• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Update:-80



Thoda bhavuk kshn tha. Har koi Meera ki khawaish ko mehsus kar sakta tha. Har koi samjh sakta tha ki kyun Meera apni shadi ki baat Sia se kah gayi.… Haan Som aur Meera ke batane ka tarika galat tha, lekin shadi ki baat batana bilkul bhi galat nahi...


Sabhi Meera ki baaton me gum ho gaye. Meera, jab apne aas-pass ghere logon ko dekhi tab uske chehre par muskaan aa gayi aur challakte aanshu ke sath apne aap hi muh se nikal gaya.… "Ab mera bhi ek apna parivar hai. Thankooo soo much Patidev mujhe swikar karne ke liye"..


Lata Mishra, Meera ko 1 thappad lagati... "Emotional kar di pagal... Chal aanshu pochh.. aur ye batao ki jab itne armaan ander dabaye baithi thi, to thoda dhang se apni shadi ki baat batane aati... Aise ek-ek karke sabke upar bomb fodne ki kya jaroorat thi... Wo bhi tab jab poora party ka mahol hai aur kayi sare log wahan maujood the. Tumhare ghar tak tumhari shadi ki khabar na kahin pahunch jaye... Fir ho gayi dhum-dham wali shadi..."


Sia:- Chalo ab chhodo bhi, jane dete hain iss baat ko. Mere cuteee ki shadi ho gayi wo bhi mere sweeto ke sath, iss se jyada khushi ki baat kya ho sakti hai...


Diksha:- Ye sahi kahi Sia. Ab kisi tarah dono ko honeymoon par bhejne ka jugad karte hain...


Lata:- Honeymoon par jaakar kya karegi... Fir to ho gaye kaand. Udhar se pregnent ho'kar aa gayi to…


Sia aur Diskha dono Lata Mishra ko aankhen dikhati.… "Maaaa"..


Diksha:- Achha ab papa ko Som aur Meera ki shadi kee baat kaun batayega...


Sia:- Pitaji ke armaan bhi to humare tarah hi hain. Upar se bete ki shadi ko le'kar to wo hum sab se jyada utsahit dikh rahe the... Mujhse to bataya nahi jayega...


Diksha:- Hum kyun batayen... Hum to beti hai... Paraya dhan... Nipatne do in saas bahu aur bete ko...


Lata:- Nahi nahi, Mishra ji ko sidha dhum-dham wali shadi ka pata chalne do..


Sia aur Diksha ek sath... "Bilkul nahi"..


Lata:- Kya matlab bilkul nahi...


Diksha:- Ye koi chhoti baat nahi hai jo chhipi rahe... Ab jab hume Som aur Meera ke bare me pata hai to hum kitna bhi chah le, humare emotion kabhi na kabhi dikh jayenge...


Sia:- Haan maa, Diksha sahi kah rahi hai. Upar se, bhagwan na kare aisa ho. Lekin Jadeja family shadi se mukad gayi tab to unhe bhi ye baat batani hogi na... Uss waqt pitaji ko pata chalega tab unka dil toot jayega..


Lata:- Hmmm !!! Thik hai ye baat main hi Mishra ji ko bata dungi lekin tum sab bhi sath rahna... Ab ye batao ki Jadeja ko iss baat ki khabar na lage uska kya karna hai? Kyunki hume nahi pata kitne log Meera aur Som ki shadi ke bare me jante hain..


Sia:- Som aur Kuku ki shadi ke bare me hum jante hai... Baki yadi Jadeja family tak ye baat pahunchi to mujhe yakin hai Meera ne koi na koi drama soch rakha hoga...


Meera:- Sia didi...


Meera itna hi kahi thi ki bich me usse Lata Mishra rokti... "Ab se Sia didi nahi balki Sia bolo. Rishte me tum Sia se badi hui aur didi kahna achha nahi lagta"..


Meera:- Kosis karungi, abhi muh se jo nikalta hai wo nikalne dijiye... Jis naam se pukare, bus ek dusre me pyar hona chahiye...


Diksha:- Haan Som gyani ne Meera gyani se shadi kar lee. Khair tum continue karo Meera...


Meera:- Jis din meri shadi hui uss din main kisi aur boyfriend ke sath college se nikli thi...


