-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
pata nahi kyun par iski ye video dekh kambkkhat ye hanshi nahi ruk rahi haiyehi hai kya
Btw iski face expression dekhiye zara
pure face ko aade tedhe medhe kar sakti hai ye to
beautiful updateUpdate:-9
Som waqt se pahle hi social profile ka kaam khatm kar chuka tha. Mount Abu lautne ke badle wah kuchh din Gujrat bhraman kiya. Gujrat bhraman kar ke wah Mount Abu pahuncha.
Shadi me 5 din bache the. Dono pakshon ke ghar ke logon ke sath kuchh karibi rishtedar bhi pahunche huye the. Sham ka waqt tha. Som resort me poora din sone ke baad resort ke lawn se chala ja raha tha.
Bahar halki barish ho rahi thi aur raushni itni prayapt nahi thi ki dur se kisi ko saaf dekha jaye. Jugnu ladki paksh ke sath thi. Dulhan ka poora pariwar ek hi jagah baitha hua tha. Jugnu un sab ke bich shadi ka poora karykarm samjha rahi thi.
Diksha Mishra, iss shadi ki sabse pramuk sadsya, Dulhan... Uski najar ek jhalak bahar khule lawn me gayi jahan se Som gujar raha tha. Utni dur se pahchan pana thoda muskil lekin aabhash ho gaya tha ki wo Som hai. Baaten chal rahi thi. Diskha sab logon ke bich baithi hui thi. Jaise hi usse aabhash hua wo daur gayi.
Jaise hi wo dauri, sab ke sab hairan ho gaye, poora parivar hi Diksha ke pichhe daur gaya. Diksha teji se daur kar Som ke aage rasta rok kar khadi ho gayi. Wah haanf rahi thi. Haanfti hui... "Kamina kab aaya"
"Jab dekh le tab aaya."
Diksha aankhen mundi, aankhon me bachpan ki wahi chhavi thi. Ek tej daur aur uchhal kar sidha Som ke gale lag jana. Diksha ke liye na to wo dost badla aur na hi Diksha ki bhavnayen. Chand second shwans lene ke baad Diksha ek tej daur laga di. Kud'kar sidha Som ki god me. Dono baanh Som ke gardan ko jakde... "Tu soch nahi sakta main kitni khush hun. Ab ye event nahi shadi lag raha hai. Warna tere bina ek event sa lag raha tha jahan main formality karti".
"Bacchi nahi rahi Diksha. You grow up aur sath me, you know what I want to say"
"Fucking basterd. Tu jyada udhar feel mat kar, tu mere emotion feel kar. Got it"
"Haan thik hai, lekin tera neta baap mujhe gayab karwa dega. Tere hone wale ne dekh liya to, teri shadi toot jayegi"..
"Kuchh der aur. Aahhh tu soch nahi sakta main kitni khush hun. Tu kaisa hai Som. Tera mann nahi kiya mujhse milne ya baat karne ka"…
"Tera interview dekha tha. Kamal ki thi. Main tumhare achievement ko dekh kar kafi proud feel karta hun".
"Janta hai poori bhid hua karti thi. Aur uss bhid me meri najar tujhe dhundha karti thi. Sab aaye the, Madhurima thi, Amit tha, bus un palon me tu hi nahi tha Som. You made my all event hell. Are you listening me Som"…
"I miss you too Diksha. Tabhi to yahan hun. Don't cry"
Diksha, Som se alag hoti... "Har kisi ka apna ek group hota hai. A friend's arena. Amit aur Madhurima jab se relationship me gaye, they forgot me. You forgot me. In every moment when my eyes seeks some close one, no body was there. Jab lagta ki kisi se baat karni hai tab mere pass dost nahi hote. Don't you think how I felt. Logon ki bhid hoti thi aur main khud ko akeli mehsus karti thi. It seems like I am a biggest looser. Mujh se achhe to mere office ke employees hain jo 30k, 40k salary uthate hain aur har mahine unke pass celebrate karne ke liye unke dost hote hain. And what I achieved, a big Md cabin and nothing else. Why shouldn't I cry Som... Why..."
Som niche baith kar Diksha ke aanshu pochhte... "Tere pass to 4 dost the, jisme se ek out of contact ho gaya. Mere pass kewal 2 dost hai. Jitna waqt main tujh se nahi mila hun utne waqt se main lagbhag Sia se bhi nahi mila"
"She is enough strong. But main Sia nahi hum Som. Kah de ki Sia se teri baat nahi hoti, UK jane se pahle mila na hoga."
Som khada hua. Uchhal kar 2 baar chhap-chhap karte alhad se dance ke sath chinkh-chinkh kar gaane laga...
"Naata yeh sannata hai, dekho lambu shor hain
Har dil mein bud bud karta h2so4 hain
Na koi padhne wala na koi sikhnewala
Apni toh paathshala masti ki paathshala
Apni toh paathsahala masti ki paathshala"
Jaise hi Som ne gaana shuru kiya thik ussi waqt Diksha uth khadi hui. Aankhon se aanshu gir rahe the lekin wo hans rahi thi. Roti hansti wo bhi Som ke pass pahunchi aur alhad ke jaise chinkh kar gaate huye nachne lagi.
Dono nachte huye haanfne se lage. Kuchh bund aanshu Som ke aankhon me the. Kucch bund aanshu Diksha ke aankhon me bhi. Dono barish me bhing chuke the. Haanfte huye dono aamne samne khade huye.
