• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy The unexpected journey- thriller, adventure, magic, incest, romantic ( COMPLETED)

The Thinker

Active Member
805
5,761
123
Bas boring na honi chahiye, waise flashback utni hi honi chahiye jitni ki jarurat hai, na zyada na kam..
Itna to likhna padega jo baaki bache suspence khul jaye ...nahi to phir kahani ka kuch nhi bachega ... plot k hisaab se to yahi h ...
Thanks for review
Keep supporting
?
 

The Thinker

Active Member
805
5,761
123
Mast update h Bhai
Par neha ka character accha nhi laga
Itna sab hone ke baad bhi usko ghanta fark na pada
Bhai ye bhi ek raaj h ..time aane per khul jayega ... thanks
Stay with us
Keep supporting ?
 

The Thinker

Active Member
805
5,761
123
One request brother, improve neha character and she only belong to the hero
Haa bhai hero ka hi h sab ?...iska character sayi h bas intejaar kijiye ... suspence kuch jyada ho gaye h jisse story bore lagne lagegi ...isliye pehle inhe khatam kr deta hu

Thanks
Keep supporting ?
 

The Thinker

Active Member
805
5,761
123
Update -18





Ajay ko ab apni duniya alag hi dikhai de rhi thi ...use vo sab yaad aane laga jo uske sath ho chuka tha ..
Kaise vo yaha pahucha sab ...use dikhai dene laga ki kaise khus tha vo ...
Use sab ek film ki tarah dikh rha tha ...


Ab aage ----


Ek bahut hi khus-haal jagah ...jaha har jagah shanti(peace) ...yaha per aadmi se leke har janvar b khus tha ...iska shrey sirf raja ugrasen ko jaata tha ...unhone apne rajya me kabhi kisi ko kisi bhi vastu k liye majboor nhi hone diya ...


agar koi rajya unse yudh krne ki sochta to ve pehle usko samjhate aur bhaichara banane ki kosis krte agar tab bhi vah nhi manta to raja ki sena itni majboot thi ki ve apni jaan dene k liye tayyar rehti thi ...


Ugrasen ka ek bhai tha jiska naam tha chitrasen...
Ugrasen ko ek putra hua tab chitrasen ko bhi putra prapti hui ...
Unke naam rakhe gaye ...ugrasen ne apne putra ka naam rudrasen(ajay) rakha to chitrasen ne bhadrasen rakha ...


Inke 2 saal baad hi ugrasen ko ek putri ki prapti hui ...jisme uski patni chal basi ...is tarah ugrasen toot gaya ...dono bhaiyo k putra shiksha k liye bhej diye gaye ....jaha unhone behad kathor parishram(hard work) kiya ...


guru b rudrasen k aacharan(attitude) se bahut prabhavit tha ...vo sabhi sisyo(students) me sirf rudrasen ko sabse adhik mahatva deta tha jisse bhadrasen ko usse chidh hone lagi ...
(Ye guru alag h ...vo gurudev alag h )


Phir jab unki siksha poori ho gai to Chitrasen ne unko lene k liye sena bheji ...
Tab bhadrasen to tayyar ho gaya ... kyuki usko to ye sab bada hi acha lagta tha ...uske vyavhar me bhi gareebo k liye ghrina(jealous) thi ..isliye vo to chala gaya lekin rudrasen ko ye sab pasand nhi tha to usne yatra krne ka socha ...


Jab guru ji ne poocha ki tum rath me baith k kyu nhi gaye ...sahi sawari me jaana chahiye tha tumhe...
Tab rudrasen ne kaha ki vo insab ka prayog apne sukh k liye nahi krna chahta ...use apne sath sab khus chahiye...


Tab gurudev ne kaha tumne acha kiya jo yaha ruk gaye ...mai tumhe ab vo siksha dunga jo aajtak maine kisiko nahi di ...ise mere guru ne mujhe ye kehke sikhaya tha ki jabtak koi aisa na mile jiske man me lalach na ho ...jo hamesha apne se jyada dusro ki perwah krta ho ...sirf use ye lene ka adhikar h ..jankalyan ki bhavna rakhne wala hi sachcha veer Yodha hota h ...


