• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Starting me to achchha halka-fulka hasi mazak raha par update ke end me aate-aate bohot emotional ho gaya. Jo bhi ho lajawab update diya hai bhai :good:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
Khubsurat aur emotional update ,wese is kahani me bhi emotions bhare pade hai sab andar se ghayal hai magar uper ek Masti aur hasi thitoli ki parat chada rakhi hai, Jo aese mauko per samne aahi jati hai ,To abhi pyar ka decide hua hai ... Main hungama Meera ke Ghar per machna Tay hai ,lekin abhi usme time hai ....abhi to lagta hai ghar shifting ki main kam rehega
 
Last edited:
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,002
173
Update:-79

Vyas bhanna kar gusse me wahan se chala gaya aur Sia uski haalat par hansti hui nikli. Haan lekin Diksha ke ore badhte waqt Sia bhi gahri shwans leti, ander se yahi kamna kar rahi thi kisi tarah Som aur Meera ka matter sambhal le...

Jignesh ke dimag me Sia ki kahi baat dalna, Vyas ke liye koi mushkil kaam nahi tha. Haan bus Vyas ka dil jal raha tha, wo alag baat hai. Sia ki baat ko Jignesh ke dimag me dalne ke liye Vyas ko Jignesh se baat bhi nahi karni padi. Jignesh ko suna'kar, Vyas ne Asif se itna kaha ki.... "Yadi Pranshu ko kisi tarah koi pata le to Sia se uski shadi turant ho jayegi".

Asif bhi iss baat me ruchi dikhate Vyas se puchh liya kaise... Vyas fir Jignesh ko sunate huye kah diya... "Simple, Diksha jo kahegi wahi Som aur Sia karenge. Aur Pranshu chah le to wo Diksha se kuch bhi karwa sakta hai…"

Machhli chara nigal lee. Jignesh pahuncha Sia aur Diksha ki mehfil me jahan Pranshu bhi khada tha. Jignesh apni baat kahne me jhijhak raha tha, isliye aate hi sabke sath idhar udhar ki baaten karne laga.…

Sia samjh chuki thi Vyas apna kaam kar chuka hai. Yani Jignesh ko pata hai ki uska palanhaar Pranshu hai. Ab to bus chhota sa paplu fekna tha. Idhar Sia ka ishara hua aur Diksha bolna shuru ki… "Nikku main kya soch rahi thi kyun na aaj raat Kuku humare sath ruke. Dekho budhwar ko main chali hi jaungi, so kuch din sath rahte hain"..

Jignesh:- Haan-haan kyun nahi bhabhi... Lekin badle me kuch din Pranshu bhaiya ko mere pass chhod do... Lucknow me itne dino se hain, lekin mulakat bus 2-3 baar, wo bhi kuch der ke liye...

Diksha, Pranshu ko Jisnesh ke ore dhakelti.… "Le jao apne bhaiyya ko.. Main to kahti hun mahine din ke liye rakh lo"..

Pranshu:- Achha, mahine din... Soch lo janu...

Diksha:- Soch liya Prince… jao, jao... Kuch din sukoon se rahungi...

Pranshu:- Chal bhai... Aaj poori raat hum dono party karenge..

Diksha, apni aankhen dikhati... "Party, wo bhi raat bhar... Mujhe bus tumhare talli hone ki khabar aane do Prince, fir batati hun...

Thoda hansi mazak ka mahol ban gaya. Dever aur pati mil'kar Diksha ko chhedne lage... Aakhir'kar maha mathapacchi wali merathon party samapt ho gayi. Pranshu, Jignesh ke sath chala gaya aur Meera, Sia ke sath chali aayi...

Nirbhay Singh ke ghar ke darvaje se kayi log ander aa rahe the. Poori sabha Nirbhay Singh ke bade se hall me hi lagi thi, Jahan ek ore Shashtri nagarwashi baith gaye, wahin dusri ore Mishra family baithi thi. Charo ore khamoshi pasari hui thi. Gale ki khadas ke sath Mishra ji ne Pandit ji ko ishara kiya... Pandit ji ishara samjhte apni patni Alka Shashtri ko dekhne lage aur Alka Shashtri ko jaise hi ishara mila... Wo Nirali ka hath tham'kar… hath tham'kar kuch kahne hi wali thi...

"Ruk jao sabhi... Koi kuch nahi bolega pahle Sia kuch kahna chahti hai"… Vyas apni baat kah gaya aur sabki najar Vyas par...

Shashtri nagar vashi, Mashroof… "Sia yani Mishra ji ki ladki na... Wo kuch kahna chahti hai tujhe kaise pata"..

Pichhe se sabhi shatri nagar vashi... "Haan-Haan tumhe kaise pata"…

Ab ye bechara Vyas kya bole... Vyas ko faste dekh Sia kisi tarah himmat kar'ke kahne lagi... "Sabhi log ek minute shant ho jaeye, mujhe kuch batana hai"…

Sabhi logon ki najar ab Sia par... "Haan sahi me kuch bolna tha... Bolo, bolo"..

Mishra ji:- Sia jo bhi kahna hai wo baad me kahna, abhi hum bade kuch khas vishay par charcha karne ke liye ikatha huye hain...

Diksha:- Papa ye jaroori hai.. Sia tu bol..

Sia:- Mujhse nahi hoga tum bol do...

Diksha, Sia ko aankh dikhati... "Main kyun bolun, main to picture me hi nahi hun.. Ek kaam karte hain Meera ko hi bolne do"…

Meera, fusfusati... "Main kya bolun?"

Sia:- Tujhe apna pati chahiye to bol, warna aaj pitaji rista to fix kar hi denge...

Mishra ji chidhte huye.… "Ye kya natak laga rakha hai tum logon ne... Ab koi kuch nahi bolega... Chup-chap se khade raho.."

Pandit ji:- Areee aap itne pareshan kyun hote hain... Bacche hain...

Mishra ji:- Shaitan bacche hain Pandit ji... Dekh rahe hain hum koi jaroori baat karne baithe hai aur bich me pareshan kar rahi...

Sia:- Pitaji shant... Ye sach me jaroori hai.. Meera ab kaho bhi..

"Khhaaaaa.. khaaaa... Khiiiiii... Khiiiii"… Meera sab ke bich pahle gala saaf ki aur fir bhi nikla ghighiyati awaz.... "Main kya bolun"..

Mishra ji chidha sa muh banate... "Kya kahna chah rahi ho saaf-saaf kaho na"..

Meera:- Mujhe na hoga… Lata aunty bolengi...

Lata Mishra chaunk'kar apni kursi se pichhe dekhte… "Ab main kahan se aa gayi"…

Vyas ki maa Alka Shashtri chidhti hui... "Ae Meera yahan kya nautanki kar rahi hai... Ye usko kah rahi bolne, wo usko kah rahi bolne... Ye rayta jaroor Meera ka failaya hoga... Isse main acche se janti hun"…

Alka Shashtri ki baat par, Sia, Diskha aur Vyas ki hasi nikal gayi... In teeno ko hanste dekh baki sab bhi hasne lage. Pandit ji bhi hanste huye kahne lage... "Kuch bhi kaho, Meera hai to bahut shararti"…

Meera chhota sa muh bana'kar Lata Mishra ko dekhti... "Aaphi to gardian hai. Mushkil waqt me aapko hi mera sath dena hoga... Please aunty bata do"…

Lata:- Achha main hi batati hun...

Mishra ji:- Kya?

Lata:- Ab main kya bataun... Pahle isse pyar hua, fir isne usse convince ki... Baad me usse bhi pyar ho gaya.. aur ab ye dono pyar karte hain...

"Haaayyynnnnnnn"…. Wahan maujood sabhi logon ke aise hi reaction the… Aisa lag raha tha Chinies movie Spanish subtitle ke sath chal rahi ho... "Aree kahna kya chahti ho daughter of Gajendra Mishra"…. Mishra ji chidhte huye puchhne lage..

"Kyaaaaaaaa"… Gajendra Mishra ka naam sun'kar sabke aise hi reaction the...

Nurul Hassan:- Kaun wo Gorakhpur wale Gajendra Mishra...

Mishra ji:- Haan ussi ki ladli beti hai na... Abhi muh se niklega.… Lata Mishra daughter of Gajendra Mishra... Ab jarra aaram se batao kahna kya chahti ho..

Idhar, Vyas fusfusaya.… "Achha tabhi uss din campus me chamtkar dekhne ko mila.. to Faisal Sehnavaj tumhara mamera bhai hua"…

Diksha:- Kya hua tha campus me Sia aur Faisal ne kya kiya?

Sia:- Samne dhyan do, uss bare me hum dono ki baat ho chuki hai..

Diksha:- Kab?

Sia:- Abhi iss matter ko end kar de, fir aaram se baat karte hain..

Idhar Gajendra Mishra ka naam sun'kar to sabhi chaunk gaye. Wahin Mishra ji ko sun'ne ke baad Lata Mishra baat ko vistar se batane lagi...

"Wo hum uski shadi me unse mile.. Uski maa ne pahle usse fasaya fir apni beti se shadi ka wada bhi le liya tha... Shadi ke liye usne inkaar kiya tha, lekin pita ki kasam le chuka tha isliye usse bhi haami bharna pada... Fir baad me pata chala ki ye shadi ka wada to mahaj ek sajis tha. Wahin dusri ore usne jab apne pyar ke liye usse convince kiya tab kisi ko nahi pata tha ki inki shadi to officially Tay ho chuki hai.. bus ek dusre ko pata nahi ki ye wahi dono hai lekin dekhiye.. anth me wo dono pyar karte hain aur aaj uski maa ko hi pata nahi ki dono pyar me hai..

Iss vistar purvak baat ko sun'ne ke baad har kisi ka bheja fry ho gaya. Har kisi ko apne baal nochne aur Lata Mishra ka gala ghotne ka dil kar raha tha. Mishra ji aawes me aate…

Mishra ji:- Lata yahan kya chal raha hai... Tum log yadi nahi chahte ki main Pandit ji se kuch baat karun to saaf kah do... Aise sabke samne meri bejjati to nahi karo...

Lata:- Maaf kijiye Mishra ji, ye main jaan-bujh kar nahi kar rahi, ghabrahat me ho gaya. Main sidhe hi kah deti hun, pyar Som aur Meera ke bich hua hai aur main Sugandha ki baat kar rahi thi, jisne Diksha ki shadi me Som se wada liya tha...

Lata Mishra ek shwans me apni baat kah gayi. Uski baat samapt hote hi Shastri nagar washi sab ek dusre ka muh dekhne lage...

Pandit ji:- Ye to wakai jaroori baat thi...

Itni der se khamosh tamasha dekh rahi Nirali ka aakhir kar dhairya toot gaya... “Koi mujhe batayega yahan ho kya raha hai”..

Vyas:- Tumhare rishte ki baat Som sir se tay hone ja rahi thi...

Nirali:- Ohhh... Fir to aap log jari rakhiye…

Mishra ji:- Kya wakai ye baat sach hai... Ya fir kahin koi...

Meera:- Hone wale sasur ji, aap kahna kya chahte hain?

Mishra ji:- Kuch nahi beta hum aaram se baat karte hain.. Filhaal to Pandit ji main aapse maafi chahunga, jo bina Som aur Meera ke bare me jane maine ektarfa faisala le liya..

Pandit ji:- Ji koi baat nahi hai..Chaliye issi bahane hume Shree Gajendra Mishra ji ke beti aur damad ke parivar se milne ka awsar mila... Aap nahi jante ki wo humare liye kya hain?

Sia:- Ye to hum nahi jante ki nanu aapke liye kya hain? Bataeye na uncle...

Nurul Hussan, Pandit ji ke kadhe par hath rakhte... “Maaf kijiye hum bata nahi sakte”..

Diksha:- Areee koi nahi abhi hum jaan lete hain...

Diksha thik issi waqt Gajendra Mishra ko call laga di... Udhar se Gajendra Mishra... “Ab yaad aayi tujhe nanu ki”..

Diksha:- Meri shadi me kyun nahi aaye, jaeye main baat nahi karti..

Gajendra Mishra:- Baat nahi karegi to wo baat kaise batayegi jiske liye call ki..

Diksha:- Nanu, ye Lucknow ke shashtri nagar ka kya scene hai..

Gajendra Mishra:- Mujhe kya pata kahan kya hota hai...

Sia:- Nanu, jyada dimag ke ghode na chalao... Warna main phone Lata Mishra ko de dungi... Daughter of Gajendra Mishra..

Gajendra Mishra:- Wo daughter of Gajendra Mishra nahi hai balki mother of Gajendra Mishra hai...

Sia:- Nanu, ab batao bhi please..

Gajendra Mishra:- Aree mere nalayak kapoot shashtri nagar ki poori jamin ka hi shauda kar chuke the. Batao jis jamin ko mere dada ke dada ne daan me diya tha usse bech rahe the... Shashtri nagar walon ke pass pakka paper nahi tha aur tab maine unhe daan ke jamin ka pakka paper diya tha...

Sia:- Ohhh ye baat hai..

Gajendra Mishra:- Haan ye baat hai.. waise meri maa aur uska pati kahan hai ...

Lata:- Pranaam babuji...

Gajendra Mishra:- Lata, beta pata na ab kitne din jivit rahunga... Ek baar sabhi bacchon ke sath yahan aa ja...

Kapendra Mishra:- Pitaji aap chinta nahi kijiye... Sia ke college ki chhuti jaise hi hogi waise hi hum sab aate hain...

Gajendra Mishra:- Nalayak, ek natin ke shadi me hospital me para tha. Marne se pahle kam se kam dusre ki shadi to dikha de...Aur wo mahadev kahan hai.. Bahut din se dikha nahi..

Lata:- Kya Som aapse milta tha..

Gajendra:- Haan milne aate rahta tha. Usne manaa kiya tha tum dono ko iss bare me nahi batane. Jabse Lucknow gaya ek baar bhi nahi aaya. Som ko kahna jaldi se aa’kar mile ye bahut jaroori hai..

Lata:- Thik hai babuji jaroor bhej dungi... Bhaiya sab kaise hain?

Gajendra:- Bus bahut hua ab sabki jaankari yahan aa’kar lena... Main ab phone rakhta hun..

Call disconnect hua aur Mishra ji, Pandit ji ko dekhte .... “Itni si baat to aap bhi bata sakte the”.

Pandit ji:- Nahi, batane ke liye manaa kiya gaya tha..

Khair iss sabha par poori tarah se poorn viram lag gaya tha. Sab jane lage. Mishra ji aur Nirbhay, Shastri Nagar wasiyon ko ghar tak chhodne chale gaye... Idhar Mishra family, apne cottage me pahunche.. Sabhi drawing room putle ki tarah baithe the...

Lata Mishra:- Wo nalayak kahan hai...

Sia:- Som ko freelancing ka koi bada kaam aaya tha, isliye wo kuch dino ke liye bahar gaya hai...

Lata:- Gadha hai... Fir bina bataye bhag gaya...

