Various Eye
Member
- 207
- 157
- 43
Unicorn na mile to gainde pe baith k khel lengeWe play it on the unicorn too![]()
AaahhhhhhhhhhhhhhhGeralt of Rivia ko sirf pyara jawab, baaki sab ko karara jawab![]()
Wanderlund sectionBefore we start tell me one thing, what comes on your mind after you here word Darjeeling, well agar aap mujhse pucho to answer milega, Chai ,
Darjeeling Tea Is one of the tastiest tea in the world also darjeeling is one of the biggest exporters of tea as well, par Darjeeling sirf Chai ke liye hi famous nahi hai, it is also known for its tourist spots, mountains, and many other things, jinke bare me soch raha hu aap logo ko thodi info de hi du..
So here I, Adirshi welcomes you to another Edition of The Xforum Scoop aur ab bagair kisi deri ke chalte hai sidha Darjeeling ki taraf ko…
Dekho apne ko waise to ghumne firne ka bahut shauk hai but kya hai na ghumne ke liye lagta hai paisa aur samay aur paise ke liye karna padta hai kaam jisme samay nahi miltabadi dikkate hai BC jindagii me
Khair pichle dino mujhe back to back 3-4 dino ki chhutiya mili aur apan to fakir aadmi hai ji jhola utha ke chal dete hai to bas maine apna saaman bandha 2-3 dino ki chhutiya aur le li lekin socha nahi tha ke jana kaha hai waise bhi garmiya shuru ho gayi thi to hill station pe jane ka socha aur chai pite pite apun ke dimag ki batti jali ke Chalo Darjeeling chala jaye to bas hum nikal gaye darjeeling ki taraf…
Bharat ke North East rajyo aur shahro ki khubsurti jitni baya ki jaye utni kam hai, imandari se kahu to yaha dekhne layak itni saari chize hai ke 6-7 din bahut kam hote hai isiliye apun ne wonly focus darjeeling pe kiya.. kaisa jaha jao full explore karna ka na bhidu log..
Agar aapko pahad, ghatiya, hariyali aur chay ke baagaan dekhne ka shauk hai to darjeeling aapake liye ekadam perfect jagah hai. Yaha aakar aap apne saare tanaav aur chintao se mukti pa sakte hai. yahaan ka suhavana vatavaran aapke chhuttiyo ko suhavana banaane ke liye paryaapt hai.
Darjeeling apni do chizo ke kaaran bharat ka sabse jyada mashhoor tourist destination hai, ek to duniya ki teesri sabse unchi choti kahe jane vale ‘kanchanjunga’ ke liye aur dusra yahan ke chay ke baagaan ke liye. iske alava bhi yahaan aise anek sthaan hain jahaan aap ek naya aur romanchit anubhav kar sakate hain. Par in adhbhut najaro la anubhav lene ke liye sabse pehle waha pahuchna bhi to jaruri hota hai…
How To Reach Darjeeling
Aap darjeeling By Road, By train aur hawai marg se ja sakte hai aapki apni suvidha aur budget ke anusar ye aap ko tay karna hai kaise jayenge, waise darjeeling ke liye koi direct rail ya plane nahi hai uske liye aapko uske najdeeki railway station ya airport tak jana padega jaha se aapko aage ka safar by road hi karna hai.
Darjeeling pahuchne ke liye sabse najdiki airport Bagdogra Airport hai, waha se aapko Darjeeling jane ke liye Cab ya shared Auto aur buses available hai
Train se jane walo ke liye broad gauge ka sabse kareebi railway station hai New Jalpaiguri Station, broad gauge isiliye kyuki fir aap new jalpaiguri station se darjeeling ki famous toy train ka maja lete huye darjeling pahuch sakte ho, sath hi yaha se bhi aapko taxi aur cab ki suvidha available hai hi.
