• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

The king

Well-Known Member
4,239
15,468
158
Update:-88(A)



Meera gusse me thi wahin Som vichitr si pristhiti me fasa hua tha. Lucknow Millitary air field me ek ghuspaith ki suchna thi, jisme Ek Hindustani ladke Riaz ke sath ek Pakistani ladki Daliya pakdi gayi thi. IIRF ne unhe pakda hota to bhi mamla hath me rahta, lekin IIRF ke operational area me ghus kar IAF ke officers ne 2 ghuspaithiyon ko pakda tha, jahan ab mamla 2 agency ke bich tha...


Mangalwar ki dopahar ka waqt raha hoga. Lucknow Airforce Station par IIRF ki Cargo plane land ki. Sabhi vijayi team-mates apne objective ke sath IIRF ke office me pahunche. Som khud un sabke swagat me khada tha. IAF aur IIRF ke kuch common staff jo plane me loading aur unloading ka kaam dekhte the, wah Cargo plane se unloading kar rahe the. Cargo plane se kuch box ko mini-pickup truck me rakha ja raha tha jo Lucknow sthit IIRF ke office "The Connecting" apartment pahunchta. To kuch yahin airforce station ke office me le jaya ja raha tha.


Som apne team leaders se mission ki detail le raha tha aur poori files taiyar ki ja rahi thi. Issi bich Cargo plane me chhipe Riaz aur Daliya ko thoda sa mauka mila aur dono plane se utar gaye. Daliya jab wahan ke charo ore ka najara dekhi apna sir pakad'kar baith'ti.… "Ya allah ye kahan aa gaye hum"…


Riaz:- Kya kar rahi ho, yahan aise nahi baith sakte...


Daliya, Riaz ka collor pakadti... "Namakul, Kamjarbh, ye tum hume kis napak dharti par le aaye"…


Riaz ke ragon me jaise current daud gaya ho. Dimag jhanna gaya aur wo Daliya ka gala dabochate.… "Humari matribhumi ko napak kah rahi. Galich.. khati yahan ka hai aur yahin ke bare me aisa kah rahi. Tujhe to jine ka haq nahi"…


Daliya:- Kamjarbh gala chhodo... Ye tumhare afsaran Hindustan me koi mission karne aaye hain kya???


"Hindustan me mission"… Iss vakya par Riaz ke kaan khade ho gaye... "Abhi kya kaha tumne"…


Daliya:- Namakul, charo ore Indian Flag nahi dikh rahe hain kya? Ye Pakistan ki kaun si aisi diler team hai jo sidha Hindustan ke Millitary camp me land hui...


Riaz, apne sar ke baal nochte.… "Tum Haydrabad se ho na"…


Daliya:- Nahi main Peshawar se hun... Haydrabad to main apni khala ke yahan aayi thi ..


Riaz:- Peshawar??? Kya tum Pakistan se ho???


Ab chaukne ki bari Daliya ki thi... Daliya thodi stabdh hoti... "To kya tum Pakistan se nahi ho?"


Riaz, ka jaise dum nikal gaya ho. Bade hi thake awaz me... "Nahiiii.. Par Haydrabad ke chakkar me sab gadbad ho gayi"


Daliya:- Iska matlab tum Hindustan se ho aur tumhare ye dost bhi Hindustani hai. Tum log gair kanooni tarike se begane mulk me jasoosi karne gaye the, aur baar-baar pakistan par ilzam lagate ho ki hum border se ghuspaith karwate hai...


Riaz:- Haan to isme ilzam lagaane jaisa kya hai. Aaj bhi humari tukdi tumhare yahan se huye kisi chutiyape ka hi jawab dene gayi hogi...


Daliya:- Haan wo dikh raha hai... Jab khud ki galti ho to ilzam aise hi dusron par dalte hai. Lekin iss se sacchai nahi badalti ki tumlog ghuspaith karte ho...


Riaz:- Rahne do mera muh mat khulwao... Wahan tumhare kisi bhi civilian ko koi nuksan hua. Kahin bomb fatne ki news aayi. Aur mera dava hai ki humare officers jo kaam wahan kar'ke aaye honge wah Pakistan ke news me to aana dur ki baat hai. Hum yadi kah bhi de ki humne Pakistan me ghus'kar aisa kiya to bhi tumhari sarkar nahi kabool karegi... Kyonki unhe bhi pata hota hai ki jinhe humne Pakistan me ghus'kar maara ya wahan se utha'kar laye wo internationally banned militant groups ke log hain... Ye to tumhari aukaad hai...


