UPDATE- 99
Isi tarah Din pe din bitne lage. Sarita aur Manisha Hafte mein ek baar Abhishek se milne ke liye jaroor jate. Abhishek ko bhi ye achha lagta.
Bit-te samay ke sath Sarita ke dilo dimag mein to jaise Nishchal ne kabja kar liya tha. Wo jab bhi nishchal ko dekhti to Sharma jati thi. Nishchal ko lekar uska vyavhar badal gaya tha. Usko bhi ye ehsas ho gaya tha ki uske dil mein Nishchal ko lekar kuchh na kuchh jaroor hai..
Kai baar jab wo akele hoti tho yahi sochti thi ki kahi use Nishchal se pyaar to nahi ho gaya hai, lekin Wo apne is vichar ko ye kahkar darkinar kar deti thi ki usne apna jo goal banaya hai pahle wo use hasil karegi uske baad wo pyaar vyaar ke bare mein sochegi.
Par Sarita ke baar baar koshish karne ke baad bhi use nakamyabi hi hath lagti thi. wo jitna apna dhyan Nishchal se hatane ke liye koshish karti Nishchal use utna jyada yaad aata. Sarita ko din-raat, sote-jagte bas Nishchal ka hi chehra dikhayi deta tha. Jab bhi koi aahat ya khatka hota use lagta ki Nishchal aaya hai.
Manisha jab bhi Sarita ke samne Nishchal ka naam leti to uski dhadkan anayas hi badhne lagti. Sarita ko bhi har bit-te pal ke sath ye ehsas hone laga tha ki wo dhire dhire Nishchal ke kareeb ja rahi hai. ya yuun kahein ki Nishchal ki yade use apni or kheech rahi thi. Sarita ka apne upar koi jor nahi rah gaya tha.
Parntu Sarita ko is baat ka bhi Ehsas tha ki Nishchal Charu se pyaar karta hai to wo uske sath koi jabardasti nahi karna chahti thi. Sarita ne soch liya tha ki Agar Nishchal Charu ke sath hi khush hai to wo Apne dil mein umad rahe jajbat ko kabhi bahar nahi aane degi aur dono ke pyaar ke bich mein nahi aayegi.
Udhar Manisha Har pal ki khabar Nishchal ko deti thi. Nishchal use Mana bhi karta tha ki wo ye sab na kare, lekin Manisha uski baat nahi manti aur use intezar karne ke liye bolti hai. Manisha bahut bariki se Sarita ko observe kar rahi thi. Usne Sarita mein har din ho rahe badlav ko bahut kareeb se dekha tha.
Manisha ne dekha tha ki jis ladki ko der raat tak padhne ki dhun sawar rahti thi. Wahi ladki ab der raat tak apni khidki par khadi Nishchal ke uske ghar aane ki pratiksha karti rahti thi. Nishchal ke aane ke baad hi Sarita khidki se hat-ti thi. Nishchal ke aane ke baad hi wo soti thi.
Jis ladki ne abhi tak apne khwabo mein sirf apne goal ko hi ahamiyat di thi. aaj wo apne khwabo mein Nishchal ka khwab dekhti hai. Jis ladki ko ye pyaar mohabbat befajool ki baat lagti thi aaj wahi use duniya ka sabse khoobsurat ehsas lagta hai.
Sarita Ab Nishchal ka samna karne se katrati thi. Uske samne jane se darti thi ki kahi unki aakhon ne ya uske labon ne kuchh aisa bol diya jisase Nishchal ke prati uske man mein kya jajbaat hain wo jahir na ho jaye. Wo Nishchal ko chhup chuup kar apni khidki se dekhti thi.
Sarita ko lagta tha ki iske bare mein kisi ko pata nahi hai to wo apni feeling ko jahir karke uska majaak nahi banana chahti thi. Manisha jo Sarita ko bahut bariki se observe kar rahi thi use ab apni bahan ki ye halat dekhi nahi ja rahi thi to usne aakhirkar Sarita se direct baat karne ka nirnay liya.
Ek din Sarita ko PS se aane mein der ho gayi. Aane ke baad Usne khana khaya aur khidki ke paas jakar khadi ho gayi. Us din Nishchal der raat tak ghar nahi aaya tha. Sarita bechaini se apni khidki ke paas idhar se udhar tahal rahi thi.
