Main toh khushi se phooli nahi sama rahi thi. Subah Aarav ne mujhe pani pine ko kaha tha. Pani pine ko kab kaha jata hai? Jab koi rota hai, na? Matlab Aarav mujhe dekhkar samajh chuka tha ki main royi thi. Isliye usne mujhe pani pine ko kaha, aur shayad isi wajah se usne mere liye red velvet cake bhi laya tha. Usse pata tha ki red velvet meri pasandida cake hai. Ha uska gesture thoda rukha-sukha sa tha, par asal mein woh dil se bahut sweet tha. Bas apna yeh pyaara roop kisi ko dikhata nahi tha. Aisa hi tha mera Aarav.
Subah meri chhoti beti Nina ne usse college chhodne ke liye kaha tha, par Aarav ne pehle toh usse bhaav nahi diya. Jab maine usse kaha, toh pehle usne meri baat ka koi jawab nahi diya, par aakhir mein woh Nina ko college le gaya. Yeh sab sochkar meri hothon pe ek muskurahat si thi, jo hat hi nahi rahi thi. Mera bada beta kitna pyaara tha, jo Sirf mujhe pata hai.
Ha thoda rukha-sukha zaroor tha, kisi se zyada baatein nahi karta tha, par dil ka sabse achha tha. Sirf mujhe pata tha ki mera beta kaisa hai.
mujhe thoda bura toh lagta tha ki woh mujhse zyada baatein nahi karta, mujhe dekhta nahi, mujhe bhaav nahi deta. Din ke bas teen chaar shabd bolta tha, par woh bhi mere liye khazana se bhi zyada the.
Main hamesha yeh koshish karti thi ki mera bada beta Aarav mujhe dekhe, mujhe nazarandaaz na kare, mujhse baatein kare. Shayad... shayad woh ek din mujhse dil kholkar baat kare, meri taraf pyaar se dekhe. Yeh sochkar hi mere dil mein ek ajeeb si ummeed jagti thi, ek chhupa sa khwab jo main dil ke kisi kone mein chhupaye rakhti thi.
Aaj din bhar ki baatein main apni diary mein likh rahi thi, aur mere hothon pe wahi muskurahat thi. Diary likhte likhte mujhe ek ajeeb si khushi mehsoos ho rahi thi, jaise mera dil Aarav ke chhote-chhote gestures ko yaad karke jhoom raha ho.
Tabhi Nina ne mujhe pukara.
Nina: Maa, kya kar rahi ho? Serial shuru hone wala hai, jaldi aao.
Main: Bas, 10 minute ruk, aati hu.
Maine diary band ki aur use aisi jagah chhupa diya jaha mere siwa koi na dhoondh sake, mere pati bhi nahi.
Ab sham ke 6 bajne wale the. Ghar mein koi kaam kaaj nahi tha, toh main aur Nina TV dekhne baith gaye. Meri ek buri aadat thi serial dekhne ki.
Yeh baat tab ki hai jab Naagin serial aaya karta tha.
Nina: Bhaiya abhi so rahe hain kya?
Main: Ha, bechara raat din padhai karta hai. Abhi thodi der pehle hi soya hai. TV ka sound kam kar.
Nina ne TV ka sound kam kiya aur phir boli.
Nina: Bhaiya sach mein so rahe hain na?
Main: Ha, kyun? Tujhe kuch bolna hai kya?
Nina: Ha, bhaiya sun lega toh meri pitai karega.
Nina Aarav se thodi darti thi. Aarav bada hai na, isliye.
Main: Woh so raha hai, nahi uthega. Tu bol na.
Nina: Maa, aapko pata hai, bhaiya cigarette peeta hai.
Main: Kya?
Nina: Ha, maa Jab woh mujhe college chhodne ja raha tha, tab kisi ne bhaiya ko bulaya, shayad uska dost hoga. Phir dono cigarette peene lage. Main peechhe chhup kar sab dekh rahi thi.
Main: Sahi bol?
Nina: Sach bol rahi hu Maine thik se dekha.
Main hairan reh gayi. Aarav cigarette peeta hai? Mujhe toh yeh baat bilkul nahi pata thi. Mere dil mein ek ajeeb si bechaini si uthi.
