Update 5
Mai collage ke coridor se hote huye bahar ja hi Raha tha ki tabhi mai kisi ladki se takra gaya jiske karan wo girne wali thi isliye mai jhat se us ladki ko pakad liya wo ladki to girane se bach gayi lekin mai gir gaya uske pyar me kyuki wo ladki bala ki khubsurat thi uske nain naksh bahut sundar the uske aankhe kisi nagin ki jaisi nashili thi na jane kab mai us ladki ke aankho me kho gaya ye mere sath pahli bar huya tha jab mai kisi ko dekh kar aise kho gaya tha nhi to mai aaj tak ladkiyo se dur hi bhagta tha.
Mai abhi us ladki me khoya huya hi tha ki tabhi mujhe us ladki ke tez awaj mere kano me sunayi di.
Ladki- Tum andhe ho kya dekh ke nhi chal sakte aur mujhe aise pakde huye kyu ho chhodo mujhe.
Mai-(Badbadate huye) Sorry sorry mujhe maf kar dijiye mujhse galti ho gayi.
Wo ladki mujhe dhyan se uper se niche tak dekhti hai fir apna muh sikudte huye bolti hai.
Ladki- mai tum jaise ladke ko achhe se janti hu pahle ladki se jan bujh ke takrate ho aur fir mafi mangte ho bloody poor people.
Mai- Dekhiye mai apse galti se takra gaya aur mai apse sorry to bol raha hu na.
Ladki- Tumhare sorry ka mai achar dalu agar mai abhi gir jati aur mujhe chhot aa jata to.
Us ladki ke sath ek aur ladki bhi thi wo bat ko sambhalte huye pahli ladki ko samjhate huye boli.
2nd ladki- Chhodo na Shanaya sayad ye galti se hi takra gaya hoga abhi jaldi yaha se chalo nhi to class ke liye hamlog late ho jayenge fir mam hamari class lagayengi.
Shanaya- Thik hai sneha chalo ham chalte hai ( fir mere taraf dekhte huye ) hey you abhi mai jaa rahi hu lekin mai bad me tumhe dekh lungi.
Itna bol kar wo ladki waha se chali jati hai mai bhi use pyar se jate huye dekhne lagta hu tabhi mujhe gurudev ke guru dakshina ke bare me yad aata hai fir yad aata hai ki mujhe to kisi or ladki se sadi karna hai ye soch kar mai mayus ho jata hu mujhe kisi aur ladki ke taraf dekhna bhi nhi chahiye jabtak ki narayan malhotra sadi ke liye na nhi kah dete ye sab sochte huye mai waha se nikal jata hu fir thodi der bad jakar admission counter se admission ka receipt leta hu iske bad college se bahar aa jata hu.
Bahar aane ke bad mai auto pakadta hu aur apne room par aa jata hu room par aane ke bad sochta hu ki thoda dosto se bat kar liya jaye fir mai wahi dhyan me baith jata hu aur man ki shakti se pancho dosto ko cannect karta hu.
Mai- kaise ho dosto.
Rohan- Achha hu bhai tu bata Bhabhi se mila ki nhi.
Mai- Kya yar tum har samay majak hi karte rahte ho.
Karan- Isko chhodo bhai ye aisa hi hai aap batao collage me admission huya ya nhi
Mai- Ho gaya yar waise tum log abhi kaha ho.
Rohan- Mai aur dipti south mumbai me hai.
Karan- Mai aur sandhya north mumbai me hai
Deepak- Aur mai west mumbai me hu
Mai- Chalo achha hai tum log baki ke mubai sambhalo aur mai east mumbai sambhalta hu waise tumlogo ke pass paise hai ya nhi.
Dipti- Thode bahut hai lekin koi na ham log manage kar lenge.
Mai- Thik hai tum log apna apna account no do mai tumlogo ke pass paise bhej de raha hu aur ha tum logo ko jo mai paise bhejunga usse tumlogo ko business start karna hoga mai sabke pass ek ek crore bhej raha hu sab alag alag field me business suru karo aur ha ab tumlog apna apna mobile le lo aur mere pass call kar dena.
Deepak- Thik hai bhai ham taiyar hai.
Shandhya- Lekin hamlog kis chij ka business karenge.
Mai- Ye tum logo ko decide karna hai ki tum log kis chij ka business karoge.
Rohan- Thik hai ham business karne ke liye reddy hai.
