Update:03
college ka first day tha.....
shalini singh jitni angry woman thi. utni hi haseen bhi thi. 40+ hone par bhi wo figure ke mamle me jawan ladkiyon ko pare karti thi. shalini ki tarah shalini singh ke dono bachhe bhi croro me ek the.
college me youn to aneko haseen chahre dekhne ko mil rahe the. par teen chahre har ankh ka tara ban gaye. dekhne walun ki nazren hi nahi unpar se hat rahi thi.
do the arjun singh aur uski bahan payal singh.. ek tha rudra. teeno sunderta me apni misal aap the.
jab arjun singh apni manmohni bahan ke sath college me enter hua to har ankh me dono ke liye dher sari prashansa thi. pahle se maujud haseen chahron ko in dono ko dekh jalan bhi feel hui.
but..
kaiyon ke moh maare hairat aur josh ke khul gaye the. itne haseen chahre wo bhi unke college me.
fir....
jab rudra ne entry mari college me.. to kai ladkiyon ne aahen bharni shuru kar di. kai to palken tak jhapkana bhul gaye the. rudra badi shan se chalta hua sab ko nazar bhar kar dekhta hua apne department ki orr badh gaya tha.
kismat se rudra, arjun aur payal ek hi class me the.
guzri raat ka fasana har zuban par aam tha. shalini ne jin ladkon ke kandhon ko ghayal kia tha. wo baat shahar bhar me aam ho gai thi. isliye bhi dono ki value sabse badhkar thi.
intro hua.. jahan payal ya arjun singh ko zayada badh chadh kar bolne ki zarurat mahsus nahi hui. sab hi to jante the in dono bhai bahn ke bare me.
rudra ne bhi koi lamba chauda ya shokhi se bharpur intro nahi dia. simple shabdon me apna parichay karwaya.
baad me ye silsila aise hi chalta raha. first day tha. to sivaye intro ke aur kuch nahi hua.
rudra ne dono bhai bahno ko aur dono ne rudra ko normaly dekha.
class me ek ladki thi anita mishra. rudra uske sath betha tha. rudra ko anita bhai to usse dosti kar li. anita to maare khushi ke khil hi uthi thi.
bad me break time dono ek sath canteen ki orr nikal pade. wahan bhi dono ne ek sath time spend kia. canteen me hi arjun aur payal ko unke sautele bhai aur bahno ke sath kuch cousins bhi mil gaye the. un sab ki apni gang thi. wo lag gaye baaton me.
payal ki bua ki beti ayushi jisne abhi tak rudra ko nahi dekha tha. uski nazar rudra par padi. to nazren hatana bhul gai.
ayushi: woww! what a dashing guy!.
payal aur sab jo baaten kar rahe the. ayushi ki baat sunkar usay dekhne lage. fir jo ayushi ki nazar par apne chahre fer kar rudra ko dekha. to arjun aur payal ne to apne chahre wapis mod liye. baki sab dekhne lage. wo bhi rudra ki personality ko dekh mohit hue aur baaten karne lage. rudra anita ke sath baaten karte hua samosa khane laga.
kuch der tak to arjun aur payal ne sabki baaten suni.. payal ke chahre ka rang bigadte dekh arjun sakht lahje me bola.
arjun: koi aur baat nahi hai karne ko tum sab ke paas. hamare pass beth kar kisi aur ko discuss karna hai to fir yahan bethne ka koi matlab nahi banta.
arjun ka mod badalte dekh sab ne chahre fere aur arjun aur payal se sorry bol gaye.
chhutti ke waqt
anita: rudra tum ne bataya nahi. tum kahan ke rahne wale ho
rudra halka sa muskuraya: tumne poocha hi kab hai.
anita bhi muskurai: chalo ab poooch leti hon. hmm to tum kahan se ho.
