• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

Monty cool

Member
246
870
93
Nain bhai shadi aur honeymoon dono hi nipta diya hoga ab to ajao kahi esa to nahi ki nain bhai family planning Me ho aur pata cale agla update aur jr.nain ek sath aye 😜😜😜😜

Majak tha bhai log aur unki behan log
 
  • Haha
Reactions: Xabhi

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,515
188
Update:-69





Vyas, Sia ko dekh kar usse ignore karte, uss par aise tanj kasa ki Sia ke liye uss party me rukna mushkil sa ho gaya... Ander se kafi jyada hatash ho kar wah party ko bich me hi chhod kar wahan se nikal aayi. Usse yakin kar pana muskil ho raha tha ki Vyas ne uske liye kaise shabd kahe the....



Sia bina kisi se kuch kahe wahan se chali aayi. Vyas usse jate dekha. Jo usne Sia ko suna kar kaha tha, Sia poori tarah se samjh chuki hai, ye baat Vyas ko bhi samjh me aa chuki thi. Haan lekin itna hone ke baad uss se bhi ruka nahi gaya. Wo bhi chup-chap party se khisak liya.…


Parivarik mehfil Vyas aur Sia ke jane ke baad bhi saji hui thi. Sabhi log enjoy kar rahe the. Issi bich Riaz apna mobile se nizad pa kar charo ore dekha.… "Areee apna Vyas kahin dikh nahi raha"…


Asif:- Hoga yahin kahin...


Riaz:- Haan waise Sia bhi nahi dikh rahi hai...


Asif:- Pagal hai kya... kya bol raha hai?


Riaz sabke bich bol gaya. Nirali aur Jannat ne bhi ye baten gaur ki. Dono charo ore uss poore hall ka muwyana karti…. "Kyun Asif bhaiya, kya chhipane ki kosis ki ja rahi hai"…. Nirali apni baat kahti sawaliya najron se Asif ko dekhne lagi...


Aqsa:- Ravivar ki subah to Vyas bhaijan aur Sia bhi the uss under construction site par... Wo bhi subah-subah humse pahle pahunche huye the ..


Nirali aur Jannat shak bhari nigahon se Asif ko ghurti.… "Hunnn hunnnn … Hunnn … ye chakkar kya hai aur hum dono se hi sari baten gol ki ja rahi"….


Riaz:- Batao Jannat aur Nirali ki hone wali bhabhi ke bare me poora college janta hai, ek yahi dono nahi janti...


Asif, apne chehre ki bahvna me bina koi parivartan laye, muskura kar Nirali, Jannat ko dekhte... "Mahol par gaur kiya jaye to yahan Meera bhi nahi hai. Abhi kuchh der pahle Huma boli ki wo Vyas ko re-consider karna chahti hai wo bhi gayab hai."

"Under construction wali jis site ki baat ho rahi hai, wo site hi poori Sia ki hai aur wahan uske maa-pitaji bhi the. Baki ladka-ladki ke matter par afwah to udti hi hai, main kis-kis ko rok lunga..."


Asif ne kisi ko kuch bhi samjhane se achha apni baat kah kar sab baten janta par hi daal diya, "jise Jo sochna hai sochte raho" …. Haan lekin Riaz par usse gussa aa raha tha. Badbola to pahle se hi tha lekin ummid nahi thi ki sabke bich aise muh faad dega, jabki Vyas ne to uske samne hi canteen me Sia ko propose kiya tha aur Sia ne utni hi shalinta se mana bhi kar dee thi...


Party ka mahol kuch waqt tak aur chala. Sabha tooti. Nirali aur Jannat ke sath Aqsa chali gayi. Riaz ko lekar Asif nikla. Raste me Asif apni bike rok kar Riaz ko kinare lete...


"Tujhme akl nahi hai kya, bahno ke samne aise jhuta muh faadte"…


Riaz:- Maine kya jhuth bola... Roj class ke baad jab sabhi canteen me hote hain tab Vyas aur Sia ke najron ke ishare tune nahi dekhe kya? Ya tu dekh kar bhi andekha karta hai?


Asif:- Najron ke ishare... Wowww... To dono ke bare me ye hai tera view..


Riaz:- Tu mujh se aise kyun chidha hai... Ohhh achha ab tum dono uss Som ke sath caroron ki deal me ho, isliye Sia ki baat par aise react kar rahe...


Asif:- Kya bola tune...


