UPDATE NO 1
ek sunsan jungle me beh rahi nadi ke ander ek ladka machliya pakad raha tha tabhi uske kaano me kisi ladki ki awaj aati hai
ladki:-oh krishna ohhh krishnaaa kaha hai re tu
ladki:-krishna kaha hai re bol naaa
tabhi woh ladka uss ladki ki awaj pehchan kar jawab deta hai jo uske kaano me dusri baar sunyi padti hai
ladka:-idher hu didi naddi ke pas aa jao bas ho gya mera kaam bhi
krishna:-kya didi aap ghar hi rehti naa main aa hi raha tha
(pooja krishna ki behan)
pooja:-tu aa raha tha pata bhi hai saam dhalne lagi hai aur tera koi aata pata hi nhi chl ab jaldi ghar chl mummy meri jaan kha rahi hai tujhe ghar se niklne kyo diya
krishna:-kya didi main chhota bacha thodi hu bada ho gya hu
pooja:-haa janti hu tu bada ho gya hai ab chle gaa ke nhi
krishna:-oh ho machliya toh lene do itni mehnat se pakdi hai (apni machliya utha) haa ab chlo
pooja:-vaise tu yeh machliya pakdne yahi kyo aata hai ghar ke pas bhi toh talab hai wahi pakad liya kar faltu me meri kasrat karwa deta hai aur mummy se daat bhi pada deta hai
krishna ki behan narajgi ke sath krishna ko kehti hai
krishna:-kya didi woh ganda talab hai waha ki machliya bhi gandi hogi acha khana nhi khati hogi aur fir agar hamnw khaya toh hamme bhi bimari ho jaye gyi
apne bhai ki baat sun pooja jate jate ruk jati hai aur fir apne bhai ki tarf dekh jor jor se hasne lagti hai aur krishna apni behan ki tarf gusse se dekhne lagta hai
krishna:-(gusse me) aaj naa aap meri machliya ko hath bhi maat lagana aap bas wahi gandi wali machliya hi khana
pooja apne ke sath chlne lagti hai kyonki krishna apni baat keh narajgi ke sath aage jane lagta hai
pooja:-(muskura kar) aisa maat keh mere bhai agar maine woh gandi machliya khayi toh main bimar ho jao gyi naa mujhe bhi de dena apni sawach machliya
ek baar fir pooja hasne lagti hai jiss se krishna chidd jata hai aur jaldi se chlne lagta hai lagbhag ek kilometer chlne ke baad goan suru ho jata hai
halki halki raat ne apne pair faila diye the suraj ki roshni thodi madham ho gyi thi jis karan pooja bhi apna majak chhod krishna ke sath jaldi jane lagti hai
kyoki usse pata tha ghar par uski maa aur uski behan ekli hogi woh dono jaldi se ghar jate hai par ghar jaise hi jate hai dono ki aakhe badi ho jati hai
kyoki iss waqt dono ke saman ghar ke bahar pade the jo ghar bahut chhota tha aur waha teen gunde aur goan ka mukhiya baitha hua tha
wahi jamin par uski maa thi jiske hath uss zamindar ke aage juke huye the wahi uski behan dari sehmi bahar ke diwar ke pas khadi thi
krishna jab aisi halat dekhta hai toh uska khoon khol jata tha hai aur woh sidha zamindar ke pas jakar khada ho jata hai
krishna:-tune yeh sab fir kiya bola naa tere paise tujhe de denge
zamindar:-(krishna ki maa ko) kyo kutiya apne iss kutte ko sikhya nhi ke yaha ke zamindar se kaise baat karte hai
krishna jab zamindar ke muh se apni maa ke liye gali sunta hai toh uska khoon khol uth taa hai woh zamindar ke uper lapak padta hai aur mukka maarne wala tha ke tabhi zamindar ke admi krishna ko pakad lete hai aur dono krishna ke uper laat ghuso ki barish kar dete hai
wahi apne bete ki halat dekh uski maa zamindar ke kadmo me gir jati hai wahi uski badi behan pooja bhi zamindar ke kadmo me gir usse maaf karne ki bikh mangte hai
par kehte hai naa jiska jamir hi naa ho woh kya kisi ke dukh taklif ko dekhe gaa