Teeno ek sath hairani se... "Kya???"


Meera:- Itna hairan hone ki jaroorat nahi hai. Ye sab set-up Som sir ne kiya tha.. Upar se abhi party me main Nikku bhaiya se kah chuki hun ki, main Neerav se pyar karti hun...


Sia, Meera ko ghurti... "Bus itne hi boyfriends hai na bhabhi ya aur koi naam hai"..


Meera:- Sia didiiiiiii…


Sia:- Haan aage bol na... Plan kya hai?


Meera:- Plan kuch bhi nahi hai... Wo sab to dimag wale log banate honge. Main to chal rahe mahol ko dekh'kar situation bana lungi aur 3 ladkon ke bich Jadeja family aisa chakkar khayenge ki sab ghanchakkar ban jayenge... Wo khud kabool karenge ki log meri shadi ka afwah udaa rahe...


Uski baat sun'kar sabhi hasne lage. Mahol kafi halka-fulka tha. Sia ne Meera aur Som ke first night ka bhanda phod diya. Fir to teeno ne hi mil'kar jo Meera ko chhedna shuru kiya, bechari sharm se pani-pani ho gayi. Hasi ke thahake charo ore gunj rahe the.


In sab ki hansi tab ruk gayi jab Mishra ji drawing room me pahunche. Unke aate hi sabhi aise khamosh huye mano wahan koi ho hi nahi... "Areee main koi bhoot hun jo mujhe dekh'kar sab khamosh ho gaye"…


Diksha aur Sia dono Kapendra Mishra ke karib pahunchi. Dono ek-ek baju pakad kar... "Aap pahle aaram se baith jaeye"..


Mishra ji thode se hairan huye kintu wo apni betiyon ki baat maan'kar baith gaye... "Aisa bhi kya ho gaya jo mere aate hi sab aise serious ho gaye"…


Diksha:- Papa, maa aapse kuch kahna chahti hai...


Mishra ji:- Naaa... Mujhe iska-uska fir nahi sun'na...


Sia:- Pitaji ye jaroori hai please...


Mishra ji:- Hmmm !!! Thik hai.. Kahiye ji itni takalluf kyun hai... Ya main hi kah dun... I love you meri ras-malai.. chalo kahin ghuma laaun... Sirf tum aur main.


Lata Mishra:- Chhi-chhi Mishra ji... Kuch to sharm karo.. dono beti baithi hai... Bahu baithi hai…


Mishra ji:- Areee abhi to hone wali bahu kaho ji... Meera bete tere aur Som ki shadi poora desh dekhega...


Meera:- Papa ji shayad ye baat maa na kah paye… Humne pahle hi shadi kar lee hai...


Mishra ji:- Kyaaaa????


Lata Mishra apne pati ke pass baith'kar uska haath thamti... "Suniye aap pahle poori baat sun lijiye"..


Mishra ji:- Poora sun'ne ke liye bacha hi kya hai... Main kaun sa inka saga baap hun... Aur saga baap bhi hota to kya ye puchh'kar shadi karte... Main sone ja raha... Lata bahu ke aane ki sari rashmen poori kar dena...


Mishra ji uth khade huye... Tabhi Sia ke phone se kadakti aawaz aayi.... "Mishra ji baith jaeye"..


Mishra ji ke pahunchte hi Sia apne dad Anurag Malhotra ko call laga chuki thi. Sia phone speaker par daale thi aur Anurag Malhotra poori baat sun rahe the...


Mishra ji:- Anurag tum ho kya? Kya tumne bhi sab sun liya?


Anurag:- Haan sun liya Mishra ji. Lekin mujhe aapse ye ummid nahi thi...


Mishra ji:- Anurag sach-sach batao kya tumhe Diksha ki shadi me na aane ka malal nahi...


Anurag:- Poora malal hai Mishra ji. Main to aata hi lekin aap logon ne mujhe meri beti ke shadi me aane nahi diya...


Mishra ji:- Apne bacche ki shadi me hum hi sarik na ho paye ye kitna dard deta hai tumhe nahi pata kya? Kya issi din ke liye itne laad pyar se inhe bada karte hai, ki ek din hume aisi khabar sun'ne mile. Aree ek baar kam se kam kah kar to dekhte... Inki shadi karwane me main yadi vifal ho jata to main inka pita kahlane ke kabil na rahta... Lekin in logon ne mujhe puchhne layak bhi nahi samjha... Ek pal me mere sare sapne, mere sare armaan par pani fer diya... Mujhe ummid nahi thi ki Som itna swarthi ho jayega...