Riaz:- Wahi jo tune suna... Main koi andha nahi jise pata na ho ki tum dono ke hath me Sia naam ki sone ki chidiya lag gayi hai...


Aisf apne sar par hath rakhte... "Tu pagal to nahi ho gaya... Ya aaj jyada chadha liya hai tune..."


Riaz:- Baat sacchi hai na isliye kadwi lag hi jati hai… Jab se Sia aayi hai main to out of picture hi ho gaya na...


Asif:- Tu kaisa ye paglon jaisi baten kar raha hai Riaz... Tera dimag to kharab nahi ho gaya...


Riaz:- Ja ghar ja... Tujhse na ho payega. Paison ke raaj khul gaye to tu aise hi baat ko dabayega...


Asif:- Bhosdike kaun se paise... Kiske paise...


Riaz:- Wahi 48 site ke 1 carore ki deal.…wahi jisme tune poore tea party gange se 50 ladkon ko samil kar liya... Wahi paise jo 2 lakh sab me batne wale hain aur tu, Vyas aur wo Som na jane kitne iss matter me kamane wale ho sabhi ladkon me 1 carore batne ke baad, uska to andaza bhi nahi laga sakte... Shayad 1 site se 1 carore ki aamdani hone wali hogi... 47 carore ander kar liye aur 1 carore ka jhunjhuna baant diye... Tum logon ko saakh bhi bach gayi... Dusre ladke tumhara jhamela wala kaam bhi kar gaye aur tum teeno ne saara maal ander bhi karne ka plan kar liya...


Asif:- Jin baton ka gyan na ho na uss par ulta sidha nahi bolte... Kam se kam puchh to leta...


Riaz:- Kya puchh leta… tum dono ne kabhi mujhe kuch bataya hai. Jao aish mauj karo carorepati ji... Ab to tumhari society badalne wali hai...


Asif:- Tu sach me pagal ho gaya hai.... Chal baith... Vyas jab aayega tab hum dono poori baat samjha denge...


Riaz:- Tum dono mere malik nahi aur main koi dudh pita baccha nahi… Ja tu ghar ja... Main chala jaunga...


Wahin sadak kinare kuchh der dono ki bahas hoti rahi. Dono hi wahan se kafi gusse me nikle. Idhar Nirali aur Jannat dono ghar pahunchi. Aaj Jannat Nirali ke sath hi rukne wali thi. Dono jab ghar me pahunchi Vyas apne kamre me hi tha aur kitabon ke bich uljha hua tha...


Dono ek duare ka chehra aise dekh rahi thi mano kahna chah rahi ho, "humari galatfehmi thi bud"… Vyas ek najar dono ko dekh kar muskurate.… "Aa jao dono aise bahar kya khadi ho. Wo party me Huma ko dekh kar mujhe laga ki wahan se lautne me hi sahi hoga"…


Huma ka kissa aisa tha jiske pichhe Vyas apni aur Sia ki kahani chhipa liya. Huma ka naam hi kafi tha fir to Nirali aur Jannat bhi samjh sakti thi Vyas kyun lauta...


Nirali:- Sorry bhaiya, maine hi usse invite kiya tha...


Jannat:- Maine nahi humne invite kiya tha… Bechari ke sath bahut bura hua. Akeli thi aur log usse gaddar ki beti kah kar kat liye. Bhai ka intakal ho gaya... Uska dard to wahi samjh sakti hai lekin thoda hans bol le, mahol thoda change ho jaye isliye bula lee...


Nirali:- Dost hai humari aur dard me thi, isliye akela chhoda nahi gaya…


Vyas dono ki baat par muskurate.… "Nahi achha ki. Abhi usse tum dono ki jaroorat bhi hai. Waise haav bhav to uske aaj bhi nahi badle..."


Jannat:- Ander se strong to hai wo bhaiya, isme koi 2 rai nahi. Sahas aur dileri to kut-kut kar bhadi hai warna three idiots se panga lene ki sochti nahi...


Jannat thodi mazakiya hoti, bite dino ki baat par chutki le lee. Usse sun kar Vyas bhi hansne laga. Ander se poori tarah mayus tha, isliye shayad apni dono bahno ko apne pass se jane hi nahi diya. Baat karte-karte kab Vyas ko nind aa gayi, usse pata bhi nahi chala...


Vyas ko nind aane ka pata nahi chala lekin Sia janti thi usse nind nahi aani hai aur jaagi rahi to uska poora parivar udas rahega. Raste se hi nind ki goli le chuki thi. Ghar pahunchte-pahunchte to asar bhi shuru ho gaya aur aate hi sidha headache ka bahana kar ke so gayi...


