-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Awesome update bhai waiting for next partEnd Of The Chepter:- 1
Poore 24 ghante ki khak chhan'ne ke baad 2 bhadose ke informers ka pata chala. Ek ka naam Elaaf tha aur dusre ka Aaban. Dono hi uss kshetr ki kafi jankari rakhte the aur kisi bhi mamle ko pata karne ki kabiliyat. Dono informers milne ke baad to jaise investigation ko nayi disha mil gayi thi.
Haan lekin yah kahna galat nahi hoga ki informers se milne ke baad Som ki team ne kewal thrill hi face kiya. Aadhe se jyada waqt to samajhne me lag gaya ki kaun kiske pichhe hai aur ek baar jab tasveeren saaf hui fir aage jo hua wah shayad ek epic history hi tha...
3 April 2014…. 8Pm… Somewhere In Tripoli, Lybia...
Som andhere kisi virane me apne naye contact Aaban aur Elaaf ka intzar kar raha tha. Jyada intzar nahi karna pada aur dono alag-alag raste se wahan pahunche... Jaise hi Elaaf aur Aaban ki najar ek dusre par gayi.… Dono thode hairan hote...
Elaaf:- Tu yahan..
Aaban:- Tu bhi to yahan hai...
(Dono ki rupantarit bhasha dikhaya ja raha hai. Baat wah apni asthaniya bhasha me hi kar rahe the)..
Som:- Tum dono yahan mujhse hi milne aaye ho...
Elaaf:- Ek hi kaam ke liye hum dono ko rakha hai..
Som:- Mujhe khabar mili hai ki tum dono best ho... Aur mujhe yahan kaam jaldi samapt karna hai...
Elaaf:- Kaam kya hai?
Som:- Pahle apna dam batao...
Aaban:- Khabar aur kaam ke hisab se dam lagta hai... Pahle kaam batao...
Som:- Thik hai, tum dono ek-ek kar'ke mere pass aao... Main kaam batata hun... Tum rasta batao... Chunki kaam ek hai aur yadi dono ek jaisa solution bataye to dono ko poori kimat milegi...
Dono ek sath... "Manjoor hai"…
Som ne pahle Elaaf ko bulaya.… "To batao ek pandubbi ke hijeck hone ke bare me kya jante ho?"…
Elaaf:- Kuch bhi nahi... Tum kya pahli baar field me kaam kar rahe... Abhi pandubbi ki baat mere kaan me padi hai... Iska pata to lagane do...
Som:- Matlab tumhe itni badi khabar ke bare me kuch pata nahi..
Elaaf kuch sochte huye... "Wah Russia ka pandubbi tha kya?"…
Som:- Nahi, Indian submarine thi..
Elaaf:- Ek khabar hai to, lekin wah Russian ke bare me hai, tumhare kaam ki nahi... Tumhe Indian Submarine ke hijeck ka pata lagaana hai... Jahir hai uske sath kuch soldiers bhi kidnapped huye honge..
Som:- Haan aisa hi hua hai...
Elaaf:- Koi demand waigairh...
Som:- Nahi...
Elaaf:- Haan fir ye khabar tumhare kaam ki hai...
Som:- Kaun si khabar...
Elaaf:- 50k USD... Khabar ki kimat..
Som:- Khabar kaam ki hui aur mera kaam ho gaya tab tumhe poore paise mil jayenge ..
Elaaf:- Tumhare kaam hone ka maine gurantee nahi liya. Main kewal jariya bataunga aur aage tum jano... Yadi mera bataya jariya galat hua to apne paise wapas le lena.…
Som:- Manjoor hai...
Elaaf:- Ok suno... Russian ek bahut badi deal karne wale hain... Deal Russian aur ek bicholiye ke bich hai jo arms & ammunition me invest karta hai... Yahan ke sabhi group ke liye jaroori weapons yahi bicholiya muhaiyya karwata hai... Deal lagbhag 1 billion se 2 billion USD ke bich mani ja rahi hai... Yahan old forte ke niche underground fighting ka bahut bada hub hai. Wahin tumhe uss bicholiye tak pahunchne ka jariya milega...
Som:- Kaisa jariya...
Elaaf:- Kaun sa tum mujhe abhi paisa de rahe ya yahan se jane doge... Main hun na jariya batane... Ab tum mujhe underground fighting me le ja'kar jariya ko pahchanoge, ya apne safe house me bitha'kar pahchan karne kahoge, tumhare upar hai...
Som:- Aur koi jaankari...
Elaaf:- Deal agle kuch din me final ho jayega... Us bicholiye ke jaise aur bhi kayi log uss deal me intrested hain. Jiski boli sabse upar hogi ussi ke sath deal final hoga...
Som:- Aur kisi ke bare me kuch jaankari...
Elaaf:- Bolte-bolte thakan si hone lagi hai...
Som:- Mere pass dusra informer bhi hai...
Elaaf:- Boss tumhare bare me bahut suna hai... Hume dich mat karna. 2 bade naam ki hawa hai... 1) Da Virrote group 2) Dubai ka koi sekh hai, jiske liye Pir naam ka admi deal karne aaya hai. Bus itna hi pata hai..
Som:- Main wahan kaise ja sakta hun...
Elaaf:- Kisi fighter par paise lagane ja sakte ho ya fir underground fight karne... Koi rok tok nahi... Tum koi bhi ho iss se wahan kisi ko koi fark nahi padta... Fark bus tab padta hai jab kisi ke kaam me dakhalandazi karoge... Khair ye niyam to har jagah laagu hota hai...
