• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The Secret Island (Completed)

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
15,685
39,505
258
ShairShing bokhalate hue khada hota hai, uska sar ghoomne lagta hai. Woh apne samne ek shaksh ko khun se sana hua khada dekhta hai.

Vikrant, khun se sanna hua, ShairShing ke samne bade hi bekhof se khada tha, bina kisi dar ke.

ShairShing tezi se uske paas aata hai, aur jor ka mukka Vikrant ke pait pr mar deta hai, Vikrant ke muh se khun ka fuvara chut padta hai. Vikrant vahi beth jata hai, apne pait ko pakade huve.

ShairShing: Basss itnaaa hiiii damm..... Ahhhhh...

Vikrant ShairShing ke pait me mukka mar deta hai, ShairShing karhata huva piche chala jata hai, uske sabd uske muh me hi reh jate hai. Wo dard se apne pait ko pakde khada rehta hai.

Rani Chandralekha aansu bhari aankhon se Vikrant ko dekhti hai. Use hairat hoti hai dekhkar ki ek anjaan shaksh uske liye lad raha hai, apni jaan ki parwah kiye bina. Yeh drishya uski aankhon mein ek ajeeb sa aabhas paida karta hai, ki koi, jise woh thik se janta bhi nahi, aaj uske liye itna kuch kar raha hai.

ShairShing fir se Vikrant ke paas aata hai, aur uske muh pe mukko ki barsat kar deta hai, Vikrant ka muh jo pehle se hi khun se sanna tha, ShairShing ke mukko se wo aur bhi laal ho jata hai.

ShairShing Vikrant ke muh pe ek jordaar mukka marta hai, aur Vikrant ko usi jagah gira deta hai. Khun aur dard se Vikrant vahi leta rehta hai.

Vikrant ko dard se leta hua dekh, ShairShing ghamand me hasta hai.

ShairShing: Ho gya, ab dekh apni aankhon se, isska main kya karta hu.

Rani ki aur badhte huve ShairShing hasta hai, par tabhi use uske pairo par kisi ka hath mehsus hota hai, wo piche mud ke dekhta hai, Vikrant uske pairo ko pakde huve tha.

ShairShing Vikrant ko apne pair se lat marta hai, par Vikrant uska pair nahi chodta, Vikrant badi jor se uska pair khich leta hai ShairShing ko muh ke bal gira deta hai. Girne se ShairShing ke muh me chot lag jati hai, uske muh se khun behne lagta hai.

ShairShing ka dimang gusse se bhanna jata hai, wo gusse me khada hota hai, aur vikrant ke uppar lat par lat marne lagta hai.

ShairShing ek honhar yodha tha, par Vikrant ke uske samne bar bar aa jane se, uska dimag bhinna jata hai, wo gusse me Vikrant ko bas mare ja rha tha.

Vikrant bhi ShairShing se mar khaye ja rha tha. ShairShing thodi dair bad thak kar, ruk jata hai, Vikrant bas dard mai leta huva tha, apni aakhe bndh kiye huve, uske sarir se jagah jagah se khun beh nikla tha.

ShairShing Vikrant ko leta huve dekhata rehta hai, Vikrant ko hilta huva na pa pakar, use lagta hai, ab wo nahi uthega, aur wo firse rani ki aur jane lagta hai.

Jese hi ShairShing rani ke pass pahuchta, uske sir ke piche mukka lagta hai, aur wo apna matha pakde huve piche ghumta hai, ShairShing jese hi piche ghumata hai, Vikrant uske muh pe mukke mar ne lagta hai, bina ruke wo mukke pe mukke marta rehta hai.

ShairShing apne par huve iss war se heran tha, har mukke ke sath use Vikrant ka mukka aur jor se lag rha tha, uske naak aur muh se khun behne lagta hai. ShairShing khud ko bacha ne ke liye apne hath apne muh pe le aata hai, jisse wo Vikrant ke mukko se bach sake.

Jese hi ShairShing apne muh ke aage hath lata hai, Vikrant ShairShing ke pait me mukke mar deta hai.
ShairShing ko iski ummid nahi thi, uske pait par lagatar mukko ke war se uske muh se khun beh nikalta hai.

ShairShing gusse me apne hath se Vikrant ke muh par ek jordaar mukka marta hai, is se Vikrant dur jake girta hai.ShairShing dard me vahi beth jata hai. Uska man ye manne ko hi nahi tha ki kaise ye aam sa dikhane wala ladka, uske liye raste ka kaanta banke kadha ho ja rha hai.

ShairShing fir khada hota hai, aur Vikrant ke pass jata hai, wo vikrant ko apne pairo se lat marne lagta hai, wo itna marta hai ki Vikrant ke muh se fir khun ka fuvara chut jata hai.

ShairShing Vikrant ko marte marte thak jata hai, aur vahi beth jata hai. Thodi der beth ne bad, wo fir khada hota hai, aur firse ek jordaar lat Vikrant ke muh pe marta hai, Vikrant ki halat dekh ab use yakin tha ki ab ye nhi uth payega.

ShairShing jorse chilata huva rani ke pass jata hai, aur gusse me uske balo ko pakad ke uthata hai, aur usko thappad mar deta hai, Vikrant ka gusse ab wo rani par nikal rha tha.

Jese hi wo rani ko marne ke liye fir se hath uthata hai, Vikrant piche ae uske mathe ko pakad leta hai, apne dono hath se. ShairShing hairani se bs un hatho ki garmi ko mahsus karta hai.

Vikrant chilate huve apne hatho se ShairShing ki gardan ko ghuma deta hai, ShairShing ki gardan uske pith ki tarf mud jati hai. Vikrant use aese ki pakde uske muh pe marta rehta hai.

