UPDATE NO 20
mohit ke nikl rahe aasu ko hotho se peena chah rahi thi
fadfada rahi ugliya mohit ke baalo ko sehla chup karana chah thi ho
sach hi jab ruh jude ho toh ek ruh ki tadap sunn murda bhi bol padta hai sayad aisa hi priya ke sath bhi ho raha tha
komal ko mohit ke liye bechain thi aur mohit ko milne jane lagi thi
jab woh priya ki tarf dekhti hai toh chila padti hai
ab aage...........
komal ki khushi se itna jor se chikhi thi ke sare ghar ke logo ko dara diya
komal ki aisi chikh sunn kar sabhi priya ke room me aa gye
jaise hi sabhi priya ke room me aaye toh waha ka seen dekh pehle toh sabhi hairan huye par jald hi sabhi ke aakho me khushi ke aasu aa gye
komal ne priya ko gale lagya hua tha priya bolne ki khosis kar rhi thi par bol nhi paa rahi thi
priya ke hoth halke fadfada rahe the aakho se lagatar aasu nikl rahe the
kisi ne socha nhi tha aaj ki subh sabhi ke liye itni khushiya lekar aaye gaa
priya ne sabhi ke dil me apni alag hi jagah banyi huyi thi
amita pooja sarita aur krishna ki mummy ko bhi priya ke pyar aur uski life ke bare me bahut kuch pata laga tha jiss se unko bhi dukh hota tha priya ki halat se par aaj jab priya ki body me harkat huyi toh sab hairan ke sath khushi se assu baha diya
krishna(mohit) kamre ke darwaje par khada ho aasu baha raha tha
samjh nhi aa raha tha ke kuch der pehle sarita ki tadap ke liye jo aasu nikl rahe the woh aasu hai yaa yeh priya ki aakho me nikal aasuo ko dekh roo rahe the
krishna ke chehre ko dekh kar toh yahi lag raha tha yeh abhi priya ki zindgi ke liye nikl rahe hai
jis ladki ke liye saase tham jati thi jis ladki ki khudkushi ki baat sunn bina soche samjhe uske ghar me uski maa ke samne hi gale laga liya tha jis ladki ne mohit ko pyar ka ehsaas dilya tha yeh aasu ussi ke liye the
mohit toh aisa tha kisi gair ke liye bhi roo de uski liye kuch bhi karne ko tyar ho jaye jisko pyar ki jarurt ho uske liye pyar ka sagar luta de
phir yaha toh uski jaane bahar thi kaise naa inn aakho se aasu behte kaise dil na tadpta
krishna door ke pass priya ke aakho se aasu niklta dekh khud se sochta hai ke kash yaha yeh chehre par nakab naa hota...kash yeh majburiyon naa hoti toh sayad yaha priya aur mohit me duriyan bhi nhi hoti
krishna toh nhi jaa saka par komal ne priya ko apni baho me samet rakha tha sath me khud roo rhi thi
aaj usse aisa lag raha tha ke uske sine me jo priya ke jane se adha dil reh gya tha aaj pura ho gya hai
besak mohit ko dilo jaan se chahti thi par sayad priya ke bina woh chahat adhuri thi
priya aur mohit ne komal ke sine me ek alag ghar bana liya tha yeh kehna muskil hoga ke kiske liye pyar jada hai aur kiske liye kam
tabhi murti bann iss anokhe chamatkar ko dekh rahe the ki Achanak alka aage badh kar komal aur priya dono ke sar par hath rakhti hai
alka:-komal bagwan ne hamri sunn li mummy hamesa priya ko hasta hua dekhna chahti thi aaj priya ko pehle jaisa hota dekh baata nhi sakti kitni khushi ho rhi hai
madhu:-apne shi kaha didi priya toh mohit aur mummy ki jaan thi bagwan ka lakh lakh sukar hai ke priya ko teek kar diya
kavita:-komal check kar toh dekh priya teek toh hai naa aise rone se kuch nhi hoga dekh priya bhi kitna roo rhi hai kya mummy isse rota dekh khush hogi
komal:-didi main priya ko iss halat me dekh baata nhi sakti kaisa mehsus ho raha hai
rahul:-didi aap maat batna pehle check kar lijiye didi sahi keh rahi hai agar rone se halat kharab ho gyi toh
komal:-nhiiiii iss baar main priya ko kuch nhi hone dugi
alka:-kuch nhi hoga tu check kar toh kar
komal ko bhi bakiyo ki baat sahi lagti hai iss liye woh priya ko door kar lita deti hai par priya ke aakho se aasu rukne kaa naam hi nhi le rahe rhe jiss se baki sab preshan ho gye the
alka:-komal iske aasu kyo nhi ruk rahe
komal:-didi priya koma se toh bahar aa gyi hai par abhi weekness hone se apne emotions par control nhi kar paa rahi hai