Sarita ko lagta tha ki use koi dekh nahi raha hai, lekin Manisha use kaafi der se dekh rahi thi. jab usase raha nahi gaya to wo Sarita ke paas gayi aur uske kandhe par hath rakh diya. Manisha ko dekhkar Sarita ne kaha.
Sarita- Are Manisha tum abhi tak jag rahi ho.
Manisha- Main kaise so jaun jab meri didiya itni bechain dikh rahi hai.
Sarita- Nahi to aisa to kuchh bhi nahi hai main to aise hi tahal rahi thi.
Manisha- Ek baat kahun didiya. Aap jo kuchh bhi sochti ho. jo kuchh bhi mahsoos karti ho jaakar sabkuchh boss ko bol do.
Sarita- Kya bol doon??
Manisha ne bina kisi deri ke turant khulkar sari baat karne ka faisla karte huwe kaha.
Manisha- Wahi jo Aap boss ke liye feel karti hain. main tumhe aur ghut-ghut kar jeete huwe nahi dekh sakti didiya. Tumhe kya lagta hai ki mujhe nahi dikhta ki Chaaru aur Boss ke pyaar ki bate sunkar tumhare lalaat par tanav aa jata hai aur Tumhari aankhon mein gussa. jo maine saaf dekha hai didiya.
Maine dekha hai ki ye soch soch kar tum raat bhar karwate badlati rahti ho ki Boss Charu se pyaar kate hain. tum hamesha bechain rahti ho. Der raat tak khidki par khade hokar Boss ka intezar karti rahti ho. Mujhe sab dikhta hai didiya.
Kahte hain ki agar apne jajbaat ko agar apne andar dabakar rakhoge to wo aapko chain se jeene nehi dega. Andar hi andar apko pareshan karta rahega. Isase to achha hai ki Jo bhi aapke man mein chal raha hai use bahar nikal kar chain ki sans li jaye.
Main aapko aur aise nahi dekh sakti. meri baat mano didiya. Bol do jakar boss se. ab aur der mat karo nahi to tum pagal ho jaogi. Haalat dekhi hai tumne apni. Kuchh hi din mein tum kya se kya ho gayi ho.
Sarita Manisha ko hairani se dekh rahi thi. use to bilkul bhi andaza nahi tha ki uski mastmaula, beparwah aur hamesha hansi majak karne wali bahan use itne dinon se itni bariki se observ kar rahi hai. Wah jis baat ko chhipati fir rahi thii wo baat Manisha use bata rahi hai.
Aaj use Manisha par bahut pyaar aa raha tha. Sarita ki munh se koi bol nahi phoot rahe the. Uski baat sunkar Sarita ki aankho se aanshu nikal aaye aur wo Manisha ke gale lagkar rone lagi.
Manisha ki aankhe bhi Sarika ke gale lagne ke baad chhalak aayi thi. Sarita ki aankho se itne din ki jo ghutan thi wo bahkar bahar aa rahi thi to Manisha ki aankho mein aanshu apni bahan ki halat dekhkar kar aa gaye the. Thodi der baad Manisha ne Sarita ko apne se alag karte huwe kaha.
Manisha- Ab bas karo didiya kitna rowogi. Thode aanshu apni vidayi ke liye bhi bacha kar rakho.
Sarita uski baat sunkar rote huwe hansne lagi aur boli.
Sarita- Wo to teri shadi mein bahaungi.
Manisha ne Sarita ke dono hath pakadate huwe kaha.
Manisha- Achha Bas karo ab aur jakar achhe se taiyar ho jao.
Sarita- Wo kisliye??
Manisha- Are Kisliye se kya matlab hai tumhara?? Tum apne dil ki baat boss ko is halat mein bataogi.
Manisha ki baat sunkar Sarita ne uske hath par marte huwe kaha.
Sarita- Tum pagal ho gayi ho kya?? Abhi kaise??
Manisha- Haan to tum aise hi baith kar intezaar karte rahna aur wo Charu boss ko uda le jayegi.
Sarita- (hanste huwe) Charu… kya wo hanuman ji hai kya jo wo Sir ko uda le jayegi??
Manisha- Didiya Shubh kaam mein deri nahi karni chahiye. Waise bhi bahut jyada samay ho gaya hai Isliye tum abhi ke abhi jao.
Sarita- Bahut jyada samay matlab.
Manisha- Wo sab baat baad mein bhi ho sakti hai, lekin abhi jo kaam karna hai aapko uske upar focus karo.
Sarita- Are… par abhi to wo duty se aaye hi nahi hain to main wahan jakar kya karungi.
Manisha- Tum unke aane se pahle unka room khoob achhe se decorate kar dena taki tumhe boss ko impress karne mein jyada samay na lage.
Manisha ki baat sunkar Sarita hansne lagi aur hanste huwe boli.
Sarita- Tumhare paas itne khatarnak ideas aate kahan se hain.
Manisha ne Sarita ki hansi dekhi to apna munh bana liya aur boli.
Manisha- Ek to tumhein achhe achhe ideas de rahi hoon aur tum ho ki mera hi Mazak uda rahi ho.
Sarita- main tumhara Mazak nahi uda rahi hoon. Tum to janti ho ki main shuru se hi in sab cheezo se door hi rahi hoon. Achanak ye sab ho gaya to mujhe samajh mein nahi aa raha hai kuchh. Tum jo idea mujhe de rahi ho isase Sir impress ho ya na ho, lekin mera Mazak ban-na tay hai. Decoration. Ufffffff.
Sarita ki baat sunkar Manisha ne apna sir pit liya aur kaha.
Manisha- Tum bhi na. Tumse to kuchh nahi ho sakta hai.
Sarita- Ab tum mujhse bahas mat karne lag jana. Isiliye main tumse kuchh bhi batana nahi chah rahi thi. tum chahe kuchh karo ya na karo lekin aise waise ideas dekar mujhe jokar jaroor bana dogi tum. Tum khud hi socho ki aise hi bina usko bataye un ke ghar mein ghuskar ye sab karna. Mujhe to ye sochkar hi hansi aa rahi hai.
Manisha- Achha Thik hai thik hai. agar ye plan sahi nahi lag raha hai tumhe to mujhe kuchh aur sochne do.
Sarita- Are meri bahna. Bas karo tum. Tumne mere bare mein itna kuchh socha wahi bahut hai mere liye.
Sarita ki baat sunkar Manisha ne kuchh nahi kaha. Manisha ki dimag bahut tezi se kaam kar raha tha. uske dimag mein kuchh khurafat janam lene lagi aur usne apni mundi haan mein hila di.
Sarita- Chalo ab sote hain bahut der ho gayi hai.
Manisha- Hmmmmm. Chalo.
Dono aakar bister par so gayi. Agle din Sarita fir se apne samay se PS gayi. din bhar usne sara kaam kiya aur sham ko ghar wapas aa gayi. dono bahano ne khana banaya. Khana khane ke baad Manisha kamre mein chali gayi.
Sarita jakar khidki par khadi ho gayi. thodi der baad Nishchal ki gadi jab uske ghar aayi to wo apne kamre mein aa gayi aur Manisha ke bagal mein letkar kitab padhne lagi. Manisha ne Sarita se kaha.
Manisha- Boss aa gaye kya.
Sarita- Mujhe kya pata??
Manisha- to itni der se khidki par khadi hokar kiski pahredari kar rahi thi.
Sarita- Kisi ki bhi to nahi. Main to bas tahal rahi thi. tum soi nahi abhi tak
Manisha- Itni jaldi. Abhi to 10 hi baje hain. itni jaldi kaun sota hai bhala.
Sarita- Achha ab tum chupchap leto aur mujhe padhne do. Disturb bilkul bhi mat karna mujhe.
Manisha- (bister se utarte huwe) Main bathroom se aa rahi hoon didiya.
Sarita- thik hai jao.
Manisha kamre se bahar aati hai aur chaat par jakar Nishchal ko call karti hai. Manisha ki call dekhkar Nishchal ne phone uthaya aur kaha.
Nishchal- Haan bolo chhote miya. Kya haal chaal hai.
Manisha- mera to thik hai aap apna bataiye.
Nishchal- mera bhi badhiya hai.
Manisha- Aapne khana kha liya.
Nishchal- haan bas kuchh der pahle hi khaya hai.
Manisha- Abhi kya kar rahe hain aap boss.
Nishchal- Kuchh nahi. Khana khane ke baad tahal raha hoon.
Manisha- Waise boss. Mujhe lagta hai ki Didiya ko koi pareshani hai. wo bahut bechain dikhayi de rahi hain.
Nishchal- Kyaa huwa hai use??
Manisha- (udas aawaz mein) Ab ye to didiya ko hi pata hoga. Mere lakh puchhne par bhi wo mujhe bata nahi rahi hain aur aaj to unhone khana bhi nahi khaya hai.
Nishchal- Whaat?? Wo abhi jaag rahi hai ya so gayi hai.
Manisha- (udasi bhari aawaz mein) Abhi kaha soi hai . kab se usi baat ko lekar tension mein baithi hai.
Nishchal- Tum pareshan mat ho main aa raha hoon.
Manisha- Jaldi aaiyega.
Nishchal ne phone rakh diya. Phone rahne ke baad Manisha Khushi se uchhalte huwe boli.
Manisha- hoooooooo. Yeeeeeeee. Aaj to aap dono hi apne apne pyaar ka izhaar karenge. Aaj ke liye mujhe maaf kar dena didiya. Baad mein chahe to mujhe dant hi lena.
Abhi kuchh hi der hui thi ki Nishchal Waha par aa gaya. Manisha ne Pahle hi darwaza khula rakha tha to Nishchal andar aa gaya. Manisha darwaze ke paas hi munh latka kar khadi thi. Use dekhte hi Nishchal bola.
Nishchal- Kaha hain Lady done.
Manisha- Kamre mein hai chaliye mere sath.
Manisha Nishchal ko lekar kamre mein gayi. Sarita kitab padhne mein magan thi to uska dhyan Nishchal ki taraf nahi gaya. Manisha ne chalaki dikhate huwe Nishchal ke kamre mein jane ke baad Chupke se Darwaze ko dheere se bahar se sitkini laga di. Nishchal andar pahuchte hi Sarita se bola.
Nishchal- Tumne khana kyon nahi khaya abhi tak??
Nishchal ki aawaz sunkar Sarita chauk gayi, usne apna sir uthakar dekha to Nishchal samne khada tha. Sarita ko jab kuchh pata hota ya wo kuchh samajh pati ki Nishchal kis bare mein baat kar raha hai tab to wo kuchh jawab deti. Wo Nishchal ko dekhkar boli.
Sarita- Aap yaha. Is………
Abhi wo kuchh aur kah pati Nishchal ne fir se gusse bhari aawaz mein kaha.
Nishchal- maine puchha ki tumne khana kyon nahi khaya abhi tak.
Sarita- Aap jagte huwe bhi koi sapna dekh rahe hain kya?? Maine kab ka khana kha liya hai.
Nishchal- Lekin ye to bol rahi thi ki………..
Itna kahkar Nishchal piche palta to waha par Manisha nahi thi ye dekhkar Nishchal bola.
Nishchal- Are ye kaha gayi??
Sarita- Wo bahut badmash hai Sir. Usne jaroor aapke sath koi shararat ki hogi.
Nishchal- (Hanste huwe) maine jitna socha tha usase bhi jyada shaitan hai ye.
Sarita Nishchal ki baat sunkar Muskurane lagi aur darwaze ke paas jakar darwaza kholne lagi to darwaza bahar se band tha, ye dekhkar Sarita boli.
Sarita- Manisha darwaza khol.
Bahar se jab Manisha ne koi jawab nahi diya to Sarita ne thoda gusse se kaha.
Sarita- Dekho Manisha ye Mazak ka samay nahi hai. darwaza kholo nahi to aaj tum mujhse achhe se pitogi. Tumhari bhalayi isi mein hai ki tum darwaza khol do.
Manisha bahar baithi Sarita ki baat sunkar muskura rahi thi. Use ek shararat sujhi aur usne apne mobile mein gana baja diya.
Ham tum ek kamre mein band ho.
Aur chabhi kho jaye.
Tere naino ki bhool bhulaiya mein.
Bobby doob jaye.
Bahar khadi manisha is gane ki dhun par jor jor se ga bhi rahi thi. Jaha par gane ke bol mein Bobby doob jaye uski jagah Manisha ne Didiya doob jaye kaha to Sarita ko bahut gussa aaya. Wo turant Nishal ki taraf mud gayi aur use dekhne lagi.
Iske Aage ki Kahaani agle Bhag mein..