-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Update:-73
Kitni tadape ho jaise dono. Gale lag'kar kahndhe par sir tikana kitna sukoon de raha tha koi inse puchhe... Dono sari baton ko bhul'kar bus ek duje ke gale lage rahe.…
Kuch der tak ek dusre se gale lag'kar khade rahne ke baad dono alag huye aur aa'kar ek bench par baithe. Jaise hi dono sath baithe ek kadada rafta ki jordar awaz gunji... Sia bilkul stabdh (shocked) gaal par hath rakhe tukur-tukur Vyas ko dekh rahi thi.…
Vyas:- Aise kya ghur rahi ho. Itne tamashe jo tumne kiye, uske liye tum ek thappad to deserve jaroor karti ho...
Sia khud ko samany karti... "Achha aur wo kyun bhala"…
Vyas:- Kyunki Sia ander se kitne bhi gusse me kyun na ho, wo kisi bhi public place me anjano ke bich kisi par bhi apne hyper-emotion nahi dikha sakti...
Sia:- You are right sweeto... Waise main kya kah rahi thi aaj college bunk maarte hain... Sirf tum aur main.. Aur poora din pyar karenge..
Vyas, Sia ke chehre par pyar se hath ferte.….. "Wo kya hai na ek to ye amir baap ke bacche (Kirti & group) tumse pata na kis tarah ka badla lene chahte hain. Upar se wo high profile log kya kar rahe the iska bhi pata lagana hai? Aaj college bunk kar'ke pyar karna rahne dete hai.."
Sia, Vyas ke kandhe se lag kar uske gaal par ek ungli ferti... "Sweeto mere khafa rahne ke baad bhi jo tumne Kirti ke pichhe jasoos chhod rakha tha... Iss se pata chalta hai tumhe kitni fikr hai meri. Thoda pyar mujhe bhi jata lene do"…
Vyas dhakka de'kar Sia ko khud se kuchh dur karte.… "Main shayad ek kharab actor hun, lekin tumhari acting disaster hai Sia. Mujhe koi shauk nahi tumhare uss lohe ke patle wire se apne kalai ya paun ke katwane ka. Main chala.…. College me milta hun"…
Sia gusse me chillate.… "Shashtri ke bacche bhad me jao. Aana mere pass fir main batati hun..."
Vyas:- Agle ek mahine tak hath na aaunga...
Sia:- Bhag lo.. Bhag lo Shashtri.. kabhi to hath aaoge...
Vyas:- O khun ki pyasi dayan... Iron tonic kharidne ja raha. Jab blood jyada ho jayega akele me milne aa jaunga...
Vyas apni baat kah'kar wahan se chalta bana. Sia usko jate dekh muskurati hui khud se hi kahi.… "Hayeeee mar jaavan... Mere hero.. I love you"… aur uth'kar sidha apne ghar pahunch gayi...
Ghar par mahol poora shant tha. Som sabke sath baith'kar aaram se nashta kar raha tha. Ghar pahunch'kar jaise hi Sia yah najara dekhi...… "Achha to yahan "Bharat milaap" ho gaya. Aisa kya kah diya jo iske 2 din tak gayab hone par saza na mili"…
Chitra:- Maa ko bata'kar gaya tha..
Sia:- Kya sach me.. lekin 2 raat se to sabse jyada vyakul mas hi thi...
Som:- Maa bahut hi natural acting karti hai...
Chitra:- Thus le chup-chap... Tum maa-bete ke bich me jo khichdi pak rahi hai, uska to main pata laga'kar hi rahungi..
Som khate-khate khansne laga.... Chitra uska pith thokti... "Abhi to meri baat hi anpach hui hai… Jab sach bahar aayega to kahin loose motion na ho jaye"..