rudra: yahan ka nahi hon
anita kuch uljhi: toh? fir kahan jaaoge ab tum
rudra: kahin koi rahne ko jaga talash karunga
anita maare khushi ke uchhal padi
anita: hamara upar wala portion hum rent par dene baare soch rahe the. kyun na tum wahan shift ho jaao. tumhari company mili to hamari dosti aur bhi pakki ho jayegi. tumhare sath milkar meri study bhi badhia hogi aur.... aur
anita bolti bolti ruk gai
rudra anita ki ankhon me dekhta hua smile se bola: aur!! aur kyaaa? bolo.. batao naa aur kyaaaa
anita jhenpi..
anita: aur to kuch nahi. wo bas.. mai to.. mai to bass.. arre haan.. wo mummy aur sab bhi tumse milkar zarur bohut khush honge.
rudra anita ka jheepna haklana aur baat ko badal jana dekh kar muskurane laga.
rudra: chalo chalte hue baaten karte han. yahan khade rahe to....
rudra aas paas khade students ko dekh aage bola
rudra: inhe koi aur kam nahi hai kyaa
anita dusre students ko dekh hasne lagi
anita: pahli bar dekh rahi hon. kisi ladki ko na dekh kar ek ladke ko sabhi taad rahe han.. hehehe.. hehehe
anita ke pass ek scooty thi. anita ne kaha bhi wo uske sath beth jaye. par rudra nahi mana.. janta tha.. uske badan ki garmi kitni zayada hai. ek bar wo anita ke sath beth gaya.. to wo sab kuch bhul kar uske peeche pad jayegi. isliye rudra ne anita se address jana aur ek taxi hire kar ke wahan se nikal pada. anita rudra ko address bata kar wahan se udan chhoo ho chuki thi.
**********************
rudra anita ke ghar pohcha to hairan rah gaya. anita usay apne ghar ke bahar hi scooty par mil gai thi. rudra anita ke ghar ki halat ko ghor se dekhne laga.
anita ne bhi apne ghar ko dekha. fir ek thandi aahh bharti hui rudra se boli
anita: kya dekh rahe ho rudra
rudra: ye tumhare makan ki halat kya huyi padi hai. lagta hai, barson pahle ye bada hi alishan house hua karta tha.
anita apne hont katne lagi. boli kuch nahi. fir ek lambi sans lene ke bad chhodti hui bade hi thande lahje me boli
anita: life ek si to kisi ki bhi nahi rahti hai rudra. hamari life me bhi samay ke sath bohut se badlav aaye han. khair.. mai bhi kaisi baaton ko le ke beth gai hon. chalo andar chalte han.
rudra ne bhi zayada baat nahi kari. taxi wale ko rent deke wo pahle hi wahan se chalta kar chuka tha.
rudra anita ke sath uske ghar me enter kar gaya..
agle 20 minat me rudra upar wale portion me tha. anita uski maa ek chachi ek dadi, do bahne jinme ek andhi bhi thi. 3 chacha ki ladkiyan.. sab rudra ke sath upar wale portion ke ek kamre me the.
rudra ghar ki androni halat ko dekh sabko dekhne laga. rudra ke chahre par gahri ghambirta chhayi hui thi. rudra ko serious dekh sab bhi serious ho gaye the.
rudra chalta hua anita ki dadi ke pass pohncha aur uske dono hath tham kar ek chair par usay bithata hua khud uske pairon me beth gaya
dadi: arre beta. tum neeche kyun beth gaye
dadi ne kahne ko to kah dia tha. par wo ek maa, ek dadi aur ek bazurg mahila thi. bachon ki ankhon se unke dil ki halat jaan lena unke liye ek aam baat thi. rudra ke dil ki halat aur rudra ki ankhon se rudra ka charitr usne jaan lia tha.
rudra ne apna sar dadi ke ghutno par rakh aur bola kuch nahi. dadi bhi kuch nahi boli. baki sab rudra aur dadi ko dekh khamosh the. kuch der khamoshi rahi.
fir rudra bola
rudra: dadi jaan.. kya khun ke rishton se hi apnepan ki khushbu aati hai. kya sirf khuni rishte hi mushkil ghadi me sahara bante han. kya moh bole rishte jan ki bazi nahi laga dia karte. kya wo khuni rishton ki tarah apne nahi ban sakte.
