• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Secret Island (Completed)

Vikash007

हम तेरे दीवाने हैं
994
1,087
138
Update
 
  • Like
Reactions: mrDevi and Smith_15

mrDevi

There are some Secret of the past.
946
2,091
124
  • Like
Reactions: HONEY SINGH14

mrDevi

There are some Secret of the past.
946
2,091
124
Gauri Vikrant ko kuch logon ki sahayata se apne ghar ilaaj ke liye le jaati hai. Aur baaki sab log yahi darbar mein ruk jaate hain. Vahi Kusum ko bhi bandi bana kar laaya jaata hai.

Kusum ko ankhein abhishap se bhari hui thi, uske samne ShairShing ki lash darbar me bicho bich padi huvi thi. Usne apni hatheliyon se aansu pochhe.

Rani, darbar ke shinghasan par baithi thi. Unke chehre pe ShairShing ke marne ke nishan the, jo usne apne praja ke liye saha tha. Uske lambe, kale baal bikhare hue the, jaise unmein bhi andhere ki ek gehraiya ho. Uski saree jagah jagah se fati thi. Unke sath rahne wale sabhi log samajh rahe the ki Rani ki is avastha ka jimmedar darbar ke bich me lash ki roop mein pada tha.

Kusum, ab darbar ke madhyabhag mein khadi thi, uski ankhon se aansu bahe ja rahe the.

Rani: Kusum, tumne aisa kyun kiya? Apne rajya ke sath hi aesa vishvasghat?

Kusum, jo apni Rani ke samne bandi ki tarah khadi thi, uski aankhon mein aansu the, jab usne apne dhoke ka parinaam bhugatna shuru kiya.

Rani: Apni choti behen ki tarah maine tumhe dekha tha, tumhe hamesha 'beti' ki tarah samjha. Aur tumne aisa kiya!

Rani ke aankhon mein bhi aansu aa gaye, jab usne yaad kiya ki usne Kusum par kitna vishvas kiya tha, jo hamesha uske liye ek chotu behen ki tarah thi.

Rani: Bolo aisa kyun kiya?

Kusum rote-rote boli: Baap tha woh mera, jaisa bhi tha baap tha mera.

Rani sun kar toot gayi, woh nahi samajh sakti thi ki Kusum, jisne unke rajya ko itna dukh diya tha, us vyakti ko apne pitaji ki tarah maan rahi thi.

Rani: Iss insaan ko apna pitaji manti ho? Jisne tumhare rajya ki aurton ki izzat luti. Tumhari Rani ko itna sehna pada aur tum usse apna pitaji manti ho?

Kusum chup thi, uske aankhon mein vo apni galti ka bojh utha rahi thi.

Rani: Rajya se gaddari karne walon ko maut ki saza di jati hai.

Kusum ki aankhen dar se bhar gayi, jab usne apni saza ki kalpana kiya.

Rani: Par main tumhe maut ki saza nahi de sakti, kyunki maine tumhe hamesha apni choti behen ki tarah dekha tha.

Rani: Par iska matlab ye nahi ki tumhe saza nahi milegi, tumse rajya se nikala jayega. Aaj ke baad tum iss rajya mein nahi rah sakti. Tumhe yeh dwip ko chhodkar jana hoga.

Kusum ki aankhon se aansu beh rahe the.

Rani: Iski bediya khol do, taaki woh apne pitaji ki antim vidhi kar sake, aur sainik uske sath rahenge jab tak woh vidhi puri na kare, uske baad woh is rajya se bahar nikal di jayegi.

Dil se vyathit, Rani ne darbar chhod kar apne kamre ki or badhi.

Kusum ne apne pitaji ki lash ko uthane ki koshish ki, lekin uska kamjor sharir uske liye mushkil ban raha tha. Usne aas-paas dekha, ummid thi ki koi uski majboori ko samjhe aur madad kare. Lekin sabhi ke dil mein itna gussa tha ki kisi ne bhi uski madad nahi ki.


Kusum majboori apne pita ki lash ko ghasitne ki koshish karti hai. Ye drishya Anandita ke liye dukhad hota hai, kyun ki aaj Kusum ne unke sath vishwasghat kiya tha, lekin unke sath kai saal se thi. Unka dil uske liye vyathit tha.

Anandita, jo Vasundhara ki or dekhti hai, uski aankhein vyakulata aur dukh se bhar aati hain. Vasundhara samajh jaati hai ki Anandita kis prakar ki bhaavnaayein mahsoos kar rahi hai. Vasundhara apni aankhon mein hami bharti hai aur sainikon ko apni or ishara karte hue kehti hain.

Vasundhara: Sainik, iski madad karo.

Sainik, Vasundhara ki or dekhte hain, unka vyavhaar sunishchit hai, lekin unki aankhon mein ek samvedansheelata bhi dikhai deti hai.

Vasundhara (Gusse mein): Ye mera aadesh hai.

Vasundhara ka gussa dekh kar ve ShairShing ki lash ko utha kar uski antim vidhi karne ke liye usse le jaate hain.

Kusum, apne pita ko agni de deti hai, us samay uske alawa koi nahi hota. Sainik, jo uske saath the, wo dur khade hain. ShairShing ki lash poori tarah se jal jaane tak, Kusum wahin baithi rehti hai. Aur jaise hi buniyad puri tarah se jal jaati hai, sainik uske paas aate hain aur use rajya se bahar nikalne ke liye le jaate hain.

Kusum ko apne ghar se apna zaroori saman lene diya jaata hai, aur phir use rajya ke mukhya dwaar se bahar nikala jaata hai.

Kusum, apne pitaji ki antim vidhi khud karti hai, aur uske sath koyi nahi hota. Sainik, jo uske sath aaye the, woh dur khade the. ShairShing ki chitta puri tarah se jal jane tak, Kusum wahin khadi rehti hai. Aur jaise hi chitta puri tarah se jal jati hai, sainik uske paas aate hain aur usse rajya se bahar nikalne ke liye le jate hain.

Kusum ko apne ghar se apna zaroori saman lene dete hai, aur phir use rajya ke mukhya dwaar se bahar nikala jata hai.

Rani, apne snanghar mai pani se bhare hue kund mai baithi thi. Unki aankhon se aansu bahe ja rahe the, jaise unka dil apne andar chhupa hua dukh ko bahar nikal raha ho. Aaj, kayi salo ke baad, unhe apne dukhon se mukti mili thi. Aaj tak, jo unhone sahan kiya tha, apne sharir ko apni praja ke liye kurban kiya tha, uska ant aaj ho gaya tha.
 
Last edited:

mrDevi

There are some Secret of the past.
946
2,091
124
डेवी भाई बढ़िया कहानी जा रही है।

अब विक्रांत शायद इस द्वीप का तारणहार बनेगा। लेकिन वो तो टाइम ट्रैप मे फसा हुआ है। उसको घर भी तो जाना होगा या कम से कम मां को इधर लाना होगा।
New update posted bro
 

Shahrukh

Well-Known Member
5,223
14,414
188
Nice and fantastic update bhai keep posting
 
  • Like
Reactions: Smith_15 and mrDevi
Top