Update 9
Mai class se nikal kar sidha apne hostal me aa gaya aur apne room me jakar fresh huya fir waha se apne bed par aa gaya iske bad mai apne bed par dhyan lagane ke mudra me baitha aur locket ko apne mathe se lagaya to mai kuchh hi pal me gurudev ke samne khada tha.
Mai- Pranam gurudev
Gurudev- Ayushman bhava putra Aao yaha baitho.
Mai- Jee gurudev
Fir mai guru dev ke samne jakar baith gaya aur gurudev ke taraf dekhne laga.
Gurudev- Mai tumhe aaj cultivation kaise karte hai iske bare me dikhaunga kya tum taiyar ho
Mai- Jee gurudev mai taiyar hu.
Gurudev- Bahut achha chalo mai tumhe pahle cultivation se fayde ke bare me bataya hu.
Hamare sarir me adhyatmik urja ka bhandar hota hai jo soya huya rahta hai hamlog usi adhyatmik urja ko cultivation kar ke jagate hai jo jitna jyada kathin parishram kar ke cultivation karta hai usko utna hi jyada adhyatmik urja jagta hai abhi tak manusya sirf adhyatmik urja ka 40 ve bhag tak hi jaga paya hai adhyatmik urja se tum apne ikchha shakti ko jaga sakte ho apne sarir ko majbut bana sakte ho agar tum apne adhyatmik urja ko 40 se upar le jate ho to tum kisi bhi manusya janwar dev danav kisi ke bare me asani se Jan sakte ho tum kisi bhi wastu ko apne ikchha sakti se control kar sakte ho aur sabse badi bat agar tumhare aas pass 100 miter ke dayre me tumhar upar koi khatra hota hai to tumhara ikchha sakti tumhe pahle hi warn kar degi.
Tumhe meri bat samjh me aa gaya.
Mai- Jee gurudev mai samajh gaya.
gurudev- chalo achhi bat hai jo tumhe meri bat samajh me aa gaya ab tumhe mai dhyan lagana sikhaunga chalo apne sthan par dhyan lagane ke mudra me baith jao aur apne aankhe band karo fir apne man ko sant karo dhyan lagao suru suru me tumhara man bhatkega lekin tum apna prayas chhodna nahi.
Mai- Jo agya gurudev.
Fir mai jaise gurudev bole the waise hi baith gaya yani ki dhyan ke mudra me baith gaya aur apne aankhe band kar ke apne man ko sant karne laga lekin mera dimag sant hone ka name hi nahi le raha tha usme idhar udhar ki sari bate chal raha tha jisse bar bar mera dhyan tut ja raha tha. Lekin mai apna prayas nahi chhoda aise hi dhyan lagate lagate mujhe do din ho gaye the lekin mera dhyan nahi laga last me maine har mante huye gurudev se bola.
Mai- Ye mujhse nahi hoga gurudev mera man bar bar bhatak raha hai mera dimag ek jagah ruk hi nahi raha hai.
Gurudev- Tum to abhi se hi har man liya mujhe tumse aisa umid nahi tha mai jis adarsh ko janta hu wo chahe koi bhi paristhiti ho kabhi har nahi manta mai galat ghode par dav khel raha tha tum uske kabil hi nahi ho jo thodi kathinayi me hi har man le wo is duniya ke rakshak nahi ho sakta.
Mujhe gurudev ke bat sun kar bahut sharam aa raha tha aur sath me dukh bhi ho raha tha ki mai apne jon uncle jo mujh apne Jan se bhi jyada pyar karte hai unko mai niras kiya ab chahe jo ho jaye wo jaisa chahte hai mai waisa ban ke dikhaunga.
Mai- Gurudev mai ek bar aur prayas karta hu.
Gurudev- Thik hai agar abki bar fail huye to bhul jana ki tum kabhi hamse mile bhi the.
Mai Fir se dhyan lagane laga mujhe dhyan lagane me bahut kathinayi ka samna karna pada lekin lastly mai dhyan lagane me kamyab ho hi gaya ab mera man ekdam sant ho gaya tha mai ab apne dimag ke andar tha jaha charo taraf andhera hi andhera tha mai us andhere me hi aage badhne laga bahut der tak chalne ke bad mujhe ek chhota sa raushani ka gola dikha mai us raushani ke taraf badhne laga jaise jaise mai aage badh raha tha waise waise wo raushani ka gola badhne laga jab mai us gole ke samne pahucha to usme se bahut hi jayada urja nikalta huya mujhe mahsus ho raha tha mai us gole ko dekhne me hi byast tha ki tabhi mujhe gurudev ka awaj sunayi diya.