Som plate me rakhi apne bhigoye chane aur jo bhi bhigoye anaj the sabko sameta, aur wahan se chalte bana. Idhar Som ke uth'te hi pichhe se Lata Mishra bhi uthi aur Som ke sath kadam milati.… "Tu ye mat samjhna ki Chitra tujh'par najar rakhegi to aaj sham main Meera se milne ka irada chhod dungi. Ek baat yaad rakhna, yadi aaj tu mujhe Meera se na milwaya tab main tujhe dobara kabhi nahi dikhungi... Teri shadi tu kaise secret rakhega wo tu jaan, mujhe aaj Meera se milna hai"…
Lata Mishra cottage ke bahar kuch dur tak Som ke sath chalti hui apni baat kahi aur wapas laut gayi... Idhar Lata Mishra aur Som ki aise khusur-fusur vartalaap dekh'kar Sia.… "Chitra dal me jaroor kuch kaala hai"..
Chitra:- Sia pata to main ab lagake rahungi ki iss maa-bete ke bich kya khichdi pak rahi... Ab to Som geet bhi gun'gunane laga hai...
Sia:- Haayynnn !! Geet gungunane laga hai !!! Kaun sa geet gungunana raha tha waise...
Chitra:- Zara-Zara mahakta hai, bakhakta hai...
Sia:- Kya sach mein...
Chitra:- Haan Bilkul Sia… Kuch to raaj chhipaye ja rahe hain...
Sia:- Koi na iss raaj se jald hi parda uth jayega...
Ye to thi Som aur Sia ke sath chal rahi ghatnayen. Wahin Meera bhi do dino se gayab thi aur restaurant se laut'kar aane ke baad Meera ka bhai Jignesh bilkul kadak awaj me Meera se 2 din tak gayab hone ka hisab-kitab lene laga...
Meera, bhi bilkul natkiya andaz me kahne lagi.…. "Mere Shyam ji mujhe bula rahe the isliye main unse milne gayi thi. Main bhakti me thi"…
Jignesh:- Aisi kaun si bhakti thi jo ghar ke logon ko ek call na kar saki... ulta apna phone off kar liya...
Meera, naya phone dikhati... "Bus stand mein mera phone chori ho gaya tha"..
Jignesh:- Kya sach mein?... Fir ye kya hai?...
2 din pahle Meera jab college se ek fake boyfriend ke sath nikli thi, un tasviron ko Jignesh dikhate huye puchhne laga...
Meera uss tasveer ko ghur'kar dekhti... "Iss tasveer ko dikha'kar tum kya puchhna chahte ho Nikku (Jignesh ka Nick name)
Jignesh:- Main kya puchhna chah raha hun… mota bhai, bhaiya ye sab bhul gayi..
Meera:- Oh Sorry Mr Jignesh... Mujhe proper naam lena chahiye tha, kyonki ek bhai itne gande tone me apni bahan se aise na puchh sakta.. So Mr Jignesh iss tasveer ke jariye kya puchhne ki kosis kar rahe ab khul'kar hi baat ho jaye....
Jignesh gusse me Meera ko 1 thappad marte.… "2 din se boyfriend ke sath ghum rahi thi aur mujhse aisi baat kar rahi"..
Meera apne gaal par hath rakhe, berukhi se Jignesh ko dekhti... "Iska naam Captain Gautam Kumar hai... Ek minute jarra ruko"….
Meera itna bol'kar sidha Captain Gautam Kumar ko call laga di... Udhar se jaise hi "hello" ki awaz aayi...
Meera:- Gautam mera bhai ye jaan'ne ki kosis kar rahe hain ki tum uss din jo college aaye the, uske baad se aaj subah tak kya main tumhare sath thi?
Meera ka bewak sawal sun'kar Jignesh aur gusse me aa gaya... Meera jab Gautam se baat kar rahi thi, tab bich me Jignesh ki awaz to aayi lekin Meera gusse se bhadi apni badi-badi aankhen dikhati usse shant rahne ka sanket de di...
Udhar se Captain Gautam Kumar ne bhi phone speaker par dalne kah diya. Ab jo aadmi 2 din se Meera ke sath tha hi nahi bhala usse proof karne me kitna samay lagta hai. Ek baar jab Gautam Kumar ne sabit kar diya ki wo 2 din se Meera ke sath nahi tha uske baad to Meera jo hi apne bhai ko sunai.…
"Kisi ladke ke sath mera naam jod'kar kaise-kaise khyalat paal rakhe apne bahan ke liye... Sakki bhai... Blahhh.. blahhh.. balahhh...'