Diksha:- Maa tum to kuch bolo hi mat... Tumhe subah hi pata chal gaya tha na, Som ne kya kaand kiya hai...

Meera:- Main kya kah rahi thi...

Lata, Sia aur Diksha teeno ek sath Meera ko ungli dikhati... "Tum to kuch bolo hi mat"

Meera, thunakti hui... "Sab mujhe hi daant lo, saara kiya karaya to mera hi hai na"…

Sia:- Bhabhi nautanki band karo... Yaar mujhe to Kuku ko bhabhi kahte bhi ajib lag raha...

Meera:- Sia didi it's ok...

Lata:- Ok ki bacchi.… Teri maa ne bhale hi kisi maksad se teri shadi Som se fix ki thi... Lekin fix to thi na. Fir ye pagalpan karne ki kya jaroorat thi... Apne bete ki shadi ke kitne armaan sajaye the.. Som ki shadi ko le'kar kitne sapne sanjoye the… Mere sare armaan, sari khushiyan dhari ki dhari rah gayi...

Sia:- Mere bhi bahut sare armaan the… Main to yahan tak soch rakhi thi ki apne bhai ke jute main khud hi chori kar lungi..

Diksha:- Humare armaano ko kuchal'kar kya mila tum dono ko...

Meera:- Hmmm !!! Naadaani me shayad iss baar mujhse badi galti ho gayi... Unhone (Som) mujhse jab kaha, "abhi ye shadi raaj rakhni hai", tab mujhe samjh me nahi aaya lekin abhi samjh me aa raha hai... Please aap sab mujhe maaf kar do aur dil chhota na karo. Hum dhum-dham wali shadi bhi karenge...

Lata:- Jab dhum-dham wali shadi plan thi to raaj ko raaj hi rahne deti... Kyun hum sab ko bataya...

Meera:- Maa... Kya main aapko abhi maa kah sakti hun na...

Lata, Meera ke chehre par hath ferti... "Haan meri bacchi tera poora haq hai"..

Meera:- "Maa, jab main subah yahan pahunchi, dil me dher sare umang the. Kuch badlav main mehsus kar rahi thi lekin uss badlav ko main bayan nahi kar sakti... Meri shadi ho gayi aur mera apna koi janta nahi, dil me chot kar raha tha."

"Main khud ko bahut rokne ki kosis ki, lekin jab Sia didi aur Neerav ko dekhi to khud ko rok nahi payi... Sia didi aur Neerav ko tab maine ye nahi bataya ki mere husband kaun hai. Par janti ho maa Sia didi aur Neerav ne mujhse kya kaha..."

Itna kahte hi Meera phoot-phoot kar rone lagi. Sabhi bhag kar uske pass pahunche aur Meera ko gher'kar chup karane lage... Meera apne aankhon me aaye aanshu ko saaf karti...

"Janti hai Sia didi aur Neerav ne kya kaha tha, wo mere galat faisle me bhi mere sath khade rahenge... Aap khud tay kar lo uss insan ko kaisa lagega ye sab sunke, jo ek sahi kaam karne ki vajah se apne poore khandan ke najar khatkne lagi. Itne bade parivar me koi ek to hota jo mere sach ke sath khada rahta aur sabke muh par kahta... "Nahi Meera galat nahi balki tum sab galat ho"…

"Sorry bhabhi (Diksha), shayad aap ko bura laga ho, kyunki Pranshu bhaiya meri har sambhav madad karte hain. Meri jugnu didi mujh par jaan chhidkti hai. Lekin unme bhi himmat nahi ki wo samne se kisi ke muh par kah de aap galat ho... Mat tooto koi apni family se lekin jo sach bol rahe unhe to mat todo…"

"Mujhe support karne wale Pranshu bhaiya aur Jugnu didi tak mujhse ek hi baat kahte hain... "Ghar ke logon se maafi maang lo"… Maa janti hain aap, jin logon ke liye main apne poore khandan ke against ho gayi, sala wo log bhi paisa dekh'kar palat gaye. Mera poora tamasha ban gaya... Main to apne parivar ke najron me gir gayi aur jinke liye ladi wo bhi sath chhod gaye...Koi meri sachai ke sath khada na hua..."

"Aap batao kaisa mehsus hona chahiye mujhe Sia didi aur Neerav ko sun'kar... Fir din me meri mulakat apne patidev se hui, unhone jab bataya ki aapko sab pata hai, aisa laga ab mujhe mera ghar mil gaya.. Mayke to apna na hua, sasural to apna hoga... Main bata nahi sakti Patidev ko sun'ne ke baad main kitni khush thi… Fir sham ko jab meri mulakat Sia didi se hui, main khud ko rok nahi payi... Ab to jo ho gaya usse badal nahi sakte, lekin dhum-dham wali shadi to ho'kar rahegi."

Thoda bhavuk kshn tha. Har koi Meera ki khawaish ko mehsus kar sakta tha. Har koi samjh sakta tha ki kyun Meera apni shadi ki baat Sia se kah gayi.… Haan Som aur Meera ke batane ka tarika galat tha, lekin shadi ki baat batana bilkul bhi galat nahi...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Bemishaal update bhai
Sabhi raayto per purantaya viram chinh laga hi Diya ish update me
Mishrayin ji ne Som v Meera ka rishta pakka kar diya gaya hai Suggandha dwara yeh baat jab sabhi shastri nagar waashiyo v Mishra ji ko batai to yah raayta kuchh shaant hua.
Aur Meera dwara apno dwara dhoka khane ki baat batlai Som ke gher me aur apni budhhi anushaar ish tathye ko dhyaan me rakhker chalo maayka na sahi sasuraal to apna pariwaar ban gaya aur ishi Khushi me gupt vivah ki baat Sia v Nikku ko batlayi tab jaake ish raayte pe viram laga ki ab dhum dhadhake ki shaadi hogi .
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update:-75

Sia aur Vyas ka chumban kafi lambi ho gayi. Hath ek dusre ke badan par sargoshi kar rahe the aur honth chhodne ka dil hi nahi ho raha tha... Pyar ke ye unmodak pal the jisme bhawnao ka ek majboot judav sa ho chala hai...

Tabhi in dono ke iss madhosh se pal ko kisi ke aahat ne bhang kiya. Shayad archaeological lab me koi aa raha tha. Dono teji se ek dusre se alag huye. Sia, Vyas ka hath thami aur najron ke ishare se usse apne sath chalne kahi...

Dono lab ke ander bane ek kamre me dakhil huye aur Sia lab ke dusre hisse par najar banaye thi. Sia to lab ke dusre hisse me najar banaye thi, lekin Vyas apni poori najar Sia par diye tha. Vyas, Sia ke pichhe se chipakte, uske gardan par apne honth ka sparsh dene laga...

Gardan par honth ke sparsh matr se Sia ke ander jaise aag bhadki ho. Sia, Vyas ko dhakka deti usse fusfusati awaz me kahne lagi... "Dur hato, kya kar rahe ho?"..

Vyas:- Jabse tumhare honth mere hoton se lage hai mujhe hosh kahan… Kya kiss thi Sia...

Sia:- Ufffffff !!!! Janlewa kiss thi... Offff O !! Main bhi kya kah rahi hun... Vyas mujhe bhatkao mat... Abhi kuch jaroori baat karni hai...

Vyas ek baar fir pichhe se Sia se lipat'te... "Tumne hi to kiss kiya tha... Ab to mere hosh gum hai"..

Vyas ke honth Sia ke gardan par... Uski takrati garm shwans Sia ko deewana bana rahi thi. Sia ander se poori tarah tadap gayi. Sia, Vyas ko rokne me ander se asamarth mehsus kar rahi thi. Jo chal raha tha wo kabhi ruke na, balki aage badhte chala jaye, aisi dil ki khwaish thi...

Lekin shayad ye waqt aur jagah sahi nahi thi, isliye Sia kisi tarah Vyas ko rokti... "Vyas, Sweetoooo... Please mat karo. Main apna aapa kho rahi hun. Subah park me jab tumhare gale lagi, tab mere honth tumhare honth ko chhune ke liye vyakul ho gaye the. Main to yahan bus uss ek emotion ko khatm kar rahi thi. Mujhe kya pata tha badle me 1000 emotions janm le lenge... Please baby ruk jao"…

Vyas, Sia se alag hote... "Jaisa tum chaho Sia. Waise abhi janme apne 1000 emotion ko kab khatm karogi...

Sia yun to lab ke dusre hisse me najar daali thi, lekin Vyas ki baat sun'kar wah palat gayi. Apni bahen Vyas ke gale me daal'kar uss se najren milati... "Achha bade difek armaan sajaye ja rahe hain"..

Vyas:- Nahi main to bus khud ko sunischit kar raha tha ki kab tak mere bhi 1000 emotions ko santusti mile...

Vyas ki baat par Sia khul'kar hansti hui usse aankh maarti... "Jald hi poore honge.. tab'tak intzar kar lo aur thoda kaam kar lo"..

Vyas, Sia ke gaal ko apne dono hath se thamte.… "Tumhe dekhna kitna sukoon deta hai Sia. Tum itni pyari aur dilkash ho ki najar tumse hat'ti hi nahi"…

Sia:- Filhaal tum mere upar se hato besharm... Ek baar chipke so alag hone ka naam hi nahi lete...

Vyas:- Bahut muskil hai ab tum se alag rah pana… mujhse shadi kar lo Sia.

Sia:- Areee isme itna emotional hone ki kya jaroorat hai... Dad ko aa jane do fir jab poori family sath hogi tab shadi ki charcha kar lungi... Ab khush..

Vyas:- Haan bahut khush... Batao yahan kyun bulayi thi...

Sia:- Tumhe kuch idea hai, Meera ne Kirti ko kyun maara.....

Vyas, Sia ko poori gahtna bata diya. Vyas ko sun'ne ke baad Sia kuch sochti hui kahne lagi.… "Ye saas-bahu ki serial wali planner. Mujhe aisa kyun lag raha hai ki ye "phoot dalo raaj karo" me viswas rakhti hai... Riaz ka mamla kuch samjh me aaya.. aakhir kaun si aisi baat unhone kah diya jo wo humare sath khel raha hai."

Vyas:- Baat mat karo uski... Koi kuch bhi kahe lekin wo to humara bachpan ka sathi tha... Wo ab dost nahi raha..

Sia:- Aur yahi baat Riaz ke sath bhi hui ho to... Usse aisa laga ho ki koi kuch bhi kare uss se bahas nahi hai, lekin tum aur Asif to uske dost the, fir tum dono ne uske sath aisa kyun kiya?

Vyas:- Haan lekin humne aisa kiya kya?

Sia:- Issi baat ka to pata lagaana hai... Ek baar ye baat pata chal gayi fir poora mamla bhi samajh me aa jayega..

Vyas:- Achha in liliputiyan ke sajishon ka karna kya hai?

Sia:- Palatvar... Jaise wo humare dost aur parivar ke bich aag laga rahe hain… Thik hum bhi aisa hi karenge... Kya samjhe..

Vyas:- Haan main samjh gaya... Chalo main Riaz aur Sagar Chaturvedi par kaam karta hun...

Sia:- Main wo MS department ke Roopak aur Jignesh par kaam karti hun...

Vyas:- Jignesh ke naam se yaad aaya, ye Meera ko hua kya hai? Poore class ko hi kavi sammelan bana dee...

Sia:- Meera ko wahi hua hai jo hum dono ke bich hai... Haan lekin uske pyar me jyada nasha hai, isliye wo itni khoyi rahti hai aur ek tum ho... Kiya kya hai mere liye aaj tak... Kal tum bhi mere liye apne class me ek kavita kahoge...

Vyas:- Kal to happy Sunday hai..

Sia apni aankhen sikod'kar Vyas ko ghurti... "Haan to Monday ko kavi sammelan ya mushayra bana dena"… Fir Sia lagbhag Vyas ke upar chadhti, ungli dikha'kar chetavani deti... "Main nahi janti tum ye kaise karoge, lekin agar ye kavi sammelan ya mushayra nahi hua to fir tumhe main bataungi"…

Vyas:- Ohhhh hooo hoooo... Meera ko nasha chadha pyar ka... Yahan ek female counterpart ne apne dil ki bhavna jatayi hai... Na ki uske male lover ne...

Sia gusse me Vyas ko ghurti uske girewan ko pakadti... "Shastri pahli baat pyar to pyar hota hai aur uska nasha dono par barabar chadhta hai, fir isme male ya female ki baat kahan se aa gayi... Aur dusri baat, tumhe chumne ka aur sare emotion dikhane ka theka maine hi le rakha hai kya?... Monday matlab Monday... Tuesday hua to apne liye koi nayi girlfriend dhundh lena"..

Vyas bhi gusse se Sia ko dekhte.… "Thik hai fine… Monday ko pagalpan kar dunga... Ab chhodo mujhe"…

Sia, Vyas ko chhod'kar picche mud gayi aur lab ke dusre hisse ko dekhne lagi.. Idhar Sia ke giraft se chhut'te hi Vyas bud'budate.… "Ye bhi Meera ki tarah pagal ho gayi hai. Jhuthi kahin ki... Kiss kar'ke, aayi thi apne emotion khatm karne aur kahti hai main hi sare emotions dikhati hun"…

Sia lab ke dusre hisse me dekhti hui hi... "Jo bhi bol rahe ho wo sun'ne layak awaz me bolo...."

Vyas:- Kuch nahi Sweeto, main abhi se kavita bana raha...

Sia, ab bhi ussi ore hi dhyan dete… "Achha sunao"…

"Ajib pagal hai"… Ek baar fir Vyas dhire se budbudaya.… Sia iss baar pichhe palat'ti... "Kya bole tum"…

Vyas:- Areee kuch bhi to nahi kaha.. Abhi sirf kavita ke bare socha hi hun, sunane jaisa kuch bhi nahi. Waise main ek baat aur soch raha tha...

Sia:- Kya???

Vyas:- Tum udhar dekho. Lagta hai archaeology science ki class khatm ho gayi...

Sia:- Haan chalo chala jaye... Waise wo baat to batao jo soch rahe the..

Vyas:- Wo log jinhe tum janti thi.. Uske sath University ka mukhya Manohar Lal Joshi, wo dalal Noor Mirja aur University chancellor Amit Upadhyay kya kar raha tha...

Sia:- Jo bhi ho iss gutthi ka raaj un papers me hai. Ek kaam karo, un sabhi paper ki jo humne screenshot le rakhi hai, usse Som ko bhej do... Dekhte hain wo kya pata lagata hai...

Vyas:- Thik hai ghar pahunch'kar bhej dunga... Ab chalen..

Sia:- Haan chalte hain lekin uss se pahle..

Sia itna kah'kar diwal se pane pith ko tika di aur ungli ke ishare se Vyas ko bulane lagi... Vyas, Sia ka ishara samjhte hi bilkul teji se uske pass pahuncha. Kamar me hath dal'kar Sia ko apne sine se lagaate huye, badi hi bekarari ke sath Sia ke honth ko chumne laga...

