Markas, Ek vishalkay jahaaz, samundar ke gehre pani ko cheerte hue Bharat ki aur badh raha tha. Samundar par barsat ka tufan chaya hua tha, badal bijliyon ghan ghor garaja rahe the. Pani ki uchhalti lehron ka ek bhayankar nritya jahaz ke ird-gird chalu tha, jisme samudra ki laharen jaise jahaz ko nigalne ke liye talash rahi thi.
Jahaz ke upari star par bada sannata tha, kewal badal ke garjna ki awaz sunai de rahi thi. Upar asman me kale badal chhaye huye the, jo samundar ke pani ko aur bhi bhayankar bana rahe the. Kabhi kabhi bijli chamak pani ki lehron ko ek ajib si chamak de deti thi. Ye jahaz, jo apne bade bade containers me arab desh se saman lekar Bharat ki taraf laut raha tha, apni manzil tak pahunchne ke liye apne aap se hi ladta hua aage badh raha tha.
Aesi bhayanak sthiti me ek ladka, apne hath me torch liye, jahaz pe lage containers ko check kar raha tha. Samundar ki uchhalti lehron ke saath jahaz ka har ek hissa aise hichkole le raha tha jaise koi kagaz ka jahaz pani mein bikhar raha ho. Tufani baris me wo apni zimmedari nibha raha tha, taaki containers surakshit rahe. Agar suraksha ke tar dheele pad gaye to containers samundar mein gir sakte the, aur ye haadsa kisi ko mehenga pad sakta tha.Wo ek-ek container ko dhyan se dekhte hue aage badh raha tha, bijliyon ki chamak aur tufan ki garjana ke beech, jab uski nazar ek container par padti hai. Us container ke lock par kuch ajeeb tha, uske lock ka shield thoda dheela tha, jaise kisi ne jaan bujhkar usse khola ho. Uske dil ki dhadkan ek pal ke liye tez ho gayi.
Thik se dekhne par wo samajh gaya ki is container ko pehle khola gaya hai. Usne apni torch ki roshni ko lock par tikate hue, dheere se pura lock khola. Darwaze ko sambhalte hue uske haath thode se kanp gaye, dil ki dhadkane abhi bhi tez thi. Usne ek gehri saans li aur apne aap ko sambhala. Jaise hi usne container ka darwaza khola, ek garm hawa ka jhonka uske chehre se takraya, jaise container ke andheron se kuch anjaane dar ki aahat aa rahi ho. Usne dheere se andar jhaanka, aur ek pal ke liye uski saansein tham gayi. Container ke mein kuch aesa tha jo use pareshan karne ke liye kaafi tha.
Wo furti se wapis container ko lock karta hai, aur apni saansein sambhalte hue usi tarah shield ko wapas lagane lagta hai, jaise pehle tha. Uske haath abhi bhi thode kanp rahe the, par usne apne aap ko sambhala. Sab kuch wapas purani halat mein lagate hi, wo turant wahan se nikal pada. Uske kadam ab tez aur thode bechain ho gaye the, jaise samundar ki lehron se peechha chhudate huve, Bhagta huva wo jahaz ke dusre kinare ki taraf jaata hai, jahan uska dost us taraf ke container check karne mein vyast tha.
Jab usne apne dost ko dekha, uske chehre par pareshani ki lakeer aur bhi gehri ho gayi. Wo apne dost ke kareeb pahunchta hai aur bina samay gawaaye sab kuch bata deta hai - container, uska dheela shield, aur andheron mein chhupi hui anjaani cheez. Dono ke chehre par ab ek ghumbeer chinta thi. Dost ne ek pal ko socha, phir bina shabdon mein kuch kahe, usne haan mein sir hilaya.
Dono apne apne torch apne haath mein mazbooti se pakad kar, kadam dar kadam captain ke cabin ki taraf badhne lage. Unke kadam jahaz ke maidan par goonj rahe the, aur dono ke dilon mein ek hi sawaal tha - captain ko batane ke baad kya hoga?
Jab wo dono captain ki cabin ki aur badh hi rahe the, tab unka tisra saathi bhi raaste mein mil gaya. Tino bachpan se sath bade hone ke karan, unke beech ek gehri dosti thi. Ladke ne bina samay gawaaye use bhi sab kuch bata diya. Tisre saathi ke chehre par ek pal ke liye chinta ki parchaayi chali, par phir usne bhi haan mein sir hilaya aur bina kuch bole unke sath chal pada.
Abhi kuch hi door chale the ki, achanak ek zor ki dham ki awaz ne use hila kar rakh diya. Usse pehle ki wo samajh pata, uske aankhon ke samne andhera chaane laga. Uski saansein ek pal ke liye thami aur usne apne dosto ki taraf dekhna chaha, par uski aankhon ke samne sab kuch dheere dheere andhere mein doob gaya. Uska sharir jahaaz ke pharsh par girta hua mehsoos hua, aur sab kuch shant ho gaya.
=======================================================================================================================
Blackout
Jaise hi uski aankhein khulti hain, uske samne uska dost aur captain dikhayi dete hain.
Blackout
Wo apne aap ko ek tute-fute jahaz par paata hai, jo tufaan me kabhi bhi samundar ki gehraiyon mein dhakel dega
Blackout
Uske aas-paas ghode ke dodne ki awaz hai, jab uske samne ek Vishal kile ka darwaza dikhay deta hai.
======================================================================================================================
5 Din Baad
Jahaaz, Mumbai ke port apni tak pahuncha. Captain ko stretcher par laaya gaya, aur uske sath ek ladka bhi tha. Port par upasthit security force ko pehle hi is jahaz ke aane ki soochna mil gayi thi. Jaise hi jahaz port ke kinare par ruka, security team ne turant jahaz ki checking shuru kar di.
Agla Din
Breaking News, Breaking News
"The Markas" jahaaz par se 100KG drugs ki taskari pakdi gayi hai. Jahaz ke upar 2 jawan ladkon ki sinast ki gayi hai. Unmein se ek purane personal cruise joki is bade jahaaz ke piche bandha huva tha, usko lekar bhag jane mein safal raha, jabki doosra jahaz par hi captain ke saath ek jhagde mein mara gaya. Bhagane wale ladke ka naam hai.
Vikrant