"Bechare Jignesh ki aisi class li, ki usse to Meera ka khauff ho gaya... Meera shuru se khaufnak manjar dikha hi rahi thi, aur issi bich Vyas bhi wahan pahunch gaya tha... Haan lekin wo shant ho'kar chal rahe tamashe ko enjoy kar raha tha… Meera lamba-chauda apna mello drama kar'ke jab shant hui, Jignesh sharmindgi se apna sir jhukaye maafi maangte huye kahne laga.…
"Meri mulakat Kirti se hui thi. Darasal kal sham wo bazar me mili thi aur aaj subah mujhe breakfast ke liye restaurant bulayi... Unhe nahi pata tha ki tum (Meera) meri bahan ho. Aapas me hi Kirti aur uske kuch friends charcha kar rahe the ki kya stylish boyfriend tha Meera ka. Wahin ye tasveer bhi dekha tha. Boyfriend ke sath bina bataye 2 din se gayab thi, ye soch'kar ek bhai ka kya haal hoga..."
Jignesh bhavnatmak baaten karne ke baad hasrat bhadi najron se Meera ko dekhne laga. Iss se pahle ki Meera kuch kahti Vyas bol pada.… "Jignesh tum apni jagah sahi ho.. galti Meera ki bhi hai jo bina bataye gayi… fir chahe karan jo bhi raha ho... Meera apni bhi galti accept karo.."
Meera, Jignesh ke gaal khinchti.... "Sorry mota bhai... Aapke muh se aisi baat sun'kar main bhi jarra hyper ho gayi thi.. main ab jaun college..."
Jignesh:- Haan thik hai tum jao....
Meera, Vyas ke sath car me hi nikli. Raste se usne Asif ko bhi bithaya.… Meera drive karti.… "Vyas sir, mujhe aisa kyun lag raha hai ki ye kamini Kirti mere personal life me kuch jyada intrest le rahi"..
Vyas:- Kaise.. jarra samjhaogi.... Aise kaun se link se wo tumhare bhai ko janti.. Kyonki Jignesh ki baton se to lag raha tha purani pehchan hai... Aur yadi dono dost huye aur wo tumhe pahle se janti hai to tum bhi usse pahle se janti hogi.. Lekin college me kabhi bhi tumhare haav-bhav se laga nahi...
Meera thodi chidhti hui.… "Maa ki lori Kirti kaise mere bhai ko janti hai ye mujhe nahi pata... Main bus itna janti hun ki Sia didi ne usse thappad maara tha. Sia didi ke sath milkar maine usse chidhaya aur uske refrence se hi mere bhai ko yah pata chala ki main college bunk kar'ke kiske sath nikli thi… So main to yahi maan'kar chalungi ki Kirti mujhse badla lene ke liye ye poora plan ki thi. Ek bhai ke weak emotions se khela hai usne... Kya wo kamini nahi janti ki bhaiyon ko aisi baat paata chalti hai to unke dil par kya bit'ti hai.… Usne mere parivar ko pareshan kiya, ab to uss haramjadi ko main khoon ke aanshu rulaungi..."
Ek lay me bina rooke Meera apni bhadas nikaal rahi thi... Tabhi bagal ki seat par baithe Vyas ne chutki le lee... "Tab sharm nahi aayi thi jab pyar kisi aur se... Aur college bunk kar'ke gayi kisi aur ke sath"…
Vyas ki baat Sun'kar Meera achanak se break lagati... "Dekho mera para pahle se chadha hua hai... Dimag uss kutiya Kirti par bhannaya hai... Vyas sir kuch aisa na kaho ki kisi ka gussa main kisi par utar dun..."
Asif, khi-khi kar'ke hanste huye... "Shastri bus kar re baba... Abhi apni study ki mentor sach me pareshan hai... Yadi Meera ka aaklan sahi hua to ye soch ki uss Sagar ki GF Kirti ka kya karna hai"…
Meera:- Karna kya hai, itna kaun sochta hai... Bus ek baar samne dikh jaye..
Vyas:- Hello miss mello drama queen... Kuch karne se pahle pata to karo ki Kirti ne jaan bujh kar sab plan kiya tha, ya matr sanyog me hua tha...