Daliya:- Hume aukaad na samjhao. Jabran humare Kashmir par kabja kiye ho to log protest karenge hi. Aur harkaten tumhare hisse ke kashmir me hoti hai aur ilzam hum par daal dete ho .. Waise bhi humara ek jawan tumhare 10 par bhari padta hai ..


Riaz:- Tum log wo jahil ho jo border se jabran ghuste ho aur masoom nihatthe logon ko target karke khud ko bade tope dikhate ho. Wahi jab humare kisi Millitary ki tukdi se pala pad jata hai, tab wo log tumhari aukat dikha dete hain...


Daliya:- Haan wo to dikh hi raha hai... Mere abbu ko target karne ke liye kitni safai se uski masoom beti ko kidnapped karwa kar Hindustan le aaye...


Riaz:- Tera baap kahin ka governer hai kya??


Daliya:- Adab se naam lo namurad. Haan wo Lahore ke governer bhi the aur iss waqt London me Pakistani ammebesy ke ucch adhikari hai...


"BC ye to international news ban jayega... Ab kya karun... Dusre ke fate me taang adana lagta hai bhari padne wala hai"….. Riaz mann me khyal late ek baar upar se niche tak Daliya ko dekha... "Suno tum kidnapped nahi hui"…


Daliya:- To kya Mujhe Hindustan ghumane laye ho?


"Tum dono apne hath upar karo aur apni I'd dikhao"… Yun to dono chhipte-chhipate ja rahe the... Lekin ek to dono ke awaz ki volume kabhi-kabhi kuchh jyada hi high ho jati. To dusri kahani yah thi ki Riaz ko pata hi nahi tha ki Air force station se kahan jana hai. Issi bich IAF ke officers ne unhe gher liya.…


Riaz ne to apni I'd dikha diya lekin Daliya se baar-baar puchhne par bhi jab koi jawab nahi mila, tab Riaz ko thoda sa tourcher kiya gaya aur usne Daliya ki poori detail bata diya. Daliya ki pachan khulate hi IAF ke office me kautuhal ka mahol tha. Bade-bade adhikari pahunch rahe the. Wo log Riaz se puchhte rah gaye ki aakhir wo dono yahan kaise pahunche aur bhi na jane kayi sawal.. Jaise ki Pakistan se kaise uska sambandh hai? Wah pakistani Ladki ke sath IAF ke Air base par kaise aur kyun pahuncha... Hindustan ke khilaf kaun sa operation chala rahe hai aur uske sathi kaun-kaun hai?…


Riaz baki sawalon ke jawab to de raha tha kewal yah nahi bata raha tha ki wah Daliya ke sath Lucknow Air Base par kaise pahuncha. IAF ke ek adhikari ne IIRF ke office me suchna di ki uske cargo ke pass ek Hindustani ladka aur Ek pakistani ladki pakdi gayi hain... Jaldi se aa kar jawab de ki unka cargo gaya kahan tha aur ye dono IIRF ke ussi ilake me kaise pahunche jahan cargo thi...


Som to champagne khol kar jit ka luft utha raha tha jab uske kano tak yah suchna pahunchi... Som turant apne teeno team leader Naveen, Sanju aur Vikram ko line up karte.… "Humara koi agent kisi Pakistani ladki ko kidnapped kar'ke laya tha kya"…


Teeno ek sath... "No"…


Som:- Cargo plane me koi chupke se chadha tha kya?


Teeno ek sath... "No"..


Som thoda tej awaz me .. "To jis waqt humara plane pakistani territory se wapas aata hai, uske kuch der baad ek Pakistani ladki humare official area me kaise pahunchi?"..


Teeno ek sath... "Don't know sir"…


Som:- To abhi IAF ke office jao aur poora mamla pata karo?


