- 8,204
- 18,252
- 174
kuch der me update post ho jayega. tab pata chal jayegaDevinder Aur ladki ke harkat me aane ke baad kya hoga? Shalini aur Rudra ek dusre ki shaktiyon ko jaan gaye kya? Pratiksha agle rasprad update ki
Hone vaali sasu maa![]()
Nice update
Bhai mujhe esa q lgta h k rudra ka shalini se koi nata h....maa beta maybe...jitni anokhi shalini h utna hi rudra....shayad me glt b ho sakta hu
Bahut hi shaandar update diya hai asadjee bhai....
Nice and lovely update....
Update acha dete ho per aadha aur adhoora kam se kam jo scene create krte ho wo poora kiya kro suspense hi rakhna hai to next scene ka rakha kro i hope you understand sorry agr bura laga ho
Shandar update
Eagerly waiting for Rudra and Shalini's Showdown![]()
Nice Update
Fantastic update
Super awesome update luvd it
Bahut hi mazedar update
Dono super power Wale hai
Tab to gajab hi mod AA jayega story mein![]()
Bhai main heroin to shalini hi achi lagegi
Kya ? Rudra ki maa Shalini hai ?
Waiting for next update bhai
Devinder Aur ladki ke harkat me aane ke baad kya hoga? Shalini aur Rudra ek dusre ki shaktiyon ko jaan gaye kya? Pratiksha agle rasprad update ki
Waiting bro
MAzedar
update postedWaiting bro
Superb update bro
Update:12
adha ghanta pahle.....
davinder(44) uski patni sunaina(43) dono hi kothi par the. aksar dono business aur ayashi ke chalte pahadon se nikal kabhi delhi to kabhi alag alag shahron me ghumte rahte the. shalini singh bhi kisi kam se delhi me thi.
shalini singh kothi me jaise hi enter hui.. sunaina se boli
shalini singh: marega.. davinder kisi din kutte ki maut marega
sunaina: mai samjhi nahi didi
shalini singh: samjh to tum sab kuch rahi ho sunaina.. jan kar anjan banna to tumhari purani adat ban chuki ha. suno main pahle bhi kai bar kah chuki hon. jaise andaz me tum sab life ji rahe ho. apne wo sare andaz badal do. khas kar... kisi gareeb ki izzat ko youn mitti me milana chhod do. nahi to kisi din kisi ki aaahhhh lag jayegi. izzat ke gawane par dil se nikalne wali aahen kabhi kabhi akaash ko bhi phaad kar rakh deti han. isliye apna life style badlo.
sunaina: nahi badal sakte. jaisa life style humen hamare purkhon se virasat me mila ha. usay kaise chhod den hum. aur fir agar kisi ki aahen itni hi powerful hoti to sadiyon se jaise hamare bade ji rahe han.. kab ka unka vinash ho gaya hota. aur fir....
sunaina bolti bolti ruk gai
shalini singh: bolo.. ruk kyu gai ho. darti ho mujhse.. khair! tumhari ankhen mujhse sab kuch bol rahi han. sach kahun to main bhi.... tum kya janogi mere dil ki baat ko.. main tumhe samjha bhi nahi paaungi..
shalini singh uthti hui boli... fir bhi kahti hon. tum sab apna life style badal do.. nahi to ek din maut ka aisa nanga nach tum sab ko dekhna pad jayega.. qayamat se pahle qayamat kise kahte han. us din tum sab jaan jaaoge. isliye khud ko badal do..
sunaina aage badhi aur shalini singh ka hath thaam chaplusi se boli
sunaina: didi! aapke hote hue koi hamara baal bhi baka kaise kar sakta ha.. humen aapka bada sahara ha didi. aap hamari maa nahi ho. par hamare liye mata pita se badhkar ho. bhagwan sada aapka saaya hamare saron par kayam rakhe.. aapke rahte kaise humen kuch bhi ho sakta ha.
shalini singh gharoor se muskurai..
shalini singh: hmmm! ye to ha. fir bhi savdhani achi chiz ha. acha mai zara fresh ho loon.. fir bethte han
shalini wahan se chali gai. shalini ko jaate dekh sunaina ke honto par ek rahasmayi bhav ubhar kar gum ho gaya.
shalini fresh ho hi rahi thi. isi beech rudra kothi me chupke se ghusa aur raah me aane wale har guard ko khamoshi se khatam karta basement ki ek deewar ko tod basement me ja ghusa..
shalini mast bath le rahi thi. rudra ka guards ko chupke se maarna wo nahi jaan pai. par rudra ka basement ki deewar ko tod kar andar ghusna.. shor hua tha. sunaina cheekh padi thi. shalini singh chaunk uthi thi.. usay lag gaya. woh speed se kapde pahnti bathroom se bahar nikal padi..
jald hi wo basement ke door ko apni ek skill ke paryog se khol andar ghus chuki thi. apne devar ki patli halat dekh wo apne haivani roop me aa gai. fir jaise hi uski nazar rudra par padi. usay apni life ka sabse bada jhatka laga tha. rudra ko dekh wo apni sudh budh kho si bethi thi.