Diksha sar upar kar ke Som ko dekhi. Aanshu uske jaise fir se phoot nikle ho. Som se lipat kar wo roti hui kahne lagi... "Ab please out of contact nahi hona... Pleaseee"
Dono mahol se poore be khabar, ek lambe arse ke baad milne ka gum bhula rahe the. Ab tak resort ke har kamre se darwaja khul chuka tha. Kamre me maujood log dono ko dekh rahe the. Lawn me lage bade-bade vaper light jal rahi thi. Ladki aur ladke paksh ka parivar karib se dono ko dekh rahe the.
Kitne bhi modern Bhartiya samaj kyon na khud ko dikha le. Unke pass har ainaitik rishte ko naitik sangyan dena fashion aur har natik rishte ko anitik samjhna jaise mentality ho chuki ho...
Yahan bhi aisa hi kuchh ho raha tha. Aisa bhi nahi hua ki dono jab shurwat me mile tabhi rok dete. Poora show jab khatm ho gaya tab inhe dhyan aa raha tha ki "ohhh ye to galat ho raha hai"…
Ek chhota sa mello drama scene creat hota, jahan kisi ristedar ke muh se nikla... "Ye aaj kal ke bacche shadi kisi aur se ho rahi hai aur chipak kisi aur se. Vyakul ho kar aise bhagi jaise sab kuchh yahi ho"…
Bus fir kya tha. Mata ji ka dimag fira. Poore gusse se khadi ho gayi dono ke pass. Khinch kar alag kiya aur bilkul Hindi serial ke style me hath upar utha aur chatakkkk ki awaj gunj gayi.
Som ke muh se "aawwwww" nikala aur ussi ke sath tej hansi bhi. Thappad padne ka gum nahi tha lekin Diksha, Som ko aise ghuri mano kah rahi ho... "Hans le kamine baad me batati hun"
Itne me hi bechara dulha bhagte daudte, chhote chhote jhadiyon se bani fancing ko kudte faandte, kisi hero ki tarah wahan pahuncha. Apni dulhaniya ko apne pichhe liya aur.… "Aap logon ka dimag kharab hai kya, dono bachpan ke dost hai aur aap bina jane hath utha diye"
"Aisi dosti bus filmon me hi dikhaya jata hai. Lekin wahan bhi dono me kuchh-kuchh hote rahta hai."
"Isse besharmi kahte hain"
Kuchh atyant bhawuk rishtedar jo in vishyon par shuksham gyan rakhte hain, apne vichar dene lage. Tabhi dulha gusse me sab se kahne laga... "Agar aisi bhavna hoti to chori se milte. Kisi ki bhavnao ko aise nichta ka naam nahi dete. Diksha tumhare rishtedar bahut hi orthodox hain. Kahan hai sasur ji."
"Pagal ladka, neta ji idhar hote tab aise comment sun ne ke baad mamla katam-katai ka ho jata"... Bhid se chill kar kisi ne dulhe ko cheta diya ki Dulhan ke pita yahan hote to kya hota. Mata ji thi to bus thappad hi para tha. Kuchh der mahol thoda gambhir raha lekin kuchh der baad sab ko samjha diya gaya ki award function me log anjano ke gale lag jate hain tab to taliyan baja dete ho. Yahan bachpan ke dost se mil rahe tab galiyan."
Aise hi 8-10 comprision aur kuchh ristedaron ke beton ki profile khol kar dikha di gayi thi jo videshon me videshi balaon ke sath kaise-kaise tasveer khincha rakhe the. 1 ghante ka ek debate session chalne laga.
Mamla samajhne-samjhaane ka jaise hi shuru hua tha, Diksha aur Som ke najron ke bich sangosthi hui aur dono pool side paun latka kar baith gaye. Cigerette ka ek kas Som khinchta aur fir cigerette pass ho jata.
"Kafi majboot ho gaya hai. Army to nahi join kar lee"
"Army join karne ki ikchha thi, lekin wahan bade baal rakhna allowed nahi tha isliye idea drop kar diya".
"Pagal… Itna emotionless kaise ho gaya Som. Kya Sia yahan nahi hogi to tu mujh se bhi nahi milega"
"Soooo sollyyyyyy... Kya karun jo Diksha ko santusti mile"..
Diksha, Som ke baanh me apni baanh fasakar sir ko uske kandhe se tikati.… "Mere pass rahna, bus itna kar de"
"Ab kahin gayab nahi hounga. Happy na"
"Very happy. Mujhe nachne ka man kar raha hai"
"Abhi nahi rahne de. Waise Mishrayan ne tujhe thapad bahut shandar maari"…
"Satak gayi hai uski. Tujhe thappad maarna chahiya tha to mujhe ulta maar di. Aur tu kamina hans raha tha"
"To kya karta, Lata Mishra ko jawabi thappad maar deta"..
"Huhhhh !!! Hath rok nahi sakta tha. Thappad poora pad jane diya, ulta hans bhi raha tha. Bahut din baad mila hai isliye bach gaya warna dono gaal par haath ke nishan chhape hote"…
"Hahaha... Diksha tujhe tairana aaya ki nahi ab tak"
"Nahi kahan aaya. Bahut kosis ki lekin dubne ke siwa ab tak kuchh na aaya. Jaldi-jaldi ab quick view de itne salon me kya kiya."
"PhD in linguistics. Distance cource offered by Massachusetts Institute of Technology (MIT), Cambridge. Jine ke liye mahine me ek baar underground fight karta hun. So 1 se 2 lakh income ho jata hai. Iske alawa apna portal develope kiya hai jahan Lancer ke naam se log mujhe jante hain. Udhar freelancer hun. Jis area me bhatak raha uss area ka kaam mil gaya to kar deta hun. Charges kaam ke hisab se"..