Wahin dusri ore Som ka sandesh milte hi Meera apna car uthayi aur sidha campus ke bahar chali gayi. Bahar nikalne ke sath hi wah sunischit bhi kar rahi thi ki uska pichha to na kiya ja raha hai...

Sab sunischit karne ke baad Meera chal padi apne sajan se milne. Meera building ke parking me jane se pahle Som ko inform kar di. Som ne udhar se hari jhandi dikhayi aur Meera basment parking me chal dee.

Niche poora andhera tha kewal car ki light jal rahi thi. Car jaise hi park hui. Andhere me raushni ka ek rasta ban gaya jo sidha lift tak pahunchta tha. Meera jaise hi lift ke samne khadi hui, lift ka darwaja khul gaya aur uske ander jate hi lock...

Sab kuch automatic ho raha tha. Lift bhi apne aap hi upar chali. Lift ka darvaja khula aur Meera ke samne Som khada tha. Meera jhat se Som ke gale lagti uski bahon me sama gayi. Haan gale lagne se Meera ko dard ka aabhash jaroor hua lekin Som se milne ki khushi me usne dard chhipa lee. Meera, Som ke balon me apna hath ferti, badi bekarari se Som ka poora chehra chumne lagi...

Som hanste huye Meera ko apne gode me uthaya aur flat ke ander chala gaya. Dono ek dusre se najren milaye, chehre par pyari si muskaan aur ander dilon me macha tha toofan.. Som, Meera ko la'kar sidha master bed par patak diya... Wo itni gaddedar bed thi Meera 4 baar upar niche uchhal gayi.…

"Aaaoooo, kyun ji aaj maar dene ka irada hai kya?"… Meera bistar par baith'ti hui puchhne lagi....

Tokkkk ki awaj ke sath champagne ki bottol khul gayi. Som 2 glass me dal'kar ek Meera ke ore badhate... "Chhota sa celebration rah gaya tha... Ek toast humare nayi zindgi ke naam"..

Meera, Som ke hath se glass le'kar jaam takrati... "Mere busy patidev, kewal ye wine pine to mujhe yahan nahi bulaye hoge..."

Som apne wine ka glass khatm karte Meera ke hath se glass le liya. Dono glass ko table par rakh'kar dhire-dhire Meera ke ore badhne laga... Meera, Som ke haav-bhaav dekh'kar apni aankhen badi karti.… "Patidev irade kya hain… Abhi kal raat hi to 2 baar sab karne ke baad yahan Lucknow pahunche hain"…

Som, kud'kar Meera ke bilkul karib pahuncha aur kamar ke upar se bhinch'kar Meera ko apne karib laya. Meera, Som ke sine par panja tikati.... "Patidev noooo... Mujhe abhi sex nahi karna hai"…

Som, Meera ko ghurte... "What??? Sex??? No Kuku.. Main to bus kiss karna chahta hun..

Meera:- Poori kahani kiss se hi shuru hoti hai patidev. Pahle honth se honth lagaoge.. fir humari shwans ukhdegi.. uske baad tumhare hath mere badan par rengna shuru karenge, uske baad hum dono ke rome-rome me bijli dauregi... Aur fir ho gaya...

Som:- Wo baat ki baat hai... Abhi sirf ek kiss, promise…

Meera:- Kal raat yahi promise bol'kar meri band baja diye the Som sir... Mere boobs ki kya haalat ki hai... Mere boobs ko jo tumne "Stress Reliever Smiley Ball" samjh'kar dabaya hai na.. main mahine din tak tumhe hath na lagane dun...

Som, chhota sa muh banate... "Sorry wo josh me kuch jyada hi jor se dab gaye. Lekin tum bhi to uss waqt kuch nahi boli..."

Meera gusse me Som ka gala pakadti... "Mere honth ko apne muh me daba'kar, adivashiyon wale apne bade aur kadak panje se poora dabaoge to awaz kahan se niklegi...".

Som:- Oopssss !!! Galti ho gayi... Achha dikhao na tumhare boobs ki kitni haalat kharab hai..

Meera:- Bilkul bhi nahi... Mr. Malhotra ab chup-chap mujhe bulane ka karan batao..

Som:- Wo maa ne hum dono ko bulaya hai...

Meera aascharya se apni aankhen badi karti.… "Kyaaa maa ne.. lekin kyun..? Kahin unhe humare shadi ke bare me to pata na chal gaya?"…

Som:- Nahi maa ko humari shadi ke bare me nahi pata hai... Wo to yun hi tumhe bula rahi thi...

Meera, Som lagatar ghurti najron se dekhne lagi... Som chidh'kar "Kya hai?" Puchha...

Meera:- Aise chidho mat patidev aur sach-sach batao…

Som:- Sab sach hi to bataya hai...

Meera:- Meri Saas Lata Mishra ko mujhe bulana hota to ya to wo meri bhabhi Diksha se kahti ya fir Sia didi se... Ab sach-sach batao...

Som:- Shadi se pahle khrgosh ki tarah thi, shadi ke baad to bilkul serni ho gayi ho Kuku…

Meera:- Ji nahi Som sir… blaki aap apni patni se jhoot bol'kar uski aadaten badal rahe hain... Janu mujhse jhoot kyun... Kya maa ko humare bare me pata chal gaya hai...

Som:- Haannnn...

Meera:- What???? Jaroor aapne bataya hoga... Ek baat pet me nahi pachti...

Som:- Yaar meri shadi hui hai... Chahta hun main tumhe... Itni badi baat ko kisi ek se to share karun...

Meera:- Hmmmm !!! Koi baat nahi hai Som sir... Haan lekin maa ko boliye aaj sham nahi mil paungi, kyunki aapse pahle mere sham ka plan fix ho gaya hai...

Som:- Sham ka plan fix ho gaya??? Kyun kar liya sham ka plan fix..

Meera:- Areee ab kya main har kaam aapse puchh kar karun...

Som:- Nahi mere kahne ka wo matlab nahi tha... Main to bus kahna chah raha tha ki tumhara jo bhi plan ho usse please cancel kar do, kyunki aaj maine tumhe maa se nahi milaya to fir maa Varanasi chali jayegi ..

Meera:- Sorry Som sir... Main bhi apne shadi ki khushi me aaj apne doston ko party di hun... Mere sham ka program to cancel nahi ho sakta, haan lekin aap maa ko party me le'kar aa sakte hain…

Som:- Shadi ke khushi me party… Kise de rahi ho party aur kya unhe humare bare me pata hai?

Meera:- Nahi unhe humare bare me to pata nahi... Unhe bus ye pata hai ki maine shadi kar lee...

Som, gusse wali shakl banate... "Akhbar me hi kyun na chhpwa dee... Dekho meri shadi ho gayi... Dekho meri shadi ho gayi"..

Meera:- Waahhh... Waahh !!! Khud apni shadi ki khushi apne maa se sajha kar aaye to thik aur maine dusron ko bataya to chidh rahe ho...

Som gahri shwans le'kar khud ko shant karte... "Sorry... Koi baat nahi tumne kisi ko bata diya to... Wo trustworthy to hai na"…

Meera:- Haan bilkul.... Wo to parivar hai.. to tay raha ki aaj sham ki party me aap maa ko le'kar aaoge… Mauka dekh'kar hum akele me maa se mil lenge...

Som, Meera ke gale lagte... "Jaisa tum chaho Kuku"…

Som kahte huye kuch jyada hi jor se Meera ko bhinch liya. Boobs sine me dab gaye aur Meera ke muh se dard bhadi siski nikal gayi... Som, Meera se alag hote... "Kya hua tumhe"..

Meera, Som ke hatheli ko apne stan par rakhti... "Yahan sach me dard hai. Kale nishan pad gaye hai"..

Som chehre se afsos jahir karte... "Mujhe maaf kar do.. uss waqt pata nahi kya ho gaya tha"…

Meera, Som ke honth par pyar se chhota sa chumban le'kar khadi hoti... "Aapne jo dard diya hai patidev, wo bahut pyara hai. Darasal sham ko party hai aur abhi masti me kuch aur jyada galat hua to sham ki party attend nahi kar paungi.. Isliye soooo sorry patidev.. warna mood to mera bhi horney hua ja raha hai...

Som, pichhe se Meera ka hath tham'kar usse rokte... "Iss mood ko party ke baad ke liye bacha kar rakhna.. aao tumhe chhod dun"…

Som, passage se chalte huye dusre lift ke samne aaya... Jaise hi wah samne aaya lift khul gayi... Meera, Som ko sawaliya najron se dekhti... "Meri car to parking me hai... Ye bahar wala lift kyun"…

Som:- Car bahar hi khadi hai.... Ye lo key..

Meera kisi aur raste se aayi aur kisi aur raste se gayi... Jaise hi Meera wahan se gayi, Som apne sir par hath rakhte... "Ufffff !!! Abhi to 2 hi din huye hain shadi ke"…

Khair shadi ke side effect ko koste huye Som passage ke aakhri me pahuncha aur deewal ke bich me lage ek darwaje ko khol'kar ek bade se office cabin me dakhil ho gaya.… Som uss bade se cabin me ek kinare chair par baithe shaks se puchhne laga... "Kaun ghuspaithiya tha Sanju"..

Sanju:- Boss bhabhi (Meera) ka classmate Riaz tha, jo unke pichhe-pichhe yahan tak pahunch gaya...

Som cctv footage ko poora dekhne ke baad... "Hmmmm !!! Kuch gadbad hai Sanju, iss par (Riaz) najar rakho aur mujhe iski har ek detail chahiye. Aur haan bina Meera ke jaankari ke uske security ka bhi intzam kar do.."..

Sanju "yes boss" bol'kar apna kaam karne laga. Idhar Som cabin ke madhya me boss ki chair par baith'kar gahan chintan karte... "Aakhir meri biwi ka pichha karne ke pichhe tumhara kya maksad hoga Riaz"…

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Nice update bhai
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update:-76

Shanivar ki sham thi. Sia, aaj Vyas par bijli girane ke irade se taiyar ho rahi thi. Ek to Sia ka itna khubsoorat aakarsahk chehra, aur chehre ke upar halka make-up, fir to har najar jaise Sia par khinch jaye. Kahar to tab ho gaya, jab Sia ne aaj party ke liye kale paridhan ka chunav kiya. Kale paridhan me apne aabhushno ko pahan'kar jab bahar nikli, Mishra family dang ho'kar Sia ko dekhne lagi...

EYrw5Km.jpg

Sabke muh se apne aap hi nikal gaya... "Wowww, kya dikh rahi ho Sia"… Sia muskura'kar sabka abhivadan ki aur apni bike se nikal gayi...

Sia ke jane ke thodi der baad, Chitra aur Pranshu bhi taiyar ho'kar ghumne nikle.... Chitra ke bahar nikalte hi Som ne jaise rahat ka shwans liya ho... Jaldi se ja'kar apni maa se kah aaya taiyar ho jao hum log bhi chalte hain...

Pichhe se Kapendra Mishra, Som ke kandhe par hath dete... "Kahan?"..

Lata Mishra:- Mujhe mandir jana hai..

Kapendra:- Aaj tak to main hi tumhe mandir le jata tha... Aaj tumne puchha bhi nahi.. Azi humse naraj hain kya?

Lata, Som ke ore dekhti... "Ab to iss baat ka jawab Som hi dega"..

Som:- Pitaji aap humare construction site par ja rahe ho... Wahan ka kaam dekho... Iss manglwar ko hume grih prawes bhi karna hoga na...

Kapendra:- Beta ye baat tujhe sham me yaad aa rahi jab labour mistri ja chuke honge…

Som:- Pitaji aap bhi bacchon jaisi baat kar rahe hain. Aaj din me hi aapko kah diya tha na, aap contractor Nurul Hassan se mil'kar ghar dekh lena aur koi kami rah gayi ho to ravivar aur somvar tak poora karwa lena ..

Kapendra:- Ohhh haan... Main bhi na bhulakkad hota ja raha hun... Main Nurul Hassan se mil leta hun... Haan lekin tune mujhe Nurul se milne ki baat batayi thi na, fir ye Lata ne mujhe mandir jane ke liye mujhse kyun nahi puchhi... Main manaa karta tab na ye tere sath jati..

Lata:- Suniye Mishra ji dher dimag ke ghode na dauraeye... Chup-chap ja'kar ghar ka kaam dekhiye… Chal beta tu bhi taiyar ho ja, main bhi taiyar ho'kar aayi... Aur aap bhi jaeye...

Kapendra Mishra aur Som dono lagbhag ek sath taiyar ho kar pahunche... Jaise hi unki najar Som par gayi.. Apni aankhen mij kar usse dobara dekhne lage...

t8bdYPM.jpg

Kapendra Mishra:- Beta tu mandir jane ke liye taiyar hua hai, ya fir shadi ke liye ladki dekhne ja raha hai...

Som:- Pitaji.…

Kapendra Mishra:- Areee baap ko aise aankh kyun dikha raha hai. Achha sun aaj talli honge, koi achhi jagah vayvastha kar lena...

Som:- Thik hai pitaji...

Kapendra:- Waise jach raha hai Som. Tujhe na abhi dekh'kar dil ke armaan jaag gaye... Teri shadi me to main gale tak piyunga aur ladka wala hun iss baat ka poora fayda uthaunga...

Som apne dono hath jodte.… "Pitajiiii"..

Kapendra:- Haan ja raha hun. Aaj main Nirbhay ke sath ghumne nikalta hun...

Mishra ji cottage ke bahar nikal kar sidha Nirbhay ke ghar me ghuse. Nirbhay ka jo bhi karyakarm raha ho, lekin Mishra ji ne kah diya so kah diya.

Jaise hi kisi car ke bahar nikalne ki awaz aayi, Lata Mishra bhi bahar nikli... "Tere babuji gaye kya?"..

Som:- Haan gaye, lekin maa main ab bhi kah raha hun ki aaj chhod do.

Lata:- Chup kar... Mujhe aaj hi meri Bahu se milna hai bus... Chal ab...

Ye dono bhi nikale. Lata apni bahu ko dher sara uphaar dena chahti thi isliye dono sidha shopping par chale gaye. Wahin idhar aaj Meera bhi jab taiyar ho'kar nikli, kafi khubsoorat aur pyari lag rahi thi. Aisa lag raha tha jaise apne premi ko rijhane nikli hai...

images-2021-06-30-T104805-385

Meera ka look dekh'kar Soni Kaki aur Jignesh dono hi aaschrya me rah gaye...

Jignesh:- Tu party me hi ja rahi hai na..

Meera:- Nahi tumhare jijaji se milne ja rahi bhaiya. Kya karun main bhaiya tumhara, kisi ne jaise zahar bhar diye hon tumhari kaan me. Ab to aisa lag raha hai jaise buddhi bhi moti ho gayi hai..

Jignesh:- Kya boli..

Meera:- Kuch bhi to nahi... Tum bhi chalo party me..

Jignesh:- Party... Kiski party, kaun si Party?

