Kusum kuch mantra padhti hai. Vasundhara apne hosh me aati hai. Jaise hi use hosh aata hai, wo dekhti hai apne hatho ko. Jo talwar pakde huvi thi, aur uski talwar Anandita ke badan ke aar-par thi. Uske badan se khun nikal raha hai. Wo dard me kuch bol nahi pa rahi rhi. Vasundhara jatle se talwar chod deti hai, aur Anandita ko shara deti hai, aur niche beth jati hai. Aur bethe bethe Kusum ki aur dekhti hai. Uski aankho me dar ki kali chaya dikh rahi thi.
Jaise hi mahal ki diwaro par khadi sainik Andandita pe var hota dekhti hai, to wo apne pass rakha shankh ko baja deti hai, jisse rajya me pata chal jata hai ki hamla huva hai. Mahal me jese hi shankh ki awaz sunai deti hai, Rani ki suraksha ko bada diya jata hai.
Mahal ke andar ke baki sainik bahar ki aur aate he, aur Kusum ko khada dekhte hai, uske aaju baju rajya ke sainik uski suraksha me khade hai, Vasundhara Anandita ko apni god me liye bethi huvi hai. Ye drashy dekh sainik hairan the. Jaise hi sainik unki aur aa kar unpe hamla karne ki koshish karte hain. Wo sab bhi Kusum ke vash me aa jate hai aur uske sath me khade ho jate hai.
Idhar astabal me jese hi Vikrant ko hamle ka pata chalta hai, wo bhi usi taraf daud padta hai. Raste me uske sathe aur 4 5 sainik jud jate hai. Aur sabhi log us aur Jane lagte hai.
Vikrant jese hi dur se Kusum ko dekhta hai, ek pal ke liye use wo pehchan nahi pata hai. Uska dekhav badal Gaya tha. Wo bhi hairan tha ki rajya ke sainik Kusum ke sath khade the.
Kusum jese hi Vikrant ko aata huva dekh kuch mantra padhati hai, aur jese hi uske mantra pura huva, Vikrant ke sathe aa rahe sainik use pakad ne lagate hai.
Sainiko ki achanak se huve hamle se Vikrant aur bhi hairan ho jata hai. Usko samaj me nahi aa raha thi kya ho raha hai. Achanak se uske sath ke sainik uske hi virudh kese ho gaye.
Vikrant ko kuch samajh nahi aa raha tha, aur use gussa bhi aa raha tha. Aur wo apni puri takat ke sath se wo sainik se chutata hai aur unhe dur fek deta hai. Vikrant ko sainik ko dur fekta huva dekh, kusum apne sainik ko isara karti hai, aur 15-20 sainik ek sath Vikrant par hamala karte hai.
Ek sath itne jyada sainiko ke hamle se, Vikrant ki takat bhi Kam padne lagte hai, itne sare sainik ko se ladne se Vikrant dhakne lagta hai. Sainik Vikrant par bhari padne lagte he, aur use bandi bana lete hai. Aur use pakad kar Kusum ke pass me late hai. Aur use mar kar Kusum ke samne jabar dasti ghutno ke bal bitha dete hai.
Vikrant Vasundhara ki god me Anandita ka sab dekh aur bhi hairan tha. Vasundhara ke aankhon se lagatar aansu behte ja rahe the. Anandita ke sab ko dekh Vikrant ki aankho se aansu behne lagte hai.
Kusum: Kya huva Vikrant, shaktiya kam nahi aayi?
Vikrant kuch nahi bolta, jobhi ho raha tha uski samaj me nahi aa rha tha. Vikrant se kuch jawab na mil Kusum saitani hasi haste huve bolti hai.
Kusum: Kya huva? Samaj me nahi aa rha kya ho rha hai?
Kusum: Jin logo ke liye tum lad rahe ho, wo vahi tumhare khilaf khade hai, aur mere sath hai.
Vikrant kuch bol nahi pa raha tha, bas hersni se Kusum ki aur dekhe ja rha tha.
Kusum: Apne dimag par jyada jor mat do, me hi bata deti hu. Tumare sabhi sathi mere vash me hai.
Ye sunke Vikrant ki aankhe chaudi ho jati hai, ye bat uske manne me nahi aa rahi thi. Uske chehare ke bhav ko dekh Kusum bolti hai
Kusum: Lagta hai tumko abhi bhi vishwas nahi ho rha hai, ruko me dekhati hu.
Kusum ek sainik ki aur dekhti hai aur kuch bolti hai, aur wo sainik apni talwar nikalti hai, aur apne hi gale pe chala deti hai. Uske gale se khun ki dhar beh nikalti hai, wo niche gir jati hai. Jese hi wo khud apna gala kat deti hai, Kusum uske upar se apna vashikaran hata deti hai.
Sainik jese hi khud ke vash me aati hai, wo dard aur pida me apna gala pakad leti hai, aur ek na puri honi wali aasha se Vikrant ki aur dekhti. Dard bhari rundhi si awaz aati ha, aur uske aankh bandh ho jati hai.
Vikrant ye dekh dard me chila padta hai. Uske aankho se aasuno ki dhara beh nikalti hai. Vikrant ki halat dekh Kusum haste huve bolti hai.
Kusum: Iski jaan tumhari wajah se gayi hai, pehele hi meri bato par vishwas kar lete, to ye abhi jinda khadi hoti.