Main: Theek hai, main usse baat karungi is baare mein.
Nina: Aap baat karogi? Hehehe
Main: Arre, hans kyun rahi hai?
Nina: Hansu nahi toh kya? Aap toh khud bhaiya se darti ho Hahaha
Main: Tu na, thappad khayegi Main Aarav se kyun darungi? Beta hai mera woh.
Nina: Ha, ha, rehne do Hahaha
Main: Chup kar, nahi toh sach mein ek thappad lagaungi
Nina: Hahaha Aap toh bhaiya se katra ke baat karti ho. Hahaha, Papa bhi toh bhaiya se nap tol ke baatein karte hain. Hahaha
Main: Main darti varti nahi kisi se huh
Nina: Pata hai, pata hai Par maa...
Main: Ab kya hua?
Nina: Bhaiya aisa kyun hai? Kabhi kabhi lagta hai woh sabse sweet hai. Aaj ki hi baat lo, usne mujhe 1000 rupaye diye, phir cake bhi laya. Par baatein kyun nahi karta? Aisa kyun? Mere friend ka bhaiya toh usse kitna friendly hai. Mera bhaiya aisa kyun nahi hai?
Mere dil mein ek chhoti si chubhan si hui. Nina ke sawal ne mujhe bhi sochne pe majboor kar diya. Aarav aisa kyun tha? Kyun woh apne dil ke jazbaat chhupata tha?
Main: Dekh, insaan sab ek jaise nahi hote. Shayad Aarav ka swabhav hi aisa hai. Shayad usse zyada baatein karna pasand nahi.
Nina: Hmm, ho sakta hai woh apne job ko leke zyada serious hai?
Main: Ha, yeh bhi ho sakta hai.
Hum maa beti aise hi Aarav ke baare mein baatein kar rahe the, tabhi door bell baji.
Nina: Papa aaye honge.
Main: Ja ke dekh kon aaya hai.
Nina darwaza kholne gayi. Ankur tha.
Ankur: Tumhara college kaisa raha?
Nina: Achha raha, papa. Pata hai, aaj bhaiya ne kya kiya? Usne mujhe 1000 rupaye diye
Ankur: Achi baat hai. Chalo, main naha ke aata hu pehle.
Ankur nahane chala gaya. Main apni jagah se uthi bhi nahi, na usse dekha, na kuch poochha. Sab kehte the Ankur ek achha insaan hai, par mujhe toh yeh baat kabhi dil se lagi hi nahi. Sach toh baad mein pata chalaga.
Nina aur main phir se TV dekhne lage, aur hamari baatein bhi chalu thi. Thodi der baad Ankur naha ke aaya aur hamare saath baith gaya. Maine koi jawab nahi diya, bas apne serial mein doobi rahi. Tabhi light chali gayi.
Ankur: Arre yaar, light off ho gayi?
Nina: Inverter bhi kharab hai. Kab se keh rahi hu usse thik karvao.
Ankur: kal dekhta hu. Main thodi der dukaan ho ke aata hu.
Ankur fatafat ghar se nikal gaya.
Nina: Ab kya hoga, maa? Interesting ho raha tha, woh saanp ka roop lene hi wali thi. Dhatt
Yahan serial ki baatein ho rahi thi, aur main soch rahi thi ki yeh light bhi na, garmi mein kyun band karte hain yeh log?
Main: Yeh light bhi na, garmi mein kyun off karte hain, pata nahi.
Nina: Upar se inverter bhi kharab.
Main: ha...
Tabhi mujhe yaad aaya ki Aarav so raha tha. Garmi bhi ho rahi hai.
Main: Arre, Aarav toh so raha tha! Ab garmi mein kaise soyega? Nina, ja toh wahan se lamp le aa, aur dekh, paas mein pankha rakha hai, woh bhi le aa jaldi.
Nina lamp aur pankha le aayi. Main lamp leke Aarav ke kamre ki taraf gayi. Uska darwaza khula hi tha.
Main: Aarav, light chali gayi hai.