Karan- ham bhi reddy hai.
Mai- Aur sabse important bat tum log apne apne area me hone wale galat dhandhe ko barbad karo ab mumbai me koi bhi gangester nhi rahna chahiye aur ha agar tum logo ko kahi bhi kali shakti ka anubhuti ho to tum log pahle mujhe inform karoge aur sabse jaruri bat jab jaruri ho tabhi mujhse sampark karna wo bhi gupt rup se kisi ko ye nhi lagna chahiye ki ham sab ek dusre ko jante hai jabtak jaruri na ho koi ek dusre se nhi milega couple ko chhod kar Rohan nidhi aur karan shandhya ek dusre se mil sakte hai baki koi bhi nhi aur ha tum log duniya ke har kone se extra talented bache dhundho jinka iq ke sath sath un sab ka physical strength bhi achha hona chahiye aur ye bhi dhyan me rakhna ki tum jo bhi ladke ya ladki ko lao wo itna sakchham ho ki wo apne sapt chakro ko jagrit kar sake.
Deepak- Aur ham itne sare ladke aur ladkiyo ka karenge kya.
Mai- Mai ek aisa sena taiyar karna chahta hu jo duniya me kisi se bhi takra jaye aur itna sab karne ka karan hai ki mujhe aisa lag raha hai ki hame future me kali shaktiyon se ek bhayanak yudh ladna padega aur iske liye hame ek sena ki jarurat hoga.
Dipti- Lekin ye sab karne ke liye hame bahut sare paiso ki jarurat hogi.
Mai- Are ha mai to is bare me socha hi nhi achha ek kam karo abhi tum log sirf business par dhyan do baki mai dekhta hu ki paiso ka jugad kaise hota hai lekin ye yad rakhna ki agar jaisa maine bola hai waisa koi bhi tum logo ko mile to use apne sath rakh lena.
Sab- Thik hai bhai ham Aisa hi karenge.
Mai- thik hai to fir ab mai conection hata raha hu aur mai thodi der me tum sab ke pas paise bhejta hu.
Unse bat karne ke bad mai dhyan se uth jata hu iske bad mai vishal ke pass call karta hu.
Mai- Hallo Vishal bhai.
Vishal- Ha bolo pratik kaise yad kiya kuchh kam tha kya.
Mai- Ha bhai ek kam tha apse.
Vishal- Ha ha bolo Kya kam hai.
Mai- Wo apne mujhe jo paise diye the na use mujhe kisi ke pass bhejna hai.
Vishal-Kiske pass bhejna hai.
Mai-Hai koi kya aap bhej sakte hai.
Vishal-Ha kyu nhi bas mujhe uska account no. Send karo.
Maine vishal ke pass charo ka account no. Send kar deta hu
Mai-bhai aap in charo account me ek ek crore bhej dijiye.
Itna bol kar mai phone cut kar diya fie socha ki ab kya kiya jaye to fir socha ki kyu na ja kar narayan malhotra se mila jaye ye soch kar mai taiyar hone chala gaya thodi der bad taiyar ho kar auto pakda fir auto wale se malhotra house chalne ke liye bola thodi der bad maine malhotra house pahuch gaya.
Malhotra house ke gate par gaurd ghade the jab mak auto se uter kar gate ke pass pahucha to mujhe gaurd ne rok liya aur bola.
Gaurd- are are bhai tum idhar kaha chale aa rahe ho.
Mai- Kaka mujhe is bangle ke malik se milna hai.
Mere bat ko sun kar wo gaurd mujhe uper se niche tak gura aur fir bola.
Gaurd- Dekho bhai is bangle ke malik tumse nhi milenge.
Mai- Kyu kyu nhi milenge.
Gaurd- Wo koi chhota mota adami nhi hai balki wo bahut bade business man hai wo tum jaise chhote mote admi se nhi milte is liye tum abhi yaha se chale jao.
Mai- Kya is bangle ke malik ka name Narayan malhotra hai.
Gaurd- Ha
Mai- To thik hai tum unse bolo ki himalay se koi unse milne aaya hai wo jarur mujhse milenge.
Gaurd- Tum mere time kyu kharab kar rahe ho maine bola na ki wo tumse nhi milenge.
Mai- Tum ek bar unse bat kar ke to dekho agar wo mujhse milne ke liye nhi bolenge to mai chala jaunga.