"Tu ye kya naya naya cource dhundh leta hai. Kabhi suni bhi nahi. Aur ye elligal fight karte tujhe sharm nahi aati. Police pakad legi to."
"Mehnat ke paise loot leti hai aur kya. Janti hai tum sab ko yaad kar'ke main kayi baar roya hun"..
"Ya I know. Main bhi to roti thi. Wo Sia nahi royi hogi"..
"Wo to sab ke touch me thi na. Aur wo samne me roti hai. Abhi race lagayegi mere sath"
"Haynn na lagati mai race tu cheater hai. Aur ek emotion me baat kar na. Abhi Sia abhi race. Ab ye mat kahna chal kisi ke garden me uske fruits chori karne hai"
"Khyal bura nahi hai. Kya kahti hai. Madam ka ghar matr 7 km. Race lagate chalte hain. Chori bhi kare aayenge."
"Tujhe yakin na ho to pichhe zip khol kar dekh. Pith par madam ke chhadi ki bilkul halka nishan ab bhi najar aata hai. Chamdi udher di thi aur daya bhi nahi dikhayi".
"Diksha, jo pakde gaye wo chor. Jab ek chor pakda jata hai tab uska kya hota hai ye tumhe jaan lena chahiye, taki next time jab chori karo to utni hi taiyari ke sath chori karo.… Hahaha"
"Kamine dono bhai bahan mujhe chhod kar bhag gaye the."
"Hahaha.. ab tujhe extra fun chahiye the. Main aur Sia to shuru se tere followers rahe hain".
Diksha ek hath badha kar Som ke gaal ko khinchti... "Thanks a lot. Som aur Sia mere followers the ye feel the proud momnet tha. Waise tere gaal pichak gaye. Pahle ki tarah gol matol na hai."
"Accept the change and feel the happiness. Har umr ki apni ek kahani hoti hai. Har padav par kuchh naye milenge, kuchh purane chhut jayenge. Lekin friend's arena aisa hota hai jo jivan bhar constant rahta hai. Ek dost hi kafi hai boaring se zindgi me thrill laane ke liye".… Som apni baat kahte Diksha ke gaal ko chuma... "Aur mere zindgi me to 2 thrill hain".
"Madam ki har baat ko poora ratta maare hai philospher ka nana. Jyada gyan mat de gyan chand. Issi chakkar me tu kisi na kisi subject me fail hota tha."
"Meri kya galti hai, likha tha kisi ek poem ko explain karo. Mai atak gaya uss sawal me"
"Wo poore class ko dikha tha. 2 ghante tak tune extra copy maang maang kar madam ki philosophy explain karta raha tha, Gadha. Ek baar jo achhe marks le aata. Har exam ka tera aisa hi natak hota tha. Kisi ek sawal me aisa ulajhta tha ki 2 ghante me se dedh ghanta ussi me laga deta tha"
"Ek hi baar to hua hai"
"Achha aur wo best friend ke bare me jab puchha tha tab. Uss paper me bhi kewal ek answer kiya tha aur fail. Oxygen ki properties puchha tha tab kya hua tha. About school. History of Rajasthan kindoms, Vayumandaliya dabaw. Koi ek aise subject ko baksha tha, jiske sawal padh kar teri bhavna na jaag gayi ho aur poora exam ussi ke answer me nikal diye ho."
"Mere dimag me to madam ki philosophy hai. Lekin tere dimag me to mere poore nakarepan ki kahani store hai. Ye sab tune mere sath bahasbaji ke liye yaad kar ke rakhe hai na".
"Ab yahi baki rah gaya hai kya? Aur tere poor marks ke kewal 1 hi kisse honge kya? Yaad dilaun tujhe."
"Pass ho jata tha na. Ab sab brilliant to nahi ho sakte na teri tarah. Har subject me 100 me se 100 lane wali. School ke portal par hall of fame me sab se upar."
Dono ki baten chalti rahi. Shayad raat kam par jaye lekin inki baten thi ki khatm hone ka naam nahi le rahi thi. Khatti mitthi purani yaden. Dono itne masgul the baat karne me ki kab ek baar fir sabhi log uske pichhe baithe, dono ko dhyan hi nahi tha.
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
mast updateUpdate:-10
Dono ki baten chalti rahi. Shayad raat kam par jaye lekin inki baten thi ki khatm hone ka naam nahi le rahi thi. Khatti mitthi purani yaden. Dono itne masgul the baat karne me ki kab ek baar fir sabhi log uske pichhe baithe, dono ko dhyan hi nahi tha.
Dono ki bhavnatmak baten pichhe baithe logon ko rulne lagi thi. Sab ke aanshu chhalak rahe the. Dulha to bollywoodiya nikla. Hone wali patni ke liye prem ke sath-sath clean cheat dilane ka aisa jajba, kamal hi tha.
Kuchh der baad ristedaron ke bich ek official intro ke baad Som wahan se apne kamre me chala aaya. Kafi accha lag raha tha Som ko bhi. Bahut dino baad khush tha wo. Haan abhi huye chos ke mahol me jo kisi ki najar thik se nahi gayi, wo tha Som ka huliya.
Agli subah se hi uske huliye ki charcha poore shadi me ho rahi thi. Khair dulhe ke liye to Som ka look normal tha. Dilfek ladkiyon ke bich hot look. Lekin in sab ke alawa Som ke look ko le'kar 2 tarah ke vichar aur bane, ek to aawara aur dusra mental.