Som:- Hmmm … thik hai tum intzar karo... Aaban tum aao...
Som Aaban se bhi kuch sawal kiye... Dono ke jawab lagbhag mil rahe the. Kuchh naam Aaban ke pass the jo Elaaf se alag the par har kisi ka surag old forte underground fighting... Som ka ishara hua aur dekhte hi dekhte dono ko utha'kar ek kamre me patak diya gaya.…. "Tum dono ne apna kaam kar diya. Ab yahan humari survilence team ke sath sabki pahchan karo. Shinakht ke baad tumhe poore paise mil jayenge...
4 April 2014…
Sham ke 6 baj rahe the. Ek raat pahle hi sham 7 baje ki fight fix ki gayi thi. Lagbhag 6-7 mahine baad Pheonix ki fight ka update aa chuka tha. Underground fighting lovers iss fight ka besabri se intzar kar rahe the. Tripoli ke underground fight arena me bhi Pheonix ke hi charche the. Halanki kabhi kisi ne dekha nahi tha, lekin naam sabhi jante the.
Pheonix ke liye ek underground fight arrange karna koi badi baat nahi thi. Ulta Pheonix ke maidan me aane se paise lagane walon ki bhid si umar aayi thi. Underground fighting gair kanooni logon ka aisa hub tha jahan se kisi bhi sargana ki detail chutki me pata chal sakti thi.
Pheonix ki fight me sabse pahle paisa khud Pheonix aur uski team ne lagaya tha wo bhi lakh, 2lakh nahi balki 2 carore laga tha, jisme Avneesh Sinha ke bhi 20 lakh rupya tha. IIRF ki team apne parivar ke liye kuch gift le jana chahte the isliye 10 times par paisa laga diya. Halanki Pheonix ke ore se itne paise lage the ki organisers apne commission ke paise se aaj lagbhag 2 million USD ki kamai karne wale the. Jaise hi Som ki entry uss arena me hui, poora mahol hi shant ho gaya. Uss jagah ka mukhiya.. Al Salem khud Som se milne pahuncha.…
Al Salem:- Tumhari deewangi to dekhne layak hai dost...
Som:- Al Salem haan...
Al Salem:- Haan main hi hun... Tumhe main yad hun...
Som:- Haan 2 sal pahle tumne mujhe invite kiya tha... Lekin kinhi karno se main yahan aa na saka ..
Al Salem:- Koi nahi dost…. Tum aa gaye ye humari khushnaseebi... Aaj apne dushman se bhi badla lene ka mauka mil gaya...
Som:- Kya baat hai, itna bharosa...
Al Salem:- Haan tum par maine bhi 50 million lagaye hain... Wo dekh rahe ho... Bich me jo baitha hai... Wo Nusarat hai... Ab tak main uske fighter se 20 million USD haar chuka hun... Lekin baat sirf paison ki nahi hai.. Har match ke dauran jo bejjati usne meri ki hai, uska poora badla lena hai...
Som:- Ummid hai tumhara badla poora ho jayega... Lekin isme mera kya fayda hoga...
Al Salem:- Batao kya chahiye... Mere jit ke 50 million me se 30 million main tumhe de dunga... Iss se bada offer kya karun..
Som:- Mujhe paise me intrest nahi... Wo tum hi rakho ..
Al Salem:- Tum bus fight jit kar aao... Jo maangoge wo milega... Meri juban hai .
Som:- Apni juban se mukad mat jana dost..
Al Salem:- Tum jit kar to aao.. Mai juban ka pakka hun...
Som:- Thik hai... Main fight ke liye ja raha hun... Achha suno maine kuch camre lagwaye hain taki fight ko live dikha sakun... Koi pareshani to nahi...
Al Salem:- Pheonix ke fan uska fight na dekhe, bhala aisa ho sakta hai kya? Haan lekin camra yahan upar ke ore mat karna... Warna ek baar online in sab ko dekha gaya fir majboori me tumhe goli maarni hogi...
Som:- Niche audience ki bhir se to koi apatti nahi ..
Al Salem:- Nahi koi dikkat nahi... Wahan koi wanted bhi hai to ye uska risk hai. Kisi ne apne pahchan chhipane ke liye tumhare logon ko rok liya fir wo dobara khud ko pahchan nahi sakta...
Som apna leather mask laga kar ring me utra. Match refree hath me mike pakde dono pratidwandi ko bulate... Darshakon me khasa utsah kyunki jitni deewangi pheonix ke naam ki thi utni hi deewangi wahan ke ring ke hero Boris Popov ke liye the. Undefeated fighter, jo ab tak yahan 40 se upar fight jit chuka tha.…
Seety bajane ke sath hi match ki shurwat hui aur utna hi teji dikhate huye Som ke pratidwandi Boris ne apna pahla war kar diya. Som bhi tha taiyar aur hawa me uth'te har vaar ka jawab badi hi furti se bachte aur utne hi furti se apna vaar karte huye de raha tha. Dono ke bich ek kada mukabla ho raha tha, jahan dono hi pratidwandi itne furtile the ki log sochne par majboor ho gaye ki kahin koi bandar ki aatma to nahi sama gayi.
Mahasangram ke bich Som ne apna ek jordar punch apne pratidwandi ke sine par chalaya. Punch VS Punch.… Power VS Power.… Lekin Fair Game vs Cheating...