Guruji ne rudra ko uski safety k liye ek kavach diya jisme koi b sashtra (weapons) ghus nhi skta tha na koi war kaam kr skta tha ...


phir guru ji ne usko panchatatva ki shakti k baare me bataya ki ye vinashkari aur labhkari b hoti h ...
Guruji ne rudra ko inka prayog karna b sikhaya ...


apna pratibimb (clone) kaise banate h usse kya kya karwa skte h ye shakti b dedi ...
ab gurudev ne kaha ki ye jo shakti mai tumhe dunga iska dhyan rakhna ye asuri shakti h ...is par kaabo kar skte ho tum kyuki jiski ye h vo mahaakaal ka bhakt tha ...guru ji ne rudra ko mantra padhke apni kutiya(jhopdi,) me se ek jagah khod k paani ka ghada(matka) nikaala aur rudra ko diya ki piyo aur saara khatam kar do ...ise peene se tumhare ander bijli jaisi furti aa jayegi ...palak jhapakte hi tum speed se kahi b sabse tej daud skte ho kuch bhi kar skte ho teji se..
Use kisi b janvar ki bhasa samajh aa jaye usne baat kr ske ye shakti di ...vo kisi ka bhi roop dharan kr ske ye shakti dekar guruji ne kaha ki rudrasen ab jao aur jankalyan karo ...in shaktiyo ka kabhi bhi galat upyog na krna ... varna tumhare guru ki aatma hamesha bhatakti rahegi ...mera apman hoga jisse tumhe b kuch na kuch khona pad skta h ...ye hamesha yaad rakhna ...


Rudrasen : guru ji mai hamesha is baat ka dhyan rakhunga ki bhool se bhi bhool na ho ...mai aapki di hui siksha ka prayog hamesha nek kaam me karunga ...
ye kehke rudrasen vida leke chal diya ...vo jis bhi ganv se gujarta usi ganv me logo ko bhakti ki aur rukh kr deta ...
Jab apne rajya ki seema me pahucha...to usne socha kyu na mai ek sadharan vyakti ban k chalu...
Dekhta hu logo ka kya reaction hota h ...


Vo aise hi ghoomta hua gaanv ki galiyo me jaa rha tha ...jab vo bajaar me pahucha to vaha sabhi log aaram se khusi khusi khareed farokht kar rhe the ...
Use thodi der hi hui thi vaha hadkamp mach gaya ki rajkumari aa rhi h ...
Rudra ko pata tha ki ye bahut bada bajaar h isliye yaha har rajya se koi b aa skta h ...use ye nhi laga ki uski behen b ho skti h ...
Vaise yaha jisko jo pasand aa jaye agar dono ki sehmati ho to vivaah kara dete h ...
Jab kafila aage aaya to rudra ki nigaah padi ek bahut sunder navyovana par ...usko dekhte hi vo usper mohit ho gaya ...sabhi usko dekhkar apna sir jhukake pranaam kr rhe the ...
Lekin rudra bas use dekhta raha...


Us ladki k nain naks itne kateele the ki har rajya me
uska charcha tha ...bahut rajya k rajkumar to vivaah krne k liye b aaye the lekin rajkumari taal deti thi kyuki koi b usko man nhi bhaaya tha...


Ab rudra ko jab sainiko ne dekha ki isne jhuk k pranaam nhi kiya to ve uske veshbhoosa se pehchan nhi paaye ...
Rajkumari itni shantipriya thi ...ki vo kabhi kisi ko kast me nhi dekh skti thi lekin sainik to Sainik hote h ... unhone rajkumari k aage nikalte hi rudra ko pakad liya ...rudra ne apna parichay b diya lekin sainik bole are dekho ye apne aap ko yaha ka rajkumar bata rha h ...


Ve usko bandigrah me le gaye...
Baat aai gai ho gai ...koi b uska dhyan nhi rakh rha tha use kaidiyo wala khana milta tha ...rudra chahta to vaha se nikal skta tha lekin usne jab vaha kaidio ko dekha to unse ghul mil gaya aur unke baare me janne laga ...idhar raja ugrasen ne bhi jyada pata nhi kiya jab unhone pata krwaya to unhe maloom hua ki rudra nikal chuke h mastmaula h pata nhi kab tak pahuche ...jab unhone chinta jatai to guru ne unko samjhaya ki yaha unka seedhe seedhe koi bhi mukaabla nhi kr skta...