dadi ka ek kanpta hath rudra ke sar par aaya. kuch der rudra ke sar par raha. fir dadi rudra ke sar ke balon ko sahlati hui boli.
dadi: beta mai tumhari in baton ka matlab nahi samjhi
rudra ne sar utha kar dadi ko dekha. dadi ki ankhon me dekha. dadi ne ek pal rudra ki gahri tej ankhon me dekha. fir side dekhne lagi.
rudra: aap sab samjh pa rahi han dadi. maine jo kahan. wo kitna sach hai aaj ke zamane me. mai nahi janta. haan par itna janta hon. mujhe is ghar me koi mard nahi dikha. par aaj aap sab ko is ghar me ek mard dikha hai. dadi main hon is ghar ka mard. dadi kaha hai na maine aaap ko. aap bhi mujhe apna sacha pota maan len. mujhe yahan ke halat ke bare me sab bata den. jaise ek maa ko apne bete par, ek dadi ko apne pote par ek bahan ko apne bhai par bharosa hota hai. aise hi mujhpar bhi bharosa karen. mujhe apna maan len. aur apne dil ka sara haal kah sunayen. anita ko pahli nazar me dekh kar mujhe kuch hatke laga tha. par ye nahi janta tha. baat kahin badhkar hai. anita upar se mujhe hasti muskurati hui mili thi. par andar se uska dil kitna vairan hai. ye mai nahi jan paya tha. dadi mujhe sab jaanna hai.. kasam hai mujhe paida karne wale ki. main sabke dilon ki vairani ko door kar dunga. wo sab kuch kar guzronga.. jo parivar ka ek sacha rakhwala karta hai.
itna bolte hue rudra ke svar me kai badlav aaye the. pahle hairani aur ab bepanah khushi, apnepan ke sath sath sabki ankhon me nami thi.
rudra ne bina awaz ke ro rahi anita ko ishare se uski bahan sunita ko karib laane ko kaha. sunita ankhon se andhi ladki thi. wo bhi sisak rahi thi. kan to theek the uske. rudra ki baaten, rudra ke bolne ka andaz, rudra ka un sab ke liye apnapan wo bhi jaan gai thi. wo bhi sisakti hui anita ke sath rudra ke pass aa pohnchi.
rudra ne sunita ka hath tham lia. usay apne sath dadi ke pairon me bitha lia.
rudra: dadi ye sunita aaj se meri bahan hai. koi bhai chahe wo saga ho ya moh bola. apni bahan ke liye khushi khushi jaan par khel jayega. bataiye mujhe sab. mujhe sab jaanna hai. matlab sab.. koi ek bhi baat mujhse chhupane ki koshish na kariyega aap.
aahon siskiyon me rudra ki baat maan li gai. baat bohut lambi chalne lagi. sab karib aa kar beth gaye. jaise jaise dadi sab batati gai. sab mahilayon ka rona badhta chala gaya.
dadi ki baat khatam hui to anita roti hui boli
anita: itne gham dil me liye bhi mai has has kar jeene ki koshish kar rahi hon. soch hai. shayad kuch aisa kar jaon. jis ke karne se mere ghar ke halat theek ho jayen.
anita bolti bolti apne hont bhench gayi. yahan rudra bhi emotional ho gaya tha. wo anita aur sunita ke sath sath sab ko bari bari apne seene se laga kar dilasa deta raha. wo bhul gaya tha. wo apne sharir ki garmi sab ke shariron me utar raha hai. sab ko jaise barson bad koi sahara mila tha. koi apna mila tha. jo unke gham ko halka kar sakta tha. unke gham ko baant sakta tha. unhe barson se ghamon ki daldal se nikalne ki baaten kar raha tha. wo sab bhi sab kuch bhul kar rudra ko apna maan kar apne apne dil ka haal batate chale gaye.
baat ye thi. anita ke papa kunal ek selfmade person the. bachpan me wo gareeb the. apne dum par tarakki karte hue wo delhi ke jane mane businessman ban gaye. businessman ke kai dushman hua karte han. kuch begane to kuch apne bhi dushman ban jaya karte han. anita ki maa divika ek middle class parivar se thi. kunal chunki ek gareeb parivar se tha. selfmade person tha. usne kisi ameer ladki se shadi na karke ek divika jaisi middle class ladki se shadi kar li. aur hasi khushi zindagi guzarne laga. kunal ne apne bhai ko apne sath milaye aur business din prati din phalne phoolne laga.