Subah jab Sia ki nind khuli, uske ek kinare Lata Mishra to dusre kinare Diksha leti hui thi. Apne pass dono ko lete dekh, chhoti si muskaan uske chehre par aa gayi aur kal sham ke Vyas ki baat par aankhon me aanshu the...


"Kya hua tha"… "Kaun si galti thi"… "Vyas ne kyun itna gambhir ho kar apshabd kah diye" …. Yah khyal rah-rah kar wapas se aane laga. Sia apni maa aur bahan ka chehra dekh kar khud ko sambhali aur uth kar college ke liye taiyar hone lagi.


Sia hatash to thi lekin college na ja kar wo apne ghar ke sawalon ka samna nahi karna chahti thi. Sia ander se kafi vichlit thi lekin upar utne hi vishwas ke sath khud ko majboot darsha rahi thi.


Roj ki tarah hi Sia subah-subah canteen me thi jahan Captain aur uske group se ek chhote se hi-hello ke baad Sia alag table par baithi apne coffee ki chuski le rahi thi. Yun to roj ki tarah hi Sia ke charo ore bhid thi lekin aaj ek ladka bade hi bindas andaj me Sia ke table par baith gaya...


Sia coffee piti hui kuchh papers dekh rahi thi, jab wo ladka samne aa kar baitha aur apne hath ka phool aage badhate... "Jab se tumhe dekha hai, pagal hua ja raha hun. I love you Sia"…


Thode unchi awaz me uss ladke ne apni baat kahi aur phool aage badha diya. Sia bina koi pratikriya diye apne file me pade panne ko dekhti rahi. Wah ladka 1, 2 baar aur Sia ko pukara lekin Sia najar tak utha kar nahi dekhi.


"Kya senior, bechara itni hasarat se apni baat kah raha aur tum ho ki koi response nahi de rahi"…. Captain ek chair khinch kar thik uss ladke ke karib baith'te huye kahne laga... Nisha thik Sia ke pass apni chair lagati…. "Batao humare haddi vibhag ke goldmedilist ka bhi dil dharkne laga. Senior humare Roopak sir ke proposal ka kuchh to respose do"…


Sia:- Mujhe wetland aur Gomti nadi ke survey ke liye nikalna hai. Dil aur dimag ke channel par kewal ek hi baat chal rahi hai, sahrikaran ke chakkar me humne nadiyon aur Jalashayon ko maar dala. Maaf kijiye Roopak aur inki tarah arman liye sabhi log, mujhe in sab baton me koi ruchi nahi"…


Sia ab bhi files me apne survey project ko hi padh rahi thi. Bina najren uthaye wo apni baat kahti khadi ho gayi aur canteen se nikal gayi. Nisha aur Captain, Apne senior student Roopak ko dekhte... "Sir, lagta hai love ke subject me aap ko aur mehnat karni hogi"…


Roopak:- Koi baat nahi hai guys... BTW maine suna hai MBBS final year vs third year match hone wala hai"…


Captain:- MS aur MD walon tak bhi ye khabar pahunch gayi kya?


Roopak hanste huye haan me sar hilata raha aur Sia ko pichhe se jate huye dekh raha tha. Sia unke pass se nikal kar sidha apne faculty Ritu Ghosh ke pass pahunchi jahan Raman, Sonali, Suraj aur Karan pahle se maujood the. Sia ke aate hi sabhi Gomti nadi ke tat par jane ke liye sath nikle. Unki vahan campus ke bahar intzar kar rahi thi.


Sia apne group ke sath badh hi rahi thi ki samne se Riaz usse hath dete roka. Sia apne group ko se alag ho kar... "Haan Riaz"…


Riaz:- Nahi kal tum achanak party chhod kar chali aayi. Tumhare aur Vyas ke bich koi jhagda hua tha kya?


Sia apne group se alag to hui thi lekin wo itna bhi aage nahi badhe the ki Riaz ki baat na sun paye. Riaz ki baat jaise hi unke group ke kano tak pahunchi, 2 ladke Karan aur Suaraj apne kadam rok kar unke aage ki baat sun'ne ke liye vyakul ho gaye.


Idhar Sia, Riaz ki baat sun kar apne charo ore ka mahol dekhi... Campus ke gate par bahut sare Student khade the. Sia thodi asahaj mehsus karti.… "Riaz ye kaisi baat kar rahe. Aur tumhe khyal bhi nahi ki hum kahan khade hain?"