Aur yadi aap by road darjeeling puchna chahte Hain to aapko Siliguri pahunch kar yahan sakte hain Siliguri ki connectivity road se kafi acchi hai aap Siliguri bus stand pahunchkar nbstc ki bus chalti hai yahan se darjeeling ki duri 61 kilometre hai jo ghoom Tak pahunchaati hai vahan se aap share auto karke Darjeeling pahunch sakte hain
Ab chuki darjeling India ka ek famous tourist destination hai isiliye yaha aapko accomodation ki utni fikra nahi hoti hai, hotels lodge ke roop me rukne ke liye bahut si jaghaye hai jinhe aap apni hisab se apne budget ke hisab se dekh sakte hai .
(hotel wale promotion ka paisa nahi dete BC isiliye unka naam lena bhi paap hai)
Aur rahi baat yaha ke khane ki to Darjeeling has a unique mixture of Bengali, tibatian and nepali population, aur yahi uniqueness aapko yaha ke khane me bhi dekhne milta hai, bharat ka ye shahar jitna apni prakritik sundarta, himalay ke haseen drishya, chai ke baagan aur suhavne mausam ke liye famous hai utna hi apne tibatian culture ke khane ke liye bhi famous hai, yaha ki dishes dikhne me jitni sunder hai utni hi khane me swadisht
gorakha, khampa, lepcha, sherpaon ki sanskrti liye ye shahar anek vyajann aapke saamne prastut karata hai. jinamen tupaka (noodle soop), paramparik nepali thali (daal, bhaat, sabji, aachaar, chatanee aur meetha), naga kisine, kurpe (snacks), momos, aaloo dam, sel roti, chang, shafalay aur yaha ki mashhoor Darjeeling chai aapke muh me pani lane ke liye kafi hai.
To ye to huyi darjeeling pahuchne aur khane pine ki baate ab jara darjeeling ghoom bhi liya jaye, waise to darjeeling me ghumne ko bahut si jagahe hai lekin kya hai na sabke bare me batate batate likhte likhte gand fat jati isiliye bas jo main main hai unhi ka bataya hai
Places to Visit in Darjeeling
Tiger Hill
Picture of Sunrise at Tiger hill, Darjeeling
I personally feel ke darjeeling ki trip Tiger hill par sunrise dekhe bagair adhuri hai, 2590 meter hi unchai par bana tiger hill darjeeling shahar se 11 km dur sthit hai, agar aap din ke samay me tiger hill jate hai to shayad hi aapko waha koi dekhne milega lekin subah subah ye jagah cars ki lambi line se bhari hoti hai aur log suraj ugne ka intajar kar rahe hote hai, Tiger Hill is now internationally famous for its magnificent sunrise view above the Kanchenjunga and other eastern Himalayan ranges.
Tiger hill par ek watch tower bana hua hai jaha se aapko parvat shrinkhalao ka ek vyapak drishya dekhne ko milega, Kanchenjunga aur everest ki barf se dhaki chotiyo par suraj ki pehli kiran girte dekhna apne aap me ek adbhut anubhav hai,
Tiger Hill is a great place to visit in Darjeeling to soak in the Himalayan beauty.
Batasia Loop and War memorialBatasia loop is a major tourist spot in darjeeling city located on the Hill Cart Road and is about 5 km from Darjeeling town,
Yaha pahado ke ghomavdar raasto ko kaatkar sankre aur dhalan raasto ke jariye toy train ki line bichayi gayi hai. Ye jagah 360 digree mein darjeeling shahar aur kanchanjanga pahaad ke sundar najaro ko prastut karti hai
50,000 square feet me faili is jagah ko ek sundar baag ki tarah banaya gaya hai, jahan toy train ke jariye aap poora sthaan ghoom sakate hain. isake alaava is sthaan ke beech mein ek war memorial bhi bana hua hai jisme gorakha swatantrata senaniyo ke naam ek bade granite patthar par ankit kiye gaye hain.
You can get a panoramic view of the Kanchenjunga ranges and the entire landscape from here.