Meera:- Sia didi ne bulaya hai.. Koi surprise party hai... Ho sakta hai wahan Pranshu bhaiya aur Chitra bhabhi bhi ho..

Jignesh kuch sochte... "Main aise bina bulaye gaya to kaisa lagega..."

Meera, Jignesh ko uske kamre tak khinch'kar le jati... "Nikku bhaiya (Jignesh ka Nick name) aap bahut sochte ho… Jaldi se taiyar ho'kar aa jao..."

Meera, apne bhai Jignesh ke sath nikal gayi. Sham me takriban 6 baj rahe the. Alag-alag jaghon se party ke liye kayi sare log 3 star hotel Alfanjo me pahunche... Sia aur Meera ke sath iss party me uske parivar ke kayi log the. Yahan tak ki Meera ne apni bhabhi Diksha aur Parshu ko bhi iss party ke liye invite kiya tha jiske bare me Sia ko pata nahi...

6 baje sham ke karib kafi sare surprise ke sath party hall me sab shirkat kiye. Mahol hi poora puzzle bana hua tha. Jahan ek ore Diksha aur Pranshu ke liye yah surprise tha ki Sia ne party ke bare me kuch nahi bataya... Wahin gajab tab ho gaya jab Sia yah bol'kar cover kar rahi thi ki unka (Diksha aur Pranshu) aana Sia ke liye bhi surprise hai, kyunki yah party to Meera ne di hai. Lekin tabhi Jignesh ne kah diya ki ye Sia ki di hui party hai...

Ab to mamla Sia aur Chitra ke bich phans gaya. Sia, Diksha ko thoda shant khade rahne ka ishara karti.… "Kuku tum 2 minute ke liye aao"..

Diksha:- Nahi jo baat hogi wo sabke samne hogi, warna hum ja rahe hain iss party se...

Sia, Diksha ke samne hath jodti... "Bus 2 minute de do... Pleaseeeee... Apni ladli ke liye itna kar do... Please, please, please..

Diksha:- Achha thik hai sirf 2 minute..

Sia, had'badi me Meera ko kinare le gayi... "Kuku, duffer, in dono ko yahan kyun bula lee. Ab kya apne mayke tak shadi ki baat pahunchaogi"…

Sia, chinta jahir karte sawal to kar rahi thi lekin Meera thi ki idhar-udhar dekh rahi thi. Uske haav-bhav aise the mano wo Sia ki baat ko ansuni kar rahi ho...

Sia, Meera ko hilati... "Kukuuuu.. duffer ye kya harkat hai"..

Meera:- Mujhe aapke dwara Kuku pukara jana akhad raha hai...

Sia:- Ohhh thik hai ab teri... Sorry teri bhi kyun... Ab aapki shadi ho gayi hai maim. To main aapko maim kahun ya Meera ji..

Meera:- Inme se koi nahi, call me bhabhi...

Sia bilkul chaunkti... "Kyaaaaa????"

Sia ko aisa mehsus hua jaise usse chakkar aa jayega… Wo to bilkul nishabd ho gayi. Bolne ke liye kuch tha hi nahi... Wo chup-chap Chitra ke pass aa'kar khadi ho gayi... Bilkul gum apne khyalon me...

Chitra, Sia ko hilati... "Tujhe kya hua, aisa kya bol diya jo tu khyalon me hain"..

Sia ka koi jawab nahi. Chitra usse jor se hilati... "Siaaaaa, kya hua?"..

Sia:- Tum dono (Chitra aur Pranshu) aao mere sath...

Chitra:- Hua kya wo to bol...

Sia:- Meri tabiyat kuch thik nahi lag rahi. Mujhe chakkar aa rahe hain Chitra..

Chitra aur Pranshu dono chintit hote... "Chalo hum doctor ke pass chalte hain."

Sia:- Nahi aap sham barbaad mat karo... Mujhe bus 15-20 minute kahin letna hai.. Yahin kahin let jati hun..

Chitra gusse me Sia ko ghurti... "Kahan let jayegi. Pranshu aap room book kar do"..

Jignesh:- Bhaiya main room book kar deta hun... Tum Sia ko dekho..

Meera ko sun'ne ke baad idhar Sia chakkar kha rahi thi udhar Neerav, Meera ke pass chala puchhne ki usne aisa kya bomb phod diya...

Neerav:- Aisa kya kah di Sia didi se jo unhe chakkar aane laga...

Meera:- Yahi ki wo mujhe Kuku, Meera ityadi na bole...

Neerav:- Haan tere lakshan dekh kar pagal bulana hi justify karta hai..

Meera:- Nana, Neeru... Mere lakshan dekh kar Sia didi mujhe bhabhi bulayegi…

Shocking newa.. Neerav bilkul chaunkte huye... "What????"..

Meera pyari si muskan apne chehre par laati... "Yesss, Neeru... Ab ja cover kar iss baat ko"..

Neerav:- Baat ko cover karte hai duffer... Blast ko nahi... Bhagwan jaane ab kya hoga.. Tu kya bomb phodne idhar aayi hai...

Dono iss bare me aage kuch baat karte uss se pahle dono ne Jignesh ko aate dekh liya aur unki baaten band ho gayi... "Kya hua aise chillaye kyun"..

Meera, kuch bolne wali thi, lekin uss se pahle hi Neerav Meera ke muh par hath rakhte.… "Kuch nahi bhaiya.. ye to bus..."

Jignesh:- Hath hata... Hath hata apna.. Aur thoda dur khade rah...

Meera aur Neerav ke bare me sab jante huye bhi Jignesh ne Neerav ko daant diya. Ye baat Meera ko akhad gayi. Ab Meera to Meera thehri. The mello drama queen... Ghurti najron se wo Jignesh ko dekhti...

"Nikku bhaiya, ab se Neeru ko aap nahi datoge, kyunki main iss se pyar karti hun aur ye bhi mujhse pyar karta hai, samjhe tum"….

Meera apni baat kah'kar Neerav ka hath tham lee. Idhar Neerav ki hichki thi jo ek baar aayi, fir to rukne ka naam hi nahi le rahi thi. Kabhi wo najar ghuma'kar Meera ko to kabhi Jignesh ko dekh raha tha…

Girlfriend-boyfrend ke new trend arthat kaan me chhota sa bluetooth device lagakar 24 ghante phone line sewa ki to baat hi nahi ho rahi. Wo isliye kyunki Neerav bhi apni girlfriend ke sath issi padhatti ke tahat connect tha. Neerav ki najren to Meera aur Jignesh ko dekh rahi thi lekin dimag me gunj sirf Paali ke awaz ki thi... Neerav, Meera ko dhime se kahne laga... "Le lee tune meri.. poora rayta faila dee"…

Udhar, Sia ko le'kar Chitra aur Pranshu hotel ke ek kamre me pahunche. Chitra Pranshu ko wapas se party hall me bhej di aur khud Sia ke pass baith gayi... Chitra pani ka glass Sia ke aage badhate... "Le pani pi le, achha lagega"..

Sia:- Ruko pahle mujhe kuch batana hai..

Chitra:- Kya?

Sia:- Meera ne shadi kar lee..

Chitra:- Kyaaaaa???

Sia:- Abhi itna hi shocked hui. Aage suno...

Chitra ka dil joron se dharakte... "Please ab ye mat kahna please, please, please bhagwan... Meri aasanka galat ho..

Sia:- Tu bilkul sahi soch rahi hai...

Sia ki baat par Chitra ka dil baitha ja raha tha... Dharkane jaise sunn par gayi thi... "Kya Siaaa"..

Sia:- Wahi... Meera ne na... Meera ne...

Chitra:- Heart attack se marwayegi kya... Bol naaa... Itna ghabra kyun rahi hai..

Sia:- Main kya bolun... Som aur Meera ne...

Chitra, wahi pani ka glass apne sir par dalti... "No, nooo, nooooo, noooooo... Kah de ye prank tha... Tu bus kah de ki tum log aaj sabke sir ghumane yahan bulaye the... Iss aat me koi sacchai nahi hai...

Sia:- Meri haalat dekh'kar tumhe lag raha hai ki main jhuth bol rahi hun???

Chitra:- Pagal ho gaya hai wooo.... Hum kya uski shadi Meera se nahi karwate jo usne aisa kaam kiya... Kahan hai wo pagal (Som). Phone laga'kar abhi usse yahan bulao...

Sia:- Thand rakh... Ghar par chal'kar baat karte hain. Aur iss budhiya ko bhi sari baaten pata hai... Som ne jaroor bataya hoga…

Chitra:- Yep... Aaj subah dono maa bete me yahi khichdi pak rahi hogi...

Sia:- Abhi kya karen?

Chitra:- Filhaal isse Som ki reception party samjh'kar enjoy karte hain... Ghar par poora hisab-kitab hoga...

Ye dono bhi niche chale aaye. Niche aane ke baad yahan alag hi scene chal raha tha... Pranshu aur Jignesh, Neerav par chadhe ja rahe the, aur Meera, Neerav ko apne pichhe khadi kar, usse bachane me lagi thi...

Diksha, Pranshu ko ja'kar pakdi, aur Sia, Jignesh ka haanth khinch'kar usse pichhe kari... "Ye kya tamasha chal raha hai yahan"… Diksha unche swar me puchhne lagi...

Jignesh aur Pranshu dono ek sath... "Ye ladka (Neerav) humari Kuku ko dhoka de raha hai. Iski pahle se Paali naam ki ek girlfriend hai fir ke Meera se pyar kaise kar sakta hai..."

Sia, Meera ko ghur'kar dekhti... "Aap dono ko ye baat Meera ne batayi kya?"

Pranshu aur Jignesh ek sath.… "Haan !!!"

Sia:- Matlab dono ke dono akl se paidal ho. Meera kitni natkhat hai ye kya pata nahi dono ko... Dono me se kisi ne jaroor Neerav ke sath kuch aisa kiya hoga jo Meera ko buri lagi hogi aur fir le liya usne badla...

Pranshu, Meera ko ghurte... "Kuku, Sia sach bol rahi hai kya?"

Meera:- Tab se kya main chinies me bol rahi thi. Kah to rahi thi ki jitna waqt aap sab ke sath bita hai, uss se kahin jyada main Neerav, Akansha aur Paali ke sath rahi hun... Fir bhi Nikku bhaiya ne Neerav ko daant diya...

Chitra, ek champagne ke bottol par chammach se toast karti… "Deviyon aur sajjano… Yadi aap logon ki bahas samapt ho gayi ho to kya hum party enjoy kar sakte hain..."

Pranshu:- Haan lekin ye party kis khushi me di ja rahi hai wo to abhi tak bataya hi nahi kisi ne...

Chitra:- Mangalvar ki subah humare naye ghar ka grih prawes hoga... Humare naye ghar jaane ki khushi me aaj ki raat party...

Itna kah'kar Chitra, Pranshu ke hath me champagne ki bottol thama kar usse kholne ke liye kahne lagi... Pranshu bechara bolna chah raha tha, naye ghar ki party aur yahan ghar ke baki log nahi hain.. lekin usse bolne kaun deta hai…

Champagne khuli. Party ka mahol bana aur gaane ki dhun par sabhi jhumne lage... Sia ko dekh'kar to Jignesh bavla hua ja raha tha. Upar se Sia ne sath dance karne ka offer de diya... Fir to wo sari baaten bhul'kar Sia ke sath nachne laga...

Wine ke peg chal rahe the. Party dhire-dhire apne suroor me chalne laga. Sab log party enjoy kar rahe the, issi bich party hall ka darwaja khula aur samne Som aur Lata Mishra...

Jaise ho dono ka aagman hua, Sia aur Chitra ka para apne uffan par tha. Idhar Som itni jyada bhid dekh'kar khud se kahne laga... "Meera ye tumne kya kiya"?

Lata Mishra bhi samne ka najara dekh'kar ek baar to dang rah gayi.… "Beta tera aur teri biwi ka pahnava dekh'kar mujhe lag to nahi raha ki iss shadi ko tum dono raaj rakhna chahte. Filhaal yahan se chalne me hi apni bhalai hai.."

Dono jaldi se uss hall se nikle. Lekin darwaje se 2 kadam aage gaye honge ki dayen kandhe par Chitra to bayen kandhe par Sia ka hath. Som pichhe mud'kar fiki si muskaan dete... "Tum dono yahan kya kar rahe?"…

Pahle dayen gaal par Chitra ka fir bayen gaal par Sia ka ek jordar thappad padne ke baad, dono ek sath shrink me boli... "Abhi to party shuru hui hai"…

"Tum dono to mandir ja rahe the na fir ye party"…. Pichhe se pitaji bhi pahunch gaye aur pahunchte hi sawal karne lage. Som jab najar utha'kar dekha... Mishra ji ke sath Contractor Nurul Hassan, Vyas ke pitaji Pandit Ram Swaroop Shashtri, Aisf ka sasoor bole to Pandit Ram Swaroop Shashtri ke muhbola samdhi Mujib Khan, Padosi Mashroof aur sath me Nirbhay Singh to the hi...

Som, Mishra ji ke itni badi mandli ko dekh'kar.… "Pitaji hum mandir se ho'kar aa rahe hain, lekin aap yahan"..

Pandit Ram Swaroop Shashtri:- Baki baaten to baad me hongi.. lekin in dono (Sia aur Chitra) ne tumhe thappad kyun maara.…

Sia:- Kya hai na uncle ji ye humare pyar jatane ka tarika hai.. Jab hum dono ka pyar over flow karta hai to aise hi dikhta hai... Kyun Som tum bhi kuch bolo..

Som:- Pandit ji aap bhi aaj apne bete ke sath gala gila karenge kya? Lagta hai wo bhi party manane aaya hai...

Som ki baat sun'kar sabhi Shastri Nagar wasiyon ki najar Vyas par... Ek aur aashiq ban sanwar ke nikla tha apne mehbooba ko rijhane...

images-2022-01-24-T184450-961

Aise look me tha jise dekh har kisi ko lag jaye ki banda tabiyat se taiyar ho'kar kisi ko rijhane nikla hai. Upar se Shashtri ji ke samne hi Vyas nikla tha, lekin tab usne aam sa dikhne walaa poshak pahna hua tha aur chehre par cream powder bhi nahi laga tha... Kul mila'kar Shashtri ji ki najar jab Vyas par gayi, unki aankhen badi ho gayi... Upar se Ram Swaroop Shashtri ji ke doston ke comment... "Pandit ji lagta hai Nirali se pahle Vyas ki shadi ho jayegi"…

Mamla yahin khatm ho tab na... Idhar Shahstri ji ka dimag ghuma tha to udhar Mishra ji apni karastani sunane pahunche apni patni Lata Mishra ke pass aur phusphusate huye kah gaye...