ShairShing ka bejan sarir gir jata hai, Vikrant gusse me uske uppar beth kar, us bejan ShairShing ke muh pr chilata huva mukke marta rehta hai.

Vikrant ko itne gusse me dekh kar Rani dar ke mare piche hat jati hai, Vikrant bs chilata huva ShairShing ko mare ja rha tha.

Tabhi vahaan Gauri, Vasundhara, Anandita, aur baki log aate hain, Vikrant ka aesa roop dekhkar sabhi log dar ke mare jahaan the, wahi ruk jate hain.

Gauri, apni himmat jutakar, Vikrant ke paas jati hai. Uska dil tez dhadak raha hai, aur uska haath thamne me thodi der lagti hai. Jab Gauri Vikrant ke aankhon me dekhti hai, to usme gusse, dard, aur bebasi dekhti hai. Khun se sanne huve Vikrant ko dekhkar Gauri ke bhi aansu beh nikalte hain.

Gauri uske dard ko mehsoos karti hai, aur apne haath main Vikrant ka haath le leti hai. Vikrant Gauri ki aur dekhta hai, Gauri ke aankhon me bhi aansu hain, lekin woh Vikrant ko samajhna chahti hai.

Vikrant bethe bethe, apni taakat se kamzor hokar, Gauri ke kamar ko apne baho me bhar leta hai. Uske chehre par gusse ka rang dikh raha hai, wo gusse me chilata raheta hain. Gauri uske mathe ko pyaar se sahlate hue uske gusse ko mehsoos karti hai, uske saath hone wale andhkar ko samajhti hai.

Gauri, apni aakhon se Vikrant ki taraf dekhte hue, use dard se sahmi hui awaaz me kehti hai, Vikrant, bas! Yeh sab tham gya hai ab.


Vikrant, Gauri ki baaton ko sun kar, apne gusse ko dheere dheere shant karne lagta hai. Uska dard aur gusse ka andhkar dheere dheere kam hone lagta hai, aur woh Gauri ke saath ek lambe pal ke liye bas chupchaap kamar ko lage baithta rehta hai aur Gauri uske sir par dheere dheere apna hath ferti rehti hai.
Awesome update 👍👍
 
  • Like
Reactions: mrDevi

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
15,685
39,505
258
Gauri, apni aakhon se Vikrant ki taraf dekhte hue, use dard se sahmi hui awaaz me kehti hai, Vikrant, bas! Yeh sab tham gya hai ab.

Vikrant, Gauri ki baaton ko sun kar, apne gusse ko dheere dheere shant karne lagta hai. Uska dard aur gusse ka andhkar dheere dheere kam hone lagta hai, aur woh Gauri ke saath ek lambe pal ke liye bas chupchaap kamar ko lage baithta rehta hai aur Gauri uske sir par dheere dheere apna hath ferti rehti hai.

Vikrant aur Gauri aise hi baithe hue the, Rani door khadi Vikrant ko dekh rahi thi. Unke dil mein aaj kayi barso baad sukoon tha. Unhe us haven se chutkara mila tha. Apni peeda se chutkara mila tha, unki aankhon se bas aansu beh rahe the. Aaj tak jo unhone, unki Rani ma ne, aur rajya ki kayi aurton ne jo dard saha tha, uska ant hua tha.


Par tabhi darbar mein ek awaaz gunj uthati hai.

Sainiko, isse bandi bandi banalo, aur ek haath Vikrant ki aur ishara kar raha tha. Ye awaaz Vasundhara ki thi.

Vasundhara ki awaaz sunke sab chauk jaate hain. Sabko hairat hai ki ye sab kya ho raha hai. Akhir, Vikrant ko kyun bandi banane ka aadesh diya jaa raha hai.

Vasundhara ki awaaz sun kar, Gauri Vikrant ko apne se aur jakad leti hai. Jaise use us adesh se aitraz tha.

Gauri: Aap kya keh rahi hain, Vasundhara ji?

Vasundhara: Mein jo kar rahi hoon, woh theek kar rahi hoon. Humne pehle bhi ye galati kar li hai, ab dobara ye nahi karna hai.

Gauri: Aap kesi baat kar rahi ho?

Vasundhara: Aap nahi jaanti, aapki dawai ki wajah se ShairShing itna shaktishaali bana tha, aur vesi hi dawai Vikrant ko bhi di gayi hai. Mein nahi chahti ki Vikrant bhi aage chalke ShairShing jaisa bada khatra banega, isiliye mein abhi isi waqt use kaid karke dena chahti hoon.

Gauri: Acha to aapko lagta hai ki Vikrant bhi ShairShing ki tarah heaven hai? Abhi jab tak woh aap sab ke liye lad raha tha tab aapko ye baat yaad nahi aayi?

Vasundhara: Gauri ji, aap apne jazbaato pe kabu rakhiye, humein pata hai aapke aur Vikrant ka rishta gehra hai, lekin mein ab rajya ki bhalai ke liye soch rahi hoon.

Gauri: Par Vikrant se aap mein se kisi ko bhi koi khatra nahi hai, agar woh chahta to ShairShing se haath mila leta na.

Vasundhara: Woh mein kuch nahi jaanti, abhi yeh kamzor hai. Abhi sahi samay pe ise maar dete hain, agar aage chalte yeh theek hua to yeh bhi ShairShing ke jaise hamare liye khatra ban sakta hai.

Rani door khadi thi, sab baatein sun rahi thi, par abhi tak kuch bhi nahi bol rahi thi. Woh bas Vikrant ko dekhti ja rahi thi, jo abhi bhi Gauri ki kamar se lagkar baitha hua tha, aur kuch nahi bol raha tha.