Meera:- Itne sanyog kewal film me hote hain... Lucknow jaise sahar me ek hi baazar me mil jana... aur milne ke agli subah breakfast par sab doston ke sath bula lena. Sala subah breakfast par kaun bulata hai...
Asif:- Ab hai to tumhara bhai bhi ek ladka hi... Kisi hot ladki ke bulane par kya wo waqt dekhega...
Meera:- "Sala subah ke breakfast par restaurant me kaun bulata hai aur aisa kya approch laga'kar boli ki mera bhai subah jane ko taiyar ho gaya... Akela ladka bulati tab to samjh me aata lekin wo to poora group ko bulayi hui thi... Aur unka group bhi subah pahuncha tha... Ab kya wo group sex porn shoot karti jo sab subah-subah pahunch gaye..."
"Aap isse sanyog maan sakte ho Vyas sir... Mere liye to kahin se bhi ye sanyog na lag raha…. Ghatiya harkat thi jo usne mere bhai ke kaan itne gande tarike se bhade the ki mera bhai gusse me aapa kho'kar mujhe thappad maar diya..."
Vyas:- Tumhare kahne ka matlab hai ki Kirti, Jignesh ko shayad pahle se janti thi...
Meera:- Yahi to puzzle hai na... Kya wo mere bhai ko pahle se janti thi, ya mere bhai ka pata laga'kar, Kirti kal jaan-bujh'kar mere bhai se bazar me takarai...
Vyas:- Chalo tumhare bhai ko kaise janti hai wo chhodte hain… Tumare kahne ka matlab hai ki kal jab Kirti tumhare bhai se baazar me takrai, tab usne tumhare bare me hint kiya.… Jis vajah se Jignesh subah Kirti se milne gaya... Wahin Kirti ne kuch logon ka set-up bitha rakha tha, jo jaan bujh'kar tumhari tasveer, Jignesh ko dikhaya aur bhadde-bhadde comments kiye honge..
Meera:- Exactly yahi hua hi hai... Warna main kahun ki Nirali ya Jannat ko kisi stylish ladke ke sath dekhi thi wo bhi kahne ka andaz positively… to tum kitna react karoge...
Asif:- React kitna bhi karun lekin itni baat ke liye thappad marne jitna to reaction kabhi nahi aa sakta...
Vyas:- Mera bhi same answer
Meera:- Ab bhi dono me se kisi ko lag raha hoga ki ye sanyog hai...
Dono ek sath... "Kisi bhi angel se ye sanyog nahi dikh raha…"..
Vyas:- Haan lekin tum abhi shant raho....
Iss line ke khatm hone tak Car parking me lag chuki thi aur teeno paidal class ke ore badh rahe the...
Meera:- Haan samjh gayi.. Ab kahne lagoge... Waqt aane par hum dikhayenge... Ye kar denge wo kar denge .... Falana karenge… Samajh gayi...
Vyas:- O drama queen to kya karogi...
Meera:- Fuck off... Sudhu bhasha me bolun to maa chudaye planning... Ye dekho...
Meera "Dekho" bol'kar aisa kuch kar gayi ki sabhi bhauchakke rah gaye... Darasal class jane ke raste me padta tha canteen aur canteen me dikh gayi Kirti... Jab tak Vyas aur Asif ko kuch samjh me aata... Jab tak un dono ki najar Kirti ko dekhti... Meera, Kirti ke pass pahunch chuki thi.... Aur jab tak Vyas aur Asif Meera ko rokne pahunchte, tab-tak Meera kaand kar chuki thi…
Meera teji se Kirti ke pass Pahunchi.. aur pass rakha coffee ka mug Kirti ke sir par urrel di... Cup ka garam coffee achanak se sir par... Uss table par baithe jitne bhi log the, wo khade ho'kar chehre ka shock reaction diye hi the… Abhi muh se koi shabd nikalne hi wala tha.…. lekin uss se pahle hi Meera, Kirti ko 2 jordar rafta, back to back dono gal par bina koi der kiye chipka chuki thi...