zamindar apne pair ke niche dono ko dekh aur krishna ko dekh jor jor se hasne lagta hai wahi krishna jo abhi bharpur maar kha raha tha par uski najre apni maa aur behan par thi
usse iss baat se bilkul taklif nhi ho rhi thi ke usko maara jaa raha hai par iss baat se ander hi ander aag ubal raha tha ke uski behan aur maa ko gali toh woh zamindar de hi raha hai par uski wajah se woh zamindar ke kadmo me the
jab krishna ki halat adh mari ho jati hai tab zamindar rok deta hai
zamindar:-bas karo re salo maar naa dena iss kutiya ke pile ko aur tu randi iss pile ko samjha ke jiske paw padte hai uska gaala nhi napte varna agli baar yeh zinda nhi rahe gaa aur haa mujhe mera paisa chahiye tumhre khet ab tumhre nhi rahe main le raha hu par agar tumne ek mahine me paise nhi diye toh yeh ghar bhi le luga samjhi tu chlo re
zamindar jab jane lagta hai toh raste me tokri me tazi machliya padi hoti hai usse dekh apne admiyo se
zamindar:-le chlo re isse londa tazi machliya laya hai kuch toh kaam aaya iska pila chlo ab jaldi mehal
zamindar apni car me baith kar nikl jata hai wahi krishna ki maa aur behan fatafat krishna ke pas jate hai jiski halat bahut kharab thi
wahi uski choti behan roti huyi sara saman abder karne lagti hai zamindar ke jane ke baad gaon wale bhi gharo se bahar nikl aate hai aur krishna ke padosh me hi rehne wali pooja ki sehli sunita ghar se nikl krishna ke choti behan ki madat karne lagti hai
sunita:-mujhe maaf kar do mousi par agar hamne uss waqt apki madat ki hoti toh woh kamina hamre zamin bhi hadap leta
k maa:-koi baat nhi beti meri madat kar aur krishna ko ander le chl
teeno mil kar kisi tarh krishna ko ander le jakar manjhe par rakh dete hai wahi ab tak choti behan ne sara saman ander kar diya tha
raat kafi ho gyi thi iss liye krishna ki maa sunita ko apne ghar jane ko kehti hai
sunita apne ghar se ladai kar ke inki madat karti thi kyoki pooja uski pachpan ki sehli thi aur woh uski maa ko mousi hi manti thi woh sabke liye thoda khana laa kar deti hai apne ghar se par woh khana koi nhi khata sayad itna jalil hone baad sabka pet aise hi bhar gya tha wahi krishna behosh ho gya tha par uski maa ne usse hosh nhi laya bas aise lete rehne diya
sab ki aakho me aasu the aur apni kismat ko khoos rahe the par unke hath me kuch nhi tha aur naa hi itni achi halat thi ke woh apni zindgi ko badal sake
(Introduction
manju devi
45 saal ki ek garib ghar ki aurat jiska pati 2 saal pehle hi maar gya tha iska ghar south india me the jo ki channai ke karib ek goan me tha jaha aaj bhi thodi jada garibi thi aur zamindar jaise sabad sunne ko mil jate hai
pooja kumari
25 saal ki ek khubsurat ladki par unke chehre ke noor ko garibi ne apne daman me chupa liya tha par aaj bhi iss garibi ke aalm me hasti thi toh aisa lagta tha jaise iss jada kuch khubsurat sayad hi kuch ho yeh goan ke school me 5 tak padi thi sayad iss se jada inn ki haisiyat bhi iss garibi ne chin li thi
krishna kumar
20 saal ka ek sehatmand ladka tha dikhne me bhi bahut acha tha sayad garibi ki maar jis par naa padi thi woh iss ghar me yeh hi tha dikhne me bhi gora chita achi hight body bhi achi khasi thi bas nhi the toh iske pas bas ache kapde barna model jaisa lagta isne bhi apni behan ki tarh 5 tak hi padai ki thi kyoki uske baad isse apne papa ke sath kheto me kaam karana padta tha
Amita kumari
18 saal ki ladai aur iss ghar ki nanhi pari isse sab ne laddo se pala tha jitna iss ghar walo se ho paya tha yeh ladki hi thi jo pure pariwar me 10 tak padi thi yeh padhna toh aur chahti thi par naa iski kimat me tha padna naa hi aage padhna
