dhyan nhi diya he.
Vasundhara: Muje nhi lagta ki hume uss pe jayda dhayan dena chahiye. Aapki kal ki halat dekh kr muje laga humne galti kar di use yaha lake. Kya pata, kal chal ke wo bhi aapke sath aesa kare.
Raani: To fir tum bhi to vesa hi kar rhi ho, kisi aur ki vajah se tum iss ladke ki jaan jokhim me dal rhi ho.
Vasundhara: Muje ab kisi pe bhi aadmi pe bharosa nhi he.
Raani: Thik he pr, agar hamari laprva ki vajah se uski jaan chali gyi to? Ye socha he tumne?
Vasundhara: Maaf kijiye raani ji, pr ye sab isi layak he.
Raani: kyu? Kya usne kuch galat kiya he?
Vasundhara ke pass koy jawab nhi tha.
Raani: Bharosa to muje bhi nhi he, par hume bhi kisi ki jaan se khelne haq nhi he. Jao Anandita ko leke or us ladke ki halat ki jach krvalo.
Vasundhara: jesa aap thik samje.
Fir raani waha se jaane lagti hain, pr unke pair ladkhada jate he, Vasundhara unko tham leti he. Or unko sahara deke unke kamre tak chod aati he.
Raani se milne ke baad Vasundhara or Anandita mahal se bahar aati hain, sath mein ek sainik bhi hoti hai.
Vasundhara: Nila, jaake Gauri vaidya ko bulao. Unse kaho ki Raani ji ka adesh hai aur unko seedha kaidi ko rakhne wali surang me leke aana.
Nila unka adesh sunte hi chali jaati hai.
Wahaan se Vasundhara aur Anandita sidhe surang ki or chal padti hain. Thodi hi der me dono us kothari ke bahar khadi hoti hain jahan us ladke ko rakha gaya tha. Ladka abhi bhi usi halat mein pada hota hai.
Vasundhara (Sainik se): Kya kal se ye isi halat mein hai?
Sainik: Ji haan, ye bas aise hi pada hua hai.
Vasundhara: Jinda to hai na?
Sainik: Haan, thodi thodi dair mein usko saansein jaach aati hu.
Vasundhara: Ajib baat hai, kisi ko bhi aise behosh hote nahi suna hai!!
Anandita: Ye zinda rahe to acha hai, warna wo Mohini issi baat ka mudda bana ke rahengi, aur hume nishaane pe legi.
Vasundhara: Pata nahi, usse humse kya dikkat hai!
Anandita: Pata nahi...
Tabhi wahaan ek mahila safed kapdon mein aati hai, uska kad jyada nahi hoga, karib 4.5 feet ka. Uske baal uske kandhon tak hain, uska gol chehra uske, choti aankhen kajal se saji hui hoti hain. Uske haath mein thela latkaya hua hai, jisme se mariz ke liye jadibuti se bani dawa rakhi huvi hain.
Vasundhara: Pranam Gauri ji.
Gauri: Pranam, kiski jaanch karni hai, aur wo bhi yahaan.
Vasundhara: Ji wo ek kaidi hai, hame behoshi ki halat mein mila hai. Kal se usi halat mein hai.
Gauri: Kal se?
Anandita: Haan, kal se.
Gauri: Chaliye, ye to gambhir samasya hai, koi insaan aise thode na behosh reh sakta hai!
Anandita: Pata nahi, par woh isi halat mein hai, par uski saansein chal rahi hain.
Anandita sainik ko kothari kholne ko kehti hai. Sainik apni kamar pe latki chabhi ko leti hai, aur kothari ka darwaza khol deti hai.
Tino andar chali jaati hain, sainik wahin bahar rehti hai. Andar jaate hi tino apni naakon ko apne haath se dhak leti hain.
Gauri: Ummhh, yahaan to bahut badbu hai, shayad isne apna mutra yahi tyag diya hai. Yahaan to kaise iski jaanch karun? Yahaan to khade bhi nahi reh sakte.