Teeno IAF ke office pahunche aur jaise hi aankhon ke samne Riaz ko dekha, Sanju ka dimag kaam karna band kar diya... Sanju ki haalat dekh uske dono sathi sawaliya najron se usse ghurne lage... Sanju dono ko shant rahne ka ishara karte.. Base Incharge se... "Sir ye humare log hain isliye base par kya kar rahe the, kuch bata nahi rahe"


Base Incharge Air Commodore Atul Ahuja.… "Kya ye Pakistani ladki bhi tumhari agency me hai"…


Sanju:- Sir hum bahar ke deshon me mission operate karte hain, aap samjh sakte hai na.. Humare contacts & informers..


Atul:- In dono ko jis haalaat me pakda gaya hai uss se bahut kuch samajh chuka hun... Sabit karo ki ye tumhare log hain...


Sanju:- Sir ab main kaise sabit karun...


Atul:- Tumhari Agency koi I'd issue nahi karti hai kya? Fine, yadi Id issue nahi karti to koi case file lao jinme in dono ka jikr ho..


Sanju:- Sir hum apne agency ki case file nahi de sakte... Aur haan jab aap logon ne isse humare area se pakda hai to kayde se inhe hume shaunp dijiye..


Atul:- Kayda chahiye tumhe.. then fine... Kayde se hi aao... Inki poori detail ke sath official handover paper le'kar aao... Tab hum release karenge... Now get lost... In IIRF walon ko bahar ka rasta dikhao aur bina kisi official visit paper ke apne premises me inko ghusne mat dena...


Badi hi beijjati ke sath Base Incharge ne Sanju, Naveen aur Vikram ko bahar ka rasta dikha diya. Kayde-kanoon ke chakkar me mamla kuch jyada hi ulajh gaya. Som ke mission complition ki khushi me tab aag lag gayi jab uske sangyaan me poora mamla aaya... Ghurti najron se wah Sanju ko dekhte huye.… "Kisi mission ko lead karna ho to kitne josh me rahte ho. Wahin jab kabhi kisi dusre agency me baat karne bhejta hun to rayta kyun faila dete ho?"..


Sanju:- Boss wo Air Commodore Atul purani khunnas nikal raha hai. Ek baar wah IIRF ka office dekhna chahta tha aur humne usse aane nahi diya tha, ussi ka badla le raha hai...


Som:- Sanju mujhe mat samjhao... Atul sir achhe aadmi hai... Main personally unse mila tha aur unhe samjha bhi chuka hun ki kyon hum apne working area me kisi ko aane nahi de sakte? Tumhe to insano ki bhi parakh nahi...


Sanju:- Boss ab kya kare...


Som:- Har kaam mujhse hi karwa lo... Ek ladka tumse sambhala nahi gaya.… Aur 3 team cargo par ho kar bhi kisi ko bhanak tak nahi lagi ki Cargo me koi chhupa hai. Ye wahi Riaz hai na Sanju, jo pahle Connecting Apartment ke security ki dhajjiyan udaa chuka hai. Uske baad wah ladka kaise palne me ghusa kisi ko ilm nahi. Cargo plane ko chhod'kar sabhi mission ke liye nikal gaye lekin wahan ek aisa banda nigrani ke liye nahi chhoda jo dekh sake ki Riaz kab cargo se bahar gaya aur fir wapas kisi ko apne sath le aaya.… Tum log elligal tarike se kahin ghuste ho tab aisi gair-jimmedarana rawaiyya... I have doubt, tum log apne kaam ko seriously le bhi rahe ho ya nahi...


Naveen:- Boss aisi baat nahi hai...


Som:- To fir kaisi baat hai Neveen... Riaz ki jagah militant group ya ISI ka agent chhupa hota tab.…Teeno team ke sabhi member ek baar fir traning center jayenge...Wahan pahle proof kijiye ki aap sabhi IIRF ke layak hai, warna sabko unfit ghoshit kar'ke unhi departments me wapas bhej dunga jahan se uthaya tha... Dispersed...


Un sabhi team ko ek sath wapas jate hi... IIFA director IAS Avneesh Sinha.… "Som ye koi chhoti galti nahi hui hai. I seek a written explanation."


Som:- Sorry Sir, mujhe pata nahi tha ki ye log itne laparwah hai... Is baar ke liye sabko chhod do. Main personally in sabki traning ko observe karunga..


