-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Hahaha ... Thanks bindas Bhai... Kuch majboori hi thi warna kahani complete ho gayi hoti...Waah bhai aap laut aye to thread me jaan aa gai.
Kya update diya hai starting me thodasa previous update ki jhalak dal kar sahi kiya kyu ki itne dino ke bad ab is story ko dekhne par pehle ka kuch yaad hi nahi tha
Chha gaye guru![]()
Thanks a lot aayush bhaiAwesome update bro
I hope the same sorbo bro... Kahani end kar dun... Well thanks a lotWelcome to back bhai.....or update mast hai........
I hope is baar kahani end tak jayegi
Ji aage update post kar diya hai... Thanks for your beautiful comment..बहुत शुक्रिया बड़ी मेहरबानी
अपनी थ्रेड में वापस हजूर आप आए
और नए अपडेट लाए
रॉ एजेंट का रेस्क्यू हो गया
रियाज के हाथ डालिया लग गई
सिया व्यास के चुंबन से सोम की सुलग गई
बहुत बढ़ीआ रहा
बस आगे भी अपडेट देते रहें
Nice update bhaiUpdate:- 86
Kahani tatkalik paristhiti
Ek taraf Riaz tha jo jaan-bujhkar apne doston se jhagra kiya karta tha. Hotel alfanso ke kamra number 211 ki ghatna ke karan Som ko Riaz ki sacchai pata chal gayi. Som, Riaz ko Sanju Vaghela ki nigrani me apne office chhod aaya tha.
Wahin Sia aur Vyas ki kahani thodi ulajh chuki thi. Hotel Alfanso ke ussi kamra number 211 mein Vyas aur Sia ko Som ne pakad liya tha. Sia apne aur Vyas ke bare me kya kahani kah de usse kuch sujh hi nahi raha tha, itne me Sia ko khabar mili ki Vyas ke paun me goli lagi hai. Sia harbaarakar Vyas ko dekhne nikal gayi.
Wahin Som aur uske dad Mr Anurag Malhotra ki ek anchahi mulakat Lucknow ke Air force field me ho gayi jahan pata chala ki Som "Indian Intelligence Of Rescue Force (IIRF) ka joint director aur field operational head hai. Anurag ke liye yah ek achambhit pal tha, kyonki iske bare me Anurag ne sapne me bhi nahi socha tha.
Yun to Anurag kayi salon baad chhuti lekar apni family ke sath waqt bitane aaya tha. Som aur Meera se milkar, unke shadi ki badhai dene aaya tha. Lekin chhuti ke samay me Anurag ke pass bhi ek anchaha kaam aa gaya. Pahle jahan IIRF ki team padosi mulk se ek RAW agent ko rescue karne wale the, wahin uss kaam ke sath hi ek aur jaroori kaam bhi IIRF se karwana tha. Aur yahi karan tha ki National security advisor ke deputy secretary Mr Anurag Malhotra aanan-fanan me IIRF ke office pahunche aur dang rah gaye. Khair iss waqt Som ki team bhi ussi mission par lagi hui thi. Som apne subordinate ko poora kaam samjha'kar apne dad ke sath wapas ghar chala aaya.
Thoda dramatic situation tab ho gaya jab Som ko lene police pahunch gayi. Police bhi Hotel Alfanso ke kamra number 211 me huye 2 murder ki chhanbin karti Som ke pass pahunchi thi. Som jab arrest ho raha tha, thik ussi waqt Sia ke pass Vyas ke goli lagne ki khabar pahunchi thi.…..