Vasundhara: Ek kaam karte hain, ispe pani daal dete hain, aur isse kisi dusri kothari mein le jaate hain.
Anandita: Haan, ye thik rahega.
Tino wapas bahar aajati hain.
Vasundhara (Sainik se): Tumne bataya kyun nahi ki kothari ki halat aisi hai.
Sainik: Kaisi hai? Mujhe nahi pata.
Vasundhara: Usne kothari mein hi apna mutra tyag diya hai. Jao dekho kaisi badbu aa rahi hai. Jao jakar pehle uspe pani daalo, aur fir use ye samne wali kothari mein rakh do.
Sainik: Maine aapke aane se pehle hi iski jaanch ki thi. Tab to aisa nahi tha.
Vasundhara: Ha ha, woh sab chhodo, aur jao jaisa kaha gaya hai vaisa karo.
Sainik dar ke maare wahan se jaati hai, ek balti mein pani lekar aati hai, aur saath mein ek aur sainik ko lekar aati hai.
Dono kothari mein jaati hain, unko bhi waisi hi badbu aati hai, dono apni apni balti se us par paani daal deti hain.
Gauri (bahar se): Ek kaam karna uske kapde bhi nikal dena, wo bhi gande hi honge.
Andar dono sainik ladke ki kapde nikaal deti hain. Ladke ke sarir ko dekh kar dang reh jati he. Ek sainik bahar aati hai.
Sainik: Ji, uske saare kapde nikaal diye hain. Par ab woh bilkul nanga hai, Aur...
Gauri (Bich me hi): Haan, jao usse lekar aao.
Sainik wapas andar jaati hai aur ladke ko utha kar lati hai.
Ladke ka shareer dekh kar tino heran reh jaati hain. Uske shareer par jagah jagah par khun chusne wale kide lage hue hote hain. Jahan-jahan woh kide hote hain, wahaan pe kale dhabbe ban gaye hain.
Gauri taizi se apne thele se ek saaf kapda nikalti hai aur Anandita ko kothari ke andar bichane ko kehti hai. Anandita unke haath se kapda lekar use kothari ke andar bichha deti hai. Aur sainik ladke ko uspe sula deti he. Fir Gauri bolti he.
Gauri (Gusse mein): Tum logo ko kuch budhi hai ki nahi. Kal se woh is halat mein hai aur tum mujhe aaj bata rahi ho.
Vasundhara aur Anandita bhi ye dekh kar chonk thi. Vasundhara ko apne kiye pe pachhtava hone lagta hai.
Gauri: Aaj bhi agar main yahaan na aati to iska to kam tamam tha. Ye apni jaan kho deta.
Vasundhara: Maaf kijiye, ye meri laparvahi hai.
Gauri: Vasundhara, tum kabse laparvahi karne lagi?
Anandita: Abhi daantna chhodo aur iska ilaaj karo.
Gauri gusse mein dono ko taraf dekhti hai aur kehti hai: Mujhe ek pani se bhara patra do.
Sainik taizi jati hai aur balti mein pani lekar aa jati hai. Vasundhara aur Anandita Gauri ka gussa pee jaati hain. Yahaan galti unki thi.
Gauri sainik ke kamar pe latki chaku mangti hai. Sainik use chaku de deti hai. Chaku lekar Gauri ladke ke badan se kide nikalne lagti hai, aur balti mein daalne lagti hai. Jahan se kida nikala jaata hai, wahaan se khun behne lagta hai. Ek ek karke kul pandrah kide nikalte hain.
Gauri (Sainik se): Ek patra mein saaf pani chahiye. Aur haan, balti mein nahi.
Sainik taizi se jati hai. Gauri phir se dono ki taraf mudti hai.
Gauri (Gusse mein): Vasundhara, tumhari laparvahi ki wajah se aaj iski jaan chali jaati. Socha hai kya jawab dete?
Vasundhara kuch nahi bolti hai.
Gauri: Iske rishtedaron ko pata hai, ye yahaan kaidi hai?