Rani (chillate huye): Sabke sab chup ho jao, aur Vikrant ko koi haath bhi nahi lagayega.

Vasundhara: Par...

Rani: Maine kaha na ki koi bhi Vikrant ko haath nahi lagayega.

Rani: Abhi ke liye uska ilaaj hona zaroori hai. Gauri ji, aap Vikrant ka ilaaj kar dein. Isne mujhe bachane ke liye khud par bahut saha hai.

Vasundhara: Par Rani ji, aage chalke yeh bhi ShairShing ki tarah ban gaya to.

Rani: Kya, jo abhi hua hi nahi, uske liye hum aaj isko bina kisi gunah ke saza dena jayez hai?

Vasundhara: Par...

Rani: Haan ya na?

Vasundhara: Ji nahi.

Rani: To baat yahi khatam hoti hai. Gauri ji, abhi ki abhi aap Vikrant ko le jaiye aur uska ilaaj kar dijiye. Hum nahi chahte ki hamari wajah se unki jaan ko koi khatra ho.

Gauri: Ji Rani ji, aapka bahut shukriya.


Gauri Vikrant ko kuch logon ki sahayata se apne ghar ilaaj ke liye le jaati hai. Aur baaki sab log yahi darbar mein ruk jaate hain. Vahi Kusum ko bhi bandi bana kar laaya jaata hai.
Awesome update 👍
 
  • Like
Reactions: mrDevi

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
15,685
39,505
258
Gauri Vikrant ko kuch logon ki sahayata se apne ghar ilaaj ke liye le jaati hai. Aur baaki sab log yahi darbar mein ruk jaate hain. Vahi Kusum ko bhi bandi bana kar laaya jaata hai.

Kusum ko ankhein abhishap se bhari hui thi, uske samne ShairShing ki lash darbar me bicho bich padi huvi thi. Usne apni hatheliyon se aansu pochhe.

Rani, darbar ke shinghasan par baithi thi. Unke chehre pe ShairShing ke marne ke nishan the, jo usne apne praja ke liye saha tha. Uske lambe, kale baal bikhare hue the, jaise unmein bhi andhere ki ek gehraiya ho. Uski saree jagah jagah se fati thi. Unke sath rahne wale sabhi log samajh rahe the ki Rani ki is avastha ka jimmedar darbar ke bich me lash ki roop mein pada tha.

Kusum, ab darbar ke madhyabhag mein khadi thi, uski ankhon se aansu bahe ja rahe the.

Rani: Kusum, tumne aisa kyun kiya? Apne rajya ke sath hi aesa vishvasghat?

Kusum, jo apni Rani ke samne bandi ki tarah khadi thi, uski aankhon mein aansu the, jab usne apne dhoke ka parinaam bhugatna shuru kiya.

Rani: Apni choti behen ki tarah maine tumhe dekha tha, tumhe hamesha 'beti' ki tarah samjha. Aur tumne aisa kiya!

Rani ke aankhon mein bhi aansu aa gaye, jab usne yaad kiya ki usne Kusum par kitna vishvas kiya tha, jo hamesha uske liye ek chotu behen ki tarah thi.

Rani: Bolo aisa kyun kiya?

Kusum rote-rote boli: Baap tha woh mera, jaisa bhi tha baap tha mera.

Rani sun kar toot gayi, woh nahi samajh sakti thi ki Kusum, jisne unke rajya ko itna dukh diya tha, us vyakti ko apne pitaji ki tarah maan rahi thi.

Rani: Iss insaan ko apna pitaji manti ho? Jisne tumhare rajya ki aurton ki izzat luti. Tumhari Rani ko itna sehna pada aur tum usse apna pitaji manti ho?

Kusum chup thi, uske aankhon mein vo apni galti ka bojh utha rahi thi.

Rani: Rajya se gaddari karne walon ko maut ki saza di jati hai.

Kusum ki aankhen dar se bhar gayi, jab usne apni saza ki kalpana kiya.

Rani: Par main tumhe maut ki saza nahi de sakti, kyunki maine tumhe hamesha apni choti behen ki tarah dekha tha.

Rani: Par iska matlab ye nahi ki tumhe saza nahi milegi, tumse rajya se nikala jayega. Aaj ke baad tum iss rajya mein nahi rah sakti. Tumhe yeh dwip ko chhodkar jana hoga.

Kusum ki aankhon se aansu beh rahe the.

Rani: Iski bediya khol do, taaki woh apne pitaji ki antim vidhi kar sake, aur sainik uske sath rahenge jab tak woh vidhi puri na kare, uske baad woh is rajya se bahar nikal di jayegi.

Dil se vyathit, Rani ne darbar chhod kar apne kamre ki or badhi.

Kusum ne apne pitaji ki lash ko uthane ki koshish ki, lekin uska kamjor sharir uske liye mushkil ban raha tha. Usne aas-paas dekha, ummid thi ki koi uski majboori ko samjhe aur madad kare. Lekin sabhi ke dil mein itna gussa tha ki kisi ne bhi uski madad nahi ki.


Kusum majboori apne pita ki lash ko ghasitne ki koshish karti hai. Ye drishya Anandita ke liye dukhad hota hai, kyun ki aaj Kusum ne unke sath vishwasghat kiya tha, lekin unke sath kai saal se thi. Unka dil uske liye vyathit tha.

Anandita, jo Vasundhara ki or dekhti hai, uski aankhein vyakulata aur dukh se bhar aati hain. Vasundhara samajh jaati hai ki Anandita kis prakar ki bhaavnaayein mahsoos kar rahi hai. Vasundhara apni aankhon mein hami bharti hai aur sainikon ko apni or ishara karte hue kehti hain.