******************
rudra aur shalini ko ek dusre me gum dekh davinder jo pahle apni maut ko apni orr badhta dekh dahshat me aa gaya tha. ab shalini ke aa jane se uski jaan kya bachi. wo rudra ki jaan ke darpe ho gaya tha. basement me bohut kuch aisa tha. jo davinder ke matlab ka tha. aise hi ek mini khanjar "jiska size nail cutter ke knife ke jitna tha" jo aksar uski kalai wali wrist watch ke sath attach raha karta tha. davinder ne uske nikal rudra ki ankh me ghusane ki koshish kari. yahan shalini singh ko dekh rudra hosh me nahi raha tha. davinder ka war chal jata. par yahan ladki ne himmat aur furti dikhai aur hawa me jaise udti hui davinder par ja padi. sath wo chekh bhi padi thi. davinder ka war nakam gaya to wo bhi cheekh padi. ladki niche gir padi thi. davinder ab us ladki ke pet par laaten barsa raha tha. bada gusa aa rha tha davinder ko.
rudra ab puri tarah hosh me aa chuka tha. udhar shalini ko bhi sambhalne ka moka mil gaya tha. dono ki tantra tooti to apne vicharon se bhi bahar aa chuke the.
rudra ne davinder ko pakada aur khuni andaz me utha kar door ki ek deewar ki orr uchhal dia.. davinder deewar se takrata.. rudra ne apni zindagi ka sabse hairan kar dene wala manzar dekha..
shalini singh jo shant khadi thi. ek pal jo door ke paas thi. dusre hi pal wo davinder singh ke karib ponch usay thaam deewar se takrane se bacha gai thi.
rudra ko andaza bhi nahi tha. wo apni life me apna hi jaisa koi aur bhi dekh payega. wo ankhen phaade moh khole shalini singh ko dekh raha tha. aur shalini singh ab rudra ko darindgi se bharpur andaz se dekh rhi thi. kuch pal rudra ki ankhon me doob jane se shalini singh ke narm bhav ab haivani bhavo me badal gaye the.
davinder singh shalini singh ki support pa kar josh me aa gyaa
davinder: bhabhi! dekhiye bhabhi.. is kutte ne aapke devar ke pet ka kya hashar kar dia
davinder ab aise react kar raha tha. jaise ek bacha dukh dard me apne mata pita ko apne dard ka haal bayan karta ha
shalini singh ne davinder singh ke phate pet ko dekha. riste khun ko dekha. fir rudra ko dekh phunkarti hui boli
shalini singh: shalini singh ke parivar ko haani pohnchane wala jeevit rahe.. aisa aaj tak kabhi nahi hoa. tumne to mere devar ke pet ko hi phaad kar rakh dia. socho. mai tumhara kyaa haal karunga.
rudra bada hi shaant khada shalini singh ko sun raha tha. shalini singh ko ek baar firse hairani hui. jab jab wo aise roop me aai thi. uske apne usay is roop me dekh kaanp jaya karte the. rudra kyun nahi kanp utha tha. ladki bhi shalini singh ko dekh chahra fer gayi thi. kanp uthi thi. par rudra
rudra: aur main agar ek bar kisi ki daadrasi karne ki soch loon. to usay dunya ki koi takat haani nahi pohncha sakti. dukhiyon ka mai maseeha hon. aur maseeha dukhiyon ke dukh hi door nahi karta. papiyon ka nash bhi karta ha. izzat ke sath khelne walun ke sath wo kaisa bartav karta ha. wo tujh jaisi aurat shayad jaan nahi sakti.
davinder ke ghatya kirdar ke sath shalini singh rudra ke saamne aai thi. davinder jaise izzat ke lutere ko bachane ka prayas kar rahi thi. pahli hi nazar me shalini singh ko dekh jo rudra ke dil ki halat bigadi thi. rudra ne apne dil ki halat par kabu bana lia tha. jahan wo tha. wahan ek ek insan papi tha. shalini singh bhi rudra ki nazar me aisi hi koi cheap aurat thi. isliye rudra ne usay bhav dene ka irada tark kar dia
shalini singh rudra ki aisi baat aur baat ki gahrai ko jan ek baar to puri jaan se kanpi. par uske haivani roop me usay zayada kanpne ya sochne ka avsar nahi dia. avsar tha bhi kahan.