Mere bat ko sun kar gaurd jhalate huye bola thik hai kya bolna hai jaldi bola.
Mai- Tum unse bolna ki himalay se gurudev ka shishya unse milne aaya hai.
Gaurd mere bat ko sun kar intercom se bangla ke andar call Kiya to udhar se ak noukar ne call uthaya.
Gaurd- Bade malik se koi milne aaya hai wo andar aana chahta hai.
Noukar- Kon aaya hai aur kya name bataya usne.
Gaurd- Wo bol raha hai ki himalay ke gurudev ka shishya hai.
Noukar- thik hai mai bade malik ko bolta hu jabtak mai na bolu tum use andar nhi aane dena.
Gaurd- Thik hai.
Iske bad wo noukar sidha narayan malhotra ke room me jata hai aur bolta hai.
Noukar- Bade malik bahar koi himalay se apse Milne aaya hai.
Narayan- Kya kya bola tumne Koi himalay se aaya hai kaha hai wo.
Noukar- wo bahar gate par khada hai.
Narayan- use ijjat ke sath andar mere room me leke aao.
Noukar narayan malhotra ke bat sun kar kar turant bahar aata hai aur mujhe andar aane ke liye bolta hai fir mai noukar ke sath narayan malhotra ke room me aa jata hu mujhe waha par aaya dekh kar narayan malhotra khade ho jate hai fir wo noukar ko bolte hai.
Narayan- Ramu mai inse yaha par meating kar raha hu mai jab tak na bolu mere room me koi nhi aayega samjhe.
Ramu- Thik hai malik.
Itna bol kar ramu waha se chala jata hai uske jane ke bad narayan malhotra mujhse bolte hai.
Narayan- Kya aap Himalay se aaye hai.
Mai- Jee mai himalay se hi aaya hu.
Narayan- (apna hath jodte huye) Kahiye mai apka kya seva kar sakta hu kya gurudev ka mere liye koi aadesh hai.
Mai- Ha gurudev ne apke liye ye letter diye hai
Fir mai Gurudev ka wo letter narayan malhotra ko de deta hu thodi der tak narayan malhotra us letter ko padhte rahte hai fir jab wo us letter ko pura padh liye to mujhe uper se niche tak ghurte huye bole.
Narayan- To tumhara name Pratik hai aur tum gurudev ke mukhya shishya ho.
Mai- Ha mera name pratik hai aur mai Gurudev ka mukhya shishya hu.
Narayan- To tumhe malum hi hoga ki tumhe yaha kis liye bheja gaya hai.
Mai- Jee gurudev ka agya hai ki mai apke poti se vivah karu.
Narayan- hmm achha hai agar ye bat tumhe pahle se hi malum hai to waise Tum agar gurudev ka mukhya shishya ho to tumme koi khash bat to hogi hi thik hai mai apna bachan nibhaunga lekin tumhe pahle mere pariwar se milna hoga waise to mere bat ko mere pariwar me koi nhi talta hai lekin fir bhi tum ek bar aa kar unse mil lena ek kam karo tum aaj sam me yaha hamare sath hi khana kha lena us samay tumhe yaha sabse mulakat bhi ho jayegi.
Mai- Thik hai jaisa aap kahe.
Narayan- Waise ek bat batao tum is sadi ke liye taiyar kaise ho gaye.
Mai- Gurudev ka agya hai to mujhe to unki agya ka palan karna hi hoga.
Narayan- hmm thik hai tum ab jaa sakte ho ha lekin aaj sham me jarur aana.
Mai- thik hai.
Itna bol kar mai waha se nikal gaya aur ek auto pakad kar waha se nikal gaya kuchh dur aage jane ke bad mai auto wale se puchha.
Mai- Tumhara name kya hai bhai.
Auto driver- Sir mera name hari hai
Mai- wo achha hai hari achha name hai achha Bhai ek bat batana tum is sahar me kitne samay se ho.
Hari- Sir aap ye kyu puchh rahe ho.
Mai- kuchh nhi aise hi wo kya hai na ki mai is sahar me naya hu is liye puchh liya taki agar tumhe is sahar ke bare pata ho to hame tum achhe se yaha ghuma sako.
Hari- Sir mai yaha to bachpan se hi rahta hu aap bataiye apko kaha ghumna hai mai ghuma dunga bas aap mujhe auto ka kiraya de dena.
Mai- Hari bhai agar aap yaha bahut samay se rah rahe hai to apko to yaha ke bare me sab pata hoga.
