Abey ye Google top rankings threads kaha hai?![]()
genjutsu wale ko dikhenge bus"इस सफ़र में नींद ऐसी खो गई हम न सोए रात थक कर सो गई - राही मासूम रज़ा..!!"
Yo hello xfians how are you guys doin… meri baat karu to apun bc garmi aur pasine se pareshan ho chuka haiand as far as I know maximum logo ka yahich haal hoga usme apun to aisi jagah se hai jidhar ka average tempratre garmi me 43-44 degree se niche nahi aata matlab samajh rahe ho gand faad garmi
aur I know ke aap bhi apni gand se tapakte pasine se pareshan honge lekin fikar not bhai aaya hai samasya ka samadhan batake jayega.
To main apne office me baitha pankhe ki garam hawa khate huye is garmi se bachne ke liye kisi hill station ko khojne lagalekin kaisa hai na insan har jagah pahuch chuka hai aur jo khayal mere dimag me aaya wo kayi aur logo ke dimag me bhi aaya hoga aur apne ko raahat chaiye thi naa ki gardi aur gulu gulu karte couples aur aise me apun ko pata chala ek hidden gem ka, uttrakhand ki god me basa ek khubsurat hill station jo abhi tak logo ki pahuch se thoda hi dur hai…. Lansdowne.. shant mahol aur naisargik saundrya ka anutha sangam aur ab apun ne delhi tak ki ticket book kari aur nikal pada Lansdowne ke liye suraj dada ki tapan se bachne…
Ab jab Lansdowne ja hi rahe hai to sabse pehle is jagah ke bare me thoda jaan lete hai, Lansdowne uttrakhand ka ek aisa hillstation hai jiske bare me bahut hi kam log jaante hai, it is one of the less explored hillstation of India and I am sure yaha bhi kai log is jagah ka naam pehli baar sun rahe honge,
Lansdowne uttrakhand ke paudi garhwal jile me sthit hai aur iska naam ishara karta hai itihas ki or. Is shahar ko britishers ne basaya tha aur bharat ke purv viceroy Lansdowne ke naam par is shahar ka naam rakha gaya hai.
Ye shahar sea level se 1780 meter ki uchai par hai aur local logo ke anusar is shahar vartaman me jaisa hai waisa pehle nahi tha pehle is ikale ko kaladanda ke naam se jaana jata tha yani kala jungle aur log yaha aane se darte the lekin iski khubsurti aksar logo ka dhyan apni or akarshit krti thi aur bharat ke adhikansh hill station jaise hi is jagah ka mahatva tab badha jab british officers ka yaha aana jana badha, angrejo ne is jagah ko garhwal rifles ke Bharti kendra ke rup me istamal kiya aur iska naam 1887 me bharat ke viceroy ke naam par pada, aap yaha har pal badalte mausam ka anubhav kar sakte hai aur aajkal ye jagah delhi aur meerut wasiyo ka favourite weekend destination bana hua hai
![]()
How to reach:-
Baat kare Lansdowne kaise pahuche to dekho Lansdowne pahuche ke bahut se tarike ke hai jinme train aur road main hai halanki mukhya shahar tak aakpo by road hi jana padta hai kyuki Lansdowne ka apna koi railway station ya airport nhi hai, ye jagah delhi se bas 250km ki duri par hai aap apne private vehicle se bhi yaha aa sakte ho, apun ne to delhi pahuch ke self driven taxi le li thi aur by road hi Lansdowne pahucha lekin agar aap train se jana chahte hai to aapko kottdwar station par utarna hoga waha se Lansdowne ki duri 40 km hai aur Lansdowne ka nikattam airport dehradun hai jo Lansdowne se 150 km ki duri par hai, aapko dehradun ya kottdwar se Lansdowne ke liye bahut si taxi available ho jati hai. Train se aane walo ke liye delhi to kothdwar connect karne ke liye aap massurie express, garhwal express aur doon express se aa sakte hai.
Aapki suvidha ke liye apun delhi to Lansdowne ka route de de deta hai by road ka
Delhi – Ghaziabad – Modinagar – Meerut – Khatauli – Mirapur – Bijnor – Najibabad – Kotdwar – Lansdowne
Maine taxi mein baith kar Lansdowne ki taraf rukh kiya. Jaise-jaise main unchai par ja raha tha, waise-waise hawa tez ho rahi thi, thandi ho rahi thi
Jab main Lansdowne pahucha, maine khud ko itne shaant aur khushnuma mahaul mein paya ki maine socha ki yeh sab kuch sapna hai. Yahan par koi bhi gaadi ki shor-sharaaba nahi tha, sirf parindo ki chilchilahat aur pattiyo ke saath hawa ka saath tha.
Where to stay-
Ab apun ko kisi hotel ne promotion ka paisa nahi diya hai isiliye apun kisi hotel ka naam nahi lega lekin yaha rukne ke liye hotel se lekar tourist house tak sab maujud hai ab ye aapke budget par depend karta hai aapko kaha rukna hai, uttrakhand tourism ke do resthouse bhi hai yaha jo vajib dar me aapko miljayenge
Ab chuki main drive karke thak chuka tha to maine hotel me hi khana kha kar aaram kiya aur fir agle din nikla Lansdowne ki sair par.