Main yeh kehte hue uske kamre mein jaa hi rahi thi ki woh bahar aa gaya, ekdum mere saamne khada ho gaya. Lamp ki halki si roshni uske chehre tak ja rahi thi. Woh mujhse lamba tha. Uska chehra dekhne ke liye maine apna sar uthaya, toh dekha uske baal bikhre hue the. Shayad adhi neend mein utha hoga, isliye uske chehre pe woh rukha-sukha bhaav nahi tha. Kitne dino baad uske chehre pe woh kharushpan nahi tha. Mera beta kitna handsome tha, par iss waqt toh woh ekdum cute lag raha tha. Mere dil ne ek ajeeb si dastak di, jaise koi chuppa sa jazbaat jaag utha ho. Mera dil ajeeb tarah se dhadakne laga. Yeh pehli baar nahi ho raha tha. Aise phele kai baar ho chuka tha.
Aarav: Pata hai mujhe.
Uski awaaz gehri thi, itni gehri ki mere pairon tak ek sihran si daud gayi.
Main: Woh... woh... tum uth gaye? Uthe kyun? Chalo, main hawa karti hu, tum so jao.
Par Aarav ne mujhe koi bhaav nahi diya. Woh ek hawa ke jhonke ki tarah side hoke chala gaya. Main wahi khadi reh gayi, jaise thaher gayi hu wahi. Mujhe bura laga, bohot bura laga. Maine toh uski bhalaai ke liye kaha tha, par woh? Woh mujhe phir se andekha karke chala gaya. Mere dil mein ek tees si uthi, ek chhupa sa dard jo main shabdon mein bayaan nahi kar sakti thi.
Main: Kya ho jata, agar tum soye rehte aur main tumhe hawa deti? Maine toh tumhari bhalaai ke liye kaha tha, par tum, Aarav, tum mujhse...
Main apne man mein baatein kar rahi thi, wahi uske darwaze ke saamne khadi. Shayad Nina ne dekh liya ki main wahi khadi hu. Usne mujhe pukara.
Nina: Maa, wahan kyun khadi ho? Idhar aao.
Main: Ha woh main kuch soch rahi thi
Kehte hue main Nina ke paas baith gayi. Ab mahaul kuch aisa tha. Main aur Nina TV ke saamne wale gadda pe baithe the, lamp table pe thi, aur Aarav hamare saamne hi tha, par hamare paas baitha nahi tha. Woh ghar mein idhar-udhar ghoom raha tha. Yeh dekh Nina ne mere kaan mein kaha.
Nina: Lo, bhaiya ka neend toh gaya! Hahaha
Main zyada gussa nahi karti thi, par Nina ki iss baat pe mujhe thoda gussa aa gaya.
Main: Tujhe har waqt sirf mazaak hi soojhta hai kya? Woh sham ke waqt itna hi sota hai bas, teri tarah nahi ki din raat soya kare. Bechara garmi mein ab soyega kaise? Main pareshaan hu aur tujhe mazaak soojh raha hai
Nina: Kya maa, thoda sa hi mazaak tha.
Main: Har baat pe mazaak nahi karte. Kaun kis pareshaani se guzar raha hai, tujhe kya pata? Woh padhai karta hai, hamara business bhi sambhalta hai. Uski jagah tu hoti toh kya karti.
Nina: Aap gussa kyun karti ho? Chalo, nahi karti mazaak.
Main: Chup kar, woh aa raha hai, sun lega.
Aarav hamare saamne se ghoomta hua ek round maar gaya. Shayad woh light aane ka intezaar kar raha tha. Maine usse baat karne ki koshish ki.
Main: Humein abhi generator le lena chahiye. Tum kya kehte ho, Aarav?
Par Aarav ka jawab nahi aaya. Jawab aaya Nina ka.
Nina: Ha, maa, lena chahiye. Inverter bhi kharab hota rehta hai.
Main: Hmm.
Maine jiska jawab chaha tha, uska jawab nahi aaya. Sach kahu toh mujhe Nina ke jawab se koi matlab nahi tha. Aisa nahi tha ki main apni chhoti beti se pyar nahi karti, par main Aarav se baatein karna chahti thi. Uske ek shabd mere liye anmol the.
Aise hi main aur Nina idhar-udhar ki baatein karte rahe. Light nahi thi, fan nahi chal raha tha, aur garmi ka mausam toh waise bhi Maharashtra mein zabardast hota hai. Hum ladkiyon ko toh thik tha, par Aarav bechara ka bura haal tha. Uska chehra paseene se bhig chuka tha.
Main: Aarav? Aise tahal te rahoge toh garmi aur zyada lagegi.
Jaise ummeed thi, uska jawab nahi aaya. Main iss ladke ka kya karoon? .
Kuch samay aise hi beeta. Light abhi tak nahi aayi thi. Ab toh mujhe bhi garmi lag rahi thi. Aur main andaza laga sakti thi ki agar mujhe garmi lag rahi hai, toh Aarav ko kitni garmi lag rahi hogi. Main usse kuch batane ja hi rahi thi ki mera muh khula ka khula reh gaya.
Kyunki Aarav ne ghoomte ghoomte apna t-shirt utar diya. Mera muh khul ke reh gaya, kyunki nazaara kuch aisa tha.
Aarav ek black jeans mein tha, aur upar se kuch nahi. Uska shareer ekdum shaktishali nazar aa raha tha. Uski chhati pe baal the, jo chhati se hote hue uski naabhi ke neeche tak ja rahe the. Woh kya kehte hain, abs? Aarav ke 6 abs the. Uska haath aisa lag raha tha jaise koi bahubali ho. Uski baahon se leke biceps tak nase ubhar rahi thi. Uska shareer paseene se bhiga hua tha, aur lamp ki roshni mein woh chamak raha tha. Aisa lag raha tha jaise koi devdoot mere ghar mein aaya ho.
Tabhi Nina ki awaaz aayi.
Nina: Greek god.
Main: Kya?
Nina: Kuch nahi.
Mujhe pata tha Aarav hafta mein 4 din gym jata hai, par uska shareer itna shandaar ho gaya tha, yeh mujhe nahi pata tha. Woh hamesha se healthy tha, par ab toh kuch aur hi darje ka healthy lag raha tha.
Maine apne man mein kaha, Aarav to bap re.....
Meri nazrein usse hat nahi rahi thi. Woh idhar-udhar jata toh uski manspeshiya kas rahi thi. Meri nazar uske chehre, chhati, abs pe ja rahi thi. Pata nahi kyun, par mere gaal pe ek garmi si mehsoos ho rahi thi, jaise mera dil dhadak raha ho.
Aarav apne t-shirt ko ghuma-ghuma ke khud ko hawa kar raha tha, aur uske baazuon ki manspeshiyon mein halchal ho rahi thi. Kehna galat nahi hoga ki main usse nihar rahi thi,
Fir dekha, Aarav kitchen ki taraf ja raha tha. Maine sahi andaza lagaya, kyunki tabhi uski awaaz kitchen se aayi.
Aarav: Nina, pani kidhar hai?
Nina: Sink ke paas wale table pe hai.
Aarav: Nahi hai yaha to?
Nina: Udhar hi to thi?
Main: Main dekhti hu.
Maine lamp liya aur kitchen ki taraf jane lagi, tabhi Nina boli.
Nina: Maa, lamp le jayengi toh yaha kya, main andhere mein baithu?
Main: Tere paas phone toh hai.
Nina: Ha, phir bhi andhere se darr lagta hai.
Maine lamp Nina ke paas rakha. Waise bhi lamp ki roshni halki si hi sahi, par kitchen tak ja rahi thi.
Main kitchen mein ghusi, aur shayad Aarav bhi tabhi bahar aa raha tha. Aur mein Uske nange shareer se takra gayi. Uski paseene ki khushbu meri naak tak aayi. Main thoda hil gaye usse takrane ki wajah se. Maine apne aap ko sambhalte hue kaha.
Main: Woh... sorry... andhere mein mujhe dikha nahi. Tumhe lagi toh nahi?
Aarav: Nahi.
Main: Umm... main... main... tum ruko, main pani deti hu.
Meri awaaz kisi anjaan si bechaini mein kamp rahi thi. Andhere mein dikhai toh nahi de raha tha, par main sharma rahi thi Aarav ke saamne.
Main: Yeh... yeh dekho, pani idhar tha. Nina ko pata nahi tha yahan hai.
Maine bottle se pani glass mein dala aur Aarav ko diya. Usne gatagat pi liya.
Main: Pyaas lagi thi toh mujhe bolte?
Aarav ka jawab nahi aaya, par woh wahan se gaya nahi. Mere saamne hi khada raha. Mere dil mein ek ajeeb si ummeed jagi ki sayad abhi thodi baatein usse ho sakti hai.
Main: Pyaas bujhi? Ya aur pani doon?
Aarav: Ha..
Main: Theek hai, ruko...
Maine jaldi se glass mein pani dala aur usse diya. Usne pi liya.
Main: Aur... aur chahiye?
Aarav: Nahi.
Main: Ohh...
Aarav wahan se jane laga, toh maine turant usse rok liya.
Main: Ruko...Aarav ruk gaya aur mujhe dekhne laga. Andhere mein dikhai toh nahi de raha tha, par mehsoos ho raha tha ki uski nazrein mujhpe thi, woh mujhe dekh raha tha.
Main: Woh... woh... mujhe bhi...
Aarav: Kya?
Main: Matlab, mujhe bhi pyaas lagi thi. Tum... tum yahin ruko ha, mujhe andhere se darr lagta hai.
Main bas baatein bana rahi thi. Asal mein mujhe Aarav se baatein karni thi. Isliye baatein ghuma rahi thi.
Main glass mein pani nahi daal rahi thi, taki jitna ho sake usse baatein kar sakoon.
Main: Tumhara toh neend kharab ho gaya hoga na?
Uska jawab nahi aaya, par main kahan rukne wali thi.
Main: Toh... toh... padhai kaisi chal rahi hai tumhari?
Aarav: Achi.
Main: Aur... aur batao...
Aarav: Kya?
Main: Kuch bhi batao.
Aarav: Wahi toh, kya bataun?
Main: Woh... ha, chai piyoge?
Aarav: Nahi.
Main: Achha, toh noodles bana doon?
Aarav: Nahi.
Main: Ohh... toh... Maggi chalegi?
Aarav: Nahi, Apka pani peena ho gaya? Toh jaun main?
Main: Nahi... ruko... hahaha yeh dekho, hahaha iss bottle mein toh pani hi nahi hai... main doosra bottle laati hum.. tum... tum yahin raho, haha, mujhe andhere se darr lagta hai.
Maine jhooth kaha ki bottle mein pani nahi hai. Pani tha, par maine jhooth bola kyunki main Aarav se jitna ho sake baatein karna chahti thi. Lekin meri futi kismat.
Tabhi light aa gayi. Aur Aarav ne meri haathon mein jo bottle thi, usse dekha. Meri jhooth pakdi gayi. Maine fat se bottle ko apne peechhe chhupa liya. Sharam kya hoti hai, yeh mujhe aaj pata chala. Meri chori pakdi gayi, woh bhi mere hi bete ke saamne. Mere gaal sharam se laal ho gaye. Aarav kuch nahi bola. Woh wahan se jane laga.
Main: Ruko.
Maine peechhe se uska haath pakad liya, par woh peechhe nahi muda. Meri aankhein nam ho gayi. Ek taraf meri jhooth pakdi gayi thi, doosri taraf main usse aur baatein karna chahti thi.
Main: Kya tumhe mere haath ka khana pasand nahi? Subah bhi tumne Nina ke banaye chai ki tareef ki, par mere poochhne par tumne koi jawab nahi diya?
Aarav ne kuch nahi bola, na peechhe mudkar mujhe dekha. Mujhe bohot bura laga. Mera rona nikal gaya.
Main: Mujhe bohot bura lagta hai, Aarav.
Maine dhire se kaha, mera rona aa gaya tha. Shayad Aarav ne bhi mehsoos kiya. Usne peechhe mudkar dekha. Main nam aankhon se usse dekh rahi thi. Usne kuch der mujhe aise hi dekha, phir pata nahi use kya hua, usne bola.
Aarav: Mujhe Maggi khana hai. Ho sake toh bana dijiye, Main TV room mein baith raha hu.