Outside the Batasia Loop, there is a small market area selling curios, bags, hats, and other decorative items.
Darjeeling Zoo
Darjeeling Zoo or Padmaja Naidu Himalayan Zoologiccal park is one of the biggest attractions of darjeeling, 27 hecter ke vishal area me bane is zoo me apko rare himalayan species jaise red panda, snow leopard, tibatian wolf himalayan black bear jaise endangered prajatiya dekhne milti hai, sath hi ye India ka sabse high altitude wala zoo hai.
Rock Garden and Gangamaiya park.Rock Garden
Rock garden aur ganga maiya park ek dusre ke kareeb bane do khubsurat park hai..
Rock garden main Darjeeling town se kuch 10 km dur bana hua hai, Rock garden ko chattan se kaat kar banaya gaya hai jaha iske beech me baithne ki vyastha ki gayi hai aur yaha ka main attraction hai chattano ke niche behta waterfall, ise darjeeling gorkha hill council ne tourism ko badhawa dene ke liye banaya tha.
Wahi Ganga maiya park rock garden se kuch 3 km dur hai jo sunder phulo aur fawaaro se bhara bagicha hai, sath hi park me ek choti si zeel bhi hai yaha aap boating ka maja le sakte hai
Happy vally Tea Estate
Is jagah ko visit kare bagair to aapki darjeeling ki visit kabhi complete hi nahi ho sakti, Happy vally tea estate aisi jagah hai jaha aap chai ke baagano ka pratyaksh anubhav kar sakte hai, ye estate 1854 me bani thi jise wilson tea estate bhi kaha jata hai, ye ek 110 hecter me basa hua west bengal ka heighest tea estate hai jaha ki kayi chai ki jhadiya kuch 100 saal se bhi jyada purani hai
Hill Cart road ke paas bani is jagah ko visit karne ka sabse sahi samay march aur october ke beech ka hai, is dauran factory ka karmachari aapko factory ke aaspaas le jata hai jaha aapko pattiyo se chai banane ki puri prakriya batayi jati hai aur aapko pata chalta hai ke jis chai ka aap maja lete hai uska nirman kaise hota hai.
There is also a tea boutique here from where you can buy best quality Darjeeling Tea grown at the estate.
The Famous Toy Train
The toy train ride or Daejeeling himalayan railways beshak darjeeling ka ek main tourist arttraction hai, DHR bharat ka pehla maountaoin railway hai jo 1881 me bana tha, darjeeling ko silliguri ke area se jodne ke liye, ye mountain railways ka ek best example hai jise UNESCO se Word Heritage Site ka darja prapt hai, darjeeling jane ke baad Toy Train ka maja aapko jarur lena chahiye..
Peace pagoda
The Japanese Temple and Peace Pagoda is the symbol of peace and a place of tranquillity. Ye mandir darjeeling shahar se lagbhag 10 min. duri par Jalapahar hills me maujud hai, ise Nipponzan Myohoji Buddhist Temple ke naam se bhi jana jata hai jiska nirman 1972 me Nichidatsu Fujii naamak japani buddist monk ke under hua tha, Yaha se aap ko Darjeeling Shahar aur Kanchanjunga ki pahadiyo ka ek adbhut najara dekhne ko milta hai
This Japani Peace Pagoda was built to bring people together from all castes and creeds for the purpose of world peace. Is jagah par aane ka baad ek alag ki shanti ka anubhav hota hai jise aap waha jakar mehsus kar sakte hai
Obesarvatery hill
A view form Ovesarvatery Hill
Darjeeling ki famous obsarvatery hill mall road ke paas sthit hai, ye jagah apni adhbhut sundarta aur ghumavdaar pahadi raasto ke liye tourists ke beech attraction ka point hai, iske alawa ye jagah yaha bane tibatein Monastery aur Mahakaal mandir ke liye bhi jani jati hai
In mandiro tak pahuchne ke liye aapko 15 minute ki pahadi numa chadhai karni pad sakti hai sath hi yaha ek gufa bhi hai, Obsarvatery hill par pahuch kar aap prakriti ke adhbhut najaro ka aanad le sakte hai aur aapke darjeeling trip me is jagah ko shamilkarna na bhule..