Avneesh Sinha:- No... This is an intolerable act.. new recruits ki taiyari karo... Aur haan wo ladka kaun hai Riaz..


Som:- Yahin Lucknow ka local hai..


Avneesh Sinha:- He proofs himself.. Usse job offer karo aur ye Pakistani ladki ka mamla jald se jald settle karo...


Som:- Sir lekin Naveen, Sanju aur Vikram best hai..


Avneesh:- Best hai nahi.. the... 20 new recruits plus Riaz aur wo pakistani ladki..Poora kaam aaj hi khatm hona chahiye. End of the day 00:00 hour tak ka samay hai..


Som:- Ok Sir... Aur in 3 team ka kya kare...


Avneesh:- Unhe traning karne do... Tumne sahi discision liya hai... Khud ko proof kar sake to thik warna sabko dismiss karo... And one more thing...


Som:- Kya?…


Avneesh Sinha:- 00:00 hour ke baad tum ek team ke sath middle East nikloge... Isliye apni team taiyar rakhna. Mission ki poori detail tumhe der raat mil jayegi... Remember one thing... Yadi mission me kuch bhi gadbadi hoti hai to tumne apne juniors ko to traning me bheja hai... Lekin main tumhe sidha dismiss karunga... Is that clear...
Nice update bhai
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,468
158
Update:-88(B)


Avneesh Sinha:- 00:00 hour ke baad tum ek team ke sath middle East nikloge... Isliye apni team taiyar rakhna. Mission ki poori detail tumhe der raat mil jayegi... Remember one thing... Yadi mission me kuch bhi gadbadi hoti hai to tumne apne juniors ko to traning me bheja hai... Lekin main tumhe sidha dismiss karunga... Is that clear...


Som:- Yes Sir..


Avneesh Sinha:- Fir mera muh kya dekh rahe ho... Lag jao kaam par aur pahle khud ko sabit karo...


Yah din Som ke liye kafi lamba ho gaya. Sabse pahle to IAF ki karyavahi ko rokni thi warna mamla tul pakadta to IIRF ki dhajjiyan udd jati. Yahan mamla unofficially niptana tha aur base Incharge Atul ko ab sara kuch officially hi chahiye tha.


Dopahar ke 3 baje se intzar karte-karte sham ke 5 baje Atul milne ke liye raaji huye. Takriban aadhe ghante tak convience karne ke baad Atul, Som ki baat ko maante huye Riaz aur Daliya ko shaunp diya. Lucknow Air Base se un dono ko sidha Connecting Apartment me bhej diya gaya, jahan in dono ko kamre ke alawa kahin aur jhankne tak ki izazat nahi thi.


Sham ke karib sadhe 5 baj rahe honge. Riaz aur Daliya ko bhej diya gaya aur office me kewal 3 log Som, Charnjeet aur Aakash baithe huye the...


Charanjeet:- Boss humse chuk kahan ho gayi...


Som:- Pata nahi Charanjeet... Riaz nahi hota to hume inke casual apporch ka pata tab chalta, jab koi bahut badi musibat ho jati...


Charnjeet:- Aakash Delhi office me Dhurv se contact karo..


Ek minute baad Dhruv line par aate... "Hello Charnjeet Sir, kaise yaad kiye"..


Charanjeet:- Tumhe agle aadesh tak suspend kiya jata hai. Suspension ke dauran tum house arrest rahoge, jabtak ki humari puchh-tachh khatm nahi ho jati...


Dhruv:- Sir baat kya hai...


Charnjeet:- Call over... Aakash, Banglore office Satish Ram subrmanyam ko call karo.....


Kuch der baad Satish line par aate... "Hello sir"..


Charnjeet:- Satish ji aap abhi 25 recruits suggest karenge wo bhi 2 ghante me. Yah kaam khatm karne ke baad sidha Delhi office ja'kar join kijiye.…


Satish:- Sir yahan ka kaam..


Charnjeet:- Apne 3 subordinate ke promotion ka proposal bhejiye, unhi me se kisi ek ko promote kiya jayega..


Satish:- Aur Delhi me main kya kewal training hi dekhunga..


Som:- Satish ji maine aapke naye traning manual ko approved kar diya hai. Aaj se aap Dhruv ki jagah IIRF ke new traning head rahenge. Iske alawa recruitment karne wali ek fresh team banaeye jiske proposed candidate ka test le'kar final interview ke liye humare pass bhejenge.. Aapko kuch kahna hai...


Satish:- Thanks a lot sir...


Som:- Satish ji, aap hum sab me kafi senior hai. Ummid hai aapke anubhav ka fayda hum sab ko ho... Haan lekin pahle 25 new recruits ki list bhejiye...


Call disconnect hote hi Aakash hath utha diya... "Ji Aakash sir"


Aakash:- Sir baki sari agencies jahan itne sare tracing device aur tracker istamal karti hai wahin humari agency in sab chijon se itni parhej kyon karti hai... Yadi cargo plane ka motion sensor aur any upyogi taknik ka istamal kiya hota to aaj ye din dekhna nahi padta...


Charnjeet:- Dhruv ki naukri abhi issi baat ke liye gayi na... Aakhir kaisi traning thi uski jo ye log basic tak sahi se follow na kar sake... Cargo ke survilence camre tak ko in logon ne check nahi kiya. Motion sensors on nahi kiye... Kisi bhi prakar ke suraksha intezam nahi tha aur na hi cargo me kisi ko chhod'kar gaye the... Rahi baat tracing device aur hi-tech humare na istamal karne ki to kya jabran ghusne wale hi-tech sequrity bridge ko tod nahi sakte?…


Aakash:- Haan ye baat to hai, lekin...


Som:- Main tumhari bhavnao ko samjh raha hun lekin DRDO se hume utna support nahi milta jitna baki agencies ko milti hai. Hume to high technical support, survilence aur hi-tech sequrity se nipatane ke liye, NSA ko approved kiya gaya hai. Unhi ki daya se humara kaam chalta hai... Sabhi agency ke mukhiya ek mat ho'kar kahte hai ki humara kaam to kewal dusre agencies ko support karna hai, uske liye alag se poora survilence aur high-tech technical support team kyon chahiye...


Aakash:- Oh ho... Isliye main kahun ki ab tak koi dusra ethical hacker ya fir software wale iss department ko kyon nahi join karte...


Som:- Humari apni limitations hai. Hume under the rule & regulations kaam karna padta hai... Khair kuch jaroori chijon ka proposal tum bhi bana lo. Iss baar lad jhagad kar un sab ko applicable karwa lunga... Charnjeet middle East ka mission risky hone wala hai kya?


Charnjeet:- News hai ki Indian aur Russian Navy joint operation kar rahi thi. Joint operation me samil sabhi officers gayab hai... Russian agency apne hisab se investigation kar rahi hai... Aur Idhar se shayad hum logon ko bheja ja raha hai...


Som:- Hmmm... Thik hai yahan ki team ko rahne do, tum Sameer Singh se contact karo...


Charnjeet Aakash ke ore dekha aur usne turant Sameer se contact kiya.…


Sameer:- Hello bade sahab log... Bade din baad yaad aayi...


Som:- Sameer main bol raha hun..


Sameer:- Sorry sir, mujhe laga Charanjeet hai...


Som:- Sameer tum kiski investigation me lage huye ho...


Sameer:- NSA ka kaam hai... Indo-China eastern border par hun..


Som:- Wahan se apni poori team ko ready kar'ke apni location bhejo... Aaj hi hume niklna hai...


Sameer:- Fir yahan ka kaam...


Som:- Wahan ke kaam ke liye ek immature ki tukdi yahan se bhejunga... Apne kisi bharosemand ko poori baat samjha'kar team lead karne kah dena...


Sameer:- Thik hai sir. Main aadhe ghante me poori team ready kar'ke location bhejta hun...


Call disconnect ho chuka tha. Aakash canteen se kuch halka-fulka khane ke liye le aaya. Sath me Scotch ki ek bottol bhi le aaya... Kuch snax ke sath teeno apna pahla peg uthaya... Som peg khinchne ke sath hi ek gahan soch me kuch der duba raha fir jaldi se dusra peg khinchte.… "Charnjeet mission ke liye sare equipment mangwa lo. Ab rah gaya uss ladki Daliya ke bare me sochna"…


Charanjeet:- Mujhe to wo normal civilian lagi.


