• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The unexpected journey- thriller, adventure, magic, incest, romantic ( COMPLETED)

The Thinker

Active Member
805
5,749
123
Update - 01


ek seher me ek family jiska poore seher k logo me naam tha.. unka khud ka business tha... jisme unhone kaafi mehnat se aage badhaya tha....
us family me jo mukhya sadasya tha unka naam tha "" RAMESH GOYAL ""
is business me unki patni jo thi unhone bahut saath diya...unhone 2 bacho ko janm diya...
Intro:-


Ramesh Goyal : goyal family ka head, goyal industry ka malik..umra-


Shanti Goyal :- Ye ramesh ki wife h... inke pita ki jaydaad me hisse ki vajah se inhe kaafi paisa mila tha .. jisse inhone business start kr liya...


ramesh ne shanti se bhaag k shadi ki thi... jiski vajah se shanti k pita ne use nikaal fenka aur vasta khatam kar liya lekin putri moh me gussa tha par pyar b tha isliye unhone usko najro se door rakha aur ek hissa property unke naam kar diya...jisse ramesh ne istemaal nhi kiya par jagah jagah bhatakne k baad use krna pada aur badi company ka maalik ban gaya...


Neha :-ye ghar me badi . matlab iska bhai iske sath judwa paida hua tha... ye usse kuch minute badi thi... ye shant swabhaav ki h aur jaldi ghabra jaati h... ise kisi se jaldi pyaar nhi hota agar ho gaya to ye uske liye kuch bhi kr skti h..


Ankur :- ye neha ka judwa bhai tha... isne love marriage ki thi .. jis din iski suhaagraat thi us din iski company me kuch lafda hua jis vajah se isko jaana pada... phir ye gayab ho gaya iska aajtak pata nhi chala ki ye zinda h ya mar gaya...


Rani :- Ye arun ki wife h.. iske maa baap nhi h... ye anaath ho gai thi apni jawani aane k dino me aur isne apne aapko majboot kr liya tha sabse nafrat krne lagi thi sab hawas ki najro se dekhte the isne college me padhna start kiya apne dum per iske dad k marne k baad kaafi paisa mila jise isne barbaad na karke apna bhavishya banaya.. ye jab padh rhi thi tab ise bahut propose aate the lekin isne kisiko b accept nhi kiya... bade bade gharano k ladke isse shadi krna chahte the kyuki ye bahut sunder thi...
phir ise ankur dikha jo seedha tha bahut aur ise usse pyar hua...


Ajay :-


ye hai kahani ka hero... ye ramesh aur ankur ko ek baar jab ve shanti k ghar se laut rhe the tab jungle me behosh mila tha..
aur ispe janwaro ne war kiya hua tha.. ise Ramesh ghar le aaya ankur bhi sehmat tha kyuki use ek bhai ki kami mehsoos hoti thi..... iski ankhe halke laal rang ki thi jaise suraj ki chamak.... ye 19saal ka tha... tab unke ghar ek baba aaye the ki iska jeevan sangharsh se bhara hua h... ise apni jindagi me bahut dukh jhelne padege jab tak isko ye pata nhi chalega ki ye kaun h..iska janm lok kalyaan k liye hua h sath me ye dusri duniya ka b kalyaan karega... ye ajey h isliye iska naam ajay rakho.... iski kismat aisi h musibat me dukh me b ise koi na koi raah mil jaati h....
unhone baba se poocha ki ye sab kyu, kaise , kyuki koi in baato per viswas nhi krta... baba ne inhe kaha sab niyati ka khel h vahi tay karegi ki ye kya banega.... jitna ho sake dukh kam karo isks varna sab jagah tabahi aa jayegi iska rona bahut asubh hai... ispe swayam mahakaal ka saaya h...


jis din ajay inhe mila tha us din se hi inke chhote mote nuksaan hone lage the..jinki vajah ye bilkul nhi tha.fayde b hote the lekin nuksaan bade..lekin koi b galat nhi sochta tha siwaye neha k kyuki usko lagta tha ab gharwale bas isko hi laad pyar krte h ..
ye bas sochti thi ki isko kaise b karke yaha se bhagaya jaye... jab neha ki shadi tay ho gai.. tab uski shagaai krwa rhe the sabhi log khus the jab dulha aana tha tab Ajay ko Ring lene bhej diya...
usi time ghar me khabar aai ki dulhe ka accident ho gaya h......
jab ajay ghar pahucha tab vaha sab gumsum baithe hue the... usne seedhe jaake apni mom (shanti) se poocha ki kya hua tab Neha ne uthke rote hue usko bahut saare thappad maar diye aur ye bolne lagi ki sab teri vajah se hua...jabse aaya h itne nuksaan ho rhe h... chala jaa yaha se manhoos h tu.... baba ne kaha tha ki iske jeevan me dukh h lekin ye apne sath hamare jeevan me bhi dukh le aaya ?


is beech uske papa ramesh ne aake usko pakda..