Vasundhara: Sainik, iski madad karo.

Sainik, Vasundhara ki or dekhte hain, unka vyavhaar sunishchit hai, lekin unki aankhon mein ek samvedansheelata bhi dikhai deti hai.

Vasundhara (Gusse mein): Ye mera aadesh hai.

Vasundhara ka gussa dekh kar ve ShairShing ki lash ko utha kar uski antim vidhi karne ke liye usse le jaate hain.

Kusum, apne pita ko agni de deti hai, us samay uske alawa koi nahi hota. Sainik, jo uske saath the, wo dur khade hain. ShairShing ki lash poori tarah se jal jaane tak, Kusum wahin baithi rehti hai. Aur jaise hi buniyad puri tarah se jal jaati hai, sainik uske paas aate hain aur use rajya se bahar nikalne ke liye le jaate hain.

Kusum ko apne ghar se apna zaroori saman lene diya jaata hai, aur phir use rajya ke mukhya dwaar se bahar nikala jaata hai.

Kusum, apne pitaji ki antim vidhi khud karti hai, aur uske sath koyi nahi hota. Sainik, jo uske sath aaye the, woh dur khade the. ShairShing ki chitta puri tarah se jal jane tak, Kusum wahin khadi rehti hai. Aur jaise hi chitta puri tarah se jal jati hai, sainik uske paas aate hain aur usse rajya se bahar nikalne ke liye le jate hain.

Kusum ko apne ghar se apna zaroori saman lene dete hai, aur phir use rajya ke mukhya dwaar se bahar nikala jata hai.


Rani, apne snanghar mai pani se bhare hue kund mai baithi thi. Unki aankhon se aansu bahe ja rahe the, jaise unka dil apne andar chhupa hua dukh ko bahar nikal raha ho. Aaj, kayi salo ke baad, unhe apne dukhon se mukti mili thi. Aaj tak, jo unhone sahan kiya tha, apne sharir ko apni praja ke liye kurban kiya tha, uska ant aaj ho gaya tha.
Zabardast update 👍
 
  • Like
Reactions: mrDevi

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
15,685
39,505
258
A
Gauri Ji ke ghar

Suabh ki kirno ke sath din ka aarambh hua, aur dhire-dhire roshni khidki se kamare kai andar aati gayi. Vikrant bistar par halka sa hilne laga, uski aankhen dheere se khulne lagi. Jab usne aankhen kholi, toh usne mehsoos kiya ki kuch ajib ho raha hai. Uske sharir par jadibuti ke lep se dhak huva tha, jiski sugandh kamre mein feli huvi thi. Usne apne sharir ko sparsh kiya, apne ghavo ko dekha, jo kafi had tak bhar chuke the. Vikrant ko aashcharya huva.

Apni nazar neeche karte hue, usne Gauri Ji ko dekha, jo neeche jamin par so rahi thi. Unka chehra sukoon aur pyaar se bhara hua tha. Vikrant ne Gauri ke mathe par halka sa haath phera, unhe uthane ki koshish ki. Gauri Ji ne thodi der mein chauk kar uth gayi. Jab usne Vikrant ka chehra dekha, toh muskurahat uske chehre par chamak gayi.

Gauri Ji: Ab kaisa mehsoos kar rahe ho? (usne pyaar se puchha, uski awaaz mein asli chinta thi.)

Vikrant: Main ab achha hoon, lekin yeh jadibutiyo ke sugandh se ab abjib se badbu aa rahi hai.

Gauri Ji: Yeh ek achha sanket hai, (usne ashvasan dete hue kaha.) Yeh jadibutiyan tumhare ghavon ke liye bahut faydemand hain. Shayad yeh acchi sugandh nahi hai, lekin yeh tumhari bhalai ke liye kaam kar rahi hain.

Ek tasalli bhari muskurahat ke saath, Gauri Ji ne pyaar se Vikrant ke kandhe par apna haath rakha, phir khadi ho gayi.

Gauri: Tum araam karo. Main ham dono ke liye kuch nashta taiyar kar leti hu.

Wo kamre ke bahar chal di, snanghar ki or badhate hue. Thande pani se snan ne, unhe taza kar diya, pichle din ki thakan ko utar diya. Fir unhone apni saari pehni jo wo aam taur pe pahanti hai. Fir rasoy ghar me aake, unhone Vikrant aur apne liye nashta taiyar karne ka kaam shuru kiya. Gauri ne taaza, haldi wala doodh garm banya, aur garam rotiya.

Jab usne Vikrant ke samne sab rakha, toh Vikrant ne pooch hi liya, Aapka nashta kahaan hai?

Gauri ki aankhein ek garam muskurahat ke saath chamak gayi, uske gaal par thoda sa sharm se laal huva. Usne jawab diya, '

Gauri: Tum shuru karo, main tumhare liye jadibuti ka ras tayyar kar rahi hoon, main thodi der mein aati hu.

Jab Gauri jane lagi to Vikrant ne dheere se uska haath pakda, usko saath mein baithane ke liye samjhane ki koshish karte hue. Uski awaaz mein pyaar aur zor tha.

Vikrant: Nahi, hum saath mein khaayenge, warna main bhi kuch nahi khaunga.

Gauri ka dill uske pyaar bhare anurodh par pighal gaya aur usne sehmati di: Theek hai, theek hai, hum saath mein khaayenge.

Wo ek sath nasta karne lage. Kamare me chupi cha gayi. Vikrant Gauri ke chehre ko dekhe ja rha tha.