Dulhe ki rishte me chachi lagi Sugandha Jadeja. Iss shadi me Som aur unke bich hi sabse jyada durghatnayen hui thi. Halaanki dono ki pahli mulakat thi hi aisi. Shadi ke 4 din pahle Sugandha pahunchi. Usne dur kahin tej dhuwan sa uth'te dekha. Usne socha aag lagi hai. Najdik pahunchi tab wahan ek ladka baitha hua tha, chehre ke upar poora dhuyen ka badal aur hath me ek lamba chilam.
Sugandha dekhte hi... "Ae tumhe ander kaun aane diya hai"
Abhi to Sugandha ke gussa ka pahla charan tha. Som uski baat suna ya nahi. Dhuwan chhanta bhi nahi tha uske upar chilam ka ek aur lambi kas khinch liya. Sugandha poori tarah se aag babuli hoti apne mobile se Jugnu ko call ki aur resort security ko uske pass bhejne ke liye bol dee.
Yes, Sugandha, Jugnu ki maa thi. Apni maa ko security bulate dekh, Jugnu thodi chintit hui aur 4 logon ko le'kar nikal gayi. Jabtak idhar Sugandha 4 baar Som ko bhagne ke liye bol chuki thi. Dhuwan chhanta, Som uth'kar khada hua. Wo Sugandha ki najron me Som ka pahla look... Muh se apne aap hi nikal gaya…. "Low class aawara, sadak chhap"
Som, ke samne Sugandha khadi ye bol to gayi. Lekin Som ne jaise hi apna pahla kadam badhaya. Sugandha dar ke mare uske raste se kinare hoti.… "Bhag jao yahan se. Pata nahi ye resort wale kis-kis ko ander aane dete hain. Ye ladki kahan mar gayi"..
Jis raste se Jugnu aa rahi thi, ussi raste se Som bhi ja raha tha. "Som sir koi hai wahan jo meri mom Ko dara raha hai." Som, uski baat sun kar hans diya aur chup chap wahan se chala gaya. Jugnu ukhda sa chehra banati... "Pata nahi iss mental ke dimag me kya chalta hai"… Jugnu bud-budati hui wahan se aage badh gayi.
"Mom kahan hai wo ladka jo aap ko padesan kar raha tha"
"Abhi tu jis ganjeri ko daant rahi thi wahi to tha. Usse bahar ka rasta dikhayi ki nahi"
"Kaun"
"Are wahi lambe baal wala wo awara ladka"..
Jugnu apne muh par hath rakhti shocking expression deti.… "Ye Som ki baat kar rahi hain"
"Tu aise shocking expression kyon de rahi hai"
"Kuchh nahi mom, chalo yahan se. Shadi me aayi ho ya logon ki enquiry karne"
"Ae tu event management wali. I am your client. Bhul mat paise liye hai tune. Humre sabhi sahuliyat ka intzam tujhe hi karna hai"..
"Haan doli mangwa dun. Pappa ko bolun iss lagan mandap me dobara aapse lagan karne"
Chhoti si tikhi bahas dono maa-beti me wahin par ho gayi. Sugandha ko pata to chal gaya tha ki ek charsi, ladki walon ke ore se hai lekin khun tab khaul gaya jab uska bhatija yani ki Dulha Pranshu tarif karne laga Som ka. Bechari wo Sugandha. Jugnu apni maa ki haalat dekh'kar apne pappa ke pass pahunchi… "Pappa, mammi ko samjhao, wo bekar ka bawal kar rahi hai"…
Pappa Harindr Jadeja... "Uss se bahas karne se koi fayda nahi hai. Achha sun tum kab tak ye chillar business karti rahegi. Tum kabil ho, apni company kyon nahi join karti"..
Jugnu apna matha pit'te... "Aanhhh pappa, kabhi to dhandhe se bahar aabhi jao"
Harindr:- Abhi tu haan kah de to main turant teri sari baat sun leta hun...
Jugnu:- Main hi pagal hun jo aapke pass aayi. Aap apna desert enjoy karo..
Harindr:- Beta mithe ki veriety thodi kam hai. Kal se 2-4 item badha dena...
Uski maa ko aaye 2 hi din ho gaye the aur 2 dino me wo Som ke naam se bawal si machaye huye thi. Din ke waqt sangeet ka function rakha gaya tha. Subah-Subah Diksha Som ke pass pahunch gayi. Som usse dekh kar muskurate huye... "Bahut pyari lag rahi hai"
"Sach me pyari lag rahi. Achha Sia jaisi lag rahi ya uss se acchi."
"Ab ye compare kyon???"
"Bus soch rahi thi. 8 sal se tu hum dono se nahi mila, Sia abhi kaisi hogi. She grew up completely na"..
Som, Diksha ke hath se cigerette lekar kas khinchte... "Haan kafi badi ho gayi hai. Young, gourgious. Oh haan ab Lucknow me uske 3 dost bhi hai"
"3 dost. Sach me???"
"Exactly pata nahi, lekin likhi thi, pahli baar mili thi. Kafi cute aur funny boys hain. I want to meet them again."
"I am happy. At least she has some intrest to meet some new people. Kash wo yahan hoti."
"Main bhi yahi soch raha tha"….
Som apni baat kahte huye Diksha ko bade dhyan se dekha. Diksha apni lalaat upar karti hui, isharo me uss se puchhne lagi "kya hua". Som kuchh bol nahi paya. Bus aanshu uske bah chale aur Diksha ke kandhe par sar rakh'kar rone laga...