3 din beet gaye ... rajkumari k liye phir se swayamwar ka aayojan kiya gaya ... sabhi jagah ek baar aur ghosna karwa di gai ki rajkumari dev priya ka swayamvar h ...
Bahut door door se raja aaye unke putra b aaye ...


Idhar jab bhadra sen b us jagah pahucha jaha partiyoGita rakhi gai thi to raja k pass baithe hue use rajkumari devpriya dikhi usne apne pita se poocha ki ye maharaj ki beti h tab unhone kaha ki
Devpriya h jo devi k naam se jaani jaati h ...bahut hi sunder aur chalaak h ...


Pratiyogita shuru hui ...jisme bhadrasen ne bhi bhaag liya ...jab devi ne dekha ki ek ladka sabhi ko hara k aage badhta jaa rha h ...to unhe b chinta hui kyuki bhadrasen devi ko dekh dekh jo muskurahat chehre per laa rha tha usme usko saaf hawas aur jeet(devi ko jeetna naki prem) najar aa rhi thi ...


Devi use dekh k dar rhi thi ...jab unhone apne pita se uska naam suna to vo aur bhi ghabra gai ...
Idhar kaid me pade hue rudrasen ko kaidiyo se poocha ki bahar shor jo ho rha h kis baat ka h ...tab unhone bataya ki ye sab ho rha h isliye rudra ko sunke vaha jaane ki chesta hui ...


Usne turant sab gate tod daale ...
Aur baaki kaidiyo k sath bahar aa gaya idhar bhadrasen jeet chuka tha ...
usko vijayi ghoshit karne wale the ...usne ghamand me bola ki agar yaha is sabha me upasthit koi b mujjse mukabla karna chahe to aaye mai usko chunauti deta hu ...
Nahi to meri gulaami swikaar kare aur apna rajya per mere adheeen raaj kare...


Bas yahi baat rudra ko buri lag gai ...usne door se hi kaha ki mujhe ye chunauti swikaar h ...
Sabhi ki najar jab udhar gai to vaha rudrasen k mukh per surya ka tej dikha aur masoom sa chehra ...


Jise dekh rajkumari devi b ek baar mohit si ho gai ...unhe yaad aaya ki ye vahi h jo unhe bajaar me ghoor k dekh rha tha...


Bhadrasen ne pehchan liya tha rudra ko ...guru ne kabhi bhi inki partiyoGita nahi karwai thi kyuki ve nahi chahte the ki ek bhai haare aur dusre ke man me dusmani paida ho jaye ...jalan bhaav aa jaye ...


Bhadrasen ko aaj acha mauka mila lekin usko ye nahi pata tha ki jo usne seekha tha usse b adhik seekh k aaya h rudrasen...
Phir dono ka yudh karwaya gaya ... jisme bhadrasen jeet rha tha ...sabhi khus ho rhe the kyuki kisi ko pata nhi tha vo kaun h ...


Ab bhadrasen apne aap ko jeet ta hua paake khus ho gaya aur vaar krne laga ...rudra ne socha kaafi time ho gaya ab yudh ko samapt kiya jaaye. ..
Usne apna kavach active kiya ...aur samne khada ho gaya ...bhadrasen ne talwar se vaar kiya rudra ne roka nhi ...
Lekin ye kya ...rudra ko kuch nhi hua ...


Sabhi ki aankhe fati ki fati reh gai ...khud bhadrasen bhi chaunk gaya ...ab rudrasen ne apni poori taqat aur furti lagake ...kisi ko bhi dikhai nhi diya jab sabki aankhe ek jagah hui to unhe bhadrasen dharti per pada hua dikha ...aur uski gardan per rudra ne talwar rakhi hui thi...


Sabhi ascharyachakit ho gaye ki ye kab hua abhi to ye log aamne samne khade the ...rudrasen ko vijeta ghosit kar diya gaya .. ...bhadrasen apni haar bardast na kr paaya...use apne guru per gussa aa rha tha ki jo isko sikhaya vo mujhe kyu nhi sikhaya ....


Bhadrasen bahut jyada gusse me aa gaya tha ...
Usne badla lene ki pratigya kr li...uske sath viswash ghaat hua h ye maanke usne ab kasam leli ki jabtak vo guru aur rudrasen ko khatam nhi kr dega tabtak chain se nahi baithega ...chahe use kisi bhi hadd tak gujarna pad jaye...
 
Top