"Aaj mera beta (Som) aise taiyar hua, ki lagaa koi ladki wala mil jaye to aaj hi apne bete ko shadi ke liye dikha dun... Aur dekho mujhe Pandit ji ki beti Nirali pasand aa gayi... Nirali ki maa apne beti ke sath thodi der me humare yahan pahunch jayegi aur hum log bhi 2 peg laga'kar wahan pahunchenge… Yadi Nirali ko Som pasand aa jata hai to aaj hi sab final"

Syappe... Syappe... Aur syappe... Aaj ka sajna-swarna to jaise har couple ke liye shrap sa ho gaya tha. Unke roop ko dekh'kar tarif to hoti lekin poora rayta aise failte ja raha tha mano aaj to rayta-barish me sabke hot aur dashing look ka koi mol hi nahi. Mehfil badi si thi jisme dher sare log, aur kiski kitni band bajegi kaun jane...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Jabardast update bhai
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update:-77

Kisi ko kya pata andar se kahan-kahan aur kaise-kaise pench uljhe hai. Jisko jo apne hisab se dikh raha tha wo ussi hisab se react kar raha tha, jaise ki Shashtri nagar wale... Jis prakar Asif ki shadi me Shashtri nagar wale Asif ke rishte ki baat karne gaye the, thik ussi prakar aaj sabhi Som ko dekhne aaye the...

Som ka ghar kaisa hai, iski detail to contractor Nurul Hassan ke pass thi. Jisne bataya ki ghar banwane me kul kharcha 8 se 10 carore ka aaya hoga... Ladka carorepati... Ab ladka kaam kya karta hai iska namuna to Vyas aur Asif ke part time job se ho gaya. Iske alawa Mishra ji ne apni samappti, bole to factory aur karobar ke details bata diye the jo aage ja'kar Som ka hi hona tha… Ladka bhi dekhne me gabdu 6 fit wala ekdum fit & fine banda... Ab bhala aise rishte se kisi ko kya samasya ho... Haan bus ek baat thi ki Nirali ko unofficially tarike se mila'kar puchha jana tha... "Beta ladka pasand aaya"… Jaise hi wo haan kahti baat aage badh jati... Kyunki Mishra ji to dhindhora pit aaye the, "mera beta meri baat nahi katega"..

Ab jab buddhe gange itni hasrat se nikle ho. 2 peg laga'kar ladka pasand karne jaye, ussi bich ladki bhai, Vyas kisi ladki ke sath hath pakde, uss se chipka dikh gaya... Ohhh waise Vyas koi Sia ki party me nahi aaya tha, balki Kirti gange aur Sia gange ek dusre ke aamne samne ho, iss irade se Sagar Chaturvedi ka mind aisa divert kiya gaya tha, ki wo apni cricket team ke sath party manane chala aaya... Ab party hogi aur sath padhne wali ladkiyan na invite ho, aisa ho sakta hai kya???

To bus Sia ka yah plan tha ki wah apni team ke sath aayegi aur Vyas vipakshi team ko layega. Aur party ke bahane aaram se unki niti samjhenge aur ho sake to apne-apne target ko todenge… Sia aur Vyas to dono team le aaye, magar inhe bhi kahan pata tha ki khelne cricket aaye hain aur khelna padega Olympic… Kyonki 3 sitara iss hotel me, Meera ki meharbani se kayi tarah ke game shuru ho chuke the...

Baharhaal, Sia aur Diksha to Mishra aur Mishrayan ke sath Som ko bhi party hall me le ja chuke the... Unke sath ander kya ho raha hai wo jarra ander chal'kar janege.. Haan lekin jate-jate Mishra ji, Shashtri ji ko kahte gaye ki aap log bhi jaldi se ander aa jaeye...

Wahin bahar ka mahol... Shashtri nagar ke Shashtri ji Vyas ko bus ghure hi ja rahe the. Kyunki Vyas kisi ladki ke hath me hath dal'kar chal raha tha aur uss se hans-hans kar baaten bhi kar raha tha... Wahin mujib Khan ki bhi bhrikuti tan gayi thi. Kyunki uske hone wala damad yani ki Asif bhi Vyas ki tarah hi kisi ladki ke sath chal raha tha... Bacha Riaz, to wo to Mahira ki cousin Nazma, jo Patna me rahti hai uske sath phone par laga hua tha...

Ye log itne mashgul the ki kisi ki bhi najar Shashtri nagar ke bujurgon par nahi gayi, jo bhrikuti taane un sabko ghur rahe the... "Kyon re tum teeno ab itne nalayak ho gaye ki hum par najar tak nahi gayi"… Shashtri nagar mohalle se Mashroof ne kaha..

Uski awaz sunte hi Asif aur Vyas ne hadbada'kar ladkiyon ka hath chhoda aur jab najar awaz ke ore gayi fir to sitti pitti gum...

Wahan Pandit ji ko upasthit dekh, Vyas, Asif ko aage dhakelta to Asif ek kadam pichhe ho'kar Vyas ko aage dhakelta... "Teeno abhi yahan aao"…

Pandit Ram Swaroop Shashtri ji kadak awaz aur trimurti ka ek bander jo phone par laga tha, headphone ki wire waigrah khinchte bhagata hua sidha pandit ji ke pass… "Ji master sahab"..

Pandit ji:- Kyun re in dono ki tarah tumhe koi ladki nahi mili...

Riaz:- Apna to nikaah hi hoga master sahab. Apne nasib me ye pyar aur bagawat jaisi koi baat nahi...

Pandit ji:- Aur in dono ka kya… kya chal raha hai in dono ka...

Riaz:- Main kaise bata sakta hun..

Pandit ji:- Haan to tujhse puchh kaun raha hai... Tum donooo, abhi to kitna hans-hans kar baaten kar rahe the ab kya shanp sungh gaya hai...

Mujib Khan (Asqa ke pita):- Aisa nalayak damad mujhe nahi chahiye... Achha hua iski harkaten aankhon se dikh gayi...

Idhar Vyas aur Asif kisi putle ki tarah khade the... Asif lalaat utha'kar aankhon ki bhasha se puchhne laga… "Ab kya karenge... Ab kya kahenge... Tera baap humari chaddi utar lega"..

Vyas bhi najron ke bhash se hi... "Abe mujhe kya pata tha Yamraj yahin baitha hoga apne intzar me"…

Asif roni soorat banate... "Sale meri shadi tooti to dekh lena main atmhatya kar lunga"…

Vyas:- Abe ruk ja bawre kuch sochne to de...

Asif:- Tera dimag kaam kar raha hai kya? Mere dimag me to drum baj rahe hain..

Vyas:- Abe mera bhi yahi haal hai... Sala wo chaturvedi khisak gaay na...

Asif:- Abe Chaturvedi ko chhod aur ye soch ki kahin kapde utarwa'kar tera baap yahin na takhti ke sath khada kar de...

Dono ke najron ki bhasha lagaatar jari thi jise Pandit ji ke kadade thappad ne viram diya. Ek-ek tappad dono ko pade aur dono ki najar samne Shashtri nagar washiyon par…

Vyas, apni najren niche karte... "Baba wo humare dost hain"

Asif:- Haan aabu wo humare sath college me padhte hain...

Mujib Khan:- College me padhte hain to kya hath me hath daal'kar aise chipak kar chaloge...

Shashtri nagar ka niwasi Nurul... "Yadi inhe na tokte to kahin kamar me hath dale na najar aate"..

Shashtri nagar ka niwasi Mashroof... "Kamar kya, 2 peg jane ke baad na jane kya sab dekhne ko milta... Inki party me to ladkiyan bhi1 piti hain" ..

Vyas:- Aap dono ki biwi galat nahi dono ko roj jute maarti hai..

Pandit ji:- Tujhe yahan main chappal se maarun kya? Tu kar kya raha hai yahan...

Asif:- Wo hume Som boss ne yahan bulaya tha...

Pandit ji:- Achha kahan hai tera boss..

Vyas:- Abhi aa rahe hain pichhe se ruko call laga'kar puchhta hun kahan hai...

Vyas ne jaise hi call lagaya, udhar se Som ne call cut kar diya... Vyas, Pandit ji ke ore dar se dekhete... "Baba shayad drive kar rahe hain, isliye call pick up nahi kiye"..

Tabhi Som hall ke bahar aate... "Call kar rahe the Vyas"…

Jaise hi Som ko samne dikha, Asif fir se apne najron ke samvad shuru karta… "Lore lag gaye sale... Ye to iss party hall se bahar nikal rahe"..

Vyas, najron ke ishare se hi... "Kuch der shant ho ja inhe hi bolne de"..

Pandit ji dono ko ghurte... "Lo aa gaya tera boss"…

"Areee kyun aap log in bacchon ki class le rahe ho... Aa jao abhi party karte hain... Fir ghar bhi to jaana hai"… Pichhe se Mishra ji aate huye kahne lage..

Pandit ji:- Tum teeno abhi niklo yahan se. Main ghar par aaram se baat karta hun..

Mishra ji:- Areee kyun jaye yahan se... Inke class friends sab yahin hai... Grih prawes ki party chal rahi hai... Aa jao tum teeno bhi..."..

Jaise Mishra ji ne ek baar kaha, teeno hi jhat se hall ke ander ghus gaye aur Mishra ji ko dil se dhanywad karne lage...

Ye to party hall ke bahar ka rayta tha jo trimurti aur Shashtri nagar washiyon ke bich faila tha. Rayta sameta to nahi gaya lekin filhaal failne se rok liya gaya.. Yani ki inki sabha ko Mishra ji ne bhang kar diya.

Haan lekin bahar ka rayta jab failna shuru hua, yani ki Shashtri nagar washi aur trimurti ke bich jab bahas shuru hone wali thi, thik ussi waqt Diksha aur Sia sabko ander le'kar pahunchi... Jaise hi Som dobara ander gaya, ek pal ke liye Meera aur Som ki najren ulajh gayi...

Bus ek pal ki najren uljhi thi aur ussi ek pal me na jane pyar ke kitne tarane dil me angdai lene lage ho... Som ka roop dekh'kar jahan Meera, Som se najren nahi hata pa rahi thi, wahin Som to Meera ko apni baahon me bharne ke liye vyakul ho gaya... Bus ek pal ki najren uljhi thi aur bhavnao ke sagar anth'hin ho gaye..

Haan lekin uss ek pal ko toda bhi to kisne, Lata Mishra ne, jo apne bete ko thuski maar'kar yaad dilayi ki wo kahan hai aur kiske sath khada hai… aur Som ki najren jab Sia aur Diksha se uljhi tab unme kaal najar aane laga… Som idhar ek shadi se itna behal tha, wahin Mishra ji bhi apni yojna arthat Som aur Nirali ki shadi ko le'kar itne sapne saja chuke the ki wo Lata Mishra ko apne sath hall ke ekant me le gaye...

Ab ander fail rahe rayte me bhi 2 tarah ke rayte fail rahe the... Ek ore Diksha aur Sia ka Som aur Meera se to wahin dusri ore Lata Mishra aur Kapendra Mishra ke bich. Pahle aate hain Som par.

Sia aur Diksha usse lagatar aise ghure ja rahi thi jaise kaccha chaba jayegi... Bechare se kuch puchhne ki himmat nahi ho rahi thi lekin fir bhi kisi tarah himmat juta'kar Som ne puchh hi liya… "Aisa kya hua jo tum dono naraj ho"..

Diksha aur Sia ek sath... "Hum chale party enjoy karne.. ja'kar apni biwi se puchho.. ab hum to gair hai ji..." Itna kah'kar Sia aur Diksha nikal gaye hooting karte party manane... Wahin Som muh latkaye pahuncha Meera ke pass.

Waise Meera, jab se Som ko dekhi thi, wo alag hi masti me jhum rahi thi. Som, Meera ko ishare se bulaya. Meera chahakti hui Som ke pass pahunchi… Som charo ore ke mahol ka jayja lete aur aas pass ke logon ko ek najar dekhte bade hi dhime se puchha... "Meera ji kya aapne Sia aur Diksha ko humari shadi ke bare me bataya"..

Meera, Som ke iss sawal par kya muskurai... Aisa laga jaise khushiyon ke pankh failaye wo hawa me urr rahi.… "Haan patidev, Lekin maine Sia aur Neerav ko bataya tha."..

Som:- Din me to tumne kaha tha ki kewal shadi ke bare me batayi, pati kaun hai wo nahi batayi.. Lekin yahan to..

Meera:- Wo tab ki baat sahi thi. Lekin sham me maine un logon ko naam bhi bata diya…

Som, apne matha pit'te.… "Ek baar puchh to leti kam se kam. Ya iss shadi ko raaj hi nahi rakhna tha, fir chhup'kar shadi kyun ki..."

Meera:- Haan shadi raaj hi rakhna hai patidev. Lekin har baat par aap mujhe ye kyun feel karwate ho ki mujhe har kaam aapse puchh'kar karni hai... Aapne apna ek raajdar banaya aur maine 2. Isme itna hyper hone wali kaun si baat hai...

Som:- Meeraaaa..

Meera, Som ke pass se hat'ti... "Khud karo to sab plan, main karun to satyanash. Ja rahi hun main party enjoy karne, ab jo hoga dekha jayega"…

Meera apni baat kah'kar wahan se nikal gayi aur Som matha pit'te rah gaya. Khair yahan ka matter to aur complicated ho gaya tha. Sulajhane ka to dur-dur tak kahin koi naam nahi tha... Som apne khyalon me tab'tak gum raha jabtak ki bahar se Vyas ka call nahi aa gaya....

Wahin teesri party yani ki Mishra dampatti ek kinare ja'kar apni khichdi pakane lage. Sorry, khichdi to kewal Mishra ji paka rahe the, Lata Mishra to bus uss khichdi ki khushboo le rahi thi...

Kapendra Mishra:- Tumne humari hone wali bahu ki tasveer dekhi hai?

Lata Mishra, Kapendra Mishra ko ghurti... "Aur Som ne jo Meera ki maa Sugandha se wada kiya tha"..

Kapendra Mishra:- Kaisa wada, kaun sa wada... Uss wade me ye tha ki yadi Som kunwara raha aur usse koi ladki pasand nahi aayi to... Tum dekho na kitni pyari aur sanskari ladki hai... Main aaj jab Nirali se mila, dekhte hi final kar liya ki yahi meri bahu banegi...

"Ye Mishra ji to bacche ki tarah armaan sajaye baithe hain"… Lata Mishra apne mann me khyal laati gahri shwans li aur Mishra ji ke armaan par ander se afsos karti hui kahne lagi... "Mishra ji abhi wo log ghar aa rahe hain na, ye baat wahin karenge... Jyada sapne na sazao abhi"..

Mishra ji khushi se apne muchhon par tau dete.… "Som kisi ladki ko pasand nahi karta aur yadi Nirali ne Som ko pasand kar liya, fir to main janta hun ki apne bete ko kaise taiyar karna hai. Ruk main apne hone wale samdhi ko bulata hun. Hum thodi der party karte hain, fir ghar chalenge..."

Mishra ji itna kah'kar bahar nikal gaye aur Lata Mishra, apne pati ke armaan ko sun'kar nirash ho gayi. Uski himmat hi nahi hui yah batane ki, ki Som shadi kar chuka hai.. Ab to sab uparwale par hi chhod di...