Thappad padte hi fir se sabhi shocked. Iss se pahle ki koi kuch bolta Meera hi chillakar kahne lagi.… "Fuck off bitch... Jo ukhadna hai ukhad lena... Jis baap ko complaint karna hai kar lena... Chaho to roti hui principal se complaint kar lena… Haramjadi farfarati rah jitna farfarana hai.…"
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Update:-74
Thappad padte hi fir se sabhi shocked. Iss se pahle ki koi kuch bolta Meera hi chillakar kahne lagi.… "Fuck off bitch... Jo ukhadna hai ukhad lena... Jis baap ko complaint karna hai kar lena... Chaho to roti hui principal se complaint kar lena… Haramjadi farfarati rah jitna farfarana hai.…"
Meera aayi... Coffee sir par urreli... Ussi ke sath 2 kadade thappad aur dil ki bhadas poora kah dali... 2 minute se kam samay me kaam khatm kar'ke utni hi teji me wahan se nikal gayi... Pichhe se Kirti & team ke bahut hi jyada chillane ki awaz aa rahi thi. Lekin un baaton par dhyan kaun deta hai…
Canteen ke darwaje par jab Meera pahunchi, tab ek baar pichhe mudi aur gusse se laal pile huye ja rahe log jo chilla'kar Meera ko kuch-kuch kah rahe the un sabko jor se boli... "Have a nice day seniors"…
Subah ki pahli class ke baad Sia canteen pahunchi. Wah to Vyas ko dekhne ke irade se canteen pahunchi thi, lekin canteen pahunch'kar jab Sia, Meera ka kaand suni, uski hansi khud-v-khud nikal gayi. Ab to Sia, Meera se milne ke liye kafi excited thi...
Sia to Meera se milne ke liye excited thi lekin uski table par Kirti aur Sagar aa'kar baith gaye... Kirti ki bhasha samanya hi thi. Chehre se bhi normal hi dikh rahi thi. Sia ke saamne baith'te hi bade aaram se puchhi... "Tumhari cheli ne jo mujhe thappad maara, usme tumhara koi hath to nahi"..
Sia, Kirti ki baat suni.. aur fir uski baaton ko ansuni karti apne coffee ki chuski lene lagi... Kirti wapas se apna sawal dohrayi... Iss baar Sia apna coffee cup table par rakh'kar bade aaram se Kirti ke najron se najren milati.... "Kuch andaza hai Meera ne tumhe thappad kyun mara?"…
Sagar:- Sia tum baat ko ghuma rahi ho…
Kirti, Sagar ko kandhe se khinchti.… "Chalo Sagar ye kuch na bolne wali... Poora attitude bhada hua hai"..
Kirti ki baat sun'kar Sia hansi aur wapas se coffee pine lagi. Sia ke haav-bhav dekh'kar to Kirti ander se bejjati mehsus karti wahan se nikli. Ye log jaise hi gaye pichhe se Neerav aur Meera, Sia ke pass baithi.. Wahin pass ke table par Vyas, Aisf, Riaz aur Mahira baithi...
Sia:- Kya baat hai Kuku... Aaj to sidha 2 refta... Ais kya ho gaya jo bhid me kisi ki bejjati kar dee..
Meera:- Didi ye sab baaten baad me... Aaram se bataungi ki usne kya kiya hai?…
Neerav:- Baad me kya batayegi bawari... Jab se Delhi se lauti hai dimagi santulan hila hua hai... Anatomy ki class ko aaj ye mushayra bana dali... Kaun si shayri boli thi Kuku...
Meera, Neerav ki baat par chidhne ke badle khush ho gayi. Itni jyada khushi ki wo round table ke upar chadh gayi... "Ladies and gentlemen, have a moment here.… Kripya kuch der ke liye yahan dhyan den... Dil se abhi ek khyal aaya hai"…
Canteen ki bhid ek sath... "Kaisa khyal aa raha hai"…
Ek haseen khwaab sa aane laga hai
Dhun koi dil naya gaane laga hai
Atki si najren hai rahon me
Aahat hai unke in fizaon me
Har shwans ab tera naam leti hun
Har lamha main tere sath hoti hun
Sapne aankhon me naye sajne lage hai
Tere ishq me sirf tere ho'kar rahne lage hai
Meera poori tarah se kho'kar, khud me Som ko mehsus karti apne dil ke armaan kah gayi... Jaise hi Meera ne bolna band kiya, hooting, taliyan aur hooting... Pichhe se 2-3 log ek sath chillaye.… "Kaun hai wo jiske pyar me tum dub gayi"..