Gauri ne uski aakho ko dekha aur ek chedne wali muskurahat ke saath puchha: Tum aese kya dekh rahe ho?

Vikrant ki awaaz mein pyaar tha jab usne kaha: Aaj aapka chehra bahot hi khoobsurat lag raha hai.

Gauri ki hansi Vikrant ke kaanon mein sangeet ki tarah gunj rahi thi, Guari apni hansi ke sath kehti hai.

Gauri: Main roz hi aisi hi dikhti hoon.

Vikrant: Nahi, aaj aap alag ho. App meri zindagi ki farishte ho, Aapne mujhe do baar bachaya hai, aur main kabhi bhi aapka karz nahi chukta kar sakunga.

Gauri, aisi prashansa ko sun ne ki aadi nahi thi. Unke gaal gulabi ho gaye. Unki aankhon mein aabhar aur sharm ka mishran tha, aur woh namrata ko dikhate huye muskurayi.

Gauri: Tum isko zyada bana rahe ho.

Unhone dheere se kaha, apni bhavnaon ko chhupane ki koshish karte hue.

Gauri: Logo ki madad karna toh mera farz hai, jo zarooratmand log hain uska khayal rakhna mera kam hai.

Vikrant ne thoda aur paas aake, unki aankhon ko dekha.

Vikrant: Lekin aise nahi, Kya aapne kisi aur ke liye, Raat bhar unke pass aese soyi hai? Unke liye nashta tayyar kiya hain?


Gauri ki gaal phir se gulabi ho gayi, aur uski muskurahat badh gayi. Usne apne dil main ek udan mehsoos ki.

Gauri: Bas ab tum nasta khatam karo, aur main tumhare liye woh ras tayyar kar leti hoon.

Wo rasoy ghar mein waapas aa gayi, unka dil abhi bhi udne ke jaisa mehsoos kar raha tha, unke vicharon ne usko Vikrant ke prashansa ko yaad karke, unke gal sharm se aur gulabi ho jata hai, aur woh muskurane lagti hai.
Awesome update 👍
 
  • Like
Reactions: mrDevi

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
15,685
39,505
258
Gauri aur Vikrant mahal ki taraf ja rahe the Rani se milne ke liye.

Jo bhi koi unse rasta mein milta, woh Vikrant ki taraf muskurata aur samman mein sir jhukata tha.

Woh seedhe darbar ki taraf badhe. Unhe lag raha tha ki Rani wahaan unka intezaar kar rahi hongi. Lekin jab woh wahan pahunchte hain, toh barbar khali hota hai, koi nahi hota. Gauri aur Vikrant laut ke ja kar ek sainik se Rani ke baare mein puchte hain.

Gauri: Rani kahan hain, unhone hume bulaya hai.

Sainik: Nahi, aaj darbae mai koi nahi aaya, shayad woh apne kamre mein hongi.

Gauri: Thik hai, dhanyavaad.

Gauri aur Vikrant Rani ke kamre ki taraf badhte hain. Jab woh wahaan pahunchte hain, toh kamre ke bahar khadi ek sainik muskurakar unke samman mein sir jhukati hai.

Sainik: Rani aapka hi intezaar kar rahi hain. Aap jaa sakte hain.

Gauri: Dhanyavaad.


Default_Masterpiece_highly_detailedQueens_room_South_asian_wom_2_61f507a4-ee84-4c32-9377-5662c570ccab_1.jpg


Gauri aur Vikrant kamre ke andar jaate hain, Rani kamre mein idhar-udhar ghoom rahi hoti hain, aur unka intezaar kar rahi hoti hain.

Rani: Swagat hai.

Gauri aur Vikrant samman mein sir jhukte hain.

Gauri: Rani Ji, aapne hume bulaya?

Rani: Haan, Gauri ji, mujhe jaanna hai ki yeh kaise hua? Aapne us dawai mein kya badlaav kiya? Vikrant ke vyavhaar mein ShairShing jesa haiwani badlav kyu nahi huva?

Gauri: Mainey kuch nahi badla, kyun ki usmein kisi parivartan ki aavashyakta nahi thi.

Vikrant itna uljha hua tha ki woh samajh nahi pa raha tha ki kya ho raha hai.

Vikrant: Kya koi mujhe bata sakta hai ki kya bat ho rahi hai?

Kyun ki Vasundhara ne jab bite varso ki baat ki thi, tab woh behosh tha. Gauri Vikrant ko sab kuch samjhati hai. Jab Vikrant ko pata chala ki Gauri ne unko us jadibuti wali dawai bina unki anumati ke di thi, toh woh thoda gussa ho gaya.

Vikrant Gauri ko dekhta hain aur puchta hain.

Vikrant: Kya tum log mujhe bata nahi sakte the?

Vikrant ke awaaz mein gussa tha, aur Gauri usse mehsoos karti hai.

Vikrant: Kya hota agar main woh raat mar gaya hota, jab aapne mujhe dawai di thi?

Vikrant: Aapko mujhse madad maang leni chahiye thi, aap to jaanti ho Gauri ji, main aapki madad jarur karta.

Gauri ke aankhon mein aansu aa jaate hain, usse lagta hai ki usne Vikrant ka bharosa toda hai.

Gauri (aankhon mein aansu ke saath): Main maafi chahti hoon Vikrant, lekin humare paas koi aur vikalp nahi tha, jab hume tumhare bare main pata chala.

Vikrant ke samajh mein nahi aa raha tha, woh samajh nahi paaya kya bat ho rahi hai.

Jab Rani, Gauri ko rote hue aur Vikrant ko gusse mein dekh kar beech mein bolti hain.