Baharhaal, Mishra ji aur Som dono bahar the. Bahar se jab wo dono ander aaye tab kuch aur guest sath me le'kar aaye... Jinme Vyas bhi ek tha... Vyas jaise hi ander aaya uss ki najar ghayal karne wali jadugarni par thehar gayi... Kale libas me Sia ka hussan katilana tha...

Kuch pal tak wo kho'kar Sia ko dekhta raha. Issi bich Sia ki najar bhi Vyas ki najron se mili. Usse apne ore aise dekhte Sia sharma'kar apni najren churane lagi. Chehre par pyar ki najakat saaf najar aa rahi thi aur Vyas se akele milne ke liye dil vyakul hua ja raha tha...

Pichhe phaile rayte to simte nahi the aur dono najron ke ishare se hi akele me milne ki yojna bana chuke the. Sabki najaron se chhup'kar pahle Sia nikli aur uske pichhe-pichhe Vyas... Dono ussi kamre ke ore chal diye jo kamra inhone book kiya tha... Lekin unhe kya pata kamre me kis se mulakat ho jayegi... Dono ke dil vyakul the aur pyar ka nasha sir chadha...

Ji ab itni bhid me jahan kaand hi kaand ho rahe, wahan kaun bacha... Vyas aur Sia... Aur unka book kiya hua kamra number 211….

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Awesome update bhai
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

nitya.ji

New Member
78
306
53
Update:-79

Vyas bhanna kar gusse me wahan se chala gaya aur Sia uski haalat par hansti hui nikli. Haan lekin Diksha ke ore badhte waqt Sia bhi gahri shwans leti, ander se yahi kamna kar rahi thi kisi tarah Som aur Meera ka matter sambhal le...

Jignesh ke dimag me Sia ki kahi baat dalna, Vyas ke liye koi mushkil kaam nahi tha. Haan bus Vyas ka dil jal raha tha, wo alag baat hai. Sia ki baat ko Jignesh ke dimag me dalne ke liye Vyas ko Jignesh se baat bhi nahi karni padi. Jignesh ko suna'kar, Vyas ne Asif se itna kaha ki.... "Yadi Pranshu ko kisi tarah koi pata le to Sia se uski shadi turant ho jayegi".

Asif bhi iss baat me ruchi dikhate Vyas se puchh liya kaise... Vyas fir Jignesh ko sunate huye kah diya... "Simple, Diksha jo kahegi wahi Som aur Sia karenge. Aur Pranshu chah le to wo Diksha se kuch bhi karwa sakta hai…"

Machhli chara nigal lee. Jignesh pahuncha Sia aur Diksha ki mehfil me jahan Pranshu bhi khada tha. Jignesh apni baat kahne me jhijhak raha tha, isliye aate hi sabke sath idhar udhar ki baaten karne laga.…

Sia samjh chuki thi Vyas apna kaam kar chuka hai. Yani Jignesh ko pata hai ki uska palanhaar Pranshu hai. Ab to bus chhota sa paplu fekna tha. Idhar Sia ka ishara hua aur Diksha bolna shuru ki… "Nikku main kya soch rahi thi kyun na aaj raat Kuku humare sath ruke. Dekho budhwar ko main chali hi jaungi, so kuch din sath rahte hain"..

Jignesh:- Haan-haan kyun nahi bhabhi... Lekin badle me kuch din Pranshu bhaiya ko mere pass chhod do... Lucknow me itne dino se hain, lekin mulakat bus 2-3 baar, wo bhi kuch der ke liye...

Diksha, Pranshu ko Jisnesh ke ore dhakelti.… "Le jao apne bhaiyya ko.. Main to kahti hun mahine din ke liye rakh lo"..

Pranshu:- Achha, mahine din... Soch lo janu...

Diksha:- Soch liya Prince… jao, jao... Kuch din sukoon se rahungi...

Pranshu:- Chal bhai... Aaj poori raat hum dono party karenge..

Diksha, apni aankhen dikhati... "Party, wo bhi raat bhar... Mujhe bus tumhare talli hone ki khabar aane do Prince, fir batati hun...

Thoda hansi mazak ka mahol ban gaya. Dever aur pati mil'kar Diksha ko chhedne lage... Aakhir'kar maha mathapacchi wali merathon party samapt ho gayi. Pranshu, Jignesh ke sath chala gaya aur Meera, Sia ke sath chali aayi...

Nirbhay Singh ke ghar ke darvaje se kayi log ander aa rahe the. Poori sabha Nirbhay Singh ke bade se hall me hi lagi thi, Jahan ek ore Shashtri nagarwashi baith gaye, wahin dusri ore Mishra family baithi thi. Charo ore khamoshi pasari hui thi. Gale ki khadas ke sath Mishra ji ne Pandit ji ko ishara kiya... Pandit ji ishara samjhte apni patni Alka Shashtri ko dekhne lage aur Alka Shashtri ko jaise hi ishara mila... Wo Nirali ka hath tham'kar… hath tham'kar kuch kahne hi wali thi...

"Ruk jao sabhi... Koi kuch nahi bolega pahle Sia kuch kahna chahti hai"… Vyas apni baat kah gaya aur sabki najar Vyas par...

Shashtri nagar vashi, Mashroof… "Sia yani Mishra ji ki ladki na... Wo kuch kahna chahti hai tujhe kaise pata"..

Pichhe se sabhi shatri nagar vashi... "Haan-Haan tumhe kaise pata"…

Ab ye bechara Vyas kya bole... Vyas ko faste dekh Sia kisi tarah himmat kar'ke kahne lagi... "Sabhi log ek minute shant ho jaeye, mujhe kuch batana hai"…

Sabhi logon ki najar ab Sia par... "Haan sahi me kuch bolna tha... Bolo, bolo"..

Mishra ji:- Sia jo bhi kahna hai wo baad me kahna, abhi hum bade kuch khas vishay par charcha karne ke liye ikatha huye hain...

Diksha:- Papa ye jaroori hai.. Sia tu bol..

Sia:- Mujhse nahi hoga tum bol do...

Diksha, Sia ko aankh dikhati... "Main kyun bolun, main to picture me hi nahi hun.. Ek kaam karte hain Meera ko hi bolne do"…

Meera, fusfusati... "Main kya bolun?"

Sia:- Tujhe apna pati chahiye to bol, warna aaj pitaji rista to fix kar hi denge...

Mishra ji chidhte huye.… "Ye kya natak laga rakha hai tum logon ne... Ab koi kuch nahi bolega... Chup-chap se khade raho.."

Pandit ji:- Areee aap itne pareshan kyun hote hain... Bacche hain...

Mishra ji:- Shaitan bacche hain Pandit ji... Dekh rahe hain hum koi jaroori baat karne baithe hai aur bich me pareshan kar rahi...

Sia:- Pitaji shant... Ye sach me jaroori hai.. Meera ab kaho bhi..

"Khhaaaaa.. khaaaa... Khiiiiii... Khiiiii"… Meera sab ke bich pahle gala saaf ki aur fir bhi nikla ghighiyati awaz.... "Main kya bolun"..

Mishra ji chidha sa muh banate... "Kya kahna chah rahi ho saaf-saaf kaho na"..

Meera:- Mujhe na hoga… Lata aunty bolengi...

Lata Mishra chaunk'kar apni kursi se pichhe dekhte… "Ab main kahan se aa gayi"…

Vyas ki maa Alka Shashtri chidhti hui... "Ae Meera yahan kya nautanki kar rahi hai... Ye usko kah rahi bolne, wo usko kah rahi bolne... Ye rayta jaroor Meera ka failaya hoga... Isse main acche se janti hun"…

Alka Shashtri ki baat par, Sia, Diskha aur Vyas ki hasi nikal gayi... In teeno ko hanste dekh baki sab bhi hasne lage. Pandit ji bhi hanste huye kahne lage... "Kuch bhi kaho, Meera hai to bahut shararti"…

Meera chhota sa muh bana'kar Lata Mishra ko dekhti... "Aaphi to gardian hai. Mushkil waqt me aapko hi mera sath dena hoga... Please aunty bata do"…

Lata:- Achha main hi batati hun...

Mishra ji:- Kya?

Lata:- Ab main kya bataun... Pahle isse pyar hua, fir isne usse convince ki... Baad me usse bhi pyar ho gaya.. aur ab ye dono pyar karte hain...

"Haaayyynnnnnnn"…. Wahan maujood sabhi logon ke aise hi reaction the… Aisa lag raha tha Chinies movie Spanish subtitle ke sath chal rahi ho... "Aree kahna kya chahti ho daughter of Gajendra Mishra"…. Mishra ji chidhte huye puchhne lage..

"Kyaaaaaaaa"… Gajendra Mishra ka naam sun'kar sabke aise hi reaction the...

Nurul Hassan:- Kaun wo Gorakhpur wale Gajendra Mishra...

Mishra ji:- Haan ussi ki ladli beti hai na... Abhi muh se niklega.… Lata Mishra daughter of Gajendra Mishra... Ab jarra aaram se batao kahna kya chahti ho..

Idhar, Vyas fusfusaya.… "Achha tabhi uss din campus me chamtkar dekhne ko mila.. to Faisal Sehnavaj tumhara mamera bhai hua"…

Diksha:- Kya hua tha campus me Sia aur Faisal ne kya kiya?

Sia:- Samne dhyan do, uss bare me hum dono ki baat ho chuki hai..

Diksha:- Kab?

Sia:- Abhi iss matter ko end kar de, fir aaram se baat karte hain..

Idhar Gajendra Mishra ka naam sun'kar to sabhi chaunk gaye. Wahin Mishra ji ko sun'ne ke baad Lata Mishra baat ko vistar se batane lagi...

"Wo hum uski shadi me unse mile.. Uski maa ne pahle usse fasaya fir apni beti se shadi ka wada bhi le liya tha... Shadi ke liye usne inkaar kiya tha, lekin pita ki kasam le chuka tha isliye usse bhi haami bharna pada... Fir baad me pata chala ki ye shadi ka wada to mahaj ek sajis tha. Wahin dusri ore usne jab apne pyar ke liye usse convince kiya tab kisi ko nahi pata tha ki inki shadi to officially Tay ho chuki hai.. bus ek dusre ko pata nahi ki ye wahi dono hai lekin dekhiye.. anth me wo dono pyar karte hain aur aaj uski maa ko hi pata nahi ki dono pyar me hai..

Iss vistar purvak baat ko sun'ne ke baad har kisi ka bheja fry ho gaya. Har kisi ko apne baal nochne aur Lata Mishra ka gala ghotne ka dil kar raha tha. Mishra ji aawes me aate…

Mishra ji:- Lata yahan kya chal raha hai... Tum log yadi nahi chahte ki main Pandit ji se kuch baat karun to saaf kah do... Aise sabke samne meri bejjati to nahi karo...

Lata:- Maaf kijiye Mishra ji, ye main jaan-bujh kar nahi kar rahi, ghabrahat me ho gaya. Main sidhe hi kah deti hun, pyar Som aur Meera ke bich hua hai aur main Sugandha ki baat kar rahi thi, jisne Diksha ki shadi me Som se wada liya tha...

Lata Mishra ek shwans me apni baat kah gayi. Uski baat samapt hote hi Shastri nagar washi sab ek dusre ka muh dekhne lage...

Pandit ji:- Ye to wakai jaroori baat thi...

Itni der se khamosh tamasha dekh rahi Nirali ka aakhir kar dhairya toot gaya... “Koi mujhe batayega yahan ho kya raha hai”..

Vyas:- Tumhare rishte ki baat Som sir se tay hone ja rahi thi...

Nirali:- Ohhh... Fir to aap log jari rakhiye…

Mishra ji:- Kya wakai ye baat sach hai... Ya fir kahin koi...

Meera:- Hone wale sasur ji, aap kahna kya chahte hain?

Mishra ji:- Kuch nahi beta hum aaram se baat karte hain.. Filhaal to Pandit ji main aapse maafi chahunga, jo bina Som aur Meera ke bare me jane maine ektarfa faisala le liya..

Pandit ji:- Ji koi baat nahi hai..Chaliye issi bahane hume Shree Gajendra Mishra ji ke beti aur damad ke parivar se milne ka awsar mila... Aap nahi jante ki wo humare liye kya hain?

Sia:- Ye to hum nahi jante ki nanu aapke liye kya hain? Bataeye na uncle...

Nurul Hussan, Pandit ji ke kadhe par hath rakhte... “Maaf kijiye hum bata nahi sakte”..

Diksha:- Areee koi nahi abhi hum jaan lete hain...

Diksha thik issi waqt Gajendra Mishra ko call laga di... Udhar se Gajendra Mishra... “Ab yaad aayi tujhe nanu ki”..

Diksha:- Meri shadi me kyun nahi aaye, jaeye main baat nahi karti..

Gajendra Mishra:- Baat nahi karegi to wo baat kaise batayegi jiske liye call ki..

Diksha:- Nanu, ye Lucknow ke shashtri nagar ka kya scene hai..

Gajendra Mishra:- Mujhe kya pata kahan kya hota hai...

Sia:- Nanu, jyada dimag ke ghode na chalao... Warna main phone Lata Mishra ko de dungi... Daughter of Gajendra Mishra..

Gajendra Mishra:- Wo daughter of Gajendra Mishra nahi hai balki mother of Gajendra Mishra hai...

Sia:- Nanu, ab batao bhi please..

Gajendra Mishra:- Aree mere nalayak kapoot shashtri nagar ki poori jamin ka hi shauda kar chuke the. Batao jis jamin ko mere dada ke dada ne daan me diya tha usse bech rahe the... Shashtri nagar walon ke pass pakka paper nahi tha aur tab maine unhe daan ke jamin ka pakka paper diya tha...

Sia:- Ohhh ye baat hai..

Gajendra Mishra:- Haan ye baat hai.. waise meri maa aur uska pati kahan hai ...

Lata:- Pranaam babuji...

Gajendra Mishra:- Lata, beta pata na ab kitne din jivit rahunga... Ek baar sabhi bacchon ke sath yahan aa ja...

Kapendra Mishra:- Pitaji aap chinta nahi kijiye... Sia ke college ki chhuti jaise hi hogi waise hi hum sab aate hain...

Gajendra Mishra:- Nalayak, ek natin ke shadi me hospital me para tha. Marne se pahle kam se kam dusre ki shadi to dikha de...Aur wo mahadev kahan hai.. Bahut din se dikha nahi..

Lata:- Kya Som aapse milta tha..

Gajendra:- Haan milne aate rahta tha. Usne manaa kiya tha tum dono ko iss bare me nahi batane. Jabse Lucknow gaya ek baar bhi nahi aaya. Som ko kahna jaldi se aa’kar mile ye bahut jaroori hai..

Lata:- Thik hai babuji jaroor bhej dungi... Bhaiya sab kaise hain?

Gajendra:- Bus bahut hua ab sabki jaankari yahan aa’kar lena... Main ab phone rakhta hun..

Call disconnect hua aur Mishra ji, Pandit ji ko dekhte .... “Itni si baat to aap bhi bata sakte the”.