Gurudev- Bahut achha putra tumne kar dikhaya ye jo samne dikh raha hai wo hai tumhare adhyatmik urja ka gola ab tum is gole ko apne andar samne ki kosish karo tum is raushani ke urja ko jitna hi apne andar samaoge tumhara adhyatmik urja utna hi badhega lekin ye itna asan nahi hoga.
Mai- Thik hai gurudev mai is urja ko apne andar samane ki kosish karta hu.
Fir mai us raushani ko apne andar samane ki kosish karne laga jisse mere sar me bahut hi jayda tez dard uthne laga mai dard me bhi prayas karna jari rakha lekin jab dard had se jyada badh gaya to mera ankh apne aap khul gaya jisse mai dhyan se bahar aa gaya.
Gurudev- Bahut achha putra tumne bahut achha kiya aaj ke liye itna kafi hai roj tum yaha aane ke bad dhayan lagana aur us gole ko apne andar samahit karne ki kosish karna.
Mai- Jee gurudev jaisa aap kahe.
Gurudev- Putra ab tumhe wo jo samne pahad dikh raha hai uska chakar lagana hai wo 1 ghante me 10 chakar lagana hai.
mai jab us pahad ko dekh to mera his hi ud gaya wo pahad lagbhav 5 KM me phaila huya tha uska 10 chakar lagana hai wo 1 ghante me.
Mai- Gurudev ye kaise possible hoga us pahad ki area kamse kam 5 km me phaila hai mai kaise uska chakar 1 ghante me 10 bar laga sakta hu.
Gurudev- Chahe jo bhi ho tumhe 1 ghante me 10 chakar lagana hai jab tak tum 1 ghante me 10 chakar nahi laga lete tab tak tumhe bhagte rahna hai samajh gaye.
mai- (Murjhaye huye chehre se) jee gurudev samajh gaya.
Iske bad mai us pahad ke chakar lagane laga pahli bar me ek ghante me sirf 2 chakar hi laga paya tha isliye bina ruke fir se bhagna start kar diya. mere pass plus point ye tha ki is locket ke andar mujhe thakan mahsus nahi hota tha thakan hota bhi tha to 10 minat rest karne ke bad dobara pahle jaise ho jata tha yani ki thakan dur ho jata tha. Mai aise hi 10 dino tak us pahad ke chakar lagata raha ab mere daudne ki speed pahle se jyada ho gaya tha aaj 10va di finaly mai 1 ghante me 10 chakar laga paya tha.
ab mera sarir mujhe pahle se jyada halka mahsus ho raha tha 1 ghante me 10 chakar lagane ke bad mai gurudev ke pass gaya.
mai- (khus hote huye)Gurudev maine 1 ghante me 10 chakar laga liya.
Gurudev- Hum.. Bahut achha lekin mai abhi khus nahi hu tu jabtak us pahad ke 1 ghante me 200 chakar nahi laga lete tabtak mai khus nahi hounga tum isi tarah abhyas karte raho.
Iske bad gurudev ne mujhe martial arts talwar baji tirandaji purane jamane ke yudh kala jaise bahut sare traning di ye traning lagatar 15 din tak chalta raha yani ki bahari samay ke anusar sirf 3 ghante hi huye the fir mai apne locket se bahar aa gaya.
Jab mai locket se bahar aaya to wakayi me mera sarir bahut halka lag raha tha fir mai socha ki mera speed kitna badha hai mai chek kar ke dekh leta hu to mai waha se sidha magic school ke ground me chala gaya aur uska chakar lagane laga mera mai ye dekh kar tajub huya ki mera speed wakayi me pahle se kafi badh gaya tha fir mujhe gurudev ne locket ke andar jo jo sikhaya tha sab ka practice kiya aur fir apne room me aa gaya fir canteen me jake khana khaya aur fir apne room me akar so gaya.
BAS AAJ KE LIYE SIRF ITNA HI