Jaise hi Som ne apna dayen hath ka jordar punch chalaya Boris ne bhi thik Som ke punch ke upar apna punch chala diya aur tabhi bell baj gayi... Idhar bell bajte hi Boris hanste huye Som ko dekha aur Som gahre pira me apna hath jhatkate huye Boris ko ghur raha tha...
Som ko aisa laga jaise uska hath kisi lohe se takra gaya hai. Hath ka bura haal tha. Ungliyan toot chuki thi, lekin khun ka ek katra na gira tha. Najar jab Boris par gayi tab usse jeb me lohe ke punch ko rakhte huye dekha. Lohe ka wo punch aage se bilkul chapta tha jiske chalte khun to nahi nikla lekin ungliyan toot gayi.
Yah bell bhi shayad iss cheating ko cover karne ke liye baji thi taki khel ke dauran yah punch niche na kahin gir jaye. Som ko poora mamla samajh me to aa gaya, lekin ek hath se, apne se barabar trained pratidwandi se jitna thoda muskil tha.
Match ka agla bhag shuru hua. Som poore maidan me kewal khud ko bachate aur mar khate huye hi najar aaya. Pheonix ke prashanskon ke hath nirasha hi lag rahi thi. Uska pratidwandi poora haawi ho chala tha. Second bell baji. Ring me bitaye takriban 5 minute ka waqt aur Som ki haar lagbhag tay mani ja rahi thi.
Al Salem ek baar fir bejjati ki ghunt pite huye niche Som ke ore hi ghure ja raha tha. Bell jab baji tab dono ki ek baar najar takrayi.… mano gusse me Al Salem najron se hi kahna chah raha ho.… "Tum ring me nahi mare to shayad main hi tumhe na maar dalu namurad"…
Mahaj aupcharikta hi bachi thi. Match teesre daur me prawesh kar chuka tha. Som jaise hi bich ring me pahuncha Boris ne usse apne dono hath se hawa me utha'kar helicopter bana diya. Som ko dono hath se hawa me utha'kar take off karne ki poori taiyari chal rahi thi. Lekin Pheonix ki bhi apni koi pahchan thi aur Pratidwandi shayad yah bhul chuka tha.
Hawa me uthane ke kram me pratidwandi ka surksha khul chuka tha. Som ka bayan mukka badi aasani se Pratidwandi ke kaan tak pahunch raha tha aur itna loop kafi tha. Kanpatti par ek kadada prahar aur Pratidwandi apna sir jhatak kar apne saaf dristi ke liye aankh mijne laga. Som ne itna tej maara tha ki aankhon ke aage andhera sa chha gaya tha.…
Pratidwandi ka utsaah badhane ke liye poori bhid usse josh dila rahi thi. Local support usse poora mil raha tha. Pratidwandi apna sar jhatak kar jaise hi samne dekha, bus ek chinkh aur Som poori bhid ko shant karwate apne hi andaj me match samapt kar chuka tha.
Jab Pratidwandi apna sar jhatak kar apni dristi saaf kar raha tha, thik usi waqt Som 10 fit ki duri bana'kar tej daud laga chuka tha. Kafi tej durte huye Som ne uchhal maara. Wah pratidwandi ke dayen ore tha aur apna bayan hath failaye.… Uchhalne ke sath hi Som ka bayan hath poori teji se Pratidwandi ke gardan par laga aur usse lete huye hi Som pichhe ki taraf kud chuka tha. Natija yah hua ki daudate huye jab hath ka war gardan par hua fir to uske shwans hi ukhad gaye aur pichhe girne ki vajah se sar me jhatke se laga chot. Fir wah khiladi utha hi nahi.
Mahaj chand palon me Som apna kaam poora samapt kar'ke Al Salem ko dekh raha tha. Al Salem muskurate huye Som ka abhivadan kiya. Refree ki ginti samapti ke sath hi Som ko vijeta ghoshit kar diya gaya. Pheonix ke fan to jaise jhumne lage the. Wahin Al Salem jab apni bejjati ka poora hisab kar raha tha fir to usne Nusrat par itne tanj kase ki wah aadmi apna aapa kho diya. Gusse me wah Al Salem par hathiyar utha liya aur bechara galti kar gaya.… Al Salem khush itna tha ki aaj ke match me chhoti boli lagane wale har hare huye insan ke paise wapas kar diya.…
Chhote se private dock yard me fir to Al Salem ki party chali. Aur issi party me Som apna mehntana maangte huye Al Salem ko kuch naam diye, jinke bare me usse poora pata karna tha. Al Salem ne na sirf naam ka pata lagane ke liye sahmat hua balki Som ko apna dost maan'kar 10 million USD bhent swaroop de diya.…
Iske poorv match ke dauran Som ki poori team uss underground fighting me aaye logon ki jaanch karne me juti hui thi. Dono khabri ke suchna ke aadhar par Som ki ek poori team alag jaanch me juti gayi, jo agle 15 din me Libiya samet 4 khari deshon ke chakkar laga kar ghanchakkar huye ja rahe the. Har surag ek naya pata to deta, lekin ek naye pate ke baad kewal dusre naye pate ki hi khaak chhan rahe the.
Wahin Som Al Salem ki jaankari ke aadhar par par ek team ke sath alag se jaanch me juta tha. Som ka haal bhi apni team ke tarah hi tha. Usse bhi surag ke roop me pate ke upar pata mil raha tha. 15 din bit gaye aur anth me Avneesh Sinha ne call off kar diya. Pahli nakam mission ke sath Som laut rah tha. Issi ke sath Avneesh Sinha ke pass aur koi chara nahi bacha tha siway Som ko 6 jury ke bich pesh karne ke. Ab Som ka faisla unhi par nirbhar karta tha.
Sabha lag chuki thi. Pakistani kand se le kar Libiya ke naakam mission ko samne rakha gaya. Disciplinary action ki poori taiyari chal rahi thi. Apne sub-ordinates ko bachate huye Som ne Pakistani ghatna ki bhi poori jimmedari apne upar le liya. 6 logon ki jury thi jisme 3 sena pramukh, ek Central Home ministry office ka aala adhikari aur 2 supreme court ke judge panel me the.
Faisla sunane ke liye un logon ne 1 ghante ka waqt liya aur aapas me vichar karne lage. 3 sena pramukh kewal Som ka track record hi dekh rahe the. IIRF ke case Handling aur Som ka track record dekh-kar sabhi ka chhati jaise chauda ho chuka tha. Teeno sena pramukh Som ko ek mauka dene ka vichar bana rahe the. 2 supreme court ke judge bhi teeno sena pramukh ki baton se santust najar aa rahe the. Ek warning aur 1 sal ka under observation ki hidayat par Som ko wapas bhej diya jaye. Poore sunwai ke dauran Som ne apne ore se kewal itna hi kaha tha.…
"Pakistan me operation ke dauran jo bhi ghatna hui wah kisi bhi karan se andhekha nahi kiya ja sakta hai. Iss mamle me zero tolerance hona chahiye. Poore operation ka incharge hone ke nate main poori galtiyon ki jimmedari leta hun"…
Supreme court ke judge ko Som ki ye baat behad pasand aayi. Na to sunwai ke dauran Som ne sach ka gala ghota aur na hi apne pad ka fayda uthate huye khud ko saaf sabit karne ke liye ulte-sidhe saboot pesh kiye...
Haan lekin Home ministry office se aaya sachiv in 5 logon ke faisle me hanst-chhep kar raha tha. Usse Som ka dismissals chahiye tha aur uski jagah IIRF ko Home ministry ke undertaking me rakhne ki baat chal rahi thi. Ek swatantr department hi vilay hone ja raha tha. Manthan lamba chalta gaya. Wo 5 log jab Home ministry ke adhikari ki baat nahi mane, fir pressure Home ministry se direct aane laga. Secret service ke sare departmental law ko pesh kiya gaya. Aur anth me ek akele ke faisle par 5 logon ko sehmat hona pada. Ek ghante ka liya gaya waqt 4 ghante khinch gaya.
Som ka bhagya tay ho chuka tha bus aupcharik faisle ko agle din ke liye asthagit kar diya gaya tha. Halaanki Home ministry se to aaj hi faisla sunane ka pressure mila tha, kintu kuch adhikar supreme court ke judge ke pass bhi tha. Jury samne se Central Home Minister ko fatkarte huye saaf sabdon me kah gaye.… "Har jagah manmaani nahi chalegi. Ek behtarin officer ko supreme court kaise help kare ye court law me nahi balki uske department law me hai... warna yahan itni bahas hi nahi hoti. Iss se pahle ki main yahan record huye sare statement public kar dun apna hanst-chhep band kijiye"…
Wahin dusri ore Riaz, Daliya ko uske thikane, yani Pakistan sakushal chhod aaya tha. Bahri log jo Riaz ke pichhe the unhe koi action lene ki jaroorat nahi padi thi. Haan lekin iske liye Riaz ko badi mashakkat karni padi thi. Daliya ko chup rahne ke liye Riaz ne bahut samjhaya... Wah to maan'ne ko taiyar hi nahi thi lekin wo kahte hai na maar ke dar se bhoot bhi bhagta hai... Bus Riaz ka ek jhannatedar thappad pada aur Daliya ke akl ke saare purje khul gaye.…
Daliya, Riaz ki baat maan'kar poore ghatna par chuppi sadhane ka faisla to kar lee, lekin ek shart ke sath.… Shart yah thi ki usse UK aa'kar Daliya ko pick karna hoga aur usse officially vacation par le jana hoga. Riaz kaun sa wada poor karne ja raha tha, isliye usne Daliya ki sabhi sharten maan liya. Bina soche usne Daliya ki shart maan to lee lekin aane wale bhuchal ka usse pata hi nahi tha...
Thappad khane se Daliya ke akl ke purje kuch jyada hi khul gaye the. Pahle uske pass Riaz ke Pakistan me hone ka koi saboot nahi tha lekin thappad khane ke baad pahle mobile me saboot aaya aur baad me uski shart.… Halanki Daliya ke irade galat nahi the lekin apni shart manwane ka wo jariya apne pass rakh chuki thi.
Bite 15 dino me Sia aur Meera ne bhi khun ka ghunt piya tha. Halanki dono apne premi, Sia Vyas se aur Meera Som se khaffa thi. Lekin Som ke achanak gayab hone se sari chidh apne aap gayab ho'kar uski jagah chinta ne gher liya tha.… Waise Som ke pita Anurag Malhotra ko sab andaja to tha lekin wah chah kar bhi kuch bata nahi pa raha tha.
Som jab wapas lauta tab Anurag Malhotra ko bhi vibhagiy karyavahi ka pata chala. NSA ke deputy director Anurag Malhotra ko bhanak lag chuki thi IIRF ke sath raajniti ho chuki hai aur uska beta toota hua ghar lautega.… Idhar jab Som ke upar karyavahi chal rahi Anurag Malhotra bhavna vibhor ho gaye. Anugrag Malhotra ko rote dekh, poore parivar ne gher liya.