shalini singh: bhul ha tumhari bache. ye shalini singh ki rajdhani ha. shalini singh ki rajdhani me koi uski marzi ke bina parvesh nahi kar sakta. tumne to fir bhi mere devar ke pet ko ghayal kia ha. ab tum apni khair manav
rudra shahana andaz me chalta hua shalini singh ke saamne poncha. davinder shalini singh ke peeche ho gaya..
shalini singh rudra ek dusre ki ankhn me dekhne lage
rudra bade hi thahre hue andaz me bola: dharti ka koi aisa ilaka nahi ha. jise mai apna banana chahun aur bana na sakun. ye rajdhani tumhari ho sakti ha. par agar maine yahan dera daalne ka soch hi lia to dusre hi pal tumhari rajdhani meri ho jayegi.. lekin mai aisa karunga nahi. jis imarat ki deewaren gareebon ki betiyon ki luti izzaton ke tamashe barson se dekhti aa rahi hon. un deewaron wali imarat me parvesh karna to door ki baat ha. main wahan thukna bhi pasand nahi karta...
is bar rudra bade hi nafrat bhare lahje me bola tha. aur shalini singh.. barson se jiske aage desh kyaa dunya ka koi bhi insan sar utha kar baat na kar saka ho. rudra usay uske devar aur ek mamuli si ladki ke saamne zaleel kiye ja raha tha.
shalini singh guse ki inteha ko pohnchi pagal ho uthi. davinder singh ko ek hath se dhakka deti shalini singh rudra par toot padi.
pahle jab rudra ne davinder ko deewar par de mara tha. aur shalini ne apni skill aur speed ka prayog karte hue usay bacha lia tha. yahan shalini singh ke jununi hone ke bad rudra par hamle ke bad rudra ne bhi shalini singh ko bata dia. wo usse kam nahi ha.
shalini singh jisne soch lia tha. rudra ko asani se nahi maregi. tadpa tadpa kar dhire dhire maregi. aise hi usne rudra ke ek kandhe ko pakad ghayal karne ki koshish kari. par rudra halka sa hi ghum gaya tha. shalini singh ka hath hawa me lahra kar rah gaya.
shalini singh ise apni insult samjhi aur bar bar koshish karne lagi. rudra wahi khada khada idhar hue ja raha tha. ek moke par shalini singh puri tarah guse me a gai.. aur ek kadam peeche hoti puri tarah hawa me ghumti hui apne hathu aur pairon ko ghumati hui rudra par toot padi..
ek moke par uski ek zabardast kick rudra ke lagi. shalini singh muskurai. us samay shalini singh ka moh dusri orr tha. kick marne ke bad shalini singh farsh par padhari aur khadi hokar apne hisab se rudra ko hasti ankhon se dekh hasne bhi lagi thi. par jo dikha.. wo dekh uski ankhen hairat ki inteha ko pohnch phatne wali ho gaii
apni hit ki chot wo ache se janti thi. jo kick usne apne hisab se rudra ko mari thi. wo uske devar ko kaise lag gai. davinder neeche farsh par pada hua tha. uska sharir jhatke kha rha tha. dekhne se hi lg raha tha. davinder singh akhri saansen le raha ha. shalini singh ki hit kam power wali nahi thi..
shalini singh ko adhik dukh hua. uski ek kick ne uske devar ko maut ke moh me pohncha dia tha..
shalini ko hawa me speed se move karte dekh rudra ne apni speed ka prayog karte hue davinder ko utha kar shalini singh ke saamne kar dia tha. shalini singh kahan rudra ki speed ka muqabla kar sakti thi. wo jana hi nahi paai aur rudra ko lagne wali kick davinder ke phate pet ko puri tarah phaad gai thi.
shalini singh hairaton ke samandar ke gum davinder ko akhri saansen puri karte dekhti rahi..
davinder ki saansen thami.. shalini singh ne basement me dekha. par wahan rudra ya ladki ka koi naam o nisha nahi tha.. rudra ladki ko liye furrrrr ho chuka tha..
shalini singh ko ek aur jhatka laga. itni der me sunaina bhi wahi basement me aa gai thi. apne pati ki lash dekh wo dahaden maar maar rone lagi. aur shalini singh usay rote dekh khamoshi se apne kamre me pohnchi. durjan singh ko davinder ki maut bare batane ke bad kamre ke farsh par pathy maar kar beth gai..apne dimag ko har tarah ke vicharon se azad karne ke bad shalini singh ne apna sara dhayan rudra ki awaz ki orr laga dia.. rudra uske liye ek unique ladka hi nahi tha. uski zindagi me hulchal macha gaya tha. shalini singh usay bhula nahi pa rahi thi.
Bahut hi badhiya update diya hai asadjee bhai....Update:12