sambhu zamindar ek number ka kamina insan iss goan par raj karta tha kyoki iske paas paise toh tha hi sath hi kuch paltu gunde the jiske dum par yeh jisko chahe juka sakta tha aur koi kuch nhi kar sakta tha iss ne hi jabardasti krishna ke baap se sari zamin chin li aur uski maa ko kaha ke uske pati ne uss se karja liya hai iske khilaf jane wala zinda nhi rehta aur iske khilaf aaj tak koi gya tha toh woh tha krishna ka baap sambhu ek behad aayash aur nasedi insan tha
sambhu ke priwar me uski patni thi jo ki sambhu ki tarh hi ghamandi aur chalak thi
sambhu aur uski patni ke ilawa unki ek beti thi jiska naam naintara tha jo inn maa baap ke behave se bilkul alag thi aur inke bare me bhi usse kuch jada nhi pata tha kyoki sambhu ne apni beti ko sehar me padhya likhya tha
sunita kumari
25 saal ki ek simple ladki yeh bhi jada padi likhi nhi thi yeh pooja ki sabse khas dost thi jo unke ghar me aati jati rehti thi jiske karan uske mata pita rokte toh the par woh kisi ki nhi sunti thi
AMAR
yeh sunita ka bhai tha aur krishna ki umer ka tha aur inn dono ki dosti sunita aur pooja ki tarh hi paki thi par amar pichle 2 saal se chennai me reh raha tha aur waha apni padai ke sath sath kaam kar raha tha)
sari raat yuhi aakho me aasu liye sabki gujar jati hai aur subh ki tapdti kirno ke sath karharta hua krishna bhi uthne lagta hai par uske badap par lage chhot aur laato ki maar usse naa utne par bebas kar dete hai
krishna ki karhar sun ke uske manjhe ke pas baithi pooja ki nind khul jati hai jo abhi abhi soyi hi thi
pooja:-(chinta ke sath) tu teek toh hai naa bhai
krishna:-nhi didi main teek nhi hu mujhse yeh lachari bardast nhi hoti apko aur mummy ko kisi ke pairo me gira dekh aise lagta hai sari duniya ko aag laga du
pooja ki awaj sunn kar hi uske pas baithi krishna ki maa aur amita ki bhi aakhe khul gyi thi woh bhi krishna ki baat ko sunn li thi
k mummy:-beta sab teek ho jaye gaa
krishna:-(jaise faisla kar liya ho) yaha baithe rehne se nhi hoga maa mujhe jana hoga sehar main ab aur bardast nhi kar sakta apki mamta aur apki chinta ne mujhe aaj tak yaha roke rakha tha par ab nhi ab mujhe jana hoga maa tabhi main apke aur apni behno ki taklifon ko door kar sakta hu
krishna ki baat sunn uski maa aur behne dar jati hai
k maa:-kaha jana hai tujhe nhi tu kahi nhi jaye gaa sab teek ho jaye gaa
krishna:-maa mujhe maat roko mujhe sehar jane do amar ke pas varna aur saitan fir aaye gaa yaha ham sabko jalil karne aur iss baar toh hamra ghar hi chin lega nhi maa nhi tujhe meri kasam ab naa rok apne bete ko mamta ke anchal me chupa kar kamjor naa kar tera beta itna kamjor nhi jo tum sabka karcha bhi na utha pao mujhe ek baar jane de sehar main waha bikh mang luga par tujhe aur apni behno ko uss saitan ke kadmo me nhi girne duga maa main logo ke pairo me gir jao gaa par tujhe nhi girne duga
krishna ka dard aur krishna ki baate sunn krishna ki maa aur dono behne krishna ko gale laga leti hai aur jor jor se rone lagti hai wahi piche khadi sunita ki aakho me bhi aasu the
sunita;-mousi krishna sahi keh raha hai usse amar ke pas jane do amar acha sa kam dila dega aur krishna waha se paise kama iss kamine ke muh par de mare gaa yaha baithe rehne se sif waqt gujre gaa mousi halat nhi badle gye ab toh kamine ne apki zamin bhi hadap li puri ki puri
