UPDATE
Mohit kuch der khaamosh raha sabhi ke haww bhaw badal rahe the par kisi ne kuch pocha nhi mohit ne ek glass pani piya
Mohit:*maa aur didi aap yeh sab soch rahe hoge ke kaisa gire huye log hai kaise papi hai jo samaj aur niyam ko takk me rakh kukaram kar rahe par maa aisa nhi hai mohit ne apni behano se pyar kiya iss liye apni behan ke sath raha uski mummy ne sath diya kyoki unka priwar pehle tha samaj baad me baki sab ne sath diya kyoki sab uss se pyar karte the
Amita:*bhaiya yeh sab main janti ho aap yeh baato krishna bhaiya ko kya hua tha
Jab amita yeh baat kehti hai toh uski mummy aur pooja usse dekhne lage
Amita:*maa mujhe pata hai yeh mohit hai main bas bhaiya ke bare me janna chahti hu
Mummy:*tune baatya kyo nhi
Amita:*mujhe bhi kuch din pehle pata laga tha maa par mujhe bhi bhaiya ke sath kya hua woh pata nhi
Mohit:*main baata raha hu jab main yaha aaya toh mere pass kuch nhi tha karne ko par itna tha ham apna priwar chla sake
Maine sabse pehle apne priwar ko sambhalna suru kiya jis me kavita ne pura sath diya sabhi apno se door hokar dukhi the par kavita ke sath se maine sabko iss dukh se nikla
Chennai me papa ka thoda sa kaam tha toh maine papa ke business se hi thoda sa business alag kar ke chalna suru kar diya
Suru me preshani huyi par main sambhal gya par jaise hi main sambhala tabhi meri preshani badh gyi kyoki jaise hi main kamyab hone laga mujhe yaha ke logo se dusmani hone lagi unn me se ek tha anna
Yaha ka don tha jiska har tarh ka business tha woh naye businessman ko yaa toh daba deta rga yaa apne niche kaam karne ko majboor kar deta tha
Mere sath bhi yahi hua main samne nhi aana chahta tha naa itna kabil hua tha iss liye main door bhag raha tha anna se par woh mere pss hi aa raha tha
Mere kamyabi se hamri dusmani badh rahi thi tabhi hamri dusmani me uska beta aa gya uss ne komal par gandi nazar padd gyi aur woh tang krne laga
Jab mujhe pata laga toh maine usse samjhya par woh naa samjha jis karan uss ne komal ke sath rape karne ki khosis ki aur yeh mujhse bardaast naa hua aur maine usse jaan se maar diya
Jab anna ko yeh pata laga toh hamri dusmani aur jada ho gyi meri bhi takat badh gyi thi ab mujhse bhi panga lene wala koi nhi tha
Tabhi mujhe devid mila jis ne mere iss jung me sath issi vich main dusre goan jaa raha tha zameen lene kisi kaam se par raste me apka goan aata tha
Jab main goan se guzar raha tha toh mujhe raste me krishna mila jo sayad sehar jaa raha tha apne dost amar ke pass jab maine krishna ko dekha toh ek dum se hairan ho gya
Mohit:*devid car rokk
Devid:*kya hua mohit
Mohit:*tu car toh rok pehle
Devid ne fatafat car ko rok diya
Devid:*ab toh baato
Mohit:*woh dekh udher...
Mohit ne apni right side dekhne ko kaha jab devid ne uss side dekha toh uska muh bhi khula ka khula reh gya
Devid:*yarr yeh toh hub hu tum jaisa hai
Mohit:*haa woh toh hai par yeh kaise munkin hai
Devid:*aisa hota hai kyi baar hamri sakal milti hai kisi se
Mohit:*nhi yar mere papa ka tujhe pata nhi alka didi ko dekh raha uska pata mujhe unki maut ke baad laga tha kahi yeh v kand papa ka kiya dhara toh nhi
Devid:*kya yar tu bhi... Par pata karna toh banta hai ruk main uska naam aur pata poch kar aata hu
Mohit:*teek hai par dhyan se
Devid car se nikl kar bhag kar krishna aur amar ke pass poch jata hai
Devid:*jara sunna bhaiyo
Krishana:*mujhe bula rahe ho
Devid:*haa bhai
Amar:*betichhod krishna yeh kya hai... Ek angrej hindi bol raha hai
Devid:*kyo bhai ham hindi nhi sikh sakte
Krishna:*bada gajab ho gya bhai... Badi achi bol rahe ho hindi par hamme kyo bula rahe ho aur pehle nhi dekha apko yaha
Devid:*bhai pehli baar aaya hu woh toh rasta nhi pata lag rhaa tha toh apse pochne aa gya
Krishna:*acha acha boliye kaha jana hai hamm baata dete hai
Devid:***** iss goan jana hai bhai
Amar:*bhai yeh toh pass wala hi goan hai yaha se sidhe jaiye aur daayi aur ghum jaye
Devid:*teek hai bhai vaise tum dono yahi ke ho
Krishna;"haa bhai hamra toh janam hi yahi hua hai iss dharti me bachapan se yahi hai ham dono dost
Devid:*teek hai dhanyavaad
Uske baad devid waha se car me aa jata hai aur car aage badha deta hai
Mohit:*kya kaha uss ne kon hai woh
Devid:*yahi issi goan ka hai naam krishna hai filhal itna kafi hai baad me apne admi laga ke sari detail nikl lege
Mohit:*haa yeh teek rahe gaa
Uske baad dono aage chle jate hai apna kaam khatam karne
Iss ghatna ko huye 7 din ho gye the iss vich mohit ka sara dhyan apne hamsakal par tika hua tha usse bada ajib lag raha tha
Aakhir devid sab pata kar ke aa hi gya
Devid:*sukar hai tumhre papa bich me nhi hai
Devid itna bol ke hasne lagta hai
Mohit:*kya hua tu hass kyo raha hai
Devid:*yarr woh tere papa ka beta nhi balki apne papa ka hi beta hai uska naam nand tha aur dusri baat iss pariwar me badi preshni hai
Mohit:*kyo kya hua aur kon kon hai iss priwar me
Devid:*krishna ke mummy uski badi behan pooja aur amita hai
Mohit:*uske papa nand kya karte hai
Devid:woh ab duniya me nhi hai aur iss priwar par issi liye preshni hai kyoki ab woh zamindar inhe tang kar raha hai jiss se inki problem kafi jada badh gyi hai aur usne inki adhi zameen v chinn li hai
Mohit:*yeh toh bahut bura hua hamme inki madat karni chahiye
Devid:*karni toh chahiye par uss se bhi jada jaruri hai hamme krishna ki madat lena hoga
Mohit:*kya matlb madat lena hoga
Devid:*tumhri jaan ko khatra hai agar ham yaha krishna ko le aaye aur aap unki jagah chle jao toh ham anna ko aram se maar sakte hai
Mohit:*devid tum pagal ho gye ho ham ek masoom ki jaan kaise khatre me daal sakte hai jara socho toh apne papa ko kho diya uss priwar ke pass sif unka beta hai kya tum chahte ho main aisa paap karo usse musibat me daal kar
Devid:*main janta hu khatra hai par main koi musibat nhi aane duga uss par
Mohit:*nhi devid main apni jaan de duga par apni vajh se kisi par musibat nhi aane duga
Devid:*acha teek hai par ham uss se milna chahiye woh preshan hai aur hamme puri family ki jaankari ke liye amar ko office me kaam karne ko laga lete hai jis se uss family ki sari detail mil sakti hai
Mohit;*nhi detail toh nhi chahiye ab koi bas usse job par rakh lo aur khosis karna woh mere bare naa jane
Devid:*tum toh meri kisi baat ko maan hi nhi rahe ab tum hi baato kya karo gye
Mohit:*tum amar ko job me lao main kal krishna se milta hu
Devid:*yeh teek rahe gaa
Mohit:*haa yeh teek rahe gaa main uss se mil kar uski problem slove karo gaa
Devid:*teek hai
Uske baad devid waha se chla jata hai mohit ghar chla jata hai par uske dimag me ab bhi chl raha tha dono problem ko kaise slove kare kahi na kahi usse bhi sakk tha ke kahi anna ne krishna ko kahi dekh liya toh usse maar naa de
Mohit issi tension me sari raat so nhi paya aur agle subh time par uth kar tyar hone laga
Kavita:*kya baat hai aaj baadi jaldi office jaa rahe
Mohit:*kavita main office nhi jaa raha kahi aur jaa raha hu office tum sambhalo kuch din aur khosis karna mera zikar naa ho waha
Kavita:*kya matlb apka sab teek toh hai naa
Mohit:*haa sab teek hai bas main jaisa kar raha hu vaisa karo aur haa main kuch time ke liye thoda bahar jaa raha hu
Kavita:*apne office wala jo kaha woh ho jaye gaa par main apke bina nhi rahu gyi aapko kahi nhi jao gaa
Kavita ki baat sunn mohit muskura deta hai aur usse baaho me bhar lete hai
Mohit:*pagli main kaha door reh luga par jaruri hai jaan jaane do naa
Kavita:*nhi bola toh nhi
Mohit kavita ko ghuma kar apni tarf kar leta hai aur usse kiss karne lagta hai kavita bhi mohit ka pura sath deti hai
Mohit thodi der kavita ke dono rass bhare hotho ko peene ke baad chhod deta hai
Mohit:*bahut jaruri hai jaan
Kavita:*teek hai jaiye par ek din ke liye
Mohit:*acha teek hai kam se kam ek din hi sahi jane do
Uske baad kavita ke mathe par kiss kar niche aa jata hai aur sabhi ko baata ghar se nikl jata hai
Mohit apni car se krishna ke goan chla gya devid ne usse batya tha ke krishna usse goan ke naddi ke pass jarur mil jaye gaa
Mohit car ko goan me chhod khud paidal hi logo se poch kar chl deta hai naddi ke pass uske dimag me chl toh raha tha woh jo kar raha hai woh sahi toh kar raha tha par mohit janta tha uska aisa karna bhi jaruri tha
Mohit jald hi goan ke naddi par poch jata hai aur ek kinare baith kar intzar karne lagta hai kab krishna aaye gaa har waqt ke sath uski dil ki bechaini bhi badh rahi thi