"Kamal hai, tu bhi aise rota hai"…
"Dad aur meri haalat ek jaisi thi, jise Sia ke bare me kuchh pata nahi. Aur jab pata chala tab... Aahhh !!! Mere liye to tu hi bhagwan hai. Thanks.… Tera udhar chukane ke liye ye zindgi kam pad jayegi"…
"Kya main seriously bimar padti aur tujhe pata chalta to tu nahi aata kya???"
"Mat soch aise situation ke bare me. Janti hai uss school me carorepati aur arabpati ke bich pala badha. But you are exceptional case Diksha. Tumhare parent to mahan hi ho sakte hai."
"Stop this shit yaar. Shadi hai meri. Ek hi baar me poora ro leta na. Main boli thi pool side se uthne. Sare rone wale emotion ussi din nikal lena tha. Ab kya har purani baat ke liye royega, thanks kahega. Waise bhi abhi main bahut nervous feel kar rahi hun."
"Kya ho gaya???"
"1 baje se Sangeet rakha hai. Ladki wale vs ladke walon ka dance hai. Aur mere yahan sab ko tamanche par disco hi karna aata hai".
Som jalta hua cigerette Diksha ke ore badhate… "Ab main Michel jaction to nahi ban sakta na. Wo dono pahunch jayenge"
"Sale kutte hain dono"
"Dono kutte kaise ho sakte hain"
"Right wo Madhurima kutiya aur wo Amit kutta. 2 din pahle aa jata to uske shares crash kar jate na stock market se. Bloody professionals"
"Gandi juban. Madam sun leti to bhul jati abhi ki teri shadi hai"
"Tu thappad kha jayega. Mujhe madam ko invite karne ke liye rok kyon rakha hai."
"Madam aa jayegi, that's my promise. Main khud jaunga lene."
"Bhula na to dekh lena, main tujh se baat karna chhod dungi."
Diksha gusse me bol kar Som ko ghurne lagi. Som uska gusse wala expression dekhkar jod-jod se hanste huye.… "Pakka tu mujh se baat karna chhod degi na"
Diksha japatta maar kar uss se ladne pahunch gayi..... "Ae pagal wo mera baal hai. Chhod usse"
"Gusse me baal hi noch leti hun. Insan to dikhega kam se kam"…
Dono utha patak karne lage. Ladte ladte hafne lage. Dum itna chadha tha ki shwans fulne lagi thi. Chehra laal pad gaya tha...
"Main baad me aati hun"…. Jugnu darvaje se khadi ho kar kahne lagi...
Diksha, chadi si shwans ke sath... "Maar pit khatm ho gaya. Darvaje se sidha ander. Isne allowed kiya hai kya???"
Jugnu:- Haan sir ne daya dikha di mujh par…
Uski baat sun kar Diksha hansne lagi. Som ki bhi hansi nikal gayi... Diksha hath ke ishare se bulati… "Sit here"
Jugnu:- Main to sangeet ke bare me puchhne aayi thi, aap kya pahan kar jaogi.
Diksha:- Jugnu leave it. Ab kaam apne logon ko de do. I respect your dedication, lekin kaam ko thoda enjoy karna sikho aur yahan to tumhari poori family hai.
Jugnu:- Diksha maim, main kya karun? Apne pappa se pareshan hun. Yahan thodi bhi chuk ho gayi to mujhe jabardasti ghar ke business me laga denge. Aur mujhe office se nafrat hai... Jo satisfaction apne logon ke sath kaam karne me milta hai na wo mujh se office me rah'kar nahi ho payega…
Diksha:- Mere pappa ka bus chalta to iss gadhe se meri shadi karwa dete. Pappa aise hi hote hai. Apni beti ke liye jo sabse best aur secure lagta hai wahi chunte hain…
Jugnu, hairani se dekhte... "Aap ke papa... Lekin Som sir to aksar kahte hain tumhare neta ji papa mujhe gayab karwa denge..."
Diksha:- Hathi ke daant hain. Dono baith kar daru bhi pite hain...
Jugnu:- Lekin aunty uss raat...
Diksha:- Uska ye nalayak beta hai... Ab ristedaron ke bich kuchh to drama dikhana tha na...
Jugnu:- Lekin aap ke rishtedaron ko kuchh pata nahi kya??
Diksha, Som ke ore dekhti... "Kuchh tu bhi bol le na... Main hi akeli jawab dun kya?"
Som:- Kuchh der pahle kuchh nurvous feel kar rahi thi na...
Diksha, ek cigerette jala kar ek kas lee... "Haan yaar nurvous to feel kar rahi hun"…. Diksha, Jugnu ke ore cigerette badhati... "Lo"
Jugnu:- No maim.. main smoke nahi karti.
Diksha:- Jugnu itni formal kyon ho..
Som:- Bahut professional hai ye Diksha. Iske ander kaam karo to mujhe "tum-tum" kahti hai. Aur jaise hi duty off to sidha "Sir aur aap" par aa jati hai.
Diksha:- Ye, iski cousin Suhani, Wo Mandeep, Harpreet, Divya, Parthiv… iske poora group hi brilliant tha..
Jugnu:- Aap ne hum sab ko notice kiya tha..
Diksha:- Iss baat ki gahraeyon me mat jao Jugnu. Aur haan please itna formal na raha karo. Diksha didi sounds cute, wahi rahne do.
Jugnu:- Wo aadat ko ab chhudani hogi na. Ab to Diksha bhabhi kahne ki aadat dalni hogi..
Som:- Dikshaaaa.. Wo kuchh baat karne aayi thi sangeet ke bare me...