Itna kehke woh apna t-shirt pehante hue wahan se chala gaya. Meri aankhein nam thi, par hothon pe ek muskaan bhi aa gayi ki usne khud se mujhse khana manga tha .Maine dekha, woh ja ke TV ke saamne baith gaya. Aur kya tha? Maine jaldi-jaldi Maggi banayi aur Aarav aur Nina ko di. Aarav jaldi-jaldi kha ke apne kamre mein chala gaya
Thodi der mein Ankur bhi aa gaya. Maine jaldi-jaldi dinner tayyar kar liya, kyunki Aarav ne subah se nashte ke baad kuch nahi khaya tha. Dinner ke baad sab apne-apne kamre mein chale gaye. Jiyada kuchh baate nahi huye.
Main bistar leti hui thi, din bhar ki baatein yaad kar rahi thi. Aarav ko hi yad kar rahi thi, aisa hi hota aa raha hai na jane kab se, ab to ye meri ek routine ban chuka tha.
Tabhi mere kandhe pe kisi ka haath mehsoos hua. Yeh Ankur ka haath tha.
Main: Kya hai?
Ankur: Aaj mera bohot mann kar raha hai.
Main: Toh main kya karu?
Ankur: 19 saal ho gaye hain uss baat ko. Aaj karte hain na?
Main: Haath hatao apna.
Kehte huye maine uska haath apne kandhe se hata diya.
Ankur: Jaanvi, please. 19 saal ho gaye hai Nina ke paida hone ke baad se. Tumne mere saath sex karna hi band kar diya.
Main: So jao, aur mujhe bhi sone do.
Ankur: Nahi, mujhe aaj karna hai. Mera mann hai.
Main: Thappad khayoge?
Meri iss baat par Ankur gussa ho gaya aur apna pari wala rob jamane laga.
Ankur: Main pati hu tumhara, Jaanvi.
Main: Tum pati nahi, haiwan ho sirf.
Ankur: Kya kaha tumne? Phir se bolo.
Main: Tum haiwan ho, ghatiya insaan ho, aur sunau?
Ankur: Aaj toh main kar ke hi rahunga.
Yeh kehke Ankur meri taraf badh hi raha tha ki maine turant bistar se uth kar phone haath mein le liya.
Main: Ek bhi kadam agar tumne meri taraf badhaya, toh main maa ko phone karungi aur sab bata doongi.
Yeh sunte hi Ankur thoda darr gaya aur peechhe hat ne laga, Phir mithi mithi baaton se mujhe manane laga.
Ankur: Arre, janu, gussa kyun kar rahi ho? Main toh pyar se bol raha hu. Achha, theek hai, main kuch nahi karunga.Tum to phone rakh do.
Main: Chikni chupdi baatein apne paas hi rakho.
Ankur: Achha, baba, theek hai. Main kuch nahi karunga. Sasu maa ko phone karne ki koi zarurat nahi.
Main: 2 feet door hato.
Ankur: Theek hai.
Ankur bistar ke kone mein chala gaya. Phir main bistar pe leti, doosri taraf muh karke.
Ankur: Ek baat batao, Jaanvi.
Main: Phone lagaun maa ko?
Ankur: Arre, woh sab nahi. Main kuch aur poochh raha hu.
Main: Kya?
Ankur: Kya tumhe ab sex karne ki ichha nahi hoti?
Maine iska jawab nahi diya. Sach kahu toh Ankur ke sawal ka jawab dene zaruri nahi samjhi.
Ankur: Jaanvi? Kya hua? Kya tumhe ichha nahi hoti?
Main: Sharirik sambandh uske saath kiya jata hai jisse pyar ho. Aur main tumse pyar nahi karti.
Mera jawab sunke Ankur chup reh gaya. Kuch nahi bola, ab kiya hi bol pata woh? Uska jawab use mil gaya aur chupchap so gaya. Kyunki agar jiyada bakwas karta to mein apni maa ko call laga deti.
Raat kafi ho rahi thi, per meri aankhon pe nind nahi aanshu the. meri aankhon se aansu bah rahe the, Bina koi awaaz kiye, roti rahi, apne dil ke dard ko samet kar. Mujhe iss bistar pe Ankur ke saath sote huye mujhe ghin aa rahi thi.
Nahane kab se mein iss char diwaron Ke piche ghut ghut ke jee Rahi hu, mujhe nind nahi aa raha tha, Mein phone dekha to raat ke 2 baj rahe the. Meine socha chat pe jati hu, thodi der khule asman ke neeche rahungi to accha Lage ga.