rahul:-aise me toh iski halat kharab ho jaye gyi
komal:-mujhe bhi dar lag raha hai ghar par nind ka injection bhi nhi jise dekar main priya ko behosh kar du
ab chup chap krishna aur bardast nhi kar paa raha tha uss se priya ki halat nhi dekhi jaa rhi thi iss liye woh bina kuch soche bol padta hai
krishna:-main lekar aata hu injection komal
krishna ke bolne se sab krishna ko dekhne lagte hai
abhi koi kuch bolta iss se pehle hi alka bol padti hai
alka:-tum rehne do krishna tumhe pata nhi lage gaa rahul tum jao aur jaldi lekar aana...krishna ek kaam karna tum priya ko teek kar ke baitha leta dena
Alka ke dil me pata nhi kya chl raha tha par alka ki baat sunn krishna itna khush hua ke abhi jakar alka ko baho me bhar le aur usse jee bhar pyar kare
krishna ki toh jaise dil ki murad hi puri ho gyi thi
krishna kisi ke bare kuch soche huye priya ke pas poch jata hai aur uske hatho ko apne hatho me tham leta hai jaise kasam kha raha ho ke
"mujhe par yakeen karo priya main marte dum tak sath nhi chhodo gaa..saat janam hote hai toh sabhi janamo me tere hatho ko aise hi thamye rahu gaa"
mohit ne jaise hi priya ke hath ko tham kar vada kiya vaise hi priya ne bhi jaise mohit ke dil ki baato ko samjh liya ho
kyoki mohit ke hath thamte hi priya ke aakho ke aasu rukne lage the
jo dard ka samundar priya ke chehre par aakar aakho se behne laga tha ab woh dukho ko jaise mohit apne hatho se pee kar uske chechre par muskurahat bikher raha tha
priya ke chehre pr ab dukh ki pida nhi kuch paane ki khushi jalak rahi thi ab dard ka ehsaas nhi pyar ki khushi thi
sabhi ke chehre par khushi thi pooja sarita aur krishna ki maa jada toh nhi samjhi thi par itna toh samjh gyi ke iss ghar me reh rahe har log bas pyar karna jante hai
wahi ek kone me khadi amita har gatividhi ko dhyan se dekh aur samjh rahi thi
woh har kisi ke face expression note kar rahi thi sabse jada uska dhyan tha krishna ki aur kyoki uske chehre par badal rahe har expression usse tension me laa raha tha
usko aisa lag raha tha jaise uski saase tham naa jaye...uske ander uth rahe tufan ne aakho me aasu bann kar behne lage
halat aise the ke kisi ko kuch ajib nhi lag raha tha amita ka rona par amita toh janti thi ke aaj uske dil woh dard utha hai jise woh chah kar bhi khatam nhi kar paa rhi thi naa apne aakho ke aasuo ko rok paa rahi thi
amita ke ander jo jawab uth rahe the raat se uske kuch hadh tak jawab mil gye the
amita waha aur nhi ruk pati aur apne room me jakar pillow me muh chupa ke rone lagti hai
krishna (mohit) priya ke hatho pakad sehla raha tha ab priya ki halat pehle se behtar ho gyi jise dekh sab ke chehre par aisi khushi bikhar gyi jiska koi hisab nhi tha
kal tak sab ka dil keh raha tha yeh krishna nhi mohit hai par aaj krishna ke sif hath thamne se adh mari halat me leti priya ke sant ho jane se sab samjh gyi yeh hi mohit hai
thodi der rahul injection lekar aa jata hai jise komal laga deti hai
aaj toh sabhi ke liye jasan ke jaisa tha iss liye sabhi khushi khushi breakfast karte hai
komal ko chhod kar sab apne apne kaam karne chle jate hai
madhu bhi apna sara kaam kar ke jab chain se bed par let kar sari ghatna ke bare me sochti hai toh achanak ek chehra uske samne aa jata hai jo breakfast karne bhi nhi aaya tha
madhu jaisi halat thi ussi halat me uske room me bhag jati hai
jaise hi madhu jor se darwaja kholti hai toh samne dekhti hai amita bed par baithi roo rahi hai uske hath me kuch tha
madhu amita ko iss haal me dekh kar apni khushi bhool jati hai uske dil me aisa dard hota hai jaisa aaj se pehle mohit ke kho jaane se hota tha
madhu kaa amita ke sath ek alag hi lagav ho gya tha jitna sayad apni kisi behan se nhi hua ho
amita thi bhi toh aisi khubsurat aisi ke chakor ki tarh dekhte rehna ka dil kare..hasmukh zinda dil kisi ko bhi apni baato se apni tarf khich le agar amita kisi ki parchayi lagti thi toh woh sif komal hai
sif komal hi thi jo amita ko takar de sakti thi
madhu jab dekhti hai itni jor se darwaja kholne par bhi amita ka dhyan uski tarf nhi hua toh woh dar jati hai
darwaja ko laga kar wapas amita ke pas jakar baith jati hai
madhu dekhti hai amita ke hatho me tasvir thi jis me amita pooja unki maa aur krisna tha
madhu ko samjh nhi aata kya kare kaise baat kare iss liye madhu amita ka chehra apne dono hatho me tham apni tarf kar seene se laga leeti hai
amita jo kab se khud se hi ladh rahi thi kisi ka shahra milte hai jo aasu dhire dhire nikl rahe the woh ab gaati pakad lete hai amita bhi madhu ko baho me pakad ke rone lagti hai
amita:-rote huye) didi mere bhaiya kaha hai kaha hai mere bhaiya didi
amita ki baat sunte hi madhu ke bhi aasu niklne lagte hai rona toh usse tab hi aa gya tha jab uss ne amita ki aisi halat dekhi thi par kisi tarh khud ko sambhal kar rakha tha par ab khud ko rok nhi saki
madhu:-kya amita tumhre bhaiya yahi toh hai kaam par gye hai agar yaad aa rahi hai toh chl office chlte hai
madhu ki baat sunn amita apna sar uper utha kar madhu ko dekhti hai fir wapas uske seene me lag jati hai
amita:-didi aaj mere bhaiya kho gye aaj mehsus ho gya ke mere bhaiya mere bich nhi hai kyo aap sabka dil kehta tha ke mere bhaiya nhi apke mohit hai
madhu:-dekh amita yeh abhi sabit toh nhi hua naa yeh galat bhi toh ho sakta tu pehle rona band kar woh tere bhaiya hi hai
amita:-nhi hai mere bhaiya pata nhi kaha hai mere asli masum se bhaiya
madhu:-amita tu mujhe didi manti hai naa toh chup jaa plss
amita:-kaise chup ho jao didi mere toh sab kuch loot gya
madhu:-kuch nhi hua tu rona band kar pehle aur baata baat kya hai jo tu achank se krishna ko mohit manne lagi
amita:-mohit hai toh mohit hi mano gyi naa didi
madhu:-tujhe meri kasam amita agar tu ab royi toh main kuch kar lugi khud ko
madhu ki baat sunn amita ek dum se rona band kar deti hai par uske aakho ko kon samjhye jo dil ke dard ko bina awaj ke aakho se nikl rahi thi
madhu:-baata naa gudiya tujhe aisa kyo laga
amita:-didi raat ko apki sari khanni sunne ke baad maine sab ke bare me socha fir bhaiya ke bare me socha jis me kuch badalav aaye the 1 saal pehle par hamne socha ek accident hua tha uss ke karan hua hoga par aaj subh jab priya ko hosh aaya toh mera dhyan bhaiya ki aur tha mujhe yakeen tha agar mere bhaiya hoge toh unhe jada fark nhi pade gaa halki dukh jarur hoga par itna nhi jitna kisi apne ko hona chahiye jitna ek Premi ko hona chahiye
par jab bhaiya aaye toh maine priya ke liye bhaiya ki aakho me woh dard dekh jo ek premi ke ander hota hai fir bhaiya ke priya ka hath pakdte hi priya ka chup ho jana jaise ek premika ko sakoon mila ho apne premi ko paa kar aisa mehsus hua
aap sab ne dekh kar mehsus kiya tha iss me aakho ka dhokha keh sakte hai par priya...priya ne toh bina dekhe bina samjhe mehsus kiya mohit ko fir yeh kaise ho sakta hai jhoot fir woh komal ki DNA report ne mera pura sakk laa diya ke yeh mere bhaiya nhi apka mohit hai didi apka mohit
mere bhaiya kaha hai didi baato naa didi baato naa
madhu:-amita pehle chup kar aur apne aap ko sambhal agar tera yeh haal hai soch mummy ka kya haal hoga teri baat sunn kar aur rahi baat ke mohit krishna kyo bana aur krishna kaha hai yeh sif mohit bata sakta hai tab tak umid rakh ke sayad krishna kahi ho...hamre sawalo ka jawab sif mohit de sakta hai tab tak tujhe apne aap ko sambhalna hoga tere dukh se bina sach jane sab bikhar jaye gye mummy toh sunte hi maar jaye gyi unki aakho ka tara hai krishna amita meri behan apne aap ko sambhal
amita:-didi yeh asan hai
madhu:-nhi hai amita bilkul nhi hai par tujhe karna hoga apni didi aur mummy ke liye
amita:-teek hai didi aaj main apne bhai ke liye roo leti hu kal main sab pehle jaisa yaad kar lugi
madhu:-amita.....