Diksha:- Oh haan. Jugnu mere 2 kamine friends 12 baje aayenge aur main khud unhe receive karne jaungi...
Som:- Tu pagal ho gayi hai kya?
Diksha:- Shut Up… Jugnu can you do something..
Jugnu:- Thik hai sangeet shaam ko kar deti hun..
Diksha:- Thanks a lot. Ye ehsaan udhar raha mujh par.
Jugnu:- Ehsaan kaisa. Aap logon jaisi friedship ki kalpna hi ki ja sakti hai. You are best.
Som:- Dusron ko dekh kar khud ko judge karna band karo.
Jugnu:- Main ja rahi hun. Sangeet aaj sham 7 baje se. Menhdi kal rakh lete hain din me... Chalega na..
Diksha:- Daurega Jugnu. You are superb…
Jugnu ke jate hi Diksha uth khadi hui... "Taiyar rah, hum abhi niklenge. Ek khuli jeep aur chilled beer ka poora stock. Ek baat aur, aaj raat baithak ki vayvastha kar lena. Main aur mere wo dono ke liye.
Som:- Ji maim aur koi order...
Diksha, Som ke gaal khinchti…. "Thankooo sooo muchh babua... Akele me pahle 2 peg markar sangeet me jaungi, fir dekhna Deeksha Mishra ka jalwa"
Dono khuli jeep me nikle. Ghumavdar khubsoorat rasta, Diksha ke hath me beer aur dono chale ja rahe. Ghumte firte bus stand pahunche. Diksha poore bus stand ghum ghum kar apne doston ko dhundhne lagi. Jyada mehnat nahi karni padi. Amit aur Madhurima ne unhe dekh liya tha… Fir to teeno (Diksha, Amit aur Madhurima) ke milne ki gram joshi bhi dekhne ko mil gayi.
Som drive kar raha tha. Amit, Madhurima aur Diksha, Som ko poore raste chhdte huye ja rahe the. Diksha kafi khush lag rahi thi. Amit aur Madhurima ke aane ke baad Som ko bhi kuchh releif tha, kyonki Diksha sangeet ke liye dono ke sath vyast ho gayi. Sangeet ka ayojan hua jahan pahli baar sab ekttha huye the. Haan ikattha to khushiyan manane hi huye the, lekin kise pata thi ki ye raat kafi lambi hoti chali jayegi...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
awesome updateUpdate:-11
Som drive kar raha tha. Amit, Madhurima aur Diksha, Som ko poore raste chhdte huye ja rahe the. Diksha kafi khush lag rahi thi. Amit aur Madhurima ke aane ke baad Som ko bhi kuchh releif tha, kyonki Diksha sangeet ke liye dono ke sath vyast ho gayi. Sangeet ka ayojan hua jahan pahli baar sab ekttha huye the. Haan ikattha to khushiyan manane hi huye the, lekin kise pata thi ki ye raat kafi lambi hoti chali jayegi...
Ab tak to sabhi ne Som ka get-up suna tha. Samne se jisne bhi pahli baar dekha stabdh the. Khair dance to usse aata nahi tha isliye wo aage gaya nahi albatta sabse piche tha to galti se Sugandha se hi takra gaya.…
"Maaf kijiyega, galti se takkar lag gayi"… Maafi mangte huye Som ne vinamrta purvak kaha..
"Tumhari maa kuchh nahi kahti iss balon ke jhopdi ko dekh kar. Kitne awara aur sadak chhap dikhte ho. Kahin aisa to nahi ki balon ko le kar apni maa ko hi daant dapat kar shant ke dete ho"…. Sugandha bhi uske vichar ko tatolti, aaram se puchhi... Lekin bhawna kahin na kahin tane dene wale hi the...
"Nahi wo mar gayi"
"Heeeyyy parmeshwar ye kya ho gaya? Sorry beta mujhe maloom nahi tha. I am really very sorry"
"Achha hua jo mar gayi. Aap jyada afsos karne ka drama band karo"..
Sugandha, Som ko hairani se dekhti.… "Jitne aawara ho utne hi gatiya bhi. Chhi apni maa ko le kar aisi baaten ek ghatiya mansikta ka ladka hi kar sakta hai. Tum jaise aulaad ko paida karne ke baad ye din dekhne ke liye jinda kyon chhod diya. Paida lete hi gala ghont dena chahiye tha. Aise aulaad se to bina aulaad hona achha hai. Apni maa ke liye respect nahi hai. Tum kya dusron se rishte nibhaoge... Haan haan sach sun kar kadwa hi lagta hai... Bhago yahan se."
Som uski bak bak ko chhod kar wahan se nikal gaya. Resort ke west side pool ke pass aaj sham ki baithak thi. Som wahin chala aaya. Apne bag se chilam nikal kar aaram se kas khinchne laga.
Som aankh munde dhuwan ke badal apne chehre par banaye huye tha. Tabhi uske kandhe par hath pada aur hathon se koi chilam khinchne laga. Som aankh khol kar dekha. Hadbada kar chilam pani me fenkte, chhota sa muh bana'kar… "Sorry mujhe pata nahi tha aap mere pichhe aaoge."
"Baithak ki kuchh vayvastha hai ki nahi. Pichhe aa hi gaya to baap-beta baithak laga lete hain"…
Som hanste huye pool side se uth'kar round table ke ore chal diya.… "Mishra ji kaise hain"
Diksha ke papa, Kapendra kumar mishra... "Tera netaji ab bada businessman ho gaya hai."..