Meera ka pyara sa muskurata chehra tha. Utne hi pyar se wo iss sawal ka jawab dene lagi.....
Abhi to yah sirf ehsas hai..
Dur ho'kar bhi hum pass hai..
Ishq chhipaye kahan chhipte hain dost
Bus mehfil me unke hath thamne ki aas hai…
Sia, Meera ko table se utar'kar apne sath bahar laati.… "Kuku tumhe hua kya hai?.."
Meera:- Kuch bhi to nahi... Bus ander se sab fantastic lag raha hai...
Neerav aur Sia dono hi Meera ko tak-taki lagaye ghurne lage... Meera unki najron se apni najren churati... "Neero, Sia didi.. please aise dekhna band karo"..
Sia aur Neerav dono ek sath…. "Itni jyada khushi... Humse na share karogi"…
Meera:- Please dono aise ghuro mat, mujhe sharm aa rahi hai... Main kaise bata dun ki maine chupke se shadi kar li hai aur ye baat kewal Sia didi aapko aur Neeru tujhe pata hai..."..
Hiroshima aur Nagasaki par jaise Meera ne atom bomb gira diya ho. Kuch der to Meera ki baat pachane me lag gayi...
Sia:- Meera kah do ki tumne abhi humse mazak kiya tha...
Neerav, Sia ko samne ke ore ishara karte... "Mujhe nahi lagta ki isne mazak kiya tha"…
Meera apne gale me latke ek chaude pendent ko khol chuki thi jiske niche mangalsutr chhipa tha... Fir Som ka diya hua pendent ko dikhati... "Haan main sach kah rahi hun... Ye raha mera mangalsutr aur ye pendent mere Wo ne first night par gift kiya"…
Meera to jaise bijli ke jhatke de rahi thi... Sia bilkul aawak khadi. Usse kuch sujh hi nahi raha tha... Meera, Sia ke dil ki bhavna ko bhanp gayi... Wo Neerav aur Sia dono ka hath tham'kar... "Main janti hun aap dono ki duwidha... Lekin mujh par yakin karo ki maine koi galti nahi ki hai aur mere Wo bahut achhe hain. Main apni khushiyan kis se baantu.. Parivar ke naam par aap dono hi aise jis'se ye baat share kar sakti hun isliye dono ko bata di..."
Sia:- Kuku lekin wo kaun hai, kya karta hai ye sab bhi to jan'na jaroori hai... Zindgi ka itna bada faisla tumne chupke se kar liya aur ladke ki detail nahi bata rahi... Hum kya react karen"…
Meera:- Main khush hun na bus itna hi kafi hai… Shadi ko raaj rakhna mera hi faisla hai... Main nahi chahti meri mammi ko ye baten abhi pata chale... Kuch din iss shadi se khush rah lene do, fir to parivar ki tregedy mujhe jhelni hi hai...
Meera ke baaton me dard aur aankhon me nami thi. Sia, Meera ko gale lagaati... "Aaj sham party chahiye... Tu khush hai wahi chahiye Kuku, baki sahi galat hum dekh lenge"..
Neerav, bhi bich se gale lagte... "Aree thodi jagah mujhe bhi de do... Kuku.. koi chinta na kari... Hum sab tere sahi aur galat har faisle me sath hai... Aaj raat party de dena bus"…
Meera dono se alag hoti.… "Aaj sham ki party done.…"
Teeno ekant me khade the... Jaise hi party done ki baat samapt hui, Meera ko samne se Kirti aur uske sath kayi ladkiyan aati hui najar aayi… Unhe dekhte hi Meera ke muh se "Oh no" nikal gaya...
Neerav aur Sia jab pichhe mud'kar dekhe tab unhe bhi ek poora akroshit gange unke ore aate huye najar aaya... Sia, Neerav aur Meera ko apne pichhe leti.… "Dono bilkul shant rahoge, main baat karti hun"…
Wahan pahunchte hi Kirti.… "Mujhe pata tha canteen ke ghatna ki rachiyta tum hi ho Sia"....