Anurag:- Mishra ji mujhe Som par yakin hai. Wo aapka aur Lata bhabhi ka kabhi dil nahi tod sakta... Ek baar unhe sun to lijiye... Jaise aapke emotions hai, thik waise hi mere emotions hai. Thoda dhairya rakhiye...


Mishra ji:- Hmmm !!! Thik hai Anurag main inko sun raha hun...


Kuch bhavnatmak kshan the aur baton me bhavnao ka samagam. Meera dub'kar jab apni vivasta jahir karne lagi fir to Anurag aur Mishra ji dono, apni soch ke liye sharminda mehsus karne lage. Wahan har koi Meera se ek judav sa mehsus karne laga tha. Anth me Mishra ji aur Anurag ne unka poora sath dene ke liye haami bhar diya...


Finally.… Ek poori ghatna ko samet liya gaya tha. Halaanki Mishra family ke liye thoda mushkil aur dard bhara mahol tha jab pata chala ki Som ne shadi kar lee.. lekin koi na anth bhala to sab bhala...


Agli subah khushiyon ka naya savera le'kar aayi thi... Har koi Meera ko bith'kar apni khushi sajha kar rahe the aur Som ke na hone ka afsos bhi...


Subah ke karib 9 baje, Sia taiyar ho'kar bahar aayi... Usse aise taiyar ho'kar kahin jate dekh... "Ravivar ki subah kahan chali, kahin aisa to nahi ki humse chhipa'kar teri bhi koi kahani chal rahi ho"..


Sia:- Aur wo story kaun si ho sakti hai Diksha...


Diksha:- 2 hi to hongi... Ya to pyar ya fir Som ki tarah shadi…


Sia:- Ji nahi... Mere taiyar ho'kar jane ke pichhe teesri vajah hai... Aaj Mbbs 3rd year Vs Final year ka cricket match hai aur mujhe final year walon ke ore se match dekhne ka nimantran mila hai..


Diksha:- Kya wakai me cricket match dekhne ja rahi... Mujhe bhi le chal na bahan.. khub hooting karungi...


Meera:- Akele aklele kahan ja rahi ho... Main bhi chalungi… Main bhi khoob hooting karungi…


Sia:- 10 baje se match shuru ho jayega tum log jaldi taiyar ho'kar aa jao...


Teeno subah ke paune dus (9.45am) baje tak University ground pahunch chuke the. Wahan ka mahol dekh'kar Diksha hansti hui kahne lagi... "Maidan darshkon se khacha-khach bhada hua"…


Sia:- Haan band kar tane dena... University ki match hai koi international match nahi... .


Diksha:- Fir bhi 200-300 log to hone hi chahiye the.… Vyas... Vyas...


Sia se baat karte huye Diksha ki najar jaise hi Vyas par gayi wo usse bulane lagi...


Vyas unke karib pahuncha... "Aap log bhi match dekhne aaye ho kya?"


"Kaisi hain Diksha di"… Vyas ke pichhe se Sagar Chaturvedi ki aawaz aayi...


Diksha:- Sagar kaise ho? Kya tum bhi match khel rahe...


Sagar:- Haan main apni team ka captain hun ..


Diksha:- Sia wahan dekh to... Ye Nanda ki beti Kirti jaisi dikh rahi hai na...


Sia:- Diksha, abhi chup-chap yahan baith jao... Hum inke vipakshi ke supporter hai..


Diksha:- Kamal hai ek hi jagah itne jaan pahchan ke log kahan se aa gaye...


Vyas:- Aap log match ke maze lijiye hum log ground par jate hain...


Sagar:- Chalta hun Diksha di... Chalta hun Sia, Meera...


Un logon ke jate hi... "Sia Nanda ki beti ke bare me tu pahle se janti thi kya?"…


Diksha ka itna puchhna tha aur Meera ne campus ki uss din ki ghatna ka bakhan kar diya jis din Sia aur Faisal Sahnavaj aamne-samne the...