"Tabhi pichhe itne sare bandook wale hain"
Kapendra Mishra:- Protocol hai, kya karun… suno bhai log main yahan safe hun. PA sir sab ko le jaeye...
Som:- Intercaste marrage ke liye raji kaise ho gaye. Mujh se to kahte the gayab karwa dunga...
Kapendra:- Aise kahne ke sath karne lagta to tujhe gayab na karwa deta. Waise mera offer ab bhi hai... Meri beti ke liye tujh se achha koi nahi milega. Wo tere sath safe hai...
Som, hairani se Kapendra ko dekhte.… "Kya hua hai. Koi samasya hai kya?"
Kapendra:- Kuch nahi bus beti ko lekar life long safety ke hisab se bola tha gadhe. Meri ek hi to ikchha thi... Mujhe to ab bhi lagta hai Diksha ke liye Som se behtar koi nahi...
Som:- Mishra ji aap ka bas chalta to humara baal vivaah karva chuke hote. 10th se ek hi baat ka ratta laga rakhe ho aur hum dono Kalpna madam ki baat dohra kar ub chuke hai. Fir bhi baaj na aaoge. Ek baar aur sun lo... Hum dono class 1 se sath hain. Aap samjh rahe hain. Just like 1 pariwar me jaise 2 hum-umr bacche palte hain waise hum pale hain.
Kapendra:- Haan main janta hun re... Lekin jab tum chhote-chhote the tabhi se ikchha man me thi... Khair tu Mumbai aa ja mere sath.
Som:- Mishra ji irritate na karo... Pani dekho..
Kapendra:- Bus kar poora pani hi bhar dega kya.. Abe ye to wahi brand hai purani wali…
Som:- Pi lo, kabhi kabhi sasti sharab bhi pi leni chahiye… Waise ab tak javab na diye...
Kapendra:- Kya???
Som:- Intercast marriage ke liye raji kaise ho gaye...
Kapendra:- Koi business ya political saanth ganth wali shadi nahi ho rahi hai. Mujhe ladke ka vyavhar kusalta bahut pasand aa gayi. Unke yahan ek bada sa sanyukt pariwar ka culture tha, saaf matlab hai ki iss parivar me nafrat se jyada pyar basta hai. Mujhe sab kuchh pasand aa gaya, aur Diksha ka jawab to tu janta hi hai. Bus itni kahani hai samjha..
Som:- Ladka achha hai. Aap wali poori chhavi hai...
Kapendra:- Tu mila hai kya???
Som:- Haan 2 din sath tha. Freelancing ki ek job poora kar raha tha...
Kapendra:- Chhod ye, tu peg bana… aur ab tak tu 1 hi glass par kyon atka hai...
Som, Kapendra ke hath se glass hata kar uske gale lagte.… "Sorry main uss waqt nahi tha. Poori ghatna mujhe bahut baad me pata chala. Please mujhe maaf kar do"…
Kapendra, Som ki pith thap thapate... "Main uss daur me bhagwan ki jab aarati gata tha tab yahi prathna karta tha ki tu nahi aaye... Tu hota to mujhe jyada akharta. Udhar bhi apne hi the ab kisko kya kahta. Tujhe hi thappad maar kar alag kar deta. Tu samjh raha hai na... Achha hua jo meri prathna bhagvan ne sun lee."
Som:- Aisa kyon bolte ho...
Kapendra:- Apne bacchon ke samne ek baap nakara sabit ho jaye... Ye atmhatya karne jaisa hota hai...
Som:- We are family Mishra ji... Koi rula gaya aap ko sala khud me dhikkar jaisa lag raha hai...
Kapendra:- Mera dhan baimani kar liya. Mujhe 2 mahine ki jail ho gayi... Bus itna hi na... Fir bhi dekh aaj pahle se jyada dhan hai... Aaj pahle se jyada logon ki madad kar sakta hun. Chhota sa update de dun tujhe, Mumbai me mere 3 school hain aur wahan kewal aur kewal 4th garde ke bacche padhte hain…
Som hanste huye... "Amir log garib bhi hote hain to sone ke bistar (Goden bed) par hi sote hain."
Kapendra:- Haan so to hai... Tujhe dekh kar accha lag raha hai. Waise ye Jugnu kaisi hai..
Som:- Neta wali khopdi bhidana band karo…
Kapendra:- Achha meri ek wish poori karega…
Som:- Kya Mishra ji..
Kapendra:- Hum dono dampatti mare na to mukh agni tu hi dena… mere baiman bhai ya uska bete mujhe mukh agni de to meri aatma royegi. Marne ke baad afsos hoga ki mukh agni ke liye ek beta kyon nahi tha mere pass"...
Som:- Areee chinta kyon karte ho. Dhol ka nagaada gunjega poore Varanasi me. Haan aankhon me aanshu honge lekin aap dono ki aakhri vidai ka jashn bhi hoga. Gulaal se poore Varanasi ko rang denge. Aap ko wahin jalaunga jahan aap ka poora khandan hai... Varansi ke ghat par… aur mundan bhi karwaunga...
Kapendra:- Aahhh !!! Ab kuchh sukoon lag raha hai… Waise ek ikchha aur thi...
Som:- Kya???
Kapendra:- Tu aur Diksha..
Som:- Mishra ji orthodox family hai aapki bhul gaye...
Kapendra:- Orthodox ki maa ki.. sorry... Ek beti ka baap hun... Ladka wo chune ya main chun lun... Bus dekhna ye hai ki beti khush to rahegi na... Mere bhai ne hi mujhe dhoka diya. Jail tak karwa diya batao... Tab cast kidhar gayi thi...