IIRF ki sacchai wah bata nahi sakta tha aur Som ko apne hi department se bejjat kar'ke nikale jane ke ehsaas usse tadpa rahi thi. Anurag ke bhavna uski aankhon se jhalak rahe the. Dil se awaz aa rahi thi ki mission ke dauran virgati prapt ho jata to itna nahi chubhta lekin aisa bejjat kar'ke bahar nikala jana usse khaye ja raha tha....
Anurag Malhotra par jab parivar ka bahut jyada pressure pada tab wah sacchai ko chhipate huye kahne lage.… "Som kuch dino se judicial custody me hai aur uske khilaf karyavahi chal rahi hai"…
Anurag Malhotra ki baat sunte hi sabke jaise hosh udd gaye ho. Lata Mishra aawesh me aa'kar Anurag Malhotra ka gidewan pakad'kar kahne lagi.… "Humare itne paise aur pahchan kab kaam aayega? Anurag tumhara itna bada post kis kaam ka jo apne bacche ke liye na to tum kuch kar sake aur na hume bataya... Aur kya usse saja ho gayi hai jo aaj aise ro rahe"..
Anugrag Malhotra kuch to kahta... Isliye ek lambi shwans aur jhooti kahani banate.… "Som gair-kanooni underground fight ladta hai iss baat ka pata army samet har department ko pata chal gaya. Som ke sniping traning center ke licence ko kharij karne par bahas chal rahi thi. Faisla to kal aayega lekin Som par lage aarop tay ho gaye. Kal pahle uska licence cancel hoga aur baad me..."
Sabhi vyakulta se ek sath poochhne lage... "Uske baad?"
Anurag Malhotra apne ander department se nikale jane dard ko mehsus karte, ghighyayi si awaz me.… "Som ek trained sniper hai, lisliye wah under observation rahega. Bharat chhod'kar kahin aur jane ke liye usse permission leni hogi. Bharat me jahan bhi rahega, uss jagah ke thane me apni upastithi jahir karni hogi. Kisi ek din thane me hajri nahi deta hai, fir agle din uss par karyavahi hogi.… Inhi sharton ke sath usse chhoda jayega"…
Khair parivar to parivar hota hai. Apne bete ko ek saja mile mujrim ke roop me jaan'kar lata Mishra ka dil chhota ho gaya, lekin sabke hausle buland karti usne saaf kah diya... "Thana nahi samjho mandir ja raha. Som ke hath se ek kaam hi to gaya hai... Isi bahane kam se kam bina bataye gayab hone ki aadat to samapt ho jayegi. Iss baar bhi to 15 din baad uski koi khabar sun rahi hun.… Warna tha kahan wo"…
Sia:- Ab nafrat hone laga hai in baap bete se. Baap ko apni family ke liye waqt nahi aur beta itna gair-jimmedar hai ki koi khabar hi nahi hoti. Kam se uske marne ki khabar se to achhi hi khabar sun rahi hun. Jo bhi hua bahut achha hua... Lata ne fir mahol ko halka kiya aur sabhi rautlu soorat walon ko Som ke sath hans'kar pesh aane ki hidayat de Dee...
Som ke sath jo departmental inquiry me hua, wah shayad pahle se tay tha. Avneesh Sinha ander hi tha jab usne ek diplomats ko baki 5 jury par haavi hote dekha. Uska ji to kiya ki abhi goli maar'kar sabhi jury ko faisla sunane kah de. Khair gusse ko shant kar'ke jab Avneesh Sinha ne poore mamle ko gaur kiya, tab usse badi dur ki sajis aankhon ke samne se najar aa chuki thi. Department Home ministry, jisne khadi desh ka mission diya tha.… Aur yah mission Avneesh Sinha ko tab diya gaya jab Pakistani mission ki file ko locker room me rakhwaya tha. Avneesh Sinha ko samjhte der na lagi ki apne hi department ka koi gaddar hai jo department ki news leak kar'ke poori kahani likh gaya"….
Abhi to Avneesh Sinha bhi step back liya, kyunki kal ke faisle ke baad wah apne aage ki ranniti taiyar karta. Haan lekin apne bhadose ke 2 agents ko laga chuka tha kaam par.…
Khair department ki ye kahani to ek andruni mamla tha, jise shanti se niptana tha. Poore faisle ke dauran Som apne shant aur gambhir swabhav ke sath hi dikha, jiske chehre par na to Department se nikale jane ki chinta thi aur na hi apna hi-profile post jane ka afsos. Apni jimmedari nibha'kar wah Avneesh Sinha se itna hi kaha.… "Mera Delhi me dil nahi lag raha. Mere abhi jane aur kal lautne ka intzam kar do"…
Avneesh Sinha badi hi mayusi se Som ko dekhte huye IIRF ke ek plane ka intzam kar diya aur jate waqt itna hi kaha.… "Humne na jane kin-kin ko kis-kis situation se rescue kiya hai. Apne best colleague ko rescue nahi kar saka to lanat hai Som. Parivar ke sath hi raho, kal ke faisle me tumhari upastithi jaroori nahi... Parivar ke sath waqt bitao, main jald hi sampark karunga."…. Som, Avneesh ke ishare ko samjhte huye bus ek pyari si muskaan ke sath wahan se vida hua.