Rani: Vikrant, woh sirf mere aadeshon ka palan kar rahi hai. Unhone to mujhse mana kar diya tha par wo mere aadeshon ka palan kar rahi thi.

Vikrant: Lekin agar woh mujhse madad maangti toh main madad kar deta, woh to jaanti hai mujhe itna acchi tarah.

Rani: Thik hai, sab kuch meri galti hai. Main maafi maangti hoon. Chalo, main tumhe sab kuch pehle se samjha deti hoon.

Rani: Jab tum is dweep par aaye the, aur pehli baar hosh mein aaye the, tab maine hamari Guruma se baat ki thi.

Vikrant: Kaun?

Rani: Guruma, woh param divya vyakti hain. Unhone saalon tak tapasya ki aur divya shakti prapt ki hai jisse woh har cheez aur har vyakti ke baare mein jaan sakti hain.

Rani: To jab main ShairShing ke atyachaaron ka shikar thi, toh ek din unhone mujhe bataya ki, Jab ek aadmi is dharti aur samay ke pare se aayega, tab tumhe apni sab pareshaniyon aur dukhon se mukti milegi.

Vikrant Rani ko rok deta hain.

Vikrant: Agar unke paas divya shakti hai, toh phir unhone aapki aur aapki maata ki madad kyun nahi ki?

Rani: Woh sirf jaankari prapt kar sakti hain, woh sangharsh mein hastakshep nahi kar sakti, woh sirf sahi disha dikha sakti hain.

Rani: Isiliye jab Vasundhara aur Anandita ne mujhe tumhare baare mein bataya, toh mujhe ummeed jagi. Lekin mujhe tumhare baare mein kuch bhi nahi pata tha. Isiliye jab tum hosh mein aaye, toh maine phir se Guruma se baat ki aur tumhare baare mein aur adhik jaankari prapt ki. Aur jaan kar maine samjha ki tum Prakriti dweep ke rakhshask ban sakte ho.

Rani: Iske baad maine yeh sab yajana banayi, aur Gauri se dawai dene ke liye kaha. Woh bebas thi, woh sirf mere aadeshon ka palan kar rahi thi.

Vedant zamin par beth he aur apne haath apne mathe par rakh deta hai.

Vedant: Toh main yahan kaise aaya aur wapas kaise ja sakta hoon, aapko iske baare mein pata hai, hai na?

Rani: Haan, mujhe pata hai.

Vedant: Kya aap mujhe yeh samjha sakte ho?

Rani: Thik hai, toh suno. Iss duniya mein do prakar ke hole hote hain, black hole aur warm hole.

Vedant: Haan, mujhe pata hai. Lekin warm hole sirf ek anumaan hai.

Rani: Nahi, yeh ek anumaan nahi hai, yeh sach hai. Guruma ne mujhe iske baare mein bataya.

Rani: Toh warm hole kya karta hai, yeh samay ki yatra karta hai. Tum samay ke kisi bhi waqt mein ja sakte ho, chahe woh bita huva waqt ho ya aane wala, yeh tumhari marzi par nirbhar karta hai.

Rani: Toh jab tum woh naav mein phase huve the aur woh taufan aaya tha, aur tumhari naav main bijli lag gayi thi, toh tum naav se door phenk gaye the. Tumne ek lakdi ki tukda pakad liya tha.

Rani: Lekin kya tumhe iske baad kuch yaad hai? Nahi, na?

Vikrant yaad karne ki koshish karta hai, lekin safalta nahi milti.

Vikrant: Nahi.

Rani: Sahi. Jab tum us lakdi ki tukdi par jeevit rehne ki koshish kar rahe the aur samundar mein behosh ho gaye the, tab tumhare samne ek warm hole tha, aur tum usme gir gaye. Aur us warm hole ke dwara tum samay mein piche yahan aa gaye.

Rani: Tum samay ki yatra ke asar mein the, isiliye jab tum yahan pahunch ke behosh ho gaye the, toh tumhein hosh me aane mein lamba samay laga.

Vikrant: Toh main wapas kaise ja sakta hoon?

Rani: Yeh warm hole lagbhag har 6 mahine mein ek baar khulta hai. Yaad hai, Pichli baar jab hum mile the, to maine yeh kaha tha ki abhi sahi samay nahi hai?

Vikrant: Haan.

Rani: Toh tumhein bas 6 mahine ka intezaar karna hoga. Uske baad tum wapas ja sakte ho, apne samay aur stan mein.

Vikrant: Lekin me sahi samay mein kese jaa sakta hoon? Agar main galat samay mein chala gaya toh?

Rani: Uske liye tumhein chinta nahi karni chahiye, jab tum warm hole mein wapis pravesh karoge, toh woh tumhein usi samay par patak dega jis samay tumne usmein pravesh kiya tha.

Jab yeh sab baatein samapt hoti hain, toh ek sainik aata hai aur bataata hai ki Vasundhara aur Anandita aayi hain aur anumati maang rahi hai. Rani keh deti hain ki unhein bhej de. Sainik wapas jaati hai, aur Vasundhara aur Anandita andar aate hain. Woh Rani ke samman me sir jukari hain.

Vasundhara: Main maafi chahti hoon Vikrant, maine tumhari madad ke baad tumhein pakadne ka aadesh diya tha. Main dilse maafi chahti hoon.

Vikrant: Main koi aitraz nahi karta is par.

Vikrant Gauri ki taraf dekhta hain aur Vasundhara se kehta hain.

Vikrant: Lekin maine is jagah par sabse adhik bharosa jiss par kiya tha, aur woh mujh par bharosa nahi kar saki.

Iske baad, Vikrant kamara chhod kar chala jaata hai. Gauri ro rahi hoti hai aur neeche baith jaati hai.

Rani: Gauri ji, uska mann shaant ho jaayega, tab woh samjhega.


Gauri: Lekin woh sahi hai, Is dwip par sirf mujhe hi wo uski dost manta tha, aur maine uska bharosa toda hai.....
Awesome update 👍👍
 
  • Like
Reactions: mrDevi

mrDevi

There are some Secret of the past.
926
2,076
124
Kusum kuch mantra padhti hai. Vasundhara apne hosh me aati hai. Jaise hi use hosh aata hai, wo dekhti hai apne hatho ko. Jo talwar pakde huvi thi, aur uski talwar Anandita ke badan ke aar-par thi. Uske badan se khun nikal raha hai. Wo dard me kuch bol nahi pa rahi rhi. Vasundhara jatle se talwar chod deti hai, aur Anandita ko shara deti hai, aur niche beth jati hai. Aur bethe bethe Kusum ki aur dekhti hai. Uski aankho me dar ki kali chaya dikh rahi thi.

Jaise hi mahal ki diwaro par khadi sainik Andandita pe var hota dekhti hai, to wo apne pass rakha shankh ko baja deti hai, jisse rajya me pata chal jata hai ki hamla huva hai. Mahal me jese hi shankh ki awaz sunai deti hai, Rani ki suraksha ko bada diya jata hai.

Mahal ke andar ke baki sainik bahar ki aur aate he, aur Kusum ko khada dekhte hai, uske aaju baju rajya ke sainik uski suraksha me khade hai, Vasundhara Anandita ko apni god me liye bethi huvi hai. Ye drashy dekh sainik hairan the. Jaise hi sainik unki aur aa kar unpe hamla karne ki koshish karte hain. Wo sab bhi Kusum ke vash me aa jate hai aur uske sath me khade ho jate hai.

Idhar astabal me jese hi Vikrant ko hamle ka pata chalta hai, wo bhi usi taraf daud padta hai. Raste me uske sathe aur 4 5 sainik jud jate hai. Aur sabhi log us aur Jane lagte hai.

Vikrant jese hi dur se Kusum ko dekhta hai, ek pal ke liye use wo pehchan nahi pata hai. Uska dekhav badal Gaya tha. Wo bhi hairan tha ki rajya ke sainik Kusum ke sath khade the.

Kusum jese hi Vikrant ko aata huva dekh kuch mantra padhati hai, aur jese hi uske mantra pura huva, Vikrant ke sathe aa rahe sainik use pakad ne lagate hai.

Sainiko ki achanak se huve hamle se Vikrant aur bhi hairan ho jata hai. Usko samaj me nahi aa raha thi kya ho raha hai. Achanak se uske sath ke sainik uske hi virudh kese ho gaye.

Vikrant ko kuch samajh nahi aa raha tha, aur use gussa bhi aa raha tha. Aur wo apni puri takat ke sath se wo sainik se chutata hai aur unhe dur fek deta hai. Vikrant ko sainik ko dur fekta huva dekh, kusum apne sainik ko isara karti hai, aur 15-20 sainik ek sath Vikrant par hamala karte hai.

Ek sath itne jyada sainiko ke hamle se, Vikrant ki takat bhi Kam padne lagte hai, itne sare sainik ko se ladne se Vikrant dhakne lagta hai. Sainik Vikrant par bhari padne lagte he, aur use bandi bana lete hai. Aur use pakad kar Kusum ke pass me late hai. Aur use mar kar Kusum ke samne jabar dasti ghutno ke bal bitha dete hai.

Vikrant Vasundhara ki god me Anandita ka sab dekh aur bhi hairan tha. Vasundhara ke aankhon se lagatar aansu behte ja rahe the. Anandita ke sab ko dekh Vikrant ki aankho se aansu behne lagte hai.

Kusum: Kya huva Vikrant, shaktiya kam nahi aayi?

Vikrant kuch nahi bolta, jobhi ho raha tha uski samaj me nahi aa rha tha. Vikrant se kuch jawab na mil Kusum saitani hasi haste huve bolti hai.

Kusum: Kya huva? Samaj me nahi aa rha kya ho rha hai?

Kusum: Jin logo ke liye tum lad rahe ho, wo vahi tumhare khilaf khade hai, aur mere sath hai.

Vikrant kuch bol nahi pa raha tha, bas hersni se Kusum ki aur dekhe ja rha tha.

Kusum: Apne dimag par jyada jor mat do, me hi bata deti hu. Tumare sabhi sathi mere vash me hai.

Ye sunke Vikrant ki aankhe chaudi ho jati hai, ye bat uske manne me nahi aa rahi thi. Uske chehare ke bhav ko dekh Kusum bolti hai

Kusum: Lagta hai tumko abhi bhi vishwas nahi ho rha hai, ruko me dekhati hu.

Kusum ek sainik ki aur dekhti hai aur kuch bolti hai, aur wo sainik apni talwar nikalti hai, aur apne hi gale pe chala deti hai. Uske gale se khun ki dhar beh nikalti hai, wo niche gir jati hai. Jese hi wo khud apna gala kat deti hai, Kusum uske upar se apna vashikaran hata deti hai.

Sainik jese hi khud ke vash me aati hai, wo dard aur pida me apna gala pakad leti hai, aur ek na puri honi wali aasha se Vikrant ki aur dekhti. Dard bhari rundhi si awaz aati ha, aur uske aankh bandh ho jati hai.