Sia jab hospital pahunchi tab wahan bhi alag hi syappa tha. Thanedar dwara pirit ke parivar yani Vyas ke parivar ko pratadna di ja rahi thi. Sia kafi sujh-bujh dikhati uss police wale se nipti aur sath hi sath Vyas se akele me milne ka mauka bhi mil gaya jahan wo apne poore emotions khul'kar dikha rahi thi.… Issi kram me hua yah ki Sia, Vyas ke honth se honth laga'kar Vyas se apne pyar ke izhar me lin thi aur thik usi waqt Som bhi Vyas se milne pahunch gaya. Iske purv Som hotel Alfanso ke kamra number 211 me dono ko akele dekha tha aur yahan to sidha honth se honth lage dekh liye.…
Kahani Aage.…
Waise ek ore jahan Som, Vyas aur Sia ko ghur raha tha, wahin issi waqt me kahin koi aur bhi bade aascharya se ghur raha tha.… Din somvar, sham ke lagbhag 6 baj rahe the. Aankh ke samne English me likha ek board tha, jisme Falana bazar, Haidrabad likha tha... Riaz ghur'kar kabhi uss angreji me likhe board ko dekh raha tha to kabhi dukano ke upar lage sthaniya bhasha ke board ko... Bada hi ajib chehra bana'kar Riaz khud se hi kahne laga.… "Ye Haidrabadi angreji ya telgu me dukan ka board likhte. Bc ye kya ghotala hai. Sare board angreji aur urdu me likhe hai"…
Ab Station Road, Allahabad ke aage India likhne ka to koi culture hi nahi. Thik waise hi shayad padosi mulk me bhi culture tha. Falana bazar, Haidrabad ke aage Pakistan likha hota to na Riaz ko samjh me aata ki wo kaun se Haidrabad me hai... Wo to bus Haidrabad me hai..
Darsal hua kuch yun ki Sanju ke najron se ojhal hokar Riaz wind duct ke sahare chala ja raha tha. Issi bich wind duct ka passage khul gaya aur Riaz dhamnn se niche gira. Uski kismat bhi.… Som ki team rescue mission ke liye bade-bade box me saman rakh rahi thi aur ussi box me Riaz ja gira.
Khair kahani kismat ki jise jahan pahunchana hota hai pahunch hi jate hain. Idhar Riaz box me gira aur behosh ho gaya aur jab hosh aaya tab charo ore andhera hi andhera tha. Usse shwans lene me taklif ho rahi thi. Thoda jod lagakar jab dhakka diya tab pata chala ki wah ek box me band tha aur wo box ek bade se cargo plane me thi, jo kisi virane me park tha. Ussi cargo plane me ek car bhi rakhi thi jise Riaz uthaya aur ghumne nikal gaya.
Usne jab car ka dashboard check Kiya fir to jaise jackpot hath lag gaya ho. Ek pistol aur 3-4 credit card, mobile etyadi rakhe huye the. Ghumte huye Riaz ek bazar me pahunch gaya aur wahan dukano ke board dekhkar achraz me tha. Khair usse ki karna tha nikal gaya ghumne.…
"BC south ki movie me to Hyderabad, Newyork ki tarah dikhate hain, lekin ye to kisi district ke bazar se bhi gaya gujra hai"… Riaz Hyderabad ke bazar ko dekh'kar khud se hi baten karte ja raha tha. Drive karte huye usse aadha ghanta ho gaya tha. Uski car shahar ko kafi pichhe chhod chuki thi. Charo ore jungle aur pahad the.
Riaz kisi jagah apni car rok'kar mutr visarjan ke liye ruka. Jab wah mutr visarjan kar raha tha, tabhi kisi ladki ke tej chillane ki awaz uske kan me padi... Riaz jaldi se zip band karte …. "BC jungle me mangal kaun kar raha"…. Riaz chhipte huye awaz ke ore chal diya. Kuch dur jungle ke ander jane ke baad use 6-7 ladke dikhe jo kisi ladki ko jabran niche litaye huye the. Riaz ko samajhte der nahi lagi ki yahan ho kya raha tha.
Samne jakar wah hero to nahi bana lekin un 6 ladkon ko bhagane ke liye Riaz ne dur se hi ek hawai firing kiya aur apni jagah badal liya. Firing sunte hi sabhi ladke chaukanne ho gaye aur ab Riaz ke bhauchakke hone ki bari thi, kyunki sabhi 6 ladkon ke pass autometic rifal thi. Un sabhi ke hath me bandook dekh'kar Riaz khud ko hi kos raha tha...