Som:- Haan lekin uska baap to normal civilian nahi. Thodi si chuk se na sirf agency badnam hogi balki desh ki izzat bhi internationl forum par uchhlegi...


Charanjeet:- Kyon na Daliya ka kaam Riaz ko hi shaunp de. Issi bahane uski efficiency bhi samjh me aa jayegi aur Daliya ko le'kar agar koi doubt hua to subject nuturalise bhi kar dega...


Som:- Kya wo aisa kar payega...


Charnjeet:- Wah nahi kar paya to un dono ko Pakistan me hi nipta denge...


Som:- Haan yah sahi prastav hai. Aakash Vijay Awadiya ko phone lagao...


Kuch hi pal baad Vijay Awadiya…. "Hello kaun"..


Som:- Tera baap Som bol raha hun...


Vijay:- Som saheb... Iss garib ko kaise yaad kiya...


Som:- Tumhare liye ek kaam hai..


Vijay:- Karna kya hoga saheb...


Som:- 2 logon par najar rakhni hai aur baat humare mann mutabik na ho to turant hume suchna dena hai... Aage ka fir uske baad batayenge..


Vijay:- Maal kitna milega...


Som:- Najar Pakistan tak banaye rakhni hai... Apni kimat bolo...


Vijay:- Kam se kam 50 lakh aur aane jane ka poora kharch..


Som:- Kuch jyada bada muh nahi khul gaya...


Vijay:- Saheb Pichhli baar videsh me apna 2 pantar sahid ho gaya... Sun'ne me ye tak aaya hai ki uss Nirbhay Singh ke pass ab to bhejne ke liye chhokde nahi bache... Uske itne panter ko aapne sahid kar diya...


Som:- Jyada ander mat ghus, kitni baar samjhaun... 40 lakh aur sare kharch... Aaj raat hi Lucknow ke liye niklo... Yahan meri PA Neha sari details de degi.…


Vartalap khatm hone ke baad Charanjeet ek peg Som ke ore badhate... "Boss sara kaam khatm hua"…


Som:- Abhi kahan... 25 recruits ke bare me detail collect karna aur unko parakhna bhi hai... Tum nikalne ki taiyari karo main recruitment dekhta hun...


Sham ke 7.30 baje se fir ek merathan shuru ho gaya. Satish ne sare naye recruits ki details bhej diya. Aakash ek-ek kar'ke sab se sampark kiya aur Som ne personally sabko parkha. Satish ke suggest sabhi 25 naye recruits kafi kabil dikhe... Sabhi ka interview khatm karne ke baad Satish ko jaroori baten samjha di gayi thi.


Poora kaam samapt karte huye lagbhag 11 baj chuke the. Uske baad Som aur Charanjeet ne milkar sara paper work khatm kar diya. Tay samay ke hisab se Som ne apna poora written explanation Director Avneesh Sinha ko submit kar diya. Jaise hi usne poora written explanation submit kiya, Avneesh Sinha apne chember se bahar aa'kar Som ke sath ek walk lete...


Avneesh:- Sorry main jara shakt ho gaya..


Som:- It's ok sir .. hum sabhi apna kaam kar rahe hain...


Avneesh:- Tumhari team ready hai..


Som:- Haan wo ready hai...


Avneesh:- Mission ki poori detail send kar diya hai. Aaram se mission complete karo. Yah mission apne agency ke liye proud hone wala hai, isliye tumhe bhejna majboori thi.… 2 deshon ke 22 officers gayab hai. Ek poori pandubbi gayab hai. Jao aur poori investigation kar'ke sabko surakshit wapas lao...


Som:- Itna bada operation hume mila kaise...


Avneesh:- Pakistan me ghus'kar jo 3 target tumne uthaye the, uss se prabhavit ho'kar Home ministery se hume direct order mile hain.…


Som:- Thik hai sir, main poori kosis karunga….


Avneesh:- Som ek baat aur... Russian agency bhi iss case par kaam kar rahi hai... Dekhna koi credit unhe na mile..


Som:- Let's hope for the best sir... Mission ke jit ka celebration karne ke baad hi aap Lucknow chhodna...


Avneesh:- Jo hukm sir .. chalo ab niklo tum log...


