• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Secret Island (Completed)

mrDevi

There are some Secret of the past.
926
2,077
124
Idhar Prakriti dwip par Suraj ki kirno ke sath naye din ki shuruaat huvi. Vikrant Gauri ji ko apne baho me liye huve soya huva tha. Unke chehre par rat ke sambhog ka ek alag hi aanad dikhay de raha tha. Panchio ki awaz ke sath Gauri ji ki nind khulti hai. Wo utha kar bahar jati hai aur nitya kam karti hai.

Thodi dair bad Vikrant bhi uth jata hai, aur wo bhi nahane chala jata hai. idhar Gauri ji dono ke liye nasta banati lag jati hai. Tabhi Gauri ji se dudh ka bartan gir jata hai. Subah subah dudh gir jane Gauri ji ko kuch bura hone ka andesa hota hai.

Tabhi Vikrant bartan ki awaz sun uske pass aata hai, dudh gira huva dekh use thodi chinta huvi. Use aesa laga ki dudh garm hoga.

Vikrant: Kya huva? Aapko kuch huva to nahi?

Gauri ji(gabharate huve): Nahi, parr.

Vikrant: Par kya?

Gauri ji ki aankho me dar zalak raha tha. Use dekh Vikrant firse puchta hai..

Vikrant: Par kya Gauri ji?

Gauri ji: Vikrant subah subah dudh gir gaya hai. Kuch bura hone wala hai. Ye bahut hi bura apshukan hai.

Vikrant Gauri ji ki bat sun zor zor se hasne lagta hai. Use Gauri ji ki bat dakyanusi lag rahi thi.

Vikrant: Gauri ji aesa kuch nahi hota, galti se dudh gira isme aesa darne ki bat nahi hai.

Gauri ji: Vikrant tum nahi mante koy bat nahi, pr me in bat ko manti hu.

Vikrant: Acha acha! Ab kya karna hai?

Gauri ji: Kya karna hai! Bas bagwan se yahi prathana hai ki kuch bura na ho.

Vikrant: Me naste ke bare me puch raha tha.

Gauri ji: Vikrant tumhe har bat maza lag rahi hai.

Vikrant: Aesa kuch nahi hota, ab naste me kya khana hai wo batao.

Gauri ji: Tum betho, me gausala se dudh leke aati hai.

Vikrant: Rehne do fir me dopahar ko kha lunga.

Gauri ji: Ruko na thodi dair. Abhi le aati hu.

Vikrant: Nahi, ghode meri rah dekh rahe honge.

Gauri ji: Kya aur koy nahi hai unka dhayan rakhne ke liye?

Vikrant: Nahi, me hu na unke liye. Chalo me chalta hai. Dopahar ko aaunga.

Vikrant Gauri ji ko hotho ko chumta huva, chala jata hai. Vikrant ke jate hi Gauri ke chehre par firse chinta ke badal cha ne lagte hai.

Vikrant Gauri ji ke ghar se nikal kar sidha ghodo ke astabal pahuchta hai. Vahi uski mulakat Rani se hoti hai.

Vikrant: Aap yaha? Lagta hai Aaj ghud Savari karne gayi thi.

Rani kuch nahi bolti, aur vaha se chali jati hai. Unhe ab bhi Vikrant ke bina ijjat ke chune par gussa tha. Vikrant apne kamo me lag jata hai.

Idhar rajya ke log apne apne kamo me vyast the tabhi, Samundar ke kinare ek naav se Kusum utarti hai. Aur Mahal ki aur chalne lagtai hai.



Default-open-battlefield-ground-A-woman-with-big-breast-and-cl-0-b48a57c1-1677-454e-ba16-a9c0048be11

Kusum ab alg dikhne lagi thi, pehle jo komal kaya si dikhti thi, ab wo barbarta bhari dikh rahi thi. Aesa lag raha tha jese ek Kali shaktiyo se ghiri huvi ho. Uske kadam rakhte hi aesa laga jese vatavaran me Kali shaktiyo ka raaj cha gya ho. Ek anjani si chupi cha gayi thi.

Tabhi do sainik kisi ajnabi ko dekh uski taraf aate hai. Aur Kusum se puch ne hi ja rathe the, jese hi Kusum se aankhe mili, wo dono apni jagah ruk gayi. Aur piche mud kar wapis Mahal ki aur chalne lagi.

Kusum saitani hasi haste huve unke piche chalni lagi. Thodi hi dair me teeno Mahal me bahari dwar par khade te. Unko dekh dwar sainik puchti hai.

Dwar Sainik: Kaha? Kisse andar la rahi ho?

Dono sainik kuch jawab nahi deti. Be aese hi uske samne mut banke khadi rehti hai.

Dwar Sainik Kusum ki aur dekhati hai. Aur jese hi uski aankhe milti hai. Wo bhi Kusum ke was me aa jati hai. Aur piche mud kar dwar kholne lagti hai. Dwar khulte hi Kusum aage chalne lagti hai. Aur sainik uske piche piche.


Mahal ke bahari dwar khul te hi, Vasundhara aur Anandita ko khabar mil ti hai. Aur un dono ko abhi ajib lag rha tha. Wo dono turant hi us taraf aane lagati hai.

Dono dodati huvi aa rahi thi, sidha Kusum ki aur. Jese jese pass aa rahi thi Vasundhara ka chehra gabharat me chala jata hai. Wo use pehchan jati hai. Uski aankhe Kusum se milti hai aur wo bhi apni gayi dheemi kar leti hai.

Sath aa rahi Anandita Vasundhara ko dheema padta dekh hairat me aa jati hai. Wo firse aage dekh Kusum ko pehchan leti hai aur bolti hai.

Anandita: Tumhari himmat kese huvi Rani ji ki anumati ke bina yaha, kadam rakhne ki?

Kusum: Kuch jayada hi jaban chal rahi he iski! Vasundhara

Anandita: Usse kya bol rahi hai jo, hum dono sath me hi tumhe yaha se nikal ne aaye hai.

Kusum: Mujhe to aesa nahi lagta!! He na Vasundhara?

Vasundhara kuch nahi bolti, wo bhi bas chupchap khadi thi. Aur bina palke japkaye dekhe ja rahi thi.

Anandita: Chalo bahar ki taraf chalo, yaha ab tum nahi rah sakti. Aur tum teeno kisse puch kar isse andar aane diya

Kusum: Vasundhara isse chup karao.

Vasundhara ye sunte hi apni talwar nikalti hai, aur sidha Anandita ke pith piche se war kar uske pait ki taraf se bahar nikal deti hai.

Talwar ke iss war se Anandita ke pait se khun dhaar chut padti hai, aur uske muh se bhi khun ki ulti nikal padti hai.

Isi ke sath Prakriti dwip par maut ke kale badal chane lagate hai. Jese Kali shaktiyo ne pure aashman ko apni Raaz me kabza kar liya ho.

Kusum kuch mantra bolti hai, aur Vasundhara apne hosh me aati hai. Jese hi use hosh aata hai, wo dekhti hai apne hatho ko. Jo talwar pakde huvi thi, aur uski talwar Anandita ke badan ke aar-par thi. Uske badan se khun nikal raha hai. Wo dard me kuch bol nahi pa rahi rhi. Vasundhara jatle se talwar chod deti hai, aur Anandita ko shara deti hai, aur niche beth jati hai. Aur bethe bethe Kusum ki aur dekhti hai. Uski aankho me dar ki kali chaya dikh rahi thi.
 
Last edited:
Top