Khair usse position change karne ka fayda hua. 6 me se 5 ladke firing ki disha me gaye. Ek ladka ab bhi uss ladki ke pass nigrani kar raha tha.… "Jai ho PUB ji maharaj ki... Aaj sala poora squad khatm kar dena hai"… Man me khyal laate huye Riaz dhire-dhire aage badha. Hath me 8-10 patthar the jise wah jungle ke kisi bhi disha me fenk raha tha.
Yun to Riaz dhyan bhatkane ke liye fek raha tha lekin un sabhi ladkon ko aisa laga jaise charo ore se usse ghera ja raha hai. Turant hi wah apni poori paltal lekar wahan se bhag gaya. Jaise hi wah ladke bhage Riaz uss ladki ke samne aaya aur pani ki bottol badhate... "Tum thik ho ladki"…
Ladki "haan" kah'kar Riaz ke hath se pani ka bottol le lee. Lagta hai kafi pyasi thi, poori bottol hi ek baar me gatak gayi... "Tum kaun ho namurad? Kya unhi ladkon ke sathi ho jo mujhe bachane ka drama kar raha ya koi dusra group hai?"
Riaz:- Wah ri chhamiya, pani pite waqt itna khyal nahi aaya.…
Ladki:- Pyase ko pani pilana sabab ka kaam hai. Tumhare napak mansubon ko main thoda sabab de rahi thi...
"BC ye kya sabab aur kabab kar rahi. Lagta hai Haidrabad ke kisi khandani navab ke ghar ki beti hai, suddh urdu bol rahi"….. Riaz apne man me khyal late, bade dhyan se usse dekh raha tha. Apni ore Riaz ko ghurte dekh wah ladki apne chehre par naqab dalti... "Aise kya ghur rahe the kamjarb"
Riaz:- Mera naam Riaz Abdullah Khan hai..
Ladki:- Oh to tum wo namakul fauji ho, jise abbu ne meri jimmedari shaunpi thi. Galich ab tak the kahan?
Tabhi jungle ke uss mahol me ek jhannatedar thappad ki awaz gunj gayi. Riaz uss ladki ko ek thappad lagate.… "Bahut jyada patar-patar kar rahi ho... Idhar se gujar raha tha aur tumhari chinkh sun'kar aa gaya. Sala faltu me tumhari jaisi badtamij ke liye risk liya"…
Ladki:- Matlab aap wo Riaz nahi jise abbu ne kaam par rakha tha..
Riaz:- Kis jamane me ji rahe. Kaam par rakhne walon ki tum log tasveer tak nahi dekhte... Aakhir kis grah ke prani ho..
Ladki:- Aisi baat nahi hai Riaz ji. Subah airport se nikal rahi thi, tabhi abbu ne kisi Riaz ke bare me bataya tha. Uski koi detail mere phone me aayi ho wo pata nahi lekin airport se nikalte hi mujhe taxi wale ne kidnap kar liya aur main detail dekh nahi payi... Aapka bahut bahut shukriya...
Riaz:- Oh ye baat hai. Khair chalo iss jungle se chalte hain... Aur khud ko thoda achhe se dhako, jagah-jagah se kapde fate huye hain...
Ladki:- Haan main dekh rahi hun... Lekin kamjarbon ne mera saman, phone.. sab ke sab gayab kar diye...
Riaz:- Thik hai chalo mere sath... Waise Naam kya bataya apna..
Ladki:- Mera naam Daliya hai...
Riaz:- Apne abbu se baat kar lo Daliya..
Daliya:- Haan bahut meharbani hogi..
Dashboard wala phone Daliya ke hath me aur Daliya apne abbu se baat karne lagi. Kuch der baat karne ke baad Daliya ne phone Riaz ko thama diya...
Daliya ke abbu:- Hello tum kaun ho?