yahan anita ke chacha ko anita ki chachi parerna se mohabbat hui aur shadi racha li. parerna achi hamsafar sabat hui. lekin parerna ke parivar wale aur divika ke parivar wale lalach me andhe ho gaye. dono parties milkar sazish ki rachna karne lai. ek jhute murder case me kunal aur uske bhai ko phansa kar jail ki salakhon ke peeche kaid karwa dia. jahan wo umar kaid ki saza kaat rahe the. kismat ki karni sazish kuchh hi samay bad benaqab ho gai. lekin tab tak tahs nahs ho chuka tha. bohut si proprty hathyai ja chuki thi. bure log sathi the sazishiyon ke.
kunal ki sabki fikr hui. aur fir usne anita ke dada ko sab ko leke wahan se nikal jane ko bol dia. der nahi kari gai. aur sab wahan se nikal bhage. ek din aur wahan rahte to maar diye jate.
sab mumbai aa kar rahne lage. bad me anita ka bhai aur chacha ke dono bete jawan hue to apna hak pane ke liye maidan me kood pade. na keval wo apna hak pana chahte the. anita ke papa aur chacha ko bhi jail ki salakhon ke peeche se nikalna unka maksad tha. aur is kam me anita ke dada bhi apne poton ke sath shamil ho gaye.
charon mumbai se delhi ke liye nikal pade aur apni koshishon me lag gaye. wo apni koshishon me safal hone hi wale the. ek road accident me un charon ki hatya kar di gayi. sunita ki ankhon ka masla shuru se hi tha. yahan india me uska ilaj mumkin nahi tha. bahar ke ek doctor se baatcheet jari thi. agar halat sahi rahte to sunita ko bahar leja kar uski ankhon ka operation karwa kar uski ankhon ko theek kia ja sakta tha. lekin hua kyaaa.. itne sare gham.. aur fir ilaj na ho pane ke karan thode se hi samay me sunita totally ankhon ki roshni kho bethi. tab se leke wo aise hi ji rahi thi. gham the ki har dusre din naye bankar in sab ki zindagiyon me aate ja rahe the.
ye thi anita aur uske parivar ki kahani. kafi dard bhari kahani thi. jise sun rudra ki ankhon me bhi ansu aa gaye.
is beech sunita kuch zayada se rudra se lag kar bethi rahi. apna gham halka karne ke sath sath wo rudra ke sharir ki garmi bhi apne sharir me utarti rahi. aur rudra ke sharir ki garmi aisi thi. achhon achhon ko badal dia karti thi. rudra ke liye apnepan me shiddat paida karti thi. to dusron ko apna gham bhulane me bhi badi kam aati thi. sunita ka gham bhi rudra ke liye prem ki jaga lene laga. wo jald normal hoti chali gai.
rudra ne sunita ke chahre ko thama aur uske gaal par kiss kar di
rudra: meri bahan dekh nahi sakti. kya mujhse lipat par wo mujhpar apna vishwas banane me safal ho gai hai
sunita hathu se rudra ke chahre ko tatolti hui boli
sunita: bhai ye dil hai. badi door ki sadayen bhi sun leta hai. mera dil to fir bhi aapke dil ke sath juda hua hai. mere dil ki ek ek dhadkan tumhare dil ki ek ek sada ko sun rahi hai. kitni sachi aur prem bhari sadaen han bhai aapke dil ki. sach kahun to maine is dunya ko bohut kam dekha hai bhai. par jitna suna, parkha aur dekha hai. kisi par vishwas karne ko dil nahi karta. aur main kasam kha chuki thi. umar bhar kisi par vishwas nahi karungi. par aap ke dil ki dhadkano ne mere vicharon ko badal dia ha. haan bhai. aap mere sache bhai ho. aap hi hamare sache maseeha ho. aap hi ho wo. jo papa aur chacha ko firse humen lauta sakte ho.