Hari- Hari ha sir.
Mai- ye to achha hai fir aap meri help kar sakte hai.
Hari- Kaisi help sir.
Mai- Mujhe ek aisi jagah ke bare me jankari chahiye jo sunsan ho aur waha par koi aata jata na ho.
Mera bat sun kar hari ghabra gaya aur mujhe shak bhari nigaho se dekhte huye bola.
Hari- Apko aisi jagah ke bare me kyu janna hai kon hai aap.
Mai- Are daro nhi mai koi galat adami nhi hu bas mujhe aisi jagah is liye chahiye ki mai waha apna ek alishan ghar banana chahta hu wo kya hai na ki mai himalay se aaya hu aur mujhe akele sunsan jagah rahne ka adat hai mujhe bhid bhad wale ilako me rahne me bechaini hoti hai is liye puchha agar tumhari najar me aisi jagah hai to batao.
Itna bol kar mai apne pocket se 500 ka panch note nikal kar hari ko de diya ye dekh kar hari khus ho gaya aur bola.
Hari- Sir ek aisa jagah to hai lekin log waha jate nhi hai maine suna hai ki us jagah par bure aatmao ka nivash hai waha jo bhi jata hai kabhi wapas nhi aata darasal wo ek haweli hai halaki us haweli ko bane huye jyada samay to nhi huya hai lekin maine suna hai aaj tak jo bhi us haweli me ruka hai wo kabhi jinda wapas nhi lauta hai.
Mai-Achha aisa hai kya mujhe to aise hi jagah rahne me mazza aata hai tumhe pata hai ki us haweli ka malik kon hai.
Hari- Nhi Sir mujhe ye to pata hai ki us haweli ka malik kon hai lekin mujhe ek aise broker ke bare me pata hai jo wo haweli apko dila sakta hai.
Mai- bahut achha to tum ek kam karo pahle mujhe wo haweli dikha do iske bad ham us broker ke pass chalenge.
Mere bat ko sun kar hari dar gaya aur darte huye bola.
Hari- Nhi nhi Sir mai waha nhi ja sakta waha jo bhi gaya wo jinda wapas nhi louta hai.
Mai- are tum daro nhi mere hote huye tumhe kuchh nhi hoga.
Hari- Nhi Sir mai waha nhi ja sakta (jo paisa mai usko diya tha use mujhe dete huye) Aap apna paisa bhi le lijiye.
Mai- Are bhai tum to khamkha dar rahe ho tum ye paise apne pass hi rakho aur ha tum us haweli ke pass nhi jana chahte to thik hai mujhe us haweli ko thodi dur se hi dikha dena.
Mai use bahut samjhaya tab jakar wo waha jane ke liye mana usne bola ki wo us haweli se kuchh dur par hi rukega fir karib aadhe ghante bad ham us haweli ke kuchh duri par ruk gaye waha se wo haweli mujhe saf saf dikhayi de raha tha.
Mai- Hari bhai tum yahi ruko mai us haweli ko najdik se dekh kar aata hu aur ha mai jabtak wapas nhi tum yahi par rahna.
Hari- Sir aap waha mat jaiye ye apke liye khatarnak ho sakta hai.
Mai- Tum mere liye chinta mat karo mujhe kuchh nhi hoga.
Itna bol kar mai us haweli ke pass jane laga karib 10 minut chalne ke bad mai us haweli ke pass pahuch gaya ye haweli sahar se bilkul alag tha yaha koi bhi aata jata nhi tha ye haweli mere dhyan lagane ke liye aur traning karne ke liye sabse achhi jagah thi.
Mai jaise hi us haweli ke pass pahuch mujhe waha buri shaktiyo ka anubhuti ho gaya.
Mai- Hmm to wo driver sahi hi bol raha tha yaha par buri shaktiyon ka niwas hai achha koi bat nhi jab mai yaha aaunga to in sab ko yaha se bhaga dunga aur haveli to bahut achha hai thoda andar Jake ke dekhta hu.
Jaise hi mai us haweli me andar jane ke liye aage badha to dekha ki haweli ke gate par tala laga huya tha.
Mai- yaha to tala laga huya hai ab mai andar kaise jaunga ek kam karta huu mai apne divya dristi se dekhta hu ki ye haweli andar se kaisa hai.