Riaz:- Areee in fudduon par dhyan mat do. Dekho love affair me aisa hota hai, iska ye matlab nahi ki hum doston se bhi kat jao... Vyas ko kuchh confusion hua hoga. Tum dono ka affair hai to ye ruthna manana to chahta rahega. Lekin iske liye doston ko to ignore nahi karte hai na...


Sia:- Suno Riaz dost kah dene se koi dost nahi hota. Bus kahne ko kuchh nahi milta isliye dost kah dete hain. Mere liye tum teeno wahi ho. Ab jarra rasta doge, main apne classmates ke sath jarra kam kar lun...


Riaz, thoda bhavuk hote.… "Haan shayad main issi layak hun. Carorepati banane ka theka to tumne bhi apne lover Vyas aur uske dost Asif ko hi diya hai na. Usne bhi mujhse kinara kari diya aur tumne bhi. Bye Sia"…


Sia ne ab tak to apne chehre ki bhavna nahi badli, kintu Riaz kah hi aisa baat gaya ki Sia ka gussa hona lazmi tha. Na to usse karodpati banane ka koi kissa pata tha aur na hi sab ke bich Vyas ko uska lover kaha jana gawaara.


Sia bhadki jaroor lekin Riaz ki baton par bahas karne ka koi irada nahi tha, isliye chup chap wahan se nikal gayi... Riaz ki baaten na sirf Sia ko poori tarah gussa hone par majboor kiya balki yah sochne par bhi vivash karwa diya ki.. "Vyas ne uske relationship ke bare me apne sab doston ko bata diya"


Khincha sa mood le kar wo apne team ke pass jaise hi pahunchi, uska classmate Karan.…. "Sia yadi boyfriend ke jhagde se hatash ho to tum kal aa jana"…


Sia:- PhD kar rahe ho lekin akal kisi sadakchaap se jyada nahi. Koi mera naam kisi ke sath jod de to ja kar sawal ussi se karna. Mujhse nahi... Koi kya kahta hai aur wo kiske sath mera kaun sa relation nikalta hai ye uski presonal soch hai. Dobara fir se mujhe ye baat dohrani na pade.…


"Mujhe lagta hai tum sab ko girlfriend-boyfriend aur modern relationship par hi reserch karna chahiye. Chhod do tum sab environmental science."…. Sab ke bich Ritu Ghosh ne jab dakhalandazi ki tab ja kar ye sabhi gadi me sawar ho gaye. Wahin Riaz miyan akele aur udas apne mobile me dhyan lagaye class ke ore nikal gaye.


Medical first year ki pahli class samapt hui aur sab ke sath beman ho kar Vyas bhi canteen pahuncha. Kal raat Sia par jo gussa tha wo kam to nahi hua tha, lekin baiman uski najren Sia ko wahan na dekh kar ander se aur jyada chidh gaya... Kaisi ye majboori thi ander gussa badh raha tha aur najren Sia ko hi dhundh rahi thi...


Aalam kuchh aisa raha ki doston ke bich Vyas baat kam kar raha tha aur chidh jyada rah tha. Baki Asif, Meera aur Riaz teeno usse chidhane me koi kasar nahi chhod rahe the. Yun to uss waqt Vyas gusse me uth kar wahan se bhagne wala tha lekin hairan sab ko Meera kar gayi.


Masti mazak aur chidhane ka silsila samapt hi hua tha ki thik uss waqt 5-6 bodyguard ke sath ek ladka wahan pahuncha aur apne ghutno par baith kar poora guldasta Meera ke ore badhate... "I miss you a lot love"…


Meera ka reaction miss universe pratiyogita jitne jaise tha. Chehre par hansi thi, muh hathon se dhaka. Dekh kar aisa lage jaise khushi se phooli na sama rahi ho. Meera apni hath aage badha kar phoolon ka guldasta apne hath me thami aur apni baanh uss ladke ke baanh me fansa kar hansti hui canteen se nikal gayi..


Asif aur Riaz ko jahan Meera ka ek handsome aur utna hi rahish boyfriend dikha wahin chidha hua Vyas aur bhi jyada ander se gussa ho gaya. Anterman me bus ek hi khyal aaya…. "Main kaise bhul gaya Meera apne guru ki hi cheli hai"…..






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Excellent shandar lajawab update
 
Top