Som ghar wapas chala aaya jahan Lata Mishra darvaje se hi Som ka samanya vyavhar dekh'kar Anurag Malhotra ko hi taane dene lagi..... "Som ko to kuch na hua lekin Anurag foot-foot kar roya"…
Khair jiski kismat me jo hota hai wahi milta hai. Department ne Som ko nirash kiya tha lekin Zindgi me to abhi Meera naam ki khusi aayi thi..… Aur wakai raat ko Meera ne aisa pyara sama bhadha ki baki sari chinta koson dur ho gayi aur Som khud se hi kahne laga... "Sala IIRF me raha to ho gaya aisa pyar apne nasib me"….
Waise bhi Pyar me itna to junnon jaroor tha ki shant aur gambhir sa dikhne wala Som ab muskurata hua najar aane laga tha. Wahi muskaan Som ki parchhayi maani jane wali Sia ke chehre par bhi ab dikhta tha. Logon me ghulna milna wah bhi sikh rahi thi. Shayad Sia par bhi pyar ka apna hi junoon tha. Aasif to pahle se Asqa ke sath pyar ki haseen dor me bandha tha bus ek bacha Riaz, to uski kismat aage kya khel rachne wali thi wah to aage ke panno ki kahani hai.…
Pyar aur khush'hal parivar ka ek adhyay samapt ho raha tha. Jahan har kisi ke pass parivar, pyar aur mitr ka sath tha. Lekin ek ore jahan zindgi khud ek sajis ho, uske upar jab sazisen chale fir to kahani me kayi atrangi mod aane lazmi hai.…
Kahani ka ek adhyay samapt hota hai. Dusra adhyay me janege... Izhar aur pyar hona to aasan hota hai, mushkil to unhe umr bhar sanjoye rakhna hota hai... Aisa nahi hai ki yah sabke sath ho, lekin jahan ek ore Som ki prayasi Meera ka Jadega parivar ho. Jahan dusri ore Kumar family ho aur bich me Vyas aur Sia ke college ke pange... Aur ye to kewal personal front tha jahan professional front bhi kahin na kahin clash honge … fir to yahi baat dil se niklta hai... Pyar hona to aasan hota hai lekin usse sanjoye rakhna utna hi muskil.
Milte hai agle adyay me... Pyar, Parivar aur sajishon ke bich kahani ka dusra adhyay.…
End Of The Chepter:- 1

Nahi baat back up ki nahi hai anky Bhai... Samay to itna mil jata hai ki kuch na kuch likh hi lun... Baat thi likhne ki ikchha ki... Bus yahi ek Kami thi...Mene to pad li, aur sach kahu to thik hi Kiya, Kam se kam kahi aur acche se focus ker paoge ab, agle bhag ka intezar rehega aur agli kahani bhi tabhi shuru kerna jab uske Kam se kam 20-30 update ka backup ho, ye bich me itne din ka gap kahani ke romanch ko kam ker deta hai ...
Better you read first... "Kaisa ye ishq hai, ajab sa risk hai"... Dono partIs story ko kal se padhna start karta hu
Shurauwat to shandar hai lekin lead kaun karega story ki in suru ke do update me nhi pta chal Som ya vyas aage dekhte haiUpdate:-2
Subah ka waqt Nirbhay ka zym se shuru hota tha. Jab wah niche ke zym area me pahuncha tab wahan par bikhre saman ko dekh kar chillane laga. Ek home survent champa bhagti hui wahan pahunchi.
"Kya hua malik"
"Champa yahan kaun aaya tha"
"Wahi mehmaan jo kal raat aayi hain"
Nirbhay ek pal khamosh raha. Pahle charo ore ka jayja liya fir ghadi dekha. Subah ke 8 baj rahe the…. "Kitne baje aayi thi"
"Pata nahi malik, lekin 5.30 baje wo zym se nikal rahi thi"
"Hmmm !! Zym ke baad apne kamre me gayi kya"…
Dono baat kar hi rahe the, unhe pooja ghar se ghanti ki awaj sunai dene lagi. Abhay thodi hairan tha…. "Champa, Sia ke liye kuchh paka do, lagta hai uske din ki shoorwaat subah 4 baje ya uss se pahle ho jati hai"… Champa haan me sar hilati hui nikli.
Takriban 10 baje Nirbhay breakfast ke table par aaya tab pata chal ki Sia khud ke liye breakfast bana chuki thi. Pooja karne ke baad wo kha kar nikal gayi.
Raat ke 9 baje Sia hall me baith kar news dekh rahi thi. Nirbhay kaam se wapas laut raha tha. Sia ke samne baitha... "So how was the day"
"Briten se lauti hun iska ye matlab nahi ki Britisher ho gayi chachu"..
Nirbhay thoda hairani se dekhne laga. Sia tv ke sound kam karti... "Itne hairan kyon ho rahe. Main sochi ki aap ko ek naam se hi to pookarna hai. Aap ke hisab se hi pookar leti hun."
"Tum vicitr ho Sia"
"Nahi vichitr bilkul bhi nahi hun. Kewal log andaza hi galat laga lete hain. Isliye mai kisi se milne ke baad koi rai nahi banati, jab tak ki wo samjh me na aa jaye"
"Apna poora anubhav mujh par hi aajma rahi ho"
"Chhodiye isse. Meri jigyasa to iss waqt ye hai ki aap mere yahan rahne ke liye raaji kaise ho gaye. Som se to aapki dushmani hai na"
"Mujhe chachu aur apne.…"
Sia bich me hi Nirbhay ko rokti... "Humare bich wah rishta nahi jo aap banane ja rahe. Chhod dijiye usse"
"Ab isme vichitr nahi kahun to kya kahun. Khair haan Purusom se dushmani hai lekin jaise tum mujhe abhi vichitr lag rahi ho thik waisa hi hum dono ke bich ka rishta bhi hai. Isliye chhodo tum bhi explore mat karo"
"Thik hai chhod diya. Waise usse Purusom pukar rahe, sun leta to muh tod deta."