Fir mai apne divya dristi ko jagrit karte huye haweli ke andar dekhne laga wo haweli bahar se jitna khubsurat tha wo andar se bhi utna hi khubsurat tha haweli ke pichhe ek baht bada garden tha jaha mai dhyan laga sakta th aur traning kar sakta tha ye haweli mujhe bahut pasand aaya mai abhi us haweli ko dekh hi Raha tha ki mujhe waha par kuchh aatmaye dikhai di wo dikhne me bahut khatarnak lag rahe the mai unhe dekh kar kuchh socha aur fir muskurate huye apne awaj ko yogik shakti se us haweli ke andar pahuchate huye bola.
Mai- Tum log yaha bahut rah liye ab tum logo ka yaha se jane ka samay aa gaya hai mai abhi to yaha se jaa raha hu lekin mai jab dobara yaha aaunga tab tum log mujhe yaha dekhayi nhi dena chahiye agar tab bhi tum log mujhe yaha dikhayi diye to mai sab ko jala kar bhasm kar dunga.
Itna bol kar mai apne sakratmak urja ko us haweli me bheja waha par rahe wale buri atma mere awaj sun kar dar gayi thi lekin jaise hi meri sakratmak urja waha pahucha un logo ki chikhe nikalne lagi.
Idhar mai haweli ke andar apna sakratmak urja chhod kar waha se nikla aur auto ke pass aa gaya mai janta tha ki mere sakaratmak urja ke karan ab waha koi bhi buri atma nhi rukega jab mai auto ke pass aaya to dekha ki hari dara huya tha wo jaise hi mujhe waha sahi salamat dekha to thoda sant huya aur mujhse bola.
Hari- Sir aap thik to hai na.
Mai- Ha mujhe kya hona tha chalo ab hame yaha se chalna chahiye.
Hari- Thik hai sir lekin ab hame kaha Jana hai sir.
Mai- Tum mujhe us broker ke pass le chalo jo mujhe is haweli ka deal kara sake.
Hari- Aap sachme ye haweli kharidna chahte hai.
Mai- Ha isliye to mai tumhe us broker ke pass chalne ke liye bol raha hu.
Hamlog waha se nikal kar sidha broker ke pass pahuch gaye fir hari sidha jake us brokar se kuchh bat Kiya to wo broker mujhe apne office me le gaya aur bola.
Broker- Sir kya aap sach me us haweli ko kharidna chahte hai.
Mai- Ha bhai tum bas uska dam batao.
Mere bat ko sun kar wo broker kuchh sochne laga aur fir bola.
Broker- Dekhiye sir mai aapse jhuth bol kar wo haweli nhi bechna chahta apko us haweli ke bare me mai kuchh batana chahta hu.
Mai- Mujhe sab pata hai bas tum uska dam badao.
Broker- Thik hai jab apko sab pata hi hai to ab mai kya kar sakta hu waise us haweli ka malik ne uska dam 1 crore rakha hai.
Mai- Aap us haweli ke bare me jante hai na fir bhi itna dam kyu mere shiva us haweli ko koi aur kharid bhi nhi sakta aap is haweli ke owner se bat kijiye mai unko sirf 50 lakh de sakta hu na isse ek rupya jyada dunga aur na hi ek rupya kam.
Broker- thik hai mujhe kuchh samay dijiye mai unse bat kar ke apko batata hu.
Itna bol kar broker apne mobile se kisi ke pass call lagaya aur office se bahar nikal gaya fir thodi der bat karne ke wo mere pass aa kar bola.
Broker- congratulations sir haweli ke owner 50 lakh me deal final karne ke liye man gaye hai.
Mai- To thik hai aap document reddy kijiye aur ye lijiye card aap isme se 50 lakh swap kar lijiye.
Broker- (card lete huye) Thik hai lekin apko document signature karne ke liye kal aana hoga kyuki haweli ke owner abhi bahar hai.
Mai- Ok koi bat nhi fir ham kal milte hai chaliye hari bhai mujhe Malhotra house chhod dijiye.
Bahot badhiya shaandar update
Tow praik pahoch gaye Malhotra house ladta dada ko Kuch khaas nahi laga apna hero lekin ab wachan badh he isliye tayyar ho jayenge
Ab dekhte h pratik Ghar walo ko Pasand aata h ya nahi or khaas ker Dadi ki poti ko
Haweli tow badi badhiya mil gayi pratik ko
Dekhte h aage kia hota h I