Som:- Jao ab aap. Abhi aapka damad aane wala hai...
Kalpendra:- Fir to achha hai... Baithak me aur jyada close ho jaunga...
Som apni aankhen dikhate… "Jate ho ki nahi"
Kalpendra, uth kar jate huye.… "Politician rah chuka hun. Kuchh bhi aankhon se chhipa nahi. Tu naam na lega to mujhe pata nahi chalega kya Deeksha bhi hogi na aaj ki baithak me...
Som:- Jab sab jante ho to ruke kyon ho... Jao na..
Kalpendra:- Baad me mil kuchh jaroori baat karni hai...
Diksha ke papa wahan se chale gaye. Som pool side me ek baar fir aaram se baitha hua tha. Abhi ek gaye the to dusra pahunch gaya. Ek kinare se Amit aur dusre kinare se Madhurima baithi.
Dono best friends ki tarah Som ke kandhe par hath diye... "Madhu Som ke to jalwe hai yahan. School time se har mehfil me charcha ka vishay yahi rahta tha"…
Madhurima:- Maine to school me kitni baar try kiya tha iss par. Ek baar to thappad tak laga diya tha iss khadus ne.
Amit:- Maze hain bhai ke hi... Dil me jealous type feel hota hai Som ko dekh kar. Kewal tum hi kyon school ki bahut si ladki thi jo Som ke heroic image par fida thi. Lekin apna hero to Diksha ke alawa kisi ko dekhta nahi tha…
Madhurima:- Tu itne sal gayab kahan tha Som. Mujhe koi ummid nahi thi ki tu iss shadi me milega.. Diksha kitna royi tere bagair... Ehsas bhi hai tujhe... Tune kabhi uski feeling nahi samjhi. Wo tujhe kitna chahti hai...
Amit:- Bhai rok de ye shadi… wo tujh se bahut pyar karti hai... Mat chhod Diksha ko. Tere liye uski tadap humne dekhi hai...
Madhurima:- Na jane kitne award jiti wo, lekin ek function me bhi uske chehre par khushi nahi thi. Har function ke baad wo roti thi. Chinkh chinkh kar tumhe pukarti thi.
Amit:- Tum dono ek dusre ke liye bane ho Som. Dosti proof karne ke chakkar me tum Diksha ki feeling ka mazak uda rahe ho.
Som, dono ke pith par hath ferte... "Nice to meet you my friends"…
Som apni baat kahte dono ka gala dhar dabocha aur sidha poora muh pool ke ander pani me dal diya. Dono chhatpata gaye. Dum ghutne laga... Dono bachne ke liye pani me kud gaye. Som bhi uske sath pool me utar aaya lekin dono ka gala nahi chhoda.
Dono marne ki kagaar par pahunch chuke the. Hath paun poore chhatpatane lage. Jindgi se jung chalne lagi. Aankhen poori taharah se khul kar pani me badi-badi dikhne lagi thi. Dono kisi tarah se chhutne ki jaddo jehad kar rahe the lekin Som ki pakad itni majboot thi ki dono asahay se the.
Pani me chhap chhap ki tej awaj aa rahi thi jo har bit'te waqt ke sath aur tej hote ja rahi thi. Dhire dhire wo chhatpatahat shant sa hone laga tha. Dum poori tahar se ghunt chuka tha...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Thankoo soo much Krish bhaiMast shaandar behtreen update
Ye Nischay kaha se aa gaya ab
are haan ye to wohi na jiske sath Alisha ki shaadi hone wali thi...
Khair kirdaar name mein changes hai..
Pati patni nischal & Kajal
koyi - koyal, moyi - mayuri, Arhcemia - Archana
Nahi abhi thodi changes hai..
Pati patni Nischal & Kajal
dhokhebaz bewafa biwi ko pata hi ki uske pati ke paas powers hai
ab,ye kajal kaun hai
wohi Chutiyadr sahab ki kirdaar Kajal
koun si story hai bhai ye
Koi baat nahi saaf rumal istamal kijiyega wrna ek kissa rumal ka yahan bhi aane wala hai.. samajh Jayenge...Sala emotional kar diya......
romanchak update ..ye amit aur madhurima to bahut ghatiya kism ke the ..
apne best friend ko hi dhokha de diya ,,diksha ke chacha ko bhadka diya aur chacha ne kapendra ( aise naam kaha se aate hai samajh nahi aata ) ko apni bahu ke rape ke iljaam me jail bhej diya aur paise bhi ainthe ..
aise bhai ko to jaan se maar dena chahiye ..
amit aur madhurima ki baat sirf mishrayan aur som ko pata hai ,,som ne sahi se dhamki di aur chupchap shadi ke baad yaha se bhagne ko kaha ..
amit aaj bhi diksha ko yaha dhokha dene hi aaya tha ,kamina kahi ka par som ke hote huye koi kaise kamiyab ho dakta hai apne ghatiya iraado me.
dono ko jaan se maar dena chahiye tha som ne ..
Aji bilkul romantic ka love song aur kuchh dilkash emoji bhej kar tarif shuru kar dijiye... Main to yahan hun sab sun lunga ..Omggg !! Review till update 4
Kamal ka likhte nain ...samjh nhi aa raha tarif Kahan
See shuru ki jaye kyouki... 2update padte padte Som ke naamo ko yaad karna pada lancer som phoenix .... specially i love the name Phoenix ....superrbbb description of Som.....aur entry ke baad ka description tou kamal tha imagine that scene makes me, feel like watching a scene from movie.... :Claps: