Harshit is a brand name and treasure story is a masterpiece of that brand. Incredible, amazing, unimaginable and mind-blowing story. A story that kept the mind engrossed till the end and did not let the readers reach any conclusion. The treasure was nothing but an incredible part of the time loop in which the same person traveled with two personalities.
Aakhir kaise itna kuch soch lete ho bhai?? I cannot express in words how much this story confused me and how much it shakes my mind.....Unbelievable harshit bhai. Aisi masterpiece story likhne ke liye bahut bahut shukriya aur aise branded writer ko koti koti pranaam
Kabhi kabhi kuch cheeze achhe ke liye hoti hain. Do din se meri tabiyat kharaab hai aur is vajah se maine job se chhutti le rakhi hai...socha bed par lete huye xf ke kisi writer ki story read ki jaye aur yakeen maaniye mere zahen me sabse pahle aapka hi naam aaya. Bas uske baad aapke signature me ja kar treasure story par click kiya aur padhna shuru kar diya. Nahi jaanta tha ki ye story mujhe itna zyada uljha kar rakh degi...lekin aakhir ke updates padhne ke baad jab treasure ka asal matlab samjha to dil se bas yahi awaaz nikli....what a story and what a writer. Kasam se dil khush ho gaya. Zahen me ek khayaal ubhra ki kya isi liye meri tabiyat kharaab huyi thi taaki main harshit bhai ki is masterpiece story ko padh saku??? Ye sochte hi main muskura utha
Akshad ne jab pratiksha se vikrant ko hire karne par zor diya tha tab mujhe laga tha vikrant me yakeenan koi to khoobi hogi lekin vikrant ka tharkipana dekh anayaas hi muskura uthta tha aur socha ye kaisa Banda hai.?? Matlab kya gazab banda tha yaar...pratiksha ko apni ashleel harkato se kitna frustrate kiya usne. Main us case ke aakhir tak nahi samajh paaya ki aakhir vikrant aisa kya karega akshad ko bachane ke liye??? Uske baad jab ye pata chala ki asal me usi ne to akshad ko us case me fansaya tha tab ye bhi aakhir tak samajh me nahi aaya ki aakhir akshad ko fansa kar jail me daalne ke peeche uska kya maksad tha? Kahne ka matlab ye ki chaahe akshad wala matter ho ya treasure wala jab tak aapne khud nahi bataya tab tak samajh me aaya hi nahi ki vikrant aakhir chaahta kya tha? Security agency, yaha tak ki khud CBI wale bhi kavya ke asal kaatil ka pata nahi laga sake aur end me akshad case se bari bhi ho gaya. Ye saara kissa bahut hi zyada zabardast tha aur bahut hi zyada dimaag ko hila dene wala bhi. Kya planning thi harshit bhai bole to master stroke. Kahi se koi bhi leakage nahi aur aisa tabhi hota hai jab likhne wala aapke jaisa master mind ho...speechless
Ek banda us stone ki vajah se time travel kar 1985 me pahuch gaya. Use apna pichhla kuch bhi yaad nahi rahta. Neelam naam ki ek ladki uski life me accidentally aati hai aur fir aage chal kar usi se wo shadi kar leta hai. Kaagaz ka wo tukda hi saare fasaad ki jad tha jiski vajah se wo uske bare me janne ke liye jununi ho kar idhar udhar bhatakta hai. Neelam ke dwara usko ek beta hota hai jiska naam wo khud vikrant rakhta hai. Sawaal hai ki vikrant hi kyo? Well ek baar fir se wahi kissa dohraya jata hai jo pahle bhi 69 baar dohraya ja chuka tha. Neelam ke liye thoda bura laga. Matlab ki jisne use sahara diya aur jiske dwara uski har tarah se help huyi usi ko wo bhula baitha tha apni khoj ke chalte. Khair niyati ko shayad yahi manjoor tha kyoki wo stone shayad usse har baar yahi karwa raha tha. Aage chal kar use pata chalta hai ki wo alok nahi balki khud vikrant hi hai jo 70vi baar time travel kar 1985 me aa gaya tha aur waha se uski life fir se shuru ho gayi thi. End me jab wo present me aata hai to mutth maarta hua dikhta hai aur akhbaar me use president ki beti ke katl ki khabar chhapi huyi milti hai. Ye chakkar bada hi gazab ka tha. I think us khabar ke chalte aage fir se yahi kissa dohraya jane wala tha lekin story end ho gayi....sach kahu to yaha tak padhne ke baad apna dimaag hi hang ho chuka tha harshit bhai...zahen me sawaal ubhra ki itni zabardast imagination koi kaise kar sakta hai lekin harshit naam ek brand hai...har sawaal ka ek hi jawaab harshit bhai....the great person
Kahani ke bare me kahne ke liye to bahut kuch hai man me lekin sochta hu ki kahi mere kisi shabd se aisi masterpiece kahani ki garima aur shaan me dhabba na lag jaye. Is liye itna hi kahuga ki is kahani ne ek baar fir saabit kar diya ki harshit name ek brand hai aur branded name jo bhi likhega wo brand ke siva kuch nahi ho sakta
Waise ek sawaal hai....Akshad ke revenge ka kya hua? Jaisa ki aapne story me bataya tha ki akshad ne pratiksha se kaha tha ki vikrant ne jo kuch uske sath kiya hai uska wo badla lega aur iske liye usne kisi assassin ko hire karne ki baat kahi thi. Uske baad wo treasure ki khoj me nikal padte hain. Yaani akshad treasure ko vikrant se khud kabja lena chaahta tha. Khair mujhe lagta hai ki akshad ko is sabka mauka hi nahi mila hoga kyoki har baar time travel ka chakkar ho jata tha aur har baar shayad akshad yahi sochta tha. Well once again thanks harshit bhai itni khubsurat kahani likhne ke liye...aur ummid karta hu ki is tarah ki kahani se aap aage bhi hame rubaru karayenge