madhu ek baar fir amita ke gale lag ke rone lagti hai
aaj amita ne maan liya tha krishna hi mohit hai par aaj madhu ko ek pal ke liye bhi khushi nhi huyi kyoki aaj madhu amita ke sath hi rona chahti thi aur sach hi kaha hai kisi ko dukh me chhod kaha dil ko khushi nasib hoti hai
sayad iss liye hi madhu apni khushi nhi balki amita ka dard baant rahi thi
*****************************
chenni airport par tina kisi ke sath kadi thi tabhi waha par lucifer aa jata hai
lucifer:-tina mujhe kyo bulya janti ho naa main kitna bg rehta hu sif tumhre liye hi aa paya hu
tina:-sorry luci woh kya hai ke mere dost ko uske bhai ne cheat kiya hai aur sari property ko dhire dhire waha se gayab kar chennai aa gya ab chennai me tumhri itni chlti hai iss liye mera dost tumhri madat lene aaya hai
lucifer:-yar tina bura maat manna par tu toh janti hai naa main itna bg rehne par kisi ki madat nhi kar sakta
tina:-luci tujhe kon saa mufat me madat karni hai ham paise denge naa kyo sahil
tina ke sath jo aaya tha woh aur koi nhi sahil tha jise tina ne apne jaal me fasa kar mohra bana chennai me le aayi thi pata nhi kaise ab sahil ko badi asni se mohit ka dusman bana diya tha
sach hi kaha hai 2 inch ki chut chahe toh kuch bhi kara sakti hai aisa hi sahil ke sath ho raha tha
sahil:-haa haa tina ham mufat me thodi tumhre dost ki madat lenge
lucifer:-chlo toh baith kar baat karte hai agar yaha paise mile gye toh ek business hi hua naa fir business ko naa thodi kehte hai
sahil:-chlo kisi hotel chlte hai waha hamra rehne ka bhi ho jaye gaa aur baate bhi ho jaye gyi
lucifer:-kamal karte ho dost tina meri khas dost hai uske liye toh tum khas ho toh tum bhi mere khas huye naa aur fir ab toh ham busniess bhi karne wale aise me hamme aur jann pehchan honi jaruri hai chliye mere ghar chaliye
sahil:-aap ke ghar kaise.....
lucifer:-tina tum hi kaho tumhra dost toh mujhe manta hi nhi ab bina viswas ke business thodi hota hai
tina:-sahil yeh mera khas dost hai agar yeh hamri madat kare gaa toh kaam chutkiyon me ho jaye gaa fir hamme bhi toh aise dost chahiye jo hamri business me madat kar rakhe
lucifer:-toh kya kehte hai sahil ji
sahil:-tina ke dost toh mera dost chliye apke ghar par baat karte hai
teeno lucifer ki car me baith chl dete waha se apni manjil ki aur jaha lucifer ne sahil ko botel me utarne ka kaam karna tha
*******************
krish aur amit subh se hi police station me baith kar sari mohit se judi file ke dhool hata rahe the
abhi unke samne pure 4 saal ke file table pe pade the jise iktha karne me pura department ki buri halat ho gyi thi
hawaldar:-sir sari file aa gyi hai
krish aur amit toh apne samne itni badi dher ko hi dekh kar preshan the
amit:-mohit tha kya jo uske khilaf itni file hai
hawaldar:-mohit bhagwan tha sir chennai ka bagwan jo roj darshan bhi deta tha aur fir bhagwan hai toh unki leela bhi toh hogi inn file me hamre bhagwan ki leela band hai
krish:-tum aur kya jante ho mohit le bare me... kya woh acha insan tha yaa bura
hawaldar:-sir apne mujhe toh keh diya par bahar kisi garib se maat keh dena ke mohit bura tha woh yeh nhi dekhe gye aap kon hai bas maar dale gye apko...bhala koi apne bagwan ki burai sunn sakte hai...inn file kya karo sir
krish aur amit toh kuch samjh hi nhi paa rahe the ek muskil se 18 ya 19 saal ka ladka yaha channai jaise sehar me bagwan kaise bann gya ab inn sawalo ka jawab unke samne padi file hi de sakti thi
hawaldar:-sir....sir....
krish/amita;-haa haa kya hua
hawaldar:-jada maat sochiye sir bhagwan ki pocha ki jati hai jada socha nhi jata aap yeh baatiye inn file ka kya karo
krish:-,car me rakh do ham dekhna chahte hai aakhir yeh mohit hai kon jise tum bhagwan keh rahe ho
hawaldar:-jarur dekhiye gaa sir aur yakeen ke sath kehta hu sabhi kuch dekhne ke baad aap bhi unki pooja kare gye main chlta hu file car me rakhwa duga
hawaldar waha se chla jata hai chhod jata hai toh dono ke dimag me mohit ki ek alag chavi jo unho ne abhi tak toh nhi socha tha
dosto apne REVIEW jarur de