"Waqt-waqt ki baat hai. Lucknow kaisa laga"
"Sahar pasand aaya. Chakachaundh sahrikaran ke sath apne itihas ko samete. Chachu aapko aapatti na ho to maine apne liye ek cottage chun liya hai. Main wahin rahungi"
"Thik hai, tum Naresh ko bol dena, wo saaf safai ke sath sara kaam dekh lega. Chalo abhi dinner karte hain"…
"Ek shart par, main paying guest ke taur par rahungi aur mujhe kiraye me kuchh discount bhi chahiye"…
"Ab ye kya hai?"
"Apne-apne ethics"
"Haan to kuch ethics mere bhi hain. Main paise to nahi le sakta badle me tumhe kuchh karna ho to kar lena"
"Thik hai ye bhi sahi hai, chaliye khana khate hain"…
Dono khane ke table par the. Nirbhay ke liye champa khana serve kar rahi thi. Sia apna khana khud le rahi thi, upar se dono ke dishes alag-alag.
"Sia ye tum Som ke khane ki dishes kyon kha rahi ho. Yahan coock hai. Tumhe ye bhigoye chane aur mungfali dinner me lene ki jaroorat nahi hai"…. Ek vichitr sa khana jisme kewal chana, mung, kuchh mungfali, pista aur bhi kayi sare grains, kuchh dry fruits, thoda green salad aur dudh. Dobara se yah khana dekh'kar Nirbhay bole bina rah nahi paya..
"Kya karen shayad dono ko hi aise Khane ki aadat hai jo shayad jane wali nahi".
"Hmmm !!! Dono ek dusre ki parchhayi hi lagte ho. Ek dum vichitr. Kahan hai wo aaj kal"..
"Mujh se jyada to aapko pata hona chahiye ki kahan hoga"…
Nirbhay kahin gum hote.… "Pata nahi kahan hoga"
Scotland of India, Shilong ka sudoor ilaka. Mansoon ke mausam me yahan aane wale sailaniyon ki koi kami nahi rahti hai. Yah sunder si saji dharti jaise dulhan ho aur barshat uska sringaar... Yahan ki prakritik saundrya ka varnan mahaj chand shabdon me hona muskil.
Raat ka waqt aur sudoor jungle ka ilaaka tha. Barshat lagaatar ho rahi thi. Pass me hi bade se waterfall me pani girne ki awaj wahan ke khamosh vatavaran me gunj rahi thi. 4-5 rangers upar plastic baandh'kar badi si chhat banaye huye the. Niche aag jal rahi thi.
Thand badhi hui thi. Sabhi apne garam over coat me aag ke karib baithe huye the. Us jagah par bahut sare hi-fi aur kafi paise wale log bhi dikh rahe the. Charo ore poori raushni aur aag ka intazam kiya gaya tha.
Sabhi hi-fi log Mumbai ke kuchh businessman the. Underworld mafia wala look. Black overcoat, hat, sacaff, tim-tam aur duniya jahan ke tarah-tarah ke sajjo saman se kisi rutva wala hasti dikhane ki kosis kar rahe the. Aise har rutve wale log ki gode me ya pass me ek hot si ladki ya aurat thi. Unke chair ke thik pichhe, 2-3 trained ladke, apne full bodyguard look aur dress me mustaidi se khade the.
Un unche collor wale logon me se ek sabse uncha collar wala aadmi tha Sethi. Wahan ke sabhi rutve wale ussi ko sun rahe the aur sari baten ussi ke hisab se ho rahi thi. Uske gode me baith'kar ek kamsin ladki, uss adher se lagbhag 50-52 varshiya aadmi ko ek hath se mota cigaar to dusre hath se jaam pila rahi thi. Bich-bich me apne najuk honth ke sahad bhi chakha deti...
Uss aadmi ke dono hath itne sust the ki baar-baar niche chair ke hand rest par chale jate. Uske pados me ek sexy aurat baithi thi jiske chehre par hi likha tha... "Aaahhhh !!! Kab nichodoge"… Thand me apni bhadakte arman ko aur bhadkane ke liye, uss sabse unche collar wale aadmi ke sust hath ko utha'kar baar-baar apne aur use kamsin ladki ke sine par rakh'kar, uske hath ke upar apna hath dale dono ke stano ko dabva rahi thi...
Swag hote hain in bade-bade high-collor wale logon ke. Inko khud kuchh nahi karna padta hai. Khair, wo sabse high collor wala aadmi ne wahan baithe sarkari adhikariyon ke ore dekhte.… "Sogarappam kahan hai tumhara fighter. Usse sab bata to diya hai na"
Sograpaam un rangers ka boss, chilam ka ek lamba kas khinch bhi raha tha aur galfaron ke kinare se halka-halka dhuwan bhi nikal raha tha. Ek poora kas khincha. Aankhen uski laag aur madhosh si dikh rahi thi. Chehra thoda khincha sa lekin utna hi sukoon bhi...