Vikrant (dukh bhari awaz ke sath): Kyu? Kyu kar rahi ho ye sab?
Kusum: Tumhe nahi pata!
Vikrant kuch nahi bolta, use pata tha fir bhi puchta hai.
Vikrant: Kyu?
Kusum: Kyu???? Abhi bhi kyu??
Kusum: Tumne mujse mera sub kuch chin liya. Mere pita, meri izzat sab kuch.
Vikrant: izzat?
Kusum: ha, izzat. Jiss din muje rajgya se nikal diya usi din meri izzat luti gayi. Aur ye sab kuch tumhari vajah se.
Kusum: Ab meri bari hai, ab me tumse tumhara sab kuch chin lena chahti hu.
Vikrant: To mar do mujhe, yahi hu me. Ye sab kuch karne ki jarurat nahi hai.
Kusum: Itni asani se thodi na maut dungi tumhe.
Tumhe to tadpa tadpa ke marungi.
Ye kehte hi Kusum Vasundhara ki aur dekhte huve matra padti hai, aur Vasundhara besudh huvi khadi hoti hai chal padti hai.
Vikrant: Ae Vasundhara ji, kaha ja rahi hai, Ae Vasundhara ji.
Vikrant dar me chila raha hai, use aesa lag rha hai, jese Vasundhara ji bhi khud ko mar ne ja rahi hai. Unki chinta me Vikrant khada hone ki koshish karta hai. Par sainik sare sainik ek sath uske pakad lete hai. Vikrant pani sare takat lagata hai. Aur un sabhi ko pachad deta hai.
Vikrant ko havi hota dekh, Kusum uski taraf dekh kar matra padhati hai, jese hi mantra khatam hota hai, Vikrant jahaan tha wo vahin khada ho jata hai. Wo chah kar bhi hil nahi pa raha tha. Aesa lag raha tha jese kisi anjan shaktiyon ne use jakad liya ho. Vikrant ko lachar dekh kusum uske pass aati hai, aur saitani hasi haste huve bolti hai.
Kusum: Kaha jana hai Vikrant?
Vikrant kuch bolna chah raha tha, par kuch bol nahi pa rha tha.
Kusum: Ruko jara, abhi tumhare liya kuch aa rha hai. Tumhe acha lagega.
Tabhi Vikrant kuch aesa dekhta hai, jise dekh uski aankhen dar se chaudi ho jati hai. Wo gusse me bahot kuch karna chah rha tha. Par chahte huve bhi kuch nahi kar pa rha tha.
Uski aankhon ke samne se Vasundhara Gauri ji ghasitr huve lekar aa rahi thi. Gauri ji ke dard se chila rahi thi. Use jo ho rha tha usse wo bhi heran thi. Use yakin karna muskil ho rha tha ki Vasundhara ji uske sath aesa kar rhi thi.
Vasundhara ghasit te huve Vikrant ke pass lekar aati hai. Use ek zatke se fekte huve Vikrant ke kadmo me gira deti hai. Gauri ji Vikrant ko darte huve puchti hai.
Gauri ji: Vikrant ye sab kya ho rha hai?
Vikrant kuch bol nahi pa rha tha.
Gauri ji: Bolo na Vikrant! Kya ho rha hai? Vasundhara ji mujhe aise kyun layi hai.
Vikrant ki aankhon se aansu bahe ja rhe the. Wo na kuch bol parhe tha aur na hi kuch kar pa rha tha. Tabhi Kusum bolti hai.
Kusum: Ho gya aap dono ka? Chal Vikrant ab talwar le aur Gauri ka gala kat.
Gauri ji dar se uski taraf dekhti hai, aur darte huve bolti hai
Gauri ji: Ye tum kya keh rahi ho? Aur Ye aesa kyu karega?
Kusum: Tumhe itna yaqin hai? Chalo dekhte hain!
Kusum Vikrant ki aur dekhti hai. Fir ek sainik ki aur isara karte huve talwar dene ko kehti hai. Sainik Vikrant ke hatho me talwar thama deti hai.
Vikrant ke aankhon se lagatar aansu bahe ja rhe the. Vikrant ke hath us talwar ko kas kar pakad lete hai. Aur talwar ko pakad kar piche ki aur karta hai. Gauri ji use aesa karte huve dekhti hai aur bolti hai.
Gauri ji: Vikrant! Ye ye kya kar rahe ho tum? Tum mujhe nahi mar sakte.
Vikrant ki aankho se aansu beh rhe the. Uska man uske sath tha, par uska sarir uske vash me nahi tha. Vikrant talwar ko aage ki aur dhakelta hai aur Gauri ji ke pet me gad deta hai. Guari ji ke aankhe bahar aa jati hain. Uske pet se khun behne lagta hai. Uske muh se bhi khun nikal ne lagta hai.
Vikrant pani hatho me pakdi talwar pet me hi ghuma deta hai, aur bahar khich leta hai. Talwar ke sath sath Gauri ki aante bhi bahar aa jati hai. Talwar bahar aate hi Kusum Vikrant par se aapna vash hata deti hai.
Jaise hi vashikaran hatta hai, Vikrant jor se ek dard bhari chikh nikalta hai aur Gauri ji ko gale lagate huve, niche beth jata hai. Wo dard aur dar ke sath aansu bahaye ja rha tha. Gauri ji khone ke dar me wo bas chilaye ja rha tha.