Shrubberi Naaitingale Park
Darjeeling ka Shrubberi Naaitingale park ek behad hi khubsurat jagah hai, ye park apni khubsurti ke sath sath yaha se dikhne wale kanchanjunga ke najaro ke liye bhi famous hai, kanchanjunga ke adhbhut drishyo ko yaha se bahut ache se dekha ja sakta hai
Kaha jata hai ke british kaal me ye park Sir Thomas Tortan ke har ka aangan hua karta tha aur angrejo ke bharat chhodne ke baad ise ek public park me badal diya gaya, park ki sundarta ke alawa yaha park me bani bhagwan shiv ki murti bhi dekhne layak hai aur sath hi park ke musical fauntains bhi.
Sham ke samay yaha ki raunak kuch alag hi dekhne ko milti thi and this place is a must visit in darjeeling
Inke alawa aur bhi kayi aisi jagahe hai jinhe aapko darjeeling jane par jarur visit karna chahiye jinme…
Darjeeling Mall road or Chowrasta
Himalayan Mountaineering institute and meuseum
Famous Ropeway Ride of Darjiling
Famous Sandakphu Peak
Ghum Monastery
Chalo ye to huyi ghumne firne ki baate ab bhai kahi ghumne jao aur kuch shopping na ho aisa to ho hi nahi sakta na dekho waise to main hadd kanjus aadmi hu lekin fr bhi jaha bhi ghumne jata hu waha se kuch chize kharidne ka maja hi alag hai, isiliye bata raha hu ke jab bhi app Darjeeling aaye yaha ka market ghumna na bhule
Aapko Darjeeling me yaha ki famous chai ke alag alag flavours mil jayenge aur sath ki handicraft ki chize, wollen ka saaman aur antic chize, junk jewellary aapko yaha ke market me dekhne ko milegi
And for your convinience here is a list ke aapko kaha kaha kya kya mil sakta hai
Nehru Road - Leather Bags, Woolens, Books, Handicraft Items
Batasia Loop - Home Decor, Darjeeling Tea,
Ghoom Monastery - Tibetan Handicraft Items, Singing Bells, Prayer Flags, Thangkas
Teesta Bazar - Hunting Items, Paintings, Slippers
Pashupati Nagar - Woolen clothes, tea and other articles
Mall Road - Fancy Jewellery, Woolen Dresses, Shawls, Scarves
Chowk Bazaar - Jewellery, tea and woolen clothes
Best Time to visit Darjeeling
Darjeeling ghumne ka sabse sahi samay march se june ke beech ka hai kyuki jab bharat ke baki rajyo ko garmi ne apni chapet me le rakha hota hai tab yaha ka tempreture 11-14 degree ke beech hota hai, to garmiyo se nijat pane ke liye darjeeling se badhiya jagah koi nahi hai
Darjeeling ghumne ke liye 4-5 din ka samay bahut hi kam hai, yaha dekhne ko itna kuch hai, karne ke liye itni saari activities hai ke aapka dil darjeeling se jane ka nahi karta hai but kya kare janab hum kaam dhande wale aadmi hai, waise to mera man abhi bhi darjeeling se nahi bhara hai lekin chhutiya khatam ho rahi thi isiliye maine apna saaman bandha aur wapsi ki raah par nikal liya un pahadiyo se waha dobara aane ka wada karke aur isi baat ke sath aapse bhi ab vida leta hu fir milenge agle scoop me kisi nayi jagah ke sath tab tak ke liye..
Sayonara.
Man to bahut kiya but, kuch sochkar rok liyaKya hua..Ju ne call na ki![]()
Apan door se bahut kuch imagine karegaMoon Light Ko lega ab apun .. Abhi pvt mei asli naam leta hu![]()