Riaz:- Ek musfir hun. Haydrabad ghum raha tha ….
Daliya ke abbu:- Allah ne jaise tumhe farista bana'kar bheja ho. Beta main 1 hafte ke confrence me bahur mulk aaya hun. Kya tum 1 hafta meri beti ko surakshit rakh sakte ho. Aane ke baad main tumhe muh maanga inam dunga. Upar wale ne hume sirf ek hi aulaad se navaja hai us par bhi begairton ki najar padi hai...
Riaz:- Aap befikr rahiye uncle. Main Daliya ko ek hafte hifazat se rakhunga.
Daliye ke abbu:- Waise tum ho kaun aur ye private number tumhe kahan se mila...
Riaz:- Kuch baaten phone par nahi ho sakti. Aap laut aao fir baat karte hai...
Daliya ke abbu:- Tumhari juban bahut saaf hai... Kahan ke rahne wale ho...
Riaz:- Isi prithvi ka nivasi hun... Abhi yahan jyada der ruk nahi sakta, warna wo log laut aayenge... Khuda hafis..
Riaz apni baat samapt kar Daliya ke sath chal diya. Sham dhal chuki thi aur Riaz wapas Haidrabad market me tha. Daliya credit card se kuch shopping ki aur dono wapas chal diye.…
Car jaise hi cargo plane me ruki, Daliya chaunk kar charo ore dekhti.… "Tum Millitary se ho?
Riaz:- Nahi main Millitary se to nahi, chupke se iss plane me chadha hun...
Daliya:- Ya Allah, kisi ne hume yahan pakad liya to musibat ho jayegi...
Riaz:- Chinta kyon karti ho, main Millitary se nahi lekin is plane me jo tukdi hai, wah mujhe achhe se janti hai. Tum yahan sabse jyada safe ho. Sadkon par rahi to wo rifal wale ladke pakad lenge... Waise wo log the kaun...
Daliya:- Mujhe jarra bhi ilm nahi ki wo kaun the... Main to der raat Landon se pahunchi thi aur subah mera kidnap ho gaya...
Riaz, iss se pahle ki kuch aur puchhta tabhi bahar kuch hulchal hone lagi.… Riaz fusfusate.… "Jaldi se kahin chhip jao"
Daliya:- Lekin tum to kah rahe the tumhe yahan sab jante hain...
Riaz:- Haan achhe se jante hain. Dekh liya to goli nahi marenge lekin touture jaroor kar sakte hain ..
Daliya:- What?
Riaz:- Ye shocking expression dena band karo aur chup chap chhipne chalo. Baki baten baad me hogi...
Daliya:- Aree jahil khana aur pani to lene do. Hath khinchna band karo.…
Dono hi cargo plane ke kisi kone me chhip gaye. Plan me Naveen ki aguwai wali poori tukdi chadh chuki thi. Wah ongoing mission ke jaroori intel Vikram aur Sanju ko de rahi thi. Uske baad wo cargo plane kabhi khali hi nahi hui. Dekhte hi dekhte pahle Vikram aur baad me Sanju ki team bhi pahunch gayi. Teeno team ke sath hote hi viman afganistan ke raste Hindustan ke liye rawana ho chuki thi.
Mission ki safalta sabhi sath me enjoy karte huye wapas udan bhar chuke the bina iss ka khyal kiye ki apne sath kise le ja rahe hain. Iske purv Som, Sia aur Vyas ki anokhi mulakat hospital me chal rahi thi, jahan Sia, Vyas ko chum rahi thi aur Som pahunch gaya.
Poore mahol me chir-shanti chha gayi. Som ko dekh'kar Sia uchhal'kar alag hui aur chup-chap kone me khadi. Som kabhi Sia to kabhi Vyas ko dekh raha tha.…. "Yahan aakhir chal kya raha tha?"….. Som lagbhag chinkhte huye puchha.…
Sia kahe to kya kahe aur Vyas ka bhi wahi haal tha. Wo dono khamosh aur Som gusse me aag babula.…