Pandit ji:- Nahi, batane ke liye manaa kiya gaya tha..

Khair iss sabha par poori tarah se poorn viram lag gaya tha. Sab jane lage. Mishra ji aur Nirbhay, Shastri Nagar wasiyon ko ghar tak chhodne chale gaye... Idhar Mishra family, apne cottage me pahunche.. Sabhi drawing room putle ki tarah baithe the...

Lata Mishra:- Wo nalayak kahan hai...

Sia:- Som ko freelancing ka koi bada kaam aaya tha, isliye wo kuch dino ke liye bahar gaya hai...

Lata:- Gadha hai... Fir bina bataye bhag gaya...

Diksha:- Maa tum to kuch bolo hi mat... Tumhe subah hi pata chal gaya tha na, Som ne kya kaand kiya hai...

Meera:- Main kya kah rahi thi...

Lata, Sia aur Diksha teeno ek sath Meera ko ungli dikhati... "Tum to kuch bolo hi mat"

Meera, thunakti hui... "Sab mujhe hi daant lo, saara kiya karaya to mera hi hai na"…

Sia:- Bhabhi nautanki band karo... Yaar mujhe to Kuku ko bhabhi kahte bhi ajib lag raha...

Meera:- Sia didi it's ok...

Lata:- Ok ki bacchi.… Teri maa ne bhale hi kisi maksad se teri shadi Som se fix ki thi... Lekin fix to thi na. Fir ye pagalpan karne ki kya jaroorat thi... Apne bete ki shadi ke kitne armaan sajaye the.. Som ki shadi ko le'kar kitne sapne sanjoye the… Mere sare armaan, sari khushiyan dhari ki dhari rah gayi...

Sia:- Mere bhi bahut sare armaan the… Main to yahan tak soch rakhi thi ki apne bhai ke jute main khud hi chori kar lungi..

Diksha:- Humare armaano ko kuchal'kar kya mila tum dono ko...

Meera:- Hmmm !!! Naadaani me shayad iss baar mujhse badi galti ho gayi... Unhone (Som) mujhse jab kaha, "abhi ye shadi raaj rakhni hai", tab mujhe samjh me nahi aaya lekin abhi samjh me aa raha hai... Please aap sab mujhe maaf kar do aur dil chhota na karo. Hum dhum-dham wali shadi bhi karenge...

Lata:- Jab dhum-dham wali shadi plan thi to raaj ko raaj hi rahne deti... Kyun hum sab ko bataya...

Meera:- Maa... Kya main aapko abhi maa kah sakti hun na...

Lata, Meera ke chehre par hath ferti... "Haan meri bacchi tera poora haq hai"..

Meera:- "Maa, jab main subah yahan pahunchi, dil me dher sare umang the. Kuch badlav main mehsus kar rahi thi lekin uss badlav ko main bayan nahi kar sakti... Meri shadi ho gayi aur mera apna koi janta nahi, dil me chot kar raha tha."

"Main khud ko bahut rokne ki kosis ki, lekin jab Sia didi aur Neerav ko dekhi to khud ko rok nahi payi... Sia didi aur Neerav ko tab maine ye nahi bataya ki mere husband kaun hai. Par janti ho maa Sia didi aur Neerav ne mujhse kya kaha..."

Itna kahte hi Meera phoot-phoot kar rone lagi. Sabhi bhag kar uske pass pahunche aur Meera ko gher'kar chup karane lage... Meera apne aankhon me aaye aanshu ko saaf karti...

"Janti hai Sia didi aur Neerav ne kya kaha tha, wo mere galat faisle me bhi mere sath khade rahenge... Aap khud tay kar lo uss insan ko kaisa lagega ye sab sunke, jo ek sahi kaam karne ki vajah se apne poore khandan ke najar khatkne lagi. Itne bade parivar me koi ek to hota jo mere sach ke sath khada rahta aur sabke muh par kahta... "Nahi Meera galat nahi balki tum sab galat ho"…

"Sorry bhabhi (Diksha), shayad aap ko bura laga ho, kyunki Pranshu bhaiya meri har sambhav madad karte hain. Meri jugnu didi mujh par jaan chhidkti hai. Lekin unme bhi himmat nahi ki wo samne se kisi ke muh par kah de aap galat ho... Mat tooto koi apni family se lekin jo sach bol rahe unhe to mat todo…"

"Mujhe support karne wale Pranshu bhaiya aur Jugnu didi tak mujhse ek hi baat kahte hain... "Ghar ke logon se maafi maang lo"… Maa janti hain aap, jin logon ke liye main apne poore khandan ke against ho gayi, sala wo log bhi paisa dekh'kar palat gaye. Mera poora tamasha ban gaya... Main to apne parivar ke najron me gir gayi aur jinke liye ladi wo bhi sath chhod gaye...Koi meri sachai ke sath khada na hua..."

"Aap batao kaisa mehsus hona chahiye mujhe Sia didi aur Neerav ko sun'kar... Fir din me meri mulakat apne patidev se hui, unhone jab bataya ki aapko sab pata hai, aisa laga ab mujhe mera ghar mil gaya.. Mayke to apna na hua, sasural to apna hoga... Main bata nahi sakti Patidev ko sun'ne ke baad main kitni khush thi… Fir sham ko jab meri mulakat Sia didi se hui, main khud ko rok nahi payi... Ab to jo ho gaya usse badal nahi sakte, lekin dhum-dham wali shadi to ho'kar rahegi."

Thoda bhavuk kshn tha. Har koi Meera ki khawaish ko mehsus kar sakta tha. Har koi samjh sakta tha ki kyun Meera apni shadi ki baat Sia se kah gayi.… Haan Som aur Meera ke batane ka tarika galat tha, lekin shadi ki baat batana bilkul bhi galat nahi...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
awesome update sir
bechare vyas par kisi aur ko sia se shadi ka upay batane par kya bit rhi hogi ye to wohi jaane par itna pakka hai ki dil jal jaroor rha hoga.
chaliye vyas ke sath jo bhi hua pr issi bahane jo nain sir na rayta failaya tha wo to simta.
.
pure update me sabse funny part lata mishra ka som aur meera ki shadi ka raj (jo ki ab raj nhi rha) batana rha soch kr hi hasi aa jaye ki unke expression kya rhe honge.
ye gajendra mishra to bahut pahuchi hui cheej hai aur ye to sbko phle se hi pta tha par inke to shastri nagar walo par bhi ahsan hai ye nahi pata tha. chaliye issi bahane gajendra mishra ji ke baare me aur jankari mili.
.
meera bechari bhi apne dil me bahut se dard chupaye baithi hai jinko wo apni hasi aur shararto ke piche chipa leti hai par ab lagta hai uske bhi dukh bhare din beete re bhaiya.
.
ab intzaar rahega nain sir aisa rayta dobara kb failata hai par usse pahle lagta hai uss bande ka pata lagne wala hai jo sia and family ko fasana chahta hai dekhte hai kya hota hai...
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update:-78

Ji ab itni bhid me jahan kaand hi kaand ho rahe, wahan kaun bacha... Vyas aur Sia... Aur unka book kiya hua kamra number 211….

Aage-Aage Sia ja rahi thi aur uske pichhe Vyas. Pahle Sia lift me pahunchi aur pahunchne ke baad lift ko tab'tak khole rakhi jab'tak ki Vyas wahan nahi pahunch gaya. Lift me intzar kar rahe kuch logon ki bhrikuti tani, to kuch log security walon se sikayat kar rahe the. Prantu Sia thi jo apne aankh kaan band kiye bus lift ko khole rakhi.

Jaise hi Vyas pahuncha lift band ho gayi aur dono second floor par. Jaisa ki har hotel me hota hai... Hotel ki paasage aur dono ore se kamre. Vyas aur Sia bhi un passage se ho'kar gujar rahe the..

Vyas:- Sia aise taiyar ho'kar naa aaya karo. Dil par khanjar ja chal jata hai..

Sia, 2 kadam aage badh'kar, Vyas ke ore mud gayi aur chehre se shararat jhalkati... "Achha to Pandit Vyas Prasad Shastri mere roop ke moh me hai."..

Vyas:- Nahi, nahi, mere kahne ka wo matlab nahi tha...

Sia:- Achha... Fir roop aise dil par khanjar chalata hai... iska kya matlab samjhun... Aur jarra ye bhi bata do ki main agar kurup hoti to tum mujhe dekhte kya???

Vyas:- Main manta hun ki main pahle roop jaal me fansa. Main kya college ke sabhi ladke tumhare roop jaal me phans jaye... Tumhari baten satya hai chalo maan liya... To kya tum mere roop jaal me nahi phasi... Tumhe kaun sa dubla-patla kala-kalutha ladka pasand aa gaya...

Sia:- Achha ji mera sawal mujh se kiya ja raha...

Vyas achanak se serious hote... "Sia ruko, mud'kar samne dekho... Sia... Aree nahi..."

Vyas ki najar Sia par thi aur Sia to Vyas ko dekhne ke liye pichhe mud'kar chal rahi thi. Kamra number 211 ke bahar khade logon ki tasveer jab'tak saaf hoti.. tab'tak Sia unme se ek se takra chuki thi.

Wahin party hall ke ander jab Sia ke najron ke ishare chal rahe the, thik ussi waqt Som ke mobile par kisi ka call aaya. Usne back to back 2 call receive kiye aur had'badi me wo bhi kamra number 211 ke ore bhaga.… Som kuch message type karte kamra number 211 ke ore bhag raha tha...

Jab Som wahan pahuncha tab'tak wahan ki kahani lagbhag likhi ja chuki thi. 4 log hathkadi me the... Riaz, Som ke sath kaam karne wala Sanju, Sia aur Vyas. Darasal kamra number 211 ka mamla thoda penchida tha. Yahan kuch der pahle 2 logon ki hatya hui thi.

Police ke anusar 10 kilo heroin aur 10 kilo cocaine ki dealing, room number 211 me ho rahi thi. Delhi ke 2 drug dealer Kabir aur Ushman drug ki dealing karne pahuncha tha. Dono paksh me anban hui aur mauke par maujood Riaz Abdullah Khan aur uska sathi Sanjay Vaghela ne drug dealer ko goli maar diya. Police iss drug dealing me aur kaun-kaun log shamil the uski poochtachh me juti thi. Isi bich Sia ek officer se takra gayi. Chunki Riaz ko ye dono bhi jante the, isliye shaq ke bina par dono ko arrest kar liya.

Som ko pahla call uske kaam ke liye aaya tha. Usse urgent kahin nikalna tha. Wahin dusra call Sanju ke sath Riaz par nigrani kar rahe Charanjeet Batra ka tha, jisne room number 211 me chal rahe chaos ki sari jankari di.

Som bhagta hua passage tak pahuncha... Samne khade officer ka rasta roke... "Inhe arrest kyun kiya hai officer"..

Arrest karne aaye police ki team ka head... "Tum kaun ho"..

Som:- Riaz aur Sanju ka boss...

Jaise hi Som ne itna kaha Police ki poori team sakte me aa gayi. Lekin iss se pahle ki wo action leti... aage aur pichhe se karib 20 hathiyarband log unpar apni gun taan chuke the…

Officer:- Dekho tum sab abhi apne hathiyar daal do aur khud ko surrender kar do...

Som:- Boys in sab ko chup karwa'kar mehman nawaji ke liye le kar chalo... Aur haan kuch log yahan ka poora kachra saaf kar'ke sab kuch pahle jaisa kar dena... Dekhte hi dekhte 8 police wale bandhak the, jinhe laundry collection karne wale bade-bade basket me le jaya ja raha tha...

Unke sath Riaz ko bhi le jaya gaya. Som ek najar Vyas aur Sia ko dekhte... "Tum dono ko yahan kisne bulaya tha?"…

Vyas aur Sia ko kuch sujha hi nahi... Kya jawab de... dono ko kisne bulaya. Upar se yahan jo bhi hua wo Sia aur Vyas ke samajh se pare tha... Unka poora dimag hi puzzle bana hua tha..

Kyunki Riaz thehra dusre kheme ka, jiska brainwash kiya gaya tha. Ab pata chal raha hai Som uska boss hai.. Upar se jo room un logon ne book kiya exactly ussi room me sare kand huye, jabki room booking ke bare me to kisi ne bataya bhi nahi tha...

Aise bahut se sawal the.. Jaise ki 2 lash kiski thi... Vyas aur Sia ke aane se pahle yahan hua kya, aur kyun Som apradhik gatividhiyon me samil hai? Uske pass itne log kahan se aaye jo poori police team ko bandook ke nok par kidnapped kar liya? Jahan ek hi pal me, dimag me itne sare sawal ghum rahe ho, wahan iss sawal ka jawab dena ki unhe yahan kisne bulaya kaise sambhav tha... .

Sia bilkul chidhti hui.… "Som hum jo apni najron ke samne dekh rahe hain, uss par tumhe kuch kahna chahiye? Ulta humare yahan aane par sawal kar rahe... Sommm kya karne wale ho police walon ke sath? Yahan hua kya tha?

Som, apni badi-badi aankhen dikhate... "Chup-chap ghar jao... Yahan jo bhi tum dono ne dekha sab bhul jao... Mujhe kuch din ka waqt do, ye mamla suljha'kar main poori baat batata hun"…

Sia:- Sommmm tum baat ko yun gol-gol ghuma'kar nahi ja sakte... Chhup'kar Meera se shadi kar lee. Sniper trainig ki aad me itna bada gange chala rahe... Aur kitne kaam tum chhip'kar karte ho Som..

Som, Sia ko apne sine se lagaate... "Beta main koi apradhi nahi hun. Apne bhai ka vishwas karo.… Yahan jo kuch bhi hua jitna tumhe jaan'kar hairani hai utna mujhe bhi... Lekin jisne ye kiya hai wo hairan nahi honge. Mujhe un police walon ko majboori me kidnapped karna pada kyunki yahan ki news jaise hi bahar jati fir jisne bhi ye kaand kiya hai hume phasane ke liye poora jor laga deta... Isliye to dono murder room number 211 me huye hain… Koi tum sab ke upar bahut hi jyada homework kiya hai.. Ab tumhe kuch santusti mili..

Sia, Som ko jor se bhinchti... "Sommm"..

Som, Sia ki pith thap'thapate... "Itni strong ho'kar ro rahi"…

Sia, hichkiyan leti... "Som mujhe bahut dar lag raha... Please bhai tum safe rahna..."

Som:- Wada karta hun main safe rahunga... Ab tu rona band'kar aur mere liye 2 kaam karegi...

Sia:- Haan bilkul...

Som:- Pahla ye ki Meera ke gharwalon ko humari shadi ki bhanak bhi nahi padni chahiye... Baat apne parivar me hi rahe..

Sia:- Haan wo main sabko samjha dungi aur dusri...

Som:- Kuch din ke liye koi bhi routine follow mat karna. Logon ki bheed me kewal casual baaten hi karna aur thoda aleart rahna... Aur ye humare poore parivar ke liye hai..