Diksha:- Hmmmm !!! Sia Faisal ki baat na bata'kar tumne bahut badi galti ki hai...


Sia:- Aaj ke baad main tumhe kabhi college le'kar nahi aaungi... Match enjoy karne ke badle kuch aur hi chal raha hai...


Diksha:- Som ko aane de ussi se baat hogi... Mujhe yahan ka mahol kuch thik nahi lag raha... Aakhir Faisal aur Nanda ke bich chal kya raha hai… Aur kya ussi ke sah par Nanda ne mujhse baimani tak karne ki sochi thi...


"Kaisi ho senior.. Aapke sath aur kaun guest hai"…. Wahan Nisha aur uska poora group pahunch chuka tha... Ek chhote se formal introduction ke baad sabhi log match dekhne lage... Final year ke captain… Captain Amarnath Chaudhry ne toss jita aur pahle batting chuna… Sagar ki team fielding karne maidan me utarne lagi...


Opening baiting ke liye jaise hi ballebaaj aane lage... Meera jor-jor se hooting karne lagi... Kyunki final year team ke opener ke taur par Neerav batting karne aaya tha... Neerav ke hath me balla dekh, Asif aur Vyas uske pass pahunche... "Baiman humare vipaksh se khel rahe"…


Neerav:- Maine tum dono se kaha apni team me mujhe bhi le lo.. Ek trial kar'ke dekh lo... Lekin nahi, main to convent baby hun. Padhaku ladka hun.. Cricket to un logon ka game hai na jo padhai-likhai kaam chalau karte hain... Dekho yahan mujhe opening mili hai...


Asif:- Main bhi opening bowling karunga bacche... Apne gote bacha…


Vyas, Asif ki baat par hanste huye... "Abe thoda slow boll dalna, baccha abhi se ghabra raha hai"…


Neerav unki baat par 2 kadam aage aa'kar kahne laga... "Best of luck"…


Match ka pahla over, Asif ke hath me ball. Asif ne apna run up set kiya. Darshak maidan par tak-taki lagaye... Aur ye Asif ne pahli ball dali... Woooo.. ek perfect bowncer aur Neerav ne duck kar diya..


Asif apni doosri ball dalne ke liye run-up liya.. Tej run-up ke sath dusri ball, aur ek perfect yourker... Aur Neerav ne defence kiya... Balling par wapas laut'te waqt Asif ne hath se defensive batting ka ishare karte wahan se nikal gaya...


Pahla over samapt hone ke paschat team ka score 1-0-0… Yani ki ek over, zero run bina kisi nuksan ke. Idhar audience stand me baithi Meera, chilla-chilla kar Neerav ko kos rahi thi... Chauke-chhakke marne ke liye halla kar rahi thi... Baki sabhi usse dekh'kar hans bhi rahe the aur sath me Neerav ko kos bhi rahe the ki, kis tuk-tukiya batsman ko batting ke liye bhej diya...


Wahin Sia, match ka luft bhi utha rahi thi aur apne aas-pass bhi dekh rahi thi. Sia Mbbs kar rahe sabhi students ko to nahi jaanti thi, lekin canteen me usne bahuton ko chehre dekhe the. Match jab shuru hua tab se uske aas-pass kayi anjaan log aa'kar baith rahe the...


Beshak sabhi 20 se le'kar 25 ke umr ke ladke the, lekin wo mbbs ke student nahi the aisa Sia ko shaq sa hone laga... Pahle over ki samapti ke baad Sia, Nisha se kahne lagi... "Lagta hai Mbbs students Sunday ke din der tak sote hain.. Sabhi match shuru hone ke baad ek-ek kar'ke aa rahe hain"…


Nisha apne aas-pass dekhti... "Sab to pahle aa chuke hain aur jo aa rahe hain wo kisi aur branch ke student hain.. inhe main nahi janti"..


Sia:- Are you sure.. Tum medical ke har student ko janti hi ho... Ho sakta hai ye medical students ho aur tum inhe nahi janti.


Nisha:- Dusra over shuru ho gaya.. Ye Mukul to Asif se bhi khatarnak bowler hai..


Sia:- Nisha, kuch puchhi...