k maa:-mere kaleje ke tukde ko kaise dar dar ki thokaren khane ko chhod du beti yeh toh aaj tak goan se bahar bhi nhi nikla
sunita:-mousi aap itna naa sochiye waha amar hai naa woh iska pura khayal rakhe gaa
krishna:-maan jao naa maa didi aap hi samjho naa
pooja:-main kya samjho mera toh khud nhi maan tujhe kahi bejhne ka tujhe kuch ho gya toh
krishna:-(thoda jhunjhalahat se) teek hai nhi jata hu par agar iss baar aap uss kamine ke kadmo me gire yaa unke pairo ke pas huye toh main apni jaan de duga
krishna ki baat sunn uski maa thapad marti hai aur rone lagti hai tabhi itni der se chup baithi amita bhi bol padti hai
amita:-maa krishna bhaiya sahi bol rahe hai yaha rehne se kuch nhi badle gaa par bhaiya ko ekle bhi nhi jane de sakte iss liye bhaiya ke sath main jati hu main padi likhi bhi hu toh bhaiya ki madat bhi kar dugi
amita ki baat sunn krishna ki maa usse gusse se dekhti hai
k maa:-(gusse se) tu itni bhi padi likhi nhi hai ke bahar ki duniya ko samjh sake
krishna:-maa toh kya yaha baithe baithe duniya ko samjha jaa sakta hai maa aap meri takat banno meri kamjori nhi..maa papa kehte the agar insan ko mabut hona hai toh insan ko dhup aur mushkilo se nhi bhagna chahiye balki uska aakho me aakhe daal saamna karna chahiye
k maa:-(krishna ke gaalo ko sehla) mera bacha bada ho gya hai teek hai tu jaa par tu amita ko bhi sath le jaa waha tujhe khana bana kar toh de degi
krishna amita ko sath lekar nhi jana chahta tha woh nhi chahta tha uski behan waha jakar preshn ho par woh ab maana nhi kar sakta tha usse dar tha ke uss ne mana kiya toh uski maa jane ko mana naa kar de
wahi sunita jo sabke liye chai layi thi ghar se baba woh tandi ho gyi thi woh pooja ke sath le kar krishna ke ghar ka chulaha jala chai ko fir garm karti hai tab tak krishna bhi badi muskil se manjha se uth gya tha
uske badan me kamjori abhi bhi dikh rahi thi sunita chai garm kar ke sab ko deti hai toh wahi pooja sabke liye khana banne lagti hai
krishna ne maa se kaha woh aaj hi sehar jaye gaa kyoki usko paise jada chahiye tha waqt kam tha uski maa rokna toh chahti thi uski chhot ke vajh se par woh rok naa payi
krishna aur sab ne milkar chai pee uski maa ne muskil se krishna ko thode bahut paise diye jis se woh sayad hi sehar poch pate yeh bhi nhi pata tha poch pate bhi ke nhi
wahi yeh baat sunita bhi samjh gyi thi iss liye woh sabse chupa kar amita ko thode apne paise de deti hai
amita mana karti hai par sunita usse samjhti hai tab jakar woh uski baat maan leti hai subh ka khana kha dupher ko krishna aur amita ghar se niklne ko tyar ho jate hai le jane ko toh jada kuch nhi tha ke jode kapde bhi muskil se the dono ke pas jo ek chhote se polothin me rakh lete hai
krishna;-(sunita se) didi main apne ghar ki jimmedari aur inn sab ki jimmedari aap par chhod kar jata hu aap inka khayal rakhna
sunita:-tu chinta naa kar bhai main hu naa tu jaldi se jaa aur iss musibat ko khatam kar
uske baad krishana aur amita sab ka aashirvad lete hai aur waha se dusre goan chl dete hai jo 1 kilometer door tha wahi se inhe bus milni thi aur wahi se yeh amar ko phone bhi kar sakte the jo number sunita ne diya tha
yaha toh mobile ke pas nhi tha yaha toh khana hi muskil se pura hota tha sab ke ghar me mobile kaha se lete kehne ko duniya chand par poch gyi thi par inke liye toh aaj bhi aisa mohal tha jaise yeh angrejon ke gulam ho
khair 30 mint me woh dusre goan poch jate hai jaha se unho ne bus pakdni thi