Sia:- Aage...
Kirti:- Aage ka matlab...
Sia:- Aur kuch kahna hai...
Sia ki pratikriya Kirti ko ander se bejjati mehsus karwa rahi thi. Wah gusse me fufkarti.… "Tune mujhe abhi thik se jaana nahi hai Sia... Kirti ke naam se tujhe rona na aaya to kahna"..
Sia:- Aur kuch...
Kirti:- Sali kamini hoshiyari dikha rahi hai. Tum mere tinke ke barabar nahi hai... Haramjadi najayaj aulaad... Apne maa ke rangraliyon ki galti...
Sia gahri shwans apne sine me samet'ti ek kadada thappad Kirti ko de maari... Ye thappad itna jordar tha ki 20 meter dur tak khade charo ore ke student tamache ki awaz par aise reaction diye, jaise pass koi bomb phata ho. Aisa laga jaise Kirti ke gaal par bijli giri ho. Pure panje ki bijli jiske nishan Kirti ke gaal par chhape the.
Kirti ka dimag pura jhanjhana gaya. Jahan thi wahin roti hui baith gayi. Takriban 2-3 minute lag gaye Kirti ko normal hone me. Khisyani billi ki tarah wo Sia par jhapatne aayi, lekin Sia uske sine par apni hatheli tika kar khud se ek hath ki duri par khade kiye.…
"Sun Nanda ki varish… Main agar tera itihaas ujagar kar dun to yahan kahin muh dikhane ke layak na rahegi, jaise Rajsthan me tum log kisi ko muh nahi dikha sakte... Fir to main tere nahi tere pitaji ke origin ki baat karungi. Tumhare dada aur dadi ka itihaas purn sabooton ke sath sabke samne honge. Fir mujhe kya Jay Kumar ki bahan Vanshika Nanda ke bare me kuch pata nahi hoga... Mere pass to tumhare parent ke personal life se le'kar professional life tak ki detail hai..."..
Sia ka itna kahna tha ki Kirti bilkul shant ho gayi... Sia apna hath hata'kar ek kadam aage badhi. Sia ke kadam aage badhate hi Kirti ke kadam apne aap hi pichhe chale gaye... Sia ne jaise hi apna hath upar kiya, Kirti dar se apna gaal chhipa li. Sia haste hui...
"Daro nahi, tumhe main maar nahi rahi. Gussa sabko aa sakta hai lekin parent ke upar jana utna hi jahalat bhari himakat thi... Kisi ke singh nahi nikle jo tumhe bina vajah ke maarte rahe. Apni harkaton par najar dalo, maar khane wali harkat karogi maar hi khogi... Khair hum chalte hain class ka time ho gaya.. Meera tumhe kuch kahna hai"..
Meera:- Sab kuch to aapne hi kah diya didi. Mujhe sirf itna kahna hai ki iska bhi boyfriend hai aur main 2 lakh rupye kharch kar dun to iske aur iske boyfriend ke bich kya chal raha hai uski audio-video footage iske maa-baap tak pahunch jayegi... Apni harkaton se baaj aao Kirti warna bahut kuch main bhi kar sakti hun..
Kirti:- Tum ye kya baat kar rahi ho... Kuch samjh me aaye aisa kaho..
Meera:- Wo sab chugli tum mere bhai Jignesh se karna...
Kirti chehre par aaschrya ke bhav laati... "Kya Jaggu tumhara bhai hai"…
Meera:- Uffff ye fake reaction... Baat ab Jaggu se hi karna, hum chale class...
Teeno wahan se nikle. Jate-jate Sia Kirti ke sir par aise hath feri jaise kisi bacche ke sir par haath ferte hain... "Grow up kiddo.. Ye pichhe 8-10 ladkiyon ki gange le'kar ghumne se koi gundi nahi ban jaati... Fir jab hum jaise log dena shuru karte hain to ye bhid aise hi chup-chap khadi rahti hai"… Sia itna kah'kar wahan se sabke sath nikal gayi aur Kirti bus muh dekhte rah gayi.…
Meera aur Neerav apne class ke ore chal diye aur Sia apne... Class ke raste par jab Meera thi, tabhi Som ka message aaya. Sandesh padh'kar Meera bhagi aur Neerav pichhe se awaz deta rah gaya...