anita sisakti hui peeche se sunita ko hug kar gai.
anita: haan meri bahan. rudra ki ankhen hi roshan nahi han. iska matha bhi roshan hai. ye bade dil wala hi nahi. bade sache bolon wala bhi hai. mere dil ne bhi maan lia haii. rudra hamara apna hai. ab jald hi hamare sare gham door ho jayenge.
sunita rudra ke seene par sar rakhe ek hath se anita ke hath ko pakad kar apne dil par rakhti hui boli
sunita: didi! suno na mere dil ki dhadkano ko. dekho barson bad kitni shant hui padi han. kitna sukun utar gaya hai mere dil me
dadi: aisa hi sukun to mere dil me bhi utar gaya hai beti
anita ki mummy: ek maa ka dil bhi bete ko pa kar jhum utha hai
chachi: rudra mera bhi to beta hai
anita ki chacha ki teeno betiyan jo jawan thi. haseen thi. par ghamon ke pahad ne unki sunderta ko grahn laga dia tha. wo bhi sisakti hui apna ek ek hath rudra par rakhti hui boli
teeno ek sath: haan mummy.. rudra aaj se hamara hai. bhagwan ne humse hamare apne chheene han to humen laut bhi raha hai. aaj ek bhai humen mila hai. jald hi papa aur tao bhi humen wo lauta dega.
rudra: bass aap sab ka yehi vishwas meri asli takat banega. dekhna kitni jaldi mai sab kuch theek kar dunga.
*************************
sarita: pooja beti tu kuchh kha le. subah se bhuki bethi hai. tu nahi khayeti to arohi bhi kuch nahi khayegi
pooja roti hui boli: kitna kaha maa! maine bhai ko. plz humse door na jana. der se hi sahi. par ghar laut aana. dekho na maa. usne hamari ek nahi suni. kitna zalim hai wo. nahi khaungi. tab tak nahi khaungi. tab tak rudra khud aa kar apne hath se mujhe nahi khilata.
sarita subakne lagi: usay aana hota to wo kabka aa chuka hota. wo aaj nahi aayega beti. dekh tu nahi khayegi to arohi nahi khayegi. tum dono nahi khaogi to mai, maa ji aur pita bhi nahi khayenge.. dekh maan le meri baat. apni maa ki baat ko nakaregi tu.
pooja: aaj mai aapki koi bhi baat nahi sunne wali maa. mujhe bass bhai chahiye.
fir maa ke ek hath ko pakad kar jhanjhodti hui boli
pooja: maa kya mai itni buri hon. jo bhai mujhse door chala gaya
arohi door par khadi thi. uski ankhon me jaise verani utri hui thi.
arohi: bhai humen bhi sath lejata to kitna acha hota na. wahan usay khane peene ki bhi problem hogi na. mai bhai ke sare kam karungi. bhai ko khana bana kar dungi. bhai ke kapde dho kar istri karungi. jahan wo rahega. wahan jhado poocha karungi.
fir pooja ke pass aa kar usse lipat kar boli
arohi: didi kya hamara itna bhi hak nahi hai hamare bhai par.
"kyun nahi hai.. rudra par jitna hak uska hai. usse kahin badhkar uske apno ka hai"
sarita aur dono bahne chaunk kar awaz wali disha ki orr dekhne lagi. dekha to paya.... door par rudra dono hath kamar par rakhe unhe dekh muskura raha tha.
pooja, arohi ke sath sath sarita bhi khil uthi. wo maare khushi ke cheekhti hui daud padi. aur ek hi pal me rudra ki khuli bahun ke ghere me ghum ho gayi. teeno ek sath rudra ko chum rahi thi. uski balaen le rahi thi. uspar sadqe wari ja rahi thi.
tabhi teeno ki nazar rudra ke peeche gayi. teeno rudra ko chhod rudra ko hairani se dekhti hui ek sath boli.
teeno ek sath: ye sab kaun han??
rudra peeche mud kar muskurata hua bola
rudra: hamare apne!