Is par Anandita Gauri ko kal se leke aaj tak ki saari ghatna bata deti hai, kaise ye ladka unhe mila aur yahaan laya gaya.
Gauri: Haan, iske kapde dekh ke kuch ajeeb sa to laga tha. Par badbu ke karan me sab bhool gayi. Ab pata chala, ki ek mutra tyag me aisi badbu kaise aa sakti hai.
Vasundhara: Ye thik to ho jayega na?
Gauri use jawab deti use pehle sainik pani leke aa gayi thi. Pani wahaan rakh ke wo paas mein khadi ho gayi. Gauri apne thele se kapda nikal ke ladke ke badan ko saaf karti hai, fir kapde ko pani mein bheego deti hai. Aise karke pura badan saaf karne lagti hai.
Thodi der baad wo ladke ko lund ko apne haath mein leti hai. Ye dekh ke Anandita bolti hai,
Anandita: Aap rehne dijiye, ye main kar deti hu, aapke liye ye shobha nahi deta.
Gauri: Ye mera kaam hai. Tum chup chap wahaan khadi ho jao. Agar itni hi chinta hoti to mujhe bulane mein itni der nahi lagti.
Gauri fir ladke ka lund pakadti hai, aur dekhti hai uske lund ke niche ke bhag mein bhi ek kida chipka hua tha jo use nahi dikha tha. Chaku se usko bhi nikal ke balti mein daal deti hai. Aur fir wapas lund apne haath mein leke use saaf karti hai.
Aise karke wo pura badan saaf karti hai.
Fir apne thele se ek patra nikalti hai aur usmein kuch jadibutiyan mila kar, uska lep bana deti hai. Aur jahaan jahaan se khoon nikla tha, use fir thoda saaf kar ke. Uspe lep laga deti hai.
Lep laganey ke baad dusra patra nikal ke, usmein jadibutiyan, aur apne thele se paani nikal ke uska gadha paani ladke ko pila deti hai.
Thodi der ladke ke paas beth kar Gauri khadi ho jaati hai. Kehti hai.
Gauri: Abhi ke liye to iska ilaaj ho gaya hai. Ab in dawaon ka asar hone mein time lagega. Shaam tak isse hosh aa sakta hai. Aur haan thodi-thodi der mein isko paani pilate rahna. Dhyan rahe iska mutra tyag ho, to woh saaf ho jana chahiye. Aur mutra tyag ke baad ye neeche ka kapda bhi badal jana chahiye.
Vasundhara aur Anandita haan mein sir hila deti hai.
Gauri: Ab main shaam ko fir aaungi iski jaanch karne. Tab tak tum charo yahi rahogi. Iski halat ki jimmedar tum dono ho. To iska dhyan bhi tum dono hi rakhogi.
Vasundhara hami bhar deti hai. Gauri wahan se apne ghar chali jaati hai.
Vasundhara apne mathe pe haath de ke deewar se tik kar baith jaati hai.
Vasundhara: Meri galti ki saja ye bhugat raha hai.
Anandita: Aisa nahi hai, tumhe thodi pata tha ki uske badan par kide chipak gaye hain.
Vasundhara aur Anandita wahi bethi rahti hain.
Karib do ghante beet gaye the, ladke ko thodi-thodi der mein paani pilaya ja raha tha. Aur uske mutra tyag karne pe jagah ko saaf kiya ja raha hai. Aur kapde ko badal diya jaata hai.
Aise hi shaam ho jaati hai. Shaam hone pe Gauri wapas aati hai. Gauri ke aate hi Vasundhara aur Anandita khadi ho jaati hain.
Gauri aake saaf pani mangwati hai. Sainik paani leke aati hai, aur Gauri ke paas rakh deti hai. Gauri ladke ko firse saaf karne lagti hai. Jaise hi Gauri ladke ke lund ko chhuti hai, woh jhatka maar deta hai.
Ladka kahrate hue bolta hai. Paaaaani.