Sia:- Hmmm !!! Thik hai main sab par najar rakhungi... Aur kuch…

Som, Sia se alag hokar uska chehra saaf karte... "Chalne se pahle aakhri baat... Tum dono yahan aaye kyun the, wo main laut'kar jaan lunga... Kyunki cctv footage bhale hi clean ho gayi ho, lekin wo footage mere pass hai…"

Som apni baat kah'kar wahan se nikal gaya. Sia, Vyas ke kandhe se sir tikati... "Som chala gaya Vyas... Wo kisi musibat me to nahi hai na"…

Vyas:- Mujhe to 1% bhi wo musibat me nahi lage... Tum Som bhaiya ki chinta chhodo aur baki baaton ki chinta karo.. Waise mujhe kab batane wali thi ki Meera ke bawri hone ka raaj Som bhaiya hain.

Sia, Vyas ko ghurti... "Call her bhabhi…"

Vyas:- Ab jo bhi kahna hai wo hum baad me kahenge, filhaal party over karen. Hum yahan jitni der rahenge hume fasane walon ke liye hum utna hi aasan target honge...

Sia:- Hey bhagwan aaj ke uthal-puthal se mera dimag fat jayega... Abhi to mujhe apni bhabhi ke drame ko bhi sametna hai..

Vyas:- Waise dimag to mera bhi fata ja raha hai..... Main ghar se kuch aur pahan kar nikla tha aur yahan kuch aur pahne huye hun... Baba ne ye baat notice kar lee..

Sia:- Accha sirf itni si baat... .

Vyas:- Nahi sirf itni si baat nahi thi. Main Avantika ke hath me hath daal'kar chal raha tha aur Asif, Margrate ke... Uske hone wale sasur ne to rishta cancel karne tak ki dhamki de dali...

Sia:- Ohhh hooo... Avantika... Aur dusri wo Margerita... Lagta hai mujhe bhi apna second set-up bana lena chahiye..

Vyas:- Hat pagal... Kirti gange ke raaj jaan raha tha bus...

Sia:- Achha raaj jaane ke liye ladki ko pata liya, wo bhi itni jaldi...

Vyas:- Kam akl... Itni jaldi ladki patane ke liye main Tom Cruise nahi hun samjhi... Unhe hum par chhoda gaya tha taki wo log bhi mera raaj jaan sake.. duffer itni si baat samjh me nahi aati...

"Aati hai bacchu lekin tumhe chhedne ka mauka kaise gawa sakti hun"…. Sia apne mann me sochti muskurane lagi. Vyas, Sia ki kutil muskaan par usse ghurte... "Ander kya khichdi paka rahi"…

Sia:- Yahi ki jab chori pakdi jati hai to ye ladke kitni safai se khud ko bacha lete hain... Sabash...

Vyas:- Ohh hoo hoo hoooo... Aur tum khud jo wo Jignesh ke sath kamar me hath dale dance kar rahi thi uska kya?

Sia:- Pahli baat wo Jignesh, Diksha ka dever hai… Dusri baat wo meri bhabhi ka bhai hai... Aur ye baat mujhe uske sath dance karne se pahle pata chal gayi... So uska aur mera rishta hi chhed-chhad wala hai...

Vyas:- Haan khud ki kartut rishtedari ke aad me chhipa lo... Aaj se pahle to uske sath chhed-chhad ka rishta nahi yaad aaya tha..

Sia:- Ji nahi Mr Vyas... Aap galat ho.. Kyunki aaj pahli baar hum kisi party me takraye... Kya khub baaten ghuma lete ho na.… Uss din Huma thi, aaj Avantika... Raas rachayi ja rahi hai..

Vyas:- Had hai Sia... Tum har baat par aise react kyun karti ho...

Sia:- Har baat par nahi Vyas… Tum jab mere sath committed ho to mere ho'kar rahne ke badle jagah-jagah muh maarte phirte ho...

Vyas:- Kya??? Muh maarta hun... Chhi kintni ghatiya soch hai tumhari...

Sia, apne balon ko jhatak kar gusse ka pradarshan karti.... "Shashtri kal jab tumhe chaddi me, takhti ke sath latkaya jayega, tab mujhe nahi apne pujya pitaji ko samjhana ki unki soch bhi ghatiya hai... Main chali aur khabardar jo mere pichhe aaye… Jaeye khule vichar aur achhi soch wale Mr. Vyas apni raas leela continue kijiye...

"Siaaa, Sia suno to, kya bachpana hai.. Suno to.… Pagal ladki baat-baat par nakhre hain iske. Ek to iska kam bhi karo upar se badnaam bhi ho jao... Madarchod ye sajis karne wale ek baar mere hath aa jaye.. Sale ke pichhwade me tel laga danda ghused'kar jhanda na fahra diya to mera naam Vyas nahi… Sale chutiye ke chakkar me charo ore se mujhe dande ho rahe.… Som boss jaldi pata karo un haramiyon ka"…

Sia to pahle gusse me gayi. Pichhe se Vyas bhi nirash ho'kar gaya. Niche party hall me rang jama hua tha, upar se 2 peg ke baad jab Shashtri nagar washiyon ko jabardasti dance floor par khincha gaya, fir to classical hindi gane par har kisi ki klaa bahar aa rahi thi... Koi sir par glass rakh'kar naach raha tha. To koi apne sathi mitr ke kamar me hath daal'kar thumke lagva raha tha.

Baki darshak hansi se lotpot huye ja rahe the. Mishra ji to jaise aaj bacche bane huye the. Bete ka rishta tay karne ja rahe hain, iss khushi me 4 peg laga chuke the.. Paanchva hath me tha aur khud Shashtri nagar washiyon ko drink serve karwa rahe the...

Sia jaise hi party hall me pahunchi wahan ka Khushnuma mahol dekh'kar to baki sari baaten bhul gayi.… "Diksha ye kya hai"…

Diksha:- Papa kuch jyada hi khush najar aa rahe...

Sia:- To tu yahan kya kar rahi hai?

Diksha:- Tera intezaar ullu... Chal jarra thumke lagaye jaye...

Sia, Diksha ke hath thamti... "Aaj hum tum aur pitaji... To jo jaye masti..."

Dono bhag'kar Mishra ji ke pass pahunchi... Hath ka glass khali karwa'kar Mishra ji ko khinch'kar layi aur apne papa ko bich me le'kar dono nachne lagi... Pichhe se Vyas bhi pahuncha, wo bhi wahan ka najara dekh'kar khush ho gaya... Haan lekin wahin kinare Asif muh latkaye khada tha...

Vyas:- Kya hua tujhe...

Asif:- Wo mera sasur mujhe aise ghur raha, jaise main koi aatankwadi hun…

Vyas:- Hahahaha... Koi nahi chal thoda masti ho jaye, baki jo hoga wo dekha jayega...

Asif:- Matlab..

Vyas:- Matlab Sia aur Diksha di ko dekh'kar mujhe bhi apne baba ke sath nachne ki ikchha ho rahi hai... Kabhi humne sath me aise masti nahi ki...

Asif:- Kash mere bhi abbu yahan hote...

Vyas:- Abe tere abbu yahin to hain. Mujib chacha me tu apne abbu ko dhundh le.. Aur chal thoda nautanki kiya jaye.... Waise bhi nautanki par to humara trademark hai...

Asif:- Hai nahi tha… Riaz ka vartaav dekh'kar ab kuch Dil hi nahi karta…

Vyas:- Abhi ke waqt me abhi ke emotions dekh... Riaz ka matter Riaz ke hone par…

Asif khush hote... "Sahi kaha dost... Chal thoda nautanki ke bich hum bhi masti karen… roj-roj aise mauke thode na aate hain... "

Fir to ye dono bhi pahunche Shashtri nagar washiyon ke pass... Dono hi, Vyas aur Asif, wahan pahunch'kar sidha niche floor par lot'kar dandwat pranaam karne lage... Unhe aisa karte dekh Diksha aur Sia ko masti sujhi aur wahan se sbhi logon ko hata'kar unke samne khadi ho gayi. Dono devi swaroop ek paun mod'kar dusre paun ke ghutne par tikati, Vyas aur Asif ko aashirwad de rahi thi...

Vyas aur Asif ne jab apni najren upar ki, apna sir pit'kar khade huye aur dono apne apne daddy... Bole to Vyas, Pandit ji ke pass aur Asif, Mujib Khan ke pass pahunch'kar, apne dono kaan pakde aur uske baad haath jod liye...

Kuch der tak Pandit ji aur Mujib khan attitude me khade rahe. Fir naarajgi chhod unhe gale se laga liya... Ab pita aur bacche sath jhum rahe the... Sia aur Diksha bhala apni bhabhi ko kinare kaise chhod dete... Meera ka bhi hath pakad ke khinch lee.....

Dekhte hi dekhte badi si mehfil dance floor par thi, jahan sab jhum rahe the... Tabhi unchi awaz me Mishra ji kahne lage.… "Aaj main bahut khush hun... Mere bete ki shadi tay hone wali hai aur iss khushi me sabhi bacche samil hain"…

Wahin Pandit ji bhi achanak Vyas ke gale lagte.… "Aaj baap hone ka pahla farz adaa karne ki kosis karne ja raha hun... Teri bahan ka rishta tere boss se karne ja raha... Tu abhi sath hai to aisa laga jaise meri himmat sath hai"…

Oopssss !!!!! Moment to kafi bhawuk the... Pandit ji aur Mishra ji ke armaan dekh'kar to aisa lag raha tha dono aaj khushiyon ke sagar me dubki laga rahe hain. Lekin iss emotion ko dekh'kar sabhi bacche apne pita ko bhinch'kar gale laga le, ya unki khushiyon par pani ferte ye bata de ki Som ki shadi ho gayi... Upar se Sia aur Diksha ko to apne pitaji ke emotion feel karne ka mauka tak nahi mila kyunki Mishra ji ne jaise hi bomb phoda... 200 IQ ne kaam kiya aur iss se pahle ki wahan khadi Meera koi lafda kar de, Diskha aur Sia uska muh band kar'ke sidha wahan se utha'kar le aayi...

Meera hath paun maarti kewal aankhon se ghure ja rahi thi... Sia, Meera ke muh par se bina hath hataye... "Suno meri pyari bhabhi abhi meri baat maan'kar shant raho... Main hath hata rahi tum please chillana mat"..

Meera, haan me apna sir hila dee lekin jaise hi Sia ne hath chhoda…. Meera tej chinkhti... "Nahiiii mereee"… kahne wali thi "nahi mere pati ki shadi kaise kisi se tay kar sakte ho"... Lekin bich me hi fir se Sia ne Meera ka muh daboch liya...

Diksha:- Kuku thoda shant raho... Tum mere sath ghar chalo wahan sab clear kar dungi... Samjh gayi...

Meera ek baar fir haan me sir hilane lagi. Lekin Sia ko ratti bhar bhi yakin nahi... "Nahi Diksha, iske muh par tape laga... Warna ye yahan poora kabada karegi"…

Meera naa me sir hilati, isharon me muh se hath hatane kahne lagi... Thoda risk le'kar Sia aur Diksha ne muh par se hath hataya... Meera dono ko ghurti... "Main sath ghar chalungi.. lekin aap dono ko sab thik karna hoga..."

Diksha:- Oh no... Pranshu ke samne Meera aur Som ki baat nahi ho sakti...

Sia:- Tum dono ghar chalne ki taiyari karo... Mere pass hai ek bakra jo sab set kar dega...

Diksha:- Thik hai jaldi se mamla set karo fir hum party over kar'ke yahan se chale...

Waise party ye log kya over karenge... Uss se pahle hi Nirbhay ke mobile par uski patni Shanti ka call aa gaya.… "Mishra ji se kahiye unke kuch guest aaye hain... Kahna Vyas aur Asif ki maa hai, sath me Jannat aur Nirali bhi..."

Call aa chuka tha dj band ho gaya, lekin yahan Vyas ko kuch sujhe na... Issi bich Sia, Vyas ko ishare se apne pass bulayi... Vyas bhi jaise iss pal ka intzar kar raha ho.. Bhagta hua gaya...

Sia, bar counter se tik kar khadi thi aur samne dekh rahi thi. Jaise hi Vyas uske pass pahuncha, Sia usse bhi apni tarah tik kar khade ho'kar samne dekhne kahne lagi…

Dono aaju-baaju khade, Samne dekh rahe the... Vyas chidhte huye kahne laga... "Bencho life ki lagi padi hai aur tum attitude dikha rahi"…

Bahan ka mamla tha shayad isliye Vyas apne aape me nahi tha aur Sia ke samne uske muh se gaali nikal gayi. Sia, Vyas ki haalat samjh sakti thi, ek bhai ko kaisa lagega jab anjane me uske pita pahle se shadi-shuda insan ke sath shadi karwana chahte ho...

Sia, ander se to hansi lekin upar se utni hi narajgi dikhate…. "Matter ka pata hai mujhe Shashtri, lekin tumhari tarah main sabko gaali dete nahi fir rahi... Bahan ki gandi gaali dete tumhe jarra bhi sharm nahi aayi"..

Vyas:- Itna rayta faila hoga to muh se kya bhajan niklega… Ye sab uss Meera ke karan hua hai...

Sia:- Khabardar jo meri bhabhi ke bare kuch kaha to... Aree buddhe log aapas me rishta tay kar liye isme meri bhabhi ka kya role...

Vyas:- Haan sare fasad ki jad wahi hai... Upar se yahan 2 murder bhi ho gaye hain.. Sala 2 muder jaisa bada kaand hone ke bavjood wo koi kaand hi nahi lagta, kyunki ghar me hi bhuchal macha hai aur in sab ki janak wo Meera hai...

Sia:- Tumhe yahan jhagda karna hai...

Vyas, khud ko normal karte... "Sorry, batao kyun bulayi"…

Sia:- Tum aur Asif mil'kar Jignesh tak kisi tarah ye baat pahunchao ki Pranshu agar chahe to Sia ka rishta, Jignesh se tay karwa sakta hai. Lekin uske liye pahle Pranshu ko convience karna hoga..

Vyas:- Ohhh hooo... Main raas-leela kar raha aur devi ji to bilkul Gaay bani hui hai... Uss ghonchu Jignesh ka rishta tumse kaise tay hoga... Tum chahti ho iss baat ka upay main hi usse bataun.. Waahhh wahhh... Ati uttam... Itni to Lucknow me apni bhi pakad hai ki kisi ko gayab karwa dun...

Sia:- Haan to jao fir gayab karva do Jignesh ko aur kar do apni bahan ka rishta mere bhai ke sath...

Vyas, khud ko hi 2 thappad maarte... "Madarchod, main hi chutiya hun… Jao tumhara kaam ho jayega"…

Vyas bhanna kar wahan se chala gaya aur Sia uski haalat par hansti hui nikli. Haan lekin Diksha ke ore badhte waqt Sia bhi gahri shwans leti, ander se yahi kamna kar rahi thi kisi tarah Som aur Meera ka matter sambhal le...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Nice update bhai
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
Top