Raat ke 12 baje Som ka viman udan bhar chuka tha. Din se le'kar ab tak ka mahol aisa raha ki iss dauran Som ko ek baar bhi Meera ka khyal nahi aaya. Office aate hi phone to waise hi silent ho jata hai aur jab mission ke liye nikal rahe ho to koi bhi apna phone sath le nahi ja sakta.… In sab poore prakran me Meera kahin gayab si ho gayi.…


Som ka viman der raat sabse pahle Indonesia ki seema me land kiya. Wahan se sabke Indonesian passport aur I'd collect karne ke baad viman ko officially Tunisia ki seema me utara gaya aur wahan se by road sabhi Libya ke ek mukhya sahar Tripoli ke liye rawana ho gaye. Intel ki maane to jo pandubbi gayab hui thi uska location bhumadhya Sagar dikha raha tha. Yah apne aap me ek achraj bhada vakya tha, jab ek poori pandubbi hi hijeck kar liya gaya ho.


Libiya ki pristhiti kabhi bhi samaya nahi rahi. Tel ke akut bhandar aur unpar malikana haq ki ladai jag jahir thi. Upar se wahan ke rajnitik haalaat bhi kafi uthal-puthal se bhara tha. Kayi sare group wahan par active the. Tripoli, Lybia ke un shahron me se ek tha jahan ghani abadi basti thi.


Tunesia se karwaan nikla aur agle din sham 4 baje ke karib Som & company Tripoli ke ek hotel me check in kar rahe the... Sabhi roop-rekha taiyar karne ke baad poore team ko kaam par laga diya gaya tha. Iran, Iraq aur middle East ke anya country ke informers se Tripoli me kisi safe informer pata lagane kaha ja raha tha.


Poore 24 ghante ki khak chhan'ne ke baad 2 bhadose ke informers ka pata chala. Ek ka naam Elaaf tha aur dusre ka Aaban. Dono hi uss kshetr ki kafi jankari rakhte the aur kisi bhi mamle ko pata karne ki kabiliyat. Dono informers milne ke baad to jaise investigation ko nayi disha mil gayi thi.



Haan lekin yah kahna galat nahi hoga ki informers ke milne ke baad Som ki team ne kewal thrill hi face kiya. Aadhe se jyada waqt to samajhne me lag gaya ki kaun kiske pichhe hai aur ek baar jab tasveeren saaf hui fir aage jo hua wah shayad ek epic history hi tha...
Nice update bhai waiting for next update
 

Ajammy

Active Member
1,217
2,713
158
Waiting
 

Monty cool

Member
246
870
93
नैन भाई आप को क्या कहु समझ नहीं आरहा है इतने दिन गायब फिर अचानक इतने सारे थिरिल के साथ वापस वैसे वेलकम बैक
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,874
143
Ab fir gayab ho gaye lagta hai
Nain sab thik to h na bhai
Kai mahino se kuch badlav mahsus ho rha hai aur purane sare readers bhi idher udher ho gaye h ...
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

nain11ster

Prime
23,612
80,684
259
Ab fir gayab ho gaye lagta hai
Nain sab thik to h na bhai
Kai mahino se kuch badlav mahsus ho rha hai aur purane sare readers bhi idher udher ho gaye h ...
Nahi gayab nahi hua.... Bahar traveling me tha... Short notice par nikalna pada isliye update post nahi ho paya... But don't worry kal update chhapega... Fir parso aur tarso aur Sunday ko ek shadi me nikalna hai... Then fir Monday se... Waise kosis karunga ki waqt nikal kar update post kar sakun... But shadi me jyada logon ke bich gira raha fir thoda muskil ho jayega
 

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,874
143
Nahi gayab nahi hua.... Bahar traveling me tha... Short notice par nikalna pada isliye update post nahi ho paya... But don't worry kal update chhapega... Fir parso aur tarso aur Sunday ko ek shadi me nikalna hai... Then fir Monday se... Waise kosis karunga ki waqt nikal kar update post kar sakun... But shadi me jyada logon ke bich gira raha fir thoda muskil ho jayega
Apna dhyan rakho Miya
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Mbindas

Active Member
1,957
4,153
158
Waiting bhai
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )
Top