Nisha:- Kya senior.. khud se jawab puchho na... Jahan tumne padha wahan apne senior-junior aur bahar wale ko pahchan'ne me koi bhul ho sakti hai kya? Hardly 5%… Ab match dekho… Ye dono opener kar kya rahe hain.. t-20 nahi test chal raha ho jaise..


Diksha:- Boooo… Boooo... Booooo… Final year walon haar maan lo... Tumse cricket na khela jayega...


Diksha jor se hooting karti chillayi... Nisha apni team se chidhti hui kahne lagi... "Salon ne naak Katwa diya.. power play me run nahi bana rahe"…


Ab cricket dekhne walon ke emotions kaun nahi samjh sakta, jab apni team ke batsman run nahi banate... Team ka score 5-4-0… yani 5 over me 4 run wo bhi extra ke the.. aur koi nuksan nahi... Neerav 18 ball khel'kar koi run nahi banaya tha aur uska partner 12 ball khel'kar koi run nahi bana saka...


Idhar support kar rahe darshakon ka para high ho raha tha... Udhar 3rd year team supporter apni team par khush the aur vipakshi team par tanj kas rahe the.. Aur idhar Sia...


Sia apne charo ore dekh rahi thi... Halanki jo bhi log baithe the wo Sia ke poore group se 5 fit ki duri par baithe the, lekin charo ore se takriban 200 log baith chuke the... Sidhiyon ke dayen aur bayen itni dur tak darshak baithe the, ki unke bich se gujrne ke dauran yadi sabhi darshak khade ho gaye to pata bhi na chale ki wahan bich me kya ho raha hai...





<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
🙏नैन भाई बात दोस्ती की नहीं धोखे की है और भाई मेरे किसी दोस्त ने मेरा पैसा नहीं खाया हा मैंने कितनो का खाया ये याद नहीं😆😆 वैसे भी दोस्ती यारी में पैसो को नहीं देखते यह उस पगलेट रियाज़ की वजह से व्यास और सिया का पूरा करियर ही बर्वाद हो जाता आप के हिसाब से ब्रेन वॉश है लेकिन क्या उसकी खुद की कोई सोच नहीं की जिसके साथ बचप्पन से जवानी तक सब कुछ बात यहाँ तक की चड्ढी भी उन्ही को इतना खतरनाक तरीके से फ़साना क्या ये सिर्फ दूसरो के भकावे में या पहले से भी कुछ तो गिला सिकवा रहा हो गा

नैन भाई अपडेट कब तक आएगा
Hahaha ... Kuch jyada hi gussa lag rahe Riaz par... Khair ek ek karke sabko dekhenge... Abhi party ke baad Mishra family hi dekh rahe hain... Jabki dusri ore bhi kahani chal rahi hai
 

nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
🥺न्यू ईयर की रात कुछ ज्यादा ही उधम मचा दिया था सवा खम्बे के बाद तब से अब तक हर रोज घर जाते समय कुछ ना कुछ आप के भाभी के पसंद का लेके ही जाता हु उसके बावजूद हालात सामान्य होने में अभी 15 से 20 दिन तो लग ही जायेंगे और तो और आज कल पड़ोसन भी ऐसे देख ती है जैसे मैं कोई शक्ति कपूर हु और आप 2-2 पेग की बात कर रहे है

:( I can understand... But wo explain nahi kar sakta :( ... Bahut bhayawah drishya tha... Yahan bhi main to sirf likh kar dil bahla raha tha... :(
 
10,105
42,462
258
Thankooo sooo much Sanju bhai.... Waise Meera ki ek chhoti si detail to pahle bhi aayi thi lekin kal uski jubani thi.... Khair kahani me abhi bahut kuch hai aur aapke itna mitha comment padh kar to mujhe sugar ho jana hai Sanju bhai... :D ... Thoda balance wala revoo mariye na... Thoda namak mirch aur masale wale...
Wahi to nahi hota mujhse . Esiliye to Naina ki kami mehsoos ho Rahi hai. Bekar me hi ego me le li. Yadi ho sake to aap bhi use ek baar PM karna.
 
  • Like
Reactions: DARK WOLFKING
10,105
42,462
258
Mera naam nahi hai isme :D
Kisi dusre ki story par dhang se apne diya hi nahi. Ekadh update me hi kuch logo ki story par dekha tha. Usse kya hota hai. Puri story par review dijiye. :D
 
Top