Places to visit-
Well there are plenty of places to visit in Lansdowne jo aapko prakruti ke alag alag najare dikhane ke kabil hai I am just mentioning some of them
1. Tip n top point
![]()
Tip n top Lansdowne ke pramukh paryatak sthlo me se ek hai yaha se pahadiyo ka drishya kafi manmohak aur akarshak dikhta hai mainly sunrise aur sunset dekhne ke liye yaha log gardi karte hai, yaha se aap barf se dhaki pahadiya dekh sakte hai , ye Lansdowne ki sabse unchi jagho me se ek hai aur yaha se pura shahar dikhayi padta hai
2. Saint mary’s church
![]()
Saint mary’s churh tip n top ke ekdum najdik hai aur is churh ko dekhne log dur dur se aate hai, apni khubsurat diwaro aur rangeen glass ki khidkiyo ke liye ye tourists me famous hai, pine aur devdaar ke jungalo se ghiri ye jagah tourists ko apni or akarshit karti hai is jagah pahuch kar aap ek alag shanti ka anubhav karenge meri guarantee
3. War meuseum
![]()
War museum also known darwan singh museum ek do manjila imarat hai jo apne andar inihas samete hai, Shahar ke beech me bane is museum me garhwal rifles regiment ke yuddh ke yaadgar sangraho ko pradarshit kiya gaya hai
4. Bhim pakora
![]()
bhim pakora lansdowne ke paas ek aitihaasik lekin ashcharyajanak jagah hai. bhim pakora apne naam se bhi aakarshit karta hai.
is jagah par paryatak do bade pattharo ko ek dusre ke upar ek paripurn santulan mein dekh sakte hain. aisa kaha jata hai ki in do bade pattharo me upar ki chattaan ko ek ungli se hilaya ja sakta hai. lekin donon haatho se dhakka dene ke baad bhi kabhi niche nahin girta. yah thoda ajeeb hai lekin sunne mein dilachasp bhi lagta hai to aap bhi ek baar yaha jarur jaye. Lansdowne shahar ke kendra se ye jagah 2 km ki duri par sthit hai.
Ek purani kivdanti ke anusar ye patthar yaha khud pandav bhim ne rakhe the aisa maana jata hai.
5. Bhulla lake
![]()
Bhulla taal jhil manav dwara nirmit Lansdowne ke paas sthit ek krutrim jhil hai. yah jhil piknik spot ke liye jana jata hai. iske naam ke baare mein bataya jata hai ki ise gadhwali bhasha se liya gaya hai, jiska matlab english mein small bhi hota hai. yaha jane par ek sukhad prakrti ka ehasas hota hai.
6. Tarkeshwar Mahadev
![]()
Tarkeshwar Mahadev Lansdowne se 38 km ki duri par hai lekin ek dekhne layak jagah hai, devdar ke pedo se ghiri ye jagah aapka man mohne ke liye kafi hai, yaha aap tarkeshwar ke darshan ke liye ja sakte hai ye jagah Bhagwan shiv ko samarpit hai aur aastha ka ek bada kendra hai, ise bharat ke prachin siddha peetho me se ek mana jaata hai is jagah saal me se 4 baar mela lagta hai jisme se desh bhar se shraddhalu aate hai
Inke alawa aap nimnlikhit jagho ko visit karna naa bhule
St. John’s Church
![]()
Kaleshwar Temple
![]()
Garhwali Mess
![]()
Hawa Ghar
![]()
Bharav Garhi Temple (15 Kilometers drive from Lansdowne followed by 2 kilometers of a trek)
![]()
Lovers Lane (Thandi Sadak)
![]()
Lansdowne does not offer a lot in terms of shopping expeditions. However, you may visit the Alaknanda Market and the Lansdowne market for some local artifacts, handicrafts and souvenirs.
Ye jagah bahut hi vividhtapurn hai aur aap ghumne ke alawa bhi bahut hi activities yaha kar sakte hai jaise ki trekking, camping, nature walk, biking and jungle safari
Waise to Lansdowne me karne ko kuch khas nahi hai to na to Jayda adventure activities hain a to bade markets hai to ab sawal ye hai ke yaha visit kyu kiya jaye to yaha visit dena ka sabse important reason hai yaha ka nature, ekdum shant vatavaran jo aapki sari samasya sari thakaan dur kar dega.
The natural beauty of the place, stunning views, short distance, cleanliness, good roads, and easy accessibility are what make Lansdowne special. Aur agar aap delhi se to to ek trip ko yaha jarur banti hai.
To isi ke sath aaj ka safarnama yahi khatam karte hai hope aapko ye information pasand aayi hogi, maine Lansdowne me kafi sahi relax samay enjoy kiya hai kuch naa karke bas nature ke sath nature ke maje liye hai aur agar aapko ye pasand aata hai aur aap ise padhke Lansdowne ka trip laga ke aate hai to hame yaha tag karna naa bhule lagega apni di info kaam kar gayi to milte hai agle scoop me kisi nayi jagah ke sath tab tak ke liye…..
sayonara...
yaha apan rita darling ke sath jaaega aur fir 