Vikrant ye dekh dard me chila padta hai. Uske aankho se aasuno ki dhara beh nikalti hai. Vikrant ki halat dekh Kusum haste huve bolti hai.

Kusum: Iski jaan tumhari wajah se gayi hai, pehele hi meri bato par vishwas kar lete, to ye abhi jinda khadi hoti.

Vikrant (dukh bhari awaz ke sath): Kyu? Kyu kar rahi ho ye sab?

Kusum: Tumhe nahi pata!

Vikrant kuch nahi bolta, use pata tha fir bhi puchta hai.

Vikrant: Kyu?

Kusum: Kyu???? Abhi bhi kyu??

Kusum: Tumne mujse mera sub kuch chin liya. Mere pita, meri izzat sab kuch.

Vikrant: izzat?

Kusum: ha, izzat. Jiss din muje rajgya se nikal diya usi din meri izzat luti gayi. Aur ye sab kuch tumhari vajah se.

Kusum: Ab meri bari hai, ab me tumse tumhara sab kuch chin lena chahti hu.

Vikrant: To mar do mujhe, yahi hu me. Ye sab kuch karne ki jarurat nahi hai.

Kusum: Itni asani se thodi na maut dungi tumhe.
Tumhe to tadpa tadpa ke marungi.

Ye kehte hi Kusum Vasundhara ki aur dekhte huve matra padti hai, aur Vasundhara besudh huvi khadi hoti hai chal padti hai.

Vikrant: Ae Vasundhara ji, kaha ja rahi hai, Ae Vasundhara ji.

Vikrant dar me chila raha hai, use aesa lag rha hai, jese Vasundhara ji bhi khud ko mar ne ja rahi hai. Unki chinta me Vikrant khada hone ki koshish karta hai. Par sainik sare sainik ek sath uske pakad lete hai. Vikrant pani sare takat lagata hai. Aur un sabhi ko pachad deta hai.

Vikrant ko havi hota dekh, Kusum uski taraf dekh kar matra padhati hai, jese hi mantra khatam hota hai, Vikrant jahaan tha wo vahin khada ho jata hai. Wo chah kar bhi hil nahi pa raha tha. Aesa lag raha tha jese kisi anjan shaktiyon ne use jakad liya ho. Vikrant ko lachar dekh kusum uske pass aati hai, aur saitani hasi haste huve bolti hai.

Kusum: Kaha jana hai Vikrant?

Vikrant kuch bolna chah raha tha, par kuch bol nahi pa rha tha.

Kusum: Ruko jara, abhi tumhare liya kuch aa rha hai. Tumhe acha lagega.

Tabhi Vikrant kuch aesa dekhta hai, jise dekh uski aankhen dar se chaudi ho jati hai. Wo gusse me bahot kuch karna chah rha tha. Par chahte huve bhi kuch nahi kar pa rha tha.

Uski aankhon ke samne se Vasundhara Gauri ji ghasitr huve lekar aa rahi thi. Gauri ji ke dard se chila rahi thi. Use jo ho rha tha usse wo bhi heran thi. Use yakin karna muskil ho rha tha ki Vasundhara ji uske sath aesa kar rhi thi.

Vasundhara ghasit te huve Vikrant ke pass lekar aati hai. Use ek zatke se fekte huve Vikrant ke kadmo me gira deti hai. Gauri ji Vikrant ko darte huve puchti hai.

Gauri ji: Vikrant ye sab kya ho rha hai?

Vikrant kuch bol nahi pa rha tha.

Gauri ji: Bolo na Vikrant! Kya ho rha hai? Vasundhara ji mujhe aise kyun layi hai.

Vikrant ki aankhon se aansu bahe ja rhe the. Wo na kuch bol parhe tha aur na hi kuch kar pa rha tha. Tabhi Kusum bolti hai.

Kusum: Ho gya aap dono ka? Chal Vikrant ab talwar le aur Gauri ka gala kat.

Gauri ji dar se uski taraf dekhti hai, aur darte huve bolti hai

Gauri ji: Ye tum kya keh rahi ho? Aur Ye aesa kyu karega?

Kusum: Tumhe itna yaqin hai? Chalo dekhte hain!

Kusum Vikrant ki aur dekhti hai. Fir ek sainik ki aur isara karte huve talwar dene ko kehti hai. Sainik Vikrant ke hatho me talwar thama deti hai.

Vikrant ke aankhon se lagatar aansu bahe ja rhe the. Vikrant ke hath us talwar ko kas kar pakad lete hai. Aur talwar ko pakad kar piche ki aur karta hai. Gauri ji use aesa karte huve dekhti hai aur bolti hai.

Gauri ji: Vikrant! Ye ye kya kar rahe ho tum? Tum mujhe nahi mar sakte.

Vikrant ki aankho se aansu beh rhe the. Uska man uske sath tha, par uska sarir uske vash me nahi tha. Vikrant talwar ko aage ki aur dhakelta hai aur Gauri ji ke pet me gad deta hai. Guari ji ke aankhe bahar aa jati hain. Uske pet se khun behne lagta hai. Uske muh se bhi khun nikal ne lagta hai.

Vikrant pani hatho me pakdi talwar pet me hi ghuma deta hai, aur bahar khich leta hai. Talwar ke sath sath Gauri ki aante bhi bahar aa jati hai. Talwar bahar aate hi Kusum Vikrant par se aapna vash hata deti hai.

Jaise hi vashikaran hatta hai, Vikrant jor se ek dard bhari chikh nikalta hai aur Gauri ji ko gale lagate huve, niche beth jata hai. Wo dard aur dar ke sath aansu bahaye ja rha tha. Gauri ji khone ke dar me wo bas chilaye ja rha tha.
 
Top