Ramesh : pagal ho gai ho kya tum. isne kuch nhi kiya sab kismat ka khel h ye to khud anaath h... iske maa baap ka kuch pata nhi... beta chup ho jao... ye dono jor jor se ro rhe the...


lekin is beech kisine dhyan nhi diya... ki ajay vaha se rote hue raste me chala aaya... vo bhagke nhi aaya paidal chalte hue aaya uske kadam usko leke jaa rhe the..usko ek bahut bada Shock laga tha ki ye sab uske sath kaise hua... bas neha k shabd uske dimaag me goonj rhe the ki ye manhoos h isne apne maa baap ko maara...


vo chalta hua jaa rha tha... usne raste me dekha ki ek aurat apne bache ko khana khila rhi h ..
jab us aurat ne dekha ki ek 19 (age changed by UA content ) saal ka ladka raste me bina dekhe chale jaa rha h.. usne usko rokne ki kosis ki lekin ajay ne chillakar kaha mujjse door raho mai manhoos hu... mujhse door raho..mar jaogi nahi to...


us aurat ne dekha ki us ladke k chehre per ansu h lekin uski aawaj aur chehra sakht tha... bas ankho se ansu bahe jaa rhe the...
phir usne usko jabardasti pakda aur apne seene se laga liya... tab vo foot foot k rone laga...
thodi der usne usko gale lagaye rakha phir usse poocha tab usne sab bata diya...
usne kaha kisi ek k kehne per tumne unko chhod diya ve sab pareshan ho rhe honge..jao vapis chale jao...


ab ajay k man me sawaal the jinka vo jawab lena chahta tha isliye usne us aurat se poocha...


Ajay : ek baat batao mujhe aap.. mai unke parivaar ka hissa tha aur chhota b tha kya sirf unko apni ladki ko rokna chahiye tha... use pyar dikhana chaahiye tha...


ab ajay ko ye nhi pata tha ki neha k hone wale pati ka accident hua... isliye us aurat ko b nhi pata tha.jiska jawab vo na de payi aur usne ajay ko hi sahi thehraya lekin usne ek baat kahi ki apne kaise b ho apne hi hote h .. ajay ko lag rha tha vo chhota tha unhone usko pyaar nhi jataya jabki pitaai uski hui thi ... ab ajay k dil me pyaar to tha kyuki vo poora ek saal rhaa tha us ghar me uska koi apna tha b nhi aur yaad b nhi tha uskk ki vo kaha se aaya h...lekin uske dil me gussa b tha ki kyu sabne neha di per dhyan diya mujhpe kyu nhi diya meri kya galti thi... kya mai sach me manhoos hu... kya mere asli maa baap meri vajah se mare h...


usne apna faisla kar liya tha ki ab vo ghar nhi jayega... kyuki hai to vo anaath hi... isliye un logo k pass nhi jayega per uske dil me un logo k liye jagah thi tabhi usko baar baar ve log yaad aa rhe the ...


Ajay chalta rha aur footpath per so gaya... phir subah hi bus k uper chadh k seher me chala gaya.... vaha jaake usne dekha ki seher me kitni bheed h logo ko ek dusre ki perwah nhi h...
usne dekha ek ladki uski umra ki gande se fate se kapde pehne hue h.. uske paas ek chhoti ladki b thi jo cute thi bahut, usko vo khana khila rhi thi aur bahut khush thi...
Ajay ko us ladki ko dekh k khusi ho rhi thi jis tarah vo Usko khila rhi thi tab ajay chalta hua jaake uske pass baith gaya... usko dekhne laga aur bada khus ho rha tha... usne jabse ramesh k yaha rehna start kiya tha mehnat ki hi nhi thi sab pehle hi mil jaata tha bas vo chhote mote kaam kr leta tha... usne kabhi gareeb nhi dekhe the gareeb k naam per vo sirf unke ghar me kaam krne wale naukar ko janta tha...


us ladki ki nigaah jaise hi ajay per padi vo dar gai... aur uthke chal padi vaha se... ajay b uske peeche chal diya use maja aa rha tha usko dekh k.. jis tarah vo us chhoti bachchi ko khila rhi thi..


dekhte dekhte vo ladki gayab ho gai bheed me... ab ajay ko bhookh lag rhi thi lekin use pata nhi tha ki kaise khana milega... phir usne dekha ki ek jagah ek boodha aadmi samose bech rha tha... ajay usks pass gaya... usne us aadmi se kaha ki baba mujhe samosa khilao... us budhe ne ajay ki taraf dekha aur samosa de diya kyuki ajay ne ache kapde pehne the use laga vo paise de dega...
jab usne kha liye tab budhe ne paise mange ajay bola mere pass nhi h.. shuru me to budha gussa hua phir bola Tumhare papa kaha h...
tab ajay ne bola ki mera koi nhi h yaha...


ab us budhe ne dekha ki ajay ki aawaj me maasoomiyat h... isliye usne kaha kaha rehte ho kaha se aaye ho tab ajay ne bataya ki vo is ganv se aaya h seher me . . budhe ne poocha ki ye kapde kaha se laye... tab ajay ne bataya ki use koi le gaya tha ab unhone usko ghar se nikaal diya...


budhe ko taras aa gaya... usne ajay se kaha bete mai gareeb hu tujhe khana de skta hu lekin rakh nhi skta.. haa mai tujhe jariya bata skta hu yaha se itni door per ek dukaan h vaha tum mera naam bata dena... vo tumhe kaam de dega... vo baba sukriya bolke chala gaya...
 
Last edited:
Top