Sogarappam:- Sethi ji apna fighter ayega lekin aap kise ladane wale ho, usse to bualao. Wo raat ke thik 12.30 baje pahunch jayega...
Sethi:- Usse call lagao...
Sograppam:- Sorry Sethi ji wo apne pass koi phone nahi rakhta. Kahta hai phone hack ho jata hai. Uski detail sabke pass hogi...
Sethi, thoda jigasavash.… "Karta kya hai tumhara ye fighter"….
Sogarappam:- Som naam hai uska sir. Usse Lancer kahte hain hum sab. Thoda mental hai aur kuch nahi karta hai Sethi ji.. Bus aaj yahan hai kal kahan ho kise pata...
Sethi:- Fir tumhe uske bare me kaise pata…
Sograppam:- Mansoon me dikh jata hai. Humare sath baithak lagata hai. Jab tak rahta hai apna bankar rahta hai aur jab gayab hota hai fir pata nahi pichhe chhodta... Na hi humne kabhi dhundha hai..
Sethi:- Kamal ka introduction hai, mere liye kaam karega kya???
Sograppam:- Freelancer hai, kaam samjh me aana chahiye kar dega.
Dono baat kar hi rahe the issi bich halki si aahat se ranger sachet huye aur turant apne weapons le'kar aahat ki disha me tainat. Sograppam apne sabhi sathi ko relax kahte huye Sethi ko ghadi dekhne kaha...
Thik 12.30 baje andheron se nikal kar uss raushni me uska chehra najar aaya... Som
Jataon wali baal, jiski kuchh ladiyan wahan ke shrad hawaon me lahra rahe the. Shant sa chehra aur bilkul nashili aankhen. Dekh kar hi mehsus ho jaye ki iska chehra kuchh kahta hai. Aakarshak chehra jo najar khinch le...
Som ko dekh kar wahan ka mahol kuchh palon ke liye khamosh ho gaya. Uski najar wahan ke poore mahol ka jayja le rahi thi. Aa'kar wo Sograppam ke karib baitha aur uske hath ka chilam le'kar poora dum bhadne laga...
Aankhen munde bilkul kho kar chilam khinchne me laga hua tha. Som jab chilam khinchna shuru kiya tab ruka hi nahi. Sethi ke sath baki sab apni aankhen badi kiye huye the…. "Khinch ye raha hai, dum mera ghutne laga"… Sethi apni ukhdi shwans se kaha.. Shayad Sethi kuchh jayad hi feel kar gaya tha khinchna.
Lekin Som yahan bhi kahan rukne wala tha. Wo to khinchta hi chala gaya. Jab usne chilam Sograppam ke ore badhayi, uske chehre ke upar charo ore dhuwan hi dhuwan tha. Ussi dhuwen ke bich se gambhir aur robdar aawaj aayi... "Sograppam kafi lambi party ko bitha rakha hai. Batao kis kaam ke liye sandesh chhoda tha"
Sograppam:- Ek fight karni hai...
Som hathon ke ishare se maal ke bare me puchhne laga. Sograppam ishare samjhte… "Dono fighters Sethi ji ke hi honge. Tum dono ko ladna hai, aur uss se haarna hai"… Som ne ek baar fir ishare me maal ke bare me puchha.…. Sograppam, Sethi ke ore dekhne laga.… "1 lakh rupya"
Sethi kee baat sun'kar Som wahan se uth gaya. Sograppam uska hath pakar kar niche bithya.… "Lencer kya hua deal pasand nahi aaya kya???"
Som ne koi jawab nahi diya. Sograppam ne ek baar fir Sethi ke ore dekha.… "2 lakh". Sethi ne bhav dugna kiya idhar se Som ki awaj aayi 25 lakh.
Sethi:- Pagal hai kya 25 lakh. Itne me to John Cena aur Roman Reigns haar jaye.
Som, uski baat sunkar kuchh nahi bola. Chup chap aaram se baitha. Pados se ek khali thali khiskaya. Apne pichhe tange bag se chilam nikal kar, plate me masala daal kar chilam banane laga...
Sethi ke baki sathi pak se gaye the… Kuchh kuchh aawajen unke aapas ke baat karne ki aane lagi. Fight to karwani hi thi, bus fighter badal diya gaya tha. Darasal Sethi ko apne bete ke profile ke liye ek fight organise karni thi…
Underground fighting, jiska promo Sethi ka beta kar aaya tha. Sethi ka ladka Amardeep Sethi urf "The Royal Sethi" yahan sirf aur sirf underground fighting ki live video banane aaya tha. 2 lakh wala bahar ka fighter nakki nahi hua. Sethi ne anth me apne hi bodyguard ko taiyar kiya. Pahle apne dono item ko side me aaram se bithaya baad me Royal Sethi ko bulava bheja...
Royal Sethi kale rang ka overcoat pahane huye tha. Hathon me patli pattiyan sarikhe ujla kapda lapete huye. Jaise hi wahan ke chhote se maidan me pahuncha, charo ore se heat blower ki badi-badi machine lag gayi aur bich me aa kar khada ho gaya Royal Sethi. Royal Sethi ke wahan khade hote hi Sograppam ko ishara mil gaya ki ab yahan sab live hone wala hai.
Sograppam aur uske sathi kuchh dur pichhe hat kar andhere me pahunche. Som wahin baitha apne chilam me masala bhad chuka tha. Idhar Som apna sutta khinchna shuru kiya aur udhar "Royal Sethi" ne apna overcoat utar diya.