Wahin dusri ore Sia jab apne class ke ore badhi, Vyas ko message karti chali... "Puratatva vibhag ke lab me milo, it's urgent"…
Sia ka message milte hi Vyas bhi apni mandli ke sath class me jane ke badle Sidha Sia se milne chal diya.… Sia archaeological lab me intzar kar rahi thi... Takriban 2 minute baad lab ke dusre darwaje se Vyas ander dakhil hua. Wo lab ka darwaja ander se laga hi raha tha ki Sia uske taraf daud laga di... Sia ko aise daudte dekh... "Aaj bc iss lab me mere L lag jane hain"..
Vyas apne upar hone wale humle ke liye khud ko taiyar kar raha tha. Sia daudte huye pahunchi aur agle hi pal Vyas ki shwans atak si gayi... Sia jhatak se Vyas ke sine se lag'kar fatak se uske hoton ko chumne lagi... Kuch pal ke liye to Vyas bhi achambhit tha, lekin uske baad Vyas bhi chumban me apna poora yogdan dete Sia ke hoton ko chumne laga...
Sia poori tarah doob'kar apna pahla kiss kar rahi thi. Ek alag hi tarah ka nasha ho jaise, jisme Sia poori tarah se doob jaana chahti thi. Vyas ke liye bhi bilkul khoya sa aalam tha... Sia ke badan ki khusboo uske shwanson me utar rahi thi... Honth ke itne mulayam sparsh the ki rom-rom me surmayi tarange daur rahi thi... Ek baar jab honth se honth mile fir dilon ke umadte ehsaas roke na ruke...
Pyara se chumban ko todti hui Sia alag hui. Chehre par pyari si muskaan aur najren Vyas ko nihar rahi thi. Khila sa chehra Vyas ka bhi tha. Wo bhi Sia ki asnkhon me jhankte bade hi pyar se dekhne laga...
Dono ki najren ek dusre par tiki thi... Armaan jaise dhadkan ban'kar aur bhi teji se dhadkane lage... Dono ke honth bilkul karib aane lage. Garam shwans ek dusre ke chehre se takra rahe the... Honth se honth takrane ke liye vyakul ho gaye.. Hosh kahan tha dono ko, jaise ek dusre me gum ho. Fir to sab kuch apne aap hi hote chala gaya... Sia, apne hath Vyas ke badan se lapet'kar uske gale lag gayi. Vyas Sia ke chehre ko apne dono hath se tham'kar ek baar fir se Sia ke aankhon me dekhne laga.… Sia ki aedian swatah hi upar ho gayi... Honth se honth bilkul karib the jo sparsh maatr se dil ke ander umang jagaa rahe the.. Dono ke honth sparsh karte poore masti aur romanch ke sath aage badhte ek dusre me samate chale gaye...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Update to sham ke 8 se 9 ke bich hi aayega tab tak pratiksha kijiye...Waiting
Dekhiye ye pyar ke panchhi kis kis dal se ho'kar gujarte hain...भाई रोमांस धीरे-धीरे वाइल्ड होती जा रही है
वैसे सिया ने सही कहा
रियाज क्यूँ ग्रुप से अलग हुआ यह जानना बहुत जरूरी है
हर तरफ साजिशों का भंवर में प्रेम के नाव पर सवार होकर किनारा पाने की जुगत में यह प्रेमी पागल
Dhamaki dete hue ek baar bhi ye khyal nhi aaya ju ko ki bhabhi ju ko nhi chhodigi iss dhamaki ke baad...Lo aa gaye ham bhi, update sare pad liye pehle ke jese hi the bus thoda suspense badta ja rha hai, ha me ye bolne aaya tha bhai ki Sia ke jesi ek chain mere pas bhi hai ,itna intzar kerana aur bin bataye Jana kuch thik na hai
Bhabhi ko bhi pata chalna chahiye apna rishta bhi bhai se kuch km na hDhamaki dete hue ek baar bhi ye khyal nhi aaya ju ko ki bhabhi